Ae Tagayur e Zamana Ye Ajeeb Dil Lagi Hai Na Waqar Dodti Hai Na Majal Dushmani Hai
Ae Tagayur e Zamana Ye Ajeeb Dil Lagi Hai Na Waqar Dodti Hai Na Majal Dushmani Hai Yahi Zulmatein Chunein Jo Tere Surkh Aanchalon Mein Inhi Zulmaton Se Shayed Mere Ghar Mein Roshni Hai Mere Saath Tum Bhi Chalna Mere Saath Tum Bhi Aana Zara Gham Ke Raston Mein Badi Tez Tergi Hai Ye Mushahida Nahi Hai Mere Dard Ki Sada Hai Mere Dagh Dil Liye Hein Teri Bazm Jab Saji Hai Gham e Zindagi Kahan Hai Abhi Wehshaton Se Fursat Tere Naz Utha Hi Leingy Abhi Zindagi Padi Hai Tere Khushk Gaisoun Mein Meri Aarzo Hai Penhan Tere Shokh Bazoun Mein Meri Dastaan Rachi Hai Jise Apna Yaar Kehna Usay Chodhna Bhanwar Mein Ye Hadees e Dilbaraan Hai Ye Kamaal Dilbari Hai Woh Guzar Gaya Hai SAGHAR Koi Qafla Chaman Se Kahein Aag Jal Rahi Hai Kahein Aag So Gai Hai Saghar Siddiqui