Posts

Showing posts from March, 2014

Teri Mohabbat Se Inkar Nahi

Is Dil Mein Tere Siwa Koi Dildar Nahi

    Poet UMAR RAAHI Type bY UJRRA_DIL    Teri Mohabbat Se Inkar Nahi Is Dil Mein Tere Siwa Koi Dildar Nahi, Barson Raha Jis Ki Jistjoo Mein, Ab Karna Mujhe Aur Intzar Nahi, Ban Kar Aao Meri Ab To Dulhan, Guzrta Tanha Ab K Muasam-E-Bahaar Nahi, Kali Ghata Si Zulf Bikher Do Bister Par, Umer Bhar Sath Dena Din Do Char Nahi, Honton Se Mila Kar Hont Pila Do Jaam-E-Shabab, May Kade Ki Sharab Mein Aisa Khumar Nahi, Sula Do Apni Makhmli Bhahon Mein, In Se Barh Kar Aur Koi Gale Ka Haar Nahi, Khelon Tere Ang Ang Se Kuch Youn Main, Ho Jaein Hum Aik Rahein Hum Aghyar Nahi, UMAR Ko Thi Kab Se Teri Talash, RAAHI Ko Ab Kisi Ka Raha Intzar Nahi..........!    

Muasam-E-Bahar Hai Mgar Too Mere Sath Nahi

    Poet UMAR RAAHI Type bY UJRRA_DIL    Muasam-E-Bahar Hai Mgar Too Mere Sath Nahi, Badal Bijli Ka Sath Hai Mgar Too Pas Nahi, Ashk Baras Rahe Aankh Se Rim Jhim Rim Jhim, Ashk Poonch Ly Jo Aisa Koi Hath Nahi, Dil Ro Raha Is Muasam-E-Bahar Mein, Chhupa Ly In Motiyon Ko Aisi Barsat Nahi, Kale Badal Chhaye Hein Teri Zulf K Jese, Aawara Zulf Hata Le Jo Karta Himat Hath Nahi, Tim Tim Tapk K Gire Bondein Chehre Pe, Kali Ghata Si Zulfon Ki Barsat Nahi, Ro Lo In Barishon Mein RAAHI, Rahe Ab K Dil Mein Koi Aas Nahi........!    

Dil Dukhta Hai Aabad Gharon Se Door Kahein

    Poet Mohsin Naqvi Type bY UJRRA_DIL Dil Dukhta Hai Aabad Gharon Se Door Kahein, Jab Banjar Ban Mein Aag Jale, Dil Dukhta Hai, Pardais Ki Bojhal Rahon Mein, Jab Sham Dhale, Dil Dukhta Hai, Jab Raat Ka Qatil Sunata, Pur Hol Faza K Waham Kiye, Qadmon Ki Chap K Sath Chale, Dil Dukhta Hai, Jab Waqat Ka Nabeena Jogi, Kuchh Hanste Baste Chahre Par, Be Dard Ruton Ki Rakh Male, Dil Dukhta Hai, Dil Dukhta Hai, Jab Sheh Rag Mein Mehroomi Ka, Nashter Toote, Dil Dukhta Hai, Jab Hath Se Resham Rishton Ka, Daman Choote, Dil Dukhta Hai, Jab Tanhai K Pahloo Se, Anjane Dard Ki Lay Phoote, Dil Dukhta Hai, Dil Dukhta Hai, Zardab Ruton K Saye Mein, Jab Phool Khilein, Jab Zakham Dahkne Wale Hon, Aur Khushboo K Paigham Milein, Aur Apne Dareedha Daman K, Jab Chaak Silein, Dil Dukhta Hai, Jab Aankhein Khud Se Khawab Bunein, Khawabon Mein Base Chahron Ki, Ja

Jeeti Baazi Haara Hoon,

Ab Main Toota Taara Hon

    Poet Arshad Malik    Jeeti Baazi Haara Hoon, Ab Main Toota Taara Hon, *, Sehra Hoon Ek Jaltey Dukh Ka, *, Main Ek Gham Ka Dhaara Hoon, *, Sachaayi Ka Shola Dil Main, *, Main Jalta Hua Angaara Hoon, *, Galiyo'n Galiyo'n Dhoondo'n Tujh Ko, *, Main Bhi Ek Banjaara Hoon, *, ARSHAD Meri Qeemat Kiya Hai, *, Main Matti Hoon, Gaara Hoon...!    

Aisi lagi udas sar-E-shaam ZINDGI

    ,,,,GHAZAL,,,,    Aisi lagi udaas sar-E-shaam ZINDGI Jaise kisi ki aankh ka ilzam "ZINDGI" Apny jahan mein dekha teray baad kuch nahi, Hum ne laga di aaj tery naam "ZINDGI" Jis k bina ye saans mujhe DooBti lagi, Ja k ussy bhi DhoonD kisi shaam "ZINDGI" Ye piyaar dard na ban saky jis k nashy mein, Mujhko pila de aaj wohi jaam "ZINDGI" Ab doston k haath mery haath main nahi, Girny laga hon aaj mujhe thaam "ZINDGI"    

Dar Shab Ka Wahan Kion Na Bhala Taiz Bahut Ho?

    Poet Mohsin Naqvi Type bY UJRRA_DIL Dar Shab Ka Wahan Kyoun Na Bhala Taiz Bahot Ho? Jis Ghar Mein Diya Aik, Hawa Taiz Bahot Ho, Sadiyon K Musafir Bhi Palat Aaein Ge Ik Roz, Ye Shart K Riftar-E-Sada Taiz Bahot Ho, Hath Us Ne Maire Khoon Mein Tar Kar Liye Aakhir, Khawahish Thi Use Rang-E-Hina Taiz Bahot Ho, Dunya Ki Hos Phir Mujhe Barfab Na Kar De, Ay Garmi-E-Ahsah-E-Ana Taiz Bahot Ho, Sooraj Uter Aaya Hai Maire Sar Pe Keh MOHSIN, Sehra Ne Kaha Aabla Pa Taiz Bahot Ho..........! Book Kulyat-E-Mohsin Page 1105    

Mere Jaise Ban Jao Gay

Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga Lyric

  Singer Jag Jeet Singh    Mere Jaise Ban Jao Gay Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga, Deewaron Se Takrao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga, Tanhai K Jhoole Jhoolo Gay, Har Bat Purani Bhoolo Gay, Aaine Se Ghabrao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga, Jab Sooraj Bhi So Jaye Ga, Aur Chand Kahein Kho Jaye Ga, Tum Bhi Ghar Deir Se Aao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga, Bechainian Jab Bhar Jain Gi, Aur Yad Kisi Ki Aaye Gi, Tum Meri Ghazalain Gaao Gay, Jab Ishq Tumhein Ho Jaye Ga..............!   

Hussn-E-Yousaf K Kharidaar Kahan Se Laon

Hussn-E-Yousaf K Kharidaar Kahan Se Laon, Mein Yahan Missr Ka Bazar Kahan Se Laon,? Zakham Dou Chaar Agar Houn tou Chupa Kr Rakhon, Dill Mein Gunjaish-E-Yalghaar Kahan Se Laon? Ye Tou Mumkin Hai tere jaisa Maseeha Mill jaye, Apne Dill K jaisa Beemar Kahan Se Laon...? Mujh Ko tasleem Hain Duniya K taqaaze Lekin, , Aik Hi Dill Hai Mein Dou Chaar Kahan Se Laon Jhoot K Bha0 jahan Such Ki Zubaa'n Bikti Hai, , Mein Wahan Such Ka talabgaar Kahan Se La0un...? , Mein Houn insaan tou insaan Hi Mujhe Samjho tum Bhi, , Mein farishton Ka Sa Kirdaar Kahan Se Laon?    ================ Nomi Collection ================    

Sataron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain

 , Abhi Ishq K Imtihaan Aur Bhi Hain

Image
    Poet Allama Iqbal    Sataron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain Abhi Ishq K Imtihaan Aur Bhi Hain, Tehi Zindagi Se Nahi Ye Faizaan, Yahan Saikaron Karwaan Aur Bhi Hain, Kana'at Na Kar Aalam-E-Rang-O-Boo Par, Chaman Aur Bhi Aashiaan Aur Bhi Hain, Agar Kho Gia Ek Nasheman To Kia Gham, Maqamat-E-Ah-O-Fughaan Aur Bhi Hain, Too Shaheen Hai Parwaz Hai Kaam Tera, Tere Samne Aasman Aur Bhi Hain, Esi Roz-O-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja, K Tere Zameen-O-Makan Aur Bhi Hain, Gaye Din K Tanha Tha Main Anjuman Mein, Yahan Ab Mere Razadan Aur Bhi Hain....................!   

Raqs Karte Howay Jis K Shano Pe Too Ne Abhi Sar Rakha Hai

  Poetes Parveen Shakir Type By *.__Ayaz Khan_.* Teri Hum Raqs K Naam Raqs Karte Howay Jis K Shano Pe Too Ne Abhi Sar Rakha Hai, Kabhi Mein Bhi Us Ki Panahon Mein Thi, Farq Ye Hai K Mein, Raat Se Qabl Tanha Hoi, Aur Too Subh Tak, Is Fareb-E-Tahafuz Mein Khoi Rahe Gi........! Book: Kushboo Page: 113    

Zillat-e-Tanhai Sey Ghabra k Aai hon

    Poetess: Parveen Shakir    Zillat-e-Tanhai Sey Ghabra k Aai hon -- Main Abhi Abhi Shaher-e-Wafa Se Aai Hun -- Kuch Dair Hawa ko Baaton Mein LAgaye Rakhna -- Main Ghar Mein ik Charagh Jala k Aai Hon -- US Ne Pocha Hay ehd-e-wafa Nibhao Gey -- Parveen -- So Hathon Mein Quraan Utha k Aai Hon -- WO Chahay To Ab Mujse Tark-e-Talluq ker Ley -- WO Meri ZINDAGI Hay Usy Bata k Aai Hon -- WO Ab B Mujhe Ana Parast Smjhta Hay -- Main Jisay Ro Ro k Mana k Aai Hu ................!    ================ Nomi Collection ================    

Khule Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista

    Poet Parveen Shakir Typ By *.__Ayaz Khan__.* Khule Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista. Kiya Jata Hai Pani Mein Safar Aahista Aahista. Koi Zanjeer Phir Wapas Waheen Par Le K Aati Hai. Kathin Ho Rah To Chhuta Hai Ghar Aahista Aahista. Badal Dena Hai Rasta Ya Kaheen Par Beth Jana Hai. K Thakta Jaa Raha Hai Humsafar Aahista Aahista. Kallish K Sath Is Dil Se Na Meri Jaan Nikal Jaye. Khinche Teer-E-Shanasai Magar Aahista Aahista. Hawa Se Sar-Kashi Mein Phool Ka Apna Ziyaan Dekha. So Jhukta Ja Raha Hai Ab Sar Aahista Aahista.........! Book: Kudkalami Page: 17 Ghazal: 5    

Achi Aankhon Ke Pojaari Hain Mere Shehr Ke Log

Image
  Achi Aankhon Ke Pojaari Hain Mere Shehr Ke Log Tuo Mere Shehr Main Aaye Ga To Chhaa Jaye Ga =============== Nomi Collection's ===============

Sone To Laga hoon tujhe Khawaab mein dekhne ki hasrat Lay Kar

Image
          Sony To Laga hoon tujhe Khawaab mein dekhne ki hasrat Lay Kar Dua Karna Koi jaga Na Day tere deedaar se pehle...    

Swery Swery ho Happiness ka Mela

Image
        "Swery Swery ho Happiness ka Mela Na "People" ki "Parwa" na "World" ka "Jahmela":-) "Birds" ka "Sangeet" ho or "Weather" "Albela":-) "Mubarak" ho "A dost" YE "SUBAH KA"WELLA ." Asalam_o_Alaikum ¤ G O O D ¤ ¤ M O R N I N G ¤ Have A Sweet day    

Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So jana

Image
        Poet Hanshoo Malik    Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So jana, Abhi To Rat Qaqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana, Ghari Bhar Ko Dil-E-Nadan Sambhal Jaye To So Jana, Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana, Ye Jalte Hont Aur Neend Mein Doobi Hoi Aankhein, Mujhe Sone Nahi Deti Tumhari Adh Khuli Aankhein, Zara Thehro Mujhe Bhi Neend Aa Jaye To So Jana, Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana, Ghari Bhar Ko Dil-E-Nadan Sambhal Jaye To So Jana, Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana, Meri Aagosh Mein Aa Kar Na Lo Madhosh Angrai, Kahi Bahka Na De Mujh Ko Ye Angrai Ye Tanhai, Ye Tanhai Mohabbat Mein Badal Jaye To So Jana, Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana, Hansi Ho Tum Tumhain Kia Gham, Tumhein To Neend Pyari Hai, Hansi Ho Tum Tumhein Kia Gham, Tumhain To Neend Pyari Hai, Humara Haal Mat Poocho K, Hum Par Rat Bhaari Hai, Humare Sar QaYamat Hai, Ye


Ab Kia Likhein Hum Kaghaz Par

Ab Likhne Ko Kia Baqi Hai

Image
Poet Ibn-E-Insha Ab Kia Likhein Hum Kaghaz Par Ab Likhne Ko Kia Baqi Hai? Aik Dil Tha So Ab Toot Gia, Lutne Ko Ab Kia Baqi Hai ? Aik Shaks Ko Hum Ne Chaha Tha, Kuch Reit Par Naqsh Banaya Tha, In Reit K Razon Ko Hum Ne Dil Main Sajaya Tha, Wo Reit To Kab Ki Bikhar Gai, Wo Naqsh Ab Kahan Baqi Hain? Ab Kia Lekhein Hum Kaghaz Par,? Ab Likhne Ko Kia Baqi Hai? Wo Jin Ko Hum Apni Nazmo Ka, Anwan Banaya Karte Thay, Wo Lafzon Ka Bana K Taaj Mahal, Kaghaz Par Sajaya Karte Thay, Wo Hum Ko Akela Chor Gia, Sab Rishton Se Moonh Mor Gia, Ab Rishte Sare Soone Hain, Wo Payar Ab Kahan Baqi Hai, Ab Kia Lekhein Hum Kaghaz Par,? Ab Likhne Ko Kia Baqi Hai........!

ہر قدم گریزاں تھا، ہر نظر میں وحشت تھی مصلحت پرستوں کی رہبری قیامت تھی

Image
ہر قدم گریزاں تھا، ہر نظر میں وحشت تھی مصلحت پرستوں کی رہبری قیامت تھی منزل تمنا تک کون ساتھ دیتا ہے! گردِ سعِی لا حاصل ہر سفر کی قسمت تھی آپ ہی بگڑتا تھا، آپ من بھی جاتا ہے اس گریز پہلو کی یہ عجیب عادت تھی اُس نے حال پوچھا تو یاد ہی نہ آتا تھا کِس کو کِس سے شکوہ تھا، کس سے کیا شکایت تھی! دشت میں ہواؤں کی بے رُخی نے مارا ہے شہر میں زمانے کی پوچھ گچھ سے وحشت تھی یوں تو دن دہاڑے بھی لوگ لُوٹ لیتے ہیں لیکن اُن نگاہوں کی اور ہی سیاست تھی ہجر کا زمانہ بھی کیا غضب زمانہ تھا آنکھ میں سمندر تھا، دھیان میں وہ صورت تھی

ہونٹوں پہ کبھی ان کے میرا نام ہی آئے آئے تو سہی بر سرِ الزام ہی آئے

ہونٹوں پہ کبھی ان کے میرا نام ہی آئے آئے تو سہی بر سرِ الزام ہی آئے   حیران ہیں، لب بستہ ہیں، دلگِیر ہیں غنچے خوشبو کی زبانی تیرا پیغام ہی آئے       لمحاتِ مسرت ہیں تصوّر سے گریزاں یاد آئے ہیں جب بھی غم و آلام ہی آئے   تاروں سے سجالیں گے رہِ شہرِ تمنا مقدور نہیں صبح، چلو شام ہی آئے   کیا راہ بدلنے کا گِلہ ہم سفروں سے جِس رہ سے چلے تیرے درو بام ہی آئے   تھک ہار کے بیٹھے ہیں سرِ کُوئے تمنا کام آئے تو پھر جذبۂ ناکام ہی آئے   باقی نہ رہے ساکھ، ادا دشتِ جنوں کی دل میں اگر اندیشۂِ انجام ہی آئے

بات کرنی مجھے مشکِل کبھی ایسی تو نہ تھی جیسی اب ہے تری محفِل کبھی ایسی تو نہ تھی

     بات کرنی مجھے مشکِل کبھی ایسی تو نہ تھی جیسی اب ہے تری محفِل کبھی ایسی تو نہ تھی لے گیا چھین کے کون آج ترا صبر و قرار بیقراری تجھے اے دِل کبھی ایسی ت و نہ تھ اس کی آنکھوں نے خدا جانے کِیا کیا جادو کہ طبیعت مری مائِل کبھی ایسی تو نہ تھی عکسِ رخسار نے کس کے ہے تجھے چمکایا تاب تجھ میں مہِ کامِل کبھی ایسی تو نہ تھی اب کی جو راہِ محبت میں اٹھائی تکلیف سخت ہوتی ہمیں منزِل کبھی ایسی تو نہ تھی پائے خُوباں کوئی زنداں میں نیا ہے مجنوں آتی آوازِ سلاسِل کبھی ایسی تو نہ تھی نِگَہِ یار کو اب کیوں ہے تغافل اے دل وہ ترے حال سے غافِل کبھی ایسی تو نہ تھی چشمِ قاتل مری دشمن تھی ہمیشہ لیکن جیسی اب ہو گئی قاتِل کبھی ایسی تو نہ تھی کیا سبب تو جو بگڑتا ہے " ظفر" سے ہر بار خُو تری حُورِ شمائِل کبھی ایسی تو نہ تھی    

ISHQ

Image

Har Aik Shab Meri Taza Azaab Mein Guzri,

  Poet Wasi Shah    Har Aik Shab Meri Taza Azaab Mein Guzri, Tumhare Baad Tumhare Hi Khawab Mein Guzri, Mein Aik Phool Hon Wo Mujh Ko Rakh K Bhool Gia, Tamaam Umer Usi Ki Kitbaab Mein Guzri...........!    Book Aankhen Bheeg Jati Hain Page 110  

Khule Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista

    Poet Parveen Shakir Typ By    *.__Ayaz Khan__.* Khule Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista. Kiya Jata Hai Pani Mein Safar Aahista Aahista. Koi Zanjeer Phir Wapas Waheen Par Le K Aati Hai. Kathin Ho Rah To Chhuta Hai Ghar Aahista Aahista. Badal Dena Hai Rasta Ya Kaheen Par Beth Jana Hai. K Thakta Jaa Raha Hai Humsafar Aahista Aahista. Kallish K Sath Is Dil Se Na Meri Jaan Nikal Jaye. Khinche Teer-E-Shanasai Magar Aahista Aahista. Hawa Se Sar-Kashi Mein Phool Ka Apna Ziyaan Dekha. So Jhukta Ja Raha Hai Ab Sar Aahista Aahista.........! Book: Kudkalami Page: 17 Ghazal: 5 ================= Nomi Collection =================    

Maikon Itle Dard Na De
Maikoon Itle Soor Na De By Nigat Naz Lyric

    Singer Nighat Naz Maikon Itle Dard Na De, Maikoo'n Itlay Soor Na De, Jo Tain Naal Maidi Dil Thi Gai Hai, Teday Khilan Tay Main Mardi Haan,, Teday Turran Tay Main Thardi Haan,, Rab Jaanay Kit Day Karay Jo Tai'n Naal Maidi Dil Thi Gayi Hai,, Maikoo'n Itlay Dard Na Day,, Maikoo'n Itlay Soor Na Day, Jo Tai'n Naal Maidi Dil Thi Gayi Hai,, Choraa'n Waangoo'n Likdi Thapdi,, Aawaa'n Yakdam Rukdi Bhajdi,, Taikoo'n Dekhan Dehn Tattay, Jo Tai'n Naal Maidi Dil Thi Gai Hai, Maikoo'n Itlay Dard Na Day,, Maikoo'n Itlay Soor Na Day,, Jo Tai'n Naal Maidi Dil Thi Gai Hai,, Qambrani Too'n Ghalti Dasein Haa,, Too'n Main Naal Pichen Tarsein Haa,, Toon Dasein Haa Maikoo'n Wadi,, Jo Tai'n Naal Maidi Dil Thi Gayi Hai,, Maikoo'n Itlay Dard Na Day,, Maikoo'n Itlay Soor Na Day,, Jo Tai'n Naal Maidi Dil Thi Gayi Hai......

زَر پرستی حیات ہو جائے اِس سے بہتر وَفات ہو جائے

زَر پرستی حیات ہو جائے اِس سے بہتر وَفات ہو جائے پھر میں دُنیا میں گھوم سکتا ہوں جسم سے گر نجات ہو جائے ایک دیوی کی آنکھ ایسے لگی جیسے مندر میں رات ہو جائے دِل کسی کھیل میں نہیں لگتا جب محبت میں مات ہو جائے بُت شِکن کیا بگاڑ سکتا ہے؟ دِل اَگر سومنات ہو جائے کتنے بیمارِ عشق بچ جائیں  حُسن پر گَر زَکات ہو جائے آپ دِل چور ہو ، ہم اِہلِ دِل وَقت دو ، واردات ہو جائے محورِ عشق سے ذِرا سا ہٹے مُنتَشِر کائنات ہو جائے آنکھ پڑھنا جسے بھی آ جائے ماہرِ نفسیات ہو جائے عکسِ لیلیٰ سے قیس بات تو کر  عین ممکن ہے ، بات ہو جائے    

Zar Parasti Hayat Ho Jaye. Is Se Behtar Wafat Ho Jaye

Image
  Poet:Shehzad Qais   Zar Parasti Hayat Ho Jaye   Is Se Behtar Wafat Ho Jaye   Phir Main Dunya Me Ghoom Sakta Hon   Jism Se Gar Nijat Ho Jaye   Aik Devi Ki Aankh Aisay Lagi   Jaise Mandir Main Raat Ho Jaye   Dil Kisi Khel Mein Nahi Lagta   Jab Muhabbat Me Maat Ho Jaye   But-Shikan Kiya Bigaar Sakta Hai   Dil Agar Somnaat Ho Jaye   Kitne Beemar-e-Ishq Bach Jaen   Husn Par Gar, Zakat Ho Jaye   Aap Dil Chor Ho, Hum Ehl-e-Dil   Waqt Do, Wardaat Ho Jaye   Mehvar-e-Ishq Se Zara Haty   Muntashir Kainat Ho Jaye   Aankh Parhna Jisy Bhi Aa Jaye   Maahir-e-Nafsiyaat Ho Jaye   Aks-e-Laila Se, Qais Baat To Kr   Ain Mumkin Hai, Baat Ho Jaye....!!!    ==================== Nomi's Collection's ====================   زَر پرستی حیات ہو جائے اِس سے بہتر وَفات ہو جائے پھر میں دُنیا میں گھوم سکتا ہوں جسم سے گر نجات ہو جائے ایک دیوی کی آنکھ ایسے لگی

HAPPY RESOLUTION DAY

Image
23 MARCH 1940 23 MARCH 2014 74TH HAPPY RESOLUTION DAY LONG LIVE UMMMMMMMMMMMMAH   PAKISTAN        

Masoom Bastiyon Ko Samandar Nigal Gaya

   معصوم بستیوں کو سمندر نگل گیا سیلاب کا بھی زور غریبوں پہ چل گیا   پانی نے گاؤں بھر کا صحن یکجا کر دیا اک رات میں حویلی کا نقشہ بدل گیا   چاول ، اچار ، دالیں ، مربے ، اناج ، گڑ برسوں کا رزق چٹکی بجاتے نکل گیا   مونجی ، کپاس ، گنا ، گھنے کھیت  ، سبزیاں پانی میں تیرتا ہوا رب کا فضل گیا   کینو ، کھجور ، موسی ، امردو ، آم ، سیب پھل صبر کا ہی رہ گیا ،باقی تو پھل گیا   پانی کا رزق ہو گیا گڑیا کا کل جہیز افسوس  ، بے بسی کے سمندر میں ڈھل گیا   مٹی کے کچھ کھلونے تھے ،مٹی میں مل گئے ممتا کی آرزو کا جنازہ نکل گیا   بن جاتے کاش جانور سارے ہی مچھلیاں بے بس مویشی دیکھ کے پتھر پگھل گیا   ان کشتیوں کے نیچے کئی لوگ رہتے تھے میں نے جو آج سوچا مرا دل دہل گیا   پرکھوں کی آج ہم کو بہت یاد آئی قیس جن کی لحد بھی پانی کا ریلا نگل گیا  

Zakhm Ki Baat Na Kr Zakhm Tu Bhar Jata Hai, Teer Lehjay Ka Kalaijay Main Utar Jata Hai

  Poet: Shahzad Qais   Zakhm Ki Baat Na Kr Zakhm Tu Bhar Jata Hai Teer Lehjay Ka Kalaijay Main Utar Jata Hai Mauj Ki Maut Hai Saahil Ka Nazar Aa Jana Shauq Katra Kay Kinaray Say Guzar Jata Hai Shobda Kaisa Dikhaya Hai Maseehaee Ny Saans Chalti Hai , Bhalay Aadmi Mar Jata Hai Aankh Na Jhapkoon Tu Sab Naag Samajhty Hain Mujhy Gar Jhapak Loon Tu Yeh Jeewan Yun Guzar Jata Hai Mandaron Main Bhi Duaen Tu Suni Jati Hain! Ashk Beh Jain Jidhar , Maula Udhar Jata Hai Husn Afza Hoi Ashkon Ki Sonehri Barkha Phool Barsaat Main Jis Tarah Nikhar Jata Hai Ghaliban Takht Pe Jinnat Ka Sayah Ho Ga! Kuch Tu Hai Har Koi Aatay He Mukar Jata Hai " Aisi " Batain Jo " Akelay " Main Na " Deewana " Kary Badshah Woh Bharay Darbaar Main Kr Jata Hai Gar Na Likhon Main Qaseeda Tu Hai Talwar Aqrab Sar Bacha Loon Tu Mera Zauqay Hunar Jata Hai Qais ! Gar Aaj Hain Zinda Tu Junoon Zinda Baad! Sochny Wala Tu Is Daur

Dil Dharakny Pe Bhi Pabandi Laga Di Jaye Laash Ehsaas Ki Sooli Pe Charha Di Jaye

    Poet: Shahzad Qais   Dil Dharakny Pe Bhi Pabandi Laga Di Jaye Laash Ehsaas Ki Sooli Pe Charha Di Jaye Zeyhn Ki Jaama Talashi Ka Bna Kr Qanoon Sochnay Walon Ko Moqay Pe Saza Di Jaye Aarzoo Jo Karay Deewano Main Kr Do Shamil Khawab Jo Daikhay Usay Jail Dikha Di Jaye Jaan Bachanay Ka Patangon Ki Bahana Kr Ky Shama Jalnay Say Bhi Kuch Pehly Bojha Di Jaye Roaz Khud Soziyon Say Uththti Hai Hum Par Uungli  KhudKushi Jo Kary Gardan Hi Urra Di Jaye Rah Batlanay , Madad Karnay Ki Aadat Na Parray  Rasta Poochnay Pe Qaid Barrha Di Jaye Log Khushbo Ky Taaqub Main Nekal Parrtay Hain Phool Par Daikhtay Hi Goli Chala Di Jaye Saans Lainay Kay Bhi Oqaat Moqarar Kr Ky Ha'bss Dar Ha'bss Ko Dowzakh Ki Hawa Di Jaye Kaam Tehreer Mitanay Ka Buhat Barhnay Laga    Naaray Likhay Hon Tu Deevar Gera Di Jaye Jabray Haalaat Say Har Shakhs Ko Majno Kr Ky Bhiirr Main Qais Ki Aawaaz Daba Di Jaye   =============== Nomi's


Kaisi Taskeen-E-Aarzo Karna

Kis Liye Teri Justajoo Karna

  Poetess Noshi Gilani    Kaisi Taskeen-E-Aarzo Karna Kis Liye Teri Justajoo Karna, Pehle Aankhon Ko Nam Kiye Rakhna, Aur Phir Dil Ko Bawazoo Karna, Mout Likhna Mere Moqaddar Mein, Arsa-E-Sham Ko Lahoo Karna, Aik Deewar-E-Gham Utha Lena, Aur Phir Us Se Guftagoo Karna, Tittlion K Paron Ko Choo Lena, Is Tarha Jashn-E-Rang-O-Karna, Wehshat-E-Raqs-E-Dil Shab-E-Tanha, Ishq Ko Aise Sur Kharoo Karna, Waqt K Akhtiar Mein Kab Hai, Jazba-E-Dil Teri Namoo Karna.............! Book Pehla Lafz Mohabbat Likha Page 71 To 72 ============== Nomii Collection ==============  

Dilon Ko Barf Karti Raigani Se Nikal Aaye

  Poetess Noshi Gilani    Dilon Ko Barf Karti Raigani Se Nikal Aaye, Koi Kaise Mohabbat Ki Kahani Se Nikal Aaye, Usay Bas Aik Pal Ko Dekhna Tha Bat Karna Thi, Magar Wo Ashk-E-Sada Jo Rawani Se Nikal Aaye, Yaqeen Tha Umar Lag Jaye Gi Is Hairani-E-Gham Mein, Magar Hum Sham-E-Wehshat Ki Girani Se Nikal Aaye, Bahut Majboor Rehte Thay Bahut Maroor Rehte Hain, Tumhare Shehr Ki Kaj Bayani Se Nikal Aaye, Kahein To Silsila Tehre Badan Ki Is Musafat Ka, Kabhi To Be Ghari Ki Mehrbani Se Nikal Aaye, Kahein Tareek Shab Mein Yad K Jugno Chamakte Hain, K Jaise Seep Koi Gehre Pani Se Nikal Aaye..............! Book Pehla Lafz Mohabbat Likha Page 58 ============== Nomii Collection ==============    


Bahut Deir Kar Di Tum Ne 

Muhabbat Ka Azhaar Karne Mein

Image
Bahut Deir Kar Di Tum Ne Muhabbat Ka Azhaar Karne Mein, Mujhe Pane Mein Mujhe Se Pyar Karne Mein, Ab Kuch Nahi Ho Sakta, Amanat Hon Mein Kisi Aur Ki, Guzar Gia Waqt Kia Rakha Hai, Ab intzaar Karne Mein, Mujhe Tum Se Mohabbat Hai, Main Ye Iqrar Nahi Karon Gi, Kahein Dil Na Toot Jaye Tumhara Ye iqraar Karne Mein, Tum Mujhe Bhool Jao, Ye Iltaja Hai Tum Se Meri, Zindagi Youn Barbad Na Karo, Apni Aashk Baar Karne Mein, Na Karna Tum Mujhe Yad, Na Main Yad Karon Gi, K Bahut Takleef Hoti Hai, Yad Kisi Ko Bar Bar Karne Mein..........!    ================ Nomi Collection ================    

Tera Gham Mera Gham Ek Jaisa Sanam

Hum Dono Ki Ek Kahani Lyric

  ======= S O N G =======    Tera Gham Mera Gham Ek Jaisa Sanam Hum Dono Ki Ek Kahani, Aaja Lag Ja Gale Dil Jani, Tera Gham Mera Gham Ek Jaisa Sanam, Hum Dono Ki Ek Kahani, Aaja Lag Ja Gale Dil Jani, Main Achi Buri Jaisi Bhi Hon, Too Acha Bura Jaisa Bhi Hai, Main Teri Hon Kaisi Bhi Hon, Too Mera Hai Kaisa Bhi Hai, Tera Gham Mera Gham Ek Jaisa Sanam, Hum Dono Ki Ek Kahani, Aaja Lag Ja Gale Dil Jani, Tera Gham Mera Gham Ek Jaisa Sanam, Toote Howay Dil Ki Kashti Ko, Toofan Mein Kinara Mil Jaye, Too Thaam Le Mera Hath Agar, Dono Ko Sahara Mil Jaye, Tera Gham Mera Gham Ek Jaisa Sanam, Hum Dono Ki Ek Kahani, Aaja Lag Ja Gale Dil Jani, Tera Gham Mera Gham Ek Jaisa Sanam.................! ================= Nomii Collection =================    

Aao Kabhi Seene Se Lagaon Tum Ko

Rotho Jo Mujh Se TO Manaon Tum Ko

  Poet Wasi Shah    Aao Kabhi Seene Se Lagaon Tum Ko Rotho Jo Mujh Se TO Manaon Tum Ko, Meri Bahon Mein Neend Aa Jaye Tumhein, Pihr Kabhi Na Jagaon Tum Ko, Tum Hamesha K Liye Mere Ho Jao, Koi Aisa Taveez Pilaon Tum Ko, Is Andaz Se Tum Mango Jan Meri, Main Inkar Bhi Karna Chahon To Na Kar Paon Tum Ko, Apni Aankh Ka Tara Ya Chand Kahon, Khud hi Batao Kis Naam Se Bulaon Tum Ko Tum Mere Dil Ki Dharkan Ban Gaye Ho, Phir Batao Kis Tarah Bhool Jaon Tum Ko...........!   


Mein Hoon Aik Ajeeb Sapera

Naagh Paalna Kaam Hai Mera

    Poet Muneer Niazi SAPERA Typ By *.__Ayaz Khan__.* Mein Hoon Aik Ajeeb Sapera Naagh Paalna Kaam Hai Mera, Peele Peele Kalay Kalay, Rang Barnge Dhaboon Walay, Shuloon Si Phunkaroon Walay, Zehrili Mehkaroon Walay, In Ki Aankhen Teez Nasheeli, Gehri Jheeloon Aisi Neeli Neeli, Naye Lahoo Se Laal Zubanen, Jise Mout Ki Rangeen Taneen, Makhmal K Rumalon Jise, Surkh Gulabi Galoon Jise, Mujh Ko Takte Rehte Hain Ye, Mujh Ko Daste Rehte Hain Ye, Mujh Par Hanste Rehte Hain Ye.................! Book: Jangal Main Dhanak Page 43    

Too Ne Bhi Mujh Ko Toot Kar Chaha Nahi Hota

    Poet Amjid Hussain Tabasum Type By *.__Ayaz Khan__.*    Too Ne Bhi Mujh Ko Toot Kar Chaha Nahi Hota. To Dard Teri Aankho Main Tehra Nahi Hota. Tere Bina Mehfil Main Bhi Hota Hoon Main Tanha. Tanhaiyon Main Bhi Magar Tanha Nahi Hota. Tum Ko Bhi Bad-Naseebiyon Main Kar Liya Shamil. Teri Sada Pe Kaash Main Luta Nahi Hota. Meri Tarah Se Aap Ko Dar Hai Koi Warna. Chehra Youn Ansuon Se Mela Nahi Hota. Jis Waqt Suchta Hoon Main Tere Bina Khud Ko. Aye Jaan-E-Jaan Us Waqt Main Pura Nahi Hota. Chahat Hai Tera Rishta Baharon Se Bana Don. Main Jaisa Chahata Hoon Kion Wisa Nahi Hota. TABASUM Main Na Utarti Ye Udasiyan Aagar. Main Dard K Bazaar Main Ruswa Nahi Hota......! Book: Mujhe Bhula Dena Page: 56 to 57 Gzl: 36    


Is Kaenat Rang Mein

Dunya-E-Sang Mein

Hum Qaid To Nahi Thay

    Poet Farhat Abas Shah Type bY UJRRA_DIL Is Kaenat Rang Mein Dunya-E-Sang Mein Hum Qaid To Nahi Thay Mgar Is K Ba-Wajood, Aazadiyon Ne Lutf-E-Rihai Nahi Diya, Chaha Bahot K Apne Hi Andar, Kabhi Kahin Utrein, Utar K Khud Ko Talasein Kuch Is Tarah, Hathon Mein Apna Khoj Ho, Dil Mein Vsal Aag, Peron Mein Aaghi Ki Bulndi K Raste, Laikin Badan Se Rooh Ki, In Manzilon K Beech, Wo Raat Thi K Kuch Bhi Sujhai Nahi Diya, Koi Wajood Tha Keh, Jo Tari Tha Zaat Par, Aankhon K Paar, Chaand Dikhai Nahi Diya......! Bk Aankhon K Paar Chaand Page 23 24    


Ab Mai Samjha Tere Rukhsar Pe Til Ka Matlab

Dolat-E-Husn Pe Darban Betha Rakha Hai

    Poet Wasiq Ali Athar    Hum Ne Ulfat Ka Bharam Sab Se Juda Rakha Hai, Goya Seene Mein Tujhe Dil Ki Jaga Rakha Hai, Dil Ye Chahe K Too Kabhi Badnam Na Ho, Dekh Zikar Tera Hai Magar Naam Chupa Rakha Hai, Mere Jis Hath Se Kia Tha Too Ne Musafha, Dhoya Hi Nahi Honton Se Laga Rakha Hai, Ab Mai Samjha Tere Rukhsar Pe Til Ka Matlab Dolat-E-Husn Pe Darban Betha Rakha Hai, Juda Ho Gaye Hain To Phir Kia Howa, WASIQ Teri Tasveer Ko Seene Mein Saja Rakha Hai.............!