Posts

Showing posts from September, 2023

Woh Yun Mila Keh Maa Ki Duaoun Ki Tarah Tha Ik Shakhs Ghani Dhoop Mein Chhaoun Ki Tarah Tha

Image
مطلع میرے ایک محسن کی نذر Matla Mere Aik Muhsin Ki Nazar   وہ یُوں مِلا  کہ ماں کی دُعاؤں کی طرح تھا اک شخص گھنی دُھوپ میں چھاؤں کی طرح تھا Woh Yun Mila Keh Maa Ki Duaoun Ki Tarah Tha Ik Shakhs Ghani Dhoop Mein Chhaoun Ki Tarah Tha   بُھولا نہیں ہے دل  کبھی اُسکی عِنایتیں ہر دُکھ میں مہربان وہ ماؤں کی طرح تھا Bhoola Nahi Hai Dil Kabhi Uski Inayatein Har Dukh Mein Meharban Woh Maaoun Ki Tarah Tha   چلتا تھا میرے ساتھ کسی سمت میں چلوں وہ  صُبح کی دبیز  ہواؤں کی طرح تھا Chalta Tha Mere Saath Kisi Simt Main Chalon Woh Subah Ki Dabeez Hawaoun Ki Tarah Tha   اک پل میں مہربان تو اک پل میں اجنبی موسم شہر کا تیری اداؤں کی طرح تھا Ik Pal Mein Meharban Tou Ik Pal Mein Ajnabi Mousam Shehar Ka Teri Adaaoun Ki Tarah Tha   ارشد سنائی دیتی نہیں حس بھی اُن کی اب کچھ لوگ جن کا لہجہ خُداؤں کی طرح تھا ARSHAD Sunaai Daiti Nahi Hes Bhi Unki Ab Kuch Log Jin Ka Lahjah Khudaoun Ki Tarah Tha   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Woh Nahosat Hai Keh Ghar Baar Se Dar Lagta Hai Is Makan Ke Dar o Deewar Se Dar Lagta Hai

Image
وہ نحوست ہے کہ گھر بار سے ڈرلگتا ہے اس مکاں کے درودیوار سے ڈر لگتا ہے Woh Nahosat Hai Keh Ghar Baar Se Dar Lagta Hai Is Makan Ke Dar o Deewar Se Dar Lagta Hai تیرے انکار کو سہہ لوں گا یقیں ہے مجھ کو پر ترے پیار کے اقرارِ سے ڈر لگتا ہے Tere Inkar Ko Seh Loonga Yaqeen Hai Mujh Ko Par Tere Piyar Ke Iqrar Se Dar Lagta Hai   پاس آتا ہے تو بند ہوتی ہیں سانسیں میری جانے کیوں مجھ کو ترے پیار سے ڈر لگتا ہے Paas Aata Hai Tou Band Hoti Hein Saansein Meri Jane Kiyun Mujh Ko Tere Piyar Se Dar Lagta Hai   خوف آتا نہیں گر سامنے آئے دُشمن پُشت پر دوست کے ہی وار سے ڈر لگتا ہے Khaof Aata Nahi Gar Samne Aaye Dushman Pusht Par Dost Ke Hi Waar Se Dar Lagta Hai   مجھ کو دنیا سے بہت پیار تھا لیکن ارشد ڈھل گئی عُمر تو سنسار سے ڈر لگتا ہے Mujh Ko Dunya Se Buhat Piyar Tha Lekin ARSHAD Dhal Gai Umar Tou Sansaar Se Dar Lagta Hai   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Tay Hai Ab Aisa Nahi Ho Sakta Woh Kabhi Mera Nahi Ho Sakta

Image
طے ہے اب ایسا نہیں ہو سکتا وہ کبھی میرا نہیں ہو سکتا Tay Hai Ab Aisa Nahi Ho Sakta Woh Kabhi Mera Nahi Ho Sakta تو نے جو چاہا ہوا ہے ممکن میں نے جو سوچا نہیں ہو سکتا Tu Ne Jo Chaha Hoa Hai Lekin Main Ne Jo Socha Nahi Ho Sakta جانتا ہوں کہ حسیں ہے لیکن خواب یہ پُورا نہیں ہو سکتا Janta Hoon Keh Haseen Hai Lekin Khuwaab Yeh Pora Nahi Ho Sakta ساتھ رہتی ہیں ہمیشہ یادیں میں کبھی تنہا نہیں ہو سکتا Saath Rehti Hain Hamaisha Yaadein Main Kabhi Tanha Nahi Ho Sakta تو نہ چاہے تو نہیں کچھ ممکن اور چاہے تو کیا نہیں ہو سکتا Tu Na Chahe Tou Nahi Kuch Mumkin Aur Chahe Tou Kia Nahi Ho Sakta کس لیے سوچنا پہروں اُس کو جو کبھی اپنا نہیں ہو سکتا Kis Liye Sochna Pehron Usko Jo Kabhi Apna Nahi Ho Sakta بے وفا اور وہ مجھ سے ارشد؟ ہو نہیں سکتا نہیں ہو سکتا Be-Wafa Aur Woh Mujh Se ARSHAD Ho Nahi Sakta Nahi Ho Sakta مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Aawaara Ik Khayal Tha Taqseer Ban Gaya Ik Khaof Mere Khuwaab Ki Ta'abeer Ban Gaya

Image
وارہ اک خیال تھا تقصیر بن گیا اک خوف میرے خواب کی تعبیر بن گیا Aawaara Ik Khayal Tha Taqseer Ban Gaya Ik Khaof Mere Khuwaab Ki Ta'abeer Ban Gaya   کمزور ساعتوں میں کیا ایک فیصلہ پھر یوں ہوا کہ وہ میری تقدیر بن گیا Kamzor Saa'aton Mein Kia Aik Faisla Phir Yun Hoa Keh Woh Meri Taqdeer Ban Gaya   اک خوشنما سراب تھا وہ سبز رنگ کا کاغذ لپٹ کے پاؤں کی زنجیر بن گیا Ik Khushnuma Saraab Tha Woh Sabz Rang Ka Kaghaz Lipat Ke Paavun Ki Zanjeer Ban Gaya   موہوم ہو گئی ہیں ادائیں وہ دلنشیں اتنا ہوا ہے  دُور کہ تصویر بن گیا Marhom Ho Gai Hein Adaaein Woh Dil-Nasheen Itna Hoa Hai Door Keh Tasweer Ban Gaya   احساس تب ہوا مری تکلیف کا اُنہیں کانٹا جب اُن کی آنکھ میں شہتیر بن گیا Ihsas Tab Hoa Meri Takleef Ka Unhein Kanta Jab Unki Aankh Mein Shahteer Ban Gaya   اُردو میں کیا کمال ہے اسلُوب درد کا ارشد غزل کا شہنشاہ مِیر بن گیا Urdu Mein Kia Kamaal Hai Aslob DARD Ka ARSHAD Ghazal Ka Shahinsha MEER Ban Gaya   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Hum Ne Hos Ko Ishq Mein Paishah Nahi Kia Da'awat Labon Ne Di Bhi Tou Bosa Nahi Kia

Image
 ہم نے ہوس کو عشق میں پیشہ نہیں کیا دعوت لبوں نے دی بھی تو بوسہ نہیں کیا Hum Ne Hos Ko Ishq Mein Paishah Nahi Kia Da'awat Labon Ne Di Bhi Tou Bosa Nahi Kia شاید اُسے یقین تھا آؤں گا لوٹ کر بند اُس نے گھر کا ایک جھروکہ نہیں کیا Shayed Usay Yaqeen Tha Aaounga Laot Kar Band Us Ne GHar Ka Aik Jharokah Nahi Kia اک تم ہی اُس کا مان تھے کُل کائنات میں وہ شخص جس پہ تم نے بھروسہ نہیں کیا Ik Tum Hi Uska Maan Thay Kul Laainaat Mein Woh Shakhs Jis Peh Tum Ne Bharosa Nahi Kia تُم ہی نہ پڑھ سَکے دلِ شفّاف کا لکھا ہم نے تو دُشمنوں سے بھی دھوکہ نہیں کیا Tum Hi Na Parh Saky Dil e Shafaaf Ka Lekha Hum Ne Tou Dushmanon Se Bhi Dhokah Nahi Kia جاتا نہیں فقیر یہ ہر در پہ مانگنے ظالم کے سامنے کبھی کاسہ نہیں کیا Jata Nahi Faqeer Yeh Har Dar Peh Mangne Zalim Ke Samne Kabhi Kasa Nahi Kia سجدہ کیا ہے صرف خدا کے حضور میں طاقت کے ہر مقام کو قبلہ نہیں کیا Sajdah Kia Hai Sirf Khuda Ke Huzoor Mein Taqat Ke Har Muqam Ko Qibla Nahi Kia ارشد بُھلا نہ پاۓ وہ لمحہ وصال کا کیا اس نے کبھی یاد وہ لمحہ نہیں کیا ARSHAD B

Sanwara Haathon Se Apne Badi Muhabbat Se Tujhe Banaya Hai Us Ne Buhat Hi Fursat Se

Image
سنوارا ہاتھوں سے اپنے بڑی محبّت سے تُجھے بنایا ہے اُس نے بہت ہی فرصت سے Sanwara Haathon Se Apne Badi Muhabbat Se Tujhe Banaya Hai Us Ne Buhat Hi Fursat Se   کروں بیان کیا انمول حُسن کا تیرے کہ قدر ہوتی ہے معلوم شہ کی قیمت سے Karon Bayan Kia Anmol Husn Ka Tere Keh Qadar Hoti Hai Ma'alom Shah Ki Qeemat Se   کرے غرور تو جائز بھی ہے اُسے شاید وہ خوش نصیب جِسے مل گیا تُو قسمت سے Kare Ghuroor Tou Jaiz Bhi Hai Usay Shayed Woh Khush Naseeb Jise Mil Gaya Tou Qismat Se   کسی بہانے سہی میری ڈیوڑھی آؤ کبھی تو بات کریں دل کی کوئی فرصت سے Kisi Bahane Sahi Meri Devdhi Aao Kabhi Tou Baat Karein Dil Ki Koi Fursat Se پُرانا دوست وہ مجھ کو عزیز ہے ارشد جو کال کرتا ہے مُجھ کو مگر ضرورت سے Purana Dost Woh Mujh Ko Azeez Hai ARSHAD Jo Call Karta Hai Mujh Ko Magar Zaroorat Se   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Dua Se Aur Muradon Se Aas Rehti Hai Nahi Tou Zindagi Yun Hi Naras Rehti Hai

Image
دُعا سے اور مُرادوں سے آس رہتی ہے نہیں تو زندگی یوں ہی نِراس رہتی ہے Dua Se Aur Muradon Se Aas Rehti Hai Nahi Tou Zindagi Yun Hi Naras Rehti Hai   تو ایک پھول میری دسترس سے ہے باہر ترے خیال کی خوشبو تو پاس رہتی ہے Tu Aik Phool Meri Dastras Se Hai Bahir Tere Khayal Ki Khusbo Tou Paas Rehti Hai   بِچھڑ کے اُس سے کہیں دل نہیں لگا اپنا سنا ہے اِن دنوں وہ بھی اُداس رہتی ہے Bichad Ke Us Se Kahein Dil Nahi Laga Apna Suna Hai In Dino Woh Bhi Udaas Rehti Hai   شراب ِ دید کی لذت سے جی نہیں بھرتا پِلا بھی دیتا ہے ساقی تو پیاس رہتی ہے Sharaab Deed Ki Lazzat Se Jee Nahi Bharta Pila Bhi Daita Hai Saqi Tou Piyas Rehti Hai   غزل میں ذائقہ اردو کا گُھل گیا ارشد سماعتوں میں یہ کیسی مِٹھاس رہتی ہے Ghazal Mein Zaiqah Urdu Ka Ghul Gaya ARSHAD Sama'aton Mein Yeh Kaisi Mithas Rehti Hai   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Pathar Nahi Hai Aankh Teri Phir Bhi Nam Nahi Barbadiyun Ka Meri Tujhe Koi Gham Nahi

Image
پتّھر نہیں ہے آنکھ تری پھر بھی نَم نہیں بربادیوں کا میری تجھے کوئی غم نہیں Pathar Nahi Hai Aankh Teri Phir Bhi Nam Nahi Barbadiyun Ka Meri Tujhe Koi Gham Nahi مانگا ہے ہر جنم کے لئے تجھ کو بار بار ملنا ہے اس جنم میں یا کوئی جنم نہیں Manga Hai Har Janam Ke Liye Tujh Ko Bar Bar Milna Hai Is Janam Mein Ya Koi Janam Nahi بیتے ترے بغیر تو بے کار ہے یہ عُمر گُزرے جو تیرے ساتھ تو لمحہ بھی کم نہیں Beetay Tere Baghair Tou Be-Kar Hai Yeh Umar Guzre Jo Tere Saath Tou Lamha Bhi Kam Nahi باہم تو کر چُکے ہیں بچھڑنے کا فیصلہ دونوں کے جانے کس لیے اُٹھتے قدم نہیں Baham Tou Kar Chuky Hein Bichadnay Ka Faislah Dono Ke Jane Kis Liye Uthtay Qadam Nahi   لِکھتا ہے کوئی اور یہاں دل کے فیصلے ارشد ہمارے ہاتھوں میں لوح و قلم نہیں Lekhta Hai Koi Aur Yahan Dil Ke Faisly ARSHAD Humare Haathon Mein Loh o Qalam Nahi   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Shouq Tha Unko Khud-Numaai Ka Toq Mujh Ko Mila Buraai Ka

Image
شُوق تھا اُن کو خُودنُمائی کا طَوق مُجھ کو مِلا بُرائی کا Shouq Tha Unko Khud-Numaai Ka Toq Mujh Ko Mila Buraai Ka   ہاتھ اُس نے چُھڑایا تب جانا زور نازُک سی اُس کلائی کا Haath Us Ne Chudaaya Tab Jana Zor Nazuk See Us Kalaai Ka فیصلہ ہم نے کر لیا لیکن مرحلہ سخت تھا جُدائی کا Faisla Hum Ne Kar Liya Lekin Marhala Sakht Tha Judaai Ka   اسکی رحمت پہ کر یقیں زاہد چھوڑ  دے ڈھونگ پارسائی کا Uski Rehmat Peh Kar Yaqeen Zahid Chod Dy Dhong Paarsaai Ka   اُن کا الزام میں ہوں ہرَجائی مُجھ کو شِکوہ ہے نارسائی کا Unka Ilzam Main Hon Harjaai Mujh Ko Shikwah Hai Na-Rasaai Ka   کِس لئے دل کو اسقدر دُکھ ہے صرف اک شخص کی جُدائی کا Kis Liye Dil Ko Is Qadar Dukh Hai Sirf Ik Shakhs Ki Judaai Ka   سامنے آ گئی اجل ارشد حُکم ملتا ہے کب رہائی کا Samne Aa Gai Ajal ARSHAD Hukam Milta Hai Kab Rehaai Ka   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Tu Samne Ho Tou Main Khud Ko Bhool Jata Hon Chupa Ke Dard Ko Seenay Mein Muskurata Hon

Image
تو سامنے ہو تو میں خُود کو بُھول جاتا ہوں چُھپا کے درد کوسینے میں مسکراتا ہوں Tu Samne Ho Tou Main Khud Ko Bhool Jata Hon Chupa Ke Dard Ko Seenay Mein Muskurata Hon   میں تھک گیا ہوں دُعا اور اب نہیں کرتا تجھے خبر ہے خدایا میں جو بھی چاہتا ہوں Main Thak Gaya Hon Dua Aur Ab Nahi Karta Tujhe Khabar Hai Khudaya Main Jo Bhi Chahta Hon   عجیب بات ہے دیکھا نہیں کبھی تجھ کو  نظر اُٹھاؤں جدھر صرف تجھ کو پاتا ہوں Ajeeb Baat Hai Daikha Nahi Kabhi Tujh Ko Nazar Uthaoun Jidhar Sirf Tujh Ko Paata Hon   میں کُوچہ کُوچہ پھرا ہوں نجانے کیوں پھر بھی ہمیشہ لوٹ کے بس تیرے در پہ آتا ہوں Main Koocha Koocha Phira Hon Najane Kion Phir Bhi Hamaisha Laot Ke Bas Tere Dar Peh Aata Hon یہ ڈور پیار کی اُتنی اُلجھ گئی ارشد نکلنا چاہوں میں جتنا اُلجھتا جاتا ہوں Yeh Dor Piyar Ki Utni Ulajh Gai ARSHAD Nikalna Chahon Main Jitna Ulajhta Jata Hon   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

ZINDAGI AB KE MERA NAM NAH SHAMIL KARNA GAR YEH TAY HAI KEH YAHI KHAIL DOBARAH HOGA

Image
ZINDAGI AB KE MERA NAM NAH SHAMIL KARNA GAR YEH TAY HAI KEH YAHI KHAIL DOBARAH HOGA WASI SHAH

Mujhe ache log bahut mile Main toh unke qarz say mar gaya Agar ho sake toh kabhi Kharaab bankar mila karo

Image
Mujhe ache log bahut mile Main toh unke qarz say mar gaya Agar ho sake toh kabhi Kharaab bankar mila karo

Aisa Nahi Keh Gham Ne Badha Li Ho Apni Umar Mausam Khushi Ka Waqt Se Pehle Guzar Gaya

Image
Aisa Nahi Keh Gham Ne Badha Li Ho Apni Umar Mausam Khushi Ka Waqt Se Pehle Guzar Gaya

Bichhar jaaon to phir raasta teri yaadon se jorrun gi Mujhe zid hai main jeenay ka koi mauqa nahin chorrun gi

Image
Bichhar jaaon to phir raasta teri yaadon se jorrun gi Mujhe zid hai main jeenay ka koi mauqa nahin chorrun gi Mohabbat mein talab kaisi Wafadaari ki shartein kya Tu mera ho na ho..to koi gham nahi Teri yaado ko apni jageer samjhungi

Lizzat e Wasal e Sanam Se Jab Badan Toota Sa Tha Woh Haqeeqat Thi Guman Tha Ya Koi Sapna Sa Tha

Image
یہ غزل کالج کے آخری سال میں لکھی تھی غالباً. ١٩٧٩ لذتِ وصلِ صنم سے جب بدن ٹُوٹا سا تھا وہ حقیقت تھی گُماں تھا یا کوئی سپنا سا تھا Lizzat e Wasal e Sanam Se Jab Badan Toota Sa Tha Woh Haqeeqat Thi Guman Tha Ya Koi Sapna Sa Tha جو بظاھر تھا چِٹانوں کی طرح مضبوط سا اپنے اندر کے جہاں میں کس قدر بِکھرا سا تھا Jo Bazahir Tha Chatano Ki Tarah Mazboot Sa Apne Andar Ke Jahan Mein Kis Qadar Bikhra Sa Tha دل سے ارمانوں کی ساری بستیاں لے کر چلا آنکھ سے بہتا ہوا جیسے کوئی دریا سا تھا Dil Se Armanon Ki Sari Bastiyan Le Kar Chala Aankh Se Behta Hoa Jaise Koi Darya Sa Tha تم سے کیا بچھڑے شہر بھر سے شناسائی گئی میں ہجومِ واقفاں میں بھی عجب تنہا سا تھا Tum Se Kia Bichday Shehar Bhar Se Shanasaai Gai Main Hujoom Waqifan Mein Bhi Ajab Tanha Sa Tha ارشد اُسکو دیکھ کر سب یاد آتا ہے ہمیں اجنبی بن کر ملا ہے جو کبھی اپنا سا تھا ARSHAD Usko Daikh Kar Sab Yaad Aata Hai Humain Ajnabi Ban Kar Mila Hai Jo Kabhi Apna Sa Tha مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig

Roz Daikha Hai Shafaq Se Woh Pighalta Sona Roz Socha Hai Keh Tum Mere Ho Mere Ho Na

Image
روز دیکھا ہے شفق سے وہ پگھلتا سونا روز سوچا ہے کہ تم میرے ہو میرے ہو نا میں تو اک کانچ کے دریا میں بہی جاتی ہوں کھنکھاتے ہوئے ہم راز مجھے سن لو نا میں نے کانوں میں پہن لی ہے تمہاری آواز اب مرے واسطے بیکار ہیں چاندی سونا میری خاموشی کو چپکے سے سجا دو آ کر اک غزل تم بھی مرے نام کبھی لکھو نا روح میں گیت اتر جاتے ہیں جیسے خوشبو گنگناتی سی کوئی شام مجھے بھیجو نا چاندنی اوس کے قطروں میں سمٹ جائے گی تیرگی صبح سویرے میں کہیں کھو دو نا پھر سے آنکھوں میں کوئی رنگ سجا لوں نیناںؔ کب سے خوابوں کو یہاں بھول گئی تھی بونا فرزانہ نیناں

Apne asab peh talkhi nahein outari jaaye Zindagi aik hai bharpor guzari jaaye

Image
Apne asab peh talkhi nahein outari jaaye Zindagi aik hai bharpor guzari jaaye

Yunhi anjanay main us say rafaqat ho gai Dosti karnay chalay aur us say chahat ho gai

Image
Yunhi anjanay main us say rafaqat ho gai Dosti karnay chalay aur us say chahat ho gai wo na ho to main khud say hi ulajhta hoon kia karo mujhay us ki Aadat ho gai Main apnay vajood mein us ko talaash karta hoon Mujhe us say is qadar muhabbat ho gai Mere pass Aao to jee loon do pal Meri to har saans us ki amaanat ho gai Main sochta tha us k aagay zindagi kia hai Per usy chahne kay Liye zindagi ki zaroorat ho gai  

Rooh Mein Shaamil Hai Faqatt Nas Nas Mein Nahien Woh,Ik Shakhs Jo

Image
Rooh Mein Shaamil Hai Faqatt Nas Nas Mein Nahien Woh,Ik Shakhs Jo Meri Dastaras Mein Nahien Hall Yahi Hai Keh Bhool  Jaoun Ussey Aur Ik Yahi Baat Merey Bass Mein Nahien

Iss qadar yaad hai 'apne the sabhi Kis ne kya chal chali ' Yaad nahi

Image
" Iss qadar yaad hai 'apne the sabhi  Kis ne kya chal chali ' Yaad nahi "

Tumein Bhi Piyar Hai Dil Ko Tatol Kar Daikho Kawad Rooh Ke Andar Se Khol Kar Daikho

Image
تمھیں بھی پیار ہے دل کو ٹٹول کر دیکھو کِواڑ رُوح کے اندر سے کھول کر دیکھو Tumein Bhi Piyar Hai Dil Ko Tatol Kar Daikho Kawad Rooh Ke Andar Se Khol Kar Daikho   نجانے کب سے کوئی منتظر ہے چوکھٹ پہ کہ ایک بار کبھی ہاں تو بول کر دیکھو Najane Kab Se Koi Muntazir Hai Choukhat Peh Keh Aik Baar Kabhi Haan Tou Bol Kar Daikho   گِراں نہیں ہے محبّت کا یہ حسیں سودا وَفا کو عِشق کے پلڑے میں تول کر دیکھو Garan Nahi Hai Muhabbat Ka Yeh Haseen Saoda Wafa Ko Ishq Ke Palday Mein Tol Kar Daikho   خرید لیتے ہو یوسف کو چند دِرہم میں زُلیخا بن کے کبھی اُسکا مول کر دیکھو Khareed Laite Ho YOUSAF Ko Chand Darham Mein Zulaikha Ban Ke Kabhi Uska Mol Kar Daikho   مِٹھاس عِشق کی ارشد غزل میں بَس جاۓ سُخن میں شہد محبّت کا گھول کر دیکھو Mithas e Ishq Ki ARSHAD Ghazal Mein Bas Jaye Sukhan Mein Shahd Muhabbat Ka Ghol Kar Daikho   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Hoe Hein Dhoky Mujhe Is Qadar Ujalon Mein Andheri Raat Mein Ab Jugnoun Se Darta Hon

Image
گلُوں سے عشق ہے پر خُوشبوؤں سے ڈرتا ہوں میں زندگی کے کئی پہلوؤں سے ڈرتا ہوں Gulon Se Ishq Hai Par Khushboun Se Darta Hon Main Zindagi Ke Kai Pehloun Se Darta Hon   ہوۓ ہیں دھوکے مجھے اس قدر اُجالوں میں اندھیری رات میں اب جُگنوؤں سے ڈرتا ہوں Hoe Hein Dhoky Mujhe Is Qadar Ujalon Mein Andheri Raat Mein Ab Jugnoun Se Darta Hon   شبِ فراق ہے یا زلفِ یار کی حد ہے کبھی نہ ختم ہوں اُن گیسوؤں سے ڈرتا ہوں Shab e Firaq Ya Zulf e Yaar Ki Had Hai Kabhi Na Khatam Hon Un Gaisoun Se Darta Hon   محافظوں نے مجھے اس طرح سے جکڑا ہے حصار ہیں جو اُن ہی بازوؤں سے ڈرتا ہوں Muhafizon Ne Mujhe Is Tarah Se Jakda Hai Hisaar Hein Jo Un Hi Bazoun Se Darta Hon   میں صاف گو ہوں مگر دل کا نرم بھی ارشد  کسی غریب کے دو آنسوؤں سے ڈرتا ہوں Main Saaf-Go Hoon Magar Dil Ka Naram Bhi ARSHAD Kisi Ghareeb Ke Do Aansooun Se Darta Hon   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Efa Nahi Karna Hai Tou Paimaan Na Karein Ab Aur Meri Zaat Par Ihsan Na Karein

Image
ایفا نہیں کرنا ہے تو پیمان نہ کریں  اب اور مری ذات پر احسان نہ کریں   Efa Nahi Karna Hai Tou Paimaan Na Karein Ab Aur Meri Zaat Par Ihsan Na Karein   الزام نہ دیں ہمکو چُھڑا لیجیۓ دامن گر پیار نہیں پیار کا اَپمان نہ کریں   Ilzam Na Dein Hum Ko Chudha Lijiye Daman Gar Piyar Nahi Piyar Ka Emaan Na Karein ایسا بھی کیا کہ پُرسشِ احوال بھی نہیں اتنا تو ستم ہم پہ مری جان نہ کریں   Aisa Bhi Kia Keh Pursish e Ahwal Bhi Nahi Itna Tou Sitam Hum Peh Meri Jaan Na Karein   رشتے جو مقدّم ہیں زرومال سے زیادہ یوں اپنے مفادات پہ قربان نہ کریں   Reshte Jo Muqadam Hein Zar o Maal Se Ziyada Yun Apne Mufadaat Peh Qurban Na Karein   ارشد یہ ہم نے سوچ لیا اُسکو گَنوا کر اب کوئی تمنّا کوئی ارمان نہ کریں   ARSHAD Yeh Hum Ne Soch Liya Usko Ganwa Kar Ab Koi Tamanna Koi Arman Na Karein   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig   آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Majboor Ho Gaya Hai Ya Maghroor Ho Gaya Woh Dhere Dhere Mujh Se Buhat Door Ho Gaya

Image
مجبور ہو گیا ہے یا مغرور ہو گیا وہ دھیرے دھیرے مجھ سے بہت دُور ہو گیا   Majboor Ho Gaya Hai Ya Maghroor Ho Gaya Woh Dhere Dhere Mujh Se Buhat Door Ho Gaya   دُنیا کے ڈر سے ہم نے بھی رستے بدل دئیے کچھ وہ بھی اپنی ذات میں محصور ہو گیا   Dunya Ke Dar Se Hum Ne Bhi Rasty Badal Diye Kuch Woh Bhi Apni Zaat Mein Mahsoor Ho Gaya اُلفت کی اک خراش تھی جو زخم بن گئی پھر زخم بڑھتے بڑھتے وہ ناسُور ہو گیا   Ulfat Ki Ik Khirash Thi Jo Zakham Ban Gai Phir Zakham Badhty Badhty Woh Nasoor Ho Gaya حق بات اُس کے شہر میں کہنے کے جُرم میں مجھ پر گِرے وہ سنگ کہ منصور ہو گیا   Haq Baat Uske Shehar Mein Kehne Ke Juram Mein  Mujh Par Gire Woh Sang Keh Mansoor Ho Gaya ارشد کٹھن بہت تھا بچھڑنے کا فیصلہ میں وقت اور حالات سے مجبور ہو گیا ARSHAD Kathin Buhat Tha Bichadne Ka Faisla Main Waqt Aur Halaat Se Majboor Ho Gaya   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Zikar Ab Bazm Mein Uski Nahi Hota Mera Khush Hai Woh Nam Bhi Koi Nahi Laita Mera

Image
ذِکر اب بزم میں اُس کی نہیں ہوتا میرا خُوش ہے وہ نام بھی کوئی نہیں لیتا میرا Zikar Ab Bazm Mein Uski Nahi Hota Mera Khush Hai Woh Nam Bhi Koi Nahi Laita Mera تُو نے چہرے سے پڑھا ہے مرے دل کا احوال بے خبر کھول کے سینہ کبھی دیکھا میرا Tu Ne Chehre Se Parha Hai Mere Dil Ka Ahwal Be-Khabar Khol Ke Seenah Kabhi Daikha Mera کِتنے خوابوں کے محل ساتھ زمیں بوس ہوۓ اِس محبّت میں فقط دل نہیں ٹُوٹا میرا Kitne Khuwabon Ke Mahal Saath Zameen Bos Hoe Is Muhabbat Mein Faqat Dil Nahi Toota Mera   یاد ہے تیری کلائی میں وہ چوڑی کی کھنک ہاتھوں پر مہندی سے جب نام لکھا تھا میرا Yaad Hai Teri Kalaai Mein Woh Choodi Ki Khanak Haathon Par Mehindi Se Jab Nam Lekha Tha Mera   پیار سے نام میرا اُس نے لیا تھا ارشد یاد ہے وہ کبھی اک بار ہُوا تھا میرا Piyar Se Nam Mera Us Ne Lia Tha ARSHAD Yaad Hai Woh Kabhi Ik Bar Hoa Tha Mera   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Milan Tha Talakh Tou Anjaam Yeh Hi Hona Tha Mujhe Bhi Karna Tha Matam Tujhe Bhi Rona Tha

Image
تاثرات و تجربات Tasuraat o Tajrubaat   مِلن تھا تلخ تو انجام یہ ہی ہونا تھا مُجھے بھی کرنا تھا ماتم تُجھے بھی رونا تھا Milan Tha Talakh Tou Anjaam Yeh Hi Hona Tha Mujhe Bhi Karna Tha Matam Tujhe Bhi Rona Tha   چُنا ہے راستہ بربادیوں کا خود میں نے تباہ دونوں میں سے ایک کو تو ہونا تھا Chuna Hai Rastah Barbadiyun Ka Khud Main Ne Tabah Donon Mein Se Aik Ko Tou Hona Tha   سفر یہ ساتھ گُزارا ہے اجنبی کی طرح  کسی بھی موڑ پہ آ کر جُدا تو ہونا تھا Safar Yeh Saath Guzara Hai Ajnabi Ki Tarah Kisi Bhi Mod Peh Aa Kar Juda Tou Hona Tha   مجھے گَھمنڈ تھا سب کُچھ ہے میرے ہاتھوں میں کُھلا یہ راز کہ قُدرت کا میں کِھلونا تھا Mujhe Ghumand Tha Sab Kuch Hai Mere Haathon Mein Khula Yeh Raaz Keh Qudrat Ka Main Khilona Tha   قَضا نے پیار سے لوری سُنائی جب ارشد تھکا ہوا تھا بہت زندگی سے، سونا تھا Qaza Ne Piyar Se Lori Sunaai Jab ARSHAD Thaka Hoa Tha Buhat Zindagi Se Sona Tha   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Nahi Ab Janta Koi Tumhein Mere Hawalon Se Chalo Ab Khurach Dalo Mujhe Apne Khayalon Se

Image
نہیں اب جانتا کوئی تمہیں میرے حوالوں سے چلو اب تو کُھرَچ ڈالو مجھے اپنے خیالوں سے Nahi Ab Janta Koi Tumhein Mere Hawalon Se Chalo Ab Khurach Dalo Mujhe Apne Khayalon Se کسی نے میری طرح سے کسی کو بھی نہیں چاہا بیاں کیسے کروں اپنی محبّت کو مثالوں سے Kisi Ne Meri Tarah Se Kisi Ko Bhi Nahi Chaha Bayaan Kaise Karon Apni Muhabbat Ko Misaalon Se   بالآخر توڑ ڈالا ہے وہ اک جذبات کا بندھن بچا لایا ہوں دونوں کو زمانے کے سوالوں سے Bal-Aakhir Tod Dala Hai Woh Ik Jazbaat Ka Bandhan Bacha Laya Hon Dono Ko Zamane Ke Sawalon Se ملے ہم اس طرح جیسے کہ دن اور رات ملتے ہیں مجھے نسبت اندھیروں سے تجھے نسبت اُجالوں سے Mily Hum Is Tarah Jaise Keh Din Raat Milty Hein Mujhe Nisbat Andheron Se Tujhe Nisbat Ujalon Se   سبب کچھ اور تھا یا ہم جدا ہوتے رہے ارشد کبھی مریخ کی گردش کبھی زُہرہ کی چالوں سے Sabab Kuch Aur Tha Ya Hum Juda Hote Rahe ARSHAD Kabhi Mireekh Ki Gardish Kabhi Zuhra Ki Chaalon Se   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Qasoor Chahe Humara Tha Ya Zamane Ka Qalaq Rahe Ga Hamaisha Tujhe Ganwane Ka

Image
قصور چاہے ہمارا تھا یا زمانے کا قلق رہے گا ہمیشہ تجھے گنوانے کا Qasoor Chahe Humara Tha Ya Zamane Ka Qalaq Rahe Ga Hamaisha Tujhe Ganwane Ka   مری کہانی کا خالق بھی کوئی منٹو ہے بدل دے موڑ اچانک کہیں فسانے کا Meri Kahani Ka Khaliq Bhi Koi Mento Hai Badal De Mod Achanak Kahein Fasane Ka   کبھی جو نام میرا تیری بزم میں آۓ سمجھنا ذکر ہوا تھا کسی دیوانے کا Kabhi Jo Nam Mera Teri Bazm Mein Aaye Samajhna Zikar Hoa Tha Kisi Deewane Ka   بڑھا کے فاصلے اب وہ بھی ہو گیا واقف محبّتوں میں مزا ہے جو آزمانے کا Barha Ke Fasly Ab Woh Bhi Ho Gaya Waqif Muhabbaton Mein Mazah Hai Jo Aazmane Ka   اُسے خبر ہے مرے دل کی کیفیت ارشد جو جانتا ہو اُسے کیا سبب بتانے کا Usay Khabar Hai Mere Dil Ki Kaifeeyat ARSHAD Jo Janta Ho Usay Kia Sabab Batane Ka مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Ishq Ki Ibteda Na Ban Jaye Yeh Kasak Ibtela Na Ban Jaye

Image
عشق کی اِبتدا نہ بن جائے یہ کسَک اِبتلا نہ بن جائے Ishq Ki Ibteda Na Ban Jaye Yeh Kasak Ibtela Na Ban Jaye   فاصلے اور کچھ بڑھا لیجے یہ تعلّق سَزا نہ بن جائے Fasly Aur Kuch Barha Lijiye Yeh Ta'aluq Saza Na Ban Jaye   عشق کا مان بھی رہے قائم آرزو التجا نہ بن جائے Ishq Ka Maan Bhi Rahe Qaim Aarzoo Ilteja Na Ban Jaye   اتنی نزدیکیاں نہیں اچھی کہ محبّت خطا نہ بن جائے Itni Nazdeekiyan Nahi Achi Keh Muhabbat Khata Na Ban Jaye   رہنا ہوشیار قافلے والو راہزن رہنما نہ بن جائے Rehna Hoshiyar Qafly Walo Rahzan Rahnuma Na Ban Jaye   رشکِ ملکوت بندگی ٹہرے آدمی گر خدا نہ بن جائے Rashk e Malkot Bandagi Thehre Aadmi Gar Khuda Na Ban Jaye   اپنی دُنیا میں خُوش رہے ارشد وہ، دُعا ہے میرا نہ بن جائے Apni Dunya Mein Khush Rahe ARSHAD Woh , Dua Hai Mera Na Ban Jaye مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Keh Dy Koi Bura Tou Malamat Nahi Karte Hum Mustaqil Kisi Se A'adawat Nahi Karte

Image
کہہ دے کوئی بُرا تو ملامت نہیں کرتے ہم مستقل کسی سے عداوت نہیں کرتے Keh Dy Koi Bura Tou Malamat Nahi Karte Hum Mustaqil Kisi Se A'adawat Nahi Karte   تیری جفا سے دل پہ جو گزری ہے کیا کہیں یہ اور بات تجھ سے شکایت نہیں کرتے Teri Jafa Se Dil Peh Jo Guzri Hai Kia Kahein Yeh Aur Baat Tujh Se Shikayat Nahi Karte   ہم کو ہے یہ یقین کہ دل ہے خدا کا گھر پس دل کو توڑنے کی جسارت نہیں کرتے Hum Ko Hai Yeh Yaqeen Keh Dil Hai Khuda Ka Ghar Pas Dil Ko Todny Ki Jasarat Nahi Karte    اے کاش تجھ کو دیکھا نہ ہوتا کبھی کہیں شاید ہم اپنے آپ کو غارت نہیں کرتے Ae Kaash Tujh Ko Daikha Na Hota Kabhi Kahein Shayed Hum Apne Aap Ko Gharat Nahi Karte   خُود کو کسی کی یاد میں برباد کر لیا ارشد کسی سے اتنی محبت نہیں کرتے Khud Ko Kisi Ki Yaad Mein Barbad Kar Liya ARSHAD Kisi Se Itni Muhabbat Nahi Karte   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania  

Tujh Ko Jana Tha Tou Phir Mujh Se Mila Hi Kion Tha Chod Jana Tha Tou Phir Piyar Kia Hi Kion Tha

Image
تُجھ کو جانا تھا تو پھر مُجھ سے مِلا ہی کیوں تھا چھوڑ جانا تھا تو پِھر پیار کیا ہی کیوں تھا Tujh Ko Jana Tha Tou Phir Mujh Se Mila Hi Kion Tha Chod Jana Tha Tou Phir Piyar Kia Hi Kion Tha تھے محبّت کے بہت لوگ طلبگار یہاں دِل یہ آخر اسی ظالم کو دیا ہی کیوں تھا Thay Muhabbat Ke Buhat Log Talabgar Yahan Dil Yeh Aakhir Isi Zalim Ko Diya Hi Kion Tha   ہم تو آۓ تھے تری ایک جَھلک ہی دیکھیں تُو نہیں ہے تو یہ بازار سَجا ہی کیوں تھا Hum Tou Aaye Thay Teri Aik Jhalak Hi Daikhein Tu Nahi Hai Tou Yeh Bazar Saja Hi Kion Tha گر ہوا بن کے گُزر جانا تھا اُسکو یوں ہی میرے دروازے پہ آ کر وہ رُکا ہی کیوں تھا Gar Hawa Ban Ke Guzar Jana Tha Usko Yun Hi Mere Darwaze Peh Aa Kar Woh Ruka Hi Kion Tha   میں کہ ناکامِ تمنّا ہُوا آخر ارشد سوچتا ہوں کہ میں دنیا میں جیا ہی کیوں تھا Main Keh Na-Kam e Tamanna Hoa Aakhir ARSHAD Sochta Hoon Keh Main Dunya Mein Jeeya Hi Kion Tha   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Shikast Ho Gai Ik Bar Phir Muhabbat Mein Ik Aur Zakham Tha Lekha Hoa Yeh Qismat Mein

Image
شکست ہو گئی اک بار پھر محبت میں اک اور زخم تھا لکھا ہوا یہ قسمت میں Shikast Ho Gai Ik Bar Phir Muhabbat Mein Ik Aur Zakham Tha Lekha Hoa Yeh Qismat Mein ترا جمال ہے آنکھوں میں میری خوابیدہ ترا خیال تو شامل ہے میری عادت میں Tera Jamal Hai Aankhon Mein Meri Khuwabeedah Tera Khayal Tou Shamil Hai Meri Aadat Mein قُبول مجھ کو ہے الزام بُت پرستی کا خُدا دِکھائی دیا مُجھ کو تیری صُورت میں Qubool Mujh Ko Hai Ilzam Butt-Parasti Ka Khuda Dekhaai Diya Mujh Ko Teri Soorat Mein دُکاں وفا کی سجائی ہے اُس شہر میں جہاں خریدے جاتے ہیں یوسف ذرا سی قیمت میں Dukan Wafa Ki Sajayi Hai Us Shehar Mein Jahan Khareeday Jate Hein Yousaf Zara See Qeemat Mein محو ہوا ہے اگر ذہن سے خیال ترا رہا نہ لطف ہی  باقی کوئی عبادت میں Mahoo Hoa Hai Agar Zehan Se Khayal Tera Raha Na Lutf Hi Baqi Koi Ibadat Mein خدا نے غیب سے بھیجی مجھے مدد ارشد نہ آیا کام کوئی جب مری ضرورت میں Khuda Ne Ghaib Se Bhaiji Mujhe Madad ARSHAD Na Aaya Kam Koi Jab Meri Zaroorat Mein مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon P

Chahat Thi Muhabbat Ka Taqazah Tou Nahi Tha Badly Mein Tera Piyar Bhi Manga Tou Nahi Tha

Image
چاہت تھی محبّت کا تقاضا تو نہیں تھا بدلے میں تیرا پیار بھی مانگا تو نہیں تھا Chahat Thi Muhabbat Ka Taqazah Tou Nahi Tha Badly Mein Tera Piyar Bhi Manga Tou Nahi Tha   بے بات کی اک بات زمانے نے بنا لی جو کچھ ہوا ہم دونوں نے سوچا تو نہیں تھا Be-Baat Ki Ik Baat Zamane Ne Bana Li Jo Kuch Hoa Hum Dono Ne Socha Tou Nahi Tha   کچھ تیری اداؤں کو غلط لوگو نے سمجھا سارا قصور اس بات میں میرا تو نہیں تھا Kuch Teri Adaoun Ko Ghalat Logo Ne Samjha Sara Qasoor Is Baat Mein Mera Tou Nahi Tha   الجھن تھی تامل تھا مجھے کہنے میں کُچھ کُچھ تُو نے بھی میری بات کو سمجھا تو نہیں تھا Uljhan Thi Tamul Tha Mujhe Kehne Mein Kuch Kuch Tu Ne Bhi Meri Baat Ko Samjha Tou Nahi Tha   اس بار وہ ناراض بھی پہلے سے سوا ہے پہلے کبھی اس طرح سے رُوٹھا تو نہیں تھا Is Baar Woh Na-Raaz Bhi Pehle Se Sewa Hai Pehle Kabhi Is Tarah Se Rootha Tou Nahi Tha   کس طرح بَنا آج مری ذات کا محور اُس شخص کو میں نے کبھی دیکھا تو نہیں تھا Kis Tarah Bana Aaj Meri Zaat Ka Mahwar Us Shakhas Ko Main Ne Kabhi Daikha Tou Nahi Tha   میں عشق کی اس آگ

Soorat Bhi Jin Ki Daikhny Ko Hum Taras Gaye Kitne Azeez Mulk e Adam Ja Ke Bas Gaye

Image
صُورت بھی جِن کی دیکھنے کو ہم ترَس گئے کتنے عزیز مُلک ِ عدم جا کے بَس گئے Soorat Bhi Jin Ki Daikhny Ko Hum Taras Gaye Kitne Azeez Mulk e Adam Ja Ke Bas Gaye پا پیادہ ایک عُمر چلے شہرِ عشق میں برسی وہ غم کی آگ کہ پتّھر جُھلَس گئے Paa Piyadah Aik Umar Chale Shehar e Ishq Mein Barsi Woh Gham Ki Aag Keh Pathar Jhulas Gaye سادہ دلوں کے واسطے مُشکل ہے یہ جہاں شاید ہم ایسے لوگ یہاں آ کے پھنس گئے Sadah Dilon Ke Wastay Mushkil Hai Yeh Jahan Shayed Hum Aise Log Yahan Aa Ke Phans Gaye ساوَن کی رُت میں دیکھا چمَن سُوکھتے ہوۓ صحرا میں ٹُوٹ کر کبھی بادل برَس گئے Sawan Ki Rut Mein Daikha Chaman Sookhty Hoe Sahra Mein Toot Kar Kabhi Badal Baras Gaye دُنیا کی تِلچھٹیں کسی دَلدَل سے کَم نہیں جتنا نکلنا چاہا یہاں اور دَھنس گئے Dunya Ki Talchetein Kisi Daldal Se Kam Nahi Jitna Nikalna Chaha Yahan Aur Dhans Gaye اِس عُمرِ بے مَہار کا کیا جشن کیجئے چھ دن میں زندگی کے چھیاسٹھ برَس گئے Is Umar e Be-Muhaar Ka Kia Jishan Kijiye Cheh Din Mein Zindagi Ke Cheyasath Baras Gaye ارشد خُدا کا شکر ہے جو کچھ ہمیں ملا ل

Woh Gaya Tou Malaal Tha Dil Mein Ab Sukoon Bhi Mahaal Tha Dil Mein

Image
وہ گیا تو ملال تھا دل میں اب سُکوں بھی محال تھا دل میں Woh Gaya Tou Malaal Tha Dil Mein Ab Sukoon Bhi Mahaal Tha Dil Mein آس کو دیکھا تو آنکھ بھر آئی دل ہی جانے جو حال تھا دل میں Usko Daikha Tou Aankh Bhar Aai Dil Hi Jane Jo Haal Tha Dil Mein دُکھ اُسے بھی تھا کیا بچھڑنے کا ایک چُبھتا سوال تھا دل میں Dukh Usay Bhi Tha Kia Bichadnay Ka Aik Chubhta Sawaal Tha Dil Mein قطرۂ خوں جو آنکھ سے ٹپکا حسرتوں کا مآل تھا دل میں Qatrah e Khoon Jo Aankh Se Tapka Hasraton Ka Maal Tha Dil Mein وہ تصوّر تھا اک حسیں ارشد اک ادھورا خیال تھا دل میں Woh Tasawar Tha Ik Haseen ARSHAD Ik Adhora Khayal Tha Dil Mein مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Dahak Rahi Hein Zamane Mein Dozakhein ARSHAD A'azaab Aur Hein Posheedah In A'azaabon Mein

Image
اِمیج پرِیشاں کوئی ذہن کے خرابوں میں مہیب خواب تھا شاید بہت سے خوابوں میں Image Pareshan Koi Zehan Ke Kharabon Mein Mahaib Khuwaab Tha Shayed Buhat Se Khuwaabon Mein دریچے دل کے ہوۓ وا تو میرے اندر تھا تلاش کرتا رہا میں جسے کتابوں میں Dareechay Dil Ke Hoe Waa Tou Mere Andar Tha Talash Karta Raha Main Jise Kitabon Mein   حیات بخش ہے مجھ کو تری نظر ساقی نہیں ہے لطف کوئی تلخ ان شرابوں میں Hayat Bakhash Hai Mujh Ko Teri Nazar Saqi Nahi Hai Lutf Koi Talakh In Sharabon Mein   چمن سے شوخ وہ گُزرا تو کِھل گئیں کلیاں بسی ہے اُس کے بدن کی مہک گُلابوں میں Chaman Se Shokh Woh Guzra Tou Khil Gaein Kaliyan Basi Hai Us Ke Badan Ki Mehik Gulabon Mein   دہک رہی ہیں زمانے میں دوزخیں ارشد عذاب اور ہیں پوشیدہ ان عذابوں میں Dahak Rahi Hein Zamane Mein Dozakhein ARSHAD A'azaab Aur Hein Posheedah In A'azaabon Mein   مرزا ارشد علی بیگ Mirza Arshad Ali Baig آڈبان پینسلوانیا Audubon Pennsylvania

Bas Piyar Tujh Se Ho Gaya Main Ne Kia Nahi Main Janta Hoon Tujh Peh Koi Haq Mera Nahi

Image
بَس پیار تجھ سے ہو گیا میں نے کیا نہیں  میں جانتا ہوں تجھ پہ کوئی حق میرا نہیں   Bas Piyar Tujh Se Ho Gaya Main Ne Kia Nahi Main Janta Hoon Tujh Peh Koi Haq Mera Nahi تھوڑا سا تیرے عشق میں پاگل ضرور ہوں تُو جِتنا سمجھتی ہے مجھے میں بُرا نہیں  Thoda Sa Tere Ishq Mein Pagal Zaroor Hoon Tu Jitna Samajhti Hai Mujhe Main Bura Nahi بے ساختہ کہا تری صورت ہے ہے مثال اتنی سی بات پر تو کوئی رُوٹھتا نہیں  Be-Sakhta Kaha Teri Soorat Hai Be-Misaal Itni See Baat Par Tou Koi Roothta Nahi اک دل کے ٹوٹنے کے سوا کچھ نہیں ہوا ہاں تجھ سے بچھڑ کر کوئی طوفاں اُٹھا نہیں Ik Dil Ke Tootny Ke Siwa Kuch Nahi Hoa Haan Tujh Se Bichad Kar Koi Toofan Utha Nahi دُنیا میں سب سے زیادہ مجھے جانتی ہے وہ اک دلربا کہ جس سے کبھی میں مِلا نہیں  Dunya Mein Sab Se Ziyada Mujhe Janti Hai Woh Ik Dilruba Keh Jis Se Kabhi Main Mila Nahi کھویا کسی کو میں نے محبت میں ایک بار تُو بھی مرے نصیب میں شاید لِکھا نہیں  Khoya Kisi Ko Main Ne Muhabbat Mein Aik Baar Tu Bhi Mere Naseeb Mein Shayed Lekha Nahi میں خود کو بُھول بیٹھا جسے دیکھنے

Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Mein Hai

Image
دعا کا ٹوٹا ہوا حرف سرد آہ میں ہے تری جدائی کا منظر ابھی نگاہ میں ہے Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Mein Hai ترے بدلنے کے با وصف تجھ کو چاہا ہے یہ اعتراف بھی شامل مرے گناہ میں ہے Tere Badalny Ke Ba-Wasf Tujh Ko Chaha Hai Yeh Aiteraf Bhi Shamil Mere Gunah Mein Hai   عذاب دے گا تو پھر مجھ کو خواب بھی دے گا میں مطمئن ہوں مرا دل تری پناہ میں ہے Azaab De Ga Tou Phir Mujh Ko Khuwaab Bhi De Ga Main Mutmaein Hon Mera Dil Teri Panah Mein Hai   بکھر چکا ہے مگر مسکرا کے ملتا ہے وہ رکھ رکھاؤ ابھی میرے کج کلاہ میں ہے Bikhar Chuka Hai Magar Muskura Ke Milta Hai Woh Rakh Rakhav Abhi Mere Kaj Kalah Mein Hai   جسے بہار کے مہمان خالی چھوڑ گئے وہ اک مکان ابھی تک مکیں کی چاہ میں ہے Jise Bahar Ke Mehman Khali Chod Gaye Woh Ik Makan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Mein Hai   یہی وہ دن تھے جب اک دوسرے کو پایا تھا ہماری سال گرہ ٹھیک اب کے ماہ میں ہے Yahi Woh Din Thay Jab Ik Dosre Ko Paya Tha Humari Salgirah Theek Ab Ke Mah Mein Hai   پروین شاکر Parveen Shakir

Dost Bhi Tum , Pyar Bhi Tum

Image

Sochun To Sari Umar Muhabbat Me Kat Gai

Image

Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par Kabhi Unn Ke Dar Kabhi Dar Badar

Image

Kia Kijiye Keh Ishq Tha Us Shakhs Se Humain Alfaz Jis Ke Jhoot Thay Lahja Faraib Tha

Image
Kia Kijiye Keh Ishq Tha Us Shakhs Se Humain Alfaz Jis Ke Jhoot Thay Lahja Faraib Tha Wasi Shah

Aa thehr tu mujh mein kuch der Kuch main bhi mehsoos karon muhabat ke jazbat

Image
Aa thehr tu mujh mein kuch der Kuch main bhi mehsoos karon muhabat ke jazbat