Posts

Showing posts from April, 2016

Teri yaad ka kaajal aankhon mein daal rakha hai Tere milne ki khaatir humm ne maut ko taal rakha hai

Image
Teri yaad ka kaajal aankhon mein daal rakha hai Tere milne ki khaatir humm ne maut ko taal rakha hai Chaahe waakif hain jwaab ki har teh se hum Fir bhi tere aage wahi apna swaal rakha hai Yoon toh dil ki har parat ko chhupa liya hai Bas tere naam pe har saans ko nikaal rakha hai Dar b dar bhatkna hi naseeb hai iss mitti ka Na jaane kon se janam ne tujh ko sambhaal rakha hai  

Mujhe Shikvaah Nahin Barbaad Rakh Barbaad Rehne De Magar Lillaah Merey Dil Mein Apni Yaad Rehne De

Mujhe Shikvaah Nahin Barbaad Rakh Barbaad Rehne De Magar Lillaah Merey Dil Mein Apni Yaad Rehne De Merey Nashaad Rehne Se Agar Tujh Ko Masarrat Hai Toh Mein Nashaad Hi Achcha Mujhe Nashaad Rehne Do مجھے شکوہ نہیں، برباد رکھ، برباد رہنے دے مگر لالِلّہ میرے دل میں اپنی یاد رہنے دے مرے ناشاد رہنے سے اگر تجھ کو مسرّت ہے تو میں ناشاد ہی اچھّا، مجھے ناشاد رہنے دے

Uski NazrOon Ka Khumaaar Ufff TObaa Yaqeen KarO DIL Na Dety TO Jaan Chali Jaati

Image
Uski NazrOon Ka Khumaaar Ufff TObaa...> "+,,+" Yaqeen KarO DIL Na Dety TO Jaan Chali Jaati...> "+,,+"

Woh Yun Gaya Keh Baad-E-Sabaa Yaad Aa Gayi Ehsaas Tak Bhi Hum Ko Dila Kar Nahin Gaya

Woh Yun Gaya Keh Baad-E-Sabaa Yaad Aa Gayi Ehsaas Tak Bhi Hum Ko Dila Kar Nahin Gaya Bas Aik Lakeer Khench Gaya Darmiyaan Mein Divaar Raastey Mein Banaa Kar Nahin Gaya Yun Lag Raha Hai Jaisey Abhi Laut Aaye Ga Jaate Huye Charaagh Bujha Kar Nahin Gaya     وہ یوں گیا کہ، بادِ صبا یاد آگئی احساس تک بھی ہم کو دلا کر نہیں گیا بس اک لکیر کھینچ گیا درمیان میں دیوار راستے میں، بنا کر نہیں گیا یوں لگ رھاھےجیسےابھی لوٹ آےگا جاتے ہوئے چراغ، بجھا کر نہیں گیا

Mere Haath Se Tere Haath Tak Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Fasla, Usey Naaptey Usey Kaat'tey Meri Saari Umar Guzar Gayi

Image
Mere Haath Se Tere Haath Tak Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Fasla, Usey Naaptey Usey Kaat'tey Meri Saari Umar Guzar Gayi

Ab Dekhon Ga,Kon Tore Ga Issey! Bana Laya Hon Main Bhi Dil Pathar Ka...!

Image
Ab Dekhon Ga,Kon Tore Ga Issey! Bana Laya Hon Main Bhi Dil Pathar Ka...!

Kuch Shokh Nasar Paaron Ki Tashreeh Ke Wastey Roohon Ki Bheerr Mein Mujhe Talash-e-Jisam Hai (Razab Tabraiz)

Kuch Shokh Nasar Paaron Ki Tashreeh Ke Wastey Roohon Ki Bheerr Mein Mujhe Talash-e-Jisam Hai (Razab Tabraiz) کچھ شوخ نثرپاروں کی تشریح کے واسطے روحوں کی بھیڑ میں مجھے تلاش_جسم ہے (رزب تبریز)

Tu k na waqif-e-Adab-e-gulami hai abhee RAQS zanjeer pahen kar bhee kia jata hai

Tu k na waqif-e-Adab-e-gulami hai abhee RAQS zanjeer pahen kar bhee kia jata hai Aaj qatil ki hae marzi , k sarkash larki sar-e-maqatil tujhay koron se nachaya jae maut ka raqs, zamanay ko dikhaya jae is tarahan zulm ko nazarana dia jata hai raqs zanjeer pahin kar bhee kia jata hai daikh fariyad na kar ,sar na jhuka paoon utha kal k Jo log karain gay to abhee se kar ja nachtay nachtay aazadi ki khatir mar ja manzil-e-ishq main mar mar k jiya jata hai raqs zanjeer pahin kar bhee kia jata hai A VERY FAMOUS POEM OF,HABIB JALIB

Suun da nai suunan di kar da Aa ja'we tau jaan di karda Rehn'de aunzameen te bhan'wen Gal satwen aas'man di karda

Image
Suun da nai suunan di kar da Aa ja'we tau jaan di karda Rehn'de aunzameen te bhan'wen Gal satwen aas'man di karda Men bhi oh'nun labh ke reh'na Jehra chhupan chhupaan di karda Oh'da nanwan lakh lakh dhawan Jo rooh wichh samaan di karda Men jiss da dil rakh'di phir'di Auh me'ra dil dhan di karda Ai koee Izra'eel te nai na Gal kyun dran draan di karda B'ya gal Rahman di kar'di Au mar' a shaitan di karda

Mere khuwaabon ke gulshan main ,khizaayen raqs karti hain Meray honton ki larzish main ,wafayen raqs karti hain

Mere khuwaabon ke gulshan main ,khizaayen raqs karti hain Meray honton ki larzish main ,wafayen raqs karti hain Mujhe wo laakh tarpaaye, magar us shakhs ki khaatir Mere dil ke andheron main ,duaain raqs karti hain Usay kehna kay laut aye ,sulagti shaam se pehlay Kisi ki khushk aankhon main, sadaain raqs karti hain Khuda janay teri yadon main, aisi kia kashish hai dost Main tera zikr cheroon to ,,,'hawaain raqs karti hain'

Wo Ru-Baru Hoe Magar Jabeen Ko Dhanpey Hoe,Jaise Neela Asmaan Zameen Ko Dhanpey Hoe (Razab Tabraiz)

Image
وہ روبرو ہوئے مگر جبین کو ڈھانپے ہوئے جیسے نیلا آسماں زمین کو ڈھانپے ہوئے گفتگو کی ڈھیل سے تاثیر ڈوب جائے گی چھوٹی بات کیجیے یقین کو ڈھانپے ہوئے آئینہء عشق میں ! سچا عکس دیکھ کے حسن سرنگوں ہوا حسین کو ڈھانپے ہوئے قرب تھا یہ آپ کا یا تها اعجاز_آفریں چاشنی لہو میں تھی نمکین کو ڈھانپے ہوئے دل کے مقبرے میں چور اپنا ماتھا پھوڑتی دعا صدا بدل گئی آمین کو ڈھانپے ہوئے بازار_عقل جب لگا تها میلہء ہم زادگاں ذہین بھی پہنچ گیا فطین کو ڈھانپے ہوئے چاند اسی بات پہ رات پر برس پڑا خورشید کیوں اترا رہا نسرین کو ڈھانپے ہوئے واں حادثہ نیا کوئی تھا نصیب _دشمناں منتظر میرے لیے کمین کو ڈھانپے ہوئے اک سپیرا کیا کہوں آنکھ میں موجود تھا سانپ سے چالاک تھا بین کو ڈھانپے ہوئے جانتے ہو تم رزب وہ جو خود میں ایک تھا محفلوں سے اٹھ گیا ...

Badey Hi Maan Se Beti Agar Kuch Mangney Aaye Kisi Bhi Baap Ki Us Pal Na Shaala Jaib Khali Ho

Image
Badey Hi Maan Se Beti Agar Kuch Mangney Aaye Kisi Bhi Baap Ki Us Pal Na Shaala Jaib Khali Ho بڑے ہی مان سے بیٹی اگر کچھ مانگنے آئے  کسی بھی باپ کی اس پل نہ شالا جیب خالی ہو

Chaand Niklaa Tha Magar Raat Na Thi Pahli Si Ye Mulaaqaat, Mulaaqaat Na Thi Pahli Si

Image
Chaand Niklaa Tha Magar Raat Na Thi Pahli Si Ye Mulaaqaat, Mulaaqaat Na Thi Pahli Si Ranj Kuchh Kam To Huaa Aaj Tere Milne Se Ye Alag Baat Ke Vo Baat Na Thi Pahli Si Nasir Kazmi

Gali ke mod pe soona sa koi darwaza Tarasati aankhon se rasta kisi ka dekhega

Image
Gali ke mod pe soona sa koi darwaza Gali ke mod pe soona sa koi darwaza Tarasati aankhon se rasta kisi ka dekhega Nigaah door talak ja ke laut aayegi Nigaah door talak ja ke laut aayegi Karoge yaad to har baat yaad aayegi Guzarte waqt ki har mauj thehar jaayegi Karoge yaad to

Da Ghatey Ghatey Ranrre Okhkey Da Sabaq Warkavi, Che Mi Afghan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama

Image
Zu Ba Sartora Yama Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Zama Bakhmal Gaidai Gaidai Zulfe Fairang Owestey, Che Ajab Khan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Da Kandahaar Da Paighley Chigha Tar Khaibera Raghla, Zamung Che Zwaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Na Mi Shaal Lond Sho Na Mi Sta Sharrai Lamda Oleeda, Bya Che Baraan  Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama, Da Ghatey Ghatey Ranrre Okhkey Da Sabaq Warkavi, Che Mi Afghan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama,  Mung Ke Che Twaan Razi Razi Zu Ba Sartora Yama..........!  

Haan Main ghareeb ka beta hon Zindagi ko sitam main kehta hon

Haan Main ghareeb ka beta hon Zindagi ko sitam main kehta hon Majbooriyon me bhi khush rehta hon Chand boondon se pait bhar leta hon   Kyun ke Main ghareeb ka beta hon Thand mein thithar leta hon Barsaat mein bheeg leta hon Garmi paaon jalaati hai Toh Pathron pe main so leta hon Kyun ke Main ghareeb ka beta hon Kabhi sabzi, to kabhi kuch na milay, Namak roti pe main jee leta hon Zakham chahay jaisa bhi ho Thori haldi main laga leta hon Kyun ke Main ghareeb ka beta hon Ek kameez, ek patloon Roz bina sabun main dhota hon Bari dukaano ki ronak dekh Aksar khush main ho leta hon Kyun ke Main ghareeb ka beta hon Gham bhi bohot hai Dard bhi hai Dil mein sab dabaa leta hon Kabhi akelay, to kabhi sab k samnay Aankhon se angootha bhigo leta hon Kyun ke Main ghareeb ka beta hon

Tum Likhte Rahe Mere Aansuon Pe Gazalen Afsoos Yea bhi Naa Poocha Ke Rote kyon hooo

Tum Likhte Rahe..... Mere Aansuon Pe Gazalen...... Afsoos..... Yea bhi Naa Poocha..... Ke Rote kyon hooo.......??

Kitna Sitam-Zareef Hai Voh Sahib-E-Jamaal Uss Ne Diya Jalaa Ke Lab-E-Baam Rakh Diya

Kitna Sitam-Zareef Hai Voh Sahib-E-Jamaal Uss Ne Diya Jalaa Ke Lab-E-Baam Rakh Diya Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Vo Hi Paaye Roshni Hum Ne Toh Dil Jalaa Ke Sar-E-Aam Rakh Diya   کتنا ستم ظریف ہے وہ صاحبِ جمال  اس نے دیا جلا کے لبِ بام رکھ دیا   اب جس کے جی میں آےء وہی پاےء روشنی ہم نے تو دل جلا کے سرِعام رکھ دیا

Phoolon Ne Kabhi Rangon Ne Paigham Diye Hain,Main Ne Teri Yadon Ko Kai Naam Diye Hain

Image

Jo sunayi anjuman me shab e gham ki aapbeeti Kai ro ke muskuraye,,kai muskura ke roye

Image
Jo sunayi anjuman me shab e gham ki aapbeeti   Kai ro ke muskuraye,,kai muskura ke roye

Khoobsorati Ki Had Hai Na Hisaab Hai,Tu Gulaab Tu Gulaab,Tu Gulaab Hai

Image
خوبصورتی کی حد ہے نہ حساب ہے تُو گلاب ، تُو گلاب ، تُو گلاب ہے چار سو کروڑ تتلیوں میں تُو مرا، اِنتخاب ، اِنتخاب ، اِنتخاب ہے چودہویں کا چاند ، نصفِ دِن کا آفتاب، چندے آفتاب ، چندے ماہتاب ہے خوشبو ، خوش بدن کی جگنو مست کر گئی کہہ رہے ہیں یہ گلاب ، لاجواب ہے ایک پل کو دیکھ لے ہمیں بھی پیار سے یہ ثواب دَر ثواب دَر ثواب ہے خواب میں بھی اُن کے آگے ایک نہ چلی بولے جاگ جاؤ یہ ہمارا خواب ہے دُھوپ میں جو مینہ برس پڑے تو جانئے اَبر زُلفِ یار دیکھ آب آب ہے عشق نے جہاں پہ لکھ دِیا تمام شد حُسن کی کتاب کا وُہ پہلا باب ہے حُسن کی نگاہ میں حیا کے سرخ پھول آج کل کے دور میں یہ اِنقلاب ہے قیس اُن نگاہوں میں چمک سی پیار کی اِک نئی کتاب کا یہ اِنتساب ہے

Bhuulna humaara mubarak mubarak Magar shart ye hai na yaad aaiyega Jigar Muradabadi

And none will hear the postman’s knock Without a quickening of the heart. For who can bear to feel himself forgotten? W.H. Auden +.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+.+   Bhuulna humaara mubarak mubarak Magar shart ye hai na yaad aaiyega Jigar Muradabadi

Dukh drd si meray muqadrran wich Mann shikwa kr k ki krda

Dukh drd si meray muqadrran wich Mann shikwa kr k ki krda Jadon menun jeena naeen aaya Man mot v mng k ki karda Jd antt judayaan penyaan si Tera sath v mng k ki krda Tu pyar di kishti dob chadi Mann kalaa, tar k ki krda Jd tu ee athroo poonjay naeen Mann akhyan bhar k ki krda Aethay lakhaan raanjhay phirday nen Mann mirza bn k ki krda O jaandi waari paltya naeen Mann hath hila k ki krda

Merey Rashk-E-Qamar Tu Ne Pehli Nazar Jab Nazar Se Milaayi Mazaah Aa Gaya Barq Si Gir Gayi, Kaam Hi Kar Gayi, Aag Aisi Lagaayi Mazaah Aa Gaya

Image
Merey Rashk-E-Qamar Tu Ne Pehli Nazar Jab Nazar Se Milaayi Mazaah Aa Gaya Barq Si Gir Gayi, Kaam Hi Kar Gayi, Aag Aisi Lagaayi Mazaah Aa Gaya میرے رشکِ قمر، تو نے پہلی نظر، جب نظر سے ملائی مزا آ گیا برق سی گر گئی، کام ہی کر گئی، آگ ایسی لگائی مزا آ گیا

Kahein Bad-Dua Na Dey Andar Ki Saadgi Aashiq Ki Gour Ko Pukhta Na Kijio (Razab Tabraiz)

Image
Kahein Bad-Dua Na Dey Andar Ki Saadgi Aashiq Ki Gour Ko Pukhta Na Kijio (Razab Tabraiz) کہیں بدعا نہ دے اندر کی سادگی عاشق کی گور کو پختہ نہ کیجیو (رزب تبریز)

Samandar Ke Safar Mein Iss Tarah Aawaaz De Mujh Ko Hawaayein Tez Hon Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaaye

Image
Samandar Ke Safar Mein Iss Tarah Aawaaz De Mujh Ko Hawaayein Tez Hon Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaaye سمندر کے سفر میں اس طرح آواز دے مجھ کو ہوائیں تیز ہوں اور کشتیوں میں شام ہو جائے

Zindagi Yun Thi Keh Jeene Ka Bahaana Tu Tha Hum Faqat Zaib-E-Hikayat Thay Fasaana Tu Tha

Zindagi Yun Thi Keh Jeene Ka Bahaana Tu Tha Hum Faqat Zaib-E-Hikayat Thay Fasaana Tu Tha Ab Ke Kuchh Dil Hi Na Maana Keh Palat Kar Aatey Verna Hum Dar-Badaron Ka Toh Thikaana Tu Tha   زندگی یوں تھی کہ جینے کا بہانہ تُو تھا ھم فقط زیب حکائیت تھے ، فسانہ تُو تھا اب کے کچھ دل ھی نہ مانا ، کہ پلٹ کر آتے ورنہ ھم در بدروں کا تو ٹھکانا تُو تھا

Halat-E-Haal Mein Kya Ro Ke Sunaau'n Tujh Ko? Tu Nazar Aaye Toh Palko'n Pe Bithaau'n Tujh Ko

Halat-E-Haal Mein Kya Ro Ke Sunaau'n Tujh Ko? Tu Nazar Aaye Toh Palko'n Pe Bithaau'n Tujh Ko Khud Ko Iss Hosh Mein Madhosh Banaa Ne Ke Liye Ayat-E-Husn Parrhu'n Dehkta Jaau'n Tujh Ko Ab Mera Ishq Dhamaalon Se Kahin Aagey Hai Ab Zaroori Hai Keh Mein Wajd Mein Laau'n Tujh Ko   حالتِ حال میں کیا رو کے سناؤں تجھ کو تو نظر آئے تو پلکوں پہ بٹھاؤں تجھ کو خود کو اس ہوش میں مدہوش بنانے کے لئے آیتِ حسن پڑھوں دیکھتا جاؤں تجھ کو اب میرا عشق دھمالوں سے کہیں آگے ھے اب ضروری ھے کہ میں وجد میں لاؤں تجھ کو

Khuwaab Le Lo Khuwaab Saab Khuwaab Le Lo Khuwaab Buhat Haseen Aur Dilkash Hain Mere Khuwaab

Image
Poet:Ayaz Khan Khuwaab Le Lo Khuwaab Saab Khuwaab Le Lo Khuwaab Buhat Haseen Aur Dilkash Hain Mere Khuwaab In Khuwaabon Ki Koi Qeemat To Nahi Par Muflisi Ne Is Qadar Bad-Haal Kar Diya Hai Keh Khuwaabon Ke Siwa Mere Paas Baichney Ke Liye Kuch Nahi Main Ne Ye Khuwaab Bachpan Se Jawani Tak Jawani Se Zindagi Ki Aakhri Saanson Tak Dekhein Hain Mere Ye Anmol Khuwaab Jo Meri Zindagi Ka Hasil Hain Buhat Majboor o Laachaar Ho Kar Ye Khuwaab Baichney Aaya Hon Koi Hai Jo Mujh Se Ye Mere Ye Haseen Aur Anmol Khuwaab Kharidey  Khuwaab Le Lo Khuwaab Saab Khuwaab Le Lo Khuwaab Buhat Haseen Aur Dilkash Hain Mere Khuwaab   شاعرایازخان خواب لےلوخواب صاحب خواب لےلوخواب بہت حسین اور دلکش ھیں میرے خواب اِن خوابوں کی کوئی قیمت تو نہیں پر مُفلسی نے اِس قدربدحال کردیا ھے کے خوابوں کے سوا میرے پاس بیچنے کے لیے کچھ نہیں میں نے یہ خواب بچپن سے جوانی تک جوانی سے زندگی کی آخری سانسوں تک دیکھیں ھیں میرے یہ انمول خواب جو میری زندگی کا حاصل ھیں...

Tum Ne To Bicharrne Mein Zara Dair Nahi Ki Kuch Dair To Uthta Hai Chiraghon Se Dhuwaan Bhi

Image
Tum Ne To Bicharrne Mein Zara Dair Nahi Ki Kuch Dair To Uthta Hai Chiraghon Se Dhuwaan Bhi

Chemotherapy Tarey kemyaee ilaj ne Mujhey zindagi mein mita dea

Chemotherapy Tarey kemyaee ilaj ne Mujhey zindagi mein mita dea Merey shokh zinda wajood ko Merey hasraton mein daba dea Merey sarey zinda mubahisey Merey Arzoo merey walwaley Merey guftagoo merey justajoo Merey zindagi merey kehkahey Sabhi daldalon mein utar gae Sabhi shokh rang bhar gae Na mohabatoon mein saqat rahey Na rafaqaton mein bharam reha Na he dosti mein janoon reha Na dukhey zamaney ka gham reha Merey tootey phootey wajood mein Koi na tawani se bas gae Faqat iss shikasta wajood mein Kahein cheekh hae kahein haey hae Mera asno asno tarap tarap Na suney koi na sunaey hae Mein shakeeb e tan ye raqeeb jaan Ye ilaaj qeemya ilaaj hae Merey charagar ko khabar kero Ye ilaj hae keh kheraaj hae Merey keemyae wajood mein Mera apna aap bikhar gea Jisey mein bachaney ko lae thee Wo mera wajood khidher gea   Poetess: BIQUIS MAHMOOD  From her book mujhey bolney do

Raushan Chehra Bheegi Zulfein Kis Ko Dun Kis Par Tarjeeh ????? Ek Qaseeda Dhuup Pe Likhun Ya Ek Ghazal Barsaat Ke Naam

Image
Raushan Chehra Bheegi Zulfein Kis Ko Dun Kis Par Tarjeeh ????? Ek Qaseeda Dhuup Pe Likhun Ya Ek Ghazal Barsaat Ke Naam ?????

Waldah Marhooma Ki Yaad Main Kis Ko Ab Hoga Wattan Main Aah! Mera Intizaar, Kon Mera Khatt Na Aane Se Rahegaa Beqaraar,

Image
Waldah Marhooma Ki Yaad Main Poet:Allama Muhammad IQBAL Type By *._.Murtaza._* Kis Ko Ab Hoga Wattan Main Aah! Mera Intizaar, Kon Mera Khatt Na Aane Se Rahegaa Beqaraar, Khak-E-Marqad Par Teri Le Kar Yeh Fariyaad Aa'oonga, Ab Dua'a-E-Neem Shab Main Kis Ko Main Yaad Aa'oonga, Tarbeeyat Se Teri Main Anjam Ka Hum Qissmat Huaa, Ghar Mere Ajdaad Ka Sarmaa-E-Izzat Huaa, Daftar-E-Hassti Main Thi Zareen Waraq Teri Hayaat, Thi Saraapa Deen-O- Dunia Ka Sabaq Teri Hayaat, Umar Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmat Gar Rahee, Main Teri Khidmat Ke Qabil Jab Huaa, Tu Chal Bassi, Woh Jawan, Qaamat Main Hai Jo Soorat-E- Sar-O-Buland, Teri Khidmat Se Huaa Jo Mujh Se Barrh Kar Behar Mand, Karobaar-E-Zindagani Main Woh Hum Pehlu Mera, Woh Mohabbat Main Teri Tassveer, Woh Bazoo Mera, Tujh Ko Masl-E-Taflak Be Dast-O-Paa Rotaa Hai Woh, Sabar Se Na Aashnaa Shubha-O-Massa Rota Hai Woh...........! Boo...

Aey Khuda Faqakashon Par Mehrubani Kijiye,Rizaq Ki Taqseem Par Kuch Nazarsaani Kijiye

Image

Yeh samandar hai kinaare hi kinaare jaao Ishq har shakhs ke bas ka nahin pyaare jaao

Yeh samandar hai kinaare hi kinaare jaao Ishq har shakhs ke bas ka nahin pyaare jaao Dil ki baazi lagey phir jaan ki baazi lag jaaye Ishq mein haar ke baitho nahin, haare jaao Doobna ho ga agar doobna taqdeer mein hai Chaahey kashti pe raho chaahey kinaare jaao Tum hi socho bhala yeh shouq koyi shouq hua Aaj oonchaayi pe baitho, kal utaarey jaao Koyi rasta koyi manzil usey dushvaar nahin Jis jagaah jaao mohabbat ke sahaare jaao

Urdu Hai Mera Naam Main Khisro Ki Pahaili,Main Meer Ki Humraz Hon Ghalib Ki Suhaili

اردو ہے میرا نام میں خسرو کی پہیلی میں میر کی ہم راز ہوں غالب کی سہیلی دکن کے ولی نے مجھے گودی میں کھلایا سودا کے قصیدوں نے میرا حسن بڑھایا ہے میر کی عظمت کہ مجھے چلنا سکھایا میں داغ کے آنگن میں کِھلی بن کے چنبیلی اردو ہے میرا نام میں خسرو کی پہیلی میں میر کی ہم راز ہوں غالب کی سہیلی غالب نے بلندی کا سفر مجھ کو سکھایا حالی نے مروت کا سبق یاد دلایا اقبال نے آئینہ حق مجھ کو دکھایا مومن نے سجائی میرے خوابوں کی حویلی اردو ہے میرا نام میں خسرو کی پہیلی میں میر کی ہم راز ہوں غالب کی سہیلی ہے ذوق کی عظمت کہ دیے مجھ کو سہارے چکبست کی الفت نے میرے خواب سنوارے فانی نے سجائے میری پلکوں پہ ستارے اکبر نے رچائی میری بے رنگ ہتھیلی اردو ہے میرا نام میں خسرو کی پہیلی میں میر کی ہم راز ہوں غالب کی سہیلی (شاعر: اقبال اشعر)

Naam Sunta Hoon Tera Jab Bharray Sansaar K Beech Lafz Ruk Jaatay Hain Aa Kar Meri Guftaar K Beech

Image
Naam Sunta Hoon Tera Jab Bharray Sansaar K Beech Lafz Ruk Jaatay Hain Aa Kar Meri Guftaar K Beech Dil Ki Baaton Main Na Aa Yaar K Is Basti Main Rooz Dil Waalay Chunnay Jaatay Hain Diwaar K Beech Aik He Chehra Kitaabi Nazar Aata Hai Humen Kabhi Aashaar K Bahir Kabhi Aashaar K Beech Aik Dil Toota Magar Kitni Naqaaben Paltin Jeet K Pehlo Nikal Aaye Keye Haar K Beech Koi Mehfil Ho Nazar Is Ki Hamen Par Thehri Kabhi Apno Main Sataya Kabhi Agiyaar K Beech Aisay Zahid Ki Qayadat Mian Touba Touba Kabhi Emaan Ki Baaten, Kabhi Kuffar K Beech Kabhi Tehzeeb-O-Tamadun Ka Yeh Markaz Tha Mian Tum Ko Basti Jo Nazar Aati Hai Asaar K Beech Jis Tarhan Taat Ka Pewand Ho Makhmal Main Mohsin Magrabi Chaal Chalan Mashraqi Iqdaar K Beech

Puchhte Hein Keh Kya Hua Dil Ko Husn Waalon Ki Saadgi Na Gayi

Puchhte Hein Keh Kya Hua Dil Ko Husn Waalon Ki Saadgi Na Gayi Aur Sab Ki Hikayatein Keh Dein Baat Apni Kabhi Kahi Na Gayi پُوچھتے ھیں کہ کیا ھؤا دل کو حُسن والوں کی سادگی نہ گئی اور سب کی حکائتیں کہ دیں بات اپنی کبھی کہی نہ گئی

Ik Aas Hai Aisi Basti Ho Jahan Roti Zehar Se Sasti Ho

Image
Ik Aas Hai Aisi Basti Ho Jahan Roti Zehar Se Sasti Ho

Lafz-e-tassali to Ek takkaluf hai sahab Warna Jiska dard usi ka dard, Baaki sabke liye vo tamasha hai

Lafz-e-tassali to Ek takkaluf hai sahab Warna Jiska dard usi ka dard, Baaki sabke liye vo tamasha hai

Mera Ishq Maah-e-Syam Teri Yadein Aazaan-e-Maghrib

Mera Ishq Maah-e-Syam Teri Yadein Aazaan-e-Maghrib میرا عشق ماەِ صیام سا  تیری یادیں آذانِ مغرب

Had-E-Shahar Se Nikali To Gaon-Gaon Chali Kuchh Yaadein Mere Sang Paaon Paaon Chali

Image
Had-E-Shahar Se Nikali To Gaon-Gaon Chali Kuchh Yaadein Mere Sang Paaon Paaon Chali Safar Jo Dhoop Ka Kiya To Tajurba Hua Woh Zindgi Hi Kya Jo Chhaon-Chhaon Chali

Koi Kaam Junoon Tak Puhoncha To Is Dil Ne Kaha Subhanallah

Image
کوئی کام جنوں تک پہنچا تو اس دل نے کہا سبحان اللہ کوئی ہاتھ فسوں تک پہنچا تو بسمل نے کہا سبحان اللہ جب محفل سب برخاست ہوئی جب رات نے دامن جهاڑ دیا وہ بولے زہے نصیب اپنا تم آج یہاں سبحان اللہ اک بار چمن میں آئے تو غنچوں نے قصیدے یاد کیے کلیوں کی صدائیں پنکھ ہوئیں پهولوں نے کہا سبحان اللہ نہ عشق پہ کیسے ناز کریں نہیں اس سے بہتر کهیل کوئی ہر بار نیا اک بهید کهلا ہر بار کہا سبحان اللہ جب پری نے آدم زاد کوئی تربیت کر کے چهوڑ دیا اک جادو نگری دهوم مچی دنیا نے کہا سبحان اللہ جو شعر کہا آویز کہا جو غزل کہی نشاط کہی جو فہم کے درجے پهاند گیا پهر اس نے کہا سبحان اللہ دو تارے جب دل والوں کے کہیں مل بیٹهے جب شام ڈهلے کاتب نے کہا اجی کیا کہنے قسمت نے کہا سبحان اللہ میں دل کے حکم_صادر پر ...

Yeh arzoo hai k jab bhi galy lagaon ussy Hisaar e zaat sy bahar nikal laon ussy

Yeh arzoo hai k jab bhi galy lagaon ussy Hisaar e zaat sy bahar nikal laon ussy Wo jal raha tha Kari dhoop ki tamazat mein Mila jo ab tu orahon ga apni chaown ussy Yeh ishq bhi hai ajab imtyhaan e ehd wafa Wo azmaey mujhy aur mein azmaon ussy Wo shehr shehr chiraghan sahi magar ik din Hawaein yaad dilaeingi apna gaon ussy Wo apny khaab mein shayad mujhi ko daikhta hai Mein tishna lab sahi sooty mein kia jagaon ussy

Tum meri aankh ke baare mein bahut poochhte ho ye woh khidki hai jo dariya ki taraf khulti hai

Image
Tum meri aankh ke baare mein bahut poochhte ho ye woh khidki hai jo dariya ki taraf khulti hai

Jalwa e husn e yaar sy nazar jab milli Sher kehny lagy Geet honton sy mery pisaalny lagy

Jalwa e husn e yaar sy nazar jab milli Sher kehny lagy Geet honton sy mery pisaalny lagy Unko daikha kiye jab bhi khilwat mein hum Dill o zehn mein tazkiry un k shab bhar ko chalny lagy Aur yaadon sy armaan machalny lagy Shehr kehny lagy Geet honton sy mery pisaalny lagy Jalwa e yaar hii ghazab Hum behakny lagy Un ki yaadon mein kho kar Dill ki khamosh aahon ki sabhi tishnagi mein Armaan sabhi phir behakty lagy Aur honton sy naghmy pisaalny lagy Dill dharkan laga Saans chalny lagi Aur yaadon ki baraat chalny Raat dhalti rahi hum tarapty rahy

Har Waqt Lahoo Mein Nachta Hai Waswasa Koi Is Aabi Janwar Ki Atkheilian Na Poch (Razab Tabraiz)

Image
Har Waqt Lahoo Mein Nachta Hai Waswasa Koi Is Aabi Janwar Ki Atkheilian Na Poch (Razab Tabraiz) ہر وقت لہو میں ناچتا ہے _ وسوسہ کوئی اس آبی جانور کی _ اٹکهیلیاں نہ پوچھ (رزب تبریز)

Laga Ker aag shaher ko yeh badshah nay kaha Utha hai dil main tamashay ka aaj shouq bohat

Image
Laga Ker aag shaher ko yeh badshah nay kaha Utha hai dil main tamashay ka aaj shouq bohat  Jhuka Kay sar ko bhi sab he shah parts Bol uthay  Huzoor ka shooq salamat rahay , shaher Aor bohat

"Mohsin "ye rang roop ye ronaq baja magar Main zinda kia rahon , mera gii to bhrr gaya

"Mohsin " ye rang roop ye ronaq baja magar Main zinda kia rahon , mera gii to bhrr gaya Poet:Mohsin Naqvi

Aankhein Zullfein, Jhumkay Chahraa, Kangan Bindiyaa " Hayee Dill Haaar, Gaye Hum Tujhy, Be-Niqaab Dekh, Kar

Image
Aankhein Zullfein, Jhumkay Chahraa, Kangan Bindiyaa " Hayee Dill Haaar, Gaye Hum Tujhy, Be-Niqaab Dekh, Kar

Naazuk Mizaaaj Hai VO Pari Kuchh ISs Tarah " Payal JO Pahni PaaOn Mein TO Chham Chham Say Dar Gai

Image
Naazuk Mizaaaj Hai VO Pari Kuchh ISs Tarah " Payal JO Pahni PaaOn Mein TO Chham Chham Say Dar Gai

Dharrkte Dharrkte Ruk Jata Hai Bechara Dil Teri Judaai Ka Ye Mara Dil

شاعرہ عروسہ ایمان دھڑکتے دھڑکتے رک جاتا ہے بیچارا دل. .تیری جدائی کا یے مارا دل. .رات کی تنہائی میں روتے روتے. .تھک جاتا ہے ہمارا دل. .جانے کب بھول جاۓ دھڑکنا. .تیری یادوں کا مارا دل. .جیت سکتا نہیں دنیا سے یے. .اپنے آپ سے ہے ہارا دل. .ایسا تو سوچا بھی نہ تھا میں نے. .یوں چرا کر لے جاؤ گے سارا کا سارا دل . Poetess ‪ Uroosa Emaan‬ Dharrkte Dharrkte Ruk Jata Hai Bechara Dil Teri Judaai Ka Ye Mara Dil Raat Ki Tanhaai Mein Rote Rote Thak Jata Hai Hamara Dil Jane Kab Bhool Jaye Dharrkna Teri Yaadoon Ka Mara Dil Jeet Sakta Nahein Dunya Se Ye Apne Aap Se Hai Hara Dil Aisa To Socha Bhi Na Tha Main Ne Youn Chura Kar Le Jao Ge Sara Ka Sara Dil..............................*

Jhoote Qissey Piro Bhi Saktey Hain,Apni Dharkan Pe Ro Bhi Saktey Hain

Image
جھوٹے قصّے پرو بھی سکتے ہیں اپنی دھڑکن پہ رو بھی سکتے ہیں ہمیں پا کر نہ زعم کر پیارے ہم دوبارہ کھو بھی سکتے ہیں ہر یقیں خود میں اک گنجائش ہے وہم چاہو تو ہو بھی سکتے ہیں ہم کو ! "سُورج ہُنر" بهی آتا ہے بانٹ اپنی لو بھی سکتے ہیں دل کے دھبے عمل کی ٹکیہ سے ایک فرصت میں دھو بھی سکتے ہیں رات بھر ! یوں ہی جاگتے جزبے تھپتھپانے پہ سو بھی سکتے ہیں اپنے خواب لے کے تیری آنکھوں میں تھوڑی اجرت پہ بو بھی سکتے ہیں لاکھ معنی ہم ایک مصرعے میں تو جو کہہ دے سمو بھی سکتے ہیں اک تو لازم ہے ! بات کا مطلب اور وہ ہو دو بھی سکتے ہیں بن بھی جاتے ہیں ہاتھ کا چھالا بوجھ پلکوں ڈھو بھی سکتے ہیں یہ جو آثار ہیں چند قیامت کے تیری آہٹ کے ہو بھی سکتے ہیں شول ہم پہ بھی نکل آئے ہیں بچ کے رہنا چبھو بھی سکتے ہیں چھوٹی کشتی کے ناخدا ہیں رزب تیرا بیڑہ ! ڈبو بھی سکتے ہیں (رزب تبریز)

Chup Na Rehte Bayaan Ho Jaate Tujh Se Gar Bud-Gumaan Ho Jaate

Chup Na Rehte Bayaan Ho Jaate Tujh Se Gar Bud-Gumaan Ho Jaate Zabt-E-Gham Ne Bacha Liya Varna Hum Koyi Daastaan Ho Jaate Tu Ne Dekha Nahin Palat Ke Hamein Varna Hum Meharbaan Ho Jaate There Dil Ki Zameen Hi Na Mili Varna Hum Aasmaan Ho Jaate   ﭼُﭗ ﻧﮧ ﺭﮨﺘﮯ ﺑﯿﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ ﺗﺠﮫ ﺳﮯ ﮔﺮ ﺑﺪﮔُﻤﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ ﺿﺒﻆِ ﻏﻢ ﻧﮯ ﺑﭽﺎ ﻟﯿﺎ ﻭﺭﻧﮧ ﮨﻢ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﺍﺳﺘﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ ﺗُﻮ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﭘﻠﭧ ﮐﮯ ﮨﻤﯿﮟ ﻭﺭﻧﮧ ﮨﻢ ﻣﮩﺮﺑﺎﻥ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﮯ ﺗﯿﺮﮮ ﺩﻝ ﮐﯽ ﺯﻣﯿﻦ ﮨﯽ ﻧﮧ ﻣِﻠﯽ ﻭﺭﻧﮧ ﮨﻢ ﺁﺳﻤﺎﻥ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﮯ

Kese Bhula Doon Tera Pyar O Mere Dil Ki Pukaar Aankhoon Mein Chehra Tera Sochoon Pe Pehra Tera

شاعر فرحت عباس شاہ بک مت بول پیا کے لہجے میں صفحہ 56 57 انتخاب ‫‏ عروسہ ایمان کیسے بھلا دوں تیرا پیار او میرے دل کی پکار آنکھوں میں چہرا تیرا سوچوں پہ پہرا تیرا سانسوں میں تیری مہکار دل کے دریچے میں سدا رہتی ہے ساون کی گھٹا ہوتا ہے تیرا دیدار پھولوں سا نکھرا بدن جیسے ہو پہلی کرن چاند بھی کرے اقرار کیسے بھلا دوں تیرا پیار او میرے دل کی پکار . Poet Farhat Abbas Shah Kese Bhula Doon Tera Pyar O Mere Dil Ki Pukaar Aankhoon Mein Chehra Tera Sochoon Pe Pehra Tera Saansoon Mein Teri Mehkaar Dil K Dareeche Mein Sada Rehti Hai Saawan Ki Ghata Hota Hai Tera Deedaar Phooloon Sa Nikhra Badan Jese Ho Pehli Kiran Chaand Bhi Kare Iqraar Kese Bhula Doon Tera Pyar O Mere Dil Ki Pukaar..................................*

Tabeeb yuu'n koshish na kr , tujha kia khabar mere dard ki Tu ishq kr , phr chot khaa , phir likh dawa mere marz ki

Image
Tabeeb yuu'n koshish na kr , tujha kia khabar mere dard ki Tu ishq kr , phr chot khaa , phir likh dawa mere marz ki طبیب یوں کوشش نہ کر،تجھے کیا خبر میرے مرض کی تو عشق کر پھر چوٹ کھا،پھر لکھ دوا میرے مرض کی  

Yahi Log Hain Azl Se Jo Faraib De Rahe Hain Kabhi Kheinch Kar Niqabein Kabhi Urrh Kar Lubada

Image
  Yahi Log Hain Azl Se Jo Faraib De Rahe Hain Kabhi Kheinch Kar Niqabein Kabhi Urrh Kar Lubada یہی لوگ ہیں ازل سے جو فریب دے رہے ہیں کبھی کھینچ کر نقابیں ، کبھی اوڑھ کر لبادہ

Love is not to say, But to understand Love is not to show, But to feel inside

Image
Love is not to say, But to understand Love is not to show, But to feel inside Love is not to find faults, But to make the best Love is not to demand, But to sacrifice Love is not to hurt, But to take care of Love is not blind, But it doesn't need to see (for friends)

Kuch waqt ki rawani ne, hamen yoon badal dya Mohsin Wafaa par ab bhi qaaim han,magar , MOHABAT, chor di hm ne

Kuch waqt ki rawani ne, hamen yoon badal dya Mohsin Wafaa par ab bhi qaaim han,magar , MOHABAT, chor di hm ne

Aaj Kar Lete hain Waiz Khoob Tar Ka Faisla Tu Bula Ly Hur Ko Or Yaar Ko Late Hain Hum

Image
Aaj Kar Lete hain Waiz Khoob Tar Ka Faisla Tu Bula Ly Hur Ko Or Yaar Ko Late Hain Hum

Suno Yeh jo bhook hoti hay bohat safak hoti hay Kisi mazhab kisi firqe se iska wasta kaisa?

Image
Suno  Yeh jo bhook hoti hay bohat safak hoti hay  Kisi mazhab kisi firqe se iska wasta kaisa?  Tarapti aant mein jub bhook ka shola bharkta hay To woh tehzeeb ke be rung kaghaz ko tamaden ki  sabhi jhooti dalilon ko jela kar rakh karta hai

BEEMAR E 'MUHABBAT' KI MUKHTAR DUA HE YE SAR BHI NA DUKHAY US KA DIL JIS NE DUKHAYA HE

Image
BEEMAR E 'MUHABBAT' KI MUKHTAR DUA HE YE SAR BHI NA DUKHAY US KA DIL JIS NE DUKHAYA HE

AAJA KE ABTO AANKH MAIN AANSOO BHI AAGAYE, SAGHAR CHALAK UTHA MERE SABR-O-QARAR KA

AAJA KE ABTO AANKH MAIN AANSOO BHI AAGAYE, SAGHAR CHALAK UTHA MERE SABR-O-QARAR KA

Aaey tu yun k jaisy hamesha thy meharban Bhooly tu yun k jaisy kabhi aashna na thy

Image
Aaey tu yun k jaisy hamesha thy meharban Bhooly tu yun k jaisy kabhi aashna na thy

Haath Se Haath Chhurrana Hi Zaruri Toh Nahin Saath Reh Kar Bhi Kayi Log Bichharr Jaate Hein

Haath Se Haath Chhurrana Hi Zaruri Toh Nahin   Saath Reh Kar Bhi Kayi Log Bichharr Jaate Hein   ہاتھ سے ہاتھ چھڑانا ہی ضروری تو نہیں ساتھ ره کر بھی کئی لوگ بچھڑ جاتے ہے

Dua kar game dil khuda se dua kar jo bijli chmakti hai unke mahalpe karle tasli mera ghar jlakar

Image
Dua kar game dil khuda se dua kar jo bijli chmakti hai   unke mahalpe karle tasli mera ghar jlakar

Saqi sharab chhor aur nigah mila rindo se madhosh kar na behosh kar qatl kar aur lut le

Image
Saqi sharab chhor aur nigah mila rindo se madhosh kar na behosh kar qatl kar aur lut le

Zindagi tjh pe bht ghour kia me ne Tu rangeen khayaalo k siwa kuch bhi nhi

Image
Zindagi tjh pe bht ghour kia me ne Tu rangeen khayaalo k siwa kuch bhi nhi

Hamsafar Chaley Aao,Charagar Chaley Aao

Image
ﮨﻤﺴﻔﺮ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ ﭼﺎﺭﮦ ﮔﺮ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ ﮈﮬﻮﻧﮉﺗﺎ ﮬﮯ ﺗﻢ ﮐﻮ ﺩﻝ ﺩﺭ ﺑﺪﺭ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ ﺷﺎﻡ ﺁﮔﺌﯽ ﭘﮭﺮ ﺳﮯ ﺗﻢ ﺑﮭﯽ ﮔﮭﺮ __ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ ﺩﻝ ﺟﮩﺎﮞ ﭘﮧ ﻟﮕﺘﺎ ﮬﻮ ﺍﺱ ﻧﮕﺮ __ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ ﭘﻞ ﺩﻭ ﭘﻞ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻤﺪﻡ ﻋﻤﺮ ﺑﮭﺮ __ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﺗﻮﮌ ﺑﯿﭩﮭﯽ ﮨﻮﮞ ﮐﻮﺯﮦ ﮔﺮ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ ﺍﻥ ﻭﻓﺎ ﮐﯽ ﺭﺍﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﮯﺧﻄﺮ ___ ﭼﻠﮯ ﺁﺅ

Kaabe Se Butkade Se Kabhi Bazm-E-Jaam Se Avaaz De Raha Hun Tujhe Har Muqaam Se

Kaabe Se Butkade Se Kabhi Bazm-E-Jaam Se Avaaz De Raha Hun Tujhe Har Muqaam Se Na-Aashna Hein Aaj Voh Hi Merey Naam Se Dunya Pukaarti Thi Jinhein Merey Naam Se Uff Yeh Shab-E-Firaaq Ke Maaron Ki Bekhudi Khud Hi Bujha Diya Hai Charaaghon Ko Shaam Se

Murshid se kaha dard e MUHABBAT ki dawa do!! Hazrat ne muskura ke kaha"aur muhabbat"

Image
Murshid se kaha dard e MUHABBAT ki dawa do!! Hazrat ne muskura ke kaha"aur muhabbat"  

Bikharti rait par, kis naqsh ko, abad rakhay gaa? Wo mujhko yaad rakhay bhi, to kitna yaad rakhay gaa?

Bikharti rait par, kis naqsh ko, abad rakhay gaa? Wo mujhko yaad rakhay bhi, to kitna yaad rakhay gaa? Usay bunyaad rakhni ha abhi dil main, MOHABAT, ki Magar ye sng seenay par, wo meray baad rakhay ga Palat kr bhi naheen dekhi, uski berukhi hm ne Bhulaa den gay usay aisa, k wo bhi yaad rakhay gaa

BA HAL-E-HIJRAN BECHARA DIL HAI.SUNAI DETI HAI JISKI DHADKAN TUMHARA DIL YA HAMARA DIL HAI

WOH AAKE PEHLOO MAIN AIESE BETHE  KE SHAAM RANGEEN HOGAYI HAI, ZARA ZARA SI KHILI TABI'AT  ZARA SI GHAMGHEEN HOGAYI HAI, ZHALE MISKEEN MAKUN BA RANJISH  BA HAL-E-HIJRAN BECHARA DIL HAI.SUNAI DETI HAI  JISKI DHADKAN TUMHARA DIL YA HAMARA DIL HAI

Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan.

Image
This poem is written by Amir Khusro in Persian and Brij Bhasha. Brij Bhasha is a Dehaati Zabaan (country tongue) and a dialect of Hindi. In the first verse, the first line is in Persian, the second in Brij Bhasha, the third in Persian again, and the fourth in Brij Bhasha. Zehaal-e-miskeen makun taghaful, Duraye naina banaye batiyan. Do not overlook my misery, by blandishing your eyes and weaving tales, Ke taab-e-hijran nadaram ay jaan, Na leho kahe lagaye chatiyan. My patience has over-brimmed, O sweetheart! why do you not take me to your bosom. Shaban-e-hijran daraz chun zulf, Wa roz-e-waslat cho umer kotah. Long like curls in the night of separation short like life on the day of our union. Sakhi piya ko jo main na dekhun, To kaise kaTun andheri ratiyan. My dear, how will I pass the dark dungeon night without your face before. Yakayak az dil do chashm-e-jadu, Basad farebam baburd taskin. Suddenly, using a thousand tricks the enchanting eyes robb...

Main Inko Dal Kar Dana Buhat Masroor Hoti Hon Mujhe Aangan Ki Chirrion Se Dua Lainey Ki Adat Hai

Image
Main Inko Dal Kar Dana Buhat Masroor Hoti Hon Mujhe Aangan Ki Chirrion Se Dua Lainey Ki Adat Hai میں ان کو ڈال کر دانا بہت مسرور ہوتی ہوں مجهے آنگن کی چڑیوں سے دعاء لینے کی عادت ہے

Na samjho tum isey shor-e-bahaaran Khizaan patton main chhup ke ro rahi hai

Na samjho tum isey shor-e-bahaaran   Khizaan patton main chhup ke ro rahi hai  

Behti Rahi Nadi Merey Ghar Ke Qareeb Se Paani Ko Dekhne Ke Liye Mein Taras Gaya

Behti Rahi Nadi Merey Ghar Ke Qareeb Se Paani Ko Dekhne Ke Liye Mein Taras Gaya Milney Ki Khwaishein Sab Hi Dum Torrti Gayin Dil Mein Kuchh Aisa Khauf Bichharrne Ka Bas Gaya Divaar-O-Dar Jhulaste Rahey Tez Dhuup Mein Baadal Tamaam Shehr Se Baahar Baras Gaya

Humein tum sy mohabbat hai Hum saada dill Aur anna k qaidi

Image
Humein tum sy mohabbat hai Hum saada dill Aur anna k qaidi Mohabbat k mutalaashi Ankhon mein chahat k deep jalaey Kisi ki ik nazar e iltyfaad par Jaan sy guzar jaany waly Kisi sy chup chaap bichar jaany par Raaton ko chup chup k roony waly Iss dill e khamosh par Iss sada dill par Odaasi k zakham lagany waly Chand lafz zaban sy keh dyty Tu sabhi pachtawy chath jaaty Kash k us sy keh dyty Kash k us sy keh paaty Humein tum sy mohabbat hai

DehleeZz Pay TOotay Huwe Sagar Ki Tarah Ek Shakhs Nay Phanka Hai Mujhy Piyaas Bujhaa Kar

Image
"+,,+" DehleeZz Pay TOotay Huwe Sagar Ki Tarah ...> "+,,+" Ek Shakhs Nay Phanka Hai Mujhy Piyaas Bujhaa Kar ...> "+,,+"+,,+"+,,+"

Tootay huye dilon se na ulfat ki baat cherr Zikr e maka'n na kar kisi beghar ke samne

Tootay huye dilon se na ulfat ki baat cherr Zikr e maka'n na kar kisi beghar ke samne

Log kehty rahy wo tera nahi ho sakta,,, Hum yeh soch kr khamosh rahy kismat khuda likhta hai log nahi

Log kehty rahy wo tera nahi ho sakta,,, Hum yeh soch kr khamosh rahy kismat khuda likhta hai log nahi....!

Chubne Lage Hain Khawab, December Se Pehle Aa, Dharrkan Bani Azaab, December Se Pehle Aa

Poet: Shahzad Qais Type By *._.Murtaza._* Chubne Lage Hain Khawab, December Se Pehle Aa, Dharrkan Bani Azaab, December Se Pehle Aa, Tanhai, Qatal Gaah Main, Le Ja Chuki Ae Dost! Hoti Ho Kamiaab December Se Pehle Aa, Thandi Tareen Raat, Adawat Pe Aa Ga'ee, Pur Mehar-E-Mahtaab, December Se Pehle Aa, Karwat Badal Badal Ke, Katte Kaise Sard Shab, Hairat Main Hai Shabab, December Se Pehle Aa, Saanson Ka Qaraz, Tanha Utarainge Kab Talak, Hargiz Nahi Hai Taab, December Se Pehle Aa, Hassrat Hai, Saal-E-Nu Ki Shuru'aat Tum Se Ho, Khush Bakhat Aaftab December Se Pehle Aa, Aankhon Main Chalne Phirne Lage Ankaboot-E-Gham, Lab Par Hai Iztaraab December Se Pehle Aa, Shajr-E-Qaraar Se Girain, Ashkoon Ki Tittliyaan, Gum Sum Hue Gullaab, December Se Pehle Aa, Haathon Ko Jorr Kar, Ose Tassveer Bhej Di, Khatt Ka Na De Jawab, December Se Pehle Aa, Likha Biyaaz-E-Ashak Main, Jee Bhar Ke Raat "QAIS" Aa...