Posts

Showing posts from April, 2015

Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya

  Poet Faiz Ahmad Faiz Type By *._Ayaz_Khan_.*   Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya, Dil Bahut Kuch Jala Ke Dekh Liya, Aur Kia Dekhne Ko Baqi Hai, Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya, Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howe, In Ko Apna Bana Ke Dekh Liya, Aaj Un Ki Nazar Mein Kuch Hum Ne, Sub Ki Nazren Bacha Ke Dekh Liya, FAIZ Takmeel-E-Gham Bhi Ho Na Saki, Ishq Ko Aazma Ke Dekh Liya.....! Book Naqsh e Faryadi Page No, 64

Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain

  Poet Faiz Ahmad Faiz Type By *._Ayaz_Khan_.*   Naseeb Aazmane Ke Din Aa Rahe Hain, Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain, Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai, Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain, Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Rah Rakh Do, Ke Lutne Lutane Ke Din Aa Rahe Hain, Tapakne Lagi Un Nigahon Se Masti, Nigahain Churane Ke Din Aa Rahe Hain, Saba Phir Humain Poochti Phir Rahi Hai, Chaman Ko Sajane Ke Din Aa Rahe Hain, Chalo FAIZ Phir Se Kahin Dil Lagain, Suna Hai Thikane Ke Din Aa Rahe Hain...! Book Naqsh e Faryadi Page No, 87  

Shama Haram-E-Jaan Ya Mashal Butt Khana, Kia Kia Mein Kahon Tujh Ko Ay Jalwa-E-Jaana

  Poet:Bedam Shah Warsi Type By *.__Ayaz_Khan__.*   Shama Haram-E-Jaan Ya Mashal Butt Khana, Kia Kia Mein Kahon Tujh Ko Ay Jalwa-E-Jaana, Manzil Mere Maqsad Ki Ka'aba Hai Na Butt Khana, In Dono Se Aage Chal Ay Himat-E-Mardana, Maykharon Ke Sadqe Mein Saqi Koi Paimana, Maykhana Mein Dardi Kash Maykhana, Sab Naqsh Khayali Hain ka'aba Ho Keh Buttkhana, Too Mujh Mein Hai Mein Tujh Mein Ay Jalwa-E-Jaana, Saqi Tere Aate Hi Ye Josh Hai Masti Ka, Sheeshe Pe Gire Sheesha Paimane Pe Paimana, Mera Dil Wiraan Bhi Aabaad Kai Jaana, Ay Zeenat Har Mihfil Ay Sahib-E-Har Khana, Zahid Meri Qismat Mein Sajde Hain Aisi Dar Ke, Chhota Hai Na Chhote Ga Sang-E-Dar-E-Jaana, Too Shama Sefat Ay Gul,Aaye Jo Sar-E-Mihfil, Parwana Bane Bulbul,Bulbul Bane Parwana, Mit Kar Bhi Rahe Baqi Jo Tujh Pe Mite Saqi, Jab Mitte Hain Bante Hain Khaak-E-Dar Maykhana, Yahan Kafar-O-Momin Ki Tafreeq Hai La Hasil, Sab Yaar Ke Jalwe Hain Apna Hai Na Begana, Kia Lutf Ho Ma...

KHUDA K Wastay Ay Badah Khawaro Youn Na Tarsao

  Poet Abdull Hamid Addam Type By *_FAROOQI.54_*   , Jawa'n Muasam Ka Kuch Sadqa Utaro Youn Na Tarsao, Tumharay Silsilay To Keh'Kashaaon Par Bhi Khanda Hain, Mairay Halat Ko Bhi Kuch Sanwrao Youn Na Tarsao, Kisi Baankay Musafir Nay Guzrna Hai To Hum Thehrein, Hamein Ay Bay Marwat Reh-Guzaro Youn Na Tarsao, KHUDA K Wastay Dil Ki Bhi Koi Baat Kar Dalo, Mairay Zehra Shumaail Razdaro Youn Na Tarsao, Nigaro Hum Ko Poochho Gay, Sitaro Hum Ko Dhoondo Gay, Nigaro Youn Na Tarsao, Sitaro Youn Na Tarsao, Hamein Shehar-E- ADDAM Say Kaya Isi Khatir Bulaya Tha,? Hamein Ay Bagh-E-Hasti Ki Bahaaro Youn Na Tarsao.............*

Phool Hai Ya Sharaar Kaya Shay Hai ? Sach Bata Taira Pyar Kaya Shay Hai

  Poet Abdull Hamid Addam Type By *_FAROOQI.54_*   Phool Hai Ya Sharaar Kaya Shay Hai ? Sach Bata Taira Pyar Kaya Shay Hai? Phool Bulbul Charaagh Parwanay, Aur Fassal-E-Bahaar Kaya Shay Hai ? Aetbaar Ik Pari Sahi Laikin, Hasil-E-Aetbaar Kaya Shay Hai ? Kis K Nashad Rooh Hai Is Mein ? Ay Mughni Sataar Kaya Shay Hai ? Daikh Lay Sookhi Tehniyon Ki Taraf, Poochh Mat Intzar Kaya Shay Hai ? Pyar Shay Hai Koi Zaroor Mgar, Ye Nahi Illam Pyar Kaya Shay Hai ? Poora Ho Jaye Wo Agar To ADDAM, Wada-E-Istwaar Kaya Shay Hai....................*  

Dilbro Muajzaat Kar Jao, Koi Anhoni Baat Kar Jao

Poet Abdull Hamid Addam Type By *_FAROOQI.54_*   Dilbro Muajzaat Kar Jao, Koi Anhoni Baat Kar Jao, Is Mein Kaya Aetraz Hai Tum Ko ? Baat Sun Jao Baat Kar Jao, Hum Ko Har Zullam Bhool Jata Hai, Phir Koi Wardaat Kar Jao, Zindagi Aasron Say Chalti Hai, Aehtmaam-E-Hayaat Kar Jao, Tum Ko Tofeeq Di Hai Qudrat Nay, Charah-E-Mushkilaat Karo Jao, Jhoota Wada ADDAM Say Kar K Koi, Baarish-E-Iltfaat Kar Jao....................* .  

Dunya Ka Kuch Bura Bhi Tamasha Nahi Raha

دنیا کا کچھ برا بھی تماشا نہیں رہا دل چاہتا تھا جس طرح ویسا نہیں رہا تم سے ملے بھی ہم تو جدائی کے موڑ پر کشتی ہوئی نصیب تو دریا نہیں رہا کہتے تھے ایک پل نہ جیئیں گے ترے بغیر ہم دونوں رہ گئے ہیں وہ وعدہ نہیں رہا کاٹے ہیں اس طرح سے ترے بغیر روز و شب میں سانس لے رہا تھا پر زندہ نہیں رہا آنکھیں بھی دیکھ دیکھ کے خواب آ گئی ہیں تنگ دل میں بھی اب وہ شوق، وہ لپکا نہیں رہا کیسے ملائیں آنکھ کسی آئنے سے ہم امجد ہمارے پاس تو چہرہ نہیں رہا

Mazhab Ki Khoobiyan Usay Qail Na Kar Sakein, Bas Aik Hi Usool Pe Qurbaan Ho Gaya

  Mazhab Ki Khoobiyan Usay Qail Na Kar Sakein, Bas Aik Hi Usool Pe Qurbaan Ho Gaya . . Jounhi Suna Keh 4 Bhi Jaiz Hain Biviyaan,  Fouran Wo Kalma Parh Kar Musalman Ho Gaya.

Chaadar,Libas-E-Shab,Bistar Aor Raat " Sara Hi Intezaam Huwa Hai,Bas Neend Reh Gai

  Chaadar,Libas-E-Shab,Bistar Aor Raat " Sara Hi Intezaam Huwa Hai,Bas Neend Reh Gai......!

Hagha Dam Zama Du Zr'ra Sabar Tamam Laar'r Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r

  Poet:Ahmad Deen Talib Type By *.__NOMI__.*    Chaarbeta   Hagha Dam Zama Du Zr'ra Sabar Tamam Laar'r Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r (1) Hagha Dam Zama La Khule Kaawake Kheji Che Ghuncha Mi Du Wisaal Du Chaman Reeji Yaar Ta Yaar Kalaam Du Yaar La Taraf Bheji Ku Du Lasa Mi Naskoor Du Sabar Jaam Laar'r Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r (2) Ku Pa Laas De Shwe Zama Du Zulfo Waagi Bya Ba Sala Du Afsoos Jalai Okagi Oor Du Gham Darna Chaapera Sho Peeche Aage Che Majnoon Ghunde De Sar Na Aqal Khaam Laar'r Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r (3) Ku Majnoon Ghunde Mi Wajni Du Gham Tandah Pa Marg Khuwakh Yam Du De Be-Wisaala Juwandah Da Zaari Minnat Mi Nu Aori Dilbandah Daase Nu Wai Che Da Mi Yao Ghulaam Laar'r Marawar Che Mi La Ghege Dil-e-Aaram Laar'r (4) Daa Minnat Zaari De Mata Shol Mazoora Nor Du Ishq La Darda Mu Jar'ra Mahjoora Sta Du Ranz Ilaaj Ba Okrama Ra...

Is Ahd-E-Pur Fatan Ki Nazar Say Ulajh Parro, Hangama Haaye Sham-O-Sehar Say Ulajh Parro

Image
 Poet Saghar Siddiqui *_FAROOQI.54_* Is Ahd-E-Pur Fatan Ki Nazar Say Ulajh Parro, Hangama Haaye Sham-O-Sehar Say Ulajh Parro, Hoga Rosh Rosh Pay Hamaray Janoon Ka Raaj, Barrh Kar Nigah-E-Baraq-O-Sharar Say Ulajh Parro, Lalkarti Hain Tum Ko Falak Boos Chotiyaan, Itna Urro Keh Shams-O-Qamar Say Ulajh Parro, Aatish Mein Kood Jao Bzam-E-Khalil-E-Shoq, Mansooba Haaye Muaj-O-Bhanwar Say Ulajh Parro, Barrhtay Chalo Mujaahido ALLAH Ki Raah Mein, Bay Baak Ho K Khof-O-Khatar Say Ulajh Parro, Apnay Watan Ki Khak-E-Muqdas K Wastay, Saghar Tajliyaat-E-Gohar Say Ulajh Parro...............*

Umeed K Muati Arzaa'n Hain, Durvaish Ki Jholi Khali (Saghar Siddiqui)

Image
Poet Saghar Siddiqui *_FAROOQI.54_* Umeed K Muati Arzaa'n Hain, Durvaish Ki Jholi Khali, Phoolon Say Mehktay Daman Mein Durvaish Ki Jholi Khali Hai, Ahsas Safati Pathar Hain, Emaan Sulgati Dhoni Hai, Bay Rang Mazaj-E-Doraa'n Mein, Durvaish Ki Khali Hai, Bay Noor Marwat Ki Aankhein Bay Kaif Inaayat K Jazabay, Har Simat Badltay Unwan Hain, Durvaish Ki Jholi Khali Hai, Gadrri K Phatay Tukrray Saghar Ajsam-E-Takhyul Kaya Dhanpein ? Faryad K Nuqtay Hairaa'n Hain,  Durvaish Ki Jholi Khali Hai........*

Muhabbat Ho Rahi Hai...* Dhire Dhire...*

  Poet:Ayaz Khan * Muhabbat Ho Rahi Hai * Type By *.__Ayaz_Khan__.*   Dil Ki Khirrki Khol Gai Hai...* Aankhon Mein Koi Jhoom Rahi Hai...* Muhabbat Ho Rahi Hai...* Dhire Dhire...* Chal Rahi Hai Nai Kahani Purani Reet...* Fizaain Bhi Gunguna Rahi Hain Geet...* Muhabbat Ho Rahi Hai...* Dhire Dhire...* Chupke Chupke Ho Rahi Hain Mulaqatain...* Chaand Se Ho Rahi Hain Baatain...* Muhabbat Ho Rahi Hai...* Dhire Dhire...* Jagnoo Jagnoo Umeed Liye...* Titli Titli Rang Liye...* Muhabbat Ho Rahi Hai...*  Dhire Dhire...* Be-Chain Hawa Ke Jhonke Hain...* Phool Khushi Ke Mehke Hain...* Muhabbat Ho Rahi Hai...* Dhire Dhire...* Aag Ke Is Samandar Se...* Jane Kaise Log Guzarte Hain.......! Kuch Kundan Ban Ke Aate Hain...* Muhabbat Ho Rahi Hai...* Dhire Dhire...* Kuch Majnoo Ban Ke Kho Jate Hain...* Kuch Ranjah Ban Ke Rote Hain...* Ye Sab Afsane Jaan Kar Bhi...* Anjaan Se Waqif Ho Kar Bhi...* Hum Muhabbat Karte Hai...

Aur Chupke Chupke Ro Lena,

Image
  AUR CHUPKE CHUPKE RO LENA   Jab Seena Gham Se Bojhal Ho, Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho, Tab Kamre Mein Band Ho Jana, Aur Chupke Chupke Ro Lena, Jab Aankhen Baaghi Ho Jaein, Aur Yaad Mein Meri Bhar Aaein, Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena, Aur Chupke Chupke Ro Lena, Jab Palken Karb Se Mondi Hon, Aur Sab Samjhen Tum Soi Ho, Tab Monah Pe Takiya Rakh Lena, Aur Chupke Chupke Ro Lena, Ye Dunya Zaalim Dunya Hai, Ye Baat Buhat Phelai Gi, Tum Saamne Sab Ke Chup Rehna, Aur Chupke Chupke Ro Lena, Jab Barish Chehra Dho Daale, Aur Ashk Bhi Bonden Lagti Hon,  Wo Lamhe Hargiz Mat Khona, Aur Chupke Chupke Ro Lena,    

Raah Guzar K Charagh Hain Hum Log, Aap Apna Suragh Hain Hum Log,

  Poet: Saghar Siddiqui Type By *_FAROOQI.54_*   Raah Guzar K Charagh Hain Hum Log, Aap Apna Suragh Hain Hum Log, Jal Rahay Hain Na Bujh Rahay Hain Dost, Kis K Seenay Ka Dagh Hain Hum Log, Khud Tahi Hain Mgar Pilatay Hain, May Kaday K Ayaagh Hain Hum Log, Dushmamon Ko Dost Kehtay Hain, Kitnay Aali Dimaagh Hain Hum Log, Chasham-E-Tehqeer Say Na Daikh Hamein, Daamnon Ka Faraagh Hain Hum Log, Aik Jhonka Naseeb Hai SAGHAR, Us Gali K Chraagh Hain Hum Log...................* . Book Qaraz Hai Tum Pay 4 Phoolon Ka Page 87 88  

Nashayi Ghunde Jote Du Yaar Pa Gham Khuram Du Shamkor Hase Takare Har Qadam Khuram

  Poet:Ahmad Deen Talib Type By *.__NOMI__.*    Nashayi Ghunde Jote Du Yaar Pa Gham Khuram Du Shamkor Hase Takare Har Qadam Khuram   Roogh Aalam Pa Ma Guman Du SharabKhur Kr'ri Che Du Sro Stargo Piyaalo Ke Du Zr'ru Gham Khuram His Taqat Zama Du Sabar Paate Nu Sho Pa Kom Rang Ba Du Dildaar Du Dar Qasam Khuram Che Ye Khuwand Du Yaar Tar Labo Nu Raseegi Abas Sala Samar Saib Du Baagh Aram Khuram Sta Du Ishq Che Asar Mi Sar Ke Prewat Du Tuhmat Khanjar Pa Sar Laka Qalam Khuram Zu TALIB AHMAD DEEN Zahar  Warta Wayim Be Du Yaar Na Keh Sharbat Pa Jaam Jam Khuram   ********** NOMI **********  

Raahzan Aadmi, Rehnuma Aadmi, Baar'ha Ban Chuka Hai Khuda Aadmi

  Poet Saghar Sidiqui Type By *_FAROOQI.54_*   Raahzan Aadmi, Rehnuma Aadmi, Baar'ha Ban Chuka Hai Khuda Aadmi, Aas Ki Moortein Poojtay Poojtay, Aik Tasveer Si Ban Gaya Aadmi, Khul Gaye Janton K Wahan Zaaichay, Do Qadam Jhoom Kar Jab Chala Aadmi, Subha Dam Chaand Ki Rukhsati Ka Samaa'n, Jis Tarah Behar Mein Doobta Aadmi, Zindagi Khankaah Shahood-O-Baqa, Aur Loh-E-Mazaar-E-Fana Aadmi, Kuch Fashiton Ki Taqdees K Wastay, Seh Gaya Aadmi Ki Jafa Aadmi, Goonjti Hi Reh Gayi Falak Dar Falak, Hai Masheeat Ki Aisi Sada Aadmi..............*  

Du Firaq Du Ghama Jaar'ram Zaan La Pat Pat, Yaar Mi Na Razii Zama Pursaan La Pat Pat

  Poet:Ahmad Deen Talib Type By  *.__NOMI__.*   Du Firaq Du Ghama Jaar'ram Zaan La Pat Pat, Yaar Mi Na Razii Zama Pursaan La Pat Pat Manzoor Nu Shwal Pa Mehfil Du Aashiqai Ke, Ku Mi Yaor'ral Sar-O-Maal Jaanan La Pat Pat Ghamaazgar Lara Zaahir Zorana Warkr're, Warkawe Du Lamse Waak Shitaan La Pat Pat Umeedwar Kr're Bulbulaan Du Baagh Du Wasal, Ra Baley Zaagh-O-Zaghun Bostaan La Pat Pat Domra Zu Pa Biltana Kamzore Nu Yam, Khu Leegi Mi Yaar Komak Hijraan La Pat Pat Zu TALIB AHMAD DEEN Ishq Ke Ruswa Shom, Nam Du Stargo Mi Raazi Grewaan La Pat Pat.......!   ********** NOMI **********

Kabhi To Tuo Meri Ulfat Ki Had Se Paar Jaay Ga,, , TErE Humrah In Yaad0n Ka Ek Anbaar Jaay Ga

  Kabhi To Tuo Meri Ulfat Ki Had Se Paar Jaay Ga ,, , TErE Humrah In Yaad0n Ka Ek Anbaar Jaay Ga ..* TEri S0ch0n Se MEri Shaam Phir MEhs00s H0ti Hai ,, , K0i Andar SE Hansta Hai KEh Tuo Phir Haar Jaay Ga ..* Hawaa0 Sarsaratay Is Tarah Guzr0 Keh Aahat H0 ,, , MErE Aangan Ka Sannata MujhE Ab Maar Jaay Ga ..* Usay Gar R0kna Chah0 T0 BE-Parwaiyan Bart0 ,, , KEh Jitni Baar R0k0 GE,W0 Utni Baar Jaay Ga ..* Yahi BE-Ma0smi Rim Jhim Usay BE-Zaar Karti Hai ..* YE R0na PEEtna TEra Yunhi BE-Kaar Jaay Ga ..* W0 Sadiy0n Baad L0ta Hai Usay Andar T0 Aanay D0 ,, , TEra Dar Aakhiri Dar Hai,Kahan Is Baar Jaay Ga ..* W0 Malak-ul-M0ut BEtha Hai,Kisi Ki Taak Mein DEkh0 ,, , Aur Ab Ki Baar Sang Uskay TEra BEEmaar Jaay Ga ...>* *._.* - TypeEd By RaJu - JaaN -* *

Dil Ko Dard Zakhmon Ko Gehraai De Gaya, Aik Be-Wafa Mujh Ko Tanhaai De Gaya

  Poet:Ayaz Khan Type By *.__Ayaz_Khan__.*   Dil Ko Dard Zakhmon Ko Gehraai De Gaya, Aik Be-Wafa Mujh Ko Tanhaai De Gaya,   Jo Zakham Rah-E-Muhabbat Mein Dil Par Lage, Zakham Judaai Ka Un Ko Binaai De Gaya,   Khona To Tha Hi Us Ko Aik Na Aik Din Magar, Jate Jate Wo Mujh Ko Ruswaai De Gaya,   Dua'ain To Mangi Keh Dard-E-Dil Mein Shafa Ho, Magar Wo Mujhe Zehir-E-Masihaai De Gaya,   Kis Qadar Naam Tha,Ehl-E-Wafa Mein Mera, Magar Wo Mujhe AYAZ ,Naam Harjaai De Gaya......!  

Mujh Ko Chorne Ki Wajah To Zara Bata Detay

  Mujh Ko Chorhne Ki Wajah To Zara Bata Detay... Mujh Se Be-Zaar Thay...? Ya Mujh Jaise Hazaar Thay.........!

Koi To Ho Jo Tasalyion K Haroof De Kar

  Koi To Ho Jo Tasalyion K Haroof De Kar ,, ... Ragon Mein Behti Aziyaton Ka Gharoor Torre ...*

Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai

  Poetess: Latta Haya  (Indian) Type By *.__NOMI__.*   Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai   * Jo Insaa,n Ko Jeenay Ka Andaaz Sikhata Hai ...* * Saanson Ki Aamad Ka Gehra Raaz Batata Hai ...* * Jo Ye Kehta Hai Dunya Kaise Ejaad Howi ...* * Aik Ghalti Se Kharij Aadam A.S Ki Faryaad Howi ...* * Jo Ye Kehta Hai,Dunya Ko Aik Saza Samjho ...* * Apne Hone Main ALLAH Ki Sirf Raza Samjho ...* * Jo Ye Kehta Hai, Keh Jo Kuch Bhi Hai, Faani Hai ...* * Kehtay Hain Hum Jise Qayamat,Wo To Aani Hai ...* * Kaise Hoti Subah,Kaise Shaam Batata Hai ...*   **Wo Hai Sachha Mazhab Jo Islam Kehlata Hai**   * Jahan Burai Khatam,Shuro Islam Wahan Se Hai ...* * Apne Bandon Ko Uska Paigham Wahan Se Hai ...* * Aik Mukamal Jis Ne Ye Qanoon Banaya Hai ...* * Us Ne Apne Bandon Ko Har Gaam Sikhaya Hai ...* * Kaise Jeena Hai Tum Ko Aor Kaise Marna Hai ...* * Is Dunya Main Reh Kar Kia Karnama Karna Hai ...* * Har Achi Baton Ka Huka...

Baat Sajdo Ki Nahi Khuloos-E-Dil Ki Hoti Hai IQBAL

  Baat Sajdo Ki Nahi Khuloos-E-Dil Ki Hoti Hai IQBAL Mekhaany Main Har Koi Sharaabi  Aor  Masjid Main Har Koi Namazi Nahi Hota.........!  

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhana, Kabhi Darkhaton Pay Naam Likhna,

  Poet Hassan Abas Singar Ustad Ghulam Ali Type By *_FAROOQI.54_*   Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhana, Kabhi Darkhaton Pay Naam Likhna, Hamein Bhi Hai Yaad Aaj Tak Wo Nazar Say Harf-E-Sallam Likhna, Wo Chand Chehray, Wo Behkti Batein, Sulgati Din Thay, Mehkti Ratein, Wo Chhotay Chhotay Kaghzon Par, Mohabbaton K Pyam Likhna, Gulab Chehron Say Dil Lagana, Wo Chhup K Chhup K Nazar Milana, Wo Aarzwon K Khawab Bun'Na, Wo Qisa-E-Na'Tamam Likhna, Gayi Ruto Mein HASSAN Hamara, Bas Ik Hi To Ye Mashghla Tha, Kisi K Chehray Ko Subha Likhna, Kisi Ki Zulfon Ko Sham Likhna, Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna, Kabhi Darkhaton Pay Naam Likhna..............!

Kaha Main Ne Maah-E-Kaamil Ki Aahat Par Samandar Kiyon Machaltay Hain

کہا میں نے ! مہِ کامل کی آہٹ پر سمندر کیوں مچلتے ہیں ۔ ۔ ۔ دِلوں میں کس لیے ارماں جگاتی ہیں سنہری چاندنی راتیں ! یہ اِن کے بیچ کیسی دوستی ہے ۔ کیا تعلق ہے ؟؟ ۔ ۔ کہا اُس نے کشش کے باب میں جو کچھ سنا تم نے وہ سب باتیں کتابی اور حسابی ہیں حقیقت صرف اِتنی ہے مکاں اور لامکاں کے درمیاں جو وقت کا دریا سا بہتا ہے کہیں اُس پر کوئی اِک پُل ہے ۔ جس نے جوڑ رکھا ہے نگاہوں کی پہنچ سے دور دو اوجھل کناروں کو معانی جس نے بخشے ہیں نئے کچھ اِستعاروں کو عجب جادو ہے اُس دریا میں اور اُس کے کناروں میں اگر اپنی طرف سے آکے میں تم کو پکاروں تو مری آواز تم کو اِس قدر نزدیک سے آتی ہوئی محسوس ہوگی جس طرح میں پاس ہوں اتنی کہ تم چاہو تو مجھ کو بازؤں میں بھر بھی سکتے ہو میرے کانوں میں چپکے سے وہ باتیں کر بھی سکتے ہو وہی باتیں جو جانے کب سے کہنا چاہتے تھے تم ۔ !! کہو نا ۔ ۔ ۔ سُن رہی ہوں میں اگر تم جاننا چاہو کہ ایسا کس طرح ممکن ہے تو آؤ وہیں اپنے کنارے پر کھڑے ہو کر مرے بارے میں کچھ سوچو ۔ ۔ لو دیکھو ۔ ۔ آگئی ہوں میں ۔ ۔۔ !!  

Kahin Ishq ki dekhi ibadat, kahin Ishq ki dekhi inteha,

Kahin Ishq ki dekhi ibadat, kahin Ishq ki dekhi inteha, kahin Ishq sooli pe charh gya, kahin Ishq ka nezy pe sir gya, kahin Ishq sajdy ma gir gya, kahin Ishq sy phir gya, kahin Ishq dars -e- wafa bana, kahin Ishq na 72(bahtr) sir diya, kahin Ishq na namaz ko Qaza kea, kahin Ishq Saife-khuda bana, kahin Ishq Shere-Khuda bana, kahin Ishq Toor per deedar hy, kahin Ishq zibah ko tayar hy, kahin Ishq ne behka dea, kahin Ishq na Shah-e-misr bana dea, kahin Ishq Aankhon ka noor hy, kahin Ishq koh -e- toor hy kahin Ishq 'Tu'hi'Tu hua, kahin Ishq Allah Hoo Hua.......!

Ek Shakhs Ko Dekha Tha Taroon Ki Tarah Hum Ne

Ek Shakhs Ko Dekha Tha Taroon Ki Tarah Hum Ne Ek Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne Ek Shakhs Ko Samjha Tha Pholon Ki Tarah Hum Ne Wo Shakhs Qayamat Tha Kya Us Ki Karein Batein Din Us Ke Liye Paida Aur Us Ki He Thi Ratein Kab Milta Kisi Se Tha Hum Se Thi Mulaqatein Rang Us Ka Shahabi Tha Zulfon Mein Thi Mehkarein Aankhein Thi Ke Jadu Tha Palkein Thi Ke Talwarein Dushman Bhi Agar Dekhe So Jan Se Dil Harey Kuch Tum Se Woh Milta Tha Baton Men Shahabat Thi Han Tum Sa He Lagta Tha Shokhi Mein Shararat Mein Lagta Bhi Tum He Sa Tha Dastur-E-Mohabbat Mein Woh Shakhs Humein Ek Din Apno Ki Tarah Bhoola Taroon Ki Tarah Dooba Phoolon Ki Tarah Toota Phir Hath Na Aaya Woh Hum Ne Bohat Dhonda Tum Kis Liye Chonkey Ho Kab Zikar Tumhara Hai? Kab Tum Se Taqaza Hai? Kab Tum Se Shikayat Hai? Ek Taza Hikayat Hai Sun Lo Tou Inayat Hai Ek Shakhs Ko Cha'ha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne Ek Taza Hikayat Hai Sun Lo Tou Inayat Hai.......? ...

Bhulata Lakh Hon Lekin Barabar Yad Aate Hain ILAAHI Tark E Ulfat Par Wo Kiyon Kar Yad Aate Hain

  Poet: Hasrat Mohani   Bhulata Lakh Hon   Bhulata Lakh Hon Lekin Barabar Yad Aate Hain ILAAHI Tark E Ulfat Par Wo Kiyon Kar Yad Aate Hain  Na Cher Ay Hamnasheen Kefiyat E Sahaba K Afsane  Sharab E Be Khudi K Mujh Ko Sagar Yad Aate Hain   Raha Karte Hain Qaid E Hosh Mein Ay Wayi Nakami   Wo Dashit E Khud Faramoshi K Chakar Yad Aate Hain   Nahi Aati To Yad Un Ki Maheenon Bhar Nahi Aati  Magar Jub Yad Aate Hain To Aksar Yad Aate Hain Haqeeqat Khul Gayi Hasrat Tere Tark E Muhbat Ki Tujhe To Ab Wo Pehle Se Bhi Barh Kar Yad Aate Hain...!

Nigah-E-Aib Geeri Se Jo Dekha Ahl-E-Aalam Ko

Nigah-E-Aib Geeri Se Jo Dekha Ahl-E-Aalam Ko Koi Kaafir , Koi Faasi q , Koi Zindeeq-E-Akbar Tha . . Magar Jab Ho Gaya Dil , Ehtesaab-E-Nafs Par Maa'il , Howa Saabit ,  Keh Har Farzand-E-Aadam Mujh Se Behtar Hai ........!   ********** NOMI **********  

Rang Laye Shaam E Furqat Or Bhi Hai Mujhe Ghum Ki Zaroorat Or Bhi

Poet: Naseer O Deen Naseer Rang Laye Shaam E Furqat Or Bhi Hai Mujhe Ghum Ki Zaroorat Or Bhi. Dil Py Toty Gi Qayamat Or Bhi Hijar K Kuch Din Hai Hazrat Or Bhi. Ap Aayain Hai To Baithain Mere Paas Ik Zara Thori Si Zehmat Or Bhi. Ishq Main Hum Kis Qadar Girtay Gaye Barh Gai Hai Qadr O Keemat Or Bhi. Shaikh Nay Parindon Say Silwatain Suni Uski Honi Thi Buri Gut Or Bhi. Unki Baatain Dil Ki Hai Aaina Daar Khul Gai Sari Haqeeqat Or Bhi. Haath Mere Dil Pay Rakhtay Jayain Jate Jate Ye Inayat Or Bhi. Jis Qadar Wo Door Hum Say Ho Gaye Barh Gai Un Say Muhabt Or Bhi. Lay Uraa Zouq E Sukhan Hum Ko "Naseer" Ho Gai Dunya Main Shohrat Or Bhi........!

Muhabbat Kam Nahin Hoti Ham Aksar Ye Samajhte Hein

Muhabbat Kam Nahin Hoti, Ham Aksar Ye Samajhte Hein Jise Ham Pyar Karte Hein Use Ham Chhor Sakte Hein Magar Aysa Nahin Hota Muhabbat Daaimi Sach Hai Muhabbat Thaher Jaati Hai Hamari Baat Ke Andar Hamari Zaat Ke Andar Magar Ye Kam Nahin Hoti Kisi Bhi Dukh Ki Surat Mein Kabhi Koi Zarurat Mein Kabhi Anjaan Se Gham Mein Hamari Aankh Ke Andar Kabhi Aab-e-RawaN Ban Kar Kabhi Qatre Ki Surat Mein Muhabbat Thaher Jaati Hai Ye Hargiz Kam Nahin Hoti............?

Aahat Si Koi Aaye To Lagta Hai K Tum Ho

  Poet Jan Nisar Akhtar Type bY UJJRA_DIL   Aahat Si Koi Aaye To Lagta Hai K Tum Ho, Saya Koi Lehraye To Lagta Hai K Tum Ho, Jab Shakh Koi Hath Lagate Hai Chaman Mein, Sharmaye Lachak Jaye To Lagta Hai Keh Tum Ho, Sandul Se Mehaki Hui Pur'Kaif Hawa Ka, Jhonka Koi Takraye To Lagta Hai Keh Tum Ho, Aurrhe Huye Taron Ki Chamkti Hui Chadar, Nadi Koi Bal Khaye To Lagta Hai Keh Tum Ho, Jab Raat Gaye Koi Kiran Maire Baraabr, Chup Chap Si So Jaye, To Lagta Hai Keh Tum Ho.......................!

Khubsurat Kalai MEn Bar'ray Chah SE,, , Ch00riyaan Ghumatay H0wE Us NE Kaha

  -- *' Masoom Lar'rki '* -- Khubsurat Kalai MEn Bar'ray Chah SE ,, , Ch00riyaan Ghumatay H0wE Us NE Kaha ,, , SuniyE ,, ! , YE Ch00riyaan DEkhiyE ,, , KEsi Hain ,, ? , Ap K0 Pasand Hain ,, ? , YE Aap K Naam Ki Hain ,, , Hum NE Aap Ki Taraf  SE Li Hain,, , Aap Humaray H0 Na ,, ? , H0 Na Aap Humaray ,, ? , Is SE pEhlE K W0h MEri Aankh0n ME,, , Chamakty Aansuu DEkhti ,, , Jaldi SE Main NE Kaha ,, , Haa'n B0hat Khubsurat Hain YE Ch00riyaan ,, , Tumhari Kalai MEn Kh00b Sajh Rahi Hain,, , MErE Naam Ki DaawE-daar ,, , W0 Piyaari Mas00m Lar'rki ,, , Khushi SE Muskura Di ,, , Aur Bh00L Gai ,, , ApnE SawaL Ka Jawaab ...>* *._.* - TypE By RaJu - JaaN -* *

Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay, Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay

  Poetess Naina'n Type By *_FAROOQI.54_*   Aadhi Raat K Shayd Sapnay Jhootay Thay, Ya Phir Pehali Baar Staray Tootay Thay, Jis Din Ghar Say Bhag K Shehar Ponchi Thi, Bhag Bhari K Bhag Usi Din Phootay Thay, Mazhab Ki Bunyad Ye Kaya Taqseem Hui ? Hamsayon Nay Hamsaye Hi Lootay Thay, Shokh Nazar Ki Chutki Nay Nuqsan Kiya, Hathon Say Chae K Bartan Chhootay Thay, Aurrh K Phirti Hai Jo NAINA'N Sari Raat,          Us Raisham Ki Shal Pay Yaad K Bootay Thay.................!

Milti Hai Zindagi Mein Mohabbat Kabhi Kabhi, Hoti Hai Dilbron Ki Inayat Kabhi Kabhi

  Singar Lata Mangeshkar Type By *_FAROOQI.54_*   Milti Hai Zindagi Mein Mohabbat Kabhi Kabhi, Hoti Hai Dilbron Ki Inayat Kabhi Kabhi, Sharma K Mun'h Na Phair Nazar K Sawal Par, Lati Hai Aisay Muarr Pay Qismat Kabhi Kabhi, Khultay Nahi Hai Roz Dareechay Bahaar K, Aati Hai Jaan-E-Mann Ye Qayaamat Kabhi Kabhi, Tanha Na Kat Sakay Gay Jawani K Rastay, Paish Aaye Gi Kisi Ki Zaroorat Kabhi Kabhi, Phir Kho Na Jaein Hum Kahein Dunya Ki Bheerr Mein, Milti Hai Pas Aanay Ki Muhlat Kabhi Kabhi, Milti Hai Zindagi Mein Mohabbat Kabhi Kabhi.................!

So Gai Sheher Ki Har Aik Gali,Ab To Aa Ja Keh Raat Bheeg Chali

  سو گئی شہر کی ہر ایک گلی . . . اب تو آجا کہ رات بھیگ چلی . ناصر کاظمی  

Kal Chodvein Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Taira

  Singar King Of Ghazal Mehndi Hassan Type By *_FAROOQI.54_*   Kal Chodvein Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Taira, Kuch Nay Kaha Ye Chaand Hai, Kuch Nay Kaha Chehra Taira, Is Shehar Mein Kis Say Milein ? Hum Say To Chhooti Mehfilein, Har Shakhass Taira Naam Lay, Har Shakhass Deewana Taira, Bay Shaq Usi Ka Dosh Hai, Kehta Nahi Khamosh Hai, Too Aap Kar Aisi Dawa, Beemar Ho Achha Taira, Hum Bhi Wahein Mojood Thay, Hum Say Bhi Poochha Kiye, Hum Hans Diye, Hum Chup Rahay, Manzoor Tha Pardah Taira, Bay Shaq Usi Bay Dard Sun'Ni Hai To Chal, Kehta Hai Kaya Achhi GHAZAL, Aashq Taira Ruswa Taira Shaair Taira INSHA Taira, Kal Chodvein Ka Chaand Tha, Shab Bhar Raha Charcha Taira.................!

Jab Tasvur Maira Chupkay Say Tujhay Chhou Aaye,

Singar Ustad Ghulam Ali Type By *_FAROOQI.54_* Jab Tasvur Maira Chupkay Say Tujhay Chhou Aaye, Apni Har Sans Say Mujh Ko Tairi Khushboo Aaye, Mashghla Ab Hai Maira Chaand Ko Taktay Rehna, Raat Bhar Chain Na Kisi Tujh Bin Kisi Pehlou Aaye, Ghantiya Bajnay Lagi Hijar K Sanattay Say, Gungunata Huwa Aisay Mein Agar Too Aaye, Jab Kabhi Gardish-E-Dora'n Nay Sataya Mujh Ko, Mairi Jaan Tairay Phailay Huye Bazoo Aaye, Jab Tasvur Maira Chupkay Say Tujhay Chou Aay....................!  

Zulf Ki Baat Kiye Jatay Hain Din Ko Yuon Raat Kiye Jatay Hain

Image
  Zulf Ki Baat Kiye Jatay Hain Din Ko Yuon Raat Kiye Jatay Hain Chand Aansoo Hain,Inhain Bhi "JALIB" Nazr-E-Halaat Kiye Jatay Hain

Main Jis Din Bhula Don Taira Pyar Dil Say, Wo Din Aakhri Ho Mairi Zindagi Ka

  Singar King Of Ghazal Mehndi Hassan Type By *_FAROOQI.54_*   Main Jis Din Bhula Don Taira Pyar Dil Say, Wo Din Aakhri Ho Mairi Zindagi Ka, Ye Aankhein Usi Raat Ho Jaein Andhi, Jo Tairay Siwa Daikhay Sapna Kisi Ka, Mujhay Apnay Dil Say Utrnay Na Daina, Main Khushboo Hon Mujh Ko Bikhranay Na Daina, Hamaisha Rahon Main Tairay Bazw'on Mein, Na Tootay Ye Bandhan Dosti Ka, Mairi Dharrkanon Mein, Mohabbat Hai Tairi, Mairi Zindagi Ab Amaanat Hai Tairi, Tamna Hai Jin Raston Par Chalay Too, Nishan Ho Wahan Par Mairi Bandagi Ka, Main Jis Din Bhula Don Taira Pyar Dil Say, Wo Din Aakhri Ho Mairi Zindagi Ka......................!  

Aankhein Bhi Wahi Hain To Dareecha Bhi Wahi Hai, Aor Soch K Aangan Mein Utarta Bhi Wahi Hai

Image
Aankhein Bhi Wahi Hain To Dareecha Bhi Wahi Hai, Aor Soch K Aangan Mein Utarta Bhi Wahi Hai Jis Ne Mere Jazbon Ki Sadaqat Ko Na Jana, Ab Meri Rafaqat Ko Tarasta Bhi Wahi Hai Is Dil Ke Kharaby Se Guzar Kis Ka Howa Hai, Aankhein Bhi Wahi,Hont Bhi,Lehja Bhi Wahi Hai Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhai Ne Tujh Se, Is Sheher Ki Deewaar Pe Likha Bhi Wahi Hai Wo Jis Ne Diye Mujh Ko Muhabbat Ke Khazaany, Badal Ki Tarah Aankh Se Barsa Bhi Wahi Hai.............! ********** NOMI **********

Shikayat To Badltay Lehjon Say Hai

Shikayat To Badltay Lehjon Say Hai . . . Hawa Pattay Aur Muasam To Kabhi Dil Nahi Torrtay  

Tum Hi Aa Kar Tham Lo Na Mujhay

Tum Hi Aa Kar Tham Lo Na Mujhay . . . Sub Nay Chhorr Diya Hai Tumhara Samjh Kar  

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha, Wahein Khilte To Acha Tha

  Poet: Sadullah Shah Type By *_FAROOQI.54_*   Jahan Phoolon Ko Khilna Tha, Wahein Khilte To Acha Tha, Tumhi Ko Hum Ne Chaha Tha, Tumhi Milte To Acha Tha, Tumhain To Dukh Hi Milna Thay, Tumhi Ne Sabbar Kheencha Tha, Tumhare Lab Kisi Lamhe, Agar Hilte To Acha Tha, Barri Mushkil Thi Dushman Bhi Mairi Khatir Wahan Pohnchay, Bala Say Zakham Barrh Jate, Na Yun Silte To Acha Tha, Katti Hai SAD Ki Tum Bin Mgar Itni Si Hai Dil Mein, Agar Aate To Acha Tha, Agar Milte To Acha Tha....................! . Book: Badal Chand Hawa Aur Main Page Num 94

Zayar're Rang Mi Maraz Na Dy Maraz Nor Dy, Rogh Aalam Ku Ishq Ta Oor Nu Wayi Oor Dy

  Poet:Ahmad Deen Talib Type By *.__NOMI__.*    Zayar're Rang Mi Maraz Na Dy Maraz Nor Dy Rogh Aalam Ku Ishq Ta Oor Nu Wayi Oor Dy Che Ye Taw Du Ishq Taw Du Zr'ru Ta Prewat Andaleeb Du Ghama Tor Shu Na Che Tor Dy Judayi Du Marg Na Kama Da Ku Ziyata Ma Ta Kor Be-Yaara Kor Nu Khkaari Gor Dy Aashiqaano Pu Jarga Patang Ta Owey Che Du Shammay Na Sang Onakr're Peghoor Dy Ma Ba Nu Wey Ku Da Naway Gham Mi Nu Wey Du Bulbul Sara Du Zaagh Pa Baagh Ke Shor Dy AHMAD DEENA Khalaq Deen Pu Dunya Ghuwar'ri Hagha Deen Pu Dunya Warok Kar'ri Che Shabkor Dii.......!   ********** NOMI **********  

Ku De Sre Shunde Aqiq Du Yaman Nu Wey, Pa Zarai Ba Mi Newaley Laman Nu Wey

  Poet:Ahmad Deen Talib   Type By *.__NOMI__.*   Ku De Sre Shunde Aqiq Du Yaman Nu Wey Pa Zarai Ba Mi Newaley Laman Nu Wey Yao Saa'at Ku Mi Rahat Wey Be-Lata Na Rang  Mi Tor Ba Pa Misaal Du Jhuman Nu Wey Qais Majnoon Ba Du Laila Gheg Ke Naast Wo Laka Sooya Ku Har Sok Yi Dushman Nu Vii Du Yousaf A.S Du Ghama R'rond Ba Yaqoob A.S Nu Wo Ku Du Hijar Sharmakhaan Ye Zaaman Nu Wey Ghamazyaan Ba Aashiqaano Dalalaan Kr'ru Ku Pa Kor Ke Yao Tar Bala Shaman Nu Wey AHMAD DEEN Ba Cha Du Zaana Juda Nu Kr'ro Pu Maraz Du Aashiqai Ku Paman Nu Wey........!   ********** NOMI **********  

Ku Tar Miyanza Seenda De Yosi Shanasii, Sa Faida Da Che De Poore Nu Basii

  Poet:Ahmad Deen Talib Type By *.__NOMI__.*    Ku Tar Miyanza Seenda De Yosi Shanasii Sa Faida Da Che De Poore Nu Basii Du Kam-Aslo Ashnayi Du Khar Swarli Da Naa-Gahan Ba De Du Shaa Na Prebaasii Du Haya Na Sar're Ghag Kawaly Nu Shi Ku Sook Wai Jang Jadal La Rapaasii Ku Du Makh Khaist Ye Gore Shahzada Vii Pa Amal Ke Vii Bachay Du Kanaasii Sala Haq Du Yaaranay Wafa Tre Ghuwar're Wafa Na Lari Pa Zaat Ke Libasii AHMAD DEENA Du Kam Aslo Yaari Ma Kr'ra Ku Salaam Darta Kavii Pa Dwa Laasii.........!   ********** NOMI **********  

Bahaaar-E-Taaza Ka Haath Thaamay

  ,,,, *'' HASRAT ''* ,,,, Bahaaar-E-Taaza Ka Haath Thaamay,, , Barastay Baadal Ki Barish0n MEn,, , MEhaktay Gulab0n Ka Jaam Thaamay,, , Koi Gulab0n Ki Khaali Shakh0n Pe,, , ApnE H0nt0n SE Ph00l Taankay,, , Paighaam-E-Subha-E-NavEEd Parrh K,, , K0i To Aankh0n Ki Sar-ZamEEn SE,, , Sisakti Kaliyon K Moti Chun K,, , Pyasay H0nt0n K Maqbaron Par,, , Gulaab Rang0n K Haar Daalay..* K0i Shafaq K Udaas Dil SE,, , MEri Muhabbat Ka N0haa Sun K,, , Pakar K Kirn0n Ki Ungliyon K0,, , TarEEk Raat0n K Kaagz0n Par,, , Jugnu0n SE Likhay Ujaalay..* K0i T0 Hum K0 Bhi Itna S0chay,, , K Khud K0 Hum Par Hi Waar Daalay..* K0i T0 Itna Lipatt K R0yE,, , K Ab K Hum K0 Hi Maar Daalay...>* *._.* - C0llEcT By RaJu-JaaN-* *  

Izzat Ghuwar'ra Pa Meqdaar Du Khpal Amal, Na Che Baaz Ghuwar're Du Zarke Pa Badal

  Poet:Ahmad Deen Talib Type By *.__NOMI__.*   Izzat Ghuwar'ra Pa Meqdaar Du Khpal Amal, Na Che Baaz Ghuwar're Du Zarke Pa Badal Hala Kegi Ashnayi Che Dwar'ra Syaal Vi, Ghareeb Bad Khkaari Che Aghundi Bakhmal Na Khuwagigi Keh Ye Der Parwarish Oke, Kare Sala Du Ganii Pa Khuwa Ke Nal Pa Der Maal Sara Der Aayal Mua'ash Shi, Na Shi Kr're Sok Piyaada Du Ass Mazal Sok Ye Na Aori Che Rekhtiya Wail Trakhu Vi, Pre Daroogh Lagi Khuwagu Laka A'asal Pa Dunya Ke Makar Jahal Zulam Na We, AHMAD DEENA Saaz Ba Saaz Wo Ghal Ba Ghal.......!   ********** NOMI **********  

Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai, Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai

  Poetess:Parveen Shkir Type By *.__NOMI__.*   Ashk Aankh Mein Phir Atak Raha Hai, Kankar Sa Koi Khatak Raha Hai Main Us Ke Khayaal Se Gurezaa'n, Wo Meri Sadaa Jhatak Raha Hai Tehreer Usi Ki Hai,Magar Dil, Khat Parhtay Howay Atak Raha Hai Hain Phone Pe Kis Ke Saath Baatain, Aor Zehen Kahan Bhatak Raha Hai Sadiyon Se Safar Mein Hai Samandar, Saahil Pe Thakan Tapak Raha Hai Ek Chaand Salaib-E-Shaakh-E-Gul Par, Baali Ki Tarah Latak Raha Hai...........!   ********** NOMI **********  

Theher Jaaye,Magar Raat Katay, Koi Soorat Ho Keh Barsaat Katay

  Poetess:Parveen Shakir Type By *.__NOMI__.*   Theher Jaaye,Magar Raat Katay, Koi Soorat Ho Keh Barsaat Katay Khushbouein Mujh Ko Qalam Karti Gayein, Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay Mouj-E-Gul Hai Keh Talwaar Koi, Darmiyan Se Hi Manajaat Katay Harf Kiyon Apne Ganwaein Ja Kar, Baat Se Pehle Jahan Baat Katay Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab, Aaj Ki Raat Tere Saath Katay Poray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain, Sir Katay,Jisam Katay,Zaat Katay..........!   ********** NOMI **********  

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha, Neend Mein Saari Raat Chalta Raha

  Poetess:Parveen Shakir Type By *.__NOMI__.*   Chaand Meri Tarah Pighalta Raha, Neend Mein Saari Raat Chalta Raha Jaane Kis Dukh Se Dil Girifta Tha, Munah Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha Main To Paao'on Ke Kaantay Chunti Rahi, Aor Wo Raasta Badalta Raha Raat Jab Galiyon Mein Jab Bhatakti Thi, Koi To Tha Jo Saath Chalta Raha Sard Rut Mein,Musafiron Ke Liye Payrr, Ban Kar Alaao, Jalta Raha Mausami Bel Thi Main Sookh Gayi Wo Tanawar Darakht,Phalta Raha Dil,Mere Tan Ka Phool Sa Bachha, Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha Neend Hi Neend Mein Khilonay Liye  Khuwaab Hi Khuwaab Mein Behelta Raha......!   ********** NOMI **********  

Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hoon, Teri Aawaaz Ka Chehra Main Chhu Kar Dekh Sakti Hoon

  Poetess:Parveen Shakir Type By *.__NOMI__.*   Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar Dekh Sakti Hoon, Teri Aawaaz Ka Chehra Main Chhu Kar Dekh Sakti Hoon Abhi Tere Laboon Par Zikar Fasl-E-Gul Nahi Aaya, Magar Ik Phool Khiltay Apne Andar Dekh Sakti Hoon Kinaara Dhoondte Ki Chhaah Tak Mujh Main Nahi Ho Gi, Main Apne Gird Aik  Aisa Samandar Dekh Sakti Hoon Vasal-O-Hijar Apne Yaksaa'n Hain,Wo Manzar Hai Chahat Mein, Main Aankhen Band Kar Ke Tujh Ko Aksar Dekh Sakti Hoon Abhi Tere Siwa Dunya Bhi Hai Maujood Is Dil Mein, Main Khud Ko Kis Tarah Tere Barabar Dekh Sakti Hoon........!   ********** NOMI **********  

Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hoon, Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hoon

  Poetess:Parveen Shakir Type By *.__NOMI__.* Manzar Hai Wohi Thathak Rahi Hoon, Hairat Se Palak Jhapak Rahi Hoon Ye Tuo Hai Keh Maira Wehem Hai ! Band Aankhon Se Tujh Ko Tak Rahi Hoon Jaisay Keh Kabhi Na Tha Ta'aruf, Yun Miltay Howe Jhijak Rahi Hoon Pehchaan ! Main Teri Roshni Hoon, Aor Teri Palak Palak Rahi Hoon Kiya Chain Mila Hai----Sir Jo Iske Shanon Pe Rakhay Sisak Rahi Hoon Pathar Pe Khili,Keh Chasham Gul Main Kaantay Ki Tarah Khatak Rahi Hoon Jugnoo Kahin Thak Ke Gir Chuka Hai Jungal Main Kahan Bhatak Rahi Hoon Gur'rya Meri Soch Ki Chhanni Kiya Bachi Ki Tarah Bilak Rahi Hoon Ik Umar Howi Khud Se Lar'rtay Andar Se Tamam Thak Rahi Hoon Rus Phir Se Jar'ron Main Ja Raha Hai Main Shakh Pe Kab Se Pak Rahi Hoon Takhleeq-E-Jamaal-E-Fun Ka Lamha ! Kaliyon Ki Tarah Chatakh Rahi Hoon.........!   ********** NOMI **********