Posts

Showing posts from March, 2017

Agar kabhi main zahn me aaun Tum apne saare wo khwaab likhna Wo ek main thi aur ek tum thay Haan aisi koi kitaab likhna

Image
Agar kabhi main zahn me aaun Tum apne saare wo khwaab likhna Wo ek main thi aur ek tum thay Haan aisi koi kitaab likhna...!!!

Mohabbat todti hai dum Badi khaamosh cheekhon se Koi aawaaz aise dard ko Zaahir nahi karti

Image
Mohabbat todti hai dum Badi khaamosh cheekhon se Koi aawaaz aise dard ko Zaahir nahi karti...!!!

Har raat ek safar teri taraf, Khwaab dar khwaab tay kiya maine

Image
Har raat ek safar teri taraf, Khwaab dar khwaab tay kiya maine ...!!!

Kuch log tohfay bhi kamaal ke dety hain, Udaasiyan, Tanhaiyaan, Ruswaeyan, Azeeyatein

Image
Kuch log tohfay bhi kamaal ke dety hain, Udaasiyan, Tanhaiyaan, Ruswaeyan, Azeeyatein...!!!

Haya se husan ki qeemat do-chand hoti hai Na Ho jo aab to Moti ki abru kya hai

Image
Haya se husan ki qeemat do-chand hoti hai Na Ho jo aab to Moti ki abru kya hai

Kia Haal Hai Mery GaaOn Ka, Peepal Ki Thandi ChhaOn Ka, Sharmili ShOkh NigaahOn Ka, Un Naaz Bhari AdaaOn Ka

Image
"+,,+" Aey GaaOn Say Aany Waaly Bataa .> "+,,+" Kia Haal Hai Mery GaaOn Ka , Peepal Ki Thandi ChhaOn Ka , Sharmili ShOkh NigaahOn Ka , Un Naaz Bhari AdaaOn Ka .> "+,,+" Aey GaaOn Say Aany Waaly Bataa .* "+,,+" Aajj-Kal Humaary GaaOn Mein Kaisa Sawera HOtaa Hai , Kia Ab Bi Un Ke Aangan Mein PhOolOn Ka Baseraa HOta Hai , Panchhi Geet Sunaaty Hain Jab DOor Andheraa Hai Un Ke Dil Mein Kia Ab Bi Meri Yaad Ka Dera HOta Hai .> "+,,+" Aey GaaOn Say Aany Waaly Bataa .* "+,,+" Kia Ab GaaOn Ki GaliyOon Mein Bache ShOr Machaaty Hain , Piyaari Piyaari BaatOn Say Sab Ka Dil Behlaaty Hain , Gude Aur Gudi Ki Shadi Bi Karwaaty Hain , Aur Chhutti Ke Din KhetOn Mein Maa-Baap Ka Haath Batate Hain .* "+,,+" Aey GaaOn Say Aany Waaly Bataa .* "+,,+" Kia Ab Bi Humaary KhaitO Ke Samaan Sehaany HOty Hain , Kia Ab Bi JawanOn Ke Lab Par Waisy Taraany HOty Hain , Hum Khel JO Khelaa Karty Thy WOhi Khel Puraany HOty Hain...

Dukh ? Kis Baat Ka Sahib Aap Mere Thay Hi Kab

Image
Dukh ? Kis Baat Ka Sahib Aap Mere Thay Hi Kab..!

Jab Kashti Saabit O Saalim Thi Saahil Ki Tamanna Kis Ko Thi,Ab Aisi Shikastaan Kashti Pe Saahil Ki Tamanna Kon Kare

Image

chahe jitna shehd pila do shakho'n ko neem ke pate phir bhi karwe niklaa'n gay

Image
چاہے جتنا شہد پلا دو شاخوں کو نیم کے پتے پھر بھی کڑوے نکلیں گے تخت چھنے گا دربانوں کی سازش سے اور لٹیرے تاج پہن کر نکلیں گے طارق قمر chahe jitna shehd pila do shakho'n ko neem ke pate phir bhi karwe niklaa'n gay takht chinaay ga darbano'n ki sazish se aur lutare taj pehn kr niklaa'n gay Tariq Qamar  

ujre hue logon se gurezan na hua kar halaat ki qabron ke ye kutbe bhi perha kar

Image
ujre hue logon se gurezan na hua kar halaat ki qabron ke ye kutbe bhi perha kar kia janye kiun tez hawa soch me gum he khawabeda parindon ko darakhton se ura kar us shakhs ke tum se bhi marasim hen to hon ge wo jhut na boley ga mere samne aa kar ab dastaken de ga tu kahan ae gham e ahbab main ne to kaha tha ke mere dil me raha kar har waqt ka hansna tujhe barbad na kar de tanhai ke lamhon me kabhi ro bhi lia kar wo aj bhi saddion ki musafat pe khara he dhonda tha jise waqt ki dewar gira kar barham na ho kam fehmi kotah nazran per ae qamat e fan apni bulandi ka gila kar ae dil tujhe dushman ki bhi pehchan kahan he tu halqa e yaran me bhi mohtat raha kar main mar bhi chuka, mil bhi chuka moj e hawa me ab ret ke seney pe mera nam likha kar pehla sa kahan ab meri raftar ka alam ae gardish e doran zara tham tham ke chala kar is rut me kahan phool khilen ge dil e nadan zakhmon ko he wabasta e zanjeer e saba kar ik rooh ki faryad ne chonka dia mujh ko tu ab to mujhe jism ke zandan se ...

Zara Si Der Lagti Hai Zamana Dost Ho Jaye To Bohat Mohtat Ho Jana

Image
Zara Si Der Lagti Hai Zamana Dost Ho Jaye To Bohat Mohtat Ho Jana Kisi K Rang Badalne Main Zara Si Dair Lagti Hai Koi Jo Khwab Dekho To Usy Foran Bhula Dena K Neenden toot Jane Main Zara Si Dair Lagti Hai Kisi Ko Dhuk Kabhi Dena To Itna Soch Kar Dena Kisi Ki Aah Lagne Main Zara Si Dair Lagti Hai Bohat Hi Motabar Hai Jin Ko Mohabbat Raas Aa Jaye Kisi Ko Raah Badalane Main Zara Si Dair Lagti Hai ...!!!

Dil sulagtaa ha magar sokhta'jani kam ha sher kia kahu'n ke tabiat ma rawani kam ha

Image
دل سُلگتا ہے مگر سوختہ جانی کم ہے شعر کیا کہوں کہ طبیعت میں روانی کم ہے زیست اک آدھ محبت سے بسر ہو کیسے؟ رات لمبی ہو تو پھر ایک کہانی کم ہے تجھ سے کہنا تو نہیں چاہیے پر کہتے ہیں ہم نے بھی دولتِ جاں اب کے لٹانی کم ہے دل کو کیا روئیں کہ جب سوکھ گئی ہوں آنکھیں شہر ویراں ہے کہ دریاؤں میں پانی کم ہے ہم نے اندوہ زمانہ سے نہ خم کھایا ہے شاید اب یوں ہے کہ آشوبِ جوانی کم ہے جس طرح سانحے گزرے ہیں تیری جاں پہ فراز اس کو دیکھیں تو یہ آشفتہ بیانی کم ہے احمد فراز Dil sulagtaa ha magar sokhta'jani kam ha sher kia kahu'n ke tabiat ma rawani kam ha zeest ik aadh muhabbat sa basar ho kese ? rat lambii ho to phir aik kahani kam ha tuj sa kehna to nahee chaheea prr kehte ha'nn hum na bhii dolat e jaan ab ke lutani kmm ha dil ko kia roe'n ke jub sookh gaii ho'n aankhai'nn shehr veeran ha ke daryao'n ma paani kmm ha hum na andooh e zamana sa na kham khaya ha shayd ab yuu'n ha ke aashob e jawani kam ha jis tara sanhe guzra ha teri ja'nn pa FARAZ is ko dakhe'n to...

Wo lajaaye mere sawaal par ke utha sake na jhuka ke sar Udi zulf chehre pe is tarah ke shabon ke raaz machal gaye

Image
Wo lajaaye mere sawaal par ke utha sake na jhuka ke sar Udi zulf chehre pe is tarah ke shabon ke raaz machal gaye

MAN TO SAMJHA THA,K LAUT AATAY HAN JANAY WALAY TU NE TO JA K,JUDAI,MERI QISMAT KAR DI

Image
میں تو سمجھا تھا کہ لوٹ آتے ہیں جانے والے تو نے تو جا کہ جدائی مری قسمت کر دی MAN TO SAMJHA THA,K LAUT AATAY HAN JANAY WALAY TU NE TO JA K,JUDAI,MERI QISMAT KAR DI

Pala'at sakon hi na aage hi barh sakon Jis par Mujhy ye konse rasty laga gaya ik shakas

Image
Pala'at sakon hi na aage hi barh sakon Jis par Mujhy ye konse rasty laga gaya ik shakas

Galeyan sanjeyan ujar dasan main ko Ver'raa khawan aave'ey

Image
Galeyan sanjeyan ujar dasan main ko Ver'raa khawan aave'ey Ghulam Farida othy ki was'na Jethy yar nazar na aa'wey

Jiyengge magar ham muskura na skenge ki ab zindgi mey mohabbat nhi hey

Image
Jiyengge magar ham muskura na skenge  ki ab zindgi mey mohabbat nhi hey  Jawani jo layegi sawan ki raaten Zamana karega mahabbat ki baaten Magar ham ye sawan mana na sakenge Ke ab zindagi me mahabbat nahin hai

Maen bhi kaisey ajeeb hotey hein, Olad se walehana pyar kertey hein, Meri ami bhi mujh se, bohat pyar kertey theen, Mujhey raaj hans bataya kertey theen,

Image
Ammi My latest poem on 28th march 2017 Maen bhi kaisey ajeeb hotey hein, Olad se walehana pyar kertey hein, Meri ami bhi mujh se, bohat pyar kertey theen, Mujhey raaj hans bataya kertey theen, Wo hans jo sab hanson ka sardar ho, Wo jo sab, parindon mein nayaab ho, Shaid wo tu, merey maan thee, isi lea, Mujhey, sab kuch dena chahtey thee, Agar kabhi merey number kam ayen, tu kehteen, iss ka qasoor nahi ho ga, qasoor mumtahin ke checking ka ho ga, Papers ke baad, sarey tawajo mujh pe hoti, Jo mein dukhey hota, tu wo sahara deteen, jab bahir jata, tu un ke ankh bahir ko hotey, Sofa pe laet jatein, thori daer jo ho jatey, Fon ajaya kerta tha, betey kab ao gae, Mein tumharey lea intezaar ker rahey hun, Mein sara waqt gharey dekh reha hota tha, Merey ami intezaar ker rahey hon gee, Jo mein na pohanchtaa waqt pe parishan ho jatein, Aaj in ko beetey, 20 saal guzar gae hein, Aaj bhi jab jaata hun bahir, sochta hun, Kash merey ami abbhi mera intezar kertein, kash...

Agar tum kaho toh main phool ban jaaun Zindagi ka tumhari ik usool ban jaaun

Image
Agar tum kaho toh main phool ban jaaun Zindagi ka tumhari ik usool ban jaaun Suna hai keh rait par chalne se tum mehak jate ho Kaho toh abke zameen ki dhooll ban jaaun Nayaab hai wo log jinhe tum apna kehte ho Ijazat do ki main bhi iss qadar anmol ban jaaun

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubhartey Hain Naqsh Mazi Mity Mity Se Wo Aazmaish Dil-o-Nazar Ki Wo Qurbatein Si Wo Fasly Se

Image
کبھی کبھی یاد میں ابھرتے ہیں نقش ماضی مٹے مٹے سے وہ آزمائش دل و نظر کی وہ قربتیں سی وہ فاصلے سے کبھی کبھی آرزو کے صحرا میں آ کے رکتے ہیں قافلے سے وہ ساری باتیں لگاؤ کی سی وہ سارے عنواں وصال کے سے نگاہ و دل کو قرار کیسا نشاط و غم میں کمی کہاں کی وہ جب ملے ہیں تو ان سے ہر بار کی ہے الفت نئے سرے سے بہت گراں ہے یہ عیش تنہا کہیں سبک تر کہیں گوارا وہ درد پنہاں کہ ساری دنیا رفیق تھی جس کے واسطے سے تمہیں کہو رند و محتسب میں ہے آج شب کون فرق ایسا یہ آ کے بیٹھے ہیں مے کدے میں وہ اٹھ کے آئے ہیں مے کدے سے Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubhartey Hain Naqsh Mazi Mity Mity Se Wo Aazmaish Dil-o-Nazar Ki Wo Qurbatein Si Wo Fasly Se Kabhi Kabhi Aarzo Ke Sahra Mein Aa Ke Rukty Hain Qafly Se Wo Saari Batein Lagao Ki Si Wo Saare Unwaan Wisal Ke Se Nigaah-o-Dil Ko Qarar Kaisa Nishaat-o-Gham Mein Kami Kahan Ki Wo Jab Mily Hain Toh Un Se Har Baar Ki Hai Ulfat Nai Sire Se Buhat Garaan Hai Ye Aaish Tanha Kahein Subaktar Kahein Gawara Wo Dard Penhaan Keh Saari Dunya Rafeeq Thi Jis ...

TUM KIA JANO ?

Image
TUM KIA JANO ? (A) Tum Kia Jano? Badey Gharon Ke Saare Bartan Kitnay Gande Hotay Hain  Main Dhoti Hon Mujh Se Poocho (B) Tum Kia Jano? Raat Ka Basi Khana Utha Kar Ghar Tak Lana Kitna Bhari Hota Hai Main Lati Hon Mujh Se Poocho (C)  Tum Kia Jano? Is Lori Ki Ki Bhasha Ko Jise Bhokey Bachey  Sun Kar So Jate Hain Main Deti Hon Mujh Se Poocho (D)  Tum Kia Jano? Ghurbat Kitni Gandi Gaali Hai Suni Hai Tum Ne ? Main Sunti Hon   Mujh Se Poocho (E) Tum Kia Jano ? Sadqey Ki Roti Khairati Paani Kis Kalri Jheel Ka Keechad Hai Main Khati Hon Main Peeti Hon  Mujh Se Poocho  

Ay Anokhay Sakhi ! Ay Mere Kibria !! Koi Rasta Dekha

Image
Ay Anokhay Sakhi ! Ay Mere Kibria !! Koi Rasta Dekha                           Khud Pe Khul Jaon Main                           Mujh Pe Afshaan Ho "Tu" AyMere Kibria ! Kibria , Ab Mujhe Loh-e-Arz-o-Sama Ke Sabhi Na-Tarasheeda , Posheeda                                      Harfon Mein Leptay Hoe                                      Ism Parhna Sekha !                                      Ay Anokhay Sakhi !    ...

moj e khushbu ki tarha bat uraney waley tujh me pehle to na thay rang zamaney waley

Image
moj e khushbu ki tarha bat uraney waley tujh me pehle to na thay rang zamaney waley kitne heeray meri aankhon se churaey tu ne chand patthar meri jholi me girane waley khun baha agli baharon ka tere sar to nahi? khushk tehni pe naya phool khilane waley aa tujhe nazar karun apni he sheh rag ka lahu mere dushman,meri toqeer barhane waley aasteno me chupaey hue khanjar aye mujh se yaron ki tarha hath milane wale zulmat e shab se shikayet unhe kese Mohsin wo to suraj ke thay aaena dikhane waley

Ye Dunya Hai Are Nadaan Na Iske Jaal Mein Aana Kaha Kuch Aor Jata Hai Kia Kuch Aor Jata Hai

Image
یہ دنیا ہے ارے ناداں نہ اس کے جال میں آنا کہا کچھ اور جاتا ہے کیا کچھ اور جاتا ہے یہ سودا ہے نرا دھوکا نظر کا کھیل ہے سارا دکھایا اور جاتا ہے دیا کچھ اور جاتا ہے ہے مانا زندگی تیری مگر مرضی نہیں تیری سو جینا اور ہوتا ہے جیا کچھ اور جاتا ہے ترا تھا گھاو ہی ظالم طبیبوں کی خطا کیا ہے ہوا کچھ اور گہرا جب سیا کچھ اور جاتا ہے محبت تیری باتوں میں یہ کیسی چاشنی ہوتی کہ مطلب اور ہوتا ہے لیا کچھ اور جاتا ہے یہ ابرک شاعری ہے یا کہ ہے یہ دل لگی تیری حقیقت اور ہوتی ہے بتا کچھ اور جاتا ہے    اتباف ابرک Ye Dunya Hai Are Nadaan Na Iske Jaal Mein Aana Kaha Kuch Aor Jata Hai Kia Kuch Aor Jata Hai Ye Soda Hai Zara Dhoka Nazar Ka Khel Hai Saara Dekhaya Aor Jata Hai Diya Kuch Aor Jata Hai Hai Mana Zindagi Teri Magar Marzi Nahi Teri So Jeena Aor Hota Hai Jiya Kuch Aor Jata Hai Tera Tha Ghao Hi Zalim Tabeebon Ki Khata Kia Hai Howa Kuch Aor Gehra Jab Siya Kuch Aor Jata Hai Muhabbat Teri Baton Mein Ye Kaisi Chaashni Hoti Keh Matlab Aor Hota Hai Liya Kuch Aor Jat...

Daghe Saaqi Ao Mekhanu Mi Da Zrh Zor Wajale Daghe Nasho O Tamasho Mi Da Zrh Zor Wajale

Image
Daghe Saaqi Ao Mekhanu Mi Da Zrh Zor Wajale Daghe Nasho O Tamasho Mi Da Zrh Zor Wajale Ma Tre Tapos Okro Hagha Rata Ghusa Ke Owe Marha Bas Chup Sha Yaranu Mi Da Zrh Zor Wajale Pa Nasihat Shum Warta Stare Kho Bas Na Pohegi Dagha Jahila Lewano Mi Da Zrh Zor Wajale Nishta Da Zrh Majaal Mi Neshta Dy Zama "Khatira" Sta Da Beltoon De Wrazo Shpo Mi Da Zrh Zor Wajale.....!

Da Chaa Dapara Che Mi Sro Lambo Ta Zaan Oneewo Che Zorawar Sho Hagha Hum Rana Grewaan Oneewo

Image
Da Chaa Dapara Che Mi Sro Lambo Ta Zaan Oneewo Che Zorawar Sho Hagha Hum Rana Grewaan Oneewo Zama Na Pas Zama Pa Shaan Meena Ba Sok Warkavi ? Akhir Pa Tlo Tlo Ke Salgo Zama Pa Shaan Oneewo Hairaan Walaar'r Yam Che Pa Koma Makha Otakhtama ? Chaa Zmaka Waghasta Zamung Na Chaa Asmaan Oneewo Nan Che Mi Zikar Da Jannat Hooro Wawredalo Zar Da Seeney Pore Tasveer Mi Da Janan Oneewo

poochtay ho to suno kaisay basar hoti hai raat khairaat ki, sadqay ki sahar hoti hai

Image
پُوچھتے ہو تو سنو کیسے بسر ہوتی ہے رات خیرات کی، صدقے کی سحر ہوتی ہے سانس بھرنے کو تو جینا نہیں کہتے یا رب دل ہی دُکھتا ہے نہ اب آستیں تر ہوتی ہے جیسے جاگی ہُوئی آنکھوں میں چُبھیں کانچ کے خواب رات اِس طرح دیوانوں کی بَسر ہوتی ہے غم ہی دُشمن ہے مِرا، غم ہی کو دِل ڈھونڈتا ہے ایک لمحے کی جُدائی بھی اگر ہوتی ہے ایک مرکز کی تلاش، ایک بھٹکتی خوشبو کبھی منزل کبھی تمہیدِ سفر ہوتی ہے مینا کماری ناز Roman Version poochtay ho to suno kaisay basar hoti hai raat khairaat ki, sadqay ki sahar hoti hai saans bharnay ko to jeena nahin kehtay ya rab dil hi dukhta hai na ab aasteen ter hoti hai jaisay jaagi hui aankhon mein chubhein kaanch ke khuwab raat is tarha diwaano ki basar hoti hai gham hi dushman hai mira, gham hi ko dil Dhoondta hai aik lamhay ki judai bhi agar hoti hai aik manzil ki talaash, aik bhatakti khushboo kbhi manzil, kabhi tamheed-e-safar hoti hai Meena Kumari (mah jabeen Naz)

Us Shehr Me Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhool Gaye

Image

yehi qosoqaza phulon ke Yehi husan chaman hae Isey barham na kerna Isey lekin hawa kaisey parhey gee?

Image
Posting my moms nazam which is in her book MUJHEY BOLNEY DO, MY MOM Mrs Bilquis mahmood died on 9th of august 97 and one of my reasons to start writing poetry was that i wanted that dunya should know what my mom was as i would introduce my own poetry and they all would say who was his mom we want to see that poetry. Mujhey iss gulshan se mohabat hae..... Sare gulshan likha tha.....   yehi qosoqaza phulon ke Yehi husan chaman hae Isey barham na kerna Isey lekin hawa kaisey parhey gee? Hawa tu perh nahi saktey Mera jee chahta hae Mein in hawaon ko perha dun Keh jaisey ho sakey Apna bhara gulshan bacha lun Mujhey iss se mohabat hae MY MOM MRS BILQUIS MAHMOOD BY Farquleet Mahmood

Suljhaaii zulfein kya lab.e.dariyaa pe aap ne Har mauj misl.e.mar.siyaah tu banaa chale

Image
Suljhaaii zulfein kya lab.e.dariyaa pe aap ne Har mauj misl.e.mar.siyaah tu banaa chale Iss ruu.e.atishiin ke tassavur mein yaad.e.zulf Yaani ghazb hai aag lagge aur hawaa chale ai ZAUQ hai ghazab nigaah.e.yaar Woh kya bachche jis pe yeh tiir.e.qazaa chale zauq

Mumkin He Ke Tu Jisko Samjhta He Bahray'n

Image

Sharaabi Aankhein , Gulaabi Hoont , Hasee-o-Jameel Chehra Khamosh Ho Ja Aye Dil-e-Gustaakh Abhi Wo Na-Muhram Hai Teri

Image
 شــــرابی آنکھیں گلابی ہونٹ حسین و جمیل چہرہ خاموش ہو جا اے دلِ گستاخ ابھی وہ نامحـــرم ہے تیری Sharaabi Aankhein , Gulaabi Hoont , Hasee-o-Jameel Chehra Khamosh Ho Ja Aye Dil-e-Gustaakh Abhi Wo Na-Muhram Hai Teri

Sun Lo Jo Agar To Ek Baat Kahoon Tere Dil Ko Main Apni qainaat Kahoon

Image
Sun Lo Jo Agar To Ek Baat Kahoon Tere Dil Ko Main Apni qainaat Kahoon Basa Kar Tujhe Apni Jism-O-Jaan Mein Mohabbat Ko Main Apni Hayaat Kahoon Mat Puchho Aalam Waqt-E-Intezaar Ka Ek Din Ki Doori Ko Din Saat Kahoon Yeh Kaisi Deewangi, Kya Be-Khudi Hai Subah Ko Shaam, DinKo Raat Kahoon Aa Kar Baith Jao Kabhi Paas Fursat Se To Dhadkanon Ki tumse Shikayat Kahoon Likh Diye Hain Saare Armaan Lafzon Ne Agar Do Ijaazat To Wo Nagmaat Kahoon

Apna andaaz-e sukhan sab se juda rakhte hain Ham khamoshi Mai takallum ki ada rakhte hain

Image
Apna andaaz-e sukhan sab se juda rakhte hain Ham khamoshi Mai takallum ki ada rakhte hain

Aana'on nafraton khud 'gharzi'eon k tehre pani main Muhabat gholne wale Bare dar'waish hoty hai

Image
Aana'on nafraton khud 'gharzi'eon k tehre pani main Muhabat gholne wale Bare dar'waish hoty hai

laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kije ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije

Image
laut jaati hai udhar ko bhi nazar kya kije ab bhi dilkash hai tera husn magar kya kije aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siva raatein aur bhi haib vasl ki raahat ke siva mujhse pehli si mohabbat mere mehboob na maang Faiz

Ujaley door nahi

Image
Ujaley door nahi My latest 19 march 2017 Shaid kuch lamhon ke lea zindagi saqit ho jatey hae, Madham khamoshi jab, charon taraf phel jatey hae, Aisey mein, her taraf ik aseeb zada, sae umad atey hein, In sayon mein, bhi ik hasrat phir bhi baqi rehtey hae, Kabhi ye sae chat jaen gae, Kabhi, weranon mein koi , Roshni, phir se, subha ke sooraj ke, Ik nae zindagi roshan karey gee, Mujhey uss roshni ka intezaar hae, Wo roshni phir kahein aye gee, Zindagi kabhi ik jaga saqit nahi rehtey, Kabhi, andhera ho agar tu, ujala bhi hota hae, Shaid kuch lamhon ke lea zindagi saqit ho jatey hae, Magar, zindagi chaltey rehtey hae, saqit nahi hotey, Jo zindagi ho baqi, tu, ujalon ke tamana ke ja saktey hae, Ujaley door nahi Farquleet Mahmood

MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hay Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hay

Image
MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hay Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hay Ek Zamana Tha k Sab Aik Jagah Rehtay Thay Or Ab koi kahin, koi kahin Rehta Hay Jis ki Saanson Say Mo'atTar Thay Dar-o-Diwaar Terey, Aaye Makaan Bool, kahan Ab Woh Makeen Rehta hay? Rooz Milnay Pay Bhi Lagta Hay k Jagg Beet Gaye Ishq Main Waqt ka Ehsaas Nahin Rehta Hay DiL Afsurda Howa, Dekh kar Us ko MOHSIN Umar Bhar koun jawaan, Koun Haseen Rehta Hay.?

Saaf aata hai nazar anjaam har aagaaz ka zindagaani maut ki tamhid hai mere liye

Image
Saaf aata hai nazar anjaam har aagaaz ka zindagaani maut ki tamhid hai mere liye Jaag uthti hai tah-e-damaan-e-shab se sub.h-e-nau Maut kya hai zeest ki tajdeed hai mere liye

Ajib cheez hai ye waqt jisko kehte hain Ke aane paata nahi aur beet jata hai

Image
Ajib cheez hai ye waqt jisko kehte hain Ke aane paata nahi aur beet jata hai Sheher yar

Mita daale'n na mujhko chara-gar ye Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Mai

Image
مٹا ڈالیں نہ مجھ کو چارہ گر یہ ہرا رہنا ہے مجھ کو' زخم ہوں میں کبھی ہارا ہوا سا حوصلہ ہوں کبھی امبر چھوئے وہ عزم ہوں میں ہوں ماں کے رحم میں آغازِ ہستی مگر ہر لحد میں پھر ختم ہوں میں میری تخلیق کی کوئ وجہ ہے یا پھر اک بے حقیقت رسم ہوں میں ہوں میں بھی اک صحیفہ آسمانی کہ ہر زرّے میں گویا رقم ہوں میں زویا راؤ  Mita daale'n na mujhko chara-gar ye Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Mai Kabhi haraa hua sa hausla hoo'n Kabhi ambar chhue wo azm hoo'n Mai Hoo'n maa'n ke rehm mai aghaaz-e hasti Magar har lehd me phir khatm hoo'n Mai Meri taqhleeq ki koi waja hai Ya phir ik be haqeeqat rasm hoo'n Mai Hoo'n Mai bhi ik saheefa aasmani Ke har zarre me goya raqm hoo'n Mai Zoya Rao

Musalsal hon mulaqaren tau dilchspi nahin reh'ti Buhat dilchasp ho'te hein yeh be tarteeb yara'ne

Image
Musalsal hon mulaqaren tau dilchspi nahin reh'ti Buhat dilchasp ho'te hein yeh be tarteeb yara'ne مسلسل ہوں ملاقاتیں تو دلچسپی نہیں رہتی بہت دلچسپ ہوتے ہیں یہ بے ترتیب یارانے

Utho ab dair hoti hai wahan jaa chal kar sanwar jana Yaqeeni hai ghari do main mareez e gham ka mar jana

Image
اٹھو اب دیر ہوتی ہے وہاں چل کر سنور جانا یقینی ہے گھڑی دو میں مریض غم کا مر جانا Utho ab dair hoti hai wahan jaa chal kar sanwar jana Yaqeeni hai ghari do main mareez e gham ka mar jana مجھے ڈر ہے گلوں کے بوجھ سے مرقد نہ دب جائے انہیں عادت ہے جب آنا ضرور احسان دھر جانا Mujhy darr hai guloon kay bojh say murqad na dab jaye Unhain adat hai jab ana zarror ahsan dhar jana حباب آ سامنے سب ولولے جوش جوانی کے غضب تھا قلزم امید کا چڑھ کر اتر جانا Hubab aa samnay sab walwaly josh jawani kay Ghazab tha qulzam ka umeed char kar utter jana یہاں جز کشتیٔ موج بلا کچھ بھی نہ پاؤ گے اسی کے آسرے دریائے ہستی سے اتر جانا Yanhan juz kashti moj e bala kuch bhi na paoo gay Uskay asray darya-e-hasti say utter jana مبادا پھر اسیر دام عقل و ہوش ہو جاؤں جنوں کا اس طرح اچھا نہیں حد سے گزر جانا Mubada phir aseer-e-daam aql-o-hosh hoo jaon Junnon ka estarah acha nahi had say guzar jana حفیظ آغاز سے انجام تک رہزن نے پہنچایا اسی کو ہم سفر پایا اسی کو ہم سفر جانا hafeez agaz say anjam tak rehzan nay pounch...

Dost ban kar bhi nahin saath nibhane wala Wohi andaaz hai jaalim ka jamane wala!

Image
Dost ban kar bhi nahin saath nibhane wala Wohi andaaz hai jaalim ka jamane wala! Ab use log samajhte hain girftaar mera Sakht nadim hai mujhe daam mein laane wala! Subhadam chhod gaya nikhate-gul ki soorat Raat ko guncha-e-dil mein simat aane wala! Kya kahen kitne marasim the humare unse Wo jo ik shakhs hai munh fer k jane wala! Tere hote hue aa jati thi sari dunia Aaj tanhan hun to koi nai aane wala! Muntzir kiska hun tooti hui dehliz par main Kaun aayega yahan, kaun hai aane wala! Kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna Hai wohi mujhko sare-daar bhi lane wala! Maine dekha hai baharon mein chaman ko jalte Hai koi khwab ki taabeer batane wala! Tum takaluuf ko bhi ikhlas samjhte ho "Faraz" Dost hota nai har haath milane wala!

Pahlay gul Kay mizajon ko samjh lo Mohsin Phir gulistan main kisi gul say muhabbat karna

Image
پہلے گل کے مزاجوں کو سمجھ لو محسن پھر گلستاں میں کسی گل سے محبت کرنا محسن نقوی Pahlay gul Kay mizajon ko samjh lo Mohsin Phir gulistan main kisi gul say muhabbat karna Mohsin Naqvi

humen Khabar hai hum Ehal e Dil Ka muhabbaton Men Yeh Haal ho ga Bahaar Men Bhi Wo Habs ho ga Keh Saans Laina Muhaal ho ga

Image
humen Khabar hai hum Ehal e Dil Ka muhabbaton Men Yeh Haal ho ga Bahaar Men Bhi Wo Habs ho ga Keh Saans Laina Muhaal ho ga NaQoosh dhundla Gaye hAin Jis Kay, Khayaal Jis Ka dhuwaan dhuwaan hai woh Zard Patton Kay koray Kaghaz Pay Likhii koii Misaal ho ga Jo Naaptay hain musafaton Ko Lateef Jazbon Kii Shiddaten hain Kahin Saddii Saa'aton Kii Had Men Kahin Pay Lamha Bhi Saal ho ga mujhay hai Syaad Say woh Nisbat Keh mUjh Ko Manzoor hai Aseerii Qafas Kii Aaghosh Say Jo Nikla To Wus'aton Ka Wabaal ho ga tumharay Lehjay Ki Talkhiyon Ko bhUlla Kay Eik Bar Mil To loon Mein Magar Ho Itna Yaqeen mUjh Ko Bichar Kay tum Ko Malaal ho ga

Aysy sawan ki puhaar Jaisy khushbo ka sandysa Jaisy chahaton ka deep

Image
Aysy sawan ki puhaar Jaisy khushbo ka sandysa Jaisy chahaton ka deep Jaisy samundar mohabbat ka Jaisy hijr aur wisl k purkaif mausam Jaisy sooraj ki pehli Kiran Jaisy gulaab ki pankhari Jaisy motiyon ki Khushbo Agar ab bhi nahi manty tum tu suno Tum mery liye zindagi mein Basy ho Rooh ki manind

MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hai Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hai

Image
MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hai Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hai Ek Zamana Tha k Sab Aik Jagah Rehtay Thay Or Ab koi kahin, koi kahin Rehta Hai Jis ki Saanson Say Mo'atTar Thay Dar-o-Diwaar Terey, Aaye Makaan Bool, kahan Ab Woh Makeen Rehta hai? Rooz Milnay Pay Bhi Lagta Hay k Jagg Beet Gaye Ishq Main Waqt ka Ehsaas Nahin Rehta Hai DiL Afsurda Howa, Dekh kar Us ko MOHSIN Umar Bhar koun jawaan, Koun Haseen Rehta Hai.?

Aisa hai keh sab khwaab musalsal nahi hotay jo aaj to hotay hain magar kal nahi hotay

Image
Aisa hai keh sab khwaab musalsal nahi hotay jo aaj to hotay hain magar kal nahi hotay Ander ki fazaa'on kay karishmay bhi ajab hain, meenh toot kay barsay bhi to baadal nahi hotay Kuchh mushkilen aisi hain keh aasaan nahi hotiin kuchh aisay mu'ammay hain kabhi hal nahin hotay Shaaestagi-e gham kay sabab aankhon kay sehraa namnaak to ho jaatay hain jal-thal nahi hotay Kaisay he talaatum hon magar qulzum-e jaan men kuchh yaad jazeeray hain keh ojhal nahi hotay Ushhaaq ki maanind kaee ehal-e hawas bhi, paagal to nazar aatay hain paagal nahi hotay Sab khwaahishen poori hon "FARAZ" aisa nahi hai jaisay kaee ashaar mukammal nahi hotay!!!

Mita daale'n na mujhko chara-gar ye Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Main

Image
مٹا ڈالیں نہ مجھ کو چارہ گر یہ ہرا رہنا ہے مجھ کو' زخم ہوں میں کبھی ہارا ہوا سا حوصلہ ہوں کبھی امبر چھوئے وہ عزم ہوں میں ہوں ماں کے رحم میں آغازِ ہستی مگر ہر لحد میں پھر ختم ہوں میں میری تخلیق کی کوئ وجہ ہے یا پھر اک بے حقیقت رسم ہوں میں ہوں میں بھی اک صحیفہ آسمانی کہ ہر زرّے میں گویا رقم ہوں میں زویا راؤ Mita daale'n na mujhko chara-gar ye Hara rehna hai mujhko, zakhm hoo'n Main Kabhi haraa hua sa hausla hoo'n Kabhi ambar chhue wo azm hoo'n Main Hoo'n maa'n ke rehm mai aghaaz-e hasti Magar har lehd me phir khatm hoo'n Main Meri taqhleeq ki koi waja hai Ya phir ik be haqeeqat rasm hoo'n Main Hoo'n Mai bhi ik saheefa aasmani Ke har zarre me goya raqm hoo'n Main Zoya Rao