Posts

Showing posts from December, 2015

Mohabbat Kee Karshima Saaziyaan Aawaz Daitee Hain Tairee Yaadoon Kee Alharr Shokhiyaan Aawaz Daitee Hain

Decmber Kee Aakhree Shaam Ahbaab Kee Mehfil Mein Aik Ghazal Paish Karta Hoon Poet Shafeeq Aasif Type By *_FAROOQI.54_* Mohabbat Kee Karshima Saaziyaan Aawaz Daitee Hain Tairee Yaadoon Kee Alharr Shokhiyaan Aawaz Daitee Hain Zara See Dair Mein Muasam Badlnay Ka Zamana Hay, Hawa Kay Baazowoon Kee Choorriyaan Aawaz Daitee Hain Musaafir Lotna Chaaho To Lamhoon Mein Palat Jaow Tumhain Sahil Pay Thehree Kashtiyaan Aawaz Daitee Hain Khizaa'N Kay Khof Say Sehmay Parindo Lot Bhee Aaow Tumhain Phir Lehlaatee Tehniyaan Aawaz Daitee Hain Chalay Jaatay Hain Hum Apna Lahoo Aidhan Banaanay Ko Dhunwaan Daitee Huee Jab Chimniyaan Aawaz Daitee Hain Shafeeq Ahbaab Aksar Yaad Aatay Hain Hamain Ab Bhee Hawa Kay Saath Bajtee Taaliyaan Aawaz Daitee Hain..................!

Aankh Jab Aaiene Se Hatayi

شاعرہ پروین شاکر انتخاب اجڑا دل آنکھ جب آئینے سے ہٹائی شام سندر سے رادھا ملنے آئی آۓ سپنوں میں گو کل کے راجہ دینے سکھیوں کو آئی بدھائی پریم جل خوب گاگر میں بھر لوں آج بادل نے مایا لٹائی کس کو پنگھٹ پے جانے کی ضد تھی کس سے گاگر نے بنتی کرائی اوک سے پانی بہنے لگا تو پیاس گردھر کی کیسے بجھائی؟ اب تو جل کا ہی آنچل بنالوں پیڑ پر کیوں چنریا سکھائی اسی بالک سے نندیا ملے گی جس نے ماتھے کی بندیا چرائی رنگ ڈالی میری آتما تک کیا منوہر کے من میں سمائی میں نے سکھوں کو کب کچھ بتایا بیری پائل نے ہی جا لگائی گوپیوں سے بھی کھیلیں کنہیا اور ہم سے بھی میٹھی لڑائی کوئی خوشبو تو اچھی لگے گی پھول بھر بھر کے آنچل میں لائی شام میں توری گیاں چراؤں مول لے لے تو میری کمائی کرشن گوپال رستہ ہی بھولے رادھا پیاری تو سدھ بھول آئی سارے سر ایک مرلی کی دھن میں ایسی رچنا بھلا کس نے گائی؟ کیسا بندھن بندھا شام مورے ؟ بات تیری سمجھ میں نہ آئی ہاتھ پھولوں سے پہلے بنے تھے یا کہ گجرے سے پھوٹی کلائی

Tou Ne Hi Kaha Tha Main Teri Kashti Pe Bhoj Hon Aankhon Ko Ab Na Dhamp Mujhe Doobta Bhi Dekh

Image
Tou Ne Hi Kaha Tha Main Teri Kashti Pe Bhoj Hon Aankhon Ko Ab Na Dhamp Mujhe Doobta Bhi Dekh

December 31,2015,January 1st 2016

Image
December 31,2015,January 1st 2016 Saal-e-Nao  Saal-e-Guzishta Ko  Nigal Chala Hai, Aor Mujh Ko Bhi  December

Khata Muaf Karna Dil Tora Hai Tumhara, December Mein Dil Torna Riwayat Hai Humari,

Khata Muaf Karna Dil Tora Hai Tumhara, December Mein Dil Torna Riwayat Hai Humari, Poet Ayaz Khan

Suno Jaana December Se Puch Lo Tum, Is Musam Main Kitna Yaad Karte Hain Tumhen,

Suno Jaana December Se Puch Lo Tum, Is Musam Main Kitna Yaad Karte Hain Tumhen, Poet Ayaz Khan

Jab Kaanch Uthane Parr Jaein To Hath Hamare Le Jana

شاعر گمنام انتخات اجڑا دل جب کانچ اٹھانے پڑ جائیں تو ہاتھ ہمارے لے جانا جب سمجھو کہ کوئی ساتھ نہی تم ساتھ ہمارا لے جانا جب دیکھو کہ تم تنہا ہو اور راستے ہیں دشوار بہت تب ہم کو اپنا کہہ دینا بے باک سہارا لے جانا جو بازی بھی تم جیتو گے جو منزل بھی تم پاؤ گے ہم پاس تمہارے ہوں نہ ہوں احساس ہمارا لے جانا بس اک مسکان ہمیں دینا پھر جان ہماری لے جانا.....................* Jab Kaanch Uthane Parr Jaein To Hath Hamare Le Jana Jab Samjh K Koi Sath Nahi Tum Sath Hamara Le Jana Jab Dekho K Tum Tanha Ho Aur Raste Hain Dushwar Bohat Tab Hum Ko Apna Keh Dena Be-Bak Sahara Le Jana Jo Bazi Bhi Tum Jeeto Ge Jo Manzil Bhi Tum Pao Ge Hum Pas Tumhare Hon Na Hon Ehsas Hamara Le Jana Agar Baari Aa Jaaye Tum Pas Hamare Aa Jana Bas Ik Muskaan Hamein Dena phir Jaan Hamari Le Jana

Dard Ki Tasveer Main Ne Utari Aankh Mein, Tab Se Jari Ho Gai Hai Ashkbaari Aankh Mein,

Poet Ameen Babar Typed By *_UJRRA_DIL_* Dard Ki Tasveer Main Ne Utari Aankh Mein, Tab Se Jari Ho Gai Hai Ashkbaari Aankh Mein, Dil Deewana Ho Gaya Hai Us Ki Soorat Dekh Kar, Ho Rahi Hai Dekhiye Takhreeb Kaari Aankh Mein, Toot Kar Phir Reh Gaya Hai Jisam-O-Jaan Ka Rabta, Jab Bhi Ki Hai Main Ne Us Ki Meena Kaari Aankh Mein, Silsila Ishq-O-Mohabbat Ka Ajab Hai Dosto, Rooh Ki Taskeen Thi Aur Shab Guzari Aankh Mein, Dard Ki Tesein Uthi Thi Khana-E-Dil Mein Mere, Aate Aate Aa Gai Hai Ye Beemari Aankh Mein, Zindagi K Saz Pe BABAR Bhrosa Kab Talak ? Door Kese Hogi Jo Hai Be Qaraari Aankh Mein..................?

Ab Nahi Hon Main Tanha Tha Magar Kabhi Tanha

شاعر سید معراج جامی انتخاب اجڑا دل اب نہیں ہوں میں تنہا تھا مگر کبھی تنہا مجھ سے اس نے جب پوچھا تم واقعی ہو تنہا ؟ کیا بہار لایا تھا وصل اپنے دامن میں آمد ۓ شب ۓ ہجراں زیست ہو گئی تنہا جانے کس گھڑی ان میں ربط باہمی ہو جاۓ اس کی دشمنی تنہا میری دوستی تنہا دشت ۓ آشنائی میں کیا عجب تماشا ہے ہر کوئی شناسا ہے اور ہر کوئی تنہا صبح کے اجالے میں رات کے اندھیرے میں میں ادھر رہا تنہا وہ ادھر رہی تنہا تم تو ایسے قابض ہو زیست پر اجل جیسے اب تو چھوڑ دو یارو مجھ کو دو گھڑی تنہا جان دینے والوں میں ایک بھی نہیں آیا شمع ۓ زندگی آخر رات بھر جلی تنہا مجھ کو چاہنے والے بے شمار تھے لیکن مثل ۓ برگ ۓ آواراہ زندگی رہی تنھا ہے فریب ۓ ہستی سے زندگی میں ہنگامہ خواہشوں کے جنگل میں یوں تو ہیں سبھی تنہا چاند وصل کا جامی آج بھی نہیں نکلا ہجر کی فصیلوں پر رات سو گئی تنہا

Mein Tere Lab Pe Hon Dereena Shikayat Ki Tarha,Yaad Rakha Hai Mujhe Tou Ne Adawat Ki Tarha

شاعر وصی شاہ میں تیرے لب پہ ھوں دیرینہ شکایت کی طرح، یاد رکھا ھے مجھے تونے عداوت کی طرح چاند نکلے تو میرا جسم مہک اٹھتا ھے روح میں اتری ھوئی تازہ محبت کی طرح تیری خاطر تو کوئی جاں بھی لے سکتا ھوں میں نے چاہا ہے تجھے گاؤں کی عزت کی طرح کھل رہی ہے میرے دیرینہ مسائل کی گرہ میرے ماحول میں اترا ہے وہ برکت کی طرح اب تیرے ہجر میں کچھ لطف نہیں ہے باقی اب تجھے یاد بھی کرتے ہیں تو عادت کی طرح تم میری پہلی محبت تو نہیں ہو لیکن میں نے چاہا ہے تمہیں پہلی محبت کی طرح وہ جو آتی ہے تو پھر لوٹ کے جاتی ہی نہیں تم لپٹ جاؤ کبھی ایسی مصیبت کی طرح میرے دل میں کوئی معصوم سا بچہ ہے وصی جو تجھے سوچتا رہتا ہے شرارت کی طرح

Mera Ishq Ho,Tera Husn Ho,Phir Husn Ishq Ki Baat Ho

ﻣﯿﺮﺍ ﻋﺸﻖ ﮨﻮ ﺗﯿﺮﺍ ﺣُﺴﻦ ﮨﻮ ﭘﮭﺮ ﺣُﺴْﻦ ﻋﺸﻖ ﮐﯽ ﺑﺎﺕ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﻣﯿﮟ ﻣﻠﻮﮞ ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻮ ﻣﻠﮯ ﮐﺒﮭﯽ ﮨﻢ ﻣﻠﯿﮟ ﻣﻼﻗﺎﺕ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻮ ﮨﻮ ﭼُﭗ ﮐﺒﮭﯽ ﻣﯿﮟ ﮨﻮﮞ ﭼُﭗ ﮐﺒﮭﯽ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﮨﻢ ﭼُﭗ ﭼﺎﭖ ﮨﻮﮞ ﮐﺒﮭﯽ ﮔﻔﺘﮕﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﺗﺬﮐﺮﮮ ﮐﻮﺋﯽ ﺫﮐﺮ ﮨﻮ ﮐﻮﺋﯽ ﺑﺎﺕ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﺣﺠﺮ ﮨﻮ ﺗﻮ ﺩﻥ ﮐﻮ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﻭﺻﻞ ﮨﻮ ﺗﻮ ﻭﮦ ﺭﺍﺕ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﻣﯿﮟ ﺗﯿﺮﺍ ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻮ ﻣﯿﺮﺍ ﮐﺒﮭﯽ ﺍﮎ ﺩﻭﺟﮯ ﮐﮯ ﮨﻢ ﺭﮨﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﺳﺎﺗﮫ ﻣﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﺳﺎﺗﮫ ﺗﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﺍﮎ ﺩﻭﺟﮯ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﮨﻮﮞ ﮐﺒﮭﯽ ﺻﻌﻮﺑﺘﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﺭﻧﺠﺸﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﺩﻭﺭﯾﺎﮞ ﮐﺒﮭﯽ ﻗﺮﺑﺘﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﺍﻟﻔﺘﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﻧﻔﺮﺗﯿﮟ ﮐﺒﮭﯽ ﺟﯿﺖ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﮨﺎﺭ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﭘﮭﻮﻝ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﺩﮬﻮﻝ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﯾﺎﺩ ﮨﻮ ﮐﺒﮭﯽ ﺑﮭﻮﻝ ﮨﻮ ﻧﺎ ﻧﺸﯿﺐ ﮨﻮﮞ ﻧﺎ " ﺍﺩﺍﺱ " ﮨﻮﮞ ﺻﺮﻑ ﺗﯿﺮﺍ ﻋﺸﻖ ﮨﻮ ﻣﯿﺮﯼ ﺫﺍﺕ ﮨﻮ

aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka

aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka jhuthe sikon mein bhi utha dete hain aksar sacha mal shaklen dekh k sauda karna kam hai in banjaron ka apni zuban se kuch na kahenge chup hi rahenge ashiq log tum se to itna ho sakta hai pucho hal becharon ka ek zara si bat thi jis ka charcha pohuncha gali gali ham gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka dard ka khna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao sab kuchh sehna chup chup rahna kam hai izzatdaron ka

Ye Bhi Muhabbat Hi Kehlati Hai

Image
Ye Bhi Muhabbat Hi Kehlati Hai Jab Bevi Apne Shohar K Liye Chai Banate Waqt Pehle Chak Kar Dekh Leti Hai Keh Meetha Kam To Nahi, Jab Maa Mithayi Ka Sab Se Umda Tukra Utha Kar Apne Bache Ko Deti Hai Jab Baap Apne Betay Ko Dekh Kar Seena Chorra Kar K Kehta Hai,Aa Gaya Mera Beta Jab Bhai Phone Par Poochta Hai,Keh Bhai Khaireyat Se Apni Manzil Pahonch Gay Ho? Jab Behin Apne Bhai Ka Haath Thaam Kar Apne Sab Gham Bhula Deti Hai, Jab Dost Aap Ka Haath Mazboti Se Pakar Leta Hai Keh Phislan K Ba'aes Ap Ka Tawazan Na Kho Jai

Us na pocha kya chal rha ha ma na kaha sirf sans

Us na pocha kya chal rha ha ma na kaha sirf sans

Apni Aankhon Ko Noch Dala Hai Khuwaab Aaya Tha Phir Muhabbat Ka

Apni Aankhon Ko Noch Dala Hai Khuwaab Aaya Tha Phir Muhabbat Ka

Barri Mushkil Se Mila Hai Mujhe Ghar Ka Pata Raasto Ab To Na Uljho Mujhe Ghar Jane Do

Image
بڑی مشکل سے مِلا ہے مجھے گھر کا پتہ راستو اب تو نہ الجھو مجھے گھر جانے دو Barri Mushkil Se Mila Hai Mujhe Ghar Ka Pata Raasto Ab To Na Uljho Mujhe Ghar Jane Do

Charaghe Toor jhalawo Barha andhera ha Zara naqab uthawo Barha andhera ha

Charaghe Toor jhalawo Barha andhera ha Zara naqab uthawo Barha andhera ha Mujy Khud apni nigahon pa etemad nahi Mary qareeb na awo Barha andhera ha Wo jinky hoty hain khursheed asteeno ma Onhain kahin sa bhulawo Barha andhera ha Abhi to subh ka mathy ka rang kala ha Abhi fareeb na khawo Barha andhera ha.   (Sagher siddique)

Shab-e-vasl zid mein basar ho gai Nahin hote hote sahar ho gai

Shab-e-vasl zid mein basar ho gai Nahin hote hote sahar ho gai Dagh

Tujhe Naz Hai K Main Husn Hoon, Mere Gulistan Ko Zawal Kaya?

Poet Syed Noor Gilani Typed By *_UJRRA_DIL_* Tujhe Naz Hai K Main Husn Hoon, Mere Gulistan Ko Zawal Kaya? Mujhe Fakhar Hai K Main Ishq Hoon, Jo Jala Na Doon To Kamal Kaya? Mujhe Zindagi Ki Dua Na De, Mujhe Zindgi Ki Talab Nahi, Meri Mout Ko Jo Taal De, Is Zindgi Ki Majal Kaya? Humein Manzaloon Ki Khabar Nahi, Humein Rahguzar Ki Talash Hai, Is Rahguzar Par Nikal Parre, To Urooj Kaya? Zawal Kaya? Tere Pyar Mein Shikwe Gile, Teri In Adaaoon Pe Mar Chale, Jo Hayat Thi Tujhe Waar Di, Ab Jawab Kaya? Sawal Kaya..................!

Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahana Yaad Hai, Hum Ko Ab Tak Aashqi Ka Wo Zamana Yaad Hai,

Poet Hasrat Mohani Typed By *_UJRRA_DIL_* Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahana Yaad Hai, Hum Ko Ab Tak Aashqi Ka Wo Zamana Yaad Hai, Ba Hazaraan Iztraab-O-Sadd Hazaraan Ishtiaaq, Tujh Se Wo Pehle Pehl Dil Ka Lagana Yaad Hai, Bar Bar Uthna Usi Janib Nigaah-E-Shoq Ka, Aur Tera Gharfe Se Wo Aankhein Larrana Yaad Hai, Tujh Se Kuch Milte Hi Wo Be Baak Ho Jana Mera, Aur Tera Daantoon Mein Wo Ungli Dabana Yaad Hai, Kheench Lena Wo Mera Parde Ka Kona Daftan, Aur Do Patte Se Tera Wo Munh Chhupana Yaad Hai, Jaan Kar Sona Tujhe, Wo Qasd-E-Pa Boosi Mera, Aur Tera Thukra K Sar Wo Muskurana Yaad Hai, Tujh Ko Jab Tanha Kabhi Pana To Az Raah-E-Lihaaz, Haal-E-Dil Baatoon Hi Baatoon Mein Sunana Yaad Hai, Jab Siwa Mere Tumhara Koi Deewana Na Tha, Sach Kaho Kuch Tum Ko Bhi Wo Karkhana Yaad Hai, Gher Ki Nazroon Se Bach Kar Sub Ki Marzi K Khilaf, Wo Tera Chori Chhupe Raatoon Ko Aana Yaad Hai, Aa Gaya Gar Visal Ki Shab Bhi Kahein Zikar-E-Faraq,...

Jo Kali Chatki Wahi Murjha Gayi

شاعر عبدلحمید عدم بوک کلیات ۓ عدم پیج 984 Typd By *_UJRRA_DIL_* جو کلی چٹکی وہی مرجھا گئ ہم کو اپنی داستان یاد آگئ موت کی رواداد طولانی نہی راستہ چلتے ہوۓ ننید آ گئ آپ اتنے خوبصورت تو نہ تھے آنکھ اک رنگین دوکھا کھا گئ. جب بھی آیا عمر ۓ رفتہ کا خیال ذہن میں اک برق سی لہرا گئ اب جسے چاہو دو عالم بخش دو میرے ہاتہوں میں صراحی آ گئ دیکھ کر انسان کی حالت عدم زندگی کیا موت بھی شرما گئ

Nazam-e-Ihsaas

نطم ۓ احساس شاعر عمر راہی رات کا 1 بجے کا وقت ہے. میں اپنے گرم کمرے میں. گرم کنمبل میں لپٹا ہوا پھر بھی سردی سے کانپ رہا تھا دل میں سوچہ آج سردی بہت ہے. بدن کا انگ انگ تو کانپ رہا ہے. یے رات کیسے کٹے گی بھلا تنہا ؟ اتنے میں ایک مصوم بچے کی آواز سنائی دی. انڈے گرم گرم انڈے اور میں احساس ۓ ندامت میں سردی میں بھی پسینہ پسینہ ہو گیا. کیا مجہے سردی نہی لگتی ہے او گرم کمرے اور گرم لحاف میں کانپنے والو....................؟

Waise To Nahi Mera Muqadar Teri Aankhein Aati Hain Nazar Khuwaab Mein Aksar Teri Aankhein

Image
ویسے تو نہیں میرا مقدر تری آنکھیں آتی ہیں نظر خواب میں اکثر تری آنکھیں یہ دیکھنے والے پہ ہے کیسے تجھے دیکھے بینائ بھی ہیں اور ہیں منظر تری آنکھیں ہم بال بنائیں کہ خدوخال سنواریں آئینہء دیوار سے بہتر تری آنکھیں ہر وقت ہی مقتل بنا رہتا ہے میرا دل ہر وقت بنی رہتیں ہیں خنجر تری آنکھیں طوفان سے ڈرتا ہے تو ساحل پہ اتر جا سب حال بیاں کرتی ہیں مضطر تری آنکھیں ہلچل سی مچادیتی ہے کچھ سوچتی نظریں میں جھیل ہوں گہری تو ہیں پتھر تری آنکھیں Aankhein Waise To Nahi Mera Muqadar Teri Aankhein Aati Hain Nazar Khuwaab Mein Aksar Teri Aankhein Ye Dekhne Wale Pe Hai Kaise Tujhe Dekhe Beenayi Bhi Hain Aur Hain Manzar Teri Aankhein Hum Baal Banaen Keh Khud-o-Khaal Sanwaren Aaeina-e-Dewaar Se Behtar Teri Aankhein Har Waqt Hi Maqtal Bana Rehta Hai Mera Dil Har Waqt Bani Rehtein Hain Khanjar Teri Aankhein Toofan Se Darta Hai To Sahil Pe Utar Ja Sab Haal Bayan Karti Hain Maztar Teri Aankhein Halchal Si Macha Deti Hain Kuch Sochti Nazrei...

Nahi Hoti Wahan Rehmat Khuda Ki,Na Ho Wuqa'at Jahan Sidaq-o-Safa Ki

شاعر: ابنِ مُنیب نہیں ہوتی وہاں رحمت خدا کی نہ ہو وُقعت جہاں صدق و صفا کی ہوئے رشوت کے آگے سر نِگوں سب مثالیں دے رہے تھے کربلا کی دِکھائی محتسب نے وہ کرپشن   مَرَض بڑھتا گیا جُوں جُوں دوا کی تواضع، صبر، اور ایمانِ کامل یہی سُنت رہی ہے انبیا (ع) کی امانت ہے بڑی، سمجھو عزیزو تمہارے گھر میں یہ 'بندی خدا کی غرورِ ذات میں بھٹکا کئے ہم بہت تاریک تھیں گلیاں اَنا کی تڑَپ نا آشنا ہو تار؟ کیوں ہو مریضِ عشق کو حاجت شفا کی؟ ہوئے نہ مائلِ عرضِ سُخَن ہم مگر جب ابتدا کی، انتہا کی  Poet:Ibn-e-Muneeb Nahi Hoti Wahan Rehmat Khuda Ki, Na Ho Wuqa'at Jahan Sidaq-o-Safa Ki, Hoe Reshwat K Aage Sar Nigon Sab Misaalein De Rahe Thay Karbala Ki Dekhayi Mutasib Wo Corupption Maraz Barhta Gaya Joun Joun Dawa Ki Tawazo,Sabar Aur Emaan-e-Kamil Yahi Sunnah Rahi Hai Anbiya (A.S) Ki Amanat Hai Barri Samjho Azizo Tumhare Ghar Mein Ye Bandi Khuda Ki Ghuroor-e-Zaat Mein Bhatka Kiye Hum Buhat Taareek Theen Galiyan Ana Ki Tarap Na A...

Baha Baha Kar Yeh Ansoo Bikhar Chuki Hon Buhat Simat Ke Zaat Main Apni Ab Muskurana Chahti Hon

 Poetess:Parveen Shakir Baha Baha Kar Yeh Ansoo Bikhar Chuki Hon Buhat Simat Ke Zaat Main Apni Ab Muskurana Chahti Hon

Do Ghari Mayasar Ho Us Ka Hamsafar Hona Phir Hamein Gawara Hai Apna Dar Ba Dar Hona

Poetess:Parveen Shakir Do Ghari Mayasar Ho Us Ka Hamsafar Hona Phir Hamein Gawara Hai Apna Dar Ba Dar Hona

Nai Zamanon Ka Karb Orre,Zaeef Lamhe Nidhal Yaaden

نئے زمانوں کا کرب اوڑھے ضعیف لمحے نڈھال یادیں تمہارے خوابوں کے بند کمروں میں لوٹ آئیں تو لوٹ آنا اگر اندھیروں میں چھوڑ کر تم کو بھول جائیں تمہارے ساتھی اور اپنی خاطر ھی اپنے اپنے دئیے جلائیں تو لوٹ انا مری وہ باتیں تو جن پہ بے اختیار ھنستا تھا کھلکھلا کر بچھڑنے والے مری وہ باتیں کبھی رلائیں تو لوٹ آنا

Chup Na Raho Be Chen Musafir, Beet Chali Hai Rain Musafir,

چپ نہ رہو بے چین مسافر بیت چلی ہے رین مسافر. اور نہیں تو دل کے بارے. کچھ تو کہیں گے نین مسافر. جنگل میں کوئل کرلاۓ ہر سو گونجے بین مسافر. تیری آس میں رو دیتی ہیں شام ڈھلے طرفین مسافر. گرد میں گرد ہوا آخر کو. رستوں کے مابین مسافر. پاؤں سے جانے کون اتارے. چھالوں کے نعلین مسافر Poet Farhat Abbas Shah Type By *_UJRRA_DIL_* Chup Na Raho Be Chen Musafir, Beet Chali Hai Rain Musafir, Aur Nahi To Dil K Bare, Kuch To Kahein Ge Nain Musafir, Jangal Mein Koyel Kurlaaye, Har Soo Goonje Bain Musafir, Teri Aas Mein Ro Deti Hain, Sham Dhale Tarfain Musafir, Gard Mein Gard Huwa Aakhir Ko, Rastoon K Maaben Musafir, Paaon Se Jane Kon Utaare, Chhaaloon K Na'aleen Musafir..............*

Umr Bhar 'Ghalib' Yeh Hi Bhuul Karta Raha,Dhuul Chehre Pe Thi Aur Aaina Saaf Karta Raha

  عمر بھر غالب یہی بھول کرتا رھا دھول چہرے پہ تھی اور آئینہ صاف کرتا رھا Umr Bhar 'Ghalib' Yeh Hi Bhuul Karta Raha... Dhuul Chehre Pe Thi Aur Aaina Saaf Karta Raha..

Zaroori tu nahi mohabbat lafzon mein bayan ho Kia sach meri ankhein tum sy kuch nahi kehtien

Zaroori tu nahi mohabbat lafzon mein bayan ho Kia sach meri ankhein tum sy kuch nahi kehtien  

Batao Kia Likhen Tum Ko?Ke Lafzon Ka Chunao Bhi

 بتاو کیا لکھیں تم کوــــــــــ؟؟؟ کہ لفظوں کا چناو بھی بڑا دشوار ہوتا ہے جو تم کو جان لکھتے ہیں وفائیں خوب روتی ہیں ہمیں آکر یہ کہتی ہیں کہ تم اپنے ہی قاتل کو اپنی جان لکھتے ہو ـــــــ کبھی ایمان لکھتے ہو یہ تم اچھا نہیں کرتے تو پھر یہ سوچتے ہیں ہم تمھیں اب سوگ لکھتے ہیں کوئی مستقل سا روگ لکھتے ہیں سوگ کو منانے میں روگ کو بُھلانے میں عُمر بیت جاتی ہے ـــــ روگ دینے والوں کو لوگ بھول جاتے ہیں بُھول جانے والوں کا سوگ تو نہیں ہوتا چلو تم ہی بتاو اب ؟؟؟؟ اجنبی یا پھر آشنا لکھیں اپنے نا کردہ گُناہوں کی کوئی سزا لکھیں بتاو تم کو کیا لکھیں ۔۔۔؟؟؟

26 December Yum-e-Wafat Parveen Shakir

Image
  دسمبر پروین شاکر کی وفات26 کتبہ یہاں پر وہ لڑکی سو رہی ہے کہ جس کی آنکھوں نے نیند سے خواب مول لے کر وصال کی عمر رتجگے میں گزار دی تھی عجیب تھا انتظار اس کا کہ جس نے تقدیر کے تنک حوصلہ مہاجن کے ہاتھ بس اک دریچہ نیم باز کے سکھ پر شہر کا شہر رہن کروا دیا تھا لیکن وہ ایک تازہ کہ جس کی کرنوں کے مان پر چاند سے حریفانہ کشمکش تھی جب اس کے ماتھے پر کھلنے والا ہوا تو اس پل سپیدہ صبح بھی نمودار ہو چکا تھا فراق کا لمحہ آ چکا تھا! پروین شاکر صد برگ

Kaha Dharrkan Jigar Saansoon Ko Tum Se Pyar Hai Laila, Kaha In Adabi Dawoon Se Bezar Hai Laila,

Poet Shehzad Qais Type By *_UJRRA_DIL_* Kaha Dharrkan Jigar Saansoon Ko Tum Se Pyar Hai Laila, Kaha In Adabi Dawoon Se Bezar Hai Laila, Kaha Suniye Hamara Dil Yahein Par Aaj Rakha Tha, Kaha Lo Kaya Tumhara Dil Ki Theeke Daar Hai Laila ? Kaha Majnoo Ki Chahat Ne Tumhein Laila Bana Dala, Kaha Majnoo Janooni Ki To Khud Maemar Hai Laila, Kaha Majnoon Nigahein Pher Li To Kaya Kare Gi Jee, Kaha Majnoon Na Kar Pai To Phir Bekar Hai Laila, Kaha Par Malka-E-Husan-E-Jahan To Aur Koi Hai, Kaha Pardah Nashen Hain Warna To Sardar Hai Laila, Kaha Ye Hijar Ki Ratein Mujhe Kion Bakhsh Di Sahib, Kaha Shaair Banane Ko Bohat Fankar Hai Laila, Kaha In Zahidoon Ko Kuch Riyaat Ishq Mein Dijiye, Kaha Hooroon Ka Na Sochein To Kuch Tyar Hai Laila, Kaha Tanha Milo Na Sirf Kuch Ghazalein Sunani Hai, Kaha Hum Sub Samjhte Hain Bohat Houshiyaar Hai Laila, Kaha Koh-E-Hamaaliya Mein Rawan Kar Doon Jo Joo-E-Shair, Kaha Wo Shart-E-Shereen Thi Kahein Dushwar ...

Kujh Unj Vi Rahwaan Aokhiyan Sun Kuj Gal Wich Gham Da Tooq Vi Si

Image
Munir Niazi,26 December 2006, he left us,  Poet:Muneer Niazi Kujh Unj Vi Rahwaan Aokhiyan Sun Kuj Gal Wich Gham Da Tooq Vi Si Kujh Sheher De Look Vi Zalim Sun Kujh Saanon Maran Da Shoq Vi Si

Pathar To Hazaron Ne Maare Thay Mujhe Lekin Jo Dil Pe Laga Aa Kar Aik Dost Ne Maara Tha

پتھر تو ہزاروں نے مارے تھے مُجھے لیکن جو دِل پہ لگا آ کر ایک دوست نے مارا تھا Pathar To Hazaron Ne Maare Thay Mujhe Lekin Jo Dil Pe Laga Aa Kar Aik Dost Ne Maara Tha

Apni Tanhai Mere Naam Pe Aabaad Kare Kon Hoga Jo Mujhe Us Ki Tarha Yaad Kare

Image
21st Death anniversary of Renowned Poet Parveen Shakir being observed today. December 26 , 1994  Poetess:Parveen Shakir Apni Tanhai Mere Naam Pe Aabaad Kare Kon Hoga Jo Mujhe Us Ki Tarha Yaad Kare   Apne Qaatil Ki Zahanat Se Pareshan Hon Main Roz Ik Mout Naye Tarz Ki Ejaad Kare   Us Ki Mutthi Mein Buhat Roz Raha Mera Wajood Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Aazaad Kare......!  

Kisi Ne Mol Na Poocha Dil Shikasta Ka Koi Khareed Ke Toota Piyala Kia Karta

ﮐﺴﯽ ﻧﮯ ﻣﻮﻝ ﻧﮧ ﭘﻮﭼﮭﺎ ﺩﻝ ﺷﮑﺴﺘﮧ ﮐﺎ ﮐﻮﺋﯽ ﺧﺮﯾﺪ ﮐﮯ ﭨﻮﭨﺎ ﭘﯿﺎﻟﮧ ﮐﯿﺎ ﮐﺮﺗﺎ Kisi Ne Mol Na Poocha Dil Shikasta Ka Koi Khareed Ke Toota Piyala Kia Karta

Qasam Khaa Kar Kehta H0n, Aeen Sheen Kaaf Main Ruswai Hai

Qasam Khaa Kar Kehta H0n, Aeen Sheen Kaaf Main Ruswai Hai

Tumhari Bheegti Palkon Se Mein Ne Baarha Poocha,Keh Dil Ke Kheil Mein Kia Jeetne Wale Bhi Rotay Hain

Image

Musalsal Soch Mein Rehna Kisi Se Kuch Nahi Kehna

Image
 

Tumhein Dekha Nahi,Jana Nahi,Phir Bhi Ye Lagta Hai Qabeela Aik Hai Apna Wahi Dard-e-Judai Hai,Wahi Bheegi Hoi Palkein Naseeba Aik Hai Apna

Image
Tumhein Dekha Nahi,Jana Nahi,Phir Bhi Ye Lagta Hai Qabeela Aik Hai Apna Wahi Dard-e-Judai Hai,Wahi Bheegi Hoi Palkein Naseeba Aik Hai Apna Kisi Se Kuch Nahi Kehna,Koi Shikwa Nahi Karna Qareena Aik Hai Apna Kisi Ki Yaad Se,Veerana Dil Jagmaga Lena Khazeena Aik Hai Apna Yaqeen Ki Aakhri Had Tak,Milan Ki Khush Gumaani Hai Nateeja Aik Hai Apna....!

Main Aisi Mohabbat Karta Hoon Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho

Image
Main Aisi Mohabbat Karta Hoon Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho Tum Jahan Peh Bayth K Jati Ho Main Waheen Pe Betha Rehta Hoon Us Cheez Ko Choota Rehta Hoon Main Aisi Mohabbt Karta Hoon Tum Jis Se Huns K Milti Ho Main Us Ko Dost Banata Hoon Tum Jis Rustay Par Chalti Ho Main Us Say Aata Jata Hoon Main Aisi Mohabbat Karta Hoon Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho Tum Jin Ko Daykhti Rehti Ho Wo Khuwab....Sarhanay Rakhta Hoon Tum Say Milnay Julnay K Kitnay Hi Bahanay Rakhta Hoon Main Aisi Mohabbat Karta Hoon Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho Tum Jahan Bhi Bayth K Jati Ho Jis Cheez Ko Hath Lagati Ho Main Waheen Peh Baytha Rehta Hoon Us Jaga Ko Choota Rehta Hoon Main Aisi Mohabbat Karta Hoon Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho Kuch Khuwab Saja Kar Aankhoon Main Palkon Say Moti Chunta Hoon Koi Lums Agar Choo Jaa A To Main Pehroon Us Ko Sochta Hoon Main...Aisi Mohabbat Karta Hoon Tum Kaisi Mohabbat Karti Ho Jin Logon Main Tum Rehti Ho Tum Jin Say Batain Karti Ho Tum Jin Say Huns K ...

Her ek lamha nia imtehaan hai Boht na-mehrbaan ye asmaan hai

Image
Her ek lamha nia imtehaan hai Boht na-mehrbaan ye asmaan hai Dilon per barf girti ja rahi hai Badan ka tajzia b raigaan hai Mein us se baat kerna chahti hon Batao tu sahi wo ab kahaan hai Ana ke reet shamil ho gai hai Hawa se guftugu ab raaigaan hai Mujhe is ka yaqeen her giz nahi tha Meri janib se itna badguman hai....!

Dil Mera Ik Kitaab Ki Soorat, Jis Main Wo Hai Gullab Ki Soorat,

Image
  Poetess Noshi Gillani Type By *._.Murtaza._* Dil Mera Ik Kitaab Ki Soorat, Jis Main Wo Hai Gullab Ki Soorat, Hum Se Poocho Ke Hum Guzaar Aaye, Zindagi Ko Azaab Ki Soorat, Hussan Kache Gharre Ka Shedaayi, ISHQ Moaj-E-Chanaab Ki Soorat, ISHQ Main Is Tarha Nahi Hota, Ye Nahi Hai Nisaab Ki Soorat, Main Karri Do Pehar Ki Tanhaai, Wo Shab-E-Mahtaab Ki Soorat, Poochhta Hai Ke Meri Ghazloon Main, Kon Hai Aztaraab Ki Soorat, Main Wafa Ki Wohi Puraani Kitaab, Wo Naye Intasaab Ki Soorat, Jo Nahi Kar Sake, Kabhi Wo Sawaal, Us Ne Likha Jawaab Ki Soorat.................... ! Book Name Mohabbatain Jab Shumaar Karna Page 137-138

Wo Aaya Aur Jadoo Laaya, Aasha'oon Ka Deep Jallaaya,(SAPERA)

Image
SAPERA Poetess Fakhrah Batool Type By *._.Murtaza._* Wo Aaya Aur Jadoo Laaya, Aasha'oon Ka Deep Jallaaya, Sagar Jaise Nain Thay Aise, Kaali Kaali Rain Ho Jaise, Bhool Bhuliyaan Baatain Us Ki, Baatain Thain Soghaatain Us Ki, Saanpon Ka Wo Naach Dikhaaye, Pal Main Jall Main Aag Lagaaye, Us Ne Aisi Been Bajaai, Bassti Main Ik Dhoom Machaai, Been Ki Ik Din Ho Baithi Main, Sudh Budh Apni Khou Baithi Main, Amrat Keh Kar Zehar Pilaaya! Kaale Naagon Se Daswaaya, Phir Us Ne Wo Ga'oon Chhorra, Pal Main Har Ik Naata Torra, Ab Dass Kar Jee Behlaati Hoon, Main Ik Naagan Kehlaati Hoon.............! Book Name Palkain Bheegi Bheegi Si Page No 70-71

Kitnay parvaanay jalay raaz yeh paanay ke liye, Shama jalne ke liye hai ya jalaanay ke liye,

Kitnay parvaanay jalay raaz yeh paanay ke liye, Shama jalne ke liye hai ya jalaanay ke liye, Ronay walay tujhe ronay ka saleeka bhi nahi, Ashk peenay ke liye hain ya bahanay ke liye, Tum to nadaan ho,na samjhogay yeh zalim duniya, Sarr charra leti hai nazron se giraney ke liye, Aaj karta hon shab-e-ghamm ki shikayat tum say, Roz aa jati hai kambakht satanay ke liye, Mujh ko maloom tha aap aayeingay mere ghar par, Khud chala aaya hon main yaad dilanay ke liye, Ishq ne raaz yeh ab tak na bataya hai shakeel, Sar jhukanay ke liye hai ya katanay ke liye.....!

Mera Us Sheher-E-Adawat Mein Basera Hai Jahan Log Sajdon Mein Bhi Logon Ka Bura Sochtay Hain...!

Image
Poet:Ahmad Faraz Mera Us Sheher-E-Adawat Mein Basera Hai Jahan Log Sajdon Mein Bhi Logon Ka Bura Sochtay Hain...!

Meri Tham Tham Jawe Saans Piya,Meri Aankh Ko Saawan Raas Piya

شاعر فرحت عباس شاہ انتخاب عروسہ ایمان میری تھم تھم جاوے سانس پیا میری آنکھ کو ساون راس پیا تجھے سن سن دل میں ہوک اٹھے تیرا لہجہ بہت اداس پیا تیرے پیر کی خاک بنا ڈالوں میرے تن پر جتنا ماس پیا تُو ظاہر بھی، تُو باطن بھی تیرا ہر جانب احساس پیا تیری نگری کتنی دور سجن میری جندڑی بہت اداس پیا میں چاکر تیری ازلوں سے تُو افضل، خاص الخاص پیا مجھے سارے درد قبول سجن مجھے تیری ہستی راس پیا Poet:Farhat Abbas Shah Meri Tham Tham Jawe Saans Piya, Meri Aankh Ko Saawan Raas Piya, Tujhe Sun Sun Dil Mein Hook Uthey Tera Lehja Buhat Udaas Piya, Tere Pair Ki Khaak Bana Dalon, Mere Tan Pe Jitna Maas Piya, Tou Zahir Bhi,Tou Batin Bhi, Tera Har Janib Ihsaas Piya, Teri Nagri Kitni Door Sajan, Meri Jindrri Buhat Udaas Piya, Main Chhaakar Teri Azlon Se, Tou Afzal,Khas-ul-Khaas Piya, Mujhe Saare Dard Qubool Sajan, Mujhe Teri Hasti Raas Piya.........!