Posts

Showing posts from May, 2013

Tere Honton Ka Amrat Pee K Main Sharabi Ho Gia

  ============= SHARABI HO GIA ============= Tere Honton Ka Amrat Pee K Main Sharabi Ho Gia Tera Ang Ang Mehkta Phool Gulaabi Ho Gaya Teri Ada Nirali Bnn Gayi Chall Matwali Bnn Gayi Lehjaa Tera Tou Jesy Koi Nawaabi Ho Gaya Lagaaey Jab Toonay Hont Meray Hontoon Say Chehra Tera Ye Jesay Kitaabi Ho Gaya Aankh Say Chhlkay Angoori Jaam Seenay Say Lagaya Tou Jazbaa Tera Shababi Ho Gaya Reshmi Zulfoon Ki Qaid Mein Aa Kar Mein Umar Bhar K Liye Mein Sazayabi Ho Gaya Jab Teri Qaid Say Mili Rihaayi Mujhay Tab Tak Mujrim_E_Piyar Ka Khitaabi Ho Gaya Nazroon Hi Nazroon Mein Pilaa K Aaj Tum Nay Itna Madhosh Kiya Mein Peenay Ka Aadi Ho Gaya Umar Say Karo Waada Youn Pillaao Gay Piyaar K Jaam Raahi Teray Shabaab Ka Sharabi Ho Gaya.............!  

Halaat Maikade K Karwat BadaL Rahe Hain

  =============== Mayekade Karwat =============== Poet Ameer Minai Halaat Maikade K Karwat BadaL Rahe Hain, Saqi Behk Raha Hai Maikash Sanbhal Rahe Hain, Tum Shoq Se Manao Jashnain Bahar Yaro, ES RoShni Se Lakin Kuch Ghar Bhi Jal Rahe Hain, Aaye Humsafar Ye Shayad Tujh Ko Khabar Nahi Hai, Kuch Hadse Bhi Mere Humrah Chal Rahe Hain, Pehle To Meri Kashti Toofan Mein Chor Aaye, Sahil Pe Ab Najane Kion Hath Mal Rahe Hain, Kitne Ghamo Ko Hum Ne Hans Kar Chupa Lia Hai, Kuch Gham AMEER Lekin Ashkon Mein Pal Rahe Hain................!  

Zara Pee Lain Sitaron Tak Challain Gay

  ============== SHARABI GHAZAL ============== Poet Saghar Siddiuqi Mohabbat Ki Mazaron Tak Chalein Gay, Zara Pee Lain Sitaron Tak Challain Gay, Suna Hai Ye Bhi Rasm-E-Aashiqi Hai, Hum Apne Ghamgusaron Tak Chalein Gay, Chalo Tum Bhi...! Safar Acha Rahe Ga, Zara Ujre Diyaron Tak Chalein Gay, Jawan Zulfon K Parcham Khol Dijiye, Mehkte Lala Zaron Tak Chalein Gay, Janon Ki Wadion Se Phool Chun Kar, Wafa Ki Raah Guzaron Tak Chalein Gay, Chalo Saghar K Naghme Sath Le Kar, Chalakte Jo Baron Tak Chalein Gay....................!  

Tere Honton Ko Salam

  =================== Tere Honton Ko Salam =================== Jin Se Choo Jaane Ko Tarse Kai Sagar Kai Jam, In Gulabon Pe Jale Jab Se Tabassum K Diye, Theek Us Din Se Meri Piyas Bujhane K Liye, Tere Honto K Kinare Hain Mere Dil Ka Qayam, Too Jab In Honton Ko Danton Mein Daba Leti Hai, Teri Ye Chup Kisi Toofan Ka Pata Deti Hai, Pyas Jo In Mein Chupi Hai Isay Kar De Mere Naam...! Mein Bhi Piyasa Hon Bahut Pyas Lagi Hai Mujh Ko, Teri Umeed Teri Aas Lagi Hai Mujh Ko, Kab Karain Gay Mere Honton Se Tere Hont Kalaam, Tere Honton Ko Salam...! Tere Honton Ko Salam...! Jin Se Choo Jane Ko Tarse Kai Sagar Kai Jam...................!  

Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya

  ===================== MAYEKHANE KO HOSH ===================== Poet Anwar Farukhabadi Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya, Angrai Li Botal Ne Paimane Ko Hosh Aaya, Utha Jo Naqab Un ka Deewane Ko Hosh Aaya, Jab Shamma Hoi Roshan Rarwane Ko Hosh Aaya, Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya, Phir Dard Utha Dil Mein Phir Yad Teri Aai, Phir Teri Mohabbat K Afsane Ko Hosh Aaya, Jab Rat Dhali Aadhi Maikhane Ko Hosh Aaya, In Mast Nigahon Ne Girte Ko Sambhala Hai, Sagar K Sahare Se Mastane Ko Hosh Aaya, Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya, Wo Dekho Fana Dekho Jam Aa Gaye Gardish Mein, Wo Mast Nazar Uthi Maikhane Ko Hosh Aaya, Jab Rat Dhali Aadhi Mayekhane Ko Hosh Aaya, Angrai Li Botal Ne Paimane Ko Hosh Aaya...............!  

Ye Jo Peene Pilane Ki Batain Karte Hain

  ======== PAIMANA ========    Ye Jo Peene Pilane Ki Batain Karte Hain, Unhain Keh Do Hum Bhi Piya Karte Hain, Jitni Pee Kar Ye Behk Jate Hain SAQI Utni to Hum Gilas Mein chor Dia Karte Hain.............!  

Jaam Aisa Teri Aankhon Se Aataa Ho Jaye

  ============= KASHISH-E-JAAM ============= Poet Nuzhat Hussain Jaam Aisa Teri Aankhon Se Aataa Ho Jaye, Hosh Maojood Rahe Aur Nasha Ho Jaye, Is Tarah Meri Taraf Mera Maseeha Dekhe, Dard Dil Hi Mein Rahe Aur Dawa Ho Jaye, Zindagani Ko Mile Koi Hunar Aisa Bhi, Sab Mein Maojood Bhi Ho Aur Fana Ho Jaye, Mojza Kaash Dekha Dein Ye Nigahain Meri, Lafz Mahfooz Rahein Bat Adaa Ho Jaye, Is Tarah Jurm K Ehsas Ko Bedaar Karo, Jism Aazad Rahe Aur Saza Ho Jaye, Us Ko Main Dekhon To Is Tarha Se Dekhon, NUZHAT Sharm Aankhon Mein Rahe Aur Khata Ho Jaye................!  

Is Bar Wo Mila To Ajab Us Ka Rang Tha

  Poet Hamayat Ali Shayar    Is Bar Wo Mila To Ajab Us Ka Rang Tha, Alfaz Mein Tarang Na Lehja Dabang Tha, Ek Soch Thi K Bikhri Hoi Khaal-O-Khat Mein Thi, Ek Dard Tha K Jis Ka Shaheed Ang Ang Tha, Ek Aag Thi K Raakh Mein Posheeda Thi Kein, Ek Jisam Tha K Rooh Se Masroof-E-Jang Tha, Main Ne Kaha K Yar Tujhe Kia Howa Hai Ye, Us Ne Kaha K Umar-E-Rawaan Ki Atta Hai Ye, Main Ne Kaha K Umar-E-Ravaan To Sabhi Ki Hai, Us Ne Kaha K Fikar-O-Nazar Ki Saza Hai Ye, Main Kaha K Sochta Rehta To Main Bhi Hon, Us Ne Kaha K Aaina Rakha Howa Hai Ye, Dekha To Mera Apna Hi Aks-E-Jalii Tha Wo, Wo Shakhs Main Tha Aur Hamayat Ali Tha Wo..................!     

Kia Rukhsat-E-Yar Ki Ghari Thi Hansti Hoi Rat Ro Pari Thi.

  Poet: Ahmad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*    The Beautifull Ghazal Kia Rukhsat-E-Yar Ki Ghari Thi. Hansti Hoi Rat Ro Pari Thi. Hum Khud Hi Howe Tabah Warna. Dunia Ko Humari Kia Pari Thi. Ye Zakham Hain Un Dino Ki Yadain. Jab Aap Se Dosti Bari Thi. Jate To Kidhar Ko Tere Weshi. Zanjeer-E-Jano Kari Parri Thi. Dar-Yozah-Gar-E-Hayat Ban Kar. Dunia Teri Rah Mein Kharri Thi. Gham Thay K FARAZ Andhiyan Thien. Dil Tha K FARAZ Pankhrri Thi........! Book: Tanha Tanha Page: 44 Ghazal: 19   

Aankh Khul Jaye To Pher Khawab Kahan

  Poet Ahmad Faraz    Nasa Gesuye Shab Taab Kahan. Aankh Khol Jaye To Pher Khawab Kahan. Jee Jalate Hain Sahar K Jhonke. Khoo Gia Chama Nehtaab Kahan. Shehr Sunsan Hai Sehra Ki Tarah. Ab Wo Hangama Ehbaab Kahan. Satah-E-Daria To Hai Hamvaar Magar. Bastiyan Ho Gai Gharqaab Kahan. Talkhi Sim Hai Labon K Mas Tak. Koi Pee Jaye To Zehar Aaab Kahan. Ishq Ek Koh-E-Garaan Tha Phele. Ab Mohabbat K Wo Aadaab Kahan......! Book: Tanha Tanha Page: 42 Ghazal: 18   

Main To Sholon Ka Pujari Hon Mere Pas Na Aa

  Poet: Ahmad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*    Main To Sholon Ka Pujari Hon Mere Pas Na Aa. Apne Daman Muhabbat K Hasen Phol Liye. in Dil-Aaweez Baharoon Se Mujhe Rabt Nahi. Jab Koi Taza Kalli Nighat-O-Rangat Ki Palli. Shabnami Husan K Simeen Labaday Urrhe. Mast Palkon Pe Liye Subh-E-Jawani Ki Pholwaar. Mere Tapte Howe Mahol Mein Dar Aati Hai. To Mere Sard iradon Se Dhovan Uthta Hai. Meri Aankhon Mein Allaoo Se Dehek Jate Hain. Aur is Aatish-O-Zulmat K Ghane Laway Mein. Muskurati Hoi Shadab Kalli Ki Sansain. Chand Hi Lamhon Mein Ruk Jati Hain Phhak Jati Hain. Too K Too Bhi Hai Kaisi Zauq-E-Namu Se Sarshar. Mast Palkon Pe Liye Subh-E-Jawani Ki Pholwaar. Aik Anjaan Si Manzil Ko Brrhe Aati Hai. Dekh is Sholoon Ki Basti Ko Zara Ghoor Se Dekh. Har Qadam Par Jahan Angare Hi Angare Hain. Too Yahan Reh K Kabhi Phool Nahi Ban Sakti. Laaot Ja Paishtar is K Tere Hantoon Mein. Ahmreen Rass Ki Jaga Tund Shar

Wo Ada-e-Dilbari Ho K Nawa-E-Aashqana

    Poet Jigar Muradabadi    Wo Ada-e-Dilbari Ho K Nawa-E-Aashqana, Jo Dilon Ko Fatha Kar Le Wohi Fath-E-Zamana, Kabhi Husn Ki Tabiat Na Badal Saka Zamana, Wohi Naz-E-Beniazi Wohi Shan-E-Khusrowana, Main Hon Is Maqam Par Ab K Firaq-O-Wasal Kaise, Mera Ishq Bhi Kahani Tera Husn Bhi Fasana, Meri Zindagi To Guzri Teri Hijar K Sahare, Meri Mout Ko Bhi Pyare Koi Chahiye Bahana, Tere Ishq Ki Karamat Ye Agar Nahi To Kia Hai, Kabhi Beadab Na Guzra Mere Pas Se Zamana, Teri Doori-O-Hazoori Ka Hai Ajeeb Aalam, Abhi Zindagi Haqeeqat Abhi Zindagi Fasana, Main Wo Saf Hi Na Keh Don Jo Hai Farq Mujh Mein Tujh Mein, Tera Dard Dard-E-Tanha Mera Gham Gham-E-Zaman, Tere Dil K Tootne Par Hai Kisi Ko Naz Kia Kia, Tujhe Aye JIGAR Mubarik Ye Shikast-E-Fathhana.............!     

Sham Ki Maskan Mein Weeran Maye Kadde Ka Dar Khula

  Poet Muneer Niazi   Sham Ki Maskan Mein Weeran Maye Kadde Ka Dar Khula, Bab Guzri Sohbaton Ka Khawab K Andar Khula, Kuch Na Tha Juz Khawab-E-Wehshat Wo Wafa Us Ahad Ki, Raz Itni Deir Ka Us Umar Mein Aa Kar Khula, Jagmaga Utha Andhere Mein Aahat Se Wo, Ye Ajab Us But Ka Meri Aankh Par Johar Khula, Bun Mein Sargoshi Hoi Aasar-E-Abar-O-Baad Se, Band-E-Gham Se Jaise Ek Ashjar Ka Lashkar Khula, Sabza-E-Nao Rasta Ki Khusbo Thi Sahil Par, MUNEER Badlon Ka Rang Chatri Ki Tarha Sar Par Khula..............................!

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gir Raha

    Poet Muneer Niazi Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Naghma Gir Raha, Jab Tak Raha Main Sath Mere Ye Hunar Raha, Subh-E-Safar Ki Rat Thi Taare Thay Aur Hawa, Saya Sa Aik Deir Talk Baam Par Raha, Meri Sada Hawa Mein Bahut Door Tak Gai, Par Main Bula Raha Tha Jise Bekhabar Raha, Guzri Hai Kia Maze Se Khayalon Mein Zindagi, Doori Ka Ye Talsam Bara Kaargar Raha, Khof Aasman K Sath Tha Sar Pe Juka Howa, Koi Hai Bhi Ya Nahi Hai Yehi Dil Dar Raha, Us Aakhri Nazar Mein Ajab Dard Tha, MUNEER Jane Ka Us K Ranj Mujhe Umar Bhar Raha....................!

Milte Hi Khud Ko Aap Se Wabasta Keh Dia

    Poet Murtaza Barlaas (Amroha)    Milte Hi Khud Ko Aap Se Wabasta Keh Dia, Mehsoos Jo Kia Wohi Barjasta Keh Dia, Main Chup Howa To Zakham Mere Bolne Lage, Sab Kuch Zaban-E-Haal Se Lab Basta Keh Dia, Khorasheed Subh-E-Nao Ko Shikayat Hai Dosto, Kion Shab Se Hum Ne Subha Ko Piowasta Keh Dia, Chalta Raha To Dasht Noordi Ka Tanz Tha, Tehra Zara To Aap Ne Pabasta Keh Dia, Dekha To Aik Aag Ka Daria Tha Mojzan, Is Daor-E-Nasaza Ne Jise Rasta Keh Dia, Dekhi Gai Na Aap Ki Aazirda Khatri, Kante Mile To Un Ko Bhi Guldasta Keh Dia..........................!     

Mera Asal Aseel Udas Piya

    ====== PIYA ======   Mera Asal Aseel Udas Piya, Dil Jani Ramz Shanas Piya, Kabhi Aa Mil Tanha Logon Se, Mera Khason Mein Bhi Khas Piya, Teri Deed Ziarat Aankhon Ki, Teri Doori Dard Shanas Piya, Tera Lams Hawa Ki Siski Mein, Teri Phoolon Mein Bhi Baas Piya, Main Matti Barish Ki Tarsi Hoi, Too Ek Badli Sawan Si, Kabhi Baras Mere Bhi Daman Par, Mera Jal Jaye Banwas Piya, Bas Tere Din Hain Gardish Mein, Meri Soch, Bichaar Qayas Piya....................!    

Shairi Sach Bolti Hai


    =============== Shairi Sach Bolti Hai =============== Lakh Pardon Mein Rahon Bheid Mere Kholti Hai, Shairi Sach Bolti Hai Mein Ne Dekha Hai K Jab Meri Zaban Dolti Hai, Shairi Sach Bolti Hai Tera Israr K Chahat Meri Betab Na Ho, Waqif Is Gham Se Mera Halqa-E-Ahbab Na Ho, Too Mjhe Zabt K Sahraon Mein Kion Rolti Hai, Shairi Sach Bolti Hai Ye Bhi Kia Bat K Chup Chup K Tujhe Pyar Karon, Gar Koi Pooch Hi Baithe To Main Inkar Karoon, Jab Kisi Bat Ko Dunia Ki Nazar Tolti Hai, Shairi Such Bolti Hai Main Ne Is Fikr Mein Kaati Kai Ratain Kai Din, Mere Sheron Mein Tera Naam Na Aaye Lekin, Jab Teri Sans Meri Saans Mein Ras Gholti Hai, Shairi Such Bolti Hai Tere Jalwon Ka Hai Parto Meri Ek Ek Ghzal, Too Mere Jism Ka Saya Hai To Katra K Na Chal, Parda Dari To Khud Apna Hi Bharam Kholti Hai, Shairi Such Bolti Hai..........!    

Suno Tumhari Shadi Hai Na

    ============ Shadi Mubarik ============    Suno Tumhari Shadi Hai Na, Mujh Se Tohfa Manga Hai Na Tum Ne ? To Ye Bhi Batao K Main Kia Tohfa Don Tum Ko? Maathe Ka Teeka Don Ya Phir Naak Ki Nathli,? Ya Kaano K Jhumke Don ? Ya Rang-Ba-Rangi Choorian Don,? Ya Meethe Sur Mein Alaapti Sangeet, Pair K Liye Ghunghro Wali Payal ? Ya Suraai Jaisi Gardan K Liye, Sonay(Gold) Ka Locket Don, Magar Suno Jaana...! Ye To Main Pahle Tohfe De Chuka, To Phir Kion Na Main Teri Shadi Pe, Apna Toota Howa Dil Paish Karon, Mera Bhi Gham Kuch Kam Ho, Aur Tujhe Tohfa Bhi Mil Jaye, Ye Tohfa Gar Tum Ko Jaana, Qabool Hai To Mujhe Batana Jaana.............!     SHADI MUBARAK  Date 29-05-2013    

Koi Zabt De Na jalal De Mujhe Sirf Itna Kamal De

    Roman Version ====== HAMD ====== Koi Zabt De Na jalal De Mujhe Sirf Itna Kamal De Mujhe Apni Rah Mein Daal De K Zmana Meri Misal De Teri Rehmaton ka Nazool Ho Mujhe Mehnato Ka Sila Mile Mujhe Maal-O-Zar Ki Hawas Na Ho Mujhe Bas Too Rizq-E-Halal De Mere Zehn Mein Teri Fikar Ho Meri Saans Mein Tera Zikar Ho Tera Khof Meri Nijat Ho Sabhi Khof Dil Se Nikal De Teri Bargah Mein Aaye ALLAH Too RAHEEM Hai Too KAREEM Hai Mujhe Mushkilon Se Nikal De........................!    Urdu Version    کوئی ضبط دے نا جلال دے مجھے صرف اتنا کمال دے میں ہر ایک کی صدا بنوں کہ زمانہ میری مثال دے تیری رحمتوں کا نزول ہو میری محنتوں کا صلہ ملے مجھے مال وزر کی ہوس نا ہو مجھے بس تو رزق حلال دے میرے ذہن میں تیری فکر ہو میری سانس میں تیرا ذکر ہو تیرا خوف میری نجات ہو سبھی خوف دل سے نکال دے تیری بارگاہ میں اے اللہ میری روزوشب ہے یہی دعا تو رحیم ہے تو کریم ہے تو سبھی بلاؤں کو ٹال دے  

Ab Koi Chand Mera Hai Na Satara Mohsin

  Poet Mohsin Naqvi    Ab Koi Chand Mera Hai Na Satara Mohsin, Ab Kaha Jaon Ga Main Dard Ka Mara Mohsin, Mujh ko Tofan Mein Rehne Ki Bahut Aadat Hai, Mujh ko Le Jao Na Sahil Pe Khudara Mohsin, Dard Ki Raah Mein Tum Roz Chalo Gay Kab Tak, Ab Bhi Kar Sakte Ho Tum Hum Se Kinara Mohsin, Aag Lag Jati Hai Apno K Dilon Mein Jis Se, Karte Kion Ho Wohi Bat Dobara Mohsin, Rat Andhere Mein Mere Ghar Ko Jalaya Kis Ne, Mujh ko Ye Kaam Bhi Lagta Hai Tumhara Mohsin...............!   

Bahut Din Tak Na Phir Simta Karain Gay

    Poet Daaim Butt    Bahut Din Tak Na Phir Simta Karain Gay, Tumhain Youn Toot Kar Chaha Karain Gay, Teri Her Saans Ko Orrhenge Tan Par Tere Har Naqish Ko Chooma Karain Gay, Tumhain Chahat Se Bhar Kar Bazo'on Mein, Bhari Barsat Mein Bheega Karain gay Sunhairi Dhoop K Kirno K Neeche, Tere Zaano Pe Sar Rakha Karain Gay, Zamana Rashk Se Daikhe Ga Hum ko Kahein Jab Sath Mein Guzra Karain Gay, Tere Bin Hum Magr A Jaan-e-Daim, Koi Sapna Kahan Poora Karain Gay..................!    

Ratain Hain Udas Din Karri Hain

  Poet: Ahmad Faraz   Ratain Hain Udas Din Karri Hain. Aye Dil Tere Hosle Barre Hain. Aye Yaad Habeeb Sath Dena. Kuch Marhale Sakht Aa Parre Hain. Rukna Howa Agr To So Bahane. Jana Ho To Raste Barre Hain. Ab Kaise Batain Waja-E-Garia. Jab Aap Bhi Sath Ro Parre Hain. Ab Jane Kahan Naseeb Le Jaye. Ghar Se To FARAZ Chal Parre Hain..........! Book: Tanha Tanha Page: 127 Ghazal: 72  

Sone Hi Kahan Dega Ye Mehtab Adhoora

Sone Hi Kahan Dega Ye Mehtab Adhoora Rehne De Meri Aankh Mein Ik Khuwaab Adhora Us Simat Hi Chalte Hein Liye Naao Ko Apni Reh Jaye Na Panni Mein Ye Girdaab Adhoora Toota Tu Ose Goad Liya Lehroon Ne Barrh Kar Phr Behta Raha Phool Sar-E-Aab Adhoora Shaayer Ka Gumaan Guzraa Jahaan Koi Bhi Daikha Ik Shakhs K Bhikhra Huwa Betaab Adhoora Ab Un Se Kahan Rakhain Hum Umeed e Taklum Laate Hein Baja Bazam Mein Aadab Adhoora Rakhshanda Shab-O-Rooz Likha Sifhaa Dil Per Reh Jaye Na Aakhir Mein Wahi Baab Adhoora.........!    

Cherain Gay Wohi Qisa-E-Gham Aur Tarha Se

  Poet Amjid Islam Amjid    Cherain Gay Wohi Qisa-E-Gham Aur Tarha Se, Lain Gay Tujhe Rah Pe Hum Aur Tarha Se, Sajde Mein Jabeen Seene Mein Pandar Khudai,! Ab Aaye Hain Kabe Mein Sanam Aur Tarha Se, Hota Hai Gumaan Un Pe Kisi Dast-E-Talb Ka, Ab Khole Hain Yaron Ne Alam Aur Tarha Se, Hai Kaam Musawaat-E-Muhammad Ko Mitana, Karta Hai Arab Aur Ajam Aur Tarha Se, Hum Sochte Rehte Hain Atta Aur Tarha Ki, Deta Hai Tera Dast-E-Karam Aur Tarha, Marte To Shaheedan-E-Mohabbat Bhi Hain, AMJID Jate Hain Magar Sooye Adam Aur Tarha Se.......................! Book (Zara Phir Se Kehna)   

Mere Hath Mein Jo Thi Tere Naam Ki Angoothi

    ========= ANGOOTHI =========    Mere Hath Mein Jo Thi Tere Naam Ki Angoothi, Meri Jan Pe Ban Aai Hai Meri Jan Ki Angoothi, Tere Bina Na Chamakti Hai Na Hi Mehakti Hai, Shayad Hai Aadi Teri Tere Pyar Ki Angoothi, Kaise Taluqat Rakhon Main Dunia Walon Se Ab, Hath Uthata Hon Rok Deti Hai Bejan Si Angoothi, Kisi Aur Ko Apna Banaon Ya Ban Jaon Kisi Ka, Ye Sab Sochne Tak Nahi Deti Nadaan Si Angoothi, Dast-E-Dilshad Ko Kar K Khareed Aur Phir, Khud Ban Gaye Koocha-E- Shehr Aur Makan Si, Angoothi...................!    

Tere Hote Howe Mefil Mein Jalate Hain Charagh

  Poet: Ahmad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*    Tere Hote Howe Mefil Mein Jalate Hain Charagh. Log Kia Sada Hain Suraj Ko Dekhate Hain Charagh. Apni Mehromi K Ehsaas Se Sharminda Hain. Khud Nahi Rakhte To Auron K Bujate Hain Charagh. Bastiyan Door Hoi Jati Hain Rafta Rafta. Dam Ba Dam Aankhon Se Chopte Chale Jate Hain Charagh. Kia Khabar Un Ko K Daman Bhi Bharak Uthte Hain. Jo Zamane Ki Hawaon Se Bachte Hain Charag. Go Seesa Bakhat Hain Hum Log Par Roshan Hai Zameer. Khud Andheron Mein Hain Dunia Ko Dekhate Hain Charag. Bastiyan Chand Sitaron Ki Basane Walo. Kuraharz Pe Bujte Chale Jate Hain Charag Ayse Be Dard Howe Hum Bhi K Ab Gulshan Par. Barq Girti Hai To Zandaan Mein Jalate Hain Charag. Aysi Tareekiyan Aankhon Mein Basi Hain K FARAZ. Rat To Rat Hai Hum Din Ko Jalate Hain Charag.......! Bk: Tanha Tanha Page: 114 to 115 Ghazal: 64   

Dil Jo Kehta Hai Chalo Kar Dekho

  Poet: Ahmad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*    Dil Jo Kehta Hai Chalo Kar Dekho. Kaisi Be-Dard K Ho Kar Dekho. Lizat-E-Gham Bhi Ajab Nasha Hai. Dost Ki Yaad Mein Ro Kar Dekho. Zindagi Silsila Khawab-E-Tarb. Saya Zulf Mein So Kar Dekho. Katni Tasqeen Hai Ehsaas Ki Maot. Kabhi Divana To Ho Kar Dekho. Kitna Dilkash Hai Jahan-E-Guzraan. Dil K Aaine Ko Dho Kar Dekho. Mah-O-Anjum Bhi Thay Aabad Kabi. in Kharabon Se Bhi Ho Kar Dekho. Resha Gul Mein Bhi Hai Muje Khoon. Khar Ki Nook Chhbo Kar Dekho. Aoos Ki Bund Bhi Hai Sheesh-Nagar. Aankh Ashkon Se Bhego Kar Dekho, Zaray Zaray Mein Hai Aabad Jahaan. Khud Ko Har Shay Mein Samo Kar Dekho. Shab K Sanaton Mein Wo Baat Kahan. Din K Hangamo Mein Khoo Kar Dekho. Tum Bagolon K Khudawand Sahi. Aatish-E-Gul To Faro Kar Dekho. Jo Diye Le K Nikalte Hain FARAZ. Wo Bhi Kha Jate Hain Thokar Dekho.........!     Book: Tanha Tanha Page No: 9

Safar Mein Dhoop To Ho Gi Jo Chal Sako To Chalo

    Poetess Nida Fazli    Safar Mein Dhoop To Ho Gi Jo Chal Sako To Chalo, Sabhi Hain Bheer Mein Tum Bhi Nikal Sako To Chalo, Idhar Udhar Kai Manzil Hain Chal Sako To Chalo, Bane Banaye Hain Sanche Jo Dhal Sako To Chalo, Kisi K Wasate Rahain Kahan Badalati Hain, Tum Apane Aap Ko Khud Hi Badal Sako To Chalo, Yahan Kisi Ko Koi Rasta Nahi Deta, Mujhe Gira K Agar Tum Sambhal Sako To Chalo, Yehi Hai Zindagi Kuch Khaak Chand Ummeedain, Inhi Khilono Se Tum Bhi Behal Sako To Chalo, Har Ek Safar Ko Hai Mehafoos Raston Ki Talash, Hifazaton Ki Rawayat Badal Sako To Chalo, Kahein Nahi Koi Soraj Dhowaan Dhowaan Hai Fiza, Khud Apane Aap Se Bahir Nikal Sako To Chalo............!    

Tum Aaye Ho Na Shab-E-Intizar Guzari Hai

  Poet Ahmad Faraz    Tum Aaye Ho Na Shab-E-Intizar Guzari Hai, Talash Mein Hai Seher Bar Bar Guzari Hai, Janoon Mein Jitni Bhi Guzari Bekaar Guzari Hai, Agarche Dil Pe Kharabi Hazar Guzari Hai, Hoi Hai Hazrat-E-Naaseh Se Guftago Jis Shab, Wo Shab Zaroor Sar-E-Koo-E-Yar Guzari Hai, Wo Bat Sare Fasane Mein Jis Ka Zikar Na Tha, Wo Bat Un Ko Bahut Nagvar Guzari Hai, Na Gul Khile Hain Na Un Se Mile Na May Pee Hai, Ajeeb Rang Mein Ab K Bahar Guzari Hai, Chaman Pe Garat-E-Gulcheen Se Jane Kia Guzari, Qafas Se Aaj Saba Beqarar Guzari Hai...................!  

Is Ada Se Kabhi Aa Kar Guzro

  Poet: Ahmad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*   Is Ada Se Kabhi Aa Kar Guzro. Dil K Sehra Ko Basa Kar Guzro. Sang-E-Khara Hai Zamane Ki Nazar. Dil K Aaine Bacha Kar Guzro Roshni Rehbar-E-Rahazan Bhi To Hai. Rahiyo Shamain Buja Kar Guzro. Kon Jane K Ye Pathar Hain K Log. Dasht-E-Gurbat Mein Sada Kar Guzro. Koi Kanta Ho K Shabnam Ho K Phol. Sub Ko Aankhon Se Laga Kar Guzro Safr-E-Shoq Ho Ya Manzil-E-Gham. Koi Hangama Utha Kar Guzro. Charrtd Suraj K Pujari Na Bano. Apne Saye Mein Sama Kar Guzro. Waqt Ne Sath Dia Hai Kais Ka. Ji Mein Jo Aaye Sada Kar Guzro. Phele Divano Ki Rasmain Thien Yehi. Khon Kanton Ko Pilla Kar Guzro. Aik Pal Thhero Bagoloon Ki Tarha. Aur Pher Khak Urra Kar Guzro. Ya To Mujon K Shanasa Na Bano. Ya Kinaron Ko Baha Kar Guzro. Dil Ajeeb Shehr Hai Hangamon Ka. Kabhi is Samat Bhi Aa Guzro Too San-E-Waqt Ki Raftaar K Sath. Barq K Pankh Laga Kar Guzro. Fikaro idraak K Daroon Mein FARAZ. Mishal-E-Tabh Jala Kar

Har Humsafar Hai Aabla Pa Dekhte Raho

  Poet: Ahmad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*    Har Humsafar Hai Aabla Pa Dekhte Raho. Yaro Palat Palat K Zara Dekhte Raho. Kais Kais Ko Apni Apni Rafaqt Pe Zam Hai. Hota Hai Kon Kon Juda Dekhte Raho. Har Fasal-E-Gul Hai Ghair-Yaqeeni Si in Dinon. Sar Sar Chale K Bad-E-Saba Dekhte Raho. Sunte Raho K Waqt Ne Badli Hai Ragni. Dam Bhar Mein inqalab Howa Dekhte Raho. Tha Kal To Aik Naraye Mansoor Bhi Garaan. Aur Ab K Senkrron Hain Khuda Dekhte Raho. Yaro Palak Jhapkte Hi Lotte Hain Qafle. Yan Kudkashi Hai Lagzish-E-Pa Dekhte Raho. Ehbaab Koye Dar-O-Rasn Tak Phunch Gaye. Aur Tum FARAZ Dast-E-Saba Dekhte Ho.....! Book Tanha Tanha Page No: 81 to 82 Ghazal No: 44  

Kis Qadar Aag Barsti Hai Yahan

  Poet: Ahamad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*   Kis Qadar Aag Barsti Hai Yahan. Kalq Shabnam Ko Tarasti Hai Yahan. Sirf Andisha Affi Hi Nahi. Phol Ki Shakh Bhi Dasti Hai Yahan. Ruk Kidhar Morr Gia Hai Daria. Ab Na Wo Log Na Basti Hai Yahan. Zinda Dar-Go Howe Ehl-E-Nazar. Kais Qadar Murda Parasti Hai Yahan. Zeest Wo Habs-E-Garaan Hai FARAZ. Maot K Mool Bhi Sasti Hai Yahan.........!     Book Tanha Tanha Page No: 80 Ghazal No: 43  

Jab Jag Uthe Wo Subha Ko Har Dukh Ya RAB

    ============= Morning Ghazal =============    Jab Jag Uthe Wo Subha Ko, Har Dukh Ya RAB So Jaya Kare, Wo Komal Phoolon Jaisa Hai, Koi Gham Na Us Par Aaya Kare, Har Subha Us Ki Aisi Ho Ghar Khushion Se Bhar Jaya Kare, Sada Muskaraye Us Ka Ghar, Har Phool Wahan Khil Jaya Kare, Jab Jag Uthay Wo Subha Ko, Har Gham Ya RAB So Jaya Kare.................! Good Morning    

Na Jhoot Bolein Gay Na Rakhain Gay Koi Bad Gumani

  ============= PRAIM KAHANI =============    Na Jhoot Bolein Gay Na Rakhain Gay Koi Bad Gumani,, Teri Meri Sachi Ho gi Praim Kahani,, Meri Shairi Mein Ho Tazkra Teri Wafa Ka,, Tairy Hontoon Py Ho Mairi Kahaani,, Bhar Loon Tujhy Baahoon Mein,, Chhorron Ek Hontoon Py Koi Nishaani,, Payasa Hoon Preet Ka Main Sajna,, Seeny Sy Laga Kar Pila Jawani Ka Paani,, Chhupa Lo Mujhy Sary Jahaan Sy Tum,, Main Bhi Kar Guzaroon Aisi Koi Nadani,, RAAHI Ny Jorra Hai Naata Janam Janam Ka,, Saath Tum Nibhana Umer Bhar Hogi Mehrbaani,    

Saqi Tere Maye khane Mein Dil Bahlane Aaya Hon

  ============ Sharabi Ghazal ============  TaYpEd BY ZAHID MAHMOOD Saqi Tairy May-Khany Mein Dil Bahlany Aaya Hoon,, Aag Lagi Hai Ek Mann Mein Sharab Sy Bhujhany Aaya Hoon,, Gham Mila Hai Mohabbat Mein Jo,, May-Khany Mein Un Ko Dafnaany Aaya Hoon,, Saqi Pila Dy Aaj Aankhoon Sy Angoor Ka Rass,, Jaam Sy Na Pila Tairy Hontoon Sy Peeny Aaya Hoon,, Gham-E-Yaar Ny Sony Na Diya Barasoon Sy,, Binnat-E-Angoor Ki Aaghosh Mein Sony Aaya Hoon,, Pila Itni K Ho Do Chaar Pall Sukoon Dil Ko,, Paas Tairy Ye Umeed Ly Kar Aaya Hoon,, RAAHI Ko Dunya Sy Koi Gharaz Nahein Ay Saqi,, Taa-Hayaat Paas Tairy Rahny Aaya Hoon,,  

Mulokiyat K Mehal Ki Gunahgaar Kaneez

  Poet: Ahmad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*    Mulokiyat K Mehal Ki Gunahgaar Kaneez. Wo Juram Kia Tha K Tujh Ko Saza-E-Marg Meli. Wo Raaz Kia Tha K Tazeer-E-Narva K Khilaf. Teri Nigah Na Bhhrrki Teri Zubaan Na Heli. Wo Konsa Tha Gunah-E-Azeem K Jais K Subbab. Har Aik Jabr Ko Too Seh Gai Bateeb-E-Dili. Yehi Suna Hai Bas Atna Qasoor Tha Tera. K Too Ne Qasr K Kuch Talkh Bhaid Jane Thay. Teri Nazar Ne Wo Khaloot-Kadon K Dagh Gine. Jo Khawajgi Ko Zar-O-Seem Mein Chopate Thay. Tujhe Ye ilam Nahi Tha K is Khata Ki Saza. Hazaar Toq-O-Salasil Thay Taziyane Thay, Ye Rasm Tazah Nahi Hai Agr Teri Lagzish. Mezaj-E-Qasr-Nishaan Ko Nagwar Hoi. Humaish Unche Mehlat K Bharam K Liye. Har Aik Door Mein Tazeen-E-Toq-O-Daar Hoi. Kabhi Chuni Gai Divaar Mein Anaar-Kali. Kabhi Shakantala Pathrao Ka Shekar Hoi. Magr Ye Takht Ye Sultaan Begmaat Ye Qasr. Murkheen Ki Nazron Mein Begunah Rahe. Bagheen-E-Waqt Agr Ko

Agr Kisi Se Marsim Barhane Lagte Hain

  Poet: Ahmad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*   Agr Kisi Se Marsim Barhane Lagte Hain. Tere Faraq K Dukh Yaad Aane Lagte Hain. Humain Sitam Ka Gila Kia, K Ye Jahan Wale. Kabhi Kabhi Tera Dil Bhi Dukhane Lagte Hain. Safeene Chorr K Sahil Chale To Hain Lekin. Ye Dekhna Hai K Ab Kais Thekane Lagte Hain. Palk Jhapakte Hi Dunia Ujarr Diti Hai. Wo Bastiyan Jinhain Baste Zamane Lagte Hain. FARAZ, Melte Hain Gham Bhai Naseeb walon Ko. Har Eik Hath Kahan Ye Khazane Lagte Hain......! Book Tanha Tanha Page No: 51 Ghazal No 23  

Har Aik Dil Ko Talab Har Nazar Savali Hai

  Poet: Ahamad Faraz Type By *._Ayaz Khan_.*   Har Aik Dil Ko Talab Har Nazar Savali Hai. K Shehr-E-Hosn Mein Jalwon Ki Qehat Sali Hai. Kahan Hai Dost K Aashub-E-Daher Se Mein Ne. Tere Kayaal Ki Aasudgi Bachali Hai. Bata Raha Hai Fiza Ka Attoot Sanata. Ufaq Se Pher Koi Aandhi Utarne Wali Hai. Laraz Rahe Hain Shagufe Chaman Mein Khelte Howe. Hainaye Dast-E-Saba Mein Lahu Ki Lali Hai. Piyo Sharab K Nash Ne Zehar Bhi Day Kar. Humari Jurate Randana Aazmali Hai. Pher Aaj Dana Gandum K Silsile Mein FARAZ. Kaisi KHUDA Ne Meri Khald Bich Dali Hai........!   Book: Tanha Tanha Page No: 33 Ghazal No: 12  

Jab Main Chota Sa Ek Larka Tha

  ================ HATH KI LAKEER ================   Poet Wasi SHAH    Jab Main Chota Sa Ek Larka Tha, Raah Main Ek Najoomi Ne Mujhe Roka Tha, Ghor Se Dekha Tha Us Ne Meri Hatheli Ko, Jaise Boojay Koi Kisi Paheli Ko, Kuch Dair Youn Hi Wo Dekhta Raha, Phir Aah Bhari Aur Kehne Laga, Aay Bache Ye Jo Tere Hathon Ki Lakeerain Hain In Mein Maine Tera Jeevan Dekha Hai, Ek Khoobsorat Larki Tere Dil Ko Tore Gi Ek Bhi Sapna Tere Pas Na Chore Gi Too Ro Ro K Hath Barhaye Ga Par Chanda Tere Hath Na Aaye Ga Aay Bache Ye Too Kia Likhwa Laya Hai Gham Hi Gham Tere Hise Mein Aya Hai Ek Din Tujh Pe Aisa Bhi Waqt Aana Hai Log Kahen ge Pagal Hai, Deewana Hai Bhatke Ga Dar-o-Deewaar Aas Liye Mar Jaye Ga Nadi Kinare Piyas Liye Ghamon Ka Itna Lamba Saath Nahi Dekha Main Ne Aaj Tak Aisa Hath Nahi Dekha.........!   

Zindagi Se Ye Hi Gila Hai Mujhe

  POET: AHMAD FARAZ    Zindagi Se Ye Hi Gila Hai Mujhe, Too Bahut Dair Se Mila Hai Mujhe, Too Mohabbat Se Koi Chaal To Chal, Haar Jane Ka Hosla Hai Mujhe, Dil Dharakta Nahi Tapakta Hai, Kal Jo Khawahish Thi Aabla Hai Mujhe, Hamsafar Chahiye Hajoom Nahi, Ek Musafir Bhi Qafila Hai Mujhe, Kohkan Ho K Kis Haal K "FARAZ" Sab Mein Ek Shakhs Hi Mila Hai Mujhe.........!   

Hai Sang-E-Khamoshi Pe Fiza Sar Dhare Howe

  Poet: Muzafar Warsi Type By *._Ayaz Khan_.*    Hai Sang-E-Khamoshi Pe Fiza Sar Dhare Howe. Aabad Ghar Bhi Ghar Na Howe Maqbare Howe. Har Shakhs Hai Hanoot Shuda Lash Ki Tarha. Aankhon Mein Terte Hain Manazar Mare Howe. Pheli Hai Yuon To Shehr Mein Har Samt Roshni. Pherte Hain Log Saye Se Apne Dare Howe. Talwaar Kia Kaisi Pe Uthaye Ga Wo Jari. Hain Jais K Dono Hath Dua Se Bhare Howe. is Door-E-Khod Fareeb Se Hon Khoob Aashna. Mujh Se Mere Khilaf Yahan Mashware Howe. Jee Bhar K Khak Bhi Na MUZAFAR Urra Saka. Tapka Laho Jo Zakham Se Jangal Hare Howe.....!   Bk: Baraf Ki Nao Page: 77