Poet:Nasseer-O-Deen Nasseer Gillani Type By *._.Murtaza._* Mohabbat Naaz Hai, Yeh Naaz Kab Har Dil Se Uth'ta Hai, Yeh Woh Sang-E-Giran Hai Jo Barri Mushkil Se Uth'ta Hai, Lagi Main ISHQ Ki, Shoalla Koi Mushkil Se Uth'ta Hai, Jallan Rehti Hai Aankhon Main, Dhuwaan Se Dil Se Uth'ta Hai, Teri Nazroon Se Gir Kar Jab Koi Mehfil Se Uth'ta Hai, Barri Diqatt, Barri Zehmat, Barri Mushkil Se Uth'ta Hai, Jo Aa Kar Baith'ta Hai, Baith Kar Woh Phir Nahi Uth'ta, Jo Uth'ta Hai Toh Bus Fitnaa Teri Mehfil Se Uth'ta Hai, Manaa Kar Hi Tumhen Dam Lenge, Yeh Tay Kar Liya Hum Ne, Tumhari Na Khushi Ka Bojh Kis Ke Dil Se Uth'ta Hai, Ye Aalam Hai Tere Beemar-E-Ulfat Ki Naqaahat Ka, Ishaare Ke Liye Ab Haath Mushkil Se Uth'ta Hai, Zaroorat Hai Toh Gardaab-E-Balaa Main Aafiyat Dhoondo, Ke Ab Toofan Aksar Daaman Saahil Se Uth'ta Hai, Mohabbat Ka Safar Be Intihaa Aasaan Sah