Zulf,Phir Usmein Phool,Uff ALLAH Rukh,Rukh-e-Mahtaab Unka (Shahzad Qais)
Zulf,Phir Usmein Phool,Uff ALLAH Rukh,Rukh-e-Mahtaab Unka Hont,Barg-e-Gulaab Bheega Hoa Jisam,Jaam-e-Sharaab Unka Hai Haath Se Khol Di Hai Kachhi Kali Kitna Roshan Jawaab Unka Hai Aik Hi Waar,Wo Bhi Dil Pe Karo Seedha Saadah Hisaab Unka Hai Rukh Pe Ma'asomiat Ka Pehra Hai Kaam Ye Kamyaab Unka Hai Aqal To Meri Ik Bhi Sunti Nahi Dil Bhi Khana-Kharaab Unka Hai Wo Jo Phoolon Mein Chhup Ke Bethey Hain Kitna Achha Hijaab Unka Hai Ankabooton Ne "Wah Wah" Kaha Itna Nazuk Naqaab Unka Hai "Qais" Sab Se Haseen Shair Hai Chunkey Wo "Intekhaab" Unka Hai Shahzad Qais زُلف ، پھر اُس میں پھول ، اُف اَللہ رُخ ، رُخِ ماہتاب اُن کا ہے ہونٹ ، برگِ گلاب بھیگا ہُوا جسم ، جامِ شراب اُن کا ہے ہاتھ سے کھول دی ہے کچی کلی کتنا رَوشن جواب اُن کا ہے ایک ہی وار ، وُہ بھی دِل پہ کرو سیدھا سادہ حساب اُن کا ہے رُخ پہ معصومیت کا پَہرا ہے کام یہ کامیاب اُن کا ہے عقل تو میری اِک بھی سنتی نہیں دِل بھی خانہ خراب اُن کا ہے وُہ جو پھو