Posts

Showing posts from October, 2024

Kal Kareingy Tum Peh Shairi Ae NOVEMBER Keh Aaj October Ki Sham Aakhiri Hai

Image
       Kal Kareingy Tum Peh Shairi Ae NOVEMBER Keh Aaj October Ki Sham Aakhiri Hai  

Aghaz to hota hai anjam nahi hota Jab meri kahani mein wo naam nahi hota

Image
آغاز تو ہوتا ہے انجام نہیں ہوتا جب میری کہانی میں وہ نام نہیں ہوتا   Aghaz to hota hai anjam nahi hota Jab meri kahani mein wo naam nahi hota   جب زلف کی کالک میں گھل جائے کوئی راہی بدنام سہی لیکن گمنام نہیں ہوتا Jab zulf ki kalak mein ghoul jaye koi rahi Badnam sahi lekin gumnam nahi hota   ہنس ہنس کے جواں دل کے ہم کیوں نہ چنیں ٹکڑے ہر شخص کی قسمت میں انعام نہیں ہوتا Hans hans ke jawan dil ke hum kyun na chunen tukde Har shakhs ki qismat mein inam nahi hota   دل توڑ دیا اس نے یہ کہہ کے نگاہوں سے پتھر سے جو ٹکرائے وہ جام نہیں ہوتا Dil toda dia us ne ye keh ke nigahon se Patthar se jo takraye, wo jaam nahi hota   مینا کماری ناز Meena Kumari Naz

Rabt hai mujh se tera to rabt ka unwan bol Ya mujhe anjan keh de ya phir apni jan bol

Image
ربط ہے مجــھ سے تیــرا تو ربط کا عنوان بول یا مجھے انجان کہہ دے یا پھر اپنی جان بول   Rabt hai mujh se tera to rabt ka unwan bol Ya mujhe anjan keh de ya phir apni jan bol   پوچھتے ہیں سب، تیری میں کون ہوں، کیا نام ہے بولنے کا وقــت ہے اب بول میــری جان، بول   Poochte hain sab, teri main kaun hoon, kia naam hai Bolne ka waqt hai ab bol meri jan, bol

Har koi padh le wo kitab nahi Sab ko khushbu doon, wo gulab nahi

Image
ہر کوئی پڑھ لے وه کتاب نہیں سب کو خوشبو دوں، وه گلاب نہیں   Har koi padh le wo kitab nahi Sab ko khushbu doon, wo gulab nahi   ایک ہی شخص کو میسّر ہوں ہر کسی کو میں دستیاب نہیں   Aik hi shakhs ko mayassir hoon Har kisi ko main dastiyab nahi   تذکرہ آپ کا نہ ہو جس میں دل کے صفحات میں وه باب نہیں   Tazkira ap ka na ho jis mein Dil ke safhat mein wo bab nahi   جب سے دیکھا ہے وه رخ روشن چھت پہ اترا وه ماہتاب نہیں Jab se dekha hai wo rukh e raushan Chahat pe utra wo mahtab nahi   مسکراتی ہیں شوخیاں توبہ ان کے ہونٹوں کا بھی جواب نہیں Muskurati hain shokhiyan tauba Un ke honton ka bhi jawab nahi کسی بھنورے نے ان کو چھیڑا ہے آج پھولوں میں وه شباب نہیں   Kisi bhanwre ne in ko chheda hai Aj phoolon mein wo shabab nahi   کر دے اس پر نثار ہر لمحہ اور شیزا کا کوئی خواب نہیں Kar de us par nisar har lamha Aur Shiza ka koi khwab nahi   شیزا جلالپوری Shiza Jalalpuri

Namaz e ishq ki koi qaza nahi hoti Kuch aise zakhm hain jin ki dawaa nahi hoti

Image
نماز عشق کی کوئی قضا نہیں ہوتی کچھ ایسے زخم ہیں جن کی دوا نہیں ہوتی Namaz e ishq ki koi qaza nahi hoti Kuch aise zakhm hain jin ki dawaa nahi hoti   میرا شمار بھی شاید انہی میں ہوتا ہے قبول کوئی بھی جن کی دعا نہیں ہوتی Mera shumar bhi shayed inhi mein hota hai Qubool koi bhi jin ki dua nahi hoti   اسد سجاد کاظمی Asad Sajjad Kazmi

Khairat muhabbat ki phir bhi na mili hum ko Hum lakh nazar aye miskeen tabiyat ke

Image
خیرات محبت کی پھر بھی نہ ملی ہم کو ہم لاکھ نظر آئے مسکین طبیعت کے Khairat muhabbat ki phir bhi na mili hum ko Hum lakh nazar aye miskeen tabiyat ke   اِس عمر میں ملتے ہیں کب یار نشے جیسے دارُو کی طرح تیکھے، کوکین طبیعت کے Is umr mein milte hain kab yar nashe jaise Daru ki tarah teekhhe, cocaine tabiyat ke

Muhabbat ne akela kar dia hai Main apni zat mein ek qafla tha

Image
محبت نے اکیلا کر دیا ہے میں اپنی ذات میں اک قافلہ تھا Muhabbat ne akela kar dia hai Main apni zat mein ek qafla tha پھر اس کے بعد رستے مر گئے تھے میں بس اک سانس لینے کو رکا تھا Phir us ke baad raste mar gaye thay Main bas ek sans lene ko rukta tha

Tukde tukde din beeta, dhajji dhajji rat mili Jis ka jitna anchal tha, uthi hi saughat mili

Image
ٹکڑے ٹکڑے دن بیتا، دھجی دھجی رات ملی جس کا جتنا آنچل تھا اتنی ہی سوغات ملی Tukde tukde din beeta, dhajji dhajji rat mili Jis ka jitna anchal tha, uthi hi saughat mili   جب چاہا دل کو سمجھیں، ہنسنے کی آواز سُنی جیسے کوئی کہتا ہو، لے پھر تجھ کو مات ملی Jab chaha dil ko samjhen, hansne ki awaz suni Jaise koi kehta ho le phir tujh ko maat mili   ماتیں کیسی، گھاتیں کیا چلتے رہنا آٹھ پہر دل سا ساتھی جب پایا، بے چینی بھی ساتھ ملی   Baten kaisi, ghhaten kia, chalte rehna ath pehr Dil sa sathi jab paya bechaini bhi sath mili   مینا کماری ناز Meena Kumari Naz

Sare dhanak ke rang thay us ke libas mein Khushbu ke sare ang usay sochne mein thay

Image
سارے دھنک کے رنگ تھے اُس کے لباس میں خُوشبو کے سارے اَنگ اُسے سوچنے میں تھے Sare dhanak ke rang thay us ke libas mein Khushbu ke sare ang usay sochne mein thay   چُھو لیں اُسے کہ دور سے بس دیکھتے رہیں تارے بھی رات میری طرح مخمصے میں تھے Chhu len usay ke door se bas dekhte rahen Tare bhi rat meri tarah makhmase mein thay   امجد اسلام امجدؔ Amjad Islam Amjad

Kis qadar tang hain halaat, nahi dekhe ga Jis ne ana ho wo barsat nahi dekhe ga

Image
کس قدر تنگ ہیں حالات، نہیں دیکھے گا جس نے آنا ہو، وہ برسات نہیں دیکھے گا Kis qadar tang hain halaat, nahi dekhe ga Jis ne ana ho wo barsat nahi dekhe ga یہ لکیریں تو بچھڑنے کا بہانہ ہیں فقط جو نبھائے گا، کبھی ہاتھ نہیں دیکھے گا Ye lekeeren to bichhadne ka bahana hain faqat Jo nibhaye ga kabhi hath nahi dekhe ga میں بھی قائل تھا محبت میں، سبھی جائز ہے وہ بھی کہتا تھا کہ خطرات نہیں دیکھے گا Main bhi qa’il tha muhabbat mein, sabhi ja’iz hai Wo bhi kehta tha ke khatrat nahi dekhe ga جس کو محنت کا صلہ آپ کی صورت میں ملے کب ہوا دن یا ڈھلی رات نہیں دیکھے گا Jis ko mehnat ka sila ap ki soorat mein mile Kab hua din ya dhali rat nahi dekhe ga جو بھی صحرا میں ترے ساتھ چلا ہو دو پل جتنے سرسبز ہوں باغات نہیں دیکھے گا Jo bhi sehra mein tere sath chala ho do pal Jitne sarsabz hon baghat nahi dekhe ga

Hanjuwan de parnale wekh Nehron nikle khhaale wekh

Image
ہَنجواں دے پرنالے ویکھ نہروں نکلے کھالے ویکھ Hanjuwan de parnale wekh Nehron nikle khhaale wekh   تیرے بعد نہ وڑیا کوئی بوہے اُتے جالے ویکھ Tere baad na wadeya koi Buhe utte jaale wekh   گورے گورے جُثیاں دے وچّ دل نے کِنّے کالے ویکھ Gore gore jusseyan de vich Dil ne kinne kale wekh   تیرے آؤن دا لارا دے کے غم کسراں میں ٹالے ویکھ Tere aoun da lara de ke Gham kisran main taale wekh   طارق گجر Tariq Gujjar

Ayadat hoti jati hai ibadat hoti jati hai Mere marne ki dekho sab ko adat hoti jati hai

Image
عیادت ہوتی جاتی ہے عبادت ہوتی جاتی ہے میرے مرنے کی دیکھو سب کو عادت ہوتی جاتی ہے Ayadat hoti jati hai ibadat hoti jati hai Mere marne ki dekho sab ko adat hoti jati hai   نمی سی آنکھ میں اور ہونٹ بھی بھیگے ہوئے سے ہیں یہ بھیگا پن ہی دیکھو مسکراہٹ ہوتی جاتی ہے Nami si ankh mein aur hont bhi bheege huay se hain Ye bheega pan hi dekho muskurahat hoti jati hai   تیرے قدموں کی آہٹ کو یہ دل ہے ڈھونڈتا ہر دم ہر اک آواز پر اک تھرتھراہٹ ہوتی جاتی ہے Tere qadmon ki ahat ko ye dil hai dhoondta har dam Har ek awaz par ek thartharahat hoti jati hai   یہ کیسی یاس ہے رونے کی بھی اور مسکرانے کی یہ کیا درد ہے کہ جھنجھناہٹ ہوتی جاتی ہے Ye kaisi yas hai rone ki bhi aur muskurane ki Ye kaisa dard hai ke jhunjhunahat hoti jati hai   کبھی تو خوبصورت اپنی ہی آنکھوں میں ایسے تھے کسی غم خانہ سے گویا محبت ہوتی جاتی ہے Kabhi to khoobsurat apni hi ankhon mein aise thay Kisi gham khane se goya muhabbat hoti jati hai   خود ہی کو تیز ناخنوں سے ہائے نوچتے ہیں اب ہمیں اللہ خود سے کیسی الفت ہوتی...

Halaat ka mara hoon zara soch ke milna Main jeet ke harf hoon, zara soch ke milna

Image
حالات کا مارا ہوں ذرا سوچ کے ملنا میں جیت کے ہارا ہوں، ذرا سوچ کے ملنا Halaat ka mara hoon zara soch ke milna Main jeet ke harf hoon, zara soch ke milna   ہستی میری لوگوں کو گوارہ نہیں لیکن اک آنکھ کا تارہ ہوں، ذرا سوچ کے ملنا Hasti meri logon ko gawara nahi lekin Ek ankh ka tara hoon, zara soch ke milna   افلاس کی آہیں ہی نہ افلاک ہلا دیں افلاس کا مارا ہوں، ذرا سوچ کے ملنا Aflas ki ahen hi na aflak hila den Aflas ka mara hoon, zara soch ke milna   قرآن میرے بارے میں “والعصر” پکارا یعنی کے خسارہ ہوں، ذرا سوچ کے ملنا Quran mere bare mein “Wal Asr” pukara Yani ke khasarah hoon, zara soch ke milna

​Poochte ho to suno, kaise basar hoti hai Rat khairat ki sadqe ki sehr hoti hai

Image
پوچھتے ہو تو سنو کیسے بسر ہوتی ہے​ رات خیرات کی، صدقے کی سحر ہوتی ہے​ ​Poochte ho to suno, kaise basar hoti hai Rat khairat ki sadqe ki sehr hoti hai   سانس بھرنے کو تو جینا نہیں کہتے یا رب دل ہی دُکھتا ہے، نہ اب آستیں تر ہوتی ہے​ ​Sans bharne ko to jeena nahi kehte Ya Rab Dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai   جیسے جاگی ہوئی آنکھوں میں چبھیں کانچ کے خواب​ رات اس طرح دوانوں کی بسر ہوتی ہے ​ ​Jaise jagi hui ankhon mein chubhen kanch ke khwab Rat is tarah divanon ki basar hoti hai   غم ہی دشمن ہے مرا، غم ہی کو دل ڈھونڈتا ہے​ ایک لمحے کی جدائی بھی اگر ہوتی ہے​ ​Gham hi dushman hai mera, gham hi ko dil dhoondta hai Aik lamhe ki judaiy bhi agar hoti hai   ایک مرکز کی تلاش، ایک بھٹکتی خوشبو​ کبھی منزل، کبھی تمہیدِ سفر ہوتی ہے Aik markaz ki talash aik bhatakti khushbu Kabhi manzil, kabhi tamheed e safar hoti hai​   مینا کماری ناز Meena Kumari Naz

Haseen ruton se adam etiraf kis ko hai Magar wo ankh ke jis ko talab tumhari ho

Image
حسیں رتوں سے عدم اعتراف کس کو ہے مگر وہ آنکھ کہ جس کو طلب تمہاری ہو نثار محمود تاثیر Haseen ruton se adam etiraf kis ko hai Magar wo ankh ke jis ko talab tumhari ho Nisar Mehmood Taseer

Hum siyah bakht udasi mein namu pate hain Tum chale atay ho khush rang nazare le kar

Image
ہم سیہ بخت اداسی میں نمو پاتے ہیں تم چلے آتے ہو خوش رنگ نظارے لے کر علی شاکر Hum siyah bakht udasi mein namu pate hain Tum chale atay ho khush rang nazare le kar Ali Shakir

Us ki manzil thi kahinkoah e qaf se agay Main raah mein padte kisi ga’on ki tarah tha

Image
اس کی منزل تھی کہیں کوہ قاف سے آگے میں راہ میں پڑتے کسی گاؤں کی طرح تھا Us ki manzil thi kahinkoah e qaf se agay Main raah mein padte kisi ga’on ki tarah tha

Hawa se lad ke wo raushan bhi to reh sakta tha Magar chiragh ko bujhne hi kyun sikhhaya gaya

Image
ہوا سـے لڑ کے وہ روشن بھی رہ تو سکتا تھا مگر چــــراغ کو بجھنا ہی کیوں سکھایا گیا Hawa se lad ke wo raushan bhi to reh sakta tha Magar chiragh ko bujhne hi kyun sikhhaya gaya   خسارہ کون بھرے دوســـری محبت کا وہ پہلا شخص ابھی تک نہیں بھلایا گیا Khasarah kaun bhare dosri mubabbat ka Wo pehla shakhs abhi tak nahi bhulaya gaya

Dil na thehraye thehrta tha kisi tadbeer se Phir na tadpa jab qasam hum ne dilaiy ap ki

Image
دل نہ ٹھہرائے ٹھہرتا تھا کسی تدبیر سے پھر نہ تڑپا جب قسم ہم نے دلائی آپ کی مرزا داغ دہلوی Dil na thehraye thehrta tha kisi tadbeer se Phir na tadpa jab qasam hum ne dilaiy ap ki Mirza Dagh Dehlvi

Koi na koi zaruri hai har kisi ke liye Khuloos chahiye thoda sa dosti ke liye

Image
کوئی نہ کوئی ضروری ہے ہر کسی کے لیے خلوص چاہیے تھوڑا سا دوستی کے لیے Koi na koi zaruri hai har kisi ke liye Khuloos chahiye thoda sa dosti ke liye   بڑا عذاب ہے دنیا میں یار تنہائی ہواک رفیق سفر راہ زندگی کے لیے Bada azab hai duniya mein yar tanhaiy Ho ek rafeeq e safar raah e zindagi ke liye محبتوں کے چلن سے ہے یہ جہاں آباد مزہ اسی میں ہے، زندہ رہو کسی کے لیے Muhabbaton ke chalan se hai ye jahan abaad Maza isi mein hai zinda raho kisi ke liye شریک غم ہو اداسی میں حوصلہ بخشے ہماری زندگی ہو اس کی زندگی کے لیے Shareek e gham ho, udasi mein hausla bakhshe Hamari zindagi ho us ki zindagi ke liye نصیب ہو نہ کسی کا بھی قید تنہائی اک آدمی کی ضرورت ہے آدمی کے لیے Naseeb ho na kisi ka bhi qaid e tanhaiy Ek admi ki zarurat hai admi ke liye  

Aj zara fursat paiy thi aj usay phir yad kiya Band gali ke akhri ghar ko khhol ke phir abaad kiya

Image
آج ذرا فرصت پائی تھی، آج اسے پھر یاد کیا بند گلی کے آخری گھر کو کھول کے پھر آباد کیا Aj zara fursat paiy thi aj usay phir yad kiya Band gali ke akhri ghar ko khhol ke phir abaad kiya

Sab chiraghon ki hidayat ka matlab samjhe Chaand rootha to siyah rat ka matlab samjhe

Image
سب چراغوں کی ہدایات کا مطلب سمجھے چاند روٹھا تو سیہ رات کا مطلب سمجھے   Sab chiraghon ki hidayat ka matlab samjhe Chaand rootha to siyah rat ka matlab samjhe اس پہ اترے تھے محبت کے صحیفے لیکن ایک کافر کہاں تورات کا مطلب سمجھے   Us pe utre thay muhabbat ke saheefe lekin Aik kafir kahan Taurat ka matlab samjhe   کون رہ رہ کے وفاؤں کو نبھانا سیکھے کون فرسودہ روایات کا مطلب سمجھے   Kaun reh reh ke wafaon ko nibhana seekhe Kaun farsudah rivayat ka matlab samjhe   اس سے پہلے تو دعاؤں پہ یقیں تھا کم کم تو نے چھوڑا تو مناجات کا مطلب سمجھے   Is se pehle to duaon pe yaqeen tha kam kam Tu ne chhoda to munajat ka matlab samjhe   جب وہ بھر بھر کے لٹاتا رہا اوروں پہ خلوص ہم تہی دست عنایات کا مطلب سمجھے   Jab wo bhar bhar ke lutata raha auron pe khuloos Hum tehi dast inayat ka matlab samjhe   اب کسی اور طرف بات گھمانے والے میں سمجھتی ہوں تری بات کا مطلب، سمجھے   Ab kisi aur taraf bat ghhumane wale Main samajhti hoon teri bat ka matlab, samjhe   تج...

Socha hai, chalo roothe sabhi dost manaa len Aa jao agar tum ko bhi kuch hum si gila hai

Image
سوچا ہے، چلو روٹھے سبھی دوست منا لیں آ جاؤ اگر تم کو بھی کچھ ہم سے گِلہ ہے فرزانہ ساجد Socha hai, chalo roothe sabhi dost manaa len Aa jao agar tum ko bhi kuch hum si gila hai Farzana Sajid

Hum log Samunder ke bichre huye Sahil hain Iss paar be tanhaye ' us paar be tanhaye

Image
ہم لوگ سمندر کے بچھڑے ہوئے ساحل ہیں، اس پار بھی تنہائ،اس پار بھی تنہائ Hum log Samunder ke bichre huye Sahil hain Iss paar be tanhaye ' us paar be tanhaye

Her dard dawaon sy he acha nahen hota Alfaz ky marham mein bhi aaram bht hy

Image
Her dard dawaon sy he acha nahen hota Alfaz ky marham mein bhi aaram bht hy Razia Subhan

Main ne bachon ki tarha laad uthaye uskay Khair bachat bhi kahan payar ka sila daitay hain

Image
میں نے بچوں کی طرح لاڈ اٹھائے اسکے خیر بچے بھی کہاں پیار کا صلہ دیتے ہیں Main ne bachon ki tarha laad uthaye uskay Khair bachat bhi kahan payar ka sila daitay hain

I was giving support so I was in a digestion. When I fell, all paths began to change

Image
I was giving support so I was in a digestion. When I fell, all paths began to change. Main de raha tha Sahara to ik hujoom mein tha When I fell, all the ways started changing.

Zindagi itani mashaqqat se guzaari hai ke abb Main Jo aaraam se baithuN to Talan hoti hai

Image
जिंदगी इतनी मशक़्क़त से गुज़ारी है कि अब मैं जो आराम से बैठूँ तो थकन होती है Zindagi itani mashaqqat se guzaari hai ke abb Main Jo aaraam se baithuN to Talan hoti hai

Har koyee dil ki hatheli pe hai sehra rakhey Kiss ko sairaab karey wo kisey pyaasa rakhey

Image
हर कोई दिल की हथेली पे सहरा रखे किसको सैराब करे वो किसे प्यासा रखे। दिल भी पागल है कि उस शख़्स से वाबस्ता है जो किसी और का होने दे न अपना रखे। हम को अच्छा नहीं लगता कोई हम नाम तेरा कोई तुझ सा हो तो फिर नाम भी तुझ सा रखे। अहमद फ़राज़ Har koyee dil ki hatheli pe hai sehra rakhey Kiss ko sairaab karey wo kisey pyaasa rakhey Dil bhi paagal hai ki uss shakhs se vaabasta hai Jo kisi aur ka hone dey na apna rakhey Hum ko Achha nahi lagta koyee hum naam tera Koyee tujh sa Ho tau phir naam bhi tujh sa rakhey Ahmed Faraz

Her eyes were mine face He said those things even in silence

Image
Her eyes were mine face He said those things even in silence. Ghazal was written on my face Her eyes saying lion The hobbies have started to give the address of the moments. Her breaths are getting sharp Her face was mine and her eyes Even in silence, those talks of her Ghazal was written on my face Her eyes saying lion Hobbies started giving address of moments Her breaths are getting fast

Wo kehti hai tumhare baad barish kyun nahi hoti Main kehta hoon, meri jan, hijr sehraon mein rehta hai

Image
وہ کہتی ہے تمھارے بعد بارش کیوں نہیں ہوتی میں کہتا ہوں، میری جاں، ہجر صحراؤں میں رہتا ہے Wo kehti hai tumhare baad barish kyun nahi hoti Main kehta hoon, meri jan, hijr sehraon mein rehta hai   وہ کہتی ہے، تمہیں کیوں خوف آتا ہے ہواؤں سے میں کہتا ہوں کہ سب چراغ تو ایسے ہی ہوتے ہیں Wo kehti hai, tumhen kyun khauf ata hai hawaon se Main kehta hoon ke sab chiragh to aise hi hote hain   وہ کہتی ہے چلو جاناں، ہوا کے ساتھ چلتے ہیں میں خاموشی سے اس کے ساتھ چل دیتا ہوں بھجنے کو Wo kehti hai chalo janan, hawa ke sath chalte hain Main khamoshi se us ke sath chal deta hoon bhajne ko   وہ مجھ سے پوچھتی ہے، ہم اگر کچھ بھی نہیں ہیں تو میں کہتا ہوں نہیں ہونا بھی ہوتا ہے جہانوں میں Wo mujh se poochti hai, hum agar kuch bhi nahi hain to Main kehta hoon nahi hona bhi hota hai jahanon mein وہ بولی، درد کے اس پار بھی اک درد ہوتا ہے میں اس کے بعد کتنی دیر تک کچھ بھی نہیں بولا Wo boli dard ke us paar bhi ek dard hota hai Main us ke baad kitni der tak kuch bhi nahi bola

Tu hen umr bhar ka hai tajruba koi mashwara Koi mashwara ay shikastagan, main udas hoon

Image
تُمہیں عُمر بھر کا ہے تجربہ کوئی مشورہ ‏کوئی مشورہ اے شکستگاں، مَیں اُداس ہُوں Tu hen umr bhar ka hai tajruba koi mashwara Koi mashwara ay shikastagan, main udas hoon   ‏ ارشد عباس ذکی Arshad Abbas Zaki

Jis ne poocha hum se bichhde yar ka Us ko seene se laga kar ro pade

Image
جس نے پوچھا ہم سے بچھڑے یار کا اس کو سینے سے لگا کر رو پڑے Jis ne poocha hum se bichhde yar ka Us ko seene se laga kar ro pade

Aik dam zehr de dia jaye Aj sab khwahishon ki dawat ho

Image
ایک دم زہر دے دیا جائے آج سب خواہشوں کی دعوت ہو Aik dam zehr de dia jaye Aj sab khwahishon ki dawat ho   کتنی جلدی بکھرنے لگتا ہے پھول جتنا بھی خوبصورت ہو Kitni jaldi bikhharne lagta hai Phool jitna bhi khoobsurat ho   رائیگاں کیجیے ہمیں لیکن کیجیے جس قدر ضرورت ہو Rayegan kijiye humen lekin Kijiye jis qadar zarurat ho

Ankhen bata rahi hain ke ghar chhodte samai Pairon mein koi chahne wala nahi pada

Image
آنکھیں بتا رہی ہیں کہ گھر چھوڑتے سمے ‏پیروں میں کوئی چاہنے والا نہیں پڑا Ankhen bata rahi hain ke ghar chhodte samai Pairon mein koi chahne wala nahi pada

Ankh se na hatna tum ankh ke jhapakne tak Ankh ke jhapakne mein der kuch to lagti hai

Image
آنکھ سے نہ ہٹنا تم آنکھ کے جھپکنے تک آنکھ کے جھپکنے میں دیر کچھ تو لگتی ہے امجد اسلام امجدؔ Ankh se na hatna tum ankh ke jhapakne tak Ankh ke jhapakne mein der kuch to lagti hai Amjad Islam Amjad

Tum raaste ki gard na ho jao to kaho Do char gam chal ke to dekho kisi ke sath

Image
تم راستے کی گرد نہ ہو جاؤ تو کہو دو چار گام چل کے تو دیکھو کسی کے ساتھ Tum raaste ki gard na ho jao  to kaho Do char gam chal ke to dekho kisi ke sath   اختر امام رضوی Akhter Imam Rizvi

Benga hua dariya hoon, kahin par the, kahin hoon Main lamha e maujood ka paband nahi hoon

Image
بہتا ہوا دریا ہوں، کہیں پر تھا، کہیں ہوں میں لمحۂ موجود کا پابند نہیں ہوں Benga hua dariya hoon, kahin par the, kahin hoon Main lamha e maujood ka paband nahi hoon   وابستہ ہوں اک سلسلۂ عشق سے لیکن میں چاک گریباں ہوں، نہ میں خاک نشیں ہوں Wabasta hoon ek silsila e ishq se lekin Main chak gireban hoon, na main khak nasheen hoon   مخصوص ہے جو صرف ترے حسن نظر سے اس آنکھ سے دیکھے کوئی مجھ کو تو حسیں ہوں Makhsoos hai jo sirf tere husn e nazar se Us ankh se dekhe koi mujh ko to haseen hoon   دلدار نگاہوں کے اشاروں سے بلا لے میں تیری پہنچ سے ابھی باہر بھی نہیں ہوں Dildar nigahon ke isharon se bula le Main teri pohnch se abhi bahir bhi nahi hoon   ہے اب بھی وہی دل کے دھڑکنے کی کہانی تو مجھ کو جہاں چھوڑ گیا تھا، میں وہیں ہوں Hai ab bhi wohi dil ke dhadakne ki kahani Tu mujh ko jahan chhod gaya tha, main wahin hoon

Milna, bichhad jana sabhi kuch aarzi thehra Wo ek lamha, mile jab dil, wohi bas qeemti thehra

Image
ملنا، بچھڑ جانا سبھی کچھ عارضی ٹھہرا وہ اک لمحہ، ملے جب دل، وہی بس قیمتی ٹھہرا Milna, bichhad jana sabhi kuch aarzi thehra Wo ek lamha, mile jab dil, wohi bas qeemti thehra   سمندر تھا وہیں موجود صحرا بھی وہیں ٹھہرا محبت میں کوئی چھاؤں تو کوئی دھوپ میں ٹھہرا Samundar tha wahin maujood, sehra bhi wahin thehra Muhabbat mein koi chhaon to koi dhoop mein thehra   کسی نے بھیک میں مانگی محبت شاہ ہو کر بھی کسی نے بخش دی چاہت کسی کو اور سخی ٹھہرا Kisi ne bheek mein mangi muhabbat shah ho kar bhi Kisi ne bakhsh di chahat kisi ko aur sakhi thehra   کسی نے کی بہت کوشش مگر نہ بن سکا نایاب کسی کا پیار سے تکنا ہی اکثر شاعری ٹھہرا Kisi ne ki bohat koshish magar na ban saka nayab Kisi ka pyar se takna hi aksar sha’iri thehra

Dhadkan ohdi waaj te rakhni paindi ai Pyar di aini laj te rakhni paindi ai

Image
دھڑکن اوہدی واج تے رکھنی پیندی اے پیار دی اینی لاج تے رکھنی پیندی اے Dhadkan ohdi waaj te rakhni paindi ai Pyar di aini laj te rakhni paindi ai   عشق نوں سوکھا کارا سمجھن والیا سُن دھون وی لا کے تاج تے رکھنی پیندی اے Ishq nu saukhha kara samjhan waleya sun Dhon vi la ke taaj te rakhni paindi ai   اپنے آپ نوں جے کر ٹھیک نہ کرئیے تے انگلی فیر سماج تے رکھنی پیندی اے Apne ap nu je kar theek na kariye te Ungli fer samaj te rakhni paindi ai   محمد عمران تنہا Muhammad Imran Tanha

Chaman Mein Reh Ke Bhi Dil Ko Agar Qarar Nahi Tou Yeh Bahar Ki Touheen Hai Bahar Nahi

Image
چمن میں رہ کے بھی دل کو اگر قرار نہیں تو یہ بہار کی توہین ہے بہار نہیں تمہارا حسن جو پھولوں سے آشکار نہیں مری نگاہ بھی شرمندۂ بہار نہیں حضور آپ کے وعدوں کا کیا یقیں آئے یہاں تو زیست پہ بھی اپنی اعتبار نہیں ہے زندگی مری اک حادثہ جہاں کے لیے مری تباہی پہ کون آج اشکبار نہیں وہ آنکھ کیا کہ محبت میں خوں بہا نہ سکے وہ دل ہی کیا ہے جو زخموں سے لالہ زار نہیں کوئی ہزار سراپا خلوص بن جائے ہمیں کسی کا بھی ساحر اب اعتبار نہیں

Kis Da Dosh See Kis Da Naein See Ehi Galaan Hun Karan Dian Naein

Image
کِس دا دوش سی کِس دا نئیں سی ایہہ گلاں ہُن کرن دیاں نئیں   Kis Da Dosh See Kis Da Naein See Ehi Galaan Hun Karan Dian Naein ویلے لنگھ گئے توبہ والے راتاں ہَوکے بھرن دیاں نئیں   Vely Langh Gaye Touba Wale Rataan Ho Ke Bharan Dian Naein جو ہَویا ایہہ ہونا ای سی تے ہونی روکیاں رُکدی نئیں   Jo Hoya Ehi Hona Ei See Te Honi Rokian Rukdi Naein اِک واری جدوں شروع ہو جاوے گل فیر اینویں مُکدی نئیں Ik Wari Jadon Shuro Ho Jawe Gal Fer Evein Mukdi Naein مُنیرؔ نیازی Munir Niazi  

Kehna ke koi kitna bhi dar dil mein bitha de Qadmon mein kisi shakhs ke dastar na daale

Image
کہنا کہ کوئی کتنا بھی ڈر دل میں بٹھا دے قدموں میں کسی شخص کے دستار نہ ڈالے Kehna ke koi kitna bhi dar dil mein bitha de Qadmon mein kisi shakhs ke dastar na daale   گھر کو ہی نہیں، دل کو بھی تقسیم کرے گی آنگن میں کبھی بھی کوئی دیوار نہ ڈالے Ghar ko hi nahi dil ko bhi taqseem kare gi Anhgan mein kabhi bhi koi deevar na daale   اس بار رعایا کو سبق یاد کرا دو جو ہار کے آیا ہو، اسے ہار نہ ڈالے Is baar riaya ko sabaq yad kara do Jo haar ke aya ho, usay haar na daale

Muhabbat raz hoti hai usay afsha nahi karna Muhabbat lazmi karna magar charcha nahi karna

Image
محبت راز ہوتی ہے، اسے افشاء نہیں کرنا محبت لازمی کرنا مگرچرچا نہیں کرنا Muhabbat raz hoti hai usay afsha nahi karna Muhabbat lazmi karna magar charcha nahi karna   محبت جس پہ نازل ہو، وہ دل تو خاص ہوتا ہے اگر مل جائے یہ نعمت اسے ضائع نہیں کرنا Muhabbat jis pe nazil ho, wo dil to khas hota hai Agar mil jaye ye nemat isay zaya nahi karna   میرے اجداد کہتے تھے، محبت دین کا جُز ہے تو اپنے دین میں تم بھی کہیں دھوکہ نہیں کرنا Mere ajdad kehte thay muhabbat deen ka juz hai To apne deen mein tum bhi kahin dhoka nahi karna   اگر عزت، محبت سے کبھی بھی ایک بچتا ہو تو پھر عزت بچا لینا بہت سوچا نہیں کرنا Agar izzat, muhabbat se kabhi bhi aik bachta ho To phir izzat bacha lena, bohat socha nahi karna   وفا کی کھیتیوں میں یہ محبت خوب اگتی ہے نہیں ہے شرط پوجا کی مگر بدلا نہیں کرنا Wafa ki khhetiyon mein ye muhabbat khoob ugti hai Nahi hai shart pooja ki magar badla nahi karna محبت کر رہے ہو تم تو یہ پیش نظر رکھنا محبت چھِن بھی جائے، تم اِسے رسوا نہیں کرنا Muhabbat kar rahe ho tum, t...

Ehl e jannat mujh lete hain, na dozakh wale Kis jagah ja ke tumhara ye gunahgar rahe

Image
اہلِ جنت مجھے لیتے ہیں، نہ دوزخ والے کس جگہ جا کے تمہارا یہ گنہگار رہے لالہ مادھو رام جوہر Ehl e jannat mujh lete hain, na dozakh wale Kis jagah ja ke tumhara ye gunahgar rahe Lala Madhu Ram Jauhar

Rone se nahi hasil kuch ay dil e saudaiy Ankhon ki bhi barbadi, daman ki bhi rusvaiy

Image
رونے سے نہیں حاصل کچھ اے دلِ سودائی آنکھوں کی بھی بربادی، دامن کی بھی رسوائی Rone se nahi hasil kuch ay dil e saudaiy Ankhon ki bhi barbadi, daman ki bhi rusvaiy   ہم لوگ سمندر کے بچھڑے ہوئے ساحل ہیں اس پار بھی تنہائی اس پار بھی تنہائی Hum loag samundar ke bichhde huay sahil hain Is paar bhi tanhaiy us paar bhi tanhaiy

Jis tarah hum tum mile thay fasla hona hi tha Band ankhon se chale thay, hadisa hona hi tha

Image
"قرطاس کا دکھ"   “Qirtas ka dukh”   جس طرح ہم تم ملے تھے، فاصلہ ہونا ہی تھا بند آنکھوں سے چلے تھے حادثہ ہونا ہی تھا Jis tarah hum tum mile thay fasla hona hi tha Band ankhon se chale thay, hadisa hona hi tha   اس قدر ہنسنا کسی کو راس آتا کب ہے دوست اک قیامت کی ہنسی پر کچھ برا ہونا ہی تھا Is qadar hansna kisi ko raas ata kab hai dost Ek qayamat ki hansi par kuch bura ho a hi tha شگفتہ نعیم ہاشمی Shagufta Naeem Hashm

Dariya dili ka matlab dariya pe aa ke samjha Is paar tune ho mere, us paar main tumhara

Image
آسائشیں بہت تھیں پر زندگی کو ہم نے اک دائرے میں لا کر اِک دَار پر گُزارا Asa’ishen bohat theen par zindagi ko hum ne Ek daiyere mein la kar ek daar par guzara دریا دِلی کا مطلب دریا پہ آ کے سمجھا اِس پار تُم ہو میرے، اُس پار میں تُمھارا Dariya dili ka matlab dariya pe aa ke samjha Is paar tune ho mere, us paar main tumhara

Jab ibtida chiragh thi, jab intiha chiragh Mehfil ke ikhtitam pe phir kia hua chiragh

Image
جب ابتدا چراغ تھی، جب انتہا چراغ محفل کے اختتام پہ پھر کیا ہوا چراغ Jab ibtida chiragh thi, jab intiha chiragh Mehfil ke ikhtitam pe phir kia hua chiragh تو ہی بتا کہ انجمن آرائی کیا ہوئی اس انجمن میں تو بھی تو جلتا رہا چراغ Tu hi bata ke anjuman araiy kia hui Us anjuman mein tu bhi to jalta raha chiragh میرے قریب آ کے بھی اتنا گریز کیوں میرے ندیم، تھا کبھی میں بھی ترا چراغ Mere qareeb aa ke bhi itna gurez kun Mere nadeem, tha kabhi main bhi tera chiragh پھر اس کے بعد حیرت وہم و گمان تھی جب بن گیا وجود میں اک آئینہ چراغ Phir us ke baad hairat e wehm o guman thi Jab ban gaya wujood mein ek aiyna chiragh گزری جو مجھ پہ گزری، مری بات اور ہے لیکن جو تجھ پہ گزری مجھے وہ سنا چراغ Guzri jo mujh pe guzri meri bat aur hai Lekin jo tujh pe guzri, mujhe wo suna chiragh منظر ہے رات کا ہی ترے کینوس پہ کیوں جگنو بنا، شجر کبھی پتے بنا چراغ Manzar hai rat ka hi tere canvas pe kyun Jugnu bana, shajar, kabhi patte bana chiragh چوپال کی کہانی کے کردار کیا ہوئے شب ختم ہو گئی ہے سو بجھنے لگا چراغ Chaupal k...

Khhenchta hai kaiy bahanon se Aik jadu jo teri zat mein hai

Image
کھینچتا ہے کئی بہـــــانوں سے ‏ایک جادو جو تیری ذات میں ہے فرحت عباس شاہ Khhenchta hai kaiy bahanon se Aik jadu jo teri zat mein hai Farhat Abbas Shah