Dard musafir thehr gaya tha akhhiyon ki hairani mein Sirf muhabbat behti thi aur sath ye ashk ravani mein

درد مسافر ٹھہر گیا تھا اکھیوں کی حیرانی میں صرف محبت بہتی تھی اور ساتھ یہ اشک روانی میں Dard musafir thehr gaya tha akhhiyon ki hairani mein Sirf muhabbat behti thi aur sath ye ashk ravani mein کیسے ہوا اور کب یہ ہوا، کچھ خبر نہیں تھی دل کو تو ایک محبت جا سوئی تھی وحشت میں ویرانی میں Kaise hua aur kab ye hua, kuch khabar nahi thi dil ko to Aik muhabbat ja soi thi wehshat mein veerani mein درد کی شدت اور بڑھی تھی شہرِ وفا کی شاموں میں اور ویرانی بیٹھ گئی تھی ان اکھیوں کے پانی میں Dard ki shiddat aur barhi thi shehr e wafa ki shamon mein Aur veerani baith gaiy thi in akhhiyon ke pani mein اس ہستی کے اندھیاروں نے بخت کو ایسے گھیرا تھا اپنی صدا تک اجڑ گئی تھی دل کی نوحہ خوانی میں Is hasti ke andhiyaron ne bakht ko aise ghhera tha Apni sadaa tak ujar gaiy thi dil ki noha khwani mein ایک سخنور کے لفظوں نے مجھ کو یوں برباد کیا لطف سماعت کو ملتا ہے اب تو زہر افشانی میں Aik sukhanwar ke lafzon mujh ko youn barbad kiya Lutf sama’at ko milta hai ab to zehr afshani mein نجمہ شاہین کھوسہ Najmi Shah...