Posts

Showing posts from January, 2019

Woh Mujh Ko Baraf Ke Toofaa'n Mein Kaisay Chhorh Geyaa Hawa-e-Sard Mein Bhi Jab , Meri Hifazat Ki

Image
وُہ مُجھ کو بَرَف کے طُوفاں میں کَیسے چھَوڑ گِیا ہوَائے سَرد میں بھِی جَب ، مِری حِفاظَت کی Woh Mujh Ko Baraf Ke Toofaa'n Mein Kaisay Chhorh Geyaa Hawa-e-Sard Mein Bhi Jab , Meri Hifazat Ki

Aek tu sajan mere pass nahen ry Dojy melan di koi aas nahen ry

Image
ایک تو سجن میرے پاس نہیں رے دوجے ملن دی کوئی آس نہیں رے اس پہ یہ ساون آیا ⁦ 🌨️ ⁩ آگ لگائی لمبی جدائی لمبی جدائی Aek tu sajan mere pass nahen ry Dojy melan di koi aas nahen ry Is peh ye sawan aaya 🌨️ aag lagai Lambi judai lambi judai

Lakdi sarhey tey koila howey Jey koila sarhey tey suwaah Hijar terey wich sarh gai sajna Wey main koila, tey na suwaah

Image
لکڑی سڑے تے کوئلہ ہووے۔ جے کوئلہ سڑے تے سواہ ہجر تیرے وِچ سڑ گئی سجناں۔ وے میں کوئلہ, تےنہ سواہ Lakdi sarhey tey koila howey Jey koila sarhey tey suwaah Hijar terey wich sarh gai sajna Wey main koila, tey na suwaah

Woh Jo Jazbat Ki Hurmat Se Hi Na-Waqif Hain Kaise Mumkin Tha Keh Woh Ishq Ki Izat Karte

Image
وہ جو جذبات کی حرمت سے ہی نا واقف ہیں کیسے ممکن تھا کہ وہ عشق کی عزت کرتے Woh Jo Jazbat Ki Hurmat Se Hi Na-Waqif Hain Kaise Mumkin Tha Keh Woh Ishq Ki Izat Karte

Muhabbat mein nahi hai qaid milnay aur bicharnay ki yeh in khud-gharz baaton se buhat agay ki duniya hai

Image
Muhabbat mein nahi hai qaid milnay aur bicharnay ki yeh in khud-gharz baaton se buhat agay ki duniya hai

Hazaar kaam mazay k hain Daagh Ulfat main Jo log Kuch nahi karte Kamaal karte hain

Image
نگاہ پھیر کے عذرِ وصال کرتے ہیں مجھے وہ الٹی چھری سے حلال کرتے ہیں Nigah phair k uzr-e-wisaal kartay hain Mujhay who ulti churi se halaal karte hain زبان قطع کرو، دل کو کیوں جلاتے ہو اِسی سے شکوہ، اسی سے سوال کرتے ہیں Zubaan Qata karo ,Dil ko kiun jalatay ho Isi se shikwa,isi se sawal karte hain نہ دیکھی نبض، نہ پوچھا مزاج بھی تم نے مریضِ غم کو یونہی دیکھ بھال کرتے ہیں na daikhi nabz,na pocha mezaaj bhi tum nay Mareez-e-Gham ko younhi daikh bhaal karte hain مرے مزار کو وہ ٹھوکوں سے ٹھکرا کر فلک سے کہتے ہیں یوں پائمال کرتے ہیں Mere mazaar ko woh thoukraoun se thukra kar Falak se kehte hain youn paamaal karte hain پسِ فنا بھی مری روح کانپ جاتی ہے وہ روتے روتے جو آنکھوں کو لال کرتے ہیں Pas-e-Fana bhi meri rooh kaamp jati hai Woh rotay rotay jo aankhoun ko laal karte hain اُدھر تو کوئی نہیں جس سے آپ ہیں مصروف اِدھر کو دیکھیے، ہم عرض حال کرتے ہیں Udhar tou koi nahin jis se aap hain masroof Idhar ko daikhye,hum arz-e-Haal karte hain یہی ہے فکر کہ ہاتھ آئے تازہ ط

liya hai dil hi faqat aur jaan baki hai abhi to kaam tumhein mehrban baki hai

Image
لیا ہے دل ہی فقط اور جان باقی ہے ابھی تو کام تمہیں مہربان باقی ہے लिया है दिल ही फ़क़त और जान बाक़ी है अभी तो काम तुम्हें मेहरबान बाक़ी है liya hai dil hi faqat aur jaan baki hai abhi to kaam tumhein mehrban baki hai

Takte hoe har shai ko barde ghor se guzre Hum baad tere jab kabhi Lahore se guzre

Image
Takte hoe har shai ko barde ghor se guzre Hum baad tere jab kabhi Lahore se guzre Unknown

Shor Hai Har Taraf Sahab Sahab Saqiya Saqiya ! Sharaab Sharaab (Kashfi Multani)

Image
Shor Hai Har Taraf Sahab Sahab Saqiya Saqiya ! Sharaab Sharaab Aab-e-Haiwan Ko Mai Se Kia Nisbat Paani Paani Hai Aur Sharaab Sharaab Rind Ba-Khushi Gaye Qayamat Mein Shaikh Kehta Raha Hisaab Hisaab Ik Wahi Mast Ba-Khabar Nikla Jis Ko Kehty Thay Sab Kharaab Kharaab Mujh Se Jab Wajah-e-Gunah Jab Poochi Sar Jhuka Ke Kaha Shabaab Shabaab Jaam Girne Laga Tou Behka Shaikh Thamna Thamna Kitaab Kitaab Kab Woh Aata Hai Samny "Kashfi" Jis Ki Har Ik Ada Hijaab Hijaab Poet:Kashfi Multani

Angdai Bhi Woh Lene Na Paae Utha Ke Haath Dekha Jo Mujh Ko Chod Diye Muskura Ke Haath

Image
Angdai Bhi Woh Lene Na Paae Utha Ke Haath Dekha Jo Mujh Ko Chod Diye Muskura Ke Haath Be-Sakhta Nigahein Jo Aapas Mein Mil Gaeen Kia Munh Par Us Ne Rakh Liye Aankhein Chura Ke Haath Ye Bhi Naya Sitam Hai Hina Tou Lagaen Ghair Aur Us Ki Daad Chahen Woh Mujh Ko Dekha Ke Haath Be-Ikhtiyar Ho Ke Jo Main Paanv Par Gira Thodi Ke Neeche Us Ne Dhara Muskura Ke Haath Gar Dil Ko Bas Mein Paaen Tou Naseh Teri Sunen Apni Tou Mar-o-Zeest Hai Us Be-Wafa Ke Haath Woh Zaanon Mein Seena Chupana Simat Ke Haae Aur Phir Sambhalna Woh Dopatta Chuda Ke Haath Qasid Tere Bayan Se Dil Aisa Thahar Gaya Goya Kisi Ne Rakh Diya Seene Pe Aa Ke Haath Ay Dil Kuch Aur Baat Ki Raghbat Na De Mujhe Sunni Padengi Saikdon Us Ko Laga Haath Woh Kuch Kisi Ka Keh Ke Satana Sada Mujhe Woh Khinch Lena Parde Se Apna Dekha Ke Haath Dekha Jo Kuch Ruka Mujhe Tou Kis Tapak Se Gardan Mein Meri Daal Diye Aap Aa Ke Haath Phir Kiyun Na Chaak Ho Jo Hain Zor-Aazmaiyan Bandhunga Phir Dupate Se Us Be-Khata Ke Haat

Yahi janoon ka mutalba hai , yahi taqza hai khudi ka Main tishna reh kar hi tishnagi se ilaj karta hoon tishnagi ka

Image
ﯾﮩﯽ ﺟﻨﻮﮞ ﮐﺎ ﻣُﻄﺎﻟﺒﮧ ﮨﮯ ،  ﯾﮩﯽ ﺗﻘﺎﺿﺎ ﮨﮯ ﺑﮯ ﺧﻮﺩﯼ ﮐﺎ ﻣﯿﮟ ﺗﺸﻨﮧ ﺭﮦ ﮐﺮ ﮨﯽ ﺗﺸﻨﮕﯽ ﺳﮯ ، ﻋﻼﺝ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﺗﺸﻨﮕﯽ ﮐا Yahi janoon ka mutalba hai  , yahi taqza hai khudi ka Main tishna reh kar hi tishnagi se ilaj karta hoon tishnagi ka

Dost Ka Ghar Aur Dushman ka Pata Maloom Hai , Zindagi Hum Ko Tera Ye Silsila Maloom Hai

Image

Mere marne ki khabar log udda daite hain Iss pe tum kaan na dharna main abhi atti hon

Image
مرے مرنے کی خبر لوگ اڑا دیتے ہیں اس پہ تم کان نہ دھرنا ' میں ابھی آتی ہوں زندگی لے کے ہی آوں گی خدا کے گھر سے تم ذرا دیر ٹھہرنا ' میں ابھی آتی ہوں یہ جو تاروں کی سی ہنستی ہیں تمھاری آنکھیں ان کو جل تھل نہیں کرنا ' میں ابھی آتی ہوں میں ابھی آتی ہوں سورج سے اجالا لے کر شام آئے تو نہ ڈرنا ' میں ابھی آتی ہوں میرے بارے میں اگر کوئ بھی پوچھے تم سے تم کوئ بات نہ کرنا 'میں ابھی آتی ہوں Mere marne ki khabar log udda daite hain Iss pe tum kaan na dharna main abhi atti hon Zindagi le ke aungi khuda ke ghar se Tum zara dair theharna main abhi atti hon Yeh jo taron ki si hasti hain tumahari ankhain Inn ko jal thal nahi karna main abhi atti hon Main abhi atti hon soraj se ujaala le kar Shaam aye toh na darna main abhi atti hon Mere bare mein agar koi bhi pooche tumse Tum koi baat na karna main abhi atti hon

Nah Dardaa'n Dy Nah Farzaa'n Dy Sab Reshtey Naatey Gharzaa'n Dy

Image
‏نہ درداں دے  نہ فرضاں دے سب رشتے ناتے غرضاں دے Nah Dardaa'n Dy Nah Farzaa'n Dy Sab Reshtey Naatey Gharzaa'n Dy

Uljhe Hoe hain palkon mein shabnam ke kuch Qatre Bichra tha koi Raat Khuwabon ke safar mein

Image
الجهے هوئے هیں پلکوں میں شبنم کے کچھ قطرے بچهڑا تها کوئی رات خوابوں کے سفر میں Uljhe Hoe hain palkon mein shabnam ke kuch Qatre Bichra tha koi Raat Khuwabon ke safar mein

Kab Tak Hansey Gi Tujh Pe Yeh Mehroomiyon Ki Shaam Woh Shakhs Be-wafaa Tha Ussey Ab Bhula Bhi Dey

Image
کَب تَک ہَنسے گی تُجھ پِہ ، یِہ مِحرُومیوں کی شام وُہ شَخص بےوفا تھا ، اسے اب بُھلا بھِی دے Kab Tak Hansey Gi Tujh Pe Yeh Mehroomiyon Ki Shaam Woh  Shakhs Be-wafaa Tha Ussey Ab Bhula Bhi Dey

Tera hijar kamzor kar gaya hai mujhe Mere kangan dheele ho gaye hain

Image
Tera hijar kamzor kar gaya hai mujhe Mere kangan dheele ho gaye hain

Barish , Badal Tum Aur Main Khushbo , Mausam Tum Aur Main

Image
'' تُم اور مَیں '' بارش ، بادل تم اور میں خوشبو ، موسم تم اور میں کالے بادل ، رم جھم بارش نیلا آنچل تم اور میں بہتی ندیاں ، گرتا پانی آنکھیں ، آنْسُو تم اور میں پاس کسی ، دریا کے کوئی بھیگی جھونپڑی تم اور میں دور کہیں ، کوئل کی کو کو گھنا جنگل تم اور میں برکھا رم جھم ، گیت سنائیں جھرمٹ ڈالیں تم اور میں دور کہیں پر ، چھوٹا سا اِک کچہ سا گھر تم اور میں گود تیری ، اور سَر میرا پاگل سی چُپ تم اور میں اور پھر ھونٹوں سے برستی شبنم   تم اور میں "Tum Aur Main" Barish , Badal Tum Aur Main Khushbo , Mausam  Tum Aur Main Kaale Badal , Rim Jhim Barish Neela Aanchal  Tum Aur Main  Behti Nadiyan ,Girta Paani Aankhen , Aansoo Tum Aur Main Paas Kisi , Dariya Ke Koi Bheegi Jonpdi  Tum Aur Main Door Kahein , Koil Ki Ko Ko  Ghana Jangal Tum Aur Main Barkh Rim Jhim , Geet Sunaaein Jhurnat Daalein  Tum Aur Main Door Kahein Par , Chota Sa Ik Kachha Sa Ghar  Tum Aur Main  Goud Teri , Sar Mera Pagal Si Chup Tum Aur Mai

Woh Maseeha Na Bana Hum Bhi Khuwahish Nahi Ki Apni Sharton Pe Jeeye Uss Se Guzarish Nahi Ki

Image
  وہ مسیحا نہ بنا ہم نے بھی خواہش نہیں کی اپنی شرطوں پہ جیے اس سے گزارش نہیں کی Woh Maseeha Na Bana Hum Bhi Khuwahish Nahi Ki Apni Sharton Pe Jeeye Uss Se Guzarish Nahi Ki  

Muhabbaton Ke Asas Lehje , Haqeeqaton Ke Akas Lehje Ay Bint-e-Hawa Sanbhal Ke Rehna , Fareb Hain Ye Methas Lehje

Image
محبتوں کے اساس لہجے، حقیقتوں کے عکاس لہجے اے بنتِ حوا سنبھل کے رہنا، فریب ہیں یہ مٹھاس لہجے Muhabbaton Ke Asas Lehje , Haqeeqaton Ke Akas Lehje Ay Bint-e-Hawa Sanbhal Ke Rehna , Fareb Hain Ye Methas Lehje  

Barish hui tou ghar kay dareechey say lag kay hum Chup chaap sogawaar tumhein sochtey rahey

Image
بارش ہوئی تو گھر کے دریچے سے لگ کے ہم چپ چاپ۔ سوگوار۔ تمہیں سوچتے رہے Barish hui tou ghar kay dareechey say lag kay hum Chup chaap sogawaar tumhein sochtey rahey

Chahat Mein Kia Dunya-Dari Ishq Mein Kaisi Majbori Logon Ka Kia Samjhane Do Un Ki Apni Majbori (Mohsin Bhopali)

Image
Chahat Mein Kia Dunya-Dari Ishq Mein Kaisi Majbori Logon Ka Kia Samjhane Do Un Ki Apni Majbori Main Ne Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ne Dunya Walon Ki Meri Arz Bhi Majbori Thi Un Ka Hukam Bhi Majbori Rok Sako Tou Pehli Barish Ki Bondon Ko Tum Roko Kachhi Mitti Tou Mehkegi Hai Mitti Ki Majbori Zat-Kade Mein Pahron Baten Aur Milan Tou Mohar Ba-Lab Jabr-e-Waqt Ne Bakhshi Hum Ko Ab Ke Kaisi Majbori Jab Tak Hansta Gaata Mausam Apna Hai Sab Apne Hain Waqt Pade Tou Yaad Aa Jati Hai Masnui Majbori Ik Aawaara Badal Se Kiyon Main Ne Saaya Manga Tha Meri Bhi Ye Nadani Thi Us Ki Bhi Thi Majbori Muddat Guzri Ik Waade Par Aaj Bhi Qaaim Hain "Mohsin" Hum Ne Saari Umar Nibhai Apni Pehli Majbori   Poet:Mohsin Bhopali

Be-Chad Ke Tujh Se Mayassar Hoe Wisal Ke Din Hain Tere Khuwaab Ki Ratein Tere Khayal Ke Din (Mohsin Bhopali)

Image
Be-Chad Ke Tujh Se Mayassar Hoe Wisal Ke Din Hain Tere Khuwaab Ki Ratein Tere Khayal Ke Din Firaq-e-Jaan Ka Zamana Guzarna Hoga Fughan Se Kam Tou Na Honge Ye Mah-o-Saal Ke Din Har Ik Amal Ka Woh Kia Kia Jawaaz Rakhta Hai Na Ban Padega Jawaab Aik Bhi Sawaal Ke Din Urooj-e-Bakht Mubarak Magar Ye Dhyan Rahe Inhi Dinon Ke Ta'aqub Mein Hain Zawaal Ke Din Guzar Rahe Hain Kuch Is Tarah Roz-o-Shab Apne Keh Jis Tarah Se Katen Shakh-e-Be-Nihal Ke Din Shikayaten Bhi Buhat Hain Hikayaten Bhi Buhat Guzar Na Jaen Yunhi Ahd-e-Be-Misaal Ke Din Woh Zindagi Ko Naya Mod De Gaya "Mohsin" Yahi Zawaal Ke Din Hain Mere Kamaal Ke Din    Poet:Mohsin Bhopali

Be-Khabar sa tha Magar Sab Ki Khabar Rakhta Tha Chahe Jane Ke Sabhi Aib-o-Hunar Rakhta Tha (Mohsin Bhopali)

Image
Be-Khabar sa tha Magar Sab Ki Khabar Rakhta Tha Chahe Jane Ke Sabhi Aib-o-Hunar Rakhta Tha La-Ta'alluq Nazat Aata Tha Ba-Zahir Lekin Be-Niazana Har Ik Dil Mein Guzar Rakhta Tha Us Ki Nafrat Ka Bhi Meyar Juda Tha Sab Se Woh Alag Apna Ik Andaz-e-Nazar Rakhta Tha Be-Yaqeeni Ki Fizaon Mein Bhi Tha Hausala-Mand Shab-Paraston Se Bhi Umeed-e-Sahar Rakhta Tha Mashware Karte Hain Jo Ghar Ko Sajane Ke Liye Un Se Kis Tarah Kahon Main Bhi Tou Ghar Rakhta Hon Us Ke Har Waar Ko Sahta Raha Hans Kar "Mohsin" Ye Ta'assur Na Diya Main Bhi Sipar Rakhta Tha   Poet:Mohsin Bhopali

Be-Sabab Log Badalte Nahi Maskan Apna Tum Ne Jalte Hoe Dekha Hai Nasheman Apna (Mohsin Bhopali)

Image
Be-Sabab Log Badalte Nahi Maskan Apna Tum Ne Jalte Hoe Dekha Hai Nasheman Apna Kis Kadey Waqt Mein Mausam Ne Gawahi Mangi Jab Gareban Hi Apna Hai Na Daman Apna Apne Lut Jane Ka Ilzam Kisi Ko Kia Doon Main Hi Tha Rah-numa Main Hi Tha Rahzan Apna Koi Milta Hai Jo Is Daur-e-Pur-Ashob Mein Dost Mashware De Ke Bana Lete Hain Dushman Apna Jab Bhi Sach Bolte Bachhon Pe Nazar Padti Hai Yaad Aa Jata Hai Be-Sakhta Bachpan Apna Yun Kia Karte Hain Lakhon Ko Naseehat Aksar Jaise Hum Ne Na Guzara Ho Ladakpan Apna Rang-e-Mehfil Ke Liye Hum Nahi Badle "Mohsin" Wahi Andaz-e-Takhayyul Hai Wahi Fan Apna Poet:Mohsin Bhopali

Woh Jissey NEEND Kaha Kartey Hein Sabb Chain Ki Neend Woh Tere Baad Kabhi Aankh Mein Utri Hi Nahein

Image
وُہ جِسے نِیند کہا کَرتے ہیں سَب چَین کی نِیند وُہ تیرے بَعد کَبھِی آنکھ میں اُتری ہی نہِیں Woh Jissey NEEND Kaha Kartey Hein Sabb Chain Ki Neend Woh Tere Baad Kabhi Aankh Mein Utri Hi Nahein

Thapkiyaan De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamein NEEND Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaaye

Image
تھَپکیاں دے کے سُلاتی ہے تِری یاد ہمیں نِیند جِس رات بھِی ، آنکھَوں سے خَفَا ہو جائے Thapkiyaan De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamein NEEND Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaaye

Umar Jalwon Mein Basar Ho Yeh Zarori Toh Nahi Har Shab e Gham Ki Sehar Ho Yeh Zarori Toh Nahi

Image
Umar Jalwon Mein Basar Ho Yeh Zarori Toh Nahi Har Shab e Gham Ki Sehar Ho Yeh Zarori Toh Nahi Neend Toh Dard Ke Bistar Pe Bhi Aa Sakti Hai Unke Aagosh Mein Sar Ho Yeh Zarori Toh Nahi

Khushboo se bhare shaam Mein jugnoo ke qalam se Aik nazam tere wastay likhein gay kisi din

Image
خُوشبو سے بھری شام میں جگنو کے قلم سے اِک نظم تیـــــرے واسطے لکھیں گے کسی دن Khushboo se bhare shaam Mein jugnoo ke qalam se Aik nazam tere wastay likhein gay kisi din

Ab naye rukh se haqaaeq ko ulat kar dekho jin pe chalte rahe un raahon se kat kar dekho

Image
Ab naye rukh se haqaaeq ko ulat kar dekho jin pe chalte rahe un raahon se kat kar dekho

Aisa karte hain ulat datey hain zanbeel-e-hayaat Aur is main koi kaam ka pal dhundte hain

Image
ایسا کرتے ہیں، الٹ دیتے ہیں زنبیلِ حیات اور اس میں کوئی کام کا پل ڈھونڈتے ہیں Aisa karte hain ulat datey hain zanbeel-e-hayaat Aur is main koi kaam ka pal dhundte hain

Itni bai-kaif na hoti ye guzar-gah-e-hayaat Tum kisi moor pe mil jate tu acha hota

Image
اتنی بے کیف نہ ھوتی یہ گزر گاہِ حیات تم کسی موڑ پہ مل جاتے تو اچھا ھوتا Itni bai-kaif na hoti ye guzar-gah-e-hayaat Tum kisi moor pe mil jate tu acha hota

Mere mathe pe likho bakht se hara hoa hai Ek zabardast, zabardast se hara hoa hai

Image
میرے ماتھے پہ لکھو بخت سے ہارا ہوا ہے اک زبردست ، زبردست سے ہارا ہوا ہے Mere mathe pe likho bakht se hara hoa hai Ek zabardast, zabardast se hara hoa hai

Dil hai tou dharakne ka bahanaa koi dhoonde Pathar ki tarah behis-O-be-jaan sa kyun hai

Image
दिल है तो धड़कने का बहाना कोई ढूँढे पत्थर की तरह बेहिस-ओ-बेजान सा क्यों है Dil hai tou dharakne ka bahanaa koi dhoonde Pathar ki tarah behis-O-be-jaan sa kyun hai

Or kuch dair na bujhne de use Rab-e-sahar Doobta chaand mera dast-e-dua lagta hai

Image
اور کچھ دیر نہ بجھنے دے اسے ربِّ سحر ڈوبتا چاند مرا دستِ دعا لگتا ہے Or kuch dair na bujhne de use Rab-e-sahar Doobta chaand mera dast-e-dua lagta hai

Tum jo rootho tou meri aankhon se , Sindh , jehlam , chanaab behty hain

Image

Auqaat se zyada muhabbat kar li , is liye bardasht se zyada dard mila

Image

Tadair mai-kade mein rahi hai meri namaz Saaqi mera Imaam badi dair tak raha

Image
تادیر میکدے میں رہی ہے مِری نماز ساقی مِرا اِمام بڑی دیر تک رہا Tadair mai-kade mein rahi hai meri namaz Saaqi mera Imaam badi dair tak raha

Dhoondta Phirta Hoon Logon Mein Shabahat Uss Ki Keh Woh Khawaabon Mein Bhi Lagti Hai Khayaalonn Jaisi

Image
ڈھُونڈتا پھِرتا ہُوں لوگوں میں شبَاہَت اُس کی کہ وُہ خوابوں میں بھِی لَگتِی ہے ، خیالوں جیسی Dhoondta Phirta Hoon Logon Mein Shabahat Uss Ki Keh  Woh  Khawaabon Mein Bhi Lagti Hai Khayaalonn Jaisi اُس کی باتیں۔ بھِی دِلآویز ہیں ، صُورَت کی طَرح میری سوچیں بھِی پرِیشاں ، مِرے بالوں۔ کی طَرح Uss Ki Baatein Bhi DIL Aaweiz Hein Soorat Ki Tarah Meri Sochein Bhi Pareshan Mere Baalon Ki Tarah

Tony Keety , Mantar Parheya ,Hath Wich Paae Yaqoot Te Ferozy Bakht Na Badly , Yaar Na Miliya , Har Nuskha Aazmaya Main Saaein

Image
ٹونے کیتے, منتر پڑھیا, ہتھ وچ پائے یاقوت فروزے بخت نہ بدلے۔ یار نہ ملیا۔ ہر نسخہ آزمایا میں سائیں Tony Keety , Mantar Parheya ,Hath Wich Paae Yaqoot Te Ferozy Bakht Na Badly , Yaar Na Miliya , Har Nuskha Aazmaya Main Saaein

Umar bhar ishq kisi taur na kam ho 'Ameen' Dil ko har rose ata niamat-e-gham ho 'Ameen'

Image
Umar bhar ishq kisi taur na kam ho 'Ameen' Dil ko har rose ata niamat-e-gham ho 'Ameen'   Mere Kaase ko hai bas chaar hi sikkon ki talab Ishq ho waqt ho kaghaz ho qalam ho 'Ameen'   Hujra-e-zaat mein ya mehfil-e-yaraan mein rahoon Fikr Dunya ki Mujhe ho bhi tou kam ho 'Ameen'   Jab main khamosh rahon raunaq-e-mehfil thehron Aur jab baat karon baat mein dum ho 'Ameen'   Log Chahein bhi tou hum ko na juda kar paaen Yun meri zaat teri zaat mein zam ho 'Ameen'   Ishq mein doob ke jo kuch bhi lekhon kaghaz par Khud-ba-khud lauh-e-zamana pe raqam ho 'Ameen'   Na Dara Paae mujhe tergi-e-dasht-e-firaq Har taraf raushni-e-deeda-e-nam ho 'Ameen'   'Meer' ke sadqe mere harf ko darweshi mile Door mujh se hawas-e-dam-o-diram ho 'Ameen'   Mere Kanoon ne suna hai tere baare mein buhat meri aankhon pe bhi thoda sa karam ho 'Ameen'   Jab Zameen akhri hiddat se peghalne lag jaae Ishq ki c

Wada-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh mein Main khud tou zinda raha waqt mar gaya mujh mein

Image
Wada-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh mein Main khud tou zinda raha waqt mar gaya mujh mein Sukoot-e-shaam mein cheekhen sunaai deti hain Tu jate jate ajab shor bhar gaya mujh mein Woh pehle sirf meri aankh mein samaya tha phir ek rose ragon tak utar gaya mujh mein Kuch aise dhyan mein chehra tera tulua hoa Ghurob-e-shaam ka manzar nikhar gaya mujh mein Main us ki zaat se munkir tha aur phir ik din Woh apne hone ka elaan kar gaya mujh mein Khandar samajh ke meri sair karne aaya tha Gaya tou mausam-e-gham phool dhar gaya mujh mein Gali mein goonjee khamoshi ki cheekh raat ke waqt Tumhari yaad ka bachha sa dar gaya mujh mein Bata main kya karon dil naam ke is angan ka Tere umeed pe jo saj-sanwer gaya mujh mein Ye apne apne muqaddar ki baat hai "Faris" Main is mein semta raha woh bikhar gaya mujh mein   Poet:Rehman Faris

Yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-khair Mere sabhi rufaqa-e-kiram ishq ba-khair

Image
Yahi dua hai yahi hai salam ishq ba-khair Mere sabhi rufaqa-e-kiram ishq ba-khair Dayar-e-hijar ki suni udas galiyon mein Pukarta hai koi subah-o-shaam ishq ba-khair Main kar raha tha dua ki guzareshen us se So keh gai hai udasi ki shaam ishq ba-khair Bade ajeeb hain shehr-e-junoon ke bashende Hamesha kehty hain baad-az-salam ishq ba-khair Ye raah zaroor tumhare hi ghar ko jaati hai Lekha hoa hai yahaan gaam gaam ishq ba-khair Bayan ki hai ghazal-war dastan-e-ishq So is kitaab ka rakkha hai naam ishq ba-khair Ufaq ke paar mujhe yaad kar raha hai koi Abhi mila hai udhar se payaam-e-ishq ba-khair Poet:Rehman Faris

Ye jo mujh par nikhaar hai saa'en Aap hi ki bahaar hai saa'en

Image
Ye jo mujh par nikhaar hai saa'en Aap hi ki bahaar hai saa'en Aap chahen tou jaan bhi le len Aap ko ikhteyaar hai saa'en Tum milate ho bichdey logon ko Ek mera bhi yaar hai saa'en Kisi khonti se bandh dijiye use Dil bada be-mahar hai saa'en Ishq mein laghzishon pe kijiye mua'af Saa'en ye pehli baar hai saa'en Kul mila kar hai jo bhi kuch mera Aap se musta'ar hai saa'en Ek kashti bana hi dejiye mujhe Koi dariya ke paar hai saa'en Rose aansoo kama kar lata hoon Gham mera rozgaar hai saa'en Wusa'at-e-rizaq ki dua dijiye Dard ka karobaar hai saa'en Khaar-zaron se ho ke aaya hoon Pairhan taar taar hai saa'en Kabhi aa kar tou dekhiye keh ye dil Kaisa ujda dayar hai saa'en Poet:Rehman Faris

Sukoot-e-sham mein goonji sada udasi ki Keh hai mazeed udasi dawa udasi ki

Image
Sukoot-e-sham mein goonji sada udasi ki Keh hai mazeed udasi dawa udasi ki  Buhat shareer tha main aur hansta phirta tha Phir ik faqeer ne de di dua udasi ki Umoor-e-dil mein kisi teesre ka dakhal nahi Yahaan faqat teri chalti hai ya udasi ki Charaagh-e-dil ko zara ehteyaat se rakhna Keh aaj raat chalegi hawa udasi ki Woh imtezaj tha aisa keh dang thi har aankh Jamaal-e-yaar ne pehni qaba udasi ki Isi umeed pe aankhein barasti rehti hain Keh ek din tou sunega khuda udasi ki Shajar ne poocha keh tujh mein ye kis ki khushbo hai Hawa-e-shaam-e-alam ne kaha udasi ki Dil-e-afsurda ko main ne tou maar hi daala so main tou theek hoon ab tu suna udasi ki Zara sa chhu len tou ghanton dahakti rehti hai humein tou maar gai ye ada udasi ki Buhat dino se main us se nahi mila "Faris" Kahein se khair-khabar le ke aa udasi ki   Poet:Rehman Faris

Sada'en dete hoe aur khaak udate hoe Main apne-aap se guzra hoon tujh tak aate hoe

Image
Sada'en dete hoe aur khaak udate hoe Main apne-aap se guzra hoon tujh tak aate hoe Phir is ke baad zamane ne mujhe raund diya Main gir pada tha kisi aur ko uthaty hoe Kahani khatam hoi aur aisi khatam hoi Keh log rone lage taliyan bajate hoe phir is ke baad ata ho gai mujhe taseer Main ro pada tha kisi ko ghazal sunate hoe Khareedna hai tou dil ko khareed le fauran Khilone toot bhi jate hain azmate hoe Tumhara gham bhi kisi tifl-e-sheer-khuwaar sa hai Keh uungh jata hoon main khud use sulate hoe Agar mile bhi tou milta hai raah mein "Faris" Kahein se aate hoe ya kahein ko jate hoe    Poet:Rehman Faris

Raat aa baithi hai pehlo mein sitaro takhliya Ab humein darkaar hai khilwat so yaaro takhliya

Image
Raat aa baithi hai pehlo mein sitaro takhliya Ab humein darkaar hai khilwat so yaaro takhliya Aankh wa hai aur husn-e-yaar hai paish-e-nazar Shash-jihat ke baqi-manda sab nazaro takhliya Dekhne wala tha manzar jab kaha darwaish ne Kaj-kulaho badshaho taj-daro takhliya Gham se ab hogi barah-rast meri guftago Dosto teemardaro gham-gusaro takhliya Chaar janib hai hujoom-e-na-shayan-e-sukhan Aaj poore zor se "Faris" pukaaro takhliya Poet:Rehman Faris

Nazar uthaen tou kia kia fasana banta hai sau pesh -e-yaar nigahein jhukana banta hai

Image
Nazar uthaen tou kia kia fasana banta hai sau pesh -e-yaar nigahein jhukana banta hai Woh laakh be-khabar-o-be-wafa sahi lekin Talab kia hai gar us ne tou jana banta hai Ragon talak utar aai hai zulmat-e-shab-e-gham so ab charaagh nahi dil jalana banta hai Paraai aag mera ghar jala rahi hai so ab Khamosh rehna nahi ghul machana banta hai Qadam qadam pe tawazun ki baat mat kijiye Ye mai-kada hai yahaan ladkhadana banta hai Bichadne wale tujhe kis tarah bataon main Keh yaad aana nahi tera aana banta hai Ye dekh kar keh tere aashiqon mein main bhi hoon jamaal-e-yaar tera muskurana banta hai Junoon bhi sirf dekhawa hai wehshat bhi ghalat Deewana hai nahi "Faris" deewana banta hai   Poet:Rehman Faris

Mujhe gharaz hai sitare na mahtaab ke saath Chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath

Image
Mujhe gharaz hai sitare na mahtaab ke saath Chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath Napi-tuli si muhabbat laga-bandha sa karam Nibha rahe ho ta'aluq bade hisaab ke saath  Main is liye nahi thakta tere ta'aqub se Mujhe yaqeen hai keh paani bhi hai sarab ke saath Sawal-e-wasl pe inkaar karne waale sun Sawal khatam nahi hoga is jawaab ke saath Khamoshi jheel ke paani mein woh udasi thi Keh dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath Jata diya keh muhabbat mein gham bhi hote hain Diya gulaab tou kaanty bhi thay gulaab ke saath main le udunga tere khadd-o-khaal se ta'abeer Na dekh meri taraf chashm-e-neem khuwaab ke saath are ye sirf bahana hai baat karne ka Meri majaal keh jhagda karon janab ke saath Wisal-o-hijar ki sarhad pe jhutpute mein kahein Woh be-hijaab hoa tha magar hijaab ke saath Shikasta aaina dekha phir apna dil dekha Dekhai di mujhe ta'abeer-e-khuwaab khuwaab ke saath Wahan milonga jahan dono waqt milte hain Main kam-naseeb tere

Main kar-amad hoon ya be-kaar hoon main Magar ay yaar tera yaar hoon main

Image
Main kar-amad hoon ya be-kaar hoon main Magar ay yaar tera yaar hoon main Jo dekha hai kisi ko mat batana Ilaqe bhar mein izzat-dar hoon main Khud apni zaat ke sarmae mein bhi Sifar feesad ka hissa-dar hoon main Aur ab kiyon bain karte aa gaye hon Kaha tha na buhat bemaar hoon main Meri tou saari dunya bas tum hi ho Ghalat kia hai jo dunya-dar hoon main Kahani mein jo hota hi nahi hai Kahani ka wahi kirdar hoon main Ye tai karta hai dastak dene wala Kahan dar hoon kahan deewaar hoon main Koi samjhae mere dushmanon ko Zara si dosti ki maar hoon main Mujhe pathar samajh kar pesh mat aa Zara sa rahm kar jaan-daar hoon main Bas itna soch kar kijiye koi hukam Bada munh-zor khidmat-gar hoon main Koi shak hai tou be-shak aazma le tera hone ka da'awe-dar hoon main Agar har haal mein khush rehna fan hai Tou phir sab se bada fan-kaar hoon main Zamana tou mujhe kehta hai "Faris" Magar "Faris" ka parda-daar hoon main Unhein khilna sikhata