Poet:Naseer-u-Din Naseer Na Wo Ihtemam-e-May Kuhan, Na Wo MaiKaday Ka Nizam Hai Na Wo Rind Hain,Na Wo Ha-o-Hu, Na Wo Dawar Hai,Na Wo Jaam Hai Wo Hai Khush Naseeb Jise Mily, Mai-e-Ma'arifat Ka Ye Jaam Hai Jo Wo Khud Pilain To Halal Hai, Na Pilain Wo,To Haram Hai Zara Dekh Apny Mareez Ko Keh Har Uski Sans Main Aaj Bhi Tere Intezaar Ki Hai Kasak, Teri Yaad Hai,Tera Naam Hai, Kahon Kis Se Qissa-e-Shoq Main, Na Wo Humnawa,Na Wo HumZuban'n Na Wo Humsafar,Na Wo Karwan'n, Na Wo Subah Hai,Na Wo Shaam Hai Chali Aisi Bad-e-Khazan'n Asar, Keh Hon Dam-e-Gham Main Shikasta Par Na Buton Ki Dil Main Hai Aarzoo, Na Wo Shoq-e-Jalwa-e-Baam Hai Wo Niaz-o-Naz Ki Mahfilen, Na Wo Chaand Hai Na Wo Chaandni Na Wo Raat Hai,Na Wo Baat Hai, Na Wo Husan-e-Maah-e-Tamam Hai Na Firaq-e-Yaar K Mashghaly, Na Wo Bazm-e-Shoq K Walwaly Na Wo Soz-e-Seena Gudaz Hai, Na Wo Aah-e-Barq Khiram Hai Ye Ajeeb Dawar Hai Ronuma Keh Adab Ka Paas Nahi R...