Posts

Showing posts from February, 2013

Dil-e-Nadan Tujhe Howa Kia Hai

  Poet Mirza Ghalib   Dil-e-Nadan Tujhe Howa Kia Hai, Akhir Is Dard Ki Dawa Kia Hai, Hum Hain Mushtaq Aur Wo Bezaar, Ya Elahi Ye Majra Kia Hai, Main Bhi Moonh Mein Zaban Rakhta Hon, Kash Poocho K Mudda Kia Hai, Jab K Tum Bin Nahi Koi Mojood, Phir Ye Hungama Aye Khuda Kia Hai? Ye Pari Chehra Log Kaise Hain, Gham-o-Aswah Ada Kia Hai, Shikan-e-Zulaf Ambareen Kon Hai, Nigah Chashm Surma Sa Kia Hai, Sabza-o-Gul Kahan Se Aay Hain, Abar Kia Cheez Hai Hawaa Kia Hai, Hum Ko Hai Un Se Wafa Ki Umeed, Jo Nahi Jante Wafa Kia Hai, Haan Bhula Kar Tera Bhala Ho Ga, Aur Darwaish Ki Sadaa Kia Hai, Jan Tum Pe Nisar Karta Hon, Main Nahi Janta Dua Kia Hai, Main Ne Mana K Kuch Nahi, GHALIB Muft Hath Aay To Bura Kia Hai..............!  

Chalo Phir Shart Lag Jaye Main Sabit Aaj Kar Don Gi

  Poete Wasi Shah    Chalo Phir Shart Lag Jaye Main Sabit Aaj Kar Don Gi, K Tum Ne Dil Lagi Ki Hai Mohabbat Naam Ki Ki Hai, Sun Kar Us Ki Baton Ko Main Bola Sada Dil Larki, Agar Main Dil Lagi Karta To Jeene Se Na Youn Darta, Mohabbat Naam Ki Karta Wafain Aam Si Karta, Magar Phir Bhi Teri Taskeen Ki Khatir Ye Kehta Hon, Haan!Main Ne Dil Lagi Ki Thi, Tujhe Apna Hi Samjha Tha Tujh Se Dil Lagaya Tha, Jahan Na Koi Gham Pohanche, wahan Tujh Ko Chupaya Tha, Magar Jana Yaqeen Jano Tumhare Hosle Ki Daad Deta Hon, K Kitni Berukhi Se Too Ne Keh Dala, Chalo Phir Shart Lag Jaye K Tum Ne Dil Lagi Ki Hai..............!  

Khuda Kare K Mohabbat Mein Wo Maqam Aaye

  Poet Tasleem Fazli Khuda Kare K Mohabbat Mein Wo Maqam Aaye, Kisi Ka Naam Lon Lab Pe Tumhara Naam Aaye, Tera Pyar Mere Gisoyon Ki Uljhan Ho, Tumhare Waste Dil Ka Charagh Roshan Ho, Seher-e-Nazar Se Mile Zulaf Lekhe Sham Aaye, Mere khayalon ki Tasveer Hoo Bahoo Ho Tum, Mere Hazoor Nigahon Ki Aarzoo Ho Tum, Isi Tarah Se Nigah Uthe Salam Aaye, Jahan Talakh Ye Haseen Gun Gunati Sham Chale, Nazar Nazar Se Mile Dil Se Dil Ki Bat Chale, Hamare Dil Ki Tarap Kuch To Apne Kaam Aaye.................!    

Kion Udas Phirte Ho Sardion Ki Shamon Mein

  Poet Wasi Shah   Kion Udas Phirte Ho Sardion Ki Shamon Mein, Is Tarah To Hota Hai Is Tarah K Kamon Mein, Sara Din Akele Mein Rat Bhar Khayalon Mein, Is Tarah To Hota Hai Is Tarah K Kaamon Mein, Chup Se Ho Gaye Ho Tum Bat Kion Nahi Karte, Choti Choti Baton Pe Jeete Jee Nahi Marte, Hath Kale Karte Hon Naam Likh Kar Hathon Mein, Is Tarah To Hota Hai Is Tarah K Kaamon Mein, Nazam Jo Sunani Thi Nazam Wo Suna Di Hai, Bat Samjhani Thi Bat Samjha Di Hai, Waqat Ho Gia Apna Phir Milain Gay Khawabon Mein, Is Tarah To Hota Hai Is Tarah K Kaamon Mein.................!  

Hum Thehre Ajnabi Itni Mulaqaton K Bad

  Poet Faiz Ahmad Faiz   Hum Thehre Ajnabi Itni Mulaqaton K Bad, Phir Bane Gay Aashna Kitni Mudaton K Bad, Kab Nazar Mein Aaye Gi Bedagh Sabzay Ki Bahar, Khoon K Dhabe Dho lain Ge Kitni Barsaton K Bad, Thay Bahut Bedard Lamhe, Khatam-E-Dard-E-Ishq K Thi Bahut Bemher Subhain, Mehrban Raton K Bad, Dil To Chaha Par Shikast-E-Dil Ne Mohlat Hi Na Di, Kuch Gile Hain Shikwe Bhi Kar Lete Manajaton K Bad, Un Se Jo Kehne Gaye Thay Faiz Jan Sadqa Kiye, An Kahi Hi Reh Gai Wo Bat Sab Baton K Bad.............!  

Aik Bar Kaho Tum Meri Ho

  Poet Unkown   Aik Bar Kaho Tum Meri Ho, Hum Ghoom Chuke Basti Bun Mein, Aik Ki Phansi Liye Man Mein, Koi Sajan Ho Koi Pyara Ho, Koi Deepak Ho Koi Tara Ho, Jab Jeewan Rat Andheri Ho, Aik Bar Kaho Tum Meri Ho, Jab Sawan Badal Chaye Hon, Jab Phagan Phool Khilaye Hon, Jab Chanda Roop Lutata Ho, Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho, Ya Sham Ne Basti Ghari Ho, Aik Bar Kaho Tum Meri Ho, Han Dil Ka Daman Phaila Ho, Kion Gori Ka Dil Mela Ho, Hum Kab Tak Peet K Dhoke Mein, Tum Kab Tak Do Jharoke Mein, Kab Dair Se Dil Ko Sairi Ho, Aik Bar Kaho Tum Meri Ho, Kia Jhagra Sood Khasare Ka, Ye Kaam Nahi Banjare Ka, Sab Sona Ropa Le Jaye, Sab Dunia Dunia Le Jaye, Tum Aik Mujhe Behteri Ho, Aik Bar Kaho Tum Meri Ho........!    

Main Thak Gia Hon Meri Palkon Pe

  Poet Wasi Shah   Main Thak Gia Hon Meri Palkon Pe, Ab Tak Kuch Adhoore Khawaab Jalte Hain, Meri Neendon Mein Tere Wasl Ka Raisham Ulajhta Hai, Mere Aanso Mere Chehre Pe Tere Gham Ko Likhte Hain, Mere Andar Kai Sadion K Sannaton Ka Daira Hai, Mere Alfaz Bahain Wa Kia Mujh Ko Bulate Hain, Mager Main Thak Gia Hon Aur Main Ne, Khamoshi Ki Goud Mein Sar Rakh Dia Hai, Main Balon Mein Tumhare Hijar Ki Narm, Unglian Mehsoos Karta Hon, Meri Palkon Pe Jalte Khawab Hain, Ab Raakh Ki Sorat Tumhare Wasl Ka, Raisham Bhi Ab Neendain Nahi Bunta, Meri Aankhon Mein Jaise Ther K Mosam Ka Basaira Hai, Mujhe Andar K Sanaton Mein Gehri Neend Aai Hai, Suno! Is Yad Se Keh Do Mujhe Kuch Dair Sone De............!  

Tujh Se Bichra To Kidhar Jaon Ga

  Poet Farhat Abas Shah   Tujh Se Bichra To Kidhar Jaon Ga, Main To Bechaini Se Mar Jaon Ga, Main To Aise Nahi Jane Wala, Chand Doobe Ga To Ghar Jaon Ga, Motion Se Bhara Bartan Hon Main, Toot Jaon Ga Bikhar Jaon Ga, Main To Sehma Howa Sanata Hon, Apni Awaz Se Door Jaon Ga, Main Agar Koi Samandar Bhi Hon, Ek Tere Darood Se Bhar Jaon Ga, Waqt K Roothne Se Main Farhat Abas, Kahein Chup Chaap Utar Jaon Ga..................!  

Mujhe Deewana Samajhte Hain Tere Shehr K Log

  ============== Tere Shehr K Log ==============   Mujhe Deewana Samajhte Hain Tere Shehr K Log, Kion Mere Daman Se Ulajhte Hain Tere Shehr K Log, Main Gia Waqt Hon Wapas Nahi Aane Wala, Kion Mera Rasta Takte Hain Tere Shehr K Log, Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Mere Naam K Sath, Najane Kion Jalte Hain Tere Shehr K Log, Aur Kia Don Main Tujhe Apni Wafaon Ka Saboot, Ab Mere Haal Pe Hanste Hain Tere Shehr K Log...............!    

Hum Chand Ko Pane Chale Thay

  Poet Wasi Shah   Hum Chand Ko Pane Chale Thay, Humain Kia Khabar Thi Khud Ko Rulane Chale Thay, Ab To Daman Mein Bas Yadain Hi Pari Hain, Bawafa Ho Kar Bhi Bewafa Kehlwane Chale Thay, Humain Thukra Kar Rota To Wo Bhi Ho Ga, Jis Se Hum Sachi Mohabbat Nibhane Chale Thay, Ab Jo Khawab Toote Hain To Ye Ehsaas Howa, Hum Samandar Kinare Mehal Banane Chale Thay, Dil Dukhaya Hai Tum Ne Par Sada Khush Raho, WASI Hum Teri Rahon Main Phool Bichane Chale Thay..............!  

Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi

  Poet Nasir Kazmi   Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi, Barham Hoi Hai Youn Bhi Tabiat Kabhi Kabhi, Ay Dil Kise Naseeb Ye Tofeeq-e-Iztirab, Milti Hai Zindagi Main Ye Rahat Kabhi Kabhi, Tere Karam Se Ay ALm-e-Husn-e-Aafreen, Dil Ban Gia Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi, Dil Ko Kahan Naseeb Ye Tofeeq-e-Iztirab, Milti Hai Zindagi Mein Ye Rahat Kabhi Kabhi, Josh-e-Janoon Mein Dard Ki Tughyanion K Sath, Ashkon Mein Dhal Gai Teri Surat Kabhi Kabhi, Tere Qareeb Reh K Bhi Dil Mutmain Na Tha, Guzri Hai Mujh Pe Ye Qayamat Kabhi Kabhi, Kuch Apna Hosh Tha Na Tumhara Khayal Tha, Youn Bhi Guzar Gai Shab-e-Furqat Kabhi Kabhi, Ay Dost Hum Ne Tark-e-Mohabbat K Bawajood, Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi.............!  

Waqt-E-Rukhsat Kahein Taare Kahein Jugno Aaye

  Poet Sagar Siddiuqi   Waqt-E-Rukhsat Kahein Taare Kahein Jugno Aaye, Haar Pehnane Mujhe Phool Se Bazo Aaye, Bas Gai Hai Mere Ehsas Mein Ye Kaisi Mehak, Koi Khushbo Main Lagaon Teri Khushbo Aaye, Main Ne Din Rat Khuda Se Ye Dua Mangi Thi, Koi Aahat Na Ho Dar Pe Mere Aur Too Aaye, Us Ki Batain K Gul-O-Lala Pe Shabnam Barse, Sab Ko Apnane Ka Us Shokh Ko Jado Aaye, Us Ne Choo Kar Mujhe Pathar Se Phir Insan Kia, Mudaton Baad Meri Aankh Mein Aanso Aaye............!  

Be Sabab Udasi Thi Ab K Us K Chehre Par

     Be Sabab Udasi Thi Ab K Us K Chehre Par, Dukh Tha Be Hawasi Thi Ab K Youn Mila Mujh Se, Youn Ghazal Suni Jaise Main Bhi Na Shanasa Hon, Wo Bhi Ajnabi Jaise Zard Khal-o-Khud Us K, Sogwaar Daman Tha Ab K Us K Lehje Mein, Kitna Khud Dara Pan Tha Wo K Umar Bhar Jis Ne, Shehr Bhar K Logo Mein Mujh Ko Hum Sukhan Jana, Khud Se Meharbaan Samjha, Mujh Ko Dil Ruba Likha Ab K Sada Kahgaz Par, Surkh Roshnai Se Us Ne Talkh Lehje Mein, Mere Naam Se Pehle Sirf Bewafa Likha...........!    

Mehandi Un K Hathon Mein Laga Do Yaro

Mehandi Un K Hathon Mein Laga Do Yaro, Mujh Ko Bhi Meri Asal Rah Dikha Do Yaro, Pehna K Mujhe Meri Hi Gurbat Ka Kafan, Un Pe Surkh Joraa Saja Do Yaro, Naam Likh Do Un Ka Khushion Ki Deewar Par Mera Naam-o-Nishan Dunia Se Mita Do Yaro, Waqt Aakhri Hai Teri Dunia Mein Is Deewane Ka Ho Sake To, Mere Mehboob Ko Ye Bata Do Yaro, Suna Hai Aj Us Ki Doli Is Gali Se Guzare Gi, Meri Maiyat Ko is Raste Se Hata Do Yaro......!    

Kehne Ko Mohabbat Hai Lekin

Kehne Ko Mohabbat Hai Lekin, Ab Aisi Mohabbat Kia Karni, Jo Neend Chura Le Aankhon Se, Jo Khawab Dekha Kar Palkon K, Tabeer Mein Kante De Jaye, Jo Gham Ki Kali Raton Se, Har Aas Ka Jugno Le Jaye, Jo Khawab Sajati Aankhon Ko, Aanso Hi Aansoo De Jaye, Jo Mushkil Kar De Jeene Ko, Jo Marne Ko Aasan Kare, Wo Dil Jo Pyar Ka Mandar Ho, Wo Yadon Ko Mehman Kare, Ab Aisi Mohabbat Kia Karni? Jo Umar Ki Naqdi Le Jaye, Aur Phir Bhi Jholi Khali Ho, Wo Sorat Dil Ka Rog Bane, Jo Sorat Dekhi Bhaali Ho, Jo Qais Bana De Insan Ko, Jo Ranjha Aur Farhad Kare, Ab Aisi Mohabbat Kia Karni? Jo Khushion Ko Barbad Kare, Dekho To Mohabbat K Bare Mein, Har Shakhs Yehi Kuch Kehta Hai, Socho To Mohabbat K Andar, Ek Dard Hamesha Rehta Hai, Phir Bhi Jo Cheez Mohabbat Hai, Kab In Baton Se Darti Hai? Kab In K Bandhe Rukti Hai? Ab Aisi Mohabbat Kia Karni......!    

Us Bewafa Se Kehna Aik Yar Tha Tumhara

  Poet Ansar Bukhari   Us Bewafa Se Kehna Aik Yar Tha Tumhara, Tum Zindagi Thay Us ki Wo Pyar Tha Tumhara, Jo Rehta Th Pardais Mein Door Tum Se, Wo Shakhs Kab Se Intizar Tha Tumhara, Tum The Preet Ka Ek Saz, Wo Geet K Saaz Ka Jhankar Tha Tumhara, Tum The Thukraye Howe Jahan K, Wo Hi Jag Mein Dildar Tha Tumhara, Peete The Chup Chup K Gham K Aansoo'n, Wo Ansar Bukhari Mekhwar Tha Tumhara, Tum Gar Hote Thay Kabhi Mayoos, Wo Sath Mein Sogwar Tha Tumhara...............!    

Ab Nahi Aain Gay Teri Basti Mein,

  Ab Nahi Aain Gay Teri Basti Mein, Kion K Too Rehta Hai Apni Masti Mein, Hum Nahi Aain Gay Teri Basti Mein, Jis Ne Jab Chaha Jis Tarha Chaha Dil Tor Dia Masti Mein, Ab Nahi Aain Gay Teri Basti Mein, Teri Basti K Log Hain Zalim Bahut, Qatal Karwa Dete Hain Nahaq Masti Mein, Ab Nahi Aain Gay Teri Basti Mein..............!    

Hum Chor Chale Hain Is Mehfil Ko Kabhi Yad Aay To Mat Rona,

  Hum Chor Chale Hain Is Mehfil Ko Kabhi Yad Aay To Mat Rona, Is DiL Ko Tasali De Dena Ghabaray To Mat Rona, Hum Chor Chale Hain Is Mehfil Ko, Ek Khuwaab Sa Dekha Tha Hum Ne Jab Aankh Khuli Wo Toot Gia, Ye Pyar Agar Sapna Ban Kar Tarpaye Kabhi To Mat Rona, Hum Chor Chale Hain Is MehfiL Ko, Tum Mere Khayalon Mein Kho Kar Barbaad Na Karna Jeewan Ko, Jab Koi Sahaili Bat Tumhain Samjhey Kabhi To Mat Rona, Jeewan K Safar Mein Tanhai Mujh Ko To Zinda Chorey Gi, Marne Ki Khabar Jan-E-Jigar Mil Jaye Kabhi To Mat Rona, Hum Chor Chale Is Mehfil Ko Kabhi Yad Aye To Mat Rona......!  

Kaise Bataon Tum Mere Liye Kiya Ho

Kaise Bataon Tum Mere Liye Kiya Ho Tum Hi Meri Zindagi Ho Tum Hi Meri Bandagi Ho Tum Hi Mere Hamsafar Ho Tum Hi Mere Ham-Navaa Ho Kaise Bataon Tum Mere Liye Kiya Ho Kis Kam Ki Wo Neend Raaton Ki, Na Ho Jis Mein Khawab Tera Kis Kam K Wo Ujaale Dinon K Na Ho Jis Mein Tera Chehra Kis Kam Ki Wo Kalam Ki Siyahi Na Ho Jis Mein Nam Tera Kis Kam Ka Wo Zindagi Ka Safar Na Ho Jis Mein Sath Tera Kaise Bataon Tum Mere Liye Kiya Ho Kaise Bataon Tum Mere Liye Kiya Ho..!    

Khud Apne Ko Dhoonda Tha

  Singer Munni Begam   Khud Apne Ko Dhoonda Tha, Main Ne Tujhe Youn Chaha Tha, Too Bilkul Waisa Nikla Jaisa Main Ne Socha Tha, Main Ne Tujhe Youn Chaha Tha, Khud Apne Ko Dhoonda Tha, Apne Zakm Dikhata Ja Wo Bhi To Mujh Jaisa Tha, Main Ne Tujhe Youn Chaha Tha, Khud Apne Ko Dhoonda Tha, Sath Wo Mera Kia Deta Wo Khud Bheer Mein Tanha Tha, Main Ne Tujhe Youn Chaha Tha, Khud Apne Ko Dhunda Tha, Mujh Ko Mila Ek Umar K Baad, Jo Meri Umar Ka Qisa Tha...........!  

Zara Aao Idhar Betho Humain Kuch Tum Se Kehna Hai

  Poet Not Confrm   Zara Aao Idhar Betho Humain Kuch Tum Se Kehna Hai, Kahan Jane Ki Jaldi Hai Yahan Mosam Nahi Acha, Chalo Us Paar Chalte Hain Nadi Ka Saaf Pani Hai, Wahan Phoolon Mein Bethain Gay, Khule Gi Rat Ki Rani Ti Khushbo Phail Jaye Gi, K Aise Mein Koi Jugno Humare Pas Aaye Ga, Humari Batain Sun Kar Titlion Ko Wo Bataye Ga, Subha Tak Sare Gulshan Mein, Musalsal Ho Rahi Hon Gi Humare Payar Ki Batain, Ye Batain Titlian Sun Kar Kahein, Bachon Se Keh De Gi Wo Ja Kar Ghar Batain Gay, Subha Tak Shehr K Moonh Par, Yehi Qalmat Aain Gay Na Aao Tum, Na Hum Bethain Na Hon Ye Pyar Ki Batain, Na Hum Ko Tum Se Kehna Hai, HUMAIN TUM SE MOHABAT HAI...................!    

Ghazab Hai Tera Naqab Saqi

  Poet Not Confrm   Ghazab Hai Tera Naqab Saqi, Pila De Mujh Ko Sharab Saqi, Inhi Ko Choone Ki Aarzo Hai, Ye Hont Hain Ya Gulab Saqi, Suna Hai Tere Hi Hath Se Hai, Isi Ka Peena Sawaab Saqi, Hashar Mein Khud Tor Dein Gay, Ye Aap Apna Hijab Saqi, Bare Dino Se Piya Nahi Hai, Na Mang Mujh Se Hisab Saqi, Ye Maikada Hai Hazar Fitne, La Pila De Sharab Saqi...........!    

Humain Tum Bhool Jao Gay Humain Maloom Hai Lekin

  Poet Mohsin Naqvi   Humain Tum Bhool Jao Gay Humain Maloom Hai Lekin, Palat Kar Jab Bhi Aao Gay Muhabbat Muntazir Ho Gi, Kabhi Bhoole Se Hi Mujh Ko Agar Tum Yad Kar Betho, Meri Tasbeeh Tilawat Aur Ibadat Muntazir Ho Gi, Falak K Paar Ja Utro Samandar Par Ja Betho, Kisi Dasht-E-Chahat Ki Imamat Muntazir Ho Gi, Humari Aarzo Jo Hai Tumhari Dastaras Mein Hai, Milo Na Tum Mujhe Lekin Muhabbat Muntazir Ho Gi.............!  

Ye Umar Bhar Ka Safar aur Ye Raaigaani Teri

Poetes Noshi Gilani   Ye Umar Bhar Ka Safar aur Ye Raaigaani Teri...* Kahan Gai Aaye Mere Dil Wo Khush Gumani Teri?...* Yahan Pe Kon Andheron Mein Sath Chalta Hai?...* Too Ab Bhi Sath Mere Hai Ye Meherbani Teri...* Tujhe Khabar Nahi Hum Dekh Kar Bahut Roye...* Nai Kitab Mein Tasweer Ek Purani Teri...* Abhi Se Aable Purne Lage Hain Paon Mein...* Abhi To Door Hai Manzil Safar Kahani Teri...* Bhulaye Baithe Hain Aur Apne Haal Mein Khush Hain...* Too Aa K Dekh K Kabhi Hum Ne Bat Mani Teri.................*    

Hum Ko Acha Nahi Lagta Koi Hum Naam Tera

  Poet Wasi Shah   Hum Ko Acha Nahi Lagta Koi Hum Naam Tera, Koi Tujh Sa Ho Tu Phir Naam Bhi Tujh Sa Rakhe, Jinhain Chaha Bahut Hum Ne, Magar Apna Nahi Paye Bahut Aankhon Ne Barish Ki, Mujhe Wo Yad Jab Aaye Bare Dawe Thay Humain Tum Se, Juda Ho Kar Bhi Jee Lain Gay, Magar Ek Lamha Bhar Ki Hum Judai Seh Nahi Paye, Main Jin Ki Rah Takta Hon Na Jane Kitne Arse Se Koi, Un Se Zara Poche Wo Milne Kion Nahi Aaye, Na Jane Kab Se Apne Ap Ko Hum To Badal Bethe, Ye Qismat Ke Sitare Kion Badalne Ko Nahi Aaye, Aay Qasid Tum Kaho Un Se, Wo Larna Chor Dain Hum Se, Wo Jab Se Rooth Bethe Tab Se Hum Bhi So Nahi Paye, Khudaya Shukar Hai Tera K Yadon Par Nahi Pehra, Agar Yadon Pe Pehra Ho To Phir Aashiq Kahan Jaye, Jo Kehte Hain Mohabbat Kuch Nahi Hoti Zamane Main, Wo Khud Bhi To Mohabbt K Bina Kion Reh Nahi Paye............!  

Mujh Se Baad-E-Baharan Ne Ro Kar Kaha

  Poet Sagar Siddiuqi   Mujh Se Baad-E-Baharan Ne Ro Kar Kaha, Teri Qismat Baharon K Qabil Nahi, Teri Dunia Hai Ashkon Mein Doobi Hoi, Teri Aankhain Nazaron K Qabil Nahi, Meri Kashti Ko Toofan Ne Bose Diye, Boli Moj-E-Talatum Mujhe Dekh Kar, Teri Taqdeer Mein Hain Bhanwar Hi Bhanwar, Teri Kashti Kinaron K Qabil Nahi, Us Ne Mehfil Se Mujh Ko Utha Kar Kaha, Mera Peecha Khuda K Liye Chor Do, Meri Mehfil Mein Phir Na Aana Kabhi, Ye Mohabbat K Maron K Qabil Nahi.............!  

Wo Mujh Se Meri Udasion Ki Wajha Pochta Hai

  Poetess Parveen Shakir   Wo Mujh Se Meri Udasion Ki Wajha Pochta Hai, Kitna Pagal Hai Rat K Sanate Ki Wajha Pochta Hai, Wo Mujh Se Mere Aanson Ki Wajha Pochta Hai, Kitna Pagal Hai Barish K Barsne Ki Wajha Pochta Hai, Wo Mujh Se Meri Pasand K Bare Mein Pochta Hai, Kitna Pagal Hai Khud Apne Hi Bare Mein Pochta Hai, Wo Mujh Se Meri Wafa Ki Intiha Pochta Hai, Kitna Pagal Hai Sahil Par Khare Samander Ki Gehrai Pochta Hai...............!  

Likhe Ga Naam Koi Jab Bhi Haq Paraston Ka

  Poet Shahzad Qais   Likhe Ga Naam Koi Jab Bhi Haq Paraston Ka..*   Gai Ruton K Muqadam Safeer Hum Hon Gay..*   Zamana Hum Se Kare Ga Dukhon Ki Bheek Talab..*   Dayar-E-Dil K Tanha Ameer Hum Hon Gay..*   Yaqeen Jan K Agle Janam Ki Aamad Par..*   Bana Jo Too Kabhi Ranjha To Heer Hum Hon Gay............*    

Mere Humsafar Kisi Roz Too Mere Pas Aa

  Poet Not Confrm   Mere Humsafar Kisi Roz Too Mere Pas Aa, Mere Roo Baroo Kisi Roz Sun Meri Guftago, Meri Chahato Me Base Howe, Mere Aanso'on Se Bhare Howe, Meri Shab K Lamhe Shumar Kar, Meri Zindagi Na Azab Kar Wo Lafz Tere Jo Nayab Hon, Wohi Lafz Mere Naam Kar Mujhe Le K Too Kahein Door Chal, Zara Hath Mera Tham Kar, Mere Humsafr Kisi Roz Too Mere Pas Aa Mere Roo Baroo, Meri Khawahishon Ko Umeed De, Meri Zindagi Ko Naveed De..............!    

Ye Jo Sar-E-Rah Dia Jalta Hai

  Ye Jo Sar-E-Rah Dia Jalta Hai, Lagta Hai Kisi Ghareeb Ka Jia Jalta Hai, Koi Aisa Bhi Ho Tum Se Itna Pooche, Is Tarah Satane Se Tujhe Kia Milta Hai, Chand Roz K Qise Kahanian Hain, Kon Kisi K Sath Umar Bhar Chalta Hai, Itni Si Bat Aaj Ka Insan Nahi Samajhta, Kapre Maile Hon To Kion Galay Milta Hai, Umar Ganwa Di Hum Ne Ek Shakhs Ki Talash Mein, Log Kehte Thay Dhoondne Se To Khuda Bhi Milta Hai.............!    

Is Mohabbat Ne Ajab Intiha Di

  Is Mohabbat Ne Ajab Intiha Di Koi Dekh Kar Jal Gia Kisi Ne Dua Di Ye Kaisa Marz Hum Ko La Haq Ho Gia Ya Rab Koi Hans Utha Aur Kisi Ne Dawa Di Ye Kis Manzil Pe Aan Pohnche Aashiq Koi Mar Gia Aur Kisi Ne Sada Di Is Khel K Dastoor Hi Nirale Hain Koi Haar Gia Aur Kisi Ne Ridaa Di In Aashiqon K Ajeeb Andaz Hote Hain Koi Fana Howa Aur Kisi Ne Adaa Di Is Matlab Ki Dunia Mein Aye Logo! Koi Bewafa Howa Aur Kisi Ne Dagha Di Ye Ajab Haal Humara Howa Hai Khushbo Koi Aankh Jhuk Gai Aur Kisi Ne Rulaa Dia...........!!!    

Phira Hon Sare Zamane Mein Dar Badar Kaise

  Poet Mohsin Naqvi   Phira Hon Sare Zamane Mein Dar Badar Kaise, Main Tere Bad Bhi Zinda Raha Magar Kaise? Wo Janta Hai K Kuch Roz Wo Nahi Tha, To Main Pukarta Raha Us Ko Idhar Udhar Kaise, Main Jis K Hijar Mein Roya Hon Paglon Ki Tarah, Wo Kal Mila To Hansa Mere Haal Par Kaise, Aziz Tar Thi Jise Neend Sham-e-Vasl Mein Bhi, Wo Tere Hijar Mein Jaga Hai Umar Bhar Kaise, Kahan Ki Dosti Kaisa Firaq Kon, M O H S I N Main Khud Ko Bhool Gia Tujh Ko Bhool Kar Kaise............!  

Wo Pyar Bhi Karta Hai Aur Azhar Bhi Nahi Karta

  Poetess Parveen Shakir   Wo Pyar Bhi Karta Hai Aur Azhar Bhi Nahi Karta, Jo Pooch Le Koi Us Se To Iqrar Bhi Nahi Karta, Wo Aisa Sada Dil Hai K Mujhe Dekene Ki Duain Mange, Jab Samne Aa Jaon To Deedar Bhi Nahi Karta, Gar Us Se Door Jaon Main To Sans Us Ki Rukh Jaye, Koi Mang Le Mujhe Us Se To Inkar Bhi Nahi Karta, Apne Qareeb Aane Se Rok Deta Hai Mujh Ko, Aur Rah Mein Hail Koi Deewar Bhi Nahi Karta, Mere Dil K Darwaze Pe Dastak Bhi Deta Hai Wo, Aur Darwaza Khul Jane Ka Intizar Bhi Nahi Karta...............!  

Sans Mein Teri Sans Mili To Mujhe Sans Aai

  Poet Meer Taqi Meer   Sans Mein Teri Sans Mili To Mujhe Sans Aai, Mujhe Sans Aai, Mujhe Saans Aai, Rooh Ne Choo Li Jism Ki Khushbo, Too Jo Pas Aai, Too Jo Pas Aai, Sans Mein Teri Sans Mili To Mujhe Sans Aai, Mujhe Sans Aai, Mujhe Sans Aai, Kab Tak Hosh Sambhale Koi, Hosh Ure To Ur Jane Do, Dil Kab Seedhi Raah Chala Hai, Rah Mure To Mur Jane Do, Tere Khayal Mein Doob K Aksar, Achi Lagi Tanhai Sans Mein Teri, Sans Mili To Mujhe Sans Aai, Mujhe Sans Aai Mujhe Sans Aai, Rat Teri Bahon Mein Kate To, Subha Bari Halki Lagti Hai, Aankh Mein Rehne Lage Ho Kia Tum, Kion Chalki Chalki Lagti Hai, Mujh ko Phir Se Choo K Bolo Meri Qasam Kia Khai, Sans Mein Teri Sans Mili To Mujhe Sans Aai, Mujhe Sans Aai, Mujhe Sans Aai Rooh Ne Choo Li, Jisam Ki Khushbo To Jo Pas Aai Mujhe Sans Aai, Too Jo Pas Aai Mujhe Saans Aai, Too Jo Pas Aai Mujhe Sans Aai, Too Jo Pas Aai..........

Mohabat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Mat Karna

  Poet Mohsin Naqvi   Mohabat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Mat Karna, Mujhe Tum Tor Dena Par Mujhe Taqseem Mat Karna, K Hum Ne Thokrain Khai Hain Ashiq Ban K Dunia Ki, Main Jab Tak Mar Na Jaon Tum Meri Tarfeen Mat Karna, Mohabbat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Mat Karna, Suno Tum Yu Hi Apni Zindagi Barbad Mat Karna, K Jab Tak Ishq Na Ho Hasil Koi Taleem Mat Karna, Mohabbat Ki Kahani Mein Koi Tarmeem Mat Karna, Mujhe Tum Tor Dena Par Mujhe Taqseem Mat Karna............!  

Aap Tanha Ho Mein Tanha Hon

  Poet Amjid Islam Amjid   Aap Tanha Ho Mein Tanha Hon, Chalo Khawab Nagar Mien Chalte Hain, Jahan Pyar Ki Barish Hoti Hai, Aur Sukh K Deep Jalte Hain, Jahan Pat Jhar Mein Bhi Phool Khilain, Aur Sard Hawain Garam Lagain, Cham Cham Kar K Khushian Barsain, Bin Badal Barsat Ho Jaise, Tujhe Choone Ka Ehsas Ho Jaise, Jab Din K Nazare So Jain, Phir Chand Se Batain Ho Jain, Khawab Mien Khawab Hum Ho Jain, Alfaz Hawa Mein Kho Jain, Aap Sath Chalo To Chalte Hain, Hum Khawab Nagar Mein Chalte Hain..............!  

Rat Ka Aakhri Pehar Tha

  Poet Wasi Shah   Rat Ka Aakhri Pehar Tha, Mujh Se Chand Ne Kaha, Hum Nasheen Alvida, Mujh Ko Neend Aa Rahi Hai, Kal Milain Gay Isi Jaga, Sun Kar Main Muskura Dia, Us Ko Batla Dia, Jane Walay Loutte Nahi, Tum Nahi Aao Gay, Mujhe Hai Yaqeen, Meri Bat Sun K Wo Ruk Gia, Aur Kehne Laga, Tum Se Wada Karon,? Phir Poora Na Karon, Aisa Mumkin Nahi, Sun Aey Hum Nasheen, Main CHAND Hon, Insan Nahi............!  

Youn Hi To Shakh Se Patte Gira Nahi Karte

  Poet Mosin Naqvi   Youn Hi To Shakh Se Patte Gira Nahi Karte,p Bichar Kar Log Ziada Jiya Nahi Karte, Jo Aane Wale Hain Mosam, Unhain Shumar Mein Rakh, Jo Din Guzar Gaye Un Ko Gina Nahi Karte, Na Dekha Jan K Us Ne Koi Sabab Ho Ga, Isi Khayal Se Hum Dil Bura Nahi Karte, Wo Mil Gia To Kia Qisa-E-Firaq Kahein, Khushi K Lamhon Ko Youn Be Maza Nahi Karte, Nishat-E-Qurb Gham-E-Hijar K Ivaz Mat Mang, Dua K Naam Pe Youn Bad Dua Nahi Karte, Munafqat Pe Jinhain Akhtiayar Hasil Hai, Wo Arz Karte Hain Tujh Se Gila Nahi Kart, Humare Qatal Pe MOHSIN Ye Pas-O-Peish Kaisi, Hum Aise Log Talab Khoon Baha Nahi Karte...............!  

Abhi Kuch Lamhe Baqi Hain Saal K Khatam Hone Mein

   Abhi Kuch Lamhe Baqi Hain Saal K Khatam Hone Mein, Chalo Aisa Karain Hum Tum Gile Shikve Jo Rehte Hain, Hamesha Darmian Apne Kion Na Khatam Kar Dalain, Naye Wade Nai Qasmain Nai Umeed Hum Bandhain, Naye Andaz Se Jeewan Ka Ek Ek Rukh Badal Dalain, Dilon Mein Hain Kadorat Jo, Hum Us Ko Khatam Kar Dalain, Abhi Kuch Waqt Baqi Hai Naya Phir Saal Aane Mein..........!    

Jaise Kisi Dewar Ko Dar Chorna Parr Jaye

  Poetess Rehana Qamar Jaise Kisi Dewar Ko Dar Chorna Parr Jaye. Kaise Use Choron Gi Agr Chorna Parr Jaye. Us Dasht E Tamana Main Zarori Nahi Koi. Kia Jane Kab Kon Kidhar Chorna Par Jaye. Ek Tu Hi Zarori Hai Musafat K Liye Dost. Tujh Ko Bhi Na Doran E Safar Chorna Parr Jaye. Kab Jane Us Dil Se Nikal Jain Tamanain. Kab Jane Chiryon Ko Shajar Chorna Parr Jaye. Us Shakhs Ko Choro Mujhe Tum Itna Batao. Tum Chand Ko Choro Ge Agar Chorna Parr Jaye. Mumkin Hai Kisi Waqt Palat Jao Qamar Main. Mumkin Hai Kisi Waqt Safar Chorna Parr Jaye.    

Ek Chehra Sath Sath Raha Jo Mila Nahi

  Poet Dr Basheer Badar Ek Chehra Sath Sath Raha Jo Mila Nahi, Kis Ko Talash Karate Rahe Kuch Pata Nahi, Shiddat Ki Dhoop Teiz Hawanon K Bawajood, Main Shakh Se Gira Hon Nazar Se Gira Nahi, Aakhir Ghazal Ka Taj Mahal Bhi Hai Maqbara, Hum Zindagi Thay Hum Ko Kisi Ne Jia Nahi, Jis Ki Mukhalafat Hoi Mash,Hoor Ho Gia, In Patharon Se Koi Parinda Gira Nahi, Tareekion Mein Aur Chamakati Hai Dil Ki Dhoop, Sooraj Tamam Rat Yahan Doobata Nahi, Kis Ne Jalai Bastian Bazar Kion Lutte, Main Chand Par Gia Tha Mujhe Kuch Pata Nahi..............!  

Agar Talash Karon Koi Mil Hi Jaye Ga

  Poet Dr Basheer Badar   Agar Talash Karon Koi Mil Hi Jaye Ga, Magar Tumhari Tarha Kon Mujh Ko Chahay Ga, Tumhain Zaroor Koi Chahaton Se Dekhe Ga, Magar Wo Aankhain Humari Kahan Se Laye Ga, Tumhare Sath Ye Mosam Ye Farishton Jaisa Hai, Tumhare Baad Ye Mosam Bahut Sataye Ga...............!

Udasi K Chehre Parha Mat Karo

  Poet Dr Basheer Badar   Udasi K Chehre Parha Mat Karo, Ghazal Aanso'on Se Likha Mat Karo, Bahar Haal Ye Aag Hi Aag Hain, Charaghon Ko Aise Chowa Mat Karo, Dua Aanso'on Mein Khila Phool Hai, Kisi K Liye Bad Dua Mat Karo, Tumhain Log Kehne Lage Bewafa, Zamane Se Itni Wafa Mat Karo, Agar Waqai Tum Parishan Ho, Kisi Aur Se Tazkara Mat Karo, Khuda K Liye Chandni Rat Mein, Akele Akele Phira Mat Karo..............!  

Wo Batain Teri Wo Fasane Tere

  Poet Abdul Hameed Adam   Wo Batain Teri Wo Fasane Tere, Shagufta Shagufta Bahane Tere, Bas Ek Zakham Nazara Hisa Mera, Baharain Teri Aashiane Tere, Bas Ek Dagh-E-Sajda Meri Kainat, Jabeenain Teri Aastane Tere, Zameer-E-Sadaf Mein Kiran Ka Maqam, Anokhe Anokhe Thikane Tere, Faqeeron Ka Jamaghat Ghari Do Ghari, Sharabain Teri Bharakane Tere, Bahar-O-Khizan Kam Nigahon K Weham, Bure Ya Bhale Sab Zamane Tere, ADAM Bhi Hai Tera Hakayat Kada, Kahan Tak Gaye Hain Fasane Tere....................!  

Kai Raz-E-Dil Chupe Hain Naqab K Peeche

  Poet Ayaz Khan   NAQAAB K PEECHE Type By  Ayaz Khan    Kai Raz-E-Dil Chupe Hain Naqab K Peeche.   Qais Bhi Deewana Hova Shabab K Peeche.   Janoon Tha Ishq Ka shab-E-Hijran Bhi Ro Pari.   Tanha Sitara Chal Raha Tha Aftab K Peeche.   Shehr-E-Ishq Mein Aaya Hon Dashat- E-Jano Se.   Dil Hairan Hai Naye Raz Khule Kitab K Peeche.   Zamano Se Taqdeer Ne Dagha Dia Humain.   Kai Sawal Chupe Hain Is Jwab K Peeche.   Kab Manzil Mili Is Jahan Mein Kisi Ko Ishq Ki.   AYAZ, Ruswa Hove Kai Farhaad is Khawab K Peeche.  

Pyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aaya Bhi Nahi

  Poet Qateel Shifai   Pyas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aaya Bhi Nahi, Kaisa Badal Hai Jis Ka Koi Saya Bhi Nahi? Berukhi Is Se Bari Aur Bhala Kia Ho Gi? Ek Muddat Se Humain Us Ne Sataya Bhi Nahi, Roz Aata Hai Dard-e-Dil Pe Wo Dastak Dene, Aaj Tak Hum Ne Jise Pas Bulaya Bhi Nahi, Sun Lia Kaise Khuda Jane Zamane Bhar Ne? Wo Fasana Jo Kabhi Hum Ne Sunaya Bhi Nahi, Tum To Shayar Ho Qateel Aur Wo Ek Aam Sa Shakhs, Us Ne Chaha Bhi Tujhe Aur Jataya Bhi Nahi...........!  

Wo Dil Hi Kia Tere Milne Ki Jo Dua Na Kare

  Poet Qateel Shifai   Wo Dil Hi Kia Tere Milne Ki Jo Dua Na Kare, Mein Tujh Ko Bhool K Zinda Rahon Khuda Na Kare, Rahe Ga SathTera Pyar Zindagi Ban Kar, Ye Aur Bat Meri Zindagi Wafa Na Kare, Ye Theek Hai Nahi Marta Koi Judai Mein, Khuda Kisi Se Kisi Ko Magar Juda Na Kare, Suna Hai Us Ko Mohabbat Duain Deti Hai, Jo Dil Pe Chot To Khaye Magar Gila Na Kare, Bujha Dia Hai Naseebon Ne Mere Pyar Ka Chand, Koi Dia Meri Palkon Pe Ab Jala Na Kare, Zamana Dekh Chuka Hai Parakh Chuka Hai, Q A T E E L Jan Se Jaye Par Iltija Na Kare.................!  

Tumhari Anjuman Se Uth Kar Deewane Kahan Jate

Poet Qateel Shifai Type By     *.___HIJAR___.* Tumhari Anjuman Se Uth Kar Deewane Kahan Jate? Jo Wabasta Howe Tum Se Wo Afsane Kahan Jate? Nikal Kar Dair-o-Kaba Se Agar Milta Na Maikhana, To Thukraye Howe Insan Khuda Jane Kahan Jate? Tumhari Berukhi Ne Laaj Rakh Li Badaah Khane Ki, Tum Aankhon Se Pila Dete To Paimane Kahan Jate? Chalo Acha Howa Kaam Aa Gai Deewangi Apni, Wagarna Hum Zamane Bhar Ko Samjhane Kahan Jate? Q A T E E L Apna Muqadar Gham Se Begana Agar Hota, To Apne Paraye Hum Se Pehchane Kahan Jate..........?

Wo Shakhs K Main Jis Se Mohabbat Nahi Karta

  Poet Qateel Shifai   Wo Shakhs K Main Jis Se Mohabbat Nahi Karta, Hansta Hai Mujhe Dekh K Nafrat Nahi Karta, Ghar Walon Ko Ghaflat Pe Sabhi Kous Rahe Hain, Choron Ko Magar Koi Malamat Nahi Karta, Dete Hain Ujale Mere Sajdon Ki Gawahi, Main Chup K Andheron Mein Ibadat Nahi Karta, Bhoola Nahi Aaj Bhi Main Aadab-e-Jawani, Mein Aaj Bhi Auron Ko Naseehat Nahi Karta, Dunia Mein Qateel Us Sa Munafiq Nahi Koi, Jo Zulm To Sehta Hai Baghawat Nahi Karta........!