Posts

Showing posts from August, 2023

Jab Sitare Hi Nahi Mil Paaye Le Ke Hum Shams o Qamar Kia Karte

Image
Jab Sitare Hi Nahi Mil Paaye Le Ke Hum Shams o Qamar Kia Karte Parveen Shakir  

Sab Ne Diya Laqab Jise Aalam Panah Ka Tha Qatal e Aam Mashghala Uski Sipah Ka

Image
سب نے دیا لقب جسے عالم پناہ کا تھا قتلِ عام مشغلہ اس کی سپاہ کا Sab Ne Diya Laqab Jise Aalam Panah Ka Tha Qatal e Aam Mashghala Uski Sipah Ka جس کا مقام تھا کسی جاگیر سے بلند میں بن سکا مرید نہ اس بارگاہ کا Jis Ka Muqaam Tha Kisi Jageer Se Buland Main Ban Saka Mureed Na Us Bargaah Ka واعظ کی پارسائی میں شامل تھی بزدلی لیتا وہ کاش حوصلہ مجھ سے گناہ کا Wa'aiz Ki Paarsaai Mein Shamil Thi Buzdili Laita Woh Kaash Housla Mujh Se Gunah Ka کنکر پہ جب پڑا تو بنایا اسے گلاب سایا عجیب تھا وہ کسی کی نگاہ کا Kankar Peh Jab Pada Tou Banaya Usay Gulaab Saya Ajeeb Tha Woh Kisi Ki Nigah Ka سنتے ہیں اگلے دور کا معمار ہے وہی جو ذمے دار ہے مرے حالِ تباہ کا Sunty Hein Agly Daor Ka Ma'amaar Hai Wahi Jo Zama-Dar Hai Mere Haal e Tabah Ka موجود تھی قتیلؔ وہاں بھی منافقت اک غلغلہ بپا تھا جہاں واہ واہ کا Moujood Thi QATEEL Wahan Bhi Munafiqat Ik Ghulghulah Bapa Tha Jahan Wah Wah Ka   قتیل شفائی Qateel Shifai

Surmay Ka Til Bana Ka Rukh e La-Jawab Mein Nuqta Barhja Rahe Ho Khuda Ki Kitab Mein

Image
Surmay Ka Til Bana Ka Rukh e La-Jawab Mein Nuqta Barhja Rahe Ho Khuda Ki Kitab Mein   Bachpan Mein Ye Sawaal Qayamat Kab Aayegi Bandah Nawaz Aap Ke Ahd e Shabaab Mein   Ustad Qamar Jalalvi

Yeh Lamhe Ishq o Masti Ke Kabhi Paband Nahi Rehte Sada Khushian Nahi Rehtein Hamaisha Gham Nahi Rehte

Image
یہ لمحے عشق و مستی کے کبھی پابند نہیں رہتے صدا خوشیاں نہیں رہتیں ہمیشہ غم نہیں رہتے Yeh Lamhe Ishq o Masti Ke Kabhi Paband Nahi Rehte Sada Khushian Nahi Rehtein Hamaisha Gham Nahi Rehte ذرا دیکھو کے دروازے پہ دستک کون دیتا ہے محبت ہو تو کہہ دینا یہآں اب ہم نہیں رہتے Zara Daikho Keh Darwaze Peh Dastak Kon Daita Hai Muhabbat Ho Tou Keh Daina Yahan Ab Hum Nahi Rehte

Zehan Par Naqsh Ik Takhayul Se Be-Tahasha Hai Be-Panah Hai Muhabbat

Image
ذہہن پر  نقش اک  تخیّل سے  بے تحاشہ ہے بے پناہ ہے عشق Zehan Par Naqsh Ik Takhayul Se Be-Tahasha Hai Be-Panah Hai Muhabbat  شیزا جلالپوری Sheeza Jalalpori  

Itna Qareeb Paa Ke Usay , Dum Bakhud Tha Main Aisa Laga , Zameen Ki Gardish Thehar Gai

Image
اتنا قریب پا کے اُسے، دَم بخود تھا میں  ایسا لگا، زمین کی گردش ٹھہر گئی Itna Qareeb Paa Ke Usay , Dum Bakhud Tha Main Aisa Laga , Zameen Ki Gardish Thehar Gai

Urdu Bolan Wale Munday Tuun Kiah Janein

Image
اُردو بولن والے منڈے تُوں کیہ جانیں Urdu Bolan Wale Munday Tuun Kiah Janein وارث شاہ دی ہیر کہانی بُلھےشاہ دے پَیر دے گھنگرو شاہ حسین دی سُچل کافی آدم زاد دی پہلی معافی Waris Shah Di Heer Kahani Bullhay Shah Dy Pair Dy Ghunghro Shah Husain Di Sachal Kafi Aadam Zaad Di Pehli Mua'afi اُردو بولن والے  منڈے تُوں کیہ جانیں Urdu Bolan Wale Munday Tuun Kiah Janein چلدے کُھوہ دیاں وگدیاں ٹِنڈاں کھیتاں وچ کھلوتے بنّے اَوس فجر دی بانگ ڈِگر دی Chalday Kahvah Diyan Wagdian Tandan Khaitan Wich Khloty Bannay Aos Fajar Di Bang Dagar Di اردو بولن والے منڈیے تُوں کیہ جانیں Urdu Bolan Wale Munday Tuun Kiah Janein بَگی اکھ دا کالا سُرمہ صندل بانہہ وچ نچدا کنگن نک دی نتھلی سُر وچ وجدی پیار دی ونجھلی Bagi Akh Da Kala Surmah Sandal Banh Wich Nachda Kangan Nak Di Nathli Sur Wich Wajdi Piyar Di Wanjhli اردو بولن والے منڈے توں کیہ جانیں Urdu Bolan Wale Munday Tuun Kiah Janein فجراں دے وچ رِڑکی لسّی لسّی دے وچ تَردا مکھن شِکر دوپہرے بھخدی روٹی امب دی پھاڑی وچ تندور دے بُھنیا بینگن گُڑ گُڑ کردا شام دا حُقہ و...

Chaho tu meri aankhon ko aaenh bana lo Dekho tumhain aesa koi darpan nh mele ga

Image
چاھو تو میری آنکھوں کو آئینہ بنا لو دیکھو ، تمہیں ایسا کوئی درپن نہ ملے گا Chaho tu meri aankhon ko aaenh bana lo Dekho tumhain aesa koi darpan nh mele ga  

Dil Darya Samandaron Donghay Kon Dilan Diyan Jane Hoo Wichay Beday Wichay Jheday Wichay Wanjh Mahane Hoo

Image
دل دریا سمندروں ڈونگھے کون دلاں دیاں جانے ہُو وچے بیڑے وچے جھیڑے وچے ونجھ مہانے ہُو چودان طبق دلاں دے اندر جتھے عشق تمبو ونج تانے ہُو جو دل دا محرم ہووے باہو سوئی رب پچھانے ہُو چڑھ چناں تے کر رشنائی، ذکر کریندے تارے ہُو گلیاں دے وچ پھرن نمانے لعلاں دے ونجارے ہُو شالا مسافر کوئی نہ تھیوے ککھ جنہاں توں بھارے ہُو تاڑی مار اڈار نہ باہو،اساں آپے اُڈن ہارے ہُو میں کوجی میرا دلبر سوہنا ، میں کیونکر اس نوں بھانواں ہُو ویہڑے ساڈے وڑدا ناہیں پئی لکھ وسیلے پانواں ہُو ناں میں سوہنی ناں دولت پلّے ، کیوں کر یار مناواں ہُو ایہہ دکھ ہمیشاں رہسی باہو روندڑی ہی مر جاواں ہُو سے روزے سے نفل نمازاں ، سے سجدے کر کر تھکّے ہو سے واری مکے حج گزارن دل دی دوڑ نہ مکّے ہُو چل چلیئے ،جنگل بھوناں ، اس گل تھیں نہ پکے ہُو سبھے مطلب حاصل ہوندے باہو جد پیر نظر اک تکے ہُو حافظ پڑھ پڑھ کرن تکبر ، ملاں کرن وڈیائی ہُو ساون مانھ دے بدلاں وانگوں پھرن کتاباں چائی ہُو جتھے ویکھن چنگا چوکھا پڑھن کلام سوائی ہُو دوہیں جہانیں مٹھے باہو جنہاں کھادی ویچ کمائی ہُو زبانی کلمہ ہر کوئی پڑھدا ، دل دا پڑھدا کوئی ہُو جتھے کلمہ دل دا پڑھیئے ...

Tum Jo Hoty Tou Humain Kitna Sahara Hota Hum Ne Aoron Ko Na Yun Dukh Mein Pukara Hota

Image
تم جو ہوتے تو ہمیں کتنا سہارا ہوتا  ہم نے اوروں کو نہ یوں دکھ میں پکارا ہوتا Tum Jo Hoty Tou Humain Kitna Sahara Hota Hum Ne Aoron Ko Na Yun Dukh Mein Pukara Hota جتنی شدت سے میں وابستہ تھا تم سے فرحت کس طرح میرا ترے بعد گزارا ہوتا Jitni Shiddat Se Main Wabasta Tha Tum Se FARHAT Kis Tarah Mera Tere Ba'ad Guzara Hota مجھ کو یہ سوچ ہی کافی ہے جلانے کے لیے میں نہ ہوتا تو کوئی اور تمہارا ہوتا Mujh Ko Yeh Soch Hi Kafi Hai Jalany Ke Liye Main Na Hota Tou Koi Aur Tumhara Hota اور ہم بیٹھ کے خاموشی سے روئے جاتے شام ہوتی، کسی دریا کا کنارا ہوتا Aur Hum Baith Ke Khamoshi Se Roye Jaty Shaam Hoti, Kisi Darya Ka Kinara Hota دل سے دیکھی نہیں جاتی تھی خموشی گھر کی کس طرح اجڑا ہوا شہر گوارا ہوتا Dil Se Daikhi Nahi Jati Thi Khamoshi Ghar Ki Kis Tarah Ujda Hoa Shehar Gawara Hota چاند ہوتا کہ مری جان ستارہ ہوتا ہم نے اک تیرے سوا دل سے اتارا ہوتا Chand Hota Keh Meri Jaan Sitarah Hota Hum Ne Ik Tere Siwa Dil Se Utara Hota تو نے سوچا ہے کبھی کتنا محبت کے بغیر روح فرسا دل ویراں کا نظارا ہوتا   Tu Ne...

Ajeeb Husn Hai In Surakh Surakh Gaalon Mein Mai e Do Aatishah Bhar Di Hai Do Piyalon Mein

Image
عجیب حُسن  ہے  اِن  سُرخ  سُرخ  گالوں  میں مئے   دو   آتشہ  بھر  دی  ہے  دو  پیالوں  میں سُنیں   جو   آپ   تو  سونا   حرام   ہو    جائے تمام    رات   گُزرتی   ہے    جِن   خیالوں   میں اُمید  و  یاس  نے  جھگڑے  میں ڈال  رکھا  ہے نہ جینے والوں میں ہم ہیں نہ مرنے  والوں میں چمن میں گُل بھی حنا بھی مگر نصیب کی بات کوئی  تو  سر   چڑھے  کوئی  ہو  پائمالوں  میں نسیمِ    شمع    لحد    کو    ذرا    بچائے    ہوئے یہی   ہے   ایک  غریبوں  کے   رونے  والوں  میں یہاں  خزاں  کا  نہ  کھٹکا  نہ  خوف  گلچیں  کا بہار   ...

Na Jane kiya hai kise ke udaas aankhon mein Wo moun chupa ke bhi jaye Tu be wafa na lage

Image
نہ جانے کیا ہے کسی کی اداس آنکھوں میں وہ منہ چھپا کے بھی جائے تو بے وفا نہ لگے   Na Jane kiya hai kise ke udaas aankhon mein Wo moun chupa ke bhi jaye Tu be wafa na lage

Mana ke anmol ho kasrat e nayaab bhi ho tum Hum bhi woh log hain jo har dehleez peh nahin milte

Image
Mana ke anmol ho kasrat e nayaab bhi ho tum Hum bhi woh log hain jo har dehleez peh nahin milte

Lekhna Mere Mazar Ke Katbay Peh Yah Huroof Marhoom Zindagi Ki Herasat Mein Mar Gaya

Image
آخر وہ میرے قد کی بھی حد سے گزر گیا کل شام میں تو اپنے ہی سائے سے ڈر گیا Aakhir Woh Mere Qad Ki Bhi Had Se Guzar Gaya Kal Shaam Main Tou Apne Hi Saaye Se Dar Gaya مٹھی میں بند کیا ہوا بچوں کے کھیل میں جگنو کے ساتھ اس کا اجالا بھی مر گیا Mutthi Mein Band Kia Hoa Bachon KeKhail Mein Jugno Ke Saath Uska Ujala Bhi Mar Gaya کچھ ہی برس کے بعد تو اس سے ملا تھا میں دیکھا جو میرا عکس تو آئینہ ڈر گیا Kuch Hi Baras Ke Ba'ad Tou Us Se Mila Tha Main Daikha Jo Mera Aks Tou Aaina Dar Gaya ایسا نہیں کہ غم نے بڑھا لی ہو اپنی عمر موسم خوشی کا وقت سے پہلے گزر گیا Aisa Na Keh Gham Ne Barha Li Ho Apni Umar Mousam Khushi Ka Waqt Se Pehle Guzar Gaya لکھنا مرے مزار کے کتبے پہ یہ حروف  مرحوم زندگی کی حراست میں مر گیا Lekhna Mere Mazar Ke Katbay Peh Yah Huroof Marhoom Zindagi Ki Herasat Mein Mar Gaya قتیل شفائی Qateel Shifai  

Main Vaikhaan , Mera Yaar Na Vaikhay Je Main Na Vaikhaan Ty O Vaikhay

Image
Main Vaikhaan , Mera Yaar Na Vaikhay Je Main Na Vaikhaan Ty O Vaikhay Par Aida Bakht Kithon Liavaan Mere Vaikhan Dy Wich Vaikhay Maahi Tere Andar Rehinda Teno Avain Pain Pulaikhay Yaar FAREEDA ! Bohay Yaar Dy Mariye Panveen Vaikhay Ya Na Vaikhay

Bhanwar Ne Kaat Diye Silsilay Kinaron Ke Khizan Ne Rang Chura Hi Liye Baharon Ke

Image
Bhanwar Ne Kaat Diye Silsilay Kinaron Ke Khizan Ne Rang Chura Hi Liye Baharon Ke Ajeeb Qahat Pada Hai Keh Pait Bharne Ko Main Raaz Baichta Phirta Hon Apne Yaaron Ke

Mareez e Ishq Ka Kia Hai Jiya , Jiya , Na Jiya Hai Aik Sans Ka Jhagdah Liya , Liya ,Na Liya

Image
مریض عشق کاکیا ھے جیا ، جیا، نہ جیا ھے ایک سانس کا جھگڑا لیا، لیا، نہ لیا Mareez e Ishq Ka Kia Hai Jiya , Jiya , Na Jiya Hai Aik Sans Ka Jhagdah Liya , Liya ,Na Liya بدن" ھی آج، اگر "تار تار" ھے میرا" تو ایک چاکِ گریباں سیا، سیا، نہ سیا "Badan" Hi Aaj , Agar "Tar Tar" Hai Mera Tou Aik Chaak e Gareban Siya , Siya, Na Siya یہ اور بات کہ، تُو ہر راہِ خیال میں ھے کہ تیرا نام زباں سے لیا، لیا، نہ لیا Yeh Aur Baat Keh , Tu Har Rah e Khayal Mein Hai Keh Tera Nam Zuban Se  Liya , Liya , Na Liya میرے ھی نام پہ، آیا ہے جام محفل میں یہ اور بات کہ، میں نے پیا، پیا، نہ پیا Mere Hi Nam Peh , Aaya Hai Jaam Mehfil Mein Yeh Aur Baat Keh , Main Ne Piya , Piya , Na Piya یہ حالِ دل ھے صفی ، میں تو سوچتا ھی نہیں کہ کیوں کسی نے سہارا دیا، دیا، نہ دیا؟ Yeh Haal e Dil Hai SAFI , Main Tou Sochta Hi Nahi Keh Kion Kisi Ne Sahara Diya , Diya , Na Diya?   صفی لکھنوی Safi Lakhnovi

Sar e Mai-Khana Koi Paarsa Ab Tak Nahi Aaya Humain Peeny Pilany Ka Mazah Ab Tak Nahi Aaya

Image
سرِ  مَیخانہ  کوئی  پارسا اب تک نہیں آیا ھمیں  پِینے  پِلانـے  کا مزا اب تک نہیں آیا Sar e Mai-Khana Koi Paarsa Ab Tak Nahi Aaya Humain Peeny Pilany Ka Mazah Ab Tak Nahi Aaya کِیّا وَعدہ، مگــر وہ بـےوفا اب تک نہیں آیا خُدا مَعلوم کب تک آئے گا، اب تک نہیں آیا Kiya Wa'adah , Magar Woh Be-Wafa Ab Tak Nahi Aaya Khuda Ma'aloom Kab Tak Aaega , Ab Tak Nahi Aaya فَلک کی گردشیں حَیراں ھیں اُس کی بـے مِثالی پر کوئی  ایســـا  سِتمگر  دُوسرا اب تک نہیں آیا Falak Ki Gardishein Hairan Hein Uski Be-Misali Par Koi Aisa Sitamgar Dosra Ab Tak Nahi Aaya شَباب آیا، حِجاب آیا، ادائیں آ گئیں اُن کو نہیں  آیا  تو  اندازِ  وَفا  اب  تک  نہیں آیا Shabaab Aaya , Hijaab Aaya , Adaaein Aa Gaein Unko Nahi Aaya Tou Andaz e Wafa Ab Tak Nahi Aaya نِگاھیں اُن کی اُنھیں، گُھوم پِھر کر غَیر تک پُہنچیں مری  جانب  کــــــوئی  تیـرِ  قَضا  اب  تک  نہیں  آیا Nigahein Unki Unhein , Ghoom Phir Kar Ghair Tak ...

Main Aksar Usay Kehta Hon Tum Shor Buhat Machati Ho

Image
 میں اکثر اسے کہتا ھوں  تم شور بہت مچاتی ھو Main Aksar Usay Kehta Hon Tum Shor Buhat Machati Ho تب وہ مجھ سے کہتی ہے  جب کلائی تم میری پکڑو گے Tab Woh Mujh Se Kehti Hai Jab Kalaai Tum Meri Pakdogy  چوڑی تو میری کھنکے گی چوڑی کا شور تو ہوتا ہے Choodi Tou Meri Khanky Gi Choodi Ka Shor Tou Hota Hai جب پیار سے مجھے پکڑو گے  تب دوڑ کے میں تو آؤنگی Jab Piyar Se Mujhe Pakdogy Tab Dod Ke Main Tou Aaongi پھر پائل میری کھنکے گی پائیل کا شور تو ہوتا ہے Phir Paael Meri Khanky Gi Paael Ka Shor Tou Hota Hai  زلف میری سلجھاتے ہوئے جب گھگرے کو بکھراؤ گے Zulf Meri Suljhaty Hoe Jab Ghaghre Ko Bikhraogy  تب سانسیں میری مہکیں گی سانسوں کا شور تو ہوتا ہے Tab Sansein Meri Mehkeingi Sanson Ka Shor Tou Hota Hai  پیار سے اپنی باہوں میں تم  مجھ کو جب بساؤ گے Piyar Se Apni Banhon Mein Tum Mujh Ko Jab Pasaogy تب دل تو میرا دھڑکے گا  دھڑکن کا شور تو ہوتا ہے Tab Dil Tou Mera Dhadky Ga Dhadkan Ka Shor Tou Hota Hai

Chand Ko Chho Liya Kal Shab Mere Hum-Saaye Ne Aur Mere Ghasr Mein Andheron Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

Image
چاند کو چُھو لیا کل شب مِرے ہمسائے نے اور مِرے گھر میں اندھیروں کے سوا کچھ بھی نہیں Chand Ko Chho Liya Kal Shab Mere Hum-Saaye Ne Aur Mere Ghasr Mein Andheron Ke Siwa Kuch Bhi Nahi بھوک سے ماند پڑے ہیں مِرے بچے مِرے چاند اور مَیں خوش فہم بضد ہوں کہ ہُوا کچھ بھی نہیں Bhook Se Maand Paday Hein Mere Bachay Mere Chaand Aur Main Khush Faham Ba-Zid Hoon Keh Hoa Kuch Bhi Nahi میرا ہمسایہ نہیں مجھ سے زیادہ باعلم ہاں مگر اُس کی رہائش کا چلن بہتر ہے Mera Hum-Saya Nahi Mujh Se Ziyada Ba-Ilam Haan Magar Uski Rehaaeish Ka Chalan Behtar Hai میرے ہاں بھی ہیں کئی پھول مگر پژمُردہ اُس نے گھر میں جو کھلایا ہے چمن بہتر ہے Mere Haan Bhi Hein Kai Phool Magar Pajmurdah Us Ne Ghar Mein Jo Khilaya Hai Chaman Behtar Hai اب بھی ہے وقت کہ مَیں اپنا ہُنر پہچانوں اور اس گھر کی معیشت پہ کروں غور ذرا Ab Bhi Hai Waqt Keh Main Apna Hunar Pehchanon Aur Is Ghar Ki Ma'aeshiyat Peh Karon Ghor Zara اپنے احوال میں لے آؤں درستی اک بار اور پھر خود سے کہوں اور ذرا اور ذرا Apne Ahwal Mein Ly Aaon Darusti Ik Bar Aor Phir Khu...

​Kia Kare Meri Maseehaai Bhi Karne Wala Zakham Hi Yeh Mujhe Lagta Nahi Bharne Wala

Image
کیا کرے میری مسیحائی بھی کرنے والا​ زخم ہی یہ مجھے لگتا نہیں بھرنے والا​ ​Kia Kare Meri Maseehaai Bhi Karne Wala Zakham Hi Yeh Mujhe Lagta Nahi Bharne Wala زندگی سے کسی سمجھوتے کے باوصف اب تک​ یاد آتا ہے کوئی مارنے، مرنے والا​ ​Zindagi Se Kisi Samjhoty Ke Bawasaf Ab Tak Yaad Aata Hai Koi Marne , Marne Wala اُس کو بھی ہم تیرے کُوچے میں گزار آئے ہیں​ زندگی میں وہ جو لمحہ تھا سنورنے والا​ Usko Bhi Hum Tere Koochay Mein Guzar Aaye Hein ​Zindagi Mein Woh Jo Lamha Tha Sanwarne Wala اُس کا انداز سُخن سب سے جُدا تھا شاید​ بات لگتی ہوئی، لہجہ وہ مُکرنے والا​ ​Uska Andaz Sukhan Sab Se Juda Tha Shayed Baat Lagti Hoi , Lehja Woh Mukarne Wala شام ہونے کو ہے اورآنکھ میں اِک خواب نہیں​ کوئی اِس گھر میں نہیں روشنی کرنے والا ​ ​Shaam Hone Ko Hai Aur Aankh Mein Ik Khuwaab Nahi Koi Is Ghar Mein Nahi Roshni Karne Wala دسترس میں ہیں عناصر کے ارادے کس کے​ سو بِکھر کے ہی رہا کوئی بکھرنے والا​ ​Dastras Mein Hein Anasir Ke Iraday Kis Ke So Bikhar Ke Hi Raha Koi Bikharne Wala اِسی اُمّید پہ ہر شام بُجھائے ہیں چ...

Nh wo aks meri ghazal mein hai nh khayal mein nh Jamal mein Ese kes tarh se dekhaai keh wo rooh mein hai basa hua

Image
ﻧﮧ ﻭﮦ ﻋﮑﺲ ﻣﯿﺮﯼ ﻏﺰﻝ ﻣﯿﮟ ﮨﮯ ﻧﮧ ﺧﯿﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﻧﮧﺟﻤﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﺍﺳﮯ ﮐﺲ ﻃﺮﺡ ﺳﮯ ﺩﮐﮭﺎﺋﯿﮯ ﮐﮧ ﻭﮦ ﺭﻭﺡ ﻣﯿﮟ ﮨﮯ بسا ہوا Nh wo aks meri ghazal mein hai nh khayal mein nh Jamal mein Ese kes tarh se dekhaai keh wo rooh mein hai basa hua

Meri kismat me jo likhe the...unhi kanto se Dil ke zakhmo ko siya hai...koi afsos nahi

Image
Meri kismat me jo likhe the...unhi kanto se Dil ke zakhmo ko siya hai...koi afsos nahi

Shauq hi nahin raha khud ko sabit kerein Ab to jo aap ne samjh liya wahi hain hum

Image
Shauq hi nahin raha khud ko sabit kerein Ab to jo aap ne samjh liya wahi hain hum

Bajaae seene ky aankhon mein dil dharakta hai Ye intazar ky lamhe aajeeb hote hain

Image
Bajaae seene ky aankhon mein dil dharakta hai Ye intazar ky lamhe aajeeb hote hain

Dil 💞Se Yu hi Phool jharte rahe Alfazon ke

Image
Dil 💞Se Yu hi Phool jharte rahe Alfazon ke Kagzoon par Magar jazbaaton ko log nazar andaaz karte rahe

Sar Aashiqon Ke Aik Ishare Mein Gir Gaye Khanjar Ka Kaat Hai Teri Tirchi Nigah Mein

Image
سر عاشقوں کے ایک اشارے میں گر گئے خنجر کا کاٹ ہے تیری ترچھی نگاہ میں Sar Aashiqon Ke Aik Ishare Mein Gir Gaye Khanjar Ka Kaat Hai Teri Tirchi Nigah Mein

Aur Phir Kia Patah Kab Khench Ly Qabar Ka Andhera Mujhe Meri Zaat Se Wabasta Logo Mujhe Mua'af Kar Daina

Image
اور پھر کیا پتہ کب کھیچ لے قبر کا اندھیرا مُجھے میری ذات سے وابستہ لوگوں مُجھے معاف کردینا Aur Phir Kia Patah Kab Khench Ly Qabar Ka Andhera Mujhe Meri Zaat Se Wabasta Logo Mujhe Mua'af Kar Daina

Shehar e Wafa Mein Dhoop Ka Saathi Koi Nahi Soraj Saron Peh Aaya Tou Saaye Bhi Ghat Gaye

Image
Shehar e Wafa Mein Dhoop Ka Saathi Koi Nahi Soraj Saron Peh Aaya Tou Saaye Bhi Ghat Gaye Parveen Shakir

Roka Nahi Jo Hum Ne Tou Woh Bhi Nahi Ruka Is Sanhay Mein Apna Barabar Qasoor Hai

Image
Roka Nahi Jo Hum Ne Tou Woh Bhi Nahi Ruka Is Sanhay Mein Apna Barabar Qasoor Hai Atbaf Abrak

Da Khu Keday Na Shi Na Na Che Nangyali Ba Na Vi Du Pukhtano Miando Bachi Ba Vi Zmari Ba Na Vi

Image
دا خو كېدے نۀ شي نه نه چې ننګيالي بۀ نۀ وي د پښتنو  مياندو   بچي بۀ وي  زمري بۀ نۀ وي Da Khu Keday Na Shi Na Na Che Nangyali Ba Na Vi Du Pukhtano Miando Bachi Ba Vi Zmari Ba Na Vi د مرګ د خولې نه چې ژوند را نۀ وړي نو نۀ يى منم دا د ايمل او دريا خان بابا نمسي بۀ نۀ وي Du Marg Du Khuly Na Che Jwand Ra Navrri Nu Na Yaye Manam Da Aimal Ao Darya Khan Baba Namsi Ba Na Vi توره بۀ څنګ نۀ كوي څنګه بۀ مېدان نۀ ګټي چې عجب خان بۀ پېژني او توريالي بۀ نۀ وي Toora Ba Sang Na Kavi Sanga Ba Maidan Na Gati Che Ajab Khan Ba Pejani Ao Tooryali Ba Na Vi  ستا غلامي كۀ يى قبوله كړه د وخت مغله د وخت مغله دا د دې خاورې بچي بۀ نۀ وي Sta Ghulami Ku Ye Qaboola Karra Du Wakht Maghula Du Wakht Maghula Da Du De Khavre Bachi Ba Na Vi ظلم بۀ كېږي او د ظلم خلاف غږ بۀ نۀ وي زما ياران بۀ هلته مړۀ وي بېا ژوندي بۀ نۀ  وي Zulam Ba Kegi Ao Du Zulam Khilaf Ghag Ba Na Vi Zama Yaraan Ba Halta Marru Vi Jwandi Ba Na Vi ما تاته وې دا ځل اختر بۀ پۀ نامه اختر وي ما تاته وې د جونو لېچو كښې بنګړي بۀ نۀ وي ...

Mayosiyon Mein Deta Hai Paigham Zindagi

Image

Rukta Bhi Nahi Theek Se , Chalta Bhi Nahi Hai Yeh Dil Keh Tere Ba'ad , Sanbhalta Bhi Nahi Hai

Image
رُکتا بھی نہیں ٹھیک سے ، چلتا بھی نہیں ھے یہ دل کہ تیرے بعد ، سنبھلتا بھی نہیں ھے Rukta Bhi Nahi Theek Se , Chalta Bhi Nahi Hai Yeh Dil Keh Tere Ba'ad , Sanbhalta Bhi Nahi Hai اک عمر سے ھم اُس کی تمنا میں ھیں بے خواب وہ چاند جو آنگن میں ، اُترتا بھی نہیں ھے Ik Umar Se Hum Uski Tamanna Mein Hein Be-Khuwaab Woh Chand Jo Aangan Mein , Utarta Bhi Nahi Hai پھر دل میں تیری یاد کے ، منظر ھیں فروزاں ایسے میں کوئی ، دیکھنے والا بھی نہیں ھے Phir Dil Mein Teri Yaad Ke , Manzar Hein Firozaan Aise Mein Koi , Daikhny Wala Bhi Nahi Hai ھمراہ بھی خواھش سے ، نہیں رھتا ھمارے اور بامِ رفاقت سے ، اُترتا بھی نہیں ھے Humrah Bhi Khuwahish Se , Nahi Rehta Humare Aur Baam e Rafaqat Se , Utarta Bhi Nahi Hai اِس عمر کے صحرا سے ، تری یاد کا بادل ٹلتا بھی نہیں ، اور برستا بھی نہیں ھے Is Umar Ke Sahra Se , Teri Yaad Ka Badal Talta Bhi Nahi , Aur Barasta Bhi Nahi H ai نوشی گیلانی Noshi Gailani

Main Laakh mohteram the magar dhondti rahi Lazzat jo tere Shehar ki ruswayun mein thi

Image
Main Laakh mohteram the magar dhondti rahi Lazzat jo tere Shehar ki ruswayun mein thi Parveen Shakir

Mujhe Apne Zabt Peh Naaz Tha Sar e Bazam Raat Yeh Kia Hoa Meri Aankh Kaise Chalak Gai Mujhe Ranj Hai Yeh Bura Hoa

Image
مجھے اپنے ضبط پہ ناز تھا سر بزم رات یہ کیا ہوا  میری آنکھ کیسے چھلک گئی مجھے رنج ہے یہ برا ہوا Mujhe Apne Zabt Peh Naaz Tha Sar e Bazam Raat Yeh Kia Hoa Meri Aankh Kaise Chalak Gai Mujhe Ranj Hai Yeh Bura Hoa میری زندگی کے چراغ کا یہ مزاج کوئی نیا نہیں ابھی روشنی ابھی تیرگی نہ جلا ہوا نہ بجھا ہوا Meri Zindagi Ke Charagh Ka Yeh Mizaj Koi Naya Nahi Abhi Roshni Abhi Tergi Na Jala Hoa Na Bujha Hoa مجھے جو بھی دشمن جاں ملا وہی پختہ کار جفا ملا نہ کسی کی ضرب غلط پڑی، نہ کسی کا تیر خطا ہوا Mujhe Jo Bhi Dushman Jaan Mila Wahi Pukhta-Kar Jafa Mila Na Kisi Ki Zarb Ghalat Padi , Na Kisi Ka Teer Khata Hoa مجے آپ کیوں نہ سمجھ سکے یہ خود اپنے ہی دل سے پوچھیے میری داستان حیات کا تو ورق ورق ہے کھلا ہوا Mujhe Aap Kion Na Samajh Saky Yeh Khud Apne Hi Dil Se Poochiye Meri Dastan Hayat Ka Tou Warq Warq Hai Khula Hoa جو نظر بچا کے گزر گئے میرے سامنے سے ابھی ابھی یہ میرے ہی شہر کے لوگ تھے میرے گھر سے گھر ہے ملا ہوا Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye Mere Samny Se Abhi Abhi Ye Mere Hi Shehar Ke Log Thay Mere G...

Meri aankhon k daam pooray do Main ne khabon samait bechi hein

Image
Meri aankhon k daam pooray do Main ne khabon samait bechi hein

Kis se ja kar maangiye dard e mohabbat ki Dawa Chara e gar ab khud hi bechaaray aanay lagay

Image
Kis se ja kar maangiye dard e mohabbat ki Dawa Chara e gar ab khud hi bechaaray aanay lagay

Hum Aabla Paa ... Bandh Tou Sakty Nahi Ghunghroo Chalty Hein Udhar ... Log Jidhar Nachty Hein

Image
ھم آبلہ پا ۔۔۔ باندھ توسکتےنہیں گھنگھرو چلتےہیں ادھر ۔۔۔ لوگ جدھرناچ رہےہیں Hum Aabla Paa ... Bandh Tou Sakty Nahi Ghunghroo Chalty Hein Udhar ... Log Jidhar Nachty Hein

Lagi Hai Phir Sada Aik Baar Keh Sardar Badly Ga Firo'oni Sultanat Ka Bas Aik Kirdar Badly Ga

Image
Lagi Hai Phir Sada Aik Baar Keh Sardar Badly Ga Firo'oni Sultanat Ka Bas Aik Kirdar Badly Ga   Jis Qoum Ko Khud Par Jabar Sehny Ki Aadat Ho Wahan Kab Kuch Badla Hai Jo Is Bar Badly Ga

Sainkdon Aa Ke Rahy Dil Mein Gumaan Sari Raat Sach Kaho , Tum Ne Guzari Hai Kahan Sari Raat

Image
سینکڑوں آ کے رہے دل میں گُماں ساری رات سچ کہو، تم نے گزاری ہے کہاں ساری رات Sainkdon Aa Ke Rahy Dil Mein Gumaan Sari Raat Sach Kaho , Tum Ne Guzari Hai Kahan Sari Raat   ہر نَفَس پر تِری آہٹ کا گماں ساری رات دِل رہا تِری جانب نگراں ساری رات Har Nafas Par Teri Aahat Ka Gumaan Sari Raat Dil Raha Teri Janib Nigraan Sari Raat   جُستجُو میں تِری تھک ہار کے بیٹھا نہ گیا دِل جو دَھڑکا، تو رہے اشک رواں ساری رات Justjo Mein Teri Thak Haar Ke Baitha Na Gaya Dil Jo Dhadka , Tou Rahy Ashk Rawaan Sari Raat   غیر کو بزم میں غیبت کا بہانہ مِل جائے پھر تو لگ پاۓ نہ تالُو سے زباں ساری رات Ghair Ko Bazam Mein Gheebat Ka Bahana Mil Jaye Phir Tou Lag Paaye Na Taloo Se Zuban Sari Raat دو گھڑی بھی ہے غنیمت مِرے گھر میں رُکنا میں کہاں آپ کہاں اور کہاں ساری رات Do Ghadhi Bhi Hai Ghanimat Mere Ghar Mein Rukna Main Kahan Aap Kahan Aur Kahan Sari Raat   وہ سرِ شام ذرا دیر کو آ نکلے تھے جگمگاتا ہی رہا میرا مکاں ساری رات Woh Sar e Sham Zara Der Ko Aa Nikly Thay Jagmagata Hi Raha Mera Makaan Sari...

Hote Nahi Hein Khatam Muhabbat Ke Marhalay Banti Nahi Hai Baat Yahan Jaan Diye Baghair

Image
ہوتے نہیں ہیں ختم محبت کے مرحلے بنتی نہیں ہے بات یہاں جاں دیئے بغیر Hote Nahi Hein Khatam Muhabbat Ke Marhalay Banti Nahi Hai Baat Yahan Jaan Diye Baghair

Khuwaab Ke Sare Dareechon Se Judi Rehti Hai Yun Woh Be-Nam Galy Mujh Mein Bichi Rehti Hai

Image
خواب کے سارے  دریچوں سے جُڑی رہتی ہے یُوں وہ بے نام گلی مجھ میں بچھی رہتی ہے Khuwaab Ke Sare Dareechon Se Judi Rehti Hai Yun Woh Be-Nam Galy Mujh Mein Bichi Rehti Hai خود تو مَیں جا بھی چُکا جسم سے ہجرت کرکے آج کل مجھ میں فقط تیری کمی رہتی ہے Khud Tou Main Ja Bhi Chuka Jisam Se Hijrat Kar Ke Aaj Kal Mujh Mein Faqat Teri Kami Rehti Hai تُو یہاں ہے بھی نہیں پھر بھی یہاں ہے اتنا میرے ہر سمت تری بِھیڑ لگی رہتی ہے Tu Yahan Hai Bhi Nahi Phir Bhi Yahan Hai Itna Mere Har Simat Teri Bheed Lagi Rehti Hai   اپنے کم گو سے مجھے کرنی ہو جب گفت و شُنید بات تو بنتی نہیں، جاں پہ بنی رہتی ہے Apne Kam-Go Se Mujhe Karni Ho Jab Guft o Shuneed Baat Tou Banti Nahi , Jaan Peh Bani Rehti Hai   رحمان فارس Rehman Faris

Iss se andaaza laga hijr ki karwahat ka Aakhri khat tera deemak se bhi khaya na gaya

Image
Iss se andaaza laga hijr ki karwahat ka Aakhri khat tera deemak se bhi khaya na gaya

Muskuraane ke zamaaney guzar gaye Sahib Waqt dafna gaya meray shauq bhi meray zouq bhi

Image
Muskuraane ke zamaaney guzar gaye Sahib Waqt dafna gaya meray shauq bhi meray zouq bhi

Itni shiddat ki bagawat hai meray jazbon mein Main kisi roz mohabbat se mukar jaaon ga

Image
Itni shiddat ki bagawat hai meray jazbon mein Main kisi roz mohabbat se mukar jaaon ga Jaun Elia

Hum se bhaaga na karo door ghazalon ki tarah Hum ne chaaha hai tumhein chahne walon ki tarah

Image
Hum se bhaaga na karo door ghazalon ki tarah Hum ne chaaha hai tumhein chahne walon ki tarah

Hazaron mashgale hain jo mujhe masroof rakhte hain Magar Mohsin wo aisa hai keh phir bhi yaad aata hai

Image
Hazaron mashgale hain jo  mujhe masroof rakhte hain Magar Mohsin wo aisa hai keh phir bhi yaad aata hai Mohsin Naqvi

Tazah-Dum Phoolon Ka Gul-Dan Jahan Rakhty Hein Teri Tasweer Tasawar Mein Wahan Rakhty Hein

Image
تازہ دم  پھولوں کا  گلدان جہاں رکھتے ہیں تیری  تصویر  تصور  میں  وہاں  رکھتے ہیں   Tazah-Dum Phoolon Ka Gul-Dan Jahan Rakhty Hein Teri Tasweer Tasawar Mein Wahan Rakhty Hein   کسمسانا  بھی  نہیں  بات  بگڑنے  کا  سبب پیکرِ حُسن  تو  انکار  میں  ہاں  رکھتے ہیں   Kasmasana Bhi Nahi Baat Bigadny Ka Sabab Paikar e Husn Tou Inkar Mein Haan Rakhty Hein

Mujh Ko Bhi Tarkeeb Sekha Yaar Jolahy Aksar Tujh Ko Daikha Hai Keh Tana Bunty

Image
گلزار کی اِس نظم میں وہ دُکھ اور کَرب واضح ھے جو انہیں فلم سٹار رَاکھی سے شادی کے کچھ ھی عرصے بعد علیحدگی کی صُورت میں ملا۔ کیا ھی کمال تشبیہ چنی گلزار نے اِس کے اظہار کیلیے جو کہ اُنہی کا خاصہ ھے اور ایسا وھی لکِھ سکتے ھیں۔ اعتراف AITERAAF مجھ کو بھی ترکیب سِکھا ، کوئی یار جَولاھے اکثر تُجھ کو دیکھا ھے کہ تانا بُنتے جب کوئی تاگا ٹُوٹ گیا ، یا ختم ھُوا پھر سے باندھ کے ، اور سِرا کوئی جوڑ کے اُس میں آگے بُننے لگتے ھو Mujh Ko Bhi Tarkeeb Sekha Yaar Jolahy Aksar Tujh Ko Daikha Hai Keh Tana Bunty Jab Koi Tagah Toot Gaya , Ya Khatam Hoa Phir Se Bandh Ke , Aur Sira Koi Jod Ke Us Mein Aagay Bun'ny Lagty Ho تیرے اس تانے میں ، لیکن ایک بھی گانٹھ گرہ بُنتر کی دیکھ نہیں سکتا ھے کوئی Tere Is Tany Mein , Lekin Aik Bhi Gaanth Girah Buntar Ki Daikh Nahi Sakta Hai Koi میں نے تو ایک بار بُنا تھا ، ایک ھی رِشتہ لیکن اُس کی ساری گرھیں صاف نظر آتی ھیں میرے یار جولاھے Main Ne Tou Aik Baar Buna Tha , Aik Hi Reshtah Lekin Uski Sari Gihein Saaf Nazar Aati Hein مجھ کو بھی ترکیب سِکھا ، کوئی یار جولاھے Mujh...

Ishq Resham Se Buni Shaal Hai , Aahista Chho Aik Dhagah Jo Khuly , Shaal Udhad Jati Hai

Image
عشق ریشم سے بُنی شال ہے، آہستہ چُھو ایک دھاگہ جو کُھلے، شال اُدھڑ جاتی ہے آپ پوشاک اُدھڑنے پہ ہیں گھبرائے ہوئے؟ صاحب ! عشق میں تو کھال اُدھڑ جاتی ہے Ishq Resham Se Buni Shaal Hai , Aahista Chho Aik Dhagah Jo Khuly , Shaal Udhad Jati Hai Aap Poshak Udhardny Peh Hein Ghabraye Hoe? Sahib ! Ishq Mein Tou Khaal Udhad Jati Hai