Posts

Showing posts from June, 2016

Hattaa Kar Zullaf Chahray Say Na Chhat Par Sham KO Janaa Kahein KOi EID Na Kar Day Abi Ramzaan Baaqi Hai

Image
"+,,+" Hattaa Kar Zullaf Chahray Say Na Chhat Par Sham KO Janaa...> "+,,+" Kahein KOi EID Na Kar Day Abi Ramzaan Baaqi Hai...>

Kitne jugnu isi khwahish me mere sath chale koi rasta tere ghar ko bhi to jata hoga (Mohsin Naqvi)

Kitne jugnu isi khwahish me mere sath chale koi rasta tere ghar ko bhi to jata hoga Mohsin Naqvi

Har ikk shab meri taza azaab me guzari Tumhare bad tumhare hi khawab me guzari

Har ikk shab meri taza azaab me guzari Tumhare bad tumhare hi khawab me guzari Main aik phol huun wo mujh ko rakh ke bhool gaya Tamam umr usi ki kitab mein guzari

Shab Jo hum se huaa muaa'f karo Pee nahi.n thi behak gaye ho.nge

شب جو ہم سے ہوا معاف کرو پی نہیں تھی بہک گئے ہوں گے Shab Jo hum se huaa muaa'f karo Pee nahi.n thi behak gaye ho.nge

Main Nara Mastana,Main Shokhi-e-Rindana Main Tishna Kahan Jaon,Pi Kar Bhi Kahan Jana (Wasif Ali Wasif)

واصف علی واصف   شب بخیر میں نعرۂ مستانہ، میں شوخیِ رندانہ میں تشنہ کہاں جاؤں، پی کر بھی کہاں جانا میں طائرِ لاہوتی، میں جوہرِ ملکوتی ناسوتی نے کب مجھ کو، اس حال میں پہچانا میں سوز محبّت ہوں، میں ایک قیامت ہوں میں اشکِ ندامت ہوں، میں گوہرِ یکدانہ کس یاد کا صحرا ہوں، کس چشم کا دریا ہوں خود طُور کا جلوہ ہوں، ہے شکل کلیمانہ میں شمعِ فروزاں ہوں، میں آتشِ لرزاں ہوں میں سوزشِ ہجراں ہوں، میں منزلِ پروانہ میں حُسنِ مجسّم ہوں، میں گیسوئے برہم ہوں میں پُھول ہوں شبنم ہوں، میں جلوۂ جانانہ میں واصفِ بسمل ہوں، میں رونقِ محفل ہوں اک ٹوٹا ہوا دل ہوں، میں شہر میں ویرانہ

Hum Us Din Eid Manaaein Ge, Wo Jin K Ghar Veeran Huye,

عید انتخاب شاعر منان قدیر منان بک ہم نہ ملتے تو اچھا تھا صفحہ 67 68 انتخاب ‫‏ عروسہ ایمان وہ جن کے گھر ویران ہوۓ وہ جن کے دل قبرستان ہوۓ وہ پھول سے چہرے بچوں کے مرجھاۓ ہوۓ اکتاۓ ہوۓ جب دیکھتے ہیں تو اس دل سے پھر اک پکار سی اٹھتی ہے جب ان مایوس سی آنکھوں میں کچھ روشن سے خواب آئیں گے ہم اس دن عید منائیں گے اے محرومو اے مظلومو ہم مشکل کی ان گھڑیوں میں نہ ساتھ تمہارا چھوڑیں گے نہ ٹوٹنے دیں گے رشتہء غم ہم دل سے دل جوڑیں گے ہم سب مل کر دنیا والو بس ایک ہی وعدہ کرتے ہیں ہم ایک ارادہ کرتے ہیں جب فاقہ کش یے لوگ یہاں لاچار اٹھائیں ڈھاچے تن ڈھاپیں گے کچھ کھائیں گے ہم اس دن عید منائیں گے نہ عید مناؤ دل والو کچھ روگ ابھی باقی ہیں یہاں زندہ لاشوں کی صورت کچھ لوگ ابھی باقی ہیں ہم جشن کا کیسے ذکر کریں کچھ سوگ ابھی باقی ہیں کیوں عید منائیں مذدور زردار ابھی تک زندہ ہیں کیوں خوش ہوتے ہو اہلء وطن غدار ابھی تک زندہ ہیں انسان کی خوشیوں کے دشمن جب سولی پے چڑھ جائیں گے ہم اس دن عید منائیں گے . Poet Manaan Qadeer Manan Hum Us Din Eid Manaaein Ge, Wo Jin ...

Dhva bna ke fiza mein udha diya mujh ko.. Ki main jal rha tha kise ne bhuja deya mujh ko..

Image
Dhva bna ke fiza mein udha diya mujh ko.. Ki main jal rha tha kise ne bhuja deya mujh ko..

"Keh de-Tanhai Se Humein Chutkara Nahin Milta, "Ab Kisi Se B Andaz Humara Nahi Milta,

Image
"Keh de-Tanhai Se Humein Chutkara Nahin Milta, "Ab Kisi Se B Andaz Humara Nahi Milta, "Qismat Mein Hi Na Ho Wafa To Kisi Se Kiya Gila, "Ishq Mein Doobne Walon Ko Kinara Nahi Milta, "Q Rota Hai Akela Beth Kar Kisi Ki Khatir, "Jo Ik Baar Bichar Jaye Dubara Nahin Milta, "Kuch Logon Ka Kehna Hai K Mil Jati Hai Har Cheez, "Lekin Jo Asman Se Toot Jaye Wo Sitara Nahi Milta, "Q Talash Karta Hai Wafa Duniya Mein, "Yahan To Apno Se B Sahara Nahi Milta.....!!
(1) Khushbu ka jism saaye ka paikar nazar to aaye Dil jis ko dhoondta hai wo manzar nazar to aaye Shaharyar (2) نمک کو ہاتھ میں لیکر, ستمگر سوچتے کیا ہو ہزاروں زخم ہیں دل پرجہاں چاہو چھڑک ڈالو... Namak Ko Haath Mein Lekar,Sitamgar Sochtey Kia Ho Hazaron Zakham Hain Dil Par Jahan Chaho Chirrak Dalo  

Dastaar Ke Har Taar Ki Tahqeeq Hai Lazim Har Sahib-e-Dastaar Muazaz Nahi Hota

Image
Dastaar Ke Har Taar Ki Tahqeeq Hai Lazim Har Sahib-e-Dastaar Muazaz Nahi Hota

Hai Apke Honton Pe Jo Muskaan Waghaira,Qurbaan Gaye Iss Pe Dil-o-Jaan Waghaira

ہےآپ کے ہونٹوں پہ جو مسکان وغیرہ قربان گئے اس پہ دل وجان وغیرہ بلی تویونہی مفت میں بد نام ہوئی ہے تھیلے میں توکچھ اور تھا سامان وغیرہ بےحرص وغرض فرض ادا کیجئے اپنا جس طرح پولس کرتی ہے چالان وغیرہ اب ہوش نہیں کوئی کہ بادام کہاں ہے اب اپنی ہتھیلی پہ ہیں دندان وغیرہ کس ناز سے وہ نظم کو کہہ دیتے ہیں نثری جب اس کے خطا ہوتے ہیں اوزان وغیرہ ہر شرٹ کو بشرٹ بنا ڈالی ہے انور یوں چاک کیا ہم نے گریبان وغیرہ

Ham ko bhi wazu kar lenay do, Hum ko bhi ziyaarat karni hai

ھم کو بھی وضو کر لینے دو ھم کو بھی زیارت کرنی ھے . کچھ لوگ تمھاری آنکہوں کو ولیوں کا تہکانا کہتے ھیں Ham ko bhi wazu kar lenay do, Hum ko bhi ziyaarat karni hai, . Kuch loog tumhaari aankhon ko, Walyoon ka thikaana kehtay hain.

Aah Ko Chahiye Ik Umar Asar Honey Tak,Kon Jeeta Hai Tere Zulf Ke Sahar Honey Tak (Mirza Asadullah Khan Ghalib)

آہ کو چاہیے اِک عُمر اثر ہونے تک کون جیتا ہے تری زُلف کے سر ہونے تک دامِ ہر موج میں ہے حلقۂ صد کامِ نہنگ دیکھیں کیا گُزرے ہے قطرے پہ گُہر ہونے تک عاشقی صبرطلب ، اور تمنّا بیتاب دل کا کیا رنگ کروں خونِ جگر ہونے تک ہم نے ماناکہ تغافل نہ کرو گے، لیکن خاک ہو جائیں گے ہم، تم کو خبر ہونے تک پرتوِ خُور سے ، ہے شبنم کو فنا کی تعلیم میں بھی ہوں ، ایک عنایت کی نظر ہونے تک یک نظر بیش نہیں فُرصتِ ہستی غافل! گرمئِ بزم ہے اِک رقصِ شرر ہونے تک غمِ ہستی کا، اسد ! کس سے ہو جُز مرگ ، علاج شمع ہر رنگ میں جلتی ہے سحر ہونے تک

Apni Ruswayi,Tere Naam Ka Charcha Dekhon,Ik Zara Shair Kahon Aur Main Kia Kia Dekhon (Parveen Shakir)

اپنی رسوائی ، ترے نام کا چرچا دیکھوں اک ذرا شعر کہوں اور میں کیا کیا دیکھوں نیند آجائے تو کیا محفلیں برپا دیکھوں آنکھ کھل جائے تو تنہائی کا صحرا دیکھوں شام بھی ہو گئی ، دھندلا گئیں آنکھیں بھی مری بھولنے والے میں کب تک ترا رستا دیکھوں ایک اک کر کے مجھے چھوڑگئیں سب سکھیاں آج میں خود کو تری یاد میں تنہا دیکھوں کاش صندل سے مری مانگ اجالے آ کر اتنے غیروں میں وہی ، ہاتھ جو اپنا دیکھوں تو مرا کچھ نہیں لگتا ہے مگرجانِ حیات! جانے کیوں تیرے لئے دل کو دھڑکتا دیکھوں بند کر کے مری آنکھیں وہ شرارت سے ہنسےبوجھے جانے کا میں ہر روز تماشا دیکھوں سب ضدیں اس کی میں پوری کروں ، ہر بات سنوں ایک بچے کی طرح سے اسے ہنستا دیکھوں مجھ پہ چھا جائے وہ برسات کی خوشبو کی طرح انگ انگ اپنا اسی رت میں مہکتا دیکھوں پھول کی طرح میرے جسم کا ہر لب کھل جائے پنکھڑی پنکھڑی ان ہونٹوں کا سایہ دیکھوں میں نے جس لمحے کو پوجا ہے ، اسے بس اک بارخواب بن کر تری آنکھوں میں اترتا دیکھوں تو مری طرح سے یکتا ہے، مگر مرے حبیب! جی میں آتا ہے کوئی اور بھی تجھ سا دیکھوں ٹوٹ جائیں کہ پگھل جائیں مرے کچے گھڑے تجھ کو میں دیکھوں کہ آگ کا دریا ...

Tash Pa Munzono Duwagano Ao Tasbo Kho Na Da, Musalmani Bas Pa Rojo Ao Taravo Kho Na Da,(Ghani Khan)

(Ghani Khan) Tash Pa Munzono Duwagano Ao Tasbo Kho Na Da, Musalmani Bas Pa Rojo Ao Taravo Kho Na Da, Nyatono Pak Ao Da Sheshey Ghuntake Zrrona Ghuwarri, Tash Jomatono Ta Pa Tlo Ao Pa Ratlo Kho Na Da, Daa Che Pa Gota Zaan Sandi Hagho Ta Dase Waya, Staso Shamla Hum Barabar Zama Da Khpo Kho Na Da, Stargey De Bya Pa Ranjo Dake Dake Tore Krrale, Bya Erada Kho De Zamunga Da Weshto Kho Na Da, Sta De Qasam Vi "Ghani" Che Hes Gham Ona Krre Pa Taa Ba Nang Kavi Sta "Meena" Bepukhto Kho Na Da.....!!!

, Marqad-E-Ishq Pe Ab Aur Na Roya Jaye . . Raat Ka Pichhla Pehar Hai Chalo Soya Jaye . Noshi Gilani

نوشی گیلانی . مرقدء عشق پہ اب اور نہ رویا جاۓ , , رات کا پچھلا پہر ہے چلو سویا جاۓ , Marqad-E-Ishq Pe Ab Aur Na Roya Jaye . . Raat Ka Pichhla Pehar Hai Chalo Soya Jaye . Noshi Gilani Book Udas Hone K Din Nahi Hain

Fareb-O- Makar-O 'Takabbur Nahin Hunar Hona Daleel-O- Izzat-O- Azmat Nahin Hai Zar Hona

Image
Fareb-O- Makar-O 'Takabbur Nahin Hunar Hona Daleel-O- Izzat-O- Azmat Nahin Hai Zar Hona "Rais" Apni Nazar Main To Ahle Fun Ho Magar Bohot Kathin Hai Zamaane Main Mautabar Hona ( RAIS MANSOORI )

Urooj Par Hai Tumhara Maosam,Khizaan Mein Tum Ko Khareed Lein Gy

Image
ﻋﺮﻭﺝ ﭘﺮ ﮬﮯ ﺗﻤﮭﺎﺭﺍ ﻣﻮﺳﻢ ﺧﺰﺍﮞ ﻣﯿﮟ ﺗﻢ ﮐﻮ ﺧﺮﯾﺪ ﻟﯿﮟ ﮔﮯ ﺑﻨﻮ ﮔﮯ ﮬﻢ ﺳﮯ ﺭﺣﻢ ﮐﮯ ﻃﺎﻟﺐ ﻧﮧ ﺗﻢ ﮐﻮ ﻣﮩﻠﺖ ﻣﺰﯾﺪ ﺩﯾﮟ ﮔﮯ ﺍﺩﺍ ﮐﮯ ﻗﺼﮯ ﮬﻮﺋﮯ ﭘﺮﺍﺋﮯ ﺟﻔﺎ ﮐﺎ ﻣﻮﺳﻢ ﺧﺘﻢ ﮬﯽ ﺳﻤﺠﮭﻮ ﮐﺮﯾﮟ ﮔﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﺣﺴﺎﺏ ﺟﺎﻧﺎﮞ ﻧﮧ ﺗﻢ ﮐﻮ ﻣﮩﻠﺖ ﻣﺰﯾﺪ ﺩﯾﮟ ﮔﮯ ﻭﻓﺎ ﮐﮯ ﻻﻟﭻ ﻣﯿﮟ ﮬﻢ ﻧﮯ ﺧﻮﻥ ﺍﭘﻨﺎ ﺳﮑﮭﺎ ﺩﯾﺎ ﻓﺮﯾﺐ ﻣﺴﺘﯽ ﮐﮯ ﺑﺪﻟﮯ ﺗﻢ ﮐﻮ ﺳﺰﺍ ﺑﮭﯽ ﺳﻦ ﻟﻮ ﺷﺪﯾﺪ ﺩﯾﮟ ﮔﮯ Urooj Par Hai Tumhara Maosam, Khizaan Mein Tum Ko Khareed Lein Gy Bano Gy Hum Se Rehm Ke Talib, Na Tum Ko Muhlat Mazeed Den Gy Ada Ke Qissay Hue Paraye, Jafa Ka Maosam Khatam Hi Samjho Karen Gy Tum Se Hisaab Janaan, Na Tum Ko Muhlat Mazeed Den Gy Wafa Ke Lalach Mein Hum Ne, Khoon Apna Sukha Diya Faraib Masti Ke Badley Tum Ko, Saza Bhi Sun Lo Shadeed Dein Gy

Haath Tuutein Mein Ne Gar Chherrin Hon Zulfein Aap Ki Aap Ke Sar Ki Qasam, Baad-E-Sabaa Thi Mein Na Tha

Haath Tuutein Mein Ne Gar Chherrin Hon Zulfein Aap Ki.......... Aap Ke Sar Ki Qasam, Baad-E-Sabaa Thi Mein Na Tha.......... *Momin Khan Momin* ہاتھ ٹوٹیں میں نے گر چھیڑی ہوں زلفیں آپ کی آپ کے سر کی قسم باد صبا تھی میں نہ تھا مومن خان مومن

Ye Hijar Hai Tou Iska Faqat Vasal Hai Elaaj Hum Ne Ye Zakham Waqt Ko Bharney Nahi Diya

یہ ہجر ہے تو اسکا فقط وصل ہے علاج ہم نے یہ زخم وقت کو بھرنے نہیں دیا اس نے ہنسی ہنسی میں محبت کی بات کی میں نے عدیم اس کو مکر نے نہیں دیا عدیم ہاشمی Ye Hijar Hai Tou Iska Faqat Vasal Hai Elaaj Hum Ne Ye Zakham Waqt Ko Bharney Nahi Diya Uss Ne Hansi Hansi Mein Muhabbat Ki Baat Ki Main Ne "ADEEM" Usko Mukarney Nahi Diya Adeem Hashmi

Main Ne Shab-e-Vasl Jo Urdu Mein Baat Ki,Bolein Tink Ke Ufff Meri Qismat Mein Ye Ganwaar

VASAL   >>>>>>>>>>>>>><<<<<<<<<<<<<< (1) ﻭﺻﻞ ﻧﻘﺼﺎﻥ ﮐﺮ ﮔﯿﺎ ﻣﯿﺮﺍ ﻣﺮ ﮔﺌﯽ ﺁﺝ ﺷﺎﻋﺮﯼ ﻣﯿﺮﯼ >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>  (2) میں نے شب وصل جو ___________ اردو میں بات کی ... بولیں تنک کے أف ..... " میری قسمت میں یہ گنوار " ....!! >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> (3) امید وصل نے دھوکے دئیے ہیں اس قدر حسرت کہ اس کافر کی 'ہاں' بھی اب 'نہیں' معلوم ہوتی ہے  <<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<

Apni Kharaabiyon Ka Hai Mukhtasir Fasaana Aqvaal Aarifaana, Aamaal Ahmaqaana

Apni Kharaabiyon Ka Hai Mukhtasir Fasaana......... Aqvaal Aarifaana, Aamaal Ahmaqaana........... ﺍﭘﻨﯽ ﺧﺮﺍﺑﯿﻮﮞ ﮐﺎ ﮨﮯ ﻣﺨﺘﺼﺮ ﻓﺴﺎﻧﮧ ﺍﻗﻮﺍﻝ ﻋﺎﺭﻓﺎﻧﮧ ، ﺍﻋﻤﺎﻝ ﺍﺣﻤﻘﺎﻧﮧ

mere tu lafz bhe kore k nhi tera nutqta bhe sanadhy...had hy

Image
mere tu lafz bhe kore k nhi tera nutqta bhe sanadhy...had hy tere her baat sir ankhu phr mere her baat he rad hy ...had hy ashkh ankhu se ye keh kr nekla ye tere zabat ki had hy ...had hy

Le gayeen duur bohot duur hawayen jisko Wahi badal thha meri pyaas bujane wala

Image
I’ve seen the rain On cool gray days From windows with thick panes The children jump In puddles deep The water rushes down the lane I press my hands Against the panes I’m thirsty to my core But I am told My puddle days Are gone forevermore Crystal Jackson >>>>>>>>>>>>>><<<<<<<<<<<<< Le gayeen duur bohot duur hawayen jisko Wahi badal thha meri pyaas bujane wala

Aik Hi Baar Ragein Kheinch Kion Nahi Laiti Aey Shab-e-Hijar Bata Tera Taqaza Kia Hai

Image
ایک ہی بار رگیں کھینچ کیوں نہیں لیتی..!! اے شب ہجر بتا _____ تیرا تقاضا کیا ہے..!! Aik Hi Baar Ragein Kheinch Kion Nahi Laiti..!!! Aey Shab-e-Hijar Bata Tera Taqaza Kia Hai..!!!

Na Hi Didar-E-Yaar Huwa Na Hi VO Galay Milay Main Kaisy Maan JaaOn JO Guzar Gai VO EID Thi

Image
"+,,+" Na Hi Didar-E-Yaar Huwa Na Hi VO Galay Milay..> "+,,+" Main Kaisy Maan JaaOn JO Guzar Gai VO EID Thi..>

Tangdastion Ke Haathon Ik Dosrey Ke Dil Mein Hum Bhi Karayadaar Hain,Tum Bhi Karayadaar (Razab Tabraiz)

Image
Tangdastion Ke Haathon Ik Dosrey Ke Dil Mein Hum Bhi Karayadaar Hain,Tum Bhi Karayadaar (Razab Tabraiz)

Deewaron Se Mil Kar Rona Acha Lagta Hai,Hum Bhi Pagal Ho Jaingy Aisa Lagta Hai

شاعر: قیصرالجعفری انتخاب : Sofia Malik دیواروں سے مل کر رونا اچھا لگتا ہے ہم بھی پاگل ہو جائیں گے ایسا لگتا ہے کتنے دنوں کے پیاسے ہوں گے یارو سوچو تو شبنم کا قطرہ بھی جن کو دریا لگتا ہے آنکھوں کو بھی لے ڈوبا یہ دل کا پاگل پن آتے جاتے جو ملتا ہے تم سا لگتا ہے اس بستی میں کون ہمارے آنسو پونچھے گا جو ملتا ہے اس کا دامن بھیگا لگتا ہے دنیا بھر کی یادیں ہم سے ملنے آتی ہیں شام ڈھلے اس سونے گھر میں میلہ لگتا ہے کس کو پتھر ماروں قیصر کون پرایا ہے شیش محل میں اک اک چہرہ اپنا لگتا ہے

Meri AAjzi jab muhbat main dhalti hai tO MALAIKA b rashak karty hain mujh faqeer ki faqeeri pe

Image
میری عاجزی جب محبت میں ڈھلتی ھے تو ملائیکہ بھی رشک کرتے ھیں مجھ فقیر کی فقیری پہ Meri AAjzi jab muhbat main dhalti hai tO MALAIKA b rashak karty hain mujh faqeer ki faqeeri pe

Mujh Ko Ye Fikar Kb Hai K Saaya Kahan Gaya..?? Suraj Ko R00 Raha H00n Khudaya Kahan Gaya

Mujh Ko Ye Fikar Kb Hai K Saaya Kahan Gaya..?? Suraj Ko R00 Raha H00n Khudaya Kahan Gaya..?? Phir Aayiny Mein Kh00n Dikhaai Diya Mujhy Aankh0n Mein Aa Gaya To Chupaaya Kahan Gaya..?? Aawaz Dy Raha Tha K0i Mujh Ko Khuwab Mein Lekin Khabar Nahin K Bulaaya Kahan Gaya..?? Kitny ChiraaGh Ghar Mein Jalaaye Gaye Na Puch..!! Ghar Ab Jal Gaya Hai Jalaaya Kahan Gaya..?? Ye B Khabar Nahin Hai K Hamraah K0n Hai Pucha Kahan Gaya Hai Bataya Kahan Gaya..?? Wo B Badal Gaya Hai Mujhy Bh00lny K Baad Mujh Sy B Apny Ap Mein Aaya Kahan Gaya Tujh Ko Ganva Diya Hai Magar Apny Ap Ko Barbad Kr Diya Hai Ganvaya Kahan Gaya..??

Yun tumhare natvaan-e shoq manzil bhar chale Khai thokar gir pare, gir kar uthay, uth kar chale

Image
Yun tumhare natvaan-e shoq manzil bhar chale Khai thokar gir pare, gir kar uthay, uth kar chale Kis tarah tay ki hai manzil ishq ki ham ne na puch Thak gaye jab paanv, tera nam le le kar chale Qamar jalalvi

Ek safar hai azalon takk... Aur kuchh lamhe poonji...

Image
Ek safar hai azalon takk... Aur kuchh lamhe poonji...

Izhaar-e-Yaad Karon Yaa Pochon Hal-e-Dil? Aye Dil Kuch To Bahana Bata Un Se Baat Karne Ka...!!!

Image
Izhaar-e-Yaad Karon Yaa Pochon Hal-e-Dil? Aye Dil Kuch To Bahana Bata Un Se Baat Karne Ka...!!!

Chaman Khilate Ga'ye Mast-O-Naghmaa Khawaan Guzre, Rah-E-Wafa Ke Musafir Jahan Jahan Guzre,

Amjad Islam Amjad Type By *._.Murtaza._* Chaman Khilate Ga'ye Mast-O-Naghmaa Khawaan Guzre, Rah-E-Wafa Ke Musafir Jahan Jahan Guzre, Guzar Ga'ye, Gham-E- Hijran Ke Seenkrron Moassam, Tumhare Wasal Ke Lamhe Na Meri Jaan Guzre, Wahan Wahan Hui Zaroon Main Roshni Peda, Jahan Jahan Se Mohabbat Ke Karwan Guzre, Musahiboon Main Ghiri Zindagi Se Behtar Hai, Woh Aik Sham Jo Apnon Ke Darmiyaan Guzre, Na Apne Aap Ko Badla Na Kuch Badal Paa'ye, Thay Kam Hi Loog Jo Hum Jaise Raa'egan Guzre, Kaheen Pe Darj Hai Sub Kuch Jo Hone Wala Hai, Woh Saanhe Kaheen Tay Thay Jo Nagahan Guzre, Yeh Jin Ki Goonj See Har Pal Suna'ee Daiti Hai, Woh Rooz-O-Shab Nahi Maa'loom, Kab Kahan Guzre, Sabab Yeh Hai Ke Zamaane Ki Thi Zubaan Kuch Aur, Zuban Rakhte Hue Hum Jo Be Zabaan Guzre, Kisi Ko Phir Na Milaa Rang Meer-O-Ghalib Ka, Agarche Yoon Toh Hazaroon Hi Khush Bayaan Guzre, Hai Raaste Ki...

Un AANKHON Se Pee Thi Jo Ek din GULABI GULABI, Usi Roz Se Hum Hove Hain SHARABI SHARABI,

Un AANKHON Se Pee Thi Jo Ek din GULABI GULABI, Usi Roz Se Hum Hove Hain SHARABI SHARABI, Ye Chaye Hain Badal Ya Zulfain Tumhari? Ya Tum Ne Uraya Hai Aanchal, GULABI GULABI.?? Kahan Se Main Laon? Kahan Se Main Dhoondhon? Wo Honton Ki Surkhi Wo Chahera, KITABI KITABI, Tumhari Mohabbat Mein Dunia Ne Hum Ko, Ye Keh Kar Pukara Idhar Aa, SHARABI SHARABI, Khushi Ki Wo Mehfil Mubarik Ho Tum Ko, Azal Se Hai Qismat Mein Apni, KHARABI KHARABI, Howe Jis Ki Khatir Barbad Aye Dil Salamat Rahe Wo Haseena, SHABABI SHABABI......!  

Jo Mujhe Samjh Na Saka Usay Haq Hai Mujhe Bura Hi Samjhe

Image
Jo Mujhe Samjh Na Saka Usay Haq Hai Mujhe Bura Hi Samjhe

Aankhein onchi hoien tu dua ban gaein Aankhein neechi hoien tu haya ban gaein

Image
Aankhein onchi hoien tu dua ban gaein Aankhein neechi hoien tu haya ban gaein Jo jhuk kar othein tu khata ban gaein Aur oth kar jhukein tu adaa ban gaein

Kion Saba Ki Na Ho Raftar Ghalat, Gul Ghalat Ghuncha Ghalat Khaar Ghalat

Poet Khalid Humbar  Kion Saba Ki Na Ho Raftar Ghalat, Gul Ghalat Ghuncha Ghalat Khaar Ghalat, Wo Bhi Kuch Zid Pe Utar Aaye Hain, Hum Karte Hain Kuch Guftar Ghalat, Aik Daria Hai Apni Rawani Pe, Kashtian Are Ghalat Par Ghalat, Waqat Ulat De Na Basat-E-Hasti, Chal Hum Chalte Hain Har Bar Ghalat....................!

Ye barishain bhi tum si hain,Jo baras gayi tou bahaar hain, Jo thehar gayi tou qaraar hain,Kabhi aa gayi yunhi be’sabab,

Ye barishain bhi tum si hain,Jo baras gayi tou bahaar hain, Jo thehar gayi tou qaraar hain,Kabhi aa gayi yunhi be’sabab, Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab,Kabhi shor hai, kabhi chup si hain, Ye barishain bhi tum si hain,Raat ko ik dabi hui si raakh ko, Kabhi yun hua ke bujha dia,Kabhi khud se khud ko jala dia, Kahin boond boond mein gum si hain,Ye barishain bhi tum si hain..

Us ki yaad aayee hai sanso zara ahista chalo Dharkano say bhi ibadat main khalal parta hai (Rahat Andori)

Image
Us ki yaad aayee hai sanso zara ahista chalo Dharkano say bhi ibadat main khalal parta hai Rahat Andori

Sahib-E-Aqal Hain Aap Aik Maslaa TO Hal Kijiye Rukh-E-Yaar Nahin Dekhaa Kia Meri EID HO Gayi

Image
"+,,+" Sahib-E-Aqal Hain Aap Aik Maslaa TO Hal Kijiye...> "+,,+" Rukh-E-Yaar Nahin Dekhaa Kia Meri EID HO Gayi...>

Na Haath Diyaa Na Galay Milay Na Muyassar Tumhaari Deed Hui Ab Tum Hi BataO Aye Saajan Ye Qayamat Hui Ke EID Hui.

Image
"+,,+" Na Haath Diyaa Na Galay Milay Na Muyassar Tumhaari Deed Hui...> "+,,+" Ab Tum Hi BataO Aye Saajan Ye Qayamat Hui Ke EID Hui...>

Bada Hi Dard Deta Hai Husn Ki Qaid Mein Dil Baab Me Dabi Hui Angasht Ki Tarah (Razab Tabraiz)

Image
Bada Hi Dard Deta Hai Husn Ki Qaid Mein Dil Baab Me Dabi Hui Angasht Ki Tarah (Razab Tabraiz)

Tum Se Ye Farmaye Kon?Baat Zubaan Tak Laye Kon?

Image

Khushi Ki Kia Majaal Keh Dass Jaye Qalb Ko Khizaan Me Koot Rakha Ho Agar Jabeen Ka Chaand (Razab Tabraiz)

Image
Khushi Ki Kia Majaal Keh Dass Jaye Qalb Ko Khizaan Me Koot Rakha Ho Agar Jabeen Ka Chaand (Razab Tabraiz)

Tum Shab-e-Fi-Zamana Ko Taqseem Kar Dekho Gham-e-Dildar Se Ziada Gham-e-Aamaal Me Yaro (Razab Tabraiz)

Image
Tum Shab-e-Fi-Zamana Ko Taqseem Kar Dekho Gham-e-Dildar Se Ziada Gham-e-Aamaal Me Yaro (Razab Tabraiz)

Gudrri Mein Aaj Bhi Attal Hai La'al Ka Wajood Aflaas Se Talaf Na Hui Aankh Ki Kashish (Razab Tabraiz)

Image
Gudrri Mein Aaj Bhi Attal Hai La'al Ka Wajood Aflaas Se Talaf Na Hui Aankh Ki Kashish (Razab Tabraiz)

Dunya Ne Phir Na Pooch Kia Kia Naachghar Janey Jab Ghaag Aadmi Ne Uss Se Cheen Li Rida (Razab Tabraiz)

Image
Dunya Ne Phir Na Pooch Kia Kia Naachghar Janey Jab Ghaag Aadmi Ne Uss Se Cheen Li Rida (Razab Tabraiz)

Yea Paharoon ka Faiz hai Verna Koun deta hai Dossri Awaz

Image
یہ پہاڑوں کا فیض ھے ورنہ کون دیتا ہے دوسری آواز.....!!! Yea Paharoon ka Faiz hai Verna Koun deta hai Dossri Awaz

Na ab raqeeb na nasegh na gham gusar koi Tum ashna the tu theen ashnayaan kia Kia

Na ab raqeeb na nasegh na gham gusar koi Tum ashna the tu theen ashnayaan kia Kia ! Hum aieysey sada dilloon ki niaz mandi say ! buttoon ney ki hain jahan mae khuddayan kia kia

Abhi Mehw-e-Raqss hoon tO ye Alam hai Jab Wajjad hoga taari phir Manzar-e-ishq dekhna

Image
ابھی محوِ رقص ہوں تو یہ عالم ہے جب وجد ہو گا طاری، پھر منظرِ عشق دیکھنا..... Abhi Mehw-e-Raqss hoon tO ye Alam hai Jab Wajjad hoga taari phir Manzar-e-ishq dekhna

Ab Ke Eid Bhi Guzregi Udasion Mein Maatha Choom Ke Eid Mubarak Kehney Wali Maa Jo Paas Nahi

Image
Ab Ke Eid Bhi Guzregi Udasion Mein Maatha Choom Ke Eid Mubarak Kehney Wali Maa Jo Paas Nahi

dekhate bhi hain to yuan meri nigaahon men kabhi ajanabi jaise milaa karate hain raahon men kabhi

dekhate bhi hain to yuan meri nigaahon men kabhi ajanabi jaise milaa karate hain raahon men kabhi is kadar unaki najr, hamase to anjaan n thi ek din thaa kabhi yuan hi jo machal jaate the khelate the meri julfon se bahal jaate the wo pareshaan the, meri julf pareshaan n thi wo mohabbat wo sharaarat mujhe yaad ati hai dil men ek pyaar kaa tufaan uthhaa jaati hai thi magar aisi to ulajhan men meri jaan n thi

Hamein chiraagh samajh kar bujha na paaoge Hum apney Ghar mei.n kayee Aftab rakhtey hain (Rahat Indori)

Hamein chiraagh samajh kar bujha na paaoge Hum apney Ghar mei.n kayee Aftab rakhtey hain Rahat Indori   ہمیں چراغ سمجھ کر بجھا نہ پاوٓگے ہم اپنے گھر میں کئ آفتاب رکھتے ہیں راحت اندو ر ی

aata hai Ramzan tumhari yaadon ka Meri Aankhen Neend Ke Roze Rakhti hain

aata hai Ramzan tumhari yaadon ka Meri Aankhen Neend Ke Roze Rakhti hain

Ye terey khat ye teri khushboo ye terey khwaab-o-khyaal Mataa-e-jaa.n hai.n terey qaul-o-qasm ki tareh

یہ تیرے خط تیری خوشبو یہ تیری خواب و خیال متاعِ جاں ہیں ترے قول و قسم کی طرح گزشتہ سال انہیں میں نے گِن کے رکھا تھا کسی غریب کی جوڑی ہوئی رقم کی طرح   جون ایلیا Ye terey khat ye teri khushboo ye terey khwaab-o-khyaal Mataa-e-jaa.n hai.n terey qaul-o-qasm ki tareh Guzishta saal inhei.n mai.n ne gin ke dekha tha Kisi ghareeb ki jodi huyee raqam ki tareh Jaun Elia

Mein Kehta Hun Jis Dil Mein Zara Bhi Bad-Gumaani Ho Vahan Kuchh Aur Ho Toh Ho, Mohabbat Ho Nahin Sakti

Mein Kehta Hun Jis Dil Mein Zara Bhi Bad-Gumaani Ho ........ Vahan Kuchh Aur Ho Toh Ho, Mohabbat Ho Nahin Sakti ........

Ek Tabassum Hazaar Shikvo'n Ka Kitna Pyaara Javaab Hota Hai

Ek Tabassum Hazaar Shikvo'n Ka ..... Kitna Pyaara Javaab Hota Hai ......

Bujha Saka Hai Bhala Kon Vaqt Ke Sholey Yeh Aisi Aag Hai Jis Mein Dhuaa'n Nahin Hota

Bujha Saka Hai Bhala Kon Vaqt Ke Sholey....... Yeh Aisi Aag Hai Jis Mein Dhuaa'n Nahin Hota......

Tarq-r-talluqaat pe roya na tu na mai Lekin yeh kya ki chain se soya na tu na mai

Tarq-e-talluqaat pe roya na tu na mai Lekin yeh kya ki chain se soya na tu na mai

Ishq Mein Tehzeeb Ke Hein Aur Hi Kuchh Falsafey Tujhse Hokar Hum Khafa, Khud Se Khafa Rehne Lagey

Ishq Mein Tehzeeb Ke Hein Aur Hi Kuchh Falsafey........ Tujhse Hokar Hum Khafa, Khud Se Khafa Rehne Lagey......

Mehik Wafa Ki Koi Phool Se Juda Na Kare,Karon Mein Eid Tere Bin Koi Khuda Na Kare (Shahzad Qais)

مہک وَفا کی کوئی پھول سے جدا نہ کرے کروں میں عید ترے بن کوئی خدا نہ کرے جو چاند دیکھیں تو ہونٹوں کے چار چاند ملیں سِوائے شکر کے پلکوں سے کچھ گرا نہ کرے دُعا کا کاسہ بھی دونوں بنائیں مل جل کر کوئی بھی اَپنے دَو ہاتھوں سے اَب دُعا نہ کرے گلے ملیں تو کئی صدیوں تک سُکُوت رہے رُکیں یوں گردِشیں دَھڑکن تلک چلا نہ کرے نگاہیں بات نگاہوں کی یوں سمجھتی ہوں لبوں سے کہہ کے کوئی عرضِ مدعا نہ کرے خدا کرے کہ جفا عمر بھر میں کر نہ سکوں اَگر کروں تو میری زِندگی وَفا نہ کرے لبوں سے یوں چنوں پلکوں سے تیری غم ریزے نصیب نام سے بھی غم کے آشنا نہ کرے وُہ بازُو کیا جو سمیٹیں نہ عمر بھر تجھ کو وُہ سر ہی کیا ، ترے زانو پہ جو رَہا نہ کرے تری جبیں پہ مرے لب قنوتِ عشق پڑھیں کسی کی تیرے سِوا جسم اِقتدا نہ کرے وِصال و ہجر تو مولا کی دین وُہ جانے نماز پیار کی دَھڑکن کبھی قضا نہ کرے جدائی ہو تو مری عمر تجھ کو لگ جائے وُہ قیس کیا جو حیات عشق میں فنا نہ کرے

Udaas Rehta Hai Mohallay Me Barish Ka Pani Aj Kal, Suna Hai Kaghaz Ki Kashti Banany Wale Bache Bary Ho Gaye.

Udaas Rehta Hai Mohallay Me Barish Ka Pani Aj Kal, Suna Hai Kaghaz Ki Kashti Banany Wale Bache Bary Ho Gaye.

Kapdo ki dukaan se door Chand sikke ginte-ginte!!! Maine ek gareeb bachche ki aankho mein Eid ko marte dekha ???

Kapdo ki dukaan se door Chand sikke ginte-ginte!!! Maine ek gareeb bachche ki aankho mein Eid ko marte dekha ???

Duniyaadaari kabhi aayee hi nahin hummein, Chhal kabhi apne aap se kiya hi nahin. Bas jaise the....waise hi rahe.

Image
Duniyaadaari kabhi aayee hi nahin hummein, Chhal kabhi apne aap se kiya hi nahin. Bas jaise the....waise hi rahe.

Zabar dasti agr Heerain bitha di jayen doli main Janazay unko kehty hain wo baratain nahi hoti

Image
زبردستی اگر ہیریں ___ بٹھا دی جائیں ڈولی میں  جنازے ان کو کہتے ہیں __ وہ باراتیں نہیں ہوتی  Zabar dasti agr Heerain bitha di jayen doli main Janazay unko kehty hain wo baratain nahi hoti

Talab ko ajar na dun, fiqar-e rahguzar na karun, safar mein ab ke hawaa ko bhi humsafar na karun.

Talab ko ajar na dun, fiqar-e rahguzar na karun, safar mein ab ke hawaa ko bhi humsafar na karun. Ubharte doobte sooraj se tod lun rishta, main shaam odh ke so jaaun aur sehar na karun. Ab iss se badh ke bhala kya ho ehtiyaat-e wafa? main tere shehar se guzrun, tujhe khaber na karun. Ye mere dard ki daulat, meri maata-e firaaq in aansu’on ki wazaahat main umar bhar na krun. Ujaad shab ki khalish ban ke bann mein kho jaaun main chandni ki tarha khud ko dar-ba-dar na karun. Wo ek pal ko dikhaayi toh de kahin "mohsin" main jaan ganwa ke bhi uss pal ko mukhtasar na karun....!!!!!

Tujh se alag Kuchh bhi nahin hai zindagi mein. Thore se tum... Fir tum... Bas... Tum hi Tum.

Image
Tujh se alag Kuchh bhi nahin hai zindagi mein. Thore se tum... Fir tum... Bas... Tum hi Tum.

Main Jantaa Hun Meri Khudariyan Tujhy Kho Dain Gi Main Kia Kar0'n Mujhy MaaGny Say Nafrat Hai

"+,,+" Main Jantaa Hun Meri Khudariyan Tujhy Kho Dain Gi...> "+,,+" Main Kia Kar0'n Mujhy MaaGny Say Nafrat Hai...>

Raha Na Dil Mein Voh Bedard Aur Dard Raha Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha

Raha Na Dil Mein Voh Bedard Aur Dard Raha........ Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha ??????

Kuchh log bhi wehmo'n me giraftaar bht hain... Kuchh sheher ki galiyaa'n bhi pur-israar bht hain

Kuchh log bhi wehmo'n me giraftaar bht hain... Kuchh sheher ki galiyaa'n bhi pur-israar bht hain... Hai kon..?? Utarta hai wahan jiske liye chaand...?? Kehne ko to chehre pas-e-deewaar bht hain... Hoto'n pe sulagte hue inkaar pe mat jaa... Palko'n se parey bheegte iqraar bht hain... Ye dhoop ki saazish hai k mausam ki sharaarat...?? Saaye wahan kam hain jahan ash'jaar bht hain... Be-harf-e-talab unko ataa kar kbhii khud se... Wo yun,, k sawaalii tere khuddaar bht hain... Tum munsif-o-aadil hi sahi sheher me lekin... Q khoon k chheentey sir-e-dastaar bht hain...?? Aye hijr ki bastii tu salaamat rahe lekin... Sunsaan tere koocha-o-baazaar bht hain... MOHSIN hme zid hai k ho andaaz-e-bayaa'n aor... Hm log bhi Ghalib k tarafdaar bht hain...!!

Darti Rehti Hoo'n Ke Barish Mai'n Na Beh Jaye Kahi'n, Usne Aik Ghar Jo Banaya Hai Meri Aankho'n Mai'n

Image
Darti Rehti Hoo'n Ke Barish Mai'n Na Beh Jaye Kahi'n, Usne Aik Ghar Jo Banaya Hai Meri Aankho'n Mai'n....!!!

Miley Baghair Bichadna Bhi Uss Ki Aadat Thi

Image

Darwaza Jo Khula Tou Nazar Aaye Wo Khare Hairat Hai Mujhe,Aaj Kidhar Bhool Pare Wo

Image

Ye Qafas Hi Mujhe Aziz Hai,Yahan Tou Jii Longa Qarar Se Mujhe Ab Chaman Mein Na Le Chalo,Main Dara Hua Hon Bahaar Se

Image
Ye Qafas Hi Mujhe Aziz Hai,Yahan Tou Jii Longa Qarar Se Mujhe Ab Chaman Mein Na Le Chalo,Main Dara Hua Hon Bahaar Se

Gulshan Ki Baharon Main Rangeen Nazaron Main Jab Tum Mujhay Dhoondo Gay Aankhon Main Nami Hogi

Gulshan Ki Baharon Main Rangeen Nazaron Main Jab Tum Mujhay Dhoondo Gay Aankhon Main Nami Hogi Mehsoos Tumhein Har Dum Phir Meri Kami Hogi Aakash Pay Jab Taaray Sangeet Sunayen Gay Beetay Huvay Lamhon Ko Aankhon Main Sajayein Gay Tanhaai Kay Sholon Say Jab Aaag Lagi Hogi Mehsoos Tumehin Har Dum Phir Meri Kami Hogi Sawan Ki Ghataon Ka Jab Shor Suno Gay Tum Bikhray Huvay Maazi Kay Auraaq Chuno Gay Tum Mahol Kay Chehray Par Jab Dhool Jami Hogi Mehsoos Tumhein Har Dum Phir Meri Kami Hogi Jab Naam Mera Loo Gay Tum Kaanp Rahay Ho Gay Aansoo Bharay Daaman Say Munh Dhaanp Rahay Ho Gay Rangeen Ghataon Ki Jab Shaaam Ghani Hogi Mehsoos Tumhein Har Dum Phir Meri Kami Hogi................................

Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay usko Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay usko

Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay usko Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay usko Jisay Kasheed Kia Tha Khumaar-e-Khushbuu Se Misaal-e-Rang Hawaaon Mein Gholtay usko Wo Khwaab Mein Hee Utarta Shuaa-e-Subah Ke Saath Ham Apnay Aap Hee Palkon Pe Toultay usko Wo Ashk Tha usay Aankhon Mein Dafan Hona Tha Gohar Na Tha Ke Sitaaron Mein Roltay usko Wo Be-Wafa Tha Tou Iqraar Lazmi Karta Kuch Aur Dair Meri Jaan Tatoltay usko Kisi Ki Aankh Se "Mohsin" Zaroor Peeta Hai Tamaam Sheher Ne Dekha Hai Doultay usko

wo saahilon pe,gaanay walay,kia huae?? wo kashtyan chalaanay walay,kia huae

wo saahilon pe,gaanay walay,kia huae?? wo kashtyan chalaanay walay,kia huae?? wo subah aatay aatay ,reh gai kahan?? jo qaafelay thay aanay waalay,kia huae?? imaarten to jl k raakh ho gaeen,,,,,,,,,,,,,,,,,, imaarten,bananay walay,kia huae???????? akelay ghar se,poochti ha be kasi,,,,,,,,,,,, teraa dya jalaanay walay,kia huae???????? YE AAP HM,TO BOJH HAN ZAMEEN KA ZAMEEN KA BOJH UTHAANAY WAALAY,KIA HUAE??? NASIR KAZMI

Wo Jaldbaaz Khafa Ho Ke Chal Diya Warna Tanazia'at Ka Kuch Hal Nikal Bhi Sakta Tha MohsinNaqvi

وہ جلدباز خفا ہو کے چل دیا ورنہ تنازعات کا کچھ حل نکل بھی سکتا تھا Wo Jaldbaaz Khafa Ho Ke Chal Diya Warna Tanazia'at Ka Kuch Hal Nikal Bhi Sakta Tha MohsinNaqvi

Mainu tera Shabab Le Baitha Rang Gora Gulaab Le Baitha

Mainu tera Shabab Le Baitha Rang Gora Gulaab Le Baitha Vehl Jad vi mili hai farzan tou tere mukh di kitaab le baitha Mainu tera Shabab le baitha mainu jad vi tusi ho yaad aaye din dihade sharab le baitha Mainu tera shabab le baitha kinni piti te kinni baki hai mainu aho hisaab le baitha mainu tera shabab le baitha Shiv noon ik gham te hi bharosa si Gham tou kora Jawaab le baitha Mainu tera shabab le baitha Rang gora gulaab le baitha

Agarche zor hawaon ne daal rakha hai, magar charaagh ne lau ko sambhaal rakha hai.

Agarche zor hawaon ne daal rakha hai, magar charaagh ne lau ko sambhaal rakha hai. Mohabbaton mein toh milna hai ya ujad jana, mizaaj-e ishq mein kab etidaal rakha hai. Hawa mein nasha hi nasha fazaa mein rang hi rang, ye kis ne pairhan apna uchhaal rakha hai. Bhale dino ka bharosa hi kya rahen na rahen, so maine rishta-e ghum ko bahaal rakha hai. Hum aise sada-dilon ko woh dost ho ki khuda, sabhi ne wada-e fardaa pe taal rakha hai. Hisaab lutf-e hareefan kiya hai jab toh khula, ki doston ne zyada khyaal rakha hai. Bhari bahaar mein ek shaakh par khila hai gulaab, ki jaise tune hatheli pe gaal rakha hai. Faraz’ ishq ki duniya toh khoobsurat thi, ye kisne fitna-e-hijr-o-visaal rakha hai...!!!

ujar ujar ke sanawarti he tere hijr ki sham pooch kese guzarti he, tere hijr ki sham

ujar ujar ke sanawarti he tere hijr ki sham pooch kese guzarti he, tere hijr ki sham ye barg barg udasi bikhar rahi he meri ke shakh shakh utarti he tere, hijr ki sham ujaar ghar main koi chaand kab utarta he sawal mujh se ye karti he, tere hijr ki sham mere safar me ik aesa mor bhi aata he jab apne ap se darti he ,tere hijr ki sham boht azeez hen dil ko ye zakham zakham ruten inhi ruton me nikharti he, tere hijr ki sham ye mera dil, ye sarasar nigar khana e gham sada isi main utarti he, tere hijr ki sham jahan jahan bhi milen tere qurbaton ke nishan wahan wahan se ubharti he ,tere hijr ki sham ye hadsa tujhe shaed udas kar de ga ke mere saath he marti he, tere hijr ki sham TERAY HIJR KI SHAAM.......................

Bachpan mein bhari dupehri, naap aate the saara gaoon

Bachpan mein bhari dupehri, naap aate the saara gaoon Jab se degree-centigrade pata chala,,,, Jal jaate hain paon.................

Hijar Ki Shab Ka Kisi Ism Me Katna Mushkil

ہجر کی شب کا کسی اِسم میں کٹنا مشکل چاند پورا ہے تو پھر درد کا گھٹنا مشکل موجہءِ خواب ہے وہ ، اُس کے ٹھکانے معلوم اب گیا ہے تو یہ سمجھو کہ پلٹنا مشکل جن درختوں کی جڑیں دل میں اُتر جاتی ہیں اُن کا آندھی کی درانتی سے بھی کٹنا مشکل قوتِ غم ہے جو اِس طرح سنبھالے ہے مجھے ورنہ بکھروں کسی لمحے تو سمٹنا مشکل پروین شاکر

Phir Chand Khila Phir Raat Thami Phir Dil Ne Kaha Hai Teri Kami

Phir Chand Khila Phir Raat Thami Phir Dil Ne Kaha Hai Teri Kami Phir Yaad K Jhonkey Mehak Gaye Phir Pagal Armaan Behak Gaye Phir Jannat Si Lagti Hai Zameen Phir Guzre Lamhoon Ki Batien Phir Jaagi Jaagi Si Hain Raatein Phir Thehar Gayi Hai Palkoon Main Nami Phir Dil Ne Kaha Hai......................... Teri Kami

Tujhe Dushmanon Ki Khabar Nati, Mujhey Doston Ka Pata Nahi Teri Daastan Koi Aur Thi, Mera Waaqaya Koi Aur Hai

Tujhe Dushmanon Ki Khabar Nati, Mujhey Doston Ka Pata Nahi Teri Daastan Koi Aur Thi, Mera Waaqaya Koi Aur Hai Main Kisi Ke Daste Talab Main Hoon, To Kisi Kay Harf-E -Dua Main Hoon Main Naseeb Hoon Kisi Aur Ka Mujhe Maangata Koi Aur Hai

Dohoop Ka Rang Aaj Gulabi Sa Tha Paharr Barf Ki Qabaa Orrhay Kitney Bhalay Maloom Ho Rahay Thy

Dohoop Ka Rang Aaj Gulabi Sa Tha Paharr Barf Ki Qabaa Orrhay Kitney Bhalay Maloom Ho Rahay Thy Gulabon Ki Narm Pattion Par Aos k Qatrey Jaisy Zindagi k Rang Nikhaar Rahay Thy Jaisy Zindagi Ka Asal Naam`December` Ho Main Baraf Par Chal Kar Tumhari Har Vo Baat Dohrata Raha Jo Tum Barafbari Mein Kaha Kartey Thy Tum Kehtay..... December Ka Aisa Mousam Mujhay Raas Ata Hay Kaash k Saal Ka Har Maheena December Mein Simat Jaye Mujhay December Mein Jeenay Ka Yeh Khush Numa Ehsas Inhii Lafzon Ne Diya Hay k Ab Main Basaa Aukaat Tumhari Sochon Mein Gum Ho Kar Tumhein December Kaha Karta Hoon Suno,Main Ab Iss December Ko Janey Nahi Donga Main Saal Ka Har Maheena Iss Mein Samo Donga Aur Phir Jab Tum Laut Kar Aao Ge To Saal k Har Maheenay Mein December Ka Ehsas Pao Ge Jab Kabhi Tum Mujh Se Khafa Hotay Ho To Yun Lagta Hay k Apni Hi Zindagi Mujh Se Rooth Gayi Hay Aur Jeenay Ka Vo Khilta Ehsas Murjha Jata Hay Jo Tumhari Neeli Aankhon k Dam Se Pal Pal Zinda Rehta Hay Kabhi Apni ...

Ghanimat Hai Keh Ab Tak Jee Raha Hun Ba-Zaahir Yun Toh Koyi Ghum Nahin Hai

Ghanimat Hai Keh Ab Tak Jee Raha Hun... Ba-Zaahir Yun Toh Koyi Ghum Nahin Hai.... Charaagh-E-Zindagi Ab Tak Hai Roshan.... Abhi Tak Iss Ki Lou Madham Nahin Hai..... Mera Sarmaaya Saara Lut Chuka Hai........ Magar Lab Par Koyi Maatam Nahin Hai...... غنیمت ھے کے اب تک جی رھا ھوں بظاہر یو ں تو کوئی غم نہیں ھے چراغ۔ زندگی ابتک ھے روشن ابھی تک اس کی لو مدھم نہیں ھے مرا سرمایہ سارا لٹ چکا ھے مگر لب پر کوئی ماتم نہیں ھے