Posts

Showing posts from June, 2015

Staso Pa Khaar Ke Khu Da Baaze Neem Sari Roja Wa Zamung Pa Kali Ke Wallah Bekhi Bekhi Roja Wa

Staso Pa Khaar Ke Khu Da Baaze Neem Sari Roja Wa Zamung Pa Kali Ke Wallah Bekhi Bekhi Roja Wa Shunde Ye Rakraky Ma Chaghe Kre Roja Mi Laara Haghe We Chup Sha Mara Hase Hum Shakee Roja Wa Kochai Khema Ke La Garmai Na Wa Naskora Prata Shpelai Ye Na Wahala Gharu (Hill) Ke Da Shpoonki Roja Wa Mor Mi Qissa Krra Che Bachiya Ay "SAHILA" Wawra Domra Ghurbat Wo Zamung Tola Zindagi Roja Wa.........!   ********** BARYALAY **********

Garmi Du Pashakal Da Ao Roje Dere Ogde Di,Yarano La Akhtar Ta Faslay Dere Ogde Di

ﮔﺮﻣﻰ ﺩ ﭘﺸﻜﺎﻝ ﺩ ﺍﻭ ﺭﻭﮊﻯ ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ . ﻳﺎﺭﺍﻧﻮ ﻻ ﺍﺧﺘﺮ ﺗﮧ ﻓﺎﺻﻠﻰ ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ . ﺍﺷﻨﺎ ﺗﮧ ﺧﻮ ﻻ ﻧﮧ ﻳﻰ ﺩ ﺭﻭﮊﻯ ﺩ ﭨﻴﻨﮕﻮﻟﻮ . ﺩ ﺗﻨﺪﻯ ﺳﺮﻩ ﻧﮧ ﻛﻴﮕﻰ ﻏﺮﻣﻰ ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ . ﺳﻴﺰﻥ ﺩ ﺛﻮﺍﺑﻮﻧﻮ ﺩﻯ ﺩ ﺧﻮﺭﻭ ﺩ ﮔﭩﻠﻮ . ﺩ ﺷﻴﺦ ﺳﺮﻩ ﭘﮧ ﻻﺳﻮ ﻛﻰ ﺗﺴﺒﻰ ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ . ﻭﻃﻦ ﺩ ﭘﺨﺘﻨﻮ ﺩﻯ ﺣﻴﺎ ﮈﻳﺮﻩ ﺩ ﺯﻟﻤﻮ ﻛﻰ . ﺩ ﭘﻴﻐﻠﻮ ﭘﮧ ﺳﺮﻭﻧﻮ ﻟﻮﭘﭩﻰ ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ . ﺧﻜﺎﺭﻳﮕﻰ ﺟﺎﻧﺎﻥ ﻛﮍﻯ ﺍﺭﺍﺩﻩ ﺩ ﺍﻋﺘﻜﺎﻑ ﺩﻩ . ﭘﮧ ﭘﺎﻧﮍﻭ ﻳﻰ ﻟﻴﻜﻠﻰ ﻭﻇﻴﻔﻰ ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ . " ﺍﺗﻠﮧ " ﻻ ﺍﻭﺩﻩ ﻧﮧ ﻳﻮ ﭼﻰ ﻭﺧﺖ ﺩ ﭘﻴﺸﻤﻨﻰ ﺷﻰ . ﺯﻣﻮﻧﮓ ﺩ ﺟﻤﺎﻋﺘﻮﻧﻮ ﺗﺮﺍﻭﻯ ﮈﻳﺮﻯ ﺍﻭﮔﺪﻯ ﺩﻯ

Sama ogda laka yao kaal roja wa, Sta intezaar da pshakaal roja wa

  Poet:Muhammad Israr Atal Type By *.__NOMI__.*   Sama ogda laka yao kaal roja wa, Sta intezaar da pshakaal roja wa.   Na taal la rala ao na bero la nan, Nan da haghi zma pa khyal roja wa.   Paron Aazaan baandi poy shwi na wo, Mong mata kri pa wisaal roja wa.   Daa nan zma stargi we jal aghasti, Ka sta da zani ao da khaal roja wa.   Sakhkaal pi bya wo da sheikhaano tazaad, Laar ki akhtar o pa diawal roja wa.   "Atala" tande pa kato mategi, Paroskal somra da kamaal roja wa. ********** NOMI **********  

Is Mulk Ko Gar Baap Ki Jageer Karo Ge,To Sorat-e-Halaat Ko Ghambir Karo Ge

اس ملک کو گر باپ کی جاگیر کرو گے تو صورتِ حالات کو گھمبیر کرو گے چاند اور ستارے کے وطن میں ہے اندھیرا اِک ایٹمی طاقت کی یہ تشہیر کرو گے زِندان سے ایوان میں پہنچے ہوئے لوگو تم کس طرح اس ملک کی تطہیر کرو گے ڈگری بھی نہ لے پائے ارے ٹھیک سے جعلی سنجیدہ مسائل کی کیا تدبیر کرو گے حل ہو بھی گئے تم سے جو کچھ جزوی مسائل دن رات عنایات کی تشہیر کرو گے دنیا سے تو اِک اینٹ بھی لے جا نہیں سکتے جنت میں محل کس طرح تعمیر کرو گے لاچاروں کے جب ہاتھ گریبان پہ ہوں گے اس وقت بھی کیا مانگ کے تقریر کرو گے تبدیلی کا آغاز بھی بن سکتی ہے وہ قیس  حق بات اگر خون سے تحریر کرو گے شہزاد قیس

Pardes Ki Eid ,Kiya Sunain Kis Haal Mein Aati Hai Pardais Mein Eid, Nikal Aate Hain Aansoo Jab Yaad Aati Hai Dais Ki Eid,

Image
  Kiya Sunain Kis Haal Mein Aati Hai Pardais Mein Eid, Nikal Aate Hain Aansoo Jab Yaad Aati Hai Dais Ki Eid, Rahain Wo Khush-o-Khurram Ghar Mein Apne, Jin K Liye Hum Ko Rulati Hai Pardais Ki Eid, Aate Hain Yaad Jab Wo Phool Se Chehre, Us Lamhe Hum Ko Kitna Tadpati Hai Pardais Ki Eid,   Kis Se Galay Milein,Kise Kahein Ge Apna Hum, Bas Yun Hi Tanhayi Mein Guzar Jati Hai Pardais Ki Eid, Kehtay Hain Har Baar Bas Pardais Ki Hai Ye Akhri Eid, Aglay Saal Phir Aa Jati Hai Pardais Ki Eid...!

Ay Andhere Dekh Le Munah Tera Kaala Ho Gaya Maa Ne Aankhen Khol Den Ghar Mein Ujala Ho Gaya

Ay Andhere Dekh Le Munah Tera Kaala Ho Gaya Maa Ne Aankhen Khol Den Ghar Mein Ujala Ho Gaya   Istarah Mere Gunahon Ko Wo Dho Deti Hai Maa Buhat Ghusse Mein Hoti Hai To Ro Leti Hai Bulandiyun Ka Bade Se Bada Nishan Chhowa Uthaya God Mein Maa Ne Tab Aasman Chhowa Kisi Ko Ghar Mila Hissa Mein Ya Koi Dukaan Aayi Main Ghar Mein Sab Se Chota Tha Mere Hissa Mein Maa Aayi Bulandi Der Tak Kis Shakhas K Hissa Mein Rehti Hai Buhat Oonchi Emarat Har Ghari Khatre Mein Rehti Hai Buhat Jii Chahta Hai Qaid Jahan Se Hum Nikl Jaye Tumhari Yaad Bhi Lekin Isi Malbay Mein Rehti Hai Ye Aisa Qarz Hai Jo Main Ada Kar Hi Nahi Sakta Main Jab Tak Ghar Na Laoton Meri Maa Sajdy Mein Rehti Hai Meri Khuwahish Hai Keh Main Phir Se Fareshta Ho Jaon Maa Se Istarah Lipat Jaon Keh Bacha Ho Jaon   Kam Se Kam Bachon K Honton Ki Hansi Ki Khatir Aisi Matti Mein Milana Keh Khilona Ho Jaon Mujh Ko Har Haal Mein Bakhashny Ka Ujala Apna Chhand Reshty Mein Nahi ...

Shehr Ko Teri Justajoo Hai Bahut, In Dino Hum Pe Guftagoo Hai Bahut

Poetess: Parveen Shakir   Shehr Ko Teri Justajoo Hai Bahut, In Dino Hum Pe Guftagoo Hai Bahut, Jab Se Parwaz K Shareek Mile, Ghar Banane Ki Aarzoo Hai Bahut, Dard Rah Rah K Sar Uthata Hai, Kabho Kam Ho Gia Kabho Hai Bahut, Kuch To Wo Yad Bhi Bahut Aaya, Kuch Un Aankhon Mein Bhi Lahoo Hai Bahut, Peene Wali Nigah Hai Darkar, Aankh Ko Chand Ka Saboo Hai Bahut...!  

Be Talab Aur Be Irada De, Dil Ko Ek Motabar Sa Wada De

Poetess: Noshi Gilani   Be Talab Aur Be Irada De, Dil Ko Ek Motabar Sa Wada De, Rat Phir Be Libas Phirti Hai, Roshni Ka Isay Labada De, Ishq Mein Wasl Ki Kahani Ko, Too Bhi To Koi Harf-E-Sada De, Kheil Ka Zabta Nahi Koi, Shah Ko Maat Ka Piyada De, Kis Ne Ye Bazm-E-Naz Mangi Hai, Mujh Ko Mulk-E-Sukhan Ka Wada De...!

Sukhan Aarai Baqi Rah Gai Hai, Yehi Sachai Baqi Rah Gai Hai

Poetess: Noshi Gilani   Sukhan Aarai Baqi Rah Gai Hai, Yehi Sachai Baqi Rah Gai Hai, Sajana Chahte Thay Bazm-E-Shab Ko, Magar Tanhai Baqi Rah Gai Hai, Chale Thay Shoq-E-Manzal Le K Hum Bhi, Shikasta Pai Baqi Rah Gai Hai, Gharoor-E-Zindagi Banne Ko Ab To, Meri Ruswai Baqi Rah Gai Hai, Zameen K Sare Manzar Chup Gaye Hain, Magar Beenai Baqi Rah Gai Hai...!

Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain, Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain

Poetess: Noshi Gilani   Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain, Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain, Humain Bhi Rukhsat Ki Rasam Kuch To Banana Thi, Tumhari Aankhon Mein Aaye Pani Se Dar Gaye Hain, Ye Tere Jitne Fiza Mein Aa Kar Tehr Gaye Hain, Kisi Parinde Ki Be Zabani Se Dar Gaye Hain, Unhein Bhi Daria Mein Apni Kashti Utarna Thi, Jo Log Lehron Ki Sar Garani Se Dar Gaye Hain, Ye Hum Jo Shehr-E-Wafa Mein Gum Sum Khare Howay Hain, Phir Aik Taza Ghalat Biyani Se Dar Gaye Hain, Abhi To Dil Ko Udas Karti Nahi Hain Shaamein, Humain Bhi Sahil Pe Geet Likhna Thay Sipion Se, Magar Hawaon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain...!

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna, Bahut Aasan Nahi Hota Judai Mangte Rehna

Poetess: Noshi Gilani   Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna, Bahut Aasan Nahi Hota Judai Mangte Rehna, Zara Sa Ishq Kar Lena Zara Si Aankh Bhar Lena, Phir Us K Bab Mein Sari Khudai Mangte Rehna, Kabhi Mehroom Honton Par Dua Ka Harf Rakh Dena, Kabhi Wehshat Mein Us Ki Narsai Mangte Rehna, Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jati Hai, Kahani Mein Zara Si Bewafai Mangte Rehna, Ajab Hai Wehshat-E-Jan Bhi K Aadat Ho Gai Dil Ki, Sakoot-E-Sham-E-Gham Se Hum Nawai Mangte Rehna, Kabhi Bache Ka Nanhe Hath Par Tittli K Par Rakhna, Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna...!

Hashar Ka Samaan Rehta Hai, Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai,

Poetess: Noshi Gilani Hashar Ka Samaan Rehta Hai, Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai, Is Raste Se Us Ki Gali Tak, Aik Charaghan Rehta Hai, Barf Pe Dhoop Ka Jism Bhi Dekho, Din Bhar Raqsan Rehta Hai, Khaima-E-Sham Saja Lete Hain, Jashan Ka Samaan Rehta Hai, Dil K Liye To Harf-E-Dua Mein, Dard Ka Darmaan Rehta Hai, Jane Ki Ki Khoj Mein Tera, Deeda-E-Hairaan Rehta Hai, Rat Dhale Ek Khawab Ka Chehra, Roz Paishmaan Rehta Hai...!

Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain, K Jaise Khawab Marte Ja Rahe Hain,

Poetess Noshi Gilani   Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain, K Jaise Khawab Marte Ja Rahe Hain, Koi Din K Liye Dil K Makeen Ko, Nazar Andaz Karte Ja Rahe Hain, Jo Dil Ka Haal Hai Dil Janta Hai, Ba Zahir To Sambhalte Ja Rahe Hain, Chale To Hain Tumhare Shehr Se Hum, Kaf-E-Afsos Milte Ja Rahe Hain, Kabhi Jin Mein Gharoor-E-Tazgi Tha, Wo Khuddo Khal Dhalte Ja Rahe Hain...!

Soch Lo Chalne Se Pehle Rasta Dushwar Hai, Ishq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Deewar Hai

  Poetess Noshi Gilani   Soch Lo Chalne Se Pehle Rasta Dushwar Hai, Ishq Darwaza Nahi Hai Hijar Ki Deewar Hai, Phir Fareib-E-Roz-O-Shab Ki Dosti Mumkin Nahi, Kar Dia Inkar So Inkar Hai Inkar Hai, Itna Khush Hon Nahi Acha Ab Us K Qurb Mein, HIJAR Bhi In Wasl K Lamhon Ka Hisa Daar Hai, Is Taraf To Raston Mein Dhool Si Urne Lagi, Ab To Ja K Dekhna Hai Jo Samandar Paar Hai, Phir Hawa-E-Shehr Mujh Se Munharif Hone Lagi, Phir Mere Honton Pe Tere Naam Ki Takraar Hai, Ab Kahan Chooye Gi Us K Dil K Sach Ki Roshni, Jis K Hathon Mein Abhi Tak Jhoot Ki Talwar Hai..!  

Hai Mohabbat Azab Barbadi, Dil Ko Ye Bat Kis Ne Samjha Di

Poetess Noshi Gilani   Hai Mohabbat Azab Barbadi, Dil Ko Ye Bat Kis Ne Samjha Di, Bewafai Ne Khaak Kar Daali Chahaton Ki Haari, Bhari Daali Ek Shab Vasl Ki Guzarish Thi Us Ne, Tasveer Apni Bhijva Di Tere Gham Ki Jazeera-e-Dil Mein, Phelti Ja Rahi Hai Aabadi Kis Qadar Banjh Hoti Jati Hai, Takht-e-Ikhlas Teri Shehzadi Waqt Zalim Tha, Meri Har Khawahish Us Ne Deewaar-e-Gham Mein Chunwa Di..!

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana, Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana,

Poetess Noshi Gilani   Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana, Thakan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana, Main Likh Rahi Hon Kahani Teri Rafaqat Ki, Jo Ho Sake To Koi Harf Motabar Lana, Yehi Na Ho K Musalsal Wafa Thaka Dale, Mohabbaton Mein Naya Pan Talash Kar Lana, Jo Koh-E-Qaf Chale Ho To Chand Chehron Ka, Mujasma Koi Acha Tarash Kar Lana, Safar K Shoq Mein Chal To Pare Ho Tum Ghar Se, Dukhon K Gird Se Daman Na Apna Bhar Lana, Ajab Fiza Hai Jahan Sans Le Rahe Hain Hum, Gharon Ko Lout K Aana To Chashm-E- Tar Lana..!

Tum Ne To Keh Dia K Mohabbat Nahi Mili, Mujh Ko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili

  Poetess Noshi Gilani   Tum Ne To Keh Dia K Mohabbat Nahi Mili, Mujh Ko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili, Neendon K Deis Jate Koi Khawab Dekhte, Lekin Dia Jalane Se Fursat Nahi Mili, Tujh Ko To Khair Shehr K Logon Ka Khof Tha, Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili, Phir Ikhtalaf-E-Raye Ki Sorat Nikal Pari, Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili, Be Zaar Youn Howe K Tere Ehd Mein Humain, Sab Kuch Mila Sakoon Ki Dolat Nahi Mili..!

Apne Shagirdon Ko Ye Aam Hadayat Hai Meri K Samjh Lein Teh-E-Dil Se Wo Baja-O-Beja,

Poet Dagh Dehlvi   Type By  Khan61   UJRA_DIL Apne Shagirdon Ko Ye Aam Hadayat Hai Meri K Samjh Lein Teh-E-Dil Se Wo Baja-O-Beja, Sheir Goi Mein Rahein Mad-E-Nazar Ye Batein, K Baghair Un K Fasahat Nahi Hoti Paida, Chast Bandish Ho Na Ho Sat Yehi Khoobi Hai, Wo Fasahat Se Gira Sheir Mein Jo Harf Daba, Arbi Farsi Alfaz Jo Urdu Mein Kahein, Harf-E-Ilat Ka Bura Un Mein Hai Girna Dabna, Alif Wasal Agar Aaye To Kuch Aib Nahi, Lekin Alfaz Mein Urdu K Ye Girna Hai Rawa, Jin Mein Gunjlak Na Ho Thori Bhi Sarahat Hai Wohi, Wo Kanaya Hai Jo Tasreeh Se Bhi Ho Aola Aib-O-Khoobi Ka Samjhna Hai Ek Amar Nazuk, Pehle Kuch Aur Tha Ab Rang-E-Zaban Aur Howa, Yehi Urdu Hai Jo Pehle Se Chali Aati Hai, Dehli Ne Usay Aur Se Ab Aur Kia, Mustanad Ehl-E-Zaban Khas Hain Dili Wale, Us Mein Ghairon Ka Tasaruf Nahi Mana Jata, Jo Hari Naqad Sukhan K Hain Parkhne Wale, Hai Wo Taksaal Se Bahir Jo Kasoti Na Charha, Baz Alfaz Jo Do Aaye Hain Ek Maani...

Baithe hai pehlo mein raat bhar Chalo sab diye bujha kar dekhtey hain

Poet:Hafiz Khurram Baithe hai pehlo mein raat bhar Chalo sab diye bujha kar dekhtey hain Dukh0n se bhara baitha tha or Wo bhi mushkura kar dekhtey hain Aa jaye kuch taras janib ko Aashk sab aj baha kar dekhtey hain Koi bhi samjhta nahi tha baat ko Un ko he chalo samjha kar dekhtey hain Hum ne kuch khush'khat likhwa behja Ab un ka arz-e-jawab dekhtey hain Aa jaye ga Eid k rooz Khurram Hum bhi sab giley bhula kar dekhtey hain

Chalo Lot Chalte Hain, Us Bechpan Ki Taraf

  Eid Collectione 2015 Poet Umar Raahi Type By *_FAROOQI.54_* Chalo Lot Chalte Hain, Us Bechpan Ki Taraf, Na Ishq Tha Hamein, Na Mohabbat Thi, Na Pyar Tha Kisi Say, Chalo Lot Chalte Hain, Us Bechpan Ki Taraf, Jab Dukh Darad Gham Naam Say Anjaan The, Chalo Lot Chalte Hain, Us Bechpan Ki Taraf, Jab Har Din Tha Eid Ka Din, Jab Har Lagta Tha Khushi Ka Din, Jab Chhup Chhup K Rona Na Tha, Aankh Ka Youn Barsna Na Tha, Jab Din Ka Tarrpna To Raaton Ka Jagna Na Tha, Chalo Lot Chalte Hain, Us Bechpan Ki Taraf, Jab Jawaani Youn Aai Na Thi, Jab Akaile Mein Bhi Tanhai Na Thi, Jab Ishq Say Aashnaai Na Thi, Chalo Lot Chalte Hain, Us Bechpan Ki Taraf, Jab Roz Eid Manaya Karte The, Jab Roz Geet Khushi Gaya Karte Thay...............*  

Gay Dino Ki Baat Hai,, ' Shabaab Par Bahaar Thi,,

- CollEction RaJu-Jaan-* - Gay Dino Ki Baat Hai ,, ' Shabaab Par Bahaar Thi ,, ' Fiza Bhi Khushgawar Thi ,, ' Na Janay Kiyon Machal Parra ,, ' Main Apne Ghar SE Chal Parra ,, ' Kisi Ne Mujhe Ko Rok Kar ,, ' Bari Adaa Se Tok Kar ,, ' Kaha K Loat Aaiye ,, ' Meri Qasam Na Jaaiye ,, ' ' Aaj Phir ,, ' Wohi Haseen Shaam Hai ,, ' Bahaar Jis Ka Naam Hai ,, ' Chala Hon Ghar Ko Chhorr Kar ,, ' Na Jaanay Jaon Ga Kidhar ,, ' Koi Nahi Jo Rok Kar ,, ' Koi Nahi Jo Tok Kar ,, ' Kahay K Loat Aaiye ,, ' Meri Qasam Na Jaaiye ...>* *._.* - 'AfSuRdaH'  

Gham-E-Hayaat Mein Eid Aane Se, Mera Dill Sulagta Hai,

=¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤= Eid Collection-2015 =¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤= Poet Ayaz Khan Type By *._Ayaz_Khan_.* Gham-E-Hayaat Mein Eid Aane Se, Mera Dill Sulagta Hai, Tera Aur Ki Bahoon Mein Eid Manane Se, Mera Dill Sulagta Hai, Jab Kabhi Mein Teri Tasveer Ko Seene Se Lagta Hoon, Youn Tarp Tarp Kar Aashk Bhaane Se, Mera Dill Sulagta Hai, Too Ne Mujhe Chor Dia Aur Phir Mera Dill Tor Dia, Tanhaai Mein Janaa Ye Khayal Aane Se, Mera Dill Sulagta Hai, Too Ne Jo Waade Kiye Mujh Se Sub Ke Sub Jhothe The. Ab To Kisi Aur Ko Jaana Aazmane Se, Mera Dill Sulagta Hai, Pardees Mein Betha Hoon Tere Sheher Se Door, Ab To Eid Par Tere Sheher Aane Se, Mera Dill Sulagta Hai, Ab Zullmi Ke Labon Par Muskorahat Nahi Aati Hai, Shagofe Apne Honton Par Sajane Se, Mera Dill Sulagta Hai.......!

Eid Ka Aana Rula Daita Hai, Guzrta Jo Bin Taire Wo Zamana Rula Daita Hai

Eid Collection 2015 Poet Umar Raahi Type By *_FAROOQI.54_* Eid Ka Aana Rula Daita Hai, Guzrta Jo Bin Taire Wo Zamana Rula Daita Hai, Too Ja Kar Pardais Bas Gaya, Dil Ka Soona Thikana Rula Daita Hai, Lot Aao Ik Baar Deed To Kara Jao, Bin Tairi Deed Eid Manana Rula Daita Hai, Bikhri Zulfain Sooni Aankhein, Khaali Kalaaiya'n, Eid Par Bin Taire Mehndi Lagana Rula Daita Hai, Maire Saathi Maire Ham Safar Maire RAAHI, Eidein Thi Sang Taire Ab Eid Manana Rula Daita Hai....................*

Mujhe Zindagi Mein Tumahari Zarorat Ho Gi, Ye Chand Lamho Ki Nahi Umer Bhar Ki Rafaqat Ho Gi

=¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤= Eid Collection-2015 =¤=¤=¤=¤=¤=¤=¤= Poet Affan Khan Type By *._Ayaz_Khan_.*   Mujhe Zindagi Mein Tumahari Zarorat Ho Gi, Ye Chand Lamho Ki Nahi Umer Bhar Ki Rafaqat Ho Gi, Tere Khene Par Lagai Hai Ye Mehindi Mein Ne, Too Agar Eid Par Na Aaya To Qayamat Ho Gi, Suno Tum Mere Dil Se Hargiz Mat Khelna Warna, Phir Kisi Ko Kisi Se Na Kabhi Mohabbat Ho Gi, Mein Teri Yaadon Se Jab Tak Wazoo Na Kar Loon, Mukamal Na Kabhi Meri Koi Bhi Ibadat Ho Gi, Too Ne Is Eid Par Bhi Gar Apna Wada Na Kia Pura. AFFAN Tujhe Apne Wadon Par Bahut Nadamat Ho Gi......!

Kahan Aa Ke Rukne Thy Qafly,Kahan Mor'r Tha Ise Bhool Ja

کہاں آکے رکنے تھے قافلے کہاں موڑ تھا اسے بھول جا   وہ جو مل گیا اسے یاد رکھ جو نہیں ملا اسے بھول جا   وہ میرے نصیب کی بارشیں کسی اور چھت پہ برس گئیں   دل بے خبر میری بات سن اسے بھول جا اسے بھول جا

Idhar Bhi Ik Nigaah-e-Rooh Parwar,Hamara Dil Bhi Hai Aafat Raseeda

اِدهر بهی اک نگاہِ روح پرور، ہمارا دل بهی ھے آفت رسیده ___    بساطِ زندگی پہ کهڑے ہیں، گریباں چاک اور دامن دریده ___ 

Main Ek Setaare Ki Sorat Pe Mar Mita Warna Falak Se Karta Raha Chaand Bhi Ishaare Mujhe

ميں اک ستارے كى صورت پہ مر مٹا ورنہ فلک سے كرتارہا چاند بھى اشارے مجھے   Main Ek Setaare Ki Sorat Pe Mar Mita Warna Falak Se Karta Raha Chaand Bhi Ishaare Mujhe

Mojood Thi Udasi Abhi Pechli Raat Ki , Behla Tha Dil Zara Saa Keh Phir Raat Aa Gayi

موجود تھی اداسی ابھی پچھلی رات کی . . بہلا تھا دل ذرا سا کہ پھر رات آگئ

Neend Bhi Nilaam Ho Jati Hai Bazaar-e-Ishq Mein

Neend Bhi Nilaam Ho Jati Hai Bazaar-e-Ishq Mein . . Itna Aasan Nahi Hota Kisi Ko Bhool Ke So Jana

Jab Bhi Rut Gadraai Muasam Bheega Aankhein Bheeg Gai

Poet Farhat Abaas Shah Type By *_FAROOQI.54_* Jab Bhi Rut Gadraai Muasam Bheega Aankhein Bheeg Gai, Jab Bhi Chaand Zara Aangan Pe Thehra Aankhein Bheeg Gai, Taiz Hawa Jab Hum Ko Pagal Keh Kar Pas Se Guzri To, Hum Ne Us Ki Baat Pe Hansha Chaha Aankhein Bheeg Gai, Koi Sard Hawa Ka Jhonka Chhoo Kar Guzra Baalo Ko, Koi Baadal Sa Aankhon Mein Utra Aankhein Bheeg Gai, Kal Main Yonhi Gher Iraadi Tor Pe Sada Kaghar Par, Likhte Likhte Jane Kaya Likh Betha Aankhein Bheeg Gai, FARHAT Jee Mat Poochho Hum Jese Deewanon Ki Khushiyaan, Hanste Hanste Jounhi Dil Mein Jhanka Aankhein Bheeg Gai...................*

Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota, Too bare Pyar Se Chao Se Baray Maan K Saath

Image
Poet Wasi Shah Kash Main Tere Haseen Hath Ka Kangan Hota, Too bare Pyar Se Chao Se Baray Maan K Saath, Apni Nazuk Si Kalaai Mein Charhaty Mujh Ko, Or Betaabi Se Furqat K Khiza Lamhon Mein, Tuo Kisi Soch Mein Doobe Jo Ghumate Mujh Ko, Main Tere Haath Ki Khushboo Se Mehak Sa Jata, Jab Kabhi Mood Mein Aakar Mujhe Chooma Karti, Tere Honton Ki Main Hiddat Se Dehak Sa Jata, Raat Ko Jab Bhi Tu Neend K Safar Pe Jati, Marmarin Haath Ka Ek Takiya Banaya Karti, Main Tere Kaan Se Lag Kar Kaii Baatain Karta, Teri Zulfon Ko Tere Gaal Ko Choomaa Karta, Kujh Ko Betaab Sa Rakhta Teri Chaahat Ka Nasha, Main Teri Rooh K Gulshan Mein Mehakta Rehta, Main Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta, Kuch Nahi To Yehi Benaam Sa Bandhan Hota, Kash Main Tere Hanseen Haath Ka Kangan Hota.

Patakh Raha Hai Bahaar Main Shaakh-e-Gul Pe Youn Andleeb Sar Ko

Patakh Raha Hai Bahaar Main Shaakh-e-Gul Pe Youn Andleeb Sar Ko, . . Keh Jaise Koi Pujaari Dar-e-Sanam Khatkhata Raha Hai .......!   Poet:A.H.Addum  

Ujr'ri Hoi Dukan Gulabon Ki Dekh QAIS

اجڑی ہوئی دکان گلابوں کی دیکھ قیس گھر آ کے اتنا رویا کہ ہلکان ہو گیا! شہزاد قیس

Ab To Is Raah Se Wo Shakhs Guzarta Bhi Nahi

Image
   

Asla'an Naal Je Neki Kariye,Nasla'an Tak Nahi Pulde

Image

Wafa Main Ab Ye Hunr Ikhtiyaar Karna Hai

وفا میں اب یہ ہنر اختیار کر نا ہے وہ سچ کہے نہ کہے ، اعتبار کرنا ہے یہ تجھ کو جاگتے رہنے کا شوق کب سے ہوا مجھے تو خیر ترا انتظار کرنا ہے ہوا کی زد میں جلانے ہیں آنسووں کے چراغ کبھی یہ جشن سر_ راہ گزار کرنا ہے مثال _شاخ _برہنہ ، خزاں کی رت میں کبھی خود اپنے جسم کو بے برگ و بار کرنا ہے تیرے فراق میں دن کس طرح کٹیں اپنے کہ شغل _شب تو ستارے شمار کرنا ہے کبھی تو دل میں چھپے زخم بھی نمایاں ہوں قبا سمجھ کے بدن تار تار کرنا ہے خدا خبر یہ کوئی ضد کہ شوق ہے محسن خود اپنی جان کے دشمن سے پیار کرنا ہے

Hijar Ke Saare Din Hain Pore

ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﺳﺎﺭﮮ ﺩﻥ ﮨﯿﮟ ﭘﻮﺭﮮ ﻟﯿﮑﻦ ﮨﮯ ﮨﺮ ﺭﺍﺕ ﺍﺩﮬﻮﺭﯼ ﻟﻔﻈﻮﮞ ﮐﯽ ﮔﮩﺮﺍﺋﯽ ﻣﯿﮟ ﺟﮭﺎﻧﮑﻮ ﺳﻤﺠﮭﮩﻮ ﻧﮧ ﮨﺮ ﺑﺎﺕ ﺍﺩﮬﻮﺭﯼ ﻧﻢ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺳﻮﮐﮭﯽ ﭘﻠﮑﯿﮟ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﮯ ﺑﺮﺳﺎﺕ ﺍﺩﮬﻮﺭﯼ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﭼﮭﯿﻦ ﮔﺌﮯ ﺗﻢ ﺭﮦ ﮔﺌﯽ ﻣﯿﺮﯼ ﺫﺍﺕ ﺍﺩﮬﻮﺭﯼ

Teri Khushbo Nahi Milti,Tera Lehja Nahi Milta

تیری خوشبو نہیں ملتی، تیرا لہجہ نہیں ملتا  ہمیں تو شہر میں کوئی ترے جیسا نہیں ملتا یہ کسی دھند میں ہم تم سفر آغاز کر بیٹھے، تمہیں آنکھیں نہیں ملتی ہمیں چہرہ نہیں ملتا  ہر اک تدبیر اپنی رائیگاں ٹھہری محبت میں، کسی بھی خواب کو تعبیر کا رستہ نہیں ملتا۔

Tum Khafa Kyun Ho? Tumhain Mujhse Gila Kia Hai

Tum Khafa Kyun Ho? Tumhain Mujhse Gila Kia Hai? Achanak Be-Rukhi Itni? Batao To Hua Kia Hai? Manaon Kis Tarah Tumko Mujhy Itna To Batla Do Agar Ab ho Sakey Tumse To Ye Ehsaan Kar Do Meri Manzil Mohabbat Hai Mujhy Manzil Pe Pohancha Do Tumhari Aankh Mein Aansu Mujhy Ache Nahi Lagte Tumhary Narm Honton Pe Gilay Ache Nahi Lagte Tumhary Muskurane Se Mera Dil Muskurata Hai Tumhary Rooth Janey Se Mera Dil Toot Jata Hai........!

Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin, Wo janta tha k hey ehtamam kis k liye

Image
  Bohat se log they mehmaan mere ghar lekin, Wo janta tha k hey ehtamam kis k liye..    

Us Ki Mutthi Main Buhat Roz Raha Mera Wajood,Mere Saahir Se Kaho Ab Mujhe Azaad Kare

اُس کی مُٹّھی میں بہت روز رہا میرا وجود میرے ساحر سے کہو اب مجھے آزاد کرے پروین شاکر

Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Kartay Hain, Main To Mar Kar Bhi Mairi Jaan Tumhein Chahon Ga,

  Singer Mehdi Hassan Type By *_FAROOQI.54_*   Zindagi Mein To Sabhi Pyar Kiya Kartay Hain, Main To Mar Kar Bhi Mairi Jaan Tumhein Chahon Ga, Too Mila Hai To Ye Ahsas Huwa Hai Mujh Ko, Ye Mairi Umar Mohabbat K Liye Thorri Hai, Ik Zara Sa Gham-E-Dora'n Ka Shaq Hai Jis Par, Main Nay Wo Sans Tairay Liye Rakh Chhorri Hai, Tujh Pay Ho Jaon Ga Qurban, Tujhay Chahon Ga, Apnay Jazbat Mein Naghamat Rachanay K Liye, Main Nay Dharrkan Ki Tarah Dil Mein Basaya Hai Tujhay, Main Tasvur Bhi Judai Ka Bhala Kaisay Karon ? Main Nay Qismat Ki Lakeeron Say Churaya Hai Tujhay, Pyar Ka Ban K Nigehban Tujhay Chahon Ga, Tairi Har Chap Say Jaltay Hain Khayalon Mein Charagh, Jab Bhi Too Aaye, Jagata Huwa Jadoo Aaye, Tujh Ko Chhoo Loun To Phir Ay Jaan-E-Tamna Mujh Ko, Dair Tak Apnay Badan Say Tairi Khushboo Aaye, Too Bahaaron Ka Hai Unwan Tujhay Chahon Ga.......................!

Choota Jo Tera Haath To Hum Toot Ke Roye Tum Jo Na Rahe Saath To Hum Toot Ke Roye

Choota Jo Tera Haath To Hum Toot Ke Roye Tum Jo Na Rahe Saath To Hum Toot Ke Roye Chahat Ki Tamanna Thi Aur Zakham Diye Tum Ne Paayi Jo Ye Saughaat To Hum Toot Ke Roye   Imkaan Na Tha Door Talak Tajdeed-E-Talluq Ka Dekhe Jo Ye Halaat To Hum Toot Ke Roye Anjaan Thy Hum Ab Tak Dard Ki Sorat Se Hoi Jo Mulaqaat To Hum Toot Ke Roye Logon Se Buhat Poocha Sabab Veerani ka Jo Soojhi Na Koi Baat To Hum Toot Ke Roye Thii Dhoop Buhat Taiz Har Simat Judayi Ki Barsi Jo Na Barsaat To Hum Toot Ke Roye Din Bhar To Rahe Chup Ke Dunya Ki Nazron Se Bheegi Jo Siyaah Raat To Hum Toot Ke Roye Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna Hi Ik Hissa Tukr'ron Mein Batti Zaat To Hum Toot Ke Roye   Hum Karte Rahe Kiyon Us Chhand Ki Khuwahish Yaad Aayi Jo Aukaat To Hum Toot Ke Roye   ********** NOMI **********  

Ye Dolat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo

Singr Jag Jeet Singh Type bY UJRRA_DIL Ye Dolat Bhi Le Lo Ye Shohrat Bhi Le Lo, Bhale Chheen Lo Mujh Se Meri Jawani, Mgar Mujh Ko Lota Do, Wo Bechpan Ka Sawan, Wo Kaghaz Ki Kashti, Wo Barish Ka Pani, Muhle Ki Sub Say Purani Nishani, Wo Burrhiya Jise Beche Kehte Thay Nani, Wo Nani Ki Baton Pe Pariyon Ka Dera, Wo Chehare Ki Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phaira, Bhulaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi, Wo Chhoti Si Ratein, Wo Lambi Kahaani, Karri Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna, Wo Chirriya Wo Bulbul, Wo Titli Pakrrna, Wo Gurriya Ki Shadi Pe, Larrna Jhagrrna, Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir K Sanbhlna, Wo Peetal K Chhalo'n K Pyare Se Tohfay, Wo Tooti Hui Choorriyon Ki Nishani, Wo Kaghaz Ki Kashti, Wo Barish Ka Pani................!

Jeevan Ko Dukh,Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Paani Kehte Bache Lekin Soye Hove Thay Kis Ko Kahani Kehte

Jeevan Ko Dukh,Dukh Ko Aag Aur Aag Ko Paani Kehte Bache Lekin Soye Hove Thay Kis Ko Kahani Kehte Sach Kehne Ka Hosala Tum Ne Cheen Lia Hai  Warna Sheher Main Phaili Veerani Ko Sab Veerani Kehte Waqt Guzarta Jata Aur Ye Zakham Harey Rehte To Bar'ri Hifazat Se Rakhi Hai Teri Nishaani Kehte Wo To Shayed Dono Ka Dukh Aik Jaisa Tha Warna Hum Bhi Pathar Marte Tujh Ko Aur Deevani Kehte Tabdeeli Sachayi Hai Is Ko Mante Lekin Kaise Aayine Ko Dekh Ke Ik Tasveer Puraani Kehte Tera Lehja Apnaya Ab Dil Mein Hasrat Si Hai Apni Koi Baat Kabhi To Apni Zubaani Kehte Chup Reh Kar Izhaar Kia Hai Keh Sakte To "ANEES" Aik Alaheda Tarz-e-Sukhan Ka Baani Kehte.........!   ********** NOMI **********  

Gulshan Pak Hamara, Tan Man Dhan Se Pyara

Image
  Poet Nasir Kazmi Type By *_FAROOQI.54_* Gulshan Pak Hamara, Tan Man Dhan Se Pyara, Hum Ko Naaz Hai Is Gulshan Par, Hum Ne Kitni Jaanein Day Kar, Is Ka Rang Ubhaara, Gulshan Pak Hamara, Baste Shehar Zameen K Sehray, Tehzeebon K Roshan Chehray, Ghar Ghar Chaand Staara, Gulshan Pak Hamara, Pak Faza Parcham Noorani, Baidaari Ki Zinda Nishani, Nusrat Ka Gehwaara, Gulshan Pak Hamara.......*

Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay, Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay

Poetess: Naina'n Type By *_FAROOQI.54_* Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay, Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay, Jis Din Ghar Say Bhag K Shehar Ponchi Thi, Bhag Bhari K Bhag Usi Din Phootay Thay, Mazhab Ki Bunyad Ye Kaya Taqseem Hui ? Hamsayon Nay Hamsaye Hi Lootay Thay, Shokh Nazar Ki Chutki Nay Nuqsan Kiya, Hathon Say Chae K Bartan Chhootay Thay, Aurrh K Phirti Hai Jo NAINA'N Sari Raat, Us Raisham Ki Shal Pay Yaad K Bootay Thay.................!

Du Gatte Kor Tawan La Bozai Ma Charta Bal Jahan La Bozai

  Poet:Muhammad Israr Atal Type By *.__NOMI__.*   Tapaize   Du Gatte Kor Tawan La Bozai Ma Charta Bal Jahan La Bozai Yao Zal Mi Khpal Arman La Bozai Ma Du Kabul Janan La Bozai Du Pekhawar Du Khkulo Star're Yam Mayana Khair Dy Pu Sod Pu Ziyan De Washi Zama Du Zr'ru Tawan De Washi Kho Bas Zama Du Gran De Washi Sta Du Wisaal Baraan De Washi Khair Dy Ku Zu Du Maire Lond Kor Ta Razama Pakhuwaney Yaad Mi Rapa Zr'ru Sho Du Zar'rgi Sod Mi Pre Wanu Sho Khalqa Du Meeney yaar Mi Sa Sho Pu Rebarano Raza Nu Sho Os Ba Palao Yaar Ta Pakhpala Ghuwar'raoma Du Pukhton Khuwa Du Khkulo Khan Dy Ashna Khpal Husan Ta Heran Dy Pu Ma Du Khpala Zaana Gran Dy Janan Zama Pa Sar Janan Dy Ku Zu Ye Pregdam Du Koso Malang Ba Sheena Toora Du Nang Waha Rakheja Ghar Ao Gar'rang Waha Rakheja Laachi Lawang Waha Rakheja Spomiah Kr'rang Waha Rakheja Yaar Mi Du Gulo Lao Kavi Gote Rebeena Du Nazar Taar Mi Warla Yaosai Yao Yao Parha...

Aise Jurri Hui Teri Tasveer Dil Mein Hai, Jese Keh Poori Waadi-E-Kashmeer Dil Mein Hai

Poet Abdul Hameed Adam Type By *_FAROOQI.54_* Aise Jurri Hui Teri Tasveer Dil Mein Hai, Jese Keh Poori Waadi-E-Kashmeer Dil Mein Hai, Is Roshni Ki Had Hai Koi Aur Na Intiha, Halaki Si Ik Umeed Ki Tanveer Dil Mein Hai, Itna Mere Qareeb Na Betho Janaab-E-Man, Had Se Ziyada Lazat-E-Taqseer Dil Mein Hai, Nawok Chalane Wale Ko Kitni Duaein Doon ? Piyosat Aik Shehad Bhara Teer Dil Mein Hai, Too Phaink Kar To Dekh Kamnd Apni Zullf Ki, Bay Intiha Mohabbat-E-Zanjeer Dil Mein Hai, Aate Hain Dekhne Jise Pariyon K Jhandd ADAM, Heran Hoon Aisi Kon Si Ta'ameer Dil Mein Hai....................?

Tahzeeb Be-Naqaab Ki Aankhein Nikaal Do Us Quam K Shabbaab Ki Aankhein Nikaal Do

Image
Poet:Saghar Siddiqui Tahzeeb Be-Naqaab Ki Aankhein Nikaal Do Us Quam K Shabbaab Ki Aankhein Nikaal Do Jis Ki Sada Nay Waqt Ko Baidar Kar Diya Us Sahib-e-Kitaab Ki Aankhein Nikaal Do Ab Manzil-e-Wafa Ki Zaroorat Nahi Rahi Har Azam-e-Kamyaab Ki Ankhein Nikaal Do Jis Nay Sama'aton Ko Diya Dars-e-Be-Khodi Us Naghma-e-Rabbab Ki Aankhein Nikaal Do Jis Main Na Ho Baseerat-e-Insan Ki Chaandni Us Sheesha-e-Sharaab Ki Aankhein Nikaal Do Makhmoor Gaisowon Ki Ghataon Ka Wazan Hai Pur Noor Mehtaab Ki Aankhein Nikaal Do SAGHAR Nikhar Sakay Na Jahan Nighat-e-Khodi Us Qariya-e-Gulaab Ki Aankhein Nikaal Do..........!

Chaak-e-Daman To Kher Sil Jata.

  Chaak-e-Daman To Kher Sil Jata ...... . . Chaak-e-Hasti Kahan Rafoo Karte ...... . A.H.Addam .

Baran Waregi Ma Ta Taa Yadavi Da Sta War'ra War'ra Khanda Yadavi

  Poet:Muhammad Israr Atal Type By *.__NOMI__.* Tapaiza Sandara   Baran Waregi Ma Ta Taa Yadavi Da Sta War'ra War'ra Khanda Yadavi Du Pukhtonkhuwa Du Khkulo Khan She Qurban Qurban Janan Janan She Da Mi Dua Da Che Wadan She Kabul Ta Mu Waya Che Wran She Dy Che Wranegi Zama Zr'ru Warsara Chuweena Baran Che Kala Hum Waregi Pu Musafaro Sa Teregi Zr'ru Mi Nare Nare Khugigi Sta ba Zama na Gila Kegi Zama Du Kor Pu Khalqo Nu Rasi Lasoona Pu Naz Khabare De Maza Ka Du Meene Chal Du Cha Na Zda Ka Baran Waregi Dalta Shpa Ka Awal Chelam Rata Taza Ka Bya Ba Qisse Du Star'ri Jwand Darta Koma Du Khpale Meene Zor Ta Gore Zama Du Zr'ru Takor Ta Gore Sa Waile Nu She Wror Ta Gore Lewanai Khkata Porta Gore Du Kali Mianz Ta Du Shpelai Awaz Razeena Baran Waregi Ma Ta Taa Yadavi Da Sta War'ra War'ra Khanda Yadavi   ********** NOMI **********   

Goriyoon Kaliyoon Ne Maar Dia, Jaamnoon Waliyon Ne Maar Dia

Poet Abdul Hameed Addam Type By *_FAROOQI.54_* Goriyoon Kaliyoon Ne Maar Dia, Jaamnoon Waliyon Ne Maar Dia, Ang Hai Ya Rakaabiyan Dhun Ki ? Mohni Thaliyon Ne Maar Dia, Gungunaate Haseen Kaanon Ki, Dolti Baaliyon Ne Maar Dia, Auday Auday Sahaab Se Aanchal, Rang Ki Jaaliyon Ne Maar Dia, Zulf Ki Nikhaton Ne Jaan Le Li, Hontoon Ki Laaliyon Ne Maar Dia, Uff Wo Pyaase Muaez'Zeen Jinhein, Rass Bhari Daaliyon Ne Maar Dia, Jhoomti Daaliyon Se Jisam ADDAM, Jhoomti Daaliyon Ne Maar Dia....................*

Takoreezey

  Poet:Muhammad Israr Atal Type By *.__NOMI__.* ******************** Takoreezey ******************** Yadona "Takoreeza Du Pukhto Nawe Sanaf Dy, Che Pu Awal Zal Staso Pu Wr'rande Dy" Charta Khuwar Nu She Ao Be-Laar Nu She Da Mi Dua Da Che Bemaar Nu She Bachiya Du School Na Qarar Nu She Zu Ba Pradai Jaame Gandam Ta Ba saatama Sta Gham Mi Mal Dy Zaka Mi Khpal Dy Khog Pekhawar Dy Shereen Kabul Dy Watan De Byal,Watan Mi Byal Dy Dua Salam de Ra-lega Che Sok Razeena His Darna Nu Wr'ri Gham Ba Pu Zr'ru Wr'ri Khuwago La Rashi Hamesh Trakhu Wr'ri Khuwendey Du Ror Du Kora Sa Wr'ri Khuwaru Zulfaan Pu Oogo Wr;ri Pu Jar'ra Zeena Ilam Ba Zyat Kr'ram Kha Ba Haalaat Kr'ram Da Sta Khabaro Mayin Pu Swat Kr'ram Za Che Nazar Darbande Maat Kr'ram Janana Khalaq De Har Zaai Sifat Kaveena ********** NOMI **********  

Saloreeza

  Poet:Muhammad Israr Atal Type By *.__NOMI__.* ********** Saloreeza ********** Ma Ku Pu Hera Charta Swal Du Pasarli Kar'reVi Zikar Awal Ba Mi Du Khpal Zr'ru Lewani Kar're Vi Ku Mi Loyi Chare Raghaley Ve Zara Pu Zr'ru Ke Da Ba Mi Hase Du Raqeeb Sara Siyaali Kar're Vi ********** NOMI **********  

Ma Meena Kar're

  Poet:Muhammad Israr Atal Type By *.__NOMI__.* ***********************        { Ma Meena Kar're } ***********************   Hagha Sar're Zama Qatil Dy Zu Ye Wajaley Yama Zu Pre Dawa Nu Kom Zu Saza Nu Warkom Zu Pre Jarga Nu Kom Bas Domra Waim Warta Che Zu Ye Pu Sa Wajlam Akhir Gunah Mi Sa Wa Che Domra Loya Saza Pu Na Khabara Rakai Kho Bas! Yao Swal Larama Yaoa Pokhtana Kom Ku Maintob Gunah Vi Ku Lewantob Gunah Vi No Ma Gunah Kar're Da Zu Du Saza Laiq Yam Ma De Be-Shaka mar'r Kr'ri Zu Pre Dawa Nu Kom Zu Pre Jarga Nu Kom Ma Warta Khoon Bakhaley Zaka..... Ma Meena Kar're   ********** NOMI **********