Posts

Showing posts from August, 2016

Meri Aankhon Ke Daam Pory Do ! Main Ny Khuwabon Samait Bechi Thein !

Image
میری آنکھوں کے دام پورے دو  ! میں نے خوابوں سمیت بیچی تھیں ! Meri Aankhon Ke Daam Pory Do ! Main Ny Khuwabon Samait Bechi Thein !

Kisi Bhi Teer Par Mila Na Mera Naam Muqaam-e-Sharm Hai Shehr Ki Larkio

Image
Kisi Bhi Teer Par Mila Na Mera Naam Muqaam-e-Sharm Hai Shehr Ki Larkio (Razab Tabraiz)

Ho Jins Tou Mukhlif Ho Yaar To Shetan Do Bhool Bholaion Mein Yak Nuqta Hoi Jaan

Image
Ho Jins Tou Mukhlif Ho Yaar To Shetan Do Bhool Bholaion Mein Yak Nuqta Hoi Jaan Seena Hai Pari Khana Aurat Hai Parizaad Adam Ka Fi Zamana Do Baton Par Emaan (Razab Tabraiz)  

Mansoob thay jo log meri zindagi kay sath

Mansoob thay jo log meri zindagi kay sath  Akser woh he milay hain bari bay rukhi kay sath

Muhabbat Kis Qadar Yaas Afreen Maloom Hoti Hai

محبت کس قدر یاس آفریں معلوم ہوتی ہے ترے ہونٹوں کی ھر جنبش نہیں معلوم ہوتی ہے یہ کس کے آستاں پر مجھ کو ذوق سجدہ لے آیا کہ آج اپنی جبیں اپنی جبیں معلوم ہوتی ہے محبت تیرے جلوے کتنے رنگا رنگ جلوے ہیں کہیں محسوس ہوتی ہے کہیں معلوم ہوتی ہے جوانی مٹ گئی لیکن خلش درد محبت کی جہاں معلوم ہوتی تھی وہیں معلوم ہوتی ہے امید وصل نے دھوکے دیے ہیں اس قدر حسرت کہ اس کافر کی ہاں بھی اب نہیں معلوم ہوتی ہے چراغ حسن حسرت

Umeed a purshish a gham kis say keejyaa Nasir

Umeed a purshish a gham kis say keejyaa Nasir   Jo Apnay dil pay guzerti hai koi Kia Janay  Nasir Kazmi

Ak diya dil main jalana bhi , bujha bhi daina Yaad kerna bhi usay roz, bhula bhi daina

Ak diya dil main jalana bhi , bujha bhi daina  Yaad kerna bhi usay roz, bhula bhi daina  Kia kahon yeh Meri chahat hai , ya nafrat us Ki ?  Nam likhna bhi mera , likh Kay mita bhi daina  Pher Na milnay ko bichertay tu hon , Tujh say likn   Mer Kay daikhon tu palatnay Ki dua bhi daina  Khat bhi likhna usay,mayoos bhi rahna us say  Jurm kerna bhi mager, khud ko saza bhi daina  Mujh ko rasmo ka takaluf bhi gawara likin  Ji main aayaa tu yeh dewar bhi gera daina  Us say mansoob bhi kerlaina puranay qissay  us Kay balon main naya phool saja bhi daina  Surat a naqsh a qadam, dasht main rahna Mohsin  Apnay honay say Na honay ka pata bhi daina

Harf e ranjish pe koi baat bhi ho sakti ha

Harf e ranjish pe koi baat bhi ho sakti ha aen mumkin ha,mulaqat bhi ho sakti ha zindgi phool ha,khushboo ha,magar yaad rahay zindgi gardish e haalaat bhi ho sakti ha hm ne ye soch k rakha thaa qadam gulshan main lala o GUL main teri zaat bhi ho sakti ha ek to chtt k bina ghar ha hamara MOHSIN US PE YE KHAUF,K BARSAAT BHI HO SAKTI HA

DOOBTAY WAQT ,ZARD THA ITNA

Image
DOOBTAY WAQT ,ZARD THA ITNA LOG SAMJHAY,K,MAR GYA ,SOORAJJJJ

Khuli Jo Aankh Toh Woh Tha Na Voh Zamaana Tha Dahakati Aag Thi, Tanhaayi Thi, Fasaana Tha

Khuli Jo Aankh Toh Woh Tha Na Voh Zamaana Tha Dahakati Aag Thi, Tanhaayi Thi, Fasaana Tha Ghamo'n Ne Baant Liya Hai Mujhe Yun Aapas Mein Keh Jaisey Mein Koyi Luuta Hua Khazaana Tha

Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar

Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar Tujhe de gi jeene ka hosla, meri yaad rakh le sambhal kar Ye bhi kya ke ek hi shakhs ko kabhi sochna, kabhi bhoolna Jo na bujh sake wo diya jala, jo na ho sake wo kamal kar   Gham-e-arzu meri justju, mei simat ke aa gaya ru-baru Ye sukoot-e-marg hai kis liye? mei jawab doon tu sawal kar   Tu bichhar raha hai to soch le, tere hath hai meri zindgi Tujhe rokna meri mot hai, meri be`bsi ka khayal kar Mre dard ka, mre zabt ka, meri be-basi, mere sabr ka Jo yakeen na aaye to dekh le, tu hawa mein phool uchaal kr

Aik Zameen Teen Shair Poet:Nazeer Akbar Abadi,Abid Sial,Ameer Meenai

Image

Ulfat Ki Ghazal Inn Dino Zer-e-Tameer Hai Har Zakham Se Darkaar Hai Chanda Haroof Ka

Image
Ulfat Ki Ghazal Inn Dino Zer-e-Tameer Hai Har Zakham Se Darkaar Hai Chanda Haroof Ka (Razab Tabraiz)

Kuch Haseen Aur Daad Laity Hain Chaand Ke Ro-ba-Ro Khare Ho Kar

Image
Kuch Haseen Aur Daad Laity Hain Chaand Ke Ro-ba-Ro Khare Ho Kar (Razab Tabraiz)

Main Dosre Rukhsaar Ko Bhi Choom Lon Zara Ik Baar Phir Se Danton Mein Dabaiye Ga Hont

Image
Main Dosre Rukhsaar Ko Bhi Choom Lon Zara Ik Baar Phir Se Danton Mein Dabaiye Ga Hont (Razab Tabraiz)

Bulhey Shah Zeher Vekh Ke Peeta Tey Ki Peeta Ishq Soch Ke Keeta Tey Ki Keeta

Image
Bulhey Shah Zeher Vekh Ke Peeta Tey Ki Peeta Ishq Soch Ke Keeta Tey Ki Keeta Dil Dy Ke Dil Lein Di Aas Rakhi Way "BULHEYA" Piyar Iho Jiya Keeta Tey Ki Keeta

Phool Par Aa Ke Baithi To,Khud Par Itrana Bhool Gayi Aisi Mast Hoi Wo Titli,Par Phailana Bhool Gayi

پھول پر آ کے بیٹھی تَو، خود پر اِترانا بُھول گئی ایسی مست ہُوئی وہ تتلی' پَر پھیلانا بُھول گئی کلیوں نے ہر بھنورے تتلی سے پوچھا ہے اُس کا نام بادِ صبا جس پھول ک ے گھر سے لَوٹ کے آنا بُھول گئی ایسا کِھلا وہ پُھول سا چہرہ، پھیلی سارے گھر میں خوش بُو خط کو چُھپا کر پڑھنے والی، راز چُھپانا بُھول گئی اپنے پرانے خط لینے وہ آئی تھی میرے کمرے میں میز پہ دو تصویریں دیکِھیں، خط لے جانا بُھول گئی برسوں بعد مِلے تو ایسی پیاس بھری تھی آنکھوں میں بُھول گیا مَیں بات بنانا، وہ شرمانا بُھول گئی ساجن کی یادیں بھی، خاوَر   ! کِن لمحوں آ جاتی ہیں گوری آٹا گُوندھ رہی تھی، نمک مِلانا بُھول گئی (خاور احمد) Phool Par Aa Ke Baithi To,Khud Par Itrana Bhool Gayi Aisi Mast Hoi Wo Titli,Par Phailana Bhool Gayi Kalion Ne Har Bhunre Titli Se Pocha Hai Uska Naam Baad-e-Saba Jis Phool Ke Ghar Se Laot Ke Aana Bhool Gayi Aisa Khila Wo Phool Sa Chehra,Phaili Saare Ghar Mein Khushbo Khat Ko Chhupa Kar Parhne Wali,Raaz Chhupana Bhool Gayi Apne Purane Khat Laine Wo Aayi Thi M...

Paiwast Hai Jo Dil Mein,Wo Teer Khenchta Hon Ik Rail Ke Safar Ki Tasveer Khenchta Hon

جنگل کی شہزادی پیوست ہے جو دل میں، وہ تیر کھینچتا ہوں اک ریل کے سفر کی تصویر کھینچتا ہوں گاڑی میں گنگناتا مسرور جا رہا تھا اجمیر کی طرف سے جے پور جا رہا تھا تیزی سے جنگلوں میں یوں ریل جا رہی تھی لیلیٰ ستار اپنا گویا بجا رہی تھی خورشید چھپ رہا تھا رنگیں پہاڑیوں میں طاؤس پر سمیٹے بیٹھے تھے جھاڑیوں میں کچھ دُور پر تھا پانی، موجیں رکی ہوئی تھیں تالاب کے کنارے شاخیں جھکی ہوئی تھیں لہروں میں کوئی جیسے دل کو ڈبو رہا تھا میں سو رہا ہوں، ایسا محسوس ہو رہا تھا اک موجِ کیف پرور دل سے گزر رہی تھی ہر چیز دلبری سے یوں رقص کر رہی تھی تھیں رخصتی کرن سے سب وادیاں سنہری ناگاہ چلتے چلتے جنگل میں ریل ٹھہری کانٹوں پہ خوبصورت اک بانسری پڑی ہے دیکھا کہ ایک لڑکی میدان میں کھڑی ہے زاہد فریب، گل رخ، کافر، دراز مژگاں سیمیں بدن، پری رخ، نوخیز، حشر ساماں خوش چشم، خوبصورت، خوش وضع، ماہ پیکر نازک بدن، شکر لب، شیریں ادا، فسوں گر کافر ادا، شگفتہ، گل پیرہن، سمن بُو سروِ چمن، سہی قد، رنگیں جمال، خوش رو گیسو کمند، مہ وش، کافور فام، قاتل نظارہ سوز، دلکش، سرمست، شمعِ محفل ابرو...

Sab Bhokey Mar Rahe Hain Teri Be-Rukhi Ke Hathon Tere Aabroun Se Lepty Ye Be-Rozgar Ishary

Image
Sab Bhokey Mar Rahe Hain Teri Be-Rukhi Ke Hathon Tere Aabroun Se Lepty Ye Be-Rozgar Ishary (Razab Tabraiz)

Zehen Se Khurch Laita Hon Purane Khush Feham Dhabby Main Aksar Khurdre Alfaaz Ko Zaaya Nahi Karta

Image
Zehen Se Khurch Laita Hon Purane Khush Feham Dhabby Main Aksar Khurdre Alfaaz Ko Zaaya Nahi Karta (Razab Tabraiz)

Khenchi Hai Tasawwar Mein Tasveer-e-Hum-Aaghoshi,Ab Hosh Na Aane Dy Mujh Ko Meri Be-Hoshi

کلام: بیدم شاہ وارثی غیر مردف غزل کھینچی ہے تصّور میں تصویر ہم آغوشی اب ہوش نہ آنے دے مجھ کو میری بے ہوشی پا جانا ہے کھو جانا ، کھو جانا ہے پا جانا بے ہوشی ہے ہشیاری ،ہشیاری ہے بے ہوشی میں ساز حقیقت ہوں ، دمساز حقیقت ہوں خاموشی ہے گویائی ، گویائی ہے خاموشی اسرار محبت کا اظہار ہے نا ممکن ٹوٹا ہے نہ ٹوٹے گا قفل در خاموشی ہر دل میں تجّلی ہے اُن کے رخ روشن کی خورشید سے حاصل ہے ذروں کو ہم آغوشی جو سنتا ہوں سنتا ہوں میں اپنی خموشی سے جو کہتی ہے کہتی ہے مجھ سے مری خاموشی یہ حسن فروشی کی دکان ہے یا چلمن نظّارہ کا نظّارہ ہے ،روپوشی کی روپوشی یاں خاک کا ذرہ بھی لغزش سے نہیں خالی میخانۂ دنیا ہے یا عالم بے ہوشی ہاں ہاں مرے عصیاں کا پردہ نہیں کھلنے کا ہاں ہاں تیری رحمت کا ہے کام خطا پوشی اس پردے میں پوشیدہ لیلائے دو عالم ہے بے وجہ نہیں بیدم کعبے کی سیہ پوشی

Tu Rah Nurad-e-Shouq Hai,Manzil Na Kar Qubool Laila Bhi Humnasheen Ho Tou Mahmal Na Kar Qubool

 سلطان ٹيپوکی وصيت تو رہ نورد شوق ہے ، منزل نہ کر قبول ليلي بھي ہم نشيں ہو تو محمل نہ کر قبول اے جوئے آب بڑھ کے ہو دريائے تند و تيز ساحل تجھے عطا ہو تو ساحل نہ کر قبول کھويا نہ جا صنم کدہ کائنات ميں محفل گداز ! گرمي محفل نہ کر قبول صبح ازل يہ مجھ سے کہا جبرئيل نے جو عقل کا غلام ہو ، وہ دل نہ کر قبول باطل دوئي پسند ہے ، حق لا شريک ہے شرکت ميانہ حق و باطل نہ کر قبول (ضربِ کلیم)    Tu Rah Nurad-e-Shouq Hai,Manzil Na Kar Qubool Laila Bhi Humnasheen Ho Tou Mahmal Na Kar Qubool Aye Joy-e-Aab Bad Ke Ho Darya-e-Tund-o-Taiz Sahil Tujhe Aata Ho Tou Sahil Na Kar Qubool Khoya Na Ja Sanam Kadah Kainaat Mein Mehfil Gudaaz ! Garmi-e-Mehfil Na Kar Qubool Subah Azal Ye Mujhe Se Kaha Jibrail (A.S) Ne  Jo Aqal Ka Ghulam Ho, Wo Dil Na Kar Qubool Batil Doi Pasand Hai,Haq La Shareek Hai  Shirkat Miana Haq-o-Batil Na Kar Qubool (Zarb-e-Kaleem)  

Roka Jo Ik Naqaab Pe Apni Nigaah Ko Sach Ke Hoe Gulabi Hont Aur Sil Gaye

Image
Roka Jo Ik Naqaab Pe Apni Nigaah Ko Sach Ke Hoe Gulabi Hont Aur Sil Gaye (Razab Tabraiz)

Qayamat Ho To Sakti Hai Karamat Ho Nahi Sakti Keh Mannat Wo Nahi Sunty Ken Minnat Hum Nahi Karty

Image
Qayamat Ho To Sakti Hai Karamat Ho Nahi Sakti Keh Mannat Wo Nahi Sunty Ken Minnat Hum Nahi Karty  (Razab Tabraiz)

Ta'ajub Hai Roz KhiltyHain Muafi Ke Ba-Wajood Har Bad-Gumaan Hont Pe Meri Saza Ke Phool

Image
  Ta'ajub Hai Roz KhiltyHain Muafi Ke Ba-Wajood Har Bad-Gumaan Hont Pe Meri Saza Ke Phool (Razab Tabraiz)

Qabal Wazo Baad Az Azaan Mitti Daliye,Jab Bhi Uthy Koi Armaan Mitti Daliye

Image

Be-Wafaai TO Rasam-E-Dunhyaa Hai Ghaalib, Tum Nay Bhulaa Ke KOn Sa Ehsaan Kar Diyaa

Image
"+,,+" Be-Wafaai TO Rasam-E-Dunhyaa Hai Ghaalib ...> "+,,+" Tum Nay Bhulaa Ke KOn Sa Ehsaan Kar Diyaa ...>

Dil Aaj Shair Hai, Gham Aaaj Nagma Hai Shab Yeh Ghazal Hai Sanam

Dil Aaj Shair Hai, Gham Aaaj Nagma Hai Shab Yeh Ghazal Hai Sanam Gairon Ke Sheron Ko, O Sunne Wale Ho Is taraf Bhi Karam Aake Zara Dekh to Teri Khatir Ham Kis Tarah Se Jiye Aason Ke Dhaage Se Seete Rahe Ham Jo Zakham Tune Diye Chahat Ke Mehfil, Mein Gham Tera Lekar Kismat Se Khela Juva Duniya Se Jeete Par Tujh Se Haare Yun Khel Apna Huva Hai pyaar humne kiya jis tarah se, uska na koi jawab Hai pyaar humne kiya jis tarah se, uska na koi jawab Zarra thay lekin teri lau mein jalkar, hum ban gaye aaftaab Hum se hai zinda wafa aur humhi se hai teri mehfil jawaan Hum jab na honge to ro ro ke duniya dhundhegi mere nishaan Ye pyaar koi khilauna nahin hai, har koi le jo kharid Ye pyaar koi khilauna nahin hai, har koi le jo kharid Meri tarah zindagi bhar tadap lo, phir aana uske karib Hum to musafir hain, koi safar ho, hum to guzar jayenge hi Lekin lagaya hai jo daav humne, woh jeetkar aayenge hi Woh jeetkar aayenge hi Woh jeetkar aayenge hi

Aye Musawwir,Tujhe Ustad Manon Ga Dard Bhi Kench,Meri Tasweer Ke Saath

اے مصور، تجھے استاد مانوں گا درد بھی کھینچ، مری تصویر کے ساتھ Aye Musawwir,Tujhe Ustad Manon Ga Dard Bhi Kench,Meri Tasweer Ke Saath

Is Liye Tasveer-e-Janaan Hum Ny Banwayi Nahi

ایک بادشاہ کےسامنےایک عالم ایک غریب ایک عاشق اورایک نابینا بیٹھے تھے شعرو شاعری کا مقابلہ ھورہاتھا بادشاہ نے کہا میں ایک مصرہ سناتاھوں اسکاپہلامصرہ آپ لوگوں کوبناناھو گا   بادشاہ اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں عالم بت پرستی دین احمد میں کبھی آئی نہیں اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں غریب مانگتا پیسے مصور, جیب میں پائی نہیں اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں عاشق ایک سے جب دو ہوۓ پھر لطف یکتائی نہیں اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں نابینا مجھ میں بینائی نہیں اور اس میں گویائی نہیں اس لئے تصویر جاناں ہم نے بنوائی نہیں Aik Badshah Ke Saamny Aik Aalim Aik Ghareeb Aik Aashiq Aor Aik Na-Beena Bethy Thy Shair-O-Shairi Ka Muqabla Ho Raha Tha Badsha Ny Kaha Main Aik Misra Sunata Hon Isska Pehla Misra Aap Logo Ko Banana Ho Ga   BADSHAH Is Liye Tasveer-e-Janaan Hum Ny Banwayi Nahi AALIM Butt-Parasti Deen-e-Ahmad Mein Kabhi Aayi Nahi Is Liye Tasveer-e-Janaan Hum Ny Banwayi Nahi GHAREEB Mangta Paise Musawwir,Jaib Mein Paayi Nah...

Badan K Liye Muhlik Ye Paanch Anasir Baarish Ki Chaar Bondein Wahid Buri Nazar

Image
Badan K Liye Muhlik Ye Paanch Anasir Baarish Ki Chaar Bondein Wahid Buri Nazar (Razab Tabraiz)

Jins-e-Gran Ke Naam Par Chand Hoshyaar Log Deewaron Se Laity Rahe Uryaan Saholatein

Image
!!!!!! AJANTA !!!!!! Jins-e-Gran Ke Naam Par Chand Hoshyaar Log Deewaron Se Laity Rahe Uryaan Saholatein (Razab Tabraiz)

Jazbon Pe Khudkashi Haram Ho Gayi Jab Phone Rakh Diya Pehchan'ny Ke Baad

Image
Jazbon Pe Khudkashi Haram Ho Gayi Jab Phone Rakh Diya Pehchan'ny Ke Baad (Razab Tabraiz)

Seenay Ki Angheeti Mein Rakh Ke Dekhna Saavan Ki Bheegi Raton Mein Do-Chaar Koily

Image
Seenay Ki Angheeti Mein Rakh Ke Dekhna Saavan Ki Bheegi Raton Mein Do-Chaar Koily (Razab Tabraiz)

Kashish Mein Zia Baar Thi Norat Hashish Thi Tahqeeq-e-Husn Mein Koi Soorat Hashish Thi

Image

Sukhanwari Ke Taaq Se Udti Hain Titlian Aaseer Motia Ho Gar Bazm Mein Zulf-e-Naaz

Image
Sukhanwari Ke Taaq Se Udti Hain Titlian Aaseer Motia Ho Gar Bazm Mein Zulf-e-Naaz (Razab Tabraiz)

Tumhari Baton Ki Charkhion Mein Wasal Ki Khuwahish Lehik Rahi Hai

Image
Tumhari Baton Ki Charkhion Mein Wasal Ki Khuwahish Lehik Rahi Hai Mujhe Ye Shak Hai Keh Tum Bhi Shayad Lahoo Ki Wihshat Mein Aa Gaye Ho (Razab Tabraiz)

Suna Hai Tum Bhi Lad Rahe Ho Hasb-e-Rawayat Nishast-e-Sitam Ke Liye Husn Ka Intekhaab

Image
Suna Hai Tum Bhi Lad Rahe Ho Hasb-e-Rawayat Nishast-e-Sitam Ke Liye Husn Ka Intekhaab (Razab Tabraiz)

Junoon-e-Lutf Iss Tarah Tashreeh Badal Gaya Sar Chadi Jo Yaad Jawaz-e-Aqal Gaya

Image
!!!!!!!!!!! Qitta !!!!!!!!!! Junoon-e-Lutf Iss Tarah Tashreeh Badal Gaya Sar Chadi Jo Yaad Jawaz-e-Aqal Gaya Shikam-e-Khayaal Ko Rooh Luqma-e-Tar Hoi Baqi Bacha Wajood Manzar Nigal Gaya (Razab Tabraiz)

Main Laakh Muhtaram Hoi Par Dhondti Rahi Lizzat Jo Tere Shehr Ki Ruswaion Mein Thi

Image
Main Laakh Muhtaram Hoi Par Dhondti Rahi Lizzat Jo Tere Shehr Ki Ruswaion Mein Thi (Parveen Shakir)

Chod Aaye Hum Wo Galiyan Jahan Tere Pairon Ke Kanwal Khila Karte Thy

ﭼﮭﻮﮌ ﺁﺋﮯ ﮬﻢ ، ﻭﮦ ﮔﻠﯿﺎﮞ۔ ﺟﮩﺎﮞ ﺗﺮﮮ ﭘﯿﺮﻭﮞ ﮐﮯ ﮐﻨﻮﻝ ﮐﮭﻼ ﮐﺮﺗﮯ ﺗﮭﮯ ﮬﻨﺴﮯ ﺗﻮ ﺩﻭ ﮔﺎﻟﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﻨﻮﺭ ﭘﮍﺍ ﮐﺮ ﺗﮯ ﺗﮭﮯ ﺗﺮﯼ ﮐﻤﺮ ﮐﮯ ﺑﻞ ﭘﺮ ﻧﺪﯼ ﻣﮍﺍ ﮐﺮﺗﯽ ﺗﮭﯽ ﮨﻨﺴﯽ ﺗﺮﯼ ﺳُﻦ ﺳُﻦ ﮐﺮ ﻓﺼﻞ ﭘﮑﺎ ﮐﺮﺗﯽ ﺗﮭﯽ ﺟﮩﺎﮞ ﺗﺮﯼ ﺍﯾﮍﯼ ﺳﮯ ﺩﮬُﻮﭖ ﺍُﮌﺍ ﮐﺮﺗﯽ ﺗﮭﯽ ﺳﻨﺎ ﮬﮯ ﺍﺱ ﭼﻮﮐﮭﭧ ﭘﺮ ﺍﺏ ﺷﺎﻡ ﺭﮬﺎ ﮐﺮﺗﯽ ﮬﮯ ﺩِﻝ ﺩَﺭﺩ ﮐﺎ ﭨﮑﮍﺍ ﮬﮯ ﭘﺘﮭﺮ ﮐﯽ ﮈﻟﯽ ﺳﯽ ﮬﮯ ﺍِﮎ ﺍﻧﺪﮬﺎ ﮐﻨﻮﺍﮞ ﮬﮯ ﯾﺎ ﺍِﮎ ﺑﻨﺪ ﮔﻠﯽ ﺳﯽ ﮬﮯ ﺍِﮎ ﭼﮭﻮﭨﺎ ﺳﺎ ﻟﻤﺤﮧ ﮬﮯ ﺟﻮ ﺧﺘﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﮬﻮﺗﺎ ﻣَﯿﮟ ﻻﮐﮫ ﺟﻼ ﺗﺎ ﮬُﻮﮞ ﯾﮧ ﺑﮭﺴﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﮬﻮﺗﺎ. ﮔﻠﺰﺍﺭ

Hum Tou Samajhty Thy Keh Ik Zakham Hai Bhar Jai Ga Kia Khabar Thi Keh Rag-o-Jaan Mein Utar Jai Ga

Image
Hum Tou Samajhty Thy Keh Ik Zakham Hai Bhar Jai Ga Kia Khabar Thi Keh Rag-o-Jaan Mein Utar Jai Ga (Parveen Shakir)  

Ab Mere Ta'aruf Se Gurezan Hai Tuu Lekin Kal Tak Teri Pehchan Ka Ma'ayar Bhi Main Tha

Image
Ab Mere Ta'aruf Se Gurezan Hai Tuu Lekin Kal Tak Teri Pehchan Ka Ma'ayar Bhi Main Tha Mohsin Naqvi

Koi Pathar Sa Dil Lao Keh Insano Mein Jeena Hai

Image
Koi Pathar Sa Dil Lao Keh Insano Mein Jeena Hai

Ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate

Ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate  ham aur bulbul-e-betaab guftaguu karate  payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa  zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazuu karate  merii tarah se maah-o-mahar bhii hai.n aavaaraa   kisii habiib ko ye bhii hai.n justajuu karate  jo dekhate terii za.njiir-e-zulf kaa aalam  asiir hone ke aazaad aarazuu karate  na puuchh aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish"  barasatii aag me.n jo baaraa.N kii aarazuu karate Haidar Ali Aatish

Dasht Mein Pyas Bujhate Howay Mar Jate Hain Hum Parinde kahein Jatay Howay Mar Jate Hain

Poet Mohsin Naqvi Dasht Mein Pyas Bujhate Howay Mar Jate Hain Hum Parinde kahein Jatay Howay Mar Jate Hain Hum Hain Sookhe Howay Talab Pe Baithe Howay Hans Jo Taluq Ko Nibhate Howay Mar Jate Hain Un K Bhi Qatal Ka Ilzam Humare Sir Hai Jo Humain Zahir Pilate Howay Mar Jate Hain Ye Mohabat Ki Kahani Nahi Marti Lekin Log Kirdar Nibhate Howay Mar Jate Hain Hum Hain Wo Tooti Hoi Kashtion Wale Mohsin Jo Kinaron Ko Milate Howay Mar Jate Hain.......!

Andheri Raat Mein Shamma Jalana Bhool Jate Ho Hamari Yaad Ati Hai,Bhulana Bhool Jate Ho

اندھیری رات میں شمع جلانا بھول جاتے ہو ہماری یاد آتی ہے ، بھلانا بھول جاتے ہو تمہاری اک یہی عادت پریشاں ہم کو رکھتی ہے نظر میں آ تو جاتے ہو ، سمانا بھول جاتے ہو ہمیں محسوس ہوتا ہے ، ہمارے قرب میں آ کر جو تنہائی میں بیتی ہے ، سنانا بھول جاتے ہو تمھارے ہاتھ میں اکثر گلابی پھول ہوتا ہے ہماری راہ میں لیکن ، بچھانا بھول جاتے ہو تمہیں تو لوٹ کر جانے کی اکثر فکر رہتی ہے  مگر جب لوٹ جاتے ہو ، تو آنا بھول جاتے ہو سنا ہے تم ہتھیلی پہ ہمارا نام لکھتے ہو مگر جب ہَم سے ملتے ہو ، دکھانا بھول جاتے ہو سب جانتے ہیں کہ تم ہم پے ہی مرتے ہو مگر جب ہم سے ملتے ہو ، بتانا بھول جاتے ہو Andheri Raat Mein Shamma Jalana Bhool Jate Ho Hamari Yaad Ati Hai,Bhulana Bhool Jate Ho Tumhari Ik Yahi Adat Preshan Hamko Rakhti Hai Nazar Mein Aa Tou Jate Ho,Samana Bhool Jate Ho Hamein Mahsoos Hota Hai,Hamare Qurb Mein Aa Kar Jo Tanhai Mein Beeti Hai,Sunana Bhool Jate Ho Tumhare Haath Mein Aksar Gulabi Phool Hota Hai Hamari Rah Mein Lekin,Bichana Bhool Jate Ho T...

Abhi Pehli Muhabbat Ke Buhat Se Qarz Baqi Hain Abhi PPehli Musafat Ki Thakan Se Choor Hain Paaon

Image
Abhi Pehli Muhabbat Ke Buhat Se Qarz Baqi Hain Abhi PPehli Musafat Ki Thakan Se Choor Hain Paaon Abhi Pehli Rafaqat Ka Har Ik Ghaao Salamat Hai Abhi Maqtool Khuwabon Ko Bhi Dafnaya Nahi Hum Ne Abhi Aankhein Hain Iddat Mein Abhi Ye Sog Ke Din Hain Abhi Iss Gham Ki Kefiat Se Bahir Kis Tarah Aaein Abhi Iss Gham Ko Bharne Do Abhi Kuch Din Guzarne Do Ye Gham Ke Neelgon Darya Utar Jaein Tou Sochengy Abhi Ye Zakham Taaza Hain Ye Bhar Jaein Tou Sochengy Dobara Kab Ujadna Hai...???

Shaam Se Aankh Mein Nami Sii Hai,Aaj Phir Aap Ki Kami Sii Hai

ﺷﺎﻡ ﺳﮯ ﺁﻧﮑﮫ ﻣﯿﮟ ﻧﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ ﺁﺝ ﭘﮭﺮ ﺁﭖ ﮐﯽ ﮐﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ ﺩﻓﻦ ﮐﺮﺩﻭ ﮨﻤﯿﮟ ﮐﮧ ﺳﺎﻧﺲ ﻣﻠﮯ ﻧﺒﺾ ﮐﭽﮫ ﺩﯾﺮ ﺳﮯ ﺗﮭﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ ﮐﻮﻥ ﭘﺘﮭﺮﺍ ﮔﯿﺎ ﮨﮯ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﺮﻑ ﭘﻠﮑﻮﮞ ﭘﮧ ﮐﯿﻮﮞ ﺟﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ ﻭﻗﺖ ﺭﮨﺘﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﮩﯿﮟ ﭨﮏ ﮐﺮ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻋﺎﺩﺕ ﺑﮭﯽ ﺁﺩﻣﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﺭﺷﺘﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﺭﮨﺎ ﭘﮭﺮ ﺑﮭﯽ ﺍﯾﮏ ﺗﺴﻠﯿﻢ ﻻﺯﻣﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ ﺁﺋﯿﮯ ﺭﺍﺳﺘﮯ ﺍﻟﮓ ﮐﺮ ﻟﯿﮟ ﯾﮧ ﺿﺮﻭﺭﺕ ﺑﮭﯽ ﺑﺎﮨﻤﯽ ﺳﯽ ﮨﮯ ﮔﻠﺰﺍﺭ Shaam Se Aankh Mein Nami Sii Hai Aaj Phir Aap Ki Kami Sii Hai Dafan Kar Do Humain Keh Saans Mily Nabz Kuch Der Se Thami Sii Hai Kon Pathra Gaya Hai Aankhon Mein Barf Palkon Pe Kion Jami Sii Hai Waqt Rehta Nahi Kahein Tik Kar Iss Ki Adat Bhi Aadmi Sii Hai Koi Reshta Nahi Raha Phir Bhi Aik Tasleem Lazmi Sii Hai Aayiye Rasty Alag Kar Lein Ye Zarorat Bhi Bahmi Sii Hai Gulzar

Ye aankh jb zraa nm ho aur barish ka mosam ho

Ye aankh jb zraa nm ho aur barish ka mosam ho mujhay lahaq tera ghm ho aur baarish ka mosam ho uddasi jm si jaati ha kisi barf ki manind khayalon main agar tum ho AUR BAARISH KA MOSAM HO

Khamshi Achi Nahi Inkaar Hona Chaheye,Aur Ye Tamasha Ab Sar-e-Bazar Hona Chaheye

خامشی اچھی نہیں ، انکار ہونا چاہیئے اور یہ تماشہ اب سر بازار ہونا چاہیئے خواب کی تعبیر پر اصرار ہے جن کو ابھی پہلے انہیں خواب سے بیدار ہونا چاہیئے اب وہی کرنے لگے دیدار سے آگے کی بات جو کبھی کہتے تھے بس دیدار ہونا چاہیئے بات پوری ہے ادھوری چاہیئے اے جان جاناں کام آساں ہے اسے دشوار ہونا چاہیئے دوستی کے نام پر کیجیئے نہ کیونکر دشمنی کچھ نہ کچھ آخر طریقہ کار ہونا چاہیئے جھوٹ بولا ہے تو قائم بھی رہو اس پر ظفر آدمی کو صاحب کردار ہونا چاہیئے

Kuchh Tujh Ko Khabar Hai Ham Kyaa Kyaa Ai Shorish-E-Dauraan Bhool Gaye Vo Zulf-E-Pareshaan Bhool Gaye Vo Didaa-E-Giriyaa Bhool Gaye

Kuchh Tujh Ko Khabar Hai Ham Kyaa Kyaa Ai Shorish-E-Dauraan Bhool Gaye Vo Zulf-E-Pareshaan Bhool Gaye Vo Didaa-E-Giriyaa Bhool Gaye Ai Shauq-E-Nazaaraa Kyaa Kahiye Nazaron Men Koi Soorat Hi Nahin Ai Zauq-E-Tasavvur Kyaa Kahiye Ham Soorat-E-Jaanaan Bhool Gaye Ab Gul Se Nazar Milati Hi Nahin Ab Dil Ki Kali Khilati Hi Nahin Ai Fasl-E-Bahaaraan Rukhasat Ho Ham Lutf-E-Bahaaraan Bhool Gaye Sab Ko To Madaavaa Kar Daalaa Apanaa Hi Madaavaa Kar Na Sake Sab Ke Girebaan Si Daale Apanaa Hi Girebaan Bhool Gaye Ye Apani Vafaa Ka Aalaam Hai Ab Un Ki Jafaa Ko Kyaa Kahiye Ek Nashtar-E-Zahar-E-Aagaahi Rakh Kar Nazdik-E-Rag-E-Jaan Bhool Gaye Majaz Lucknavi

Chalo MOHSIN Muhabbat Ki Nai Bunyad Rakhty Hein Khud Paband Rehte Hen, Usay Aazad Rakhte Hein

Chalo MOHSIN Muhabbat Ki Nai Bunyad Rakhty Hein Khud Paband Rehte Hen, Usay Aazad Rakhte Hein Hmare Khoon Men RAB Ne Yehi Taseer Rakhi Hai Burai Bhol Jate Hen, Achai Yaad Rakhty Hein Mohabbat Men Kahin Hum Se Gustakhi Na Ho Jaye Hum Apna Har Qadam Us K Qadam K Bad Rakhte Hein

Tou Garebaan Pakad Kar Kehty Iss Tarah Rehty Hain Bechain Dilon Ke Andar

˝ درَد اگــر آدمی ھوتا˝   تو گــریبان پکـڑ کـــر__کہتے اس طــــرح رہتے ہیــں بـــے چیـــن دلُـوں کے اندر __؟؟ اس طـــرح کـــرتے ہیں بھلا کســی مجبور کـــے ساتھ __؟؟ دل میـــں رھنا ہـــے تو پھــر چیـــن سے رھنا سیکھـــو ھم تمہیــــں سہتے ہیــں کچھ تم بھـی تو سہنا سیکھ "Dard Agar Aadmi Hota" Tou Garebaan Pakad Kar Kehty Iss Tarah Rehty Hain Bechain Dilon Ke Andar?? Iss Tarah Karty Hain Bhala Kisi Majboor Ke Saath?? Dil Mein Rehna Hai Tou Phir Chain Se Rehna Seekho Hum Tumhein Sehty Hain Kuch Tum Bhi Tou Sehna Seekho

Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya

Charaagh-e-Raah Bujha Kia, Ke Rehnumaa Bhi Gaya Hawa Ke Saath Musaafir Ka Naqsh-e-Paa Bhee Gaya Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhe Khabar Na Howi Wo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhee Gaya Bohat Azeez Sahee Osko Meri Dildaari Magar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera Dukha Bhee Gaya Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabaiz Parday Hain Wo Taank Jhaank Ka Masoom Silsila Bhee Gaya Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee Aaya Tha Jo Sab Gaye Tou Mera Dard Aashna Bhee Gaya Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein Kaisi Utri Hain Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya

Chiragh Raaq-e-Tamanna Mein Rakh Ke Bhool Gai,Dua Wo Maang Rahi Thi Jo Mustajaab Na Ho

چراغ طاقِ تمنّا میں رکھ کے بُھول گئی دُعا وہ مانگ رہی تھی جو مستجاب نہ ہو کبھی نہ تنگ ہو اُس پر زمین کا دامن امیرِ شہر اگر آسماں جناب نہ ہو ہمارے قحط بھی اور بارشیں بھی پوری ہُوئیں ہمارے نام کا اب تو کوئی عذاب نہ ہو سکوتِ خلق سمندر کی نیند ہوتا ہے سکوں نہ جان بظاہر جو اضطراب نہ ہو یہ چشمِ نم ہے اسے خشک دیکھ بھال کے کر ہری بھری کوئی بستی ہی زیر آب نہ ہو بس ایک نام کا تارا سدا چمکتا رہے گلہ نہیں جو مقدّر میں ماہتاب نہ ہو (پروین شاکر)

Wo dosti tou khair ab naseebe dushmna hui Wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gya

Wo dosti tou khair ab naseebe dushmna hui Wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gya

Devaana banana hai to devaana bana day Verna kaheen taqdeer tamaasha na bana day

Devaana banana hai to devaana bana day Verna kaheen taqdeer tamaasha na bana day Ae dekhnay walo, mujhay hans hans kay na dekho Tum ko bhi mohabbat kaheen mujh sa na bana day mein dhoond raha hoon, meri vo shamma kahaan hai Jo bazm ki her cheez ko pervaana bana day Aakhir koi surat bhi to ho khaana-e-dil ki Kaaba nahin banta hai to but-khaana bana day "Behzad" her ik jaam pay ik sajda-e-masti Her zarray ko sang-e-dar-e-janna na bana day

ujaar lamhon ki daastaanain agar kaho tau sunaayen tum ko

ujaar lamhon ki daastaanain agar kaho tau sunaayen tum ko bohat sa hum jaagtay rahay hain chalo zara sa jagaayen tum ko tum hi jo roshni si bann kar humari aankhon men aa basay ho jab apni aankhain hi keh diya hai tau phir bhala kyun rulaayen tum ko tum aaj kyun muztarib ho jaanan,tumharay lehjay men toot kesi kaha na tha keh waqt day ga kadooraton ki sazaayen tum ko tum aisa karna keh aik lamhay ko apni dharkan pay haath rakhna meri wafaayen meray yeh jazbay agar kabhi yaad aayen tum ko ghubaar aaluud raaston men talaash kar kar kay thak gaye hain kahaan pay jaa kay basay ho kahaan say dhoond laayen tum ko tumhain tau sukh aa gaye muyassar tumhain to hum yaad he nahi hain magr batao keh hum jo chaahain tau kis tarha say bhulaayen tum ko tum apni baaton pay mutma'in ho hamen bhi sharmindagi nahi hai anaa ki dewaar ko gira kar nahi yeh mumkin manaayen tum ko kaho ay Jaazib yeh jhoot hai naa keh tum nay us ko bhula diya hai abhi talak jis ki shokh ya...

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Us Ko Aur Phir Khud Hi Hawaa Doon Us Ko

Poet Jaun Elia Type By *._.Murtaza._* Dil Jo Hai Aag Laga Doon Us Ko Aur Phir Khud Hi Hawaa Doon Us Ko Jo Bhi Hai Es Ko Gavaa Baitha Hai Main Bhala Kaise Gavaa Doon Us Ko Tujh Gumaan Par Jo Imaarat Ki Thi Sochta Hoon Ke Main Dhaa Doon Us Ko Jisam Main Aag Laga Doon Us Ke Aur Phir Khud Hi Bujha Doon Us Ko HIJAR Ki Nazar To Daini Hai Ose Sochta Hoon Ke Bhula Doon Us Ko Jo Nahi Hai Mere Dil Ki Duniya Kyun Na Main "Jaun" Mittaa Doon Us Ko....................! Book Name Gumaan Page 201-202

Jab Se Too Ne Mujhe Deewana Banaa Rakha Hai Sang Har Shakhas Ne Haathon Main Uthaa Rakha Hai

Poet: Hakeem Mohammad Nasir Type By *._.Murtaza._* Jab Se Too Ne Mujhe Deewana Banaa Rakha Hai Sang Har Shakhas Ne Haathon Main Uthaa Rakha Hai Us Ke Dil Par Bhi Karri ISHQ Main Guzri Hogi Naam Jis Ne Bhi Mohabbat Ka Sazaa Rakha Hai Patharo Aaj Mere Sar Pe Barasste Kyun Ho Main Ne Tum Ko Bhi Kabhi Apna Khudaa Rakha Hai Ab Meri Deed Di Dunia Bhi Tamasha'ee Hai Too Ne Kia Mujh Ko Mohabbat Main Banaa Rakha Hai Gham Nahi Gull Jo Kiye Ghar Ke Hava'on Ne Charaagh Hum Ne DIL Ka Bhi Diyaa Aik Jalla Rakha Hai Pee Jaa Ayaam Ki Talkhi Ko Bhi Hanss Ke "Nasir" Gham Ko Sehne Main Bhi Qudrat Ne Mazaa Rakha Hai..................!

Palkain Na Jhapakni Thein Ke Guftaar Ajab Thi

Poetess: Parveen Shakir Type By *._.Murtaza._* Palkain Na Jhapakni Thein Ke Guftaar Ajab Thi Aankhon Ke Liye Saa'at-E-Deedar Ajab Thi Khamosh Thay Lab, Soorat-E-Iqraar Ajab Thi Kia Kehte Safaa'ee Main Ke Sarkaar Ajab Thi Phir Jamne Lage Daikh, Mere Pa'oon Zameen Par Gurbat Main Tere Shehar Ki Deewar Ajab Thi Imkaan-E-Bahaaran Se Bhi Dil Katne Laga Tha Aur Barg-E-Tamanaa Bhi Kuch Dhaar Ajab Thi Sehra Main Palat Ke Main Kise Daikhti Lekin Aawaz See Ik Zamzamaa Aasar Ajab Thi Jhukti Hi Ga'ee Ze'am Main Deewar Ke Us Paar Taqder Teri Shakh-E- Samardaar Ajab Thi Ik Lamha-E-Paraan Ki Bhi Qeemat Nahi Chorri Yeh Sultant-E- Darham-O-Deenaar Ajab Thi Dastaar Ke Ball Gin Ke Jahan Milti Ho Izzat Us Shehar Main Tauqeer-E-Sukhan Kaar Ajab Thi............! Book Name Sad Barg Page No 180-181

I Miss You

Poet: Arshad Malik Type By *._.Murtaza._* Tumhari Yaadoon Ka Aik Tara Sa Jhilmilata Hai I Miss You Udass Raatoon Main Dil Akela Tumhain Bulata Hai I Miss You Jab Aik Yaadoon Ki Lehar Saare Badan Ke Mossam Ujarrti Hai Jab Aik Khushboo Ka Tezz Jhonka Mujhe Urrata Hai I Miss You Jab Aasman Par Dhanak Ka Manzar Tamaam Rangoon Ke Saath Aa'ye Toh Aise Aalam Main Naam Tera Labon Pe Aata Hai I Miss You Yeh Aik Baarish Bhi Meri Aankhon Main Tere Aansoo Pirou Rahi Hai Tumhare Baalon Sa Aik Baadal Bhi Sarsaraata Hai I Miss You Woh Teri Qurbat,Woh Teri Chahat Woh Teri Mohabbat Ka Aik Lamha Kabhi Jo Yaadon Ke Sahiloon Se Mujhe Bulata Hai I Miss You Jab Aik Lamha Tumhari Khushboo Ka Rang Mujh Main Utaarta Hai Jab Ik Nashaa Sa Tumhari Janib Mujhe Urraata Hai I Miss You Woh Tere Hansste Se Laboon Se Gullaab Jharrne Ka Aik Manzar Udass Raatoon Main Ab Bhi Mujh Ko Bihar Rulaata Hai I Miss You Kabhi Jo Baa...

Likhta Hoon Fart-E- Shauq Main Main Baar Baar Khatt

Khatt Poet: Ameer Minai Type By *._.Murtaza._* Likhta Hoon Fart-E- Shauq Main Main Baar Baar Khatt Likhta Nahi Hai Aik Mujhe Woh Nigaar Khatt Jhunjhula Ke Aik Bhi Na Parrhega Yaqeen Hai Woh Likhe Hain Aik Rooz Main Maine Hazaar Khatt Kia Shauq Hai Banaa Ke Kabootar Ko Nama Bar Aik Aik Par Main Bandh Diye Char Char Khatt Likhoon Zaraa Kadoorat-E-Dil Ka Agar Main Haal Khatt-E-Ghubar Kia Ho Saraapa Ghubar Khatt Mumkin Nahi Kisi Ko Kare Namaa Woh Raqam Jab Tak Nikalta Nahi Us Ka Ghadar Khatt Likha Hai Apne Haath Se Us Ne Yeh Namaa Bar Aankhoon Se Kyun Laga'on Na Main Baar Baar Khatt Yaseen Ke Badle Us Ko Parrho Mere Saamne Aa Jaa'ye Yaar Ka Jo Dam-E-Ikhtisar Khatt Woh Sakht Jaan Hoon Parrhti Hain Teghen Hazaar Ha Parrhta Nahi Hai Tan Pe Mere Zeenhaar Khatt Naqlain Meri Raqeeboon Ne Ki'n Sainkrroon Ameer Likha Jo Usne Mujhko Huaa Ishtihaar Khatt. Book Name Mirrat-Ul-Gai...

Kyun Na Nairang-E- Janoon Par Koi Qurbaan Ho Jaa'ye

Poet: Fani Badaayuni Type By *._.Murtaza._* Kyun Na Nairang-E- Janoon Par Koi Qurbaan Ho Jaa'ye Gar Woh Sehraa Ke Bahaar Aa'ye Toh Zindaan Ho Jaa'ye Barq Dum Lene Ko Thehre Toh Rag-E- Jaan Ho Jaa'ye Fitna-E-Hashar Mujassam Ho Toh Insaan Ho Jaa'ye Johar Aaina-E-Dil Hai Woh Tasveer Hai Tu Dil Woh Aaina Ke Tu Dekh Ke Hairaan Ho Jaa'ye Gham Woh Rahat Jise Qissmat Ke Dhanni Paate Hain Dum Woh Mushkil Hai Ke Maut Aa'ye Toh Aasaan Ho Jaa'ye Ishq Woh Kufir Ke Eeman Hai Dil Waloon Ka Aqal-E-Majboor Woh Kaafir Ke Musalmaan Ho Jaa'ye Zara Woh Raaz-E- Bayaaban Hai Jo Afshaa Na Huaa Dasht-E-Wehshat Hai Woh Zaraa Jo Bayaaban Ho Jaa'ye Gham-E-Mehsos Woh Baatil Jise Kehte Hain Majaaz Dil Ki Hassti Woh Haqeeqat Hai Jo Uriyaan Ho Jaa'ye Khuld Maikhaane Ko Kehte Hai Baqaul-E- Wa'iaz Kaa'ba Buttkhane Ko Kehte Hain Jo Veeran Ho Jaa'ye SAJDAH Kehte Hain ...

Chaman Khilate Ga'ye Mast-O-Naghmaa Khawaan Guzre

Amjad Islam Amjad Type By *._.Murtaza._* Chaman Khilate Ga'ye Mast-O-Naghmaa Khawaan Guzre Rah-E-Wafa Ke Musafir Jahan Jahan Guzre Guzar Ga'ye, Gham-E- Hijran Ke Seenkrron Moassam Tumhare Wasal Ke Lamhe Na Meri Jaan Guzre Wahan Wahan Hui Zaroon Main Roshni Peda Jahan Jahan Se Mohabbat Ke Karwan Guzre Musahiboon Main Ghiri Zindagi Se Behtar Hai Woh Aik Sham Jo Apnon Ke Darmiyaan Guzre Na Apne Aap Ko Badla Na Kuch Badal Paa'ye Thay Kam Hi Loog Jo Hum Jaise Raa'egan Guzre Kaheen Pe Darj Hai Sub Kuch Jo Hone Wala Hai Woh Saanhe Kaheen Tay Thay Jo Nagahan Guzre Yeh Jin Ki Goonj See Har Pal Suna'ee Daiti Hai Woh Rooz-O-Shab Nahi Maa'loom, Kab Kahan Guzre Sabab Yeh Hai Ke Zamaane Ki Thi Zubaan Kuch Aur Zuban Rakhte Hue Hum Jo Be Zabaan Guzre Kisi Ko Phir Na Milaa Rang Meer-O-Ghalib Ka Agarche Yoon Toh Hazaroon Hi Khush Bayaan Guzre Hai Raaste Ki Saraa'e Sa ...

Es Dil Ke Chand Asaason Main Ik Mossam Hai Barsaton Ka

Poetess Noshi Gillani Type By *._.Murtaza._* Es Dil Ke Chand Asaason Main Ik Mossam Hai Barsaton Ka Ik Sehra HIJAR Ke Raaton Ka, Ik Jangal Wasal Ke Khawaabon Ka Us Chodhvein Raat Ke Sa'ye Main Jab Aakhri Baar Mile Thay Hum Yeh Dil Paagal Kab Bhoolta Hai Woh Baagh Sufaid Gulabon Ka Mere Kheema-E-Dil Ke Pass Kaheen Ik Jugno Thehar Gaya Aur Phir Sailaab Tha Saari Bassti Main Andaazon Ka, Aawaazon Ka Hum Loog Janoon Ke Aalam Main Manzil Ki Talab Bhi Bhool Ga'ye Ab Dil Ko Bhalaa Saa Lagta Hai, Sehar Main Aks Saraabon Ka Jin Lafzoon Ki Kuch Ma'aana Thay Woh Lafz Toh Khawaab Hue Lekin Ab Shehar Main Lagta Jata Hai Ik Melaa Na'ee Kitaabon Ka.....! Book Name Mohabbatain Jab Shumaar Karna Page No- 66

Pad Chuka Hon Dard Saare Kab Gai Yaad Teri Zihen Ke Aaine Se

Image
Pad Chuka Hon Dard Saare Kab Gai Yaad Teri Zihen Ke Aaine Se  (Hafiz Khurram)

Honton Se Nikal Yaar Ke Shany Pe Ja Udi Ba-shakal Lams Raat Phir Ihsaas Ki Titli

Image
Honton Se Nikal Yaar Ke Shany Pe Ja Udi Ba-shakal Lams Raat Phir Ihsaas Ki Titli (Razab Tabraiz)

Ab Aankhon Ki Zarkheizi Ne Aasaar Ugany Chod Deye,Ab Kooch Ke Rasty Aan Pade Ab Yaar Purany Chod Deye

Image

Aabruon Ki Peath Par Baar Duhra Kis LiyeTanao Mein Ye Junbashein Ma'ayaar Duhra Kis Liye

Image

Khuwabon Ki Dekhbhal Mein Aankhein Ujad Gain,Tanhaion Ki Dhoop Ne Chehra Jala Dia

ﺧﻮﺍﺑﻮﮞ ﮐﯽ ﺩﯾﮑﮫ ﺑﮭﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﺁﻧﮑﮭﯿﮟ ﺍُﺟﮍ ﮔﺌﯿﮟ ﺗﻨﮩﺎﺋﯿﻮﮞ ﮐﯽ ﺩُﮬﻮﭖ ﻧﮯ ﭼﮩﺮﺍ ﺟﻼ ﺩﯾﺎ ﻟﻔﻈﻮﮞ ﮐﮯ ﺟﻮﮌﻧﮯ ﻣﯿﮟ ﻋﺒﺎﺭﺕ ﺑﮑﮭﺮ ﭼﻠﯽ ﺁﺋﯿﻨﮯ ﮈﮬﻮﻧﮉﻧﮯ ﻣﯿﮟ ﮐﺌﯽ ﻋﮑﺲ ﮐﮭﻮ ﮔﺌﮯ ﺁﺋﮯ ﻧﮧ ﭘﮭﺮ ﻭﮦ ﻟﻮﭦ ﮐﮯ ﺍِﮎ ﺑﺎﺭ ﺟﻮ ﮔﺌﮯ ﻭﮦ ﺩﻥ، ﻭﮦ ﻭﻗﺖ ، ﻭﮦ ﺭُﺕ ، ﻭﮦ ﻣﻮﺳﻢ ،ﻭﮦ ﺳﺮﮐﺸﯽ ﺍﮮ ﮔﺮﺩﺵِ ﺣﯿﺎﺕ ، ﺍﮮ ﺭﻓﺘﺎﺭِ ﻣﺎﮦ ﻭ ﺳﺎﻝ ﮐﯿﺎ ﺟﻤﻊ ﺍِﺱ ﺯﻣﯿﻦ ﭘﮧ ﮨﻮﮞ ﮨﻮ ﻧﮕﮯ ﻧﺎ ﭘﮭﺮ ﮐﺒﮭﯽ ﺟﻮ ﮨﻤﺴﻔﺮ ﻓﺮﺍﻕ ﮐﯽ ﺩﻟﺪﻝ ﻣﯿﮟ ﮐﮭﻮ ﮔﺌﮯ ﭘﺘﮯ ﺟﻮ ﮔِﺮ ﮐﮯ ﭘﯿﮍ ﺳﮯ ﺭﺳﺘﻮﮞ ﮐﮯ ﮨﻮ ﮔﺌﮯ ﮐﯿﺎ ﭘﮭﺮ ﮐﺒﮭﯽ ﻧﮧ ﻟﻮﭦ ﮐﮯ ﺁﺋﮯ ﮔﯽ ﻭﮦ ﺑﮩﺎﺭ ﮐﯿﺎ ﭘﮭﺮ ﮐﺒﮭﯽ ﻧﮧ ﺁﻧﮑﮫ ﻣﯿﮟ ﺍُﺗﺮﮮ ﮔﯽ ﻭﮦ ﺩﮬﻨﮏ ﺟﺲ ﮐﮯ ﻭُﻓﻮﺭِ ﺭﻧﮓ ﺳﮯ ﺟﮭﻠﮑﯽ ﮨﻮﺋﯽ ﮨﻮﺍ __ ﮐﺮﺗﯽ ﮨﮯ ﺁﺝ ﺗﮏ ﺍِﮎ ﺯُﻟﻒ ﻣﯿﮟ ﺳﺠﺎﺋﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﭘﮭﻮﻟﻮﮞ ﮐﺎ ﺍﻧﺘﻈﺎﺭ ﻟﻤﺤﮯ ﺯﻣﺎﻥِ ﮨﺠﺮ ﮐﮯ ﭘﮭﯿﻠﮯ ﮐﭽﮫ ﺍﺱ ﻃﺮﺡ ﺭﯾﮓِ ﺭﻭﺍﻥِ ﺩﺷﺖ ﮐﯽ ﺗﻤﺜﺎﻝ ﮨﻮ ﮔﺌﮯ ﺍِﺱ ﺩﺷﺖ ﭘﺮ ﺳﺮﺍﺏ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﭩﮑﮯ ﮨﯿﮟ ﺍﺱ ﻗﺪﺭ ﻧﻘﺶِ ﻗﺪﻡ ﺗﮭﮯ ﺟﺘﻨﮯ ﺑﮭﯽ، ﭘﺎ ﻣﺎﻝ ﮨﻮ ﮔﺌﮯ ﺍﺏ ﺗﻮ ﮐﮩﯿﮟ ﭘﮧ ﺧﺘﻢ ﮨﻮ ﺭﺳﺘﮧ ﮔﻤﺎﻥ ﮐﺎ ﺷﯿﺸﮯ ﻣﯿﮟ ﺩﻝ ﮐﮯ ﺳﺎﺭﮮ ﯾﻘﯿﻦ ﺑﺎﻝ ﮨﻮ ﮔﺌﮯ ﺟﺲ ﻭﺍﻗﻌﮯ ﻧﮯ ﺁﻧﮑﮫ ﺳﮯ ﭼﮭﯿﻨﯽ ﺗﮭﯽ ﻣﯿﺮﯼ ﻧﯿﻨﺪ ﺍِﺱ ﻭﺍﻗﻌﮯ ﮐﻮ ﺍﺏ ﺗﻮ۔۔۔ ﮐﺌﯽ ﺳﺎﻝ ﮨﻮ ﮔﺌﮯ ﺍﻣﺠﺪ ﺍﺳﻼﻡ ﺍﻣﺠﺪ

Hum Na Kehty Thy, ( Jan Nisar Akhtar , Ahmad Faraz & Saif-ud-Din Saif )

زمیں ہوگی کسی قاتل کا داماں، ہم نہ کہتے تھے اکارت جائے گا خونِ شہیداں ہم نہ کہتے تھے علاجِ چاکِ پیراہن ہوا تو اِس طرح ہوگا سیا جائے گا کانٹوں سے گریباں ہم نہ کہتے تھے ترانے، کچھ دبے لفظوں میں خود کو قید کرلیں گے عجب انداز سے پھیلے گا زنداں ہم نہ کہتے تھے کوئی اتنا نہ ہوگا لاش بھی لے جا کے دفنا دے اِنھیں سڑکوں پر مرجائے گا انساں ہم نہ کہتے تھے نظر لپٹی ہے شعلوں میں، لہو تپتا ہے آنکھوں میں اُٹھا ہی چاہتا ہے کوئی طوفاں ہم نہ کہتے تھے چھلکتے جام میں بھیگی ہوئی آنکھیں اُتر آئیں ستائے گی کسی دن یادِ یاراں ہم نہ کہتے تھے نئی تہذیب کیسے لکھنؤ کو راس آئے گی اُجڑ جائے گا یہ شہرِ غزالاں ہم نہ کہتے تھے جاں نثار اختر .................................................................... Zameen Hogi Kisi Qatil Ka Damaan,Hum Na Kehty Thy Akarat Jai Ga Khoon-e-Shaheedan,Hum Na Kehty Thy Elaaj-e-Chaak-e-Parahan Howa To Iss Tarah Hoga Seeya Jai Ga Kaanton Se Garebaan, Hum Na Kehty Thy Tarany,Kuch Daby Lafzon Mein Khud Ko Qaid Kar Len Gy Ajab Andaz Se Phaily Ga ...