Jawaab De Na Sakein Jis Ka Do Jahan SAGHAR Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai
عطا جسے تیرا عکس جمال ہوتا ہے وہ پھول سارے گلستاں کا لال ہوتا ہے Aata Jise Tera Aks Jamaal Hota Hai Woh Phool Sare Gulistan Ka Laal Hota Hai رہ مجاز میں ہیں منزلیں حقیقت کی مگر یہ اہل نظر کا خیال ہوتا ہے Rah Majaz Mein Hein Manzilein Haqeeqat Ki Magar Ye Ahl e Nazar Ka Khayal Hota Hai تلاش کرتی ہے سائے تمھارے آنچل کے چمن میں باد صبا کا یہ حال ہوتا ہے Talash Karti Hai Saaye Tumhare Aanchal Ke Chaman Mein Baad Saba Ka Ye Haal Hota Hai بہار فطرت صیاد کی کہانی ہے کہ اس کے دوش پہ پھولوں کا جال ہوتا ہے Bahaar Fitrat Sayyad Ki Kahani Hai Keh Uske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai یہ واردات بھی اب دل پہ روز ہوتی ہے مسرتوں میں بھی ہم کو ملال ہوتا ہے Ye Wardaat Bhi Ab Dil Pe Roz Hoti Hai Musarraton Mein Bhi Hum Ko Malaal Hota Hai یہ بکھرےبکھرے سے گیسو تھکی تھکی آنکھیں کہ جیسے کوئی گلستاں نڈھال ہوتا ہے Ye Bikhre Bikhre Se Gaisoo Thaki Thaki Aankhein Keh Jaise Koi Gulistan Nidhal Hota Hai جواب دے نہ سکیں جس کا دو جہاں ساغر کسی غریب کے دل کا سوال ہوتا ہے Jawaab De Na Sakein Jis Ka Do Jahan SAGHAR Ki...