Posts

Showing posts from May, 2014

Mil Hi Jaye Ga Kahein
Dil Ko Yaqeen Rehta Hai

Mil Hi Jaye Ga Kahein Dil Ko Yaqeen Rehta Hai, Wo Is Shehr Ki Galion Mein Kahein Rehta Hai, Ek Zmana Tha Ki Sab Ek Jaga Rehte Thay, Aur Ab Koi Kahein Koi Kahein Rehta Hai, Jis Ki Sanso Se Mu'atar Thay Dar-O-Deewar Tere, Aye Makaan Bol Kahan Ab Wo Makeen Rehta Hai, Roz Milne Pe Bhi Lagta Hai K Jag Beet Gaye, Ishq Mein Waqt Ka Ehsas Kahan Rehta Hai, Dil Afsurda To Howa Dekh Kar Us Ko, Umar Bhar Kon Jawaan, Kon Haseen Rehta Hai.............!   

Kuch Aisa Mahal To Nahi Hai

Deedar Wasal To Nahi Hai

Dil Le K Badal Gaye Nigahein

Poet Naseer-o-Deen Naseer Kuch Aisa Mahal To Nahi Hai, Deedar Wasal To Nahi Hai, Dil Le K Badal Gaye Nigahein, Ye Muft Ka Maal To Nahi Hai, Be Wajha Wo Mehrbaan Hai Kion Kar, Dekho...! Koi Chaal To Nahi Hai, Shikwa Karon Bewafaion Ka, Meri Ye Majal To Nahi Hai, Furqat Ka Jawab Humnasheeni, Izat Ka Sawal To Nahi Hai, Har Bat Ko Kal Pe Talte Ho, Wada Hai Wabal To Nahi Hai, Kion Karte Ho Khoon Aarzo Ka, Tum Par Ye Halal To Nahi Hai, Is Darja Na Ho Sitam Pe Nazaan, Ye Koi Kamaal To Nahi Hai, Dekho To NASEER Dil Ki Janib, Gudri Mein Ye Laal To Nahi Hai.....................! Page 26 

Ujar Gia Chaman Log Dilfgar Chale

Poet Naseer-o-Deen Naseer  Ujar Gia Chaman Log Dilfgar Chale, Koi Saba Se Kaho Ab Na Bar Bar Chale, Ye Ko Seir Ka Armaan Liye Chaman Se Gia, K Baad-E-Subha K Jhonke Bhi So Gawar Chale, Ye Kia K Koi Bhh RoYa Na Yad Kar K Unhain, Wo Chand Phool Jo Husn-E-Chaman Nikhar Chale, Naqab Utha K Pare Ehl-E-Dard Mein Hal Chal, Nazar Mila K Churi Dil K K Aar Paar Chale, Khosha K Dar Pe Tere Jhuka Lia Hum Ne, Ye Aik Qarz-E-Jabeen Tha Jise Utar Chale, Kahe Jo Haq Wo Kare Kion Ma'aal-E-Haq Se Gureiz, Koi Chale Na Chale Hum To Sooye Daar Chale, Ab Is K Bad Jane Ya Saba Jane, Guzarne Thay Humain Char Din Guzar Chale, Palat K Dekha Na Ek Bar Karwaan Ne Humain, Gire Paron Ki Tarha Hum Pas-E-Ghubar Chale, Jo Un Ki Yad Mein Chamke Kabhi Sar-E-Majhgaan, Wo Char Ashk Meri Aaqbat Sanwar Chale, Kisi Ki Yad Se Taskeen-E-Jaan Hai Wabasta, Kisi Ka Zikar Chale Aur Bar Bar Chale, Tumhari Bazm Se Taseer Uth Gai Shayad, Bahal-

Ab Shoq Se K Jan Se Guzar Jana Chahiye

Image
    Poet Ahmad Faraz   Ab Shoq Se K Jan Se Guzar Jana Chahiye, Bol Aaye Hawa-E-Shehr...! Kidhar Jana Chahiye, Kab Tak Usi Ko Aakhri Manzal Kahein Gay Hum, Koo-E-Murad Se Bhi Udhar Jana Chahiye, Wo Waqt Aa Gia Hai K Sahil Ko Chor Kar, Gehre Samandaron Mein Utar Jana Chahiye, Ab Raftgan Ki Bat Nahi Karwan Ki Hai, Jis Simt Bhi Ho Gird-E-Safar Jana Chahiye, Kuch To Saboot-E-Khoon-E-Tamanna Kahein Mile, Hai Dil Tahi To Aankh Ko Bhar Jana Chahiye, Ya Apni Khawahishon Ko Muqadas Na Jante, Ya Apni Khawahishon K Sath Hi Mar Jana Chahiye.........! Page 33,34  

Nazar Bujhi To Karishme Bhi Roz-O-Shab K Gaye

  Poet Ahmad Faraz    Nazar Bujhi To Karishme Bhi Roz-O-Shab K Gaye, K Ab Talak Nahi Aaye Hain Log Jab K Gaye, Sune Ga Kon Teri Bewafaion K Gila, Yehi Hai Rasm-E-Zamana To Hum Bhi Ab K Gaye, Magar Kisi Ne Humain Humsafar Nahi Jana, Ye Aur Bat K Hum Sath Sath Sab K Gaye, Ab Aaye Ho To Yahan Kia Hai Dekhne K Liye, Ye Shehr Se Hai Weeraan Wo Log Kab K Gaye, Girfta Dil Thay Magar Hosla Na Haara Tha, Girfta Dil Hain Magar Hosle Bhi Ab K Gaye, Tum Apni Shamma-E-Tamana Ko Ro Rahe Ho, FARAZ In Aandhion Mein To Pyare Charagh Sab Gaye.........! Page 39,40   

Na Ab Jawaz Na Moqa Hai Hath Milne Ka

  Poet Ahmad Faraz    Na Ab Jawaz Na Moqa Hai Hath Milne Ka, Humain Ko Shoq Raha Rasta Badalne Ka, Pohnch Gaye Sar-E-Manzal Ba Khoobi-E-Qismat, Main Aap Apne Hi Pindar K Hisaar Mein Hon, Bajuz Shikast Kahan Rasta Nikalne Ka, Wo Sa'atein To Hawaon K Sath Ja Bhi Chukein, Nazar Mein Ab Bhi Hai Manzar Charagh Jalne Ka, Wo Sard Mehr Sahi Par Nigah-E-Lutf K Bad, Faraz Dekh Samaan Barf Pigalne Ka................! Page 50       

Badan Mein Aag Hai Chehra Gulab Jaisa Hai

  Poet Ahmad Faraz    Badan Mein Aag Hai Chehra Gulab Jaisa Hai, K Zehr-E-Gham Ka Nasha Bhi Sharab Jaisa Hai, Wo Samne Hai Magar Tishnagi Nahi Jati, Ye Kia Sitam Hai K Daria Sarab Jaisa Hai, Kahan Wo Qurb K Ab To Ye Haal Hai Jaise, Tere Firaq Ka Aalam Bhi Khawab Jaisa Hai, Magar Kabhi Koi Dekhe Koi Parhe To Sahi, Dil Aaina Hai To Chehra Gulab Jaisa Hai, Bahar-E-Khoon Se Chaman Zaar Ban Gaye Maqtal, Jo Nakhal Daar Hai Shakh-E-Gulab Jaisa Hai, FARAZ Sang-E-Mulamat Se Zakham Zakham Sahi, Humain Aziz Hai Khana Kharab Jaisa Hai................! Page 45,46   


Sar-E-Toor Ho
Sar-E-Hashar Ho

Humain Intazar Qabool Hai

  Poet Qateel Shifai    Sar-E-Toor Ho Sar-E-Hashar Ho Humain Intazar Qabool Hai Wo Kabhi Milein, Wo Kahein Milein, Wo Kabhi Sahi, Wo Kahein Sahi, Mera Un Pe Jo Bas Nahi To Na Sahi, K Ye Aashqi Hai Hawas Nahi, Main Unhi Ka Tha, Unhi Ka Hon, Wo Mere Nahi To Na Sahi, Jo Ho Faisla Wo Sunaiye, Isay Hashar Pe Na Uthaiye, Jo Karein Gay Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yahein Sahi, Usay Dekhne Ki Jo Lo Lagi, To Dekh Hi Lein Gay QATEEL Hum, Wo Hazar Aankh Se Door Hon, Wo Hazar Parda Nasheen Sahi.............!   

Mein Teri Be Rukhi Se Darta Hon Dil Toote Us Ghari Se Darta

  Poet Ayaz Khan Typ By *.__Ayaz Khan__.*    Mein Teri Be Rukhi Se Darta Hon. Dil Toote Us Ghari Se Darta Hon. Dil Ko Kise Smjahon Dilagi Thek Nahi. Mein Nadaan Hon Nadani Se Darta Hon. Din Ho Ya Shab Teri Yaad Se Khali Nahi. Mein Tariki Se Nahi Chandni Se Darta Hon. Ye Sach Hai K Tere Bina Mein Adhoora Hon. Mein Khud Se Nahi Teri Kami Se Darta Hon. AYAZ Tere Bina Zindgi Sehra Lagti Hai. Mein Mout Se Nahi Zindagi Se Darta Hon........!  

Tujhe Azhar-E-Mohabbat Se Agar Nafrat Hai

    Poet Ahmad Nadeem Qasmi   Tujhe Azhar-E-Mohabbat Se Agar Nafrat Hai, Too Ne Honton Ko Larazne Se To Roka Hota, Be Niazi Se Magar Kanpti Aawaz K Sath, Too Ne Ghabra K Mera Naam Na Poocha Hota, Tere Rukhsar Mein Gulzar Na Bharka Hota, Tera Ghamaz Bana Khud Tera Andaz-E-Kharaam, Dil Ne Sambhla Tha To Qadmo Ko Sambhala Hota, Apne Badle Meri Tasveer Nazar Aa Jati, Too Ne Us Waqt Agar Aaina Dekha Hota, Hosla Tujh Ko Na Tha Mujh Se Juda Hone Ka, Warna Kajal Teri Aankhon Ka Na Phaila Hota................!     

Batao Kaisa Haseen Khat Ka Jawab Aaya

    Poet Adeem Hashmi    Batao Kaisa Haseen Khat Ka Jawab Aaya, Kaha Lafafe Mein Un Labon Ka Gulab Aaya, Bata Hawa Hai Phir Aanchlon Ka Rawaj Kab Se, Kaha Wo Mehfil Mein Jab Se Orhe Naqab Aaya, Bata Wo Aa Kar Chala Gia Too Ne Kion Na Roka, Kaha Wo Aaya To Youn Laga Jaise Khawab Aaya, Bata Wo Aaya Jo Phool Le Kar To Kia Laga Hai, Kaha K Jaise Gulab Le Kar Gulab Aaya, Bata Shafaq Kis Ko Dekh Kar Surkh Ho Rahi Hai, Kaha Uffaq Ki Mandeer Par Aftab Aaya, Bata QaYamat Misal Aamad ADEEM Us Ki, Kaha K Dunia Mein Jaise Youm-E-Hisab Aaya..............!     

Mata-E-Kosar-O-Zamzam K Pemane Teri Aankhein

  Poet Saghir Saddiqui Mata-E-Kosar-O-Zamzam K Pemane Teri Aankhen. Farishton Ko Bana Deti Hain Diwane Teri Aankhen. Jahan-E-Rang-O-Boo Uljha Howa Hai In k Doron Mein. Lagi Hain Kakal-E-Taqdeer Suljhane Terr Aankhen. Isharon Se Dilon Ko Chhir Kar Iqraar Karti Hain. Uthati Hain Bahaar-E-Nao K Nazrane Teri Aankhen. Wo Diwane Zamam Lala-O-Gul Thaam Lete Hain. Jinhen Mansob Kar Deti Hain Wirane Teri Aankhen. Shagufon Ko Shararon Ka Machalta Rop Deti Hain. Haqeeqat Ko Bana Deti Hain Afsane Teri Aankhen.....! Book: Kuliyat e Saghir Page: 325   

Tum Jis Khawab Mein Aankhen Khulo

  Poet Amjad islaam Amjad TUM Type By *.__Ayaz Khan__.* Tum Jis Khawab Mein Aankhen Khulo, Us Ka Roop Ammar, Tum Jis Rang Ka Kapra Pheno, Wo Musam Ka Rang, Tum Jis Phol Ko Hans Kar Dekho, Kabhi Na Murjhe, Tum Jis Harf Pe Ungli Rakh Do, Wo Roshan Ho Jaye........! Book: Muhabbat Aisa Daria Hai Page: 81  

Machlne Lagta He Ye Dil Sham Hote Hi

  Poetss Shazia Roman Type bY  UJRRA_DIL Machlne Lagta He Ye Dil Sham Hote Hi, Tujhe Dekhne Ko Tarsta He Har Pal Sham Hote Hi, Barri Mushkil Se Main Ise Sanbhalti Hon Sara Din, Par Sanbhlta Nahi Kisi Tarah Ye Pagal Sham Hote Hi, Bhool Jata He Ye Sara Zamana Hi Mgar, Bhoolta Nahi Teri Aankh Ka Kajal Sham Hote Hi, Aao Na Tum Agar Kar K Wada Milne Ka, To Barsta He Phir Ban K Badal Sham Hote Hi, Muat Aai To Dafan Karna Mujhe Is Tarah, Aurrha Kar Us Ka Aanchl Sham Hote Hi...............! . Page 139    

Main Wohi Hon Jise Tum Dost Kaha Karte Thay

Main Wohi Hon Jise Tum Dost Kaha Karte Thay, Din Mein So Bar Mera Naam Lia Karte Thay, Aaj Kia Bat Hai Kion Mujh Se Khafa Bethe Ho? Kia Kisi Aur Ko Tum Dost Bana Bethe Ho? Fasle Itne To Pehle Na Howa Karte Thay, Main Wohi Hon Jise Tum Dost Kaha Karte Thay, Tum Agar Bhool Gaye Ho To Koi Bat Nahi, Zakham To Pehle Bhi Is Dil Pe Laga Karte ThaY, Main Wohi Hon Jise Tum DOST Kaha Karte Thay......! =============== Nomii Collection ===============    

Chalo Usi Se Kahein Dil Ka Haal Jo Bhi Ho

  Poet Ahmad Faraz    Chalo Usi Se Kahein Dil Ka Haal Jo Bhi Ho, Wo Chara Gar To Hai Us Ko Khayal Jo Bhi Ho, Usi K Dard Se Milte Hain Silsale Jaan K, Usi K Naam Laga Do Malaal Jo Bhi Ho, Mare Na Haar K Hum Qais-O-Kohkan Ki Tarha, Ab Aashiqi Mein Humari Misal Jo Bhi Ho, Ye Rahguzar Pe Shammain Damakti Jati Hain, Usi Ka Qamat-E-Zeba Hai Chaal Jo Bhi Ho, FARAZ Us Ne Wafa Ki K Bewafai Ki, Jawab Deh To Humain Hain Sawal Jo Bhi Ho...........! Page 68   

Gham-E-Dil Ko In Aankhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai Lyric

Image
      Singer Farhia Parvez    Gham-E-Dil Ko In Aankhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai, Tarapna Bhi Humain Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai, Kisi Ki Yad Mein Jo Zindagi Hum Ne Guzari Hai, Humain Wo Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai, Howay Hum Roo Ba Roo Dastan Apni Sunain GaY, Kuch Apna Dil Jalain Gay Kuch Un Ko Aazmain Gay, Sir-E-Mehfil Humain To Shamma Ban Jana Bhi Aata Hai, Dabe Paon Humain Aa Kar Kisi Ka Gud Guda Lena, Wo Apna Rooth Jana Aur Wo Un Ka Mana Lena, Wo Manzar Jhankte Hain Aaj Bhi Yadon Ki Chilman Se, Bhula Sakta Hai Kaise Koi Wo Andaz Bachpan K, Humein Guzri Hoi Baton Ko Duhrana Bhi Bata Hai, Humain Aata Nahi Hai Pyar Mein Be Aabro Hona, Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafa Mein Surkh Roo Hona, Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Mang Bhar Den Gay, Ye Dil Kia Cheez Hai Hum Apni Jan Bhi Qurban Kar Den Gaye, Khilaf-E-Zabt-E-Ulfat Mein Hum Ko Mar Jana Bhi Aata Hai......!    

Woh Be-Hijab Jo Pi Ke Kal Sharab Aaya

Poet:   Bahadur Shah Zafar   Woh Be-Hijab Jo Pi Ke Kal Sharab Aaya ........ . . . Agarcha Mast Tha Main Par Mujhe Hijab Aaya ........   Nomi  Collections

Dard Ki Rahein Nahi Aasan Zara Ahista Chal

  Poet Ahmad Faraz    Dard Ki Rahein Nahi Aasan Zara Ahista Chal, Aye Sabak Rawa-E-Hareef-E-Jaan Zara Ahista Chal, Manzalon Par Qurb Ka Nasha Hawa Ho Jaye Ga, Humsafar Wo Hai To Aye Nadaan Zara Ahista Chal, Na Muradi Ki Thakan Se Jism Pathar Ho Gia, Ab Sakat Kaisi Dil-E-Weeran Zara Ahista Chal, Jam Se Lab Tak Hazaron Laghzashein Hain Khush Na Ho, Ab Bhi Mehroomi Ka Hai Imkaan Zara Ahista Chal, Aaye Hawa-E-Manzal-E-Jana Zara Ahista Chal, Is Nagar Mein Zulf Ka Saya Na Daman Ki Hawa, Aye Ghareeb-E-Shehr-E-Naparsaan Zara Ahista Chal, Aabla Pa Tujh Ko Kis Hasrat Se Takte Hain, FARAZ Kuch To Zalim Pas-E-Humrahaan Zara Ahista Chal................! Page 83,84   

Har Taraf Saghir Bakaf Hain May Gusaaran-E-Bahar

  Poet Bedam Shah Warsi Type By *.__Ayaz Khan__.*   Har Taraf Saghir Bakaf Hain May Gusaaran-E-Bahaar. ALLAH ALLAH Aaj To Hai Aam Fizaan-E-Bahaar. Chandni Mein Sone Walon Ko Jagne K Liye. La Naseem-E-Subh La Boo-E-Gulistan-E-Bahaar. Chand Roza Deed-E-Gul Par Shaad Hai Kia Andleeb. Aik Din Dast-E-Khizaan Lote Ga Saman Bahaar. Ghaza Rukhsar-E-Gul Khakstar-E-Bulbu Hoi. Aur Bana Rang-E-Chaman Khon-E-Saheedan-E-Bahaar. Sara Aalam Mast Hai Saqi Ki Chasham-E-Mast Se. Aik BEDAM Hi Raha Nakaam Duraan-E-Bahaar......! Book: Mashaf e Bedam Page: 155  

Mein Yaar Ka Jalwa Hon

Ya Deed-E-Mosa Hon

Qatra Hon Na Daria Hon

  Poet Bedam Shah Warsi Type By *.__Ayaz Khan__.*    Mein Yaar Ka Jalwa Hon Ya Deed-E-Mosa Hon Qatra Hon Na Daria Hon Basti Hon Na Sehra Hon, Jeena Mera Marna Hai, Marne Ko Tarasta Hon, Mein Apni Hi Umeed Ka, Bigra Howa Naqsha Hon, Main Armano Ka Gehwara, Hasrat Ka Janaza Hon, Is Aalam-E-Hasti Mein, Youn Hon K Mein Goya Hon, Zinda Hon Magar BEDAM, Ek Tarfa Tamash Hon..........!   Book: Mashaf e Bedam Page: 174  

Mein Yar Ka Jalwa Hon

Ya Deed-E-Mosa Hon

Qatra Hon Na Daria Hon

  Poet Bedam Shah Warsi  Type By  *.__Ayaz Khan__.*    Mein Yar Ka Jalwa Hon Ya Deed-E-Mosa Hon Qatra Hon Na Daria Hon Basti Hon Na Sehra Hon, Jeena Mera Marna Hai, Marne Ko Tarasta Hon, Mein Apni Hi Umeed Ka, Bigra Howa Naqsha Hon, Main Armano Ka Gehwara, Hasrat Ka Janaza Hon, Is Aalam-E-Hasti Mein, Youn Hon K Mein Goya Hon, Zinda Hon Magar BEDAM, Ek Tarfa Tamash Hon..........!    Book: Mashaf e Bedam Page: 174  

Dil Ki Takleef Kam Nahi Karte

Ab Koi Shikwa Hum Nahi Karte

    Poet Jhon Elia Type By *.__Ayaz Khan__.* Dil Ki Takleef Kam Nahi Karte Ab Koi Shikwa Hum Nahi Karte Jan-E-Jaan Tujh Ko Ab Teri Khatir, Yaad Hum Koi Dam Nahi Karte, Dosri Haar Ki Hos Hai So Hum, Sar-E-Tasleem Kham Nahi Karte, Wo Bhi Parta Nahi Hai Dil Se, Hum Bhi Nale Ko Nam Nahi Karte, Juram Mein Hum Kami Karen Bhi To Kion, Tum Saza Bhi To Kam Nahi Karte...........! Book: Gumman    

Kaha Tha Kis Ne Tujhe Aabro Ganwane Ja

  Poet Ahmad Faraz   Kaha Tha Kis Ne Tujhe Aabro Ganwane Ja, Faraz Aur Usay Haal-E-Dil Sunane Ja, Kal Ek Faqeer Ne Kis Sadgi Se Mujh Se Kaha, Teri Jabeen Ko Bhi Tarsein Gay Aastane Ja, Usay Bhi Hum Ne Ganwaya Teri Khushi K Liye, Tujhe Bhi Dekh Lia Hai Are Zamane Ja, Bahut Hai Dolat-E-Pindar Phir Bhi Deewane, Jo Tujh Se Rooth Chuka Hai Usay Manane Ja, Suna Hai Us Ne Soimbar Ki Rasam Taza Ki, Faraz Too Bhi Muqadar Ko Azmane Ja...............! Page 49     


Saye Ki Tarha Na Khud Se Ram Kar

Deewar Ko Apna Hum Qadam Qadam Kar

  Poet Ahmad Faraz    Saye Ki Tarha Na Khud Se Ram Kar Deewar Ko Apna Hum Qadam Qadam Kar, Apne Hi Liye Baha Na Daria, Auron K Liye Bhi Aankh Nam Kar, Takmeel-E-Talab Nahi Hai Manzal, Taye Rah-E-Wafa Qadam Qadam Kar, Aye Pichli Rutton K Rone Wale, Aane Wale Dino Ka Gham Kar, Mumkin Ho To Taisha-E-Hunar Se, Har Para-E-Sang Ko Sanam Kar, Hai Chashm Barah Aik Dunia, Pathar Ki Tarha Na Beth Jam Kar, Ye Rah-E-Janoon Hai Is Mein Pyare, Mumkin Ho To Ehtiat Kam Kar, Aye Qasar-E-Jahan Ye Tera Mamaar, Too Hath FARAZ K Qalam Kar................! Page 97,98   

Mizaj Hum Se Ziada Juda Na Tha Us Ka

  Poet Ahmad Faraz    Mizaj Hum Se Ziada Juda Na Tha Us Ka, Jab Apne Tour Yehi Thay To Kia Gila Us Ka, Wo Apne Za'am Mein Tha Bekhabar Raha Mujh Se, UsaY Gumaan Bhi Nahi Main Nahi Raha Us Ka, Wo Barq Rao Tha Magar Rah Gia Kahan Jane, Ab Intazar Karein Gay Shikasta Pa Us Ka, Chalo Ye Seil Bila Khaiz Hi Bane Apna, Safeena Us Ka Na Khuda Us Ka, Ye Ehl-E-Dard Bhi Kis Ki Dohai Dete Hain, Wo Chup Bhi Ho To Zamana Hai Humnawa Us Ka, Humain Tark-E-Ta'aluq Mein Pehl Ki, FARAZ Wo Chahta Tha Magar Hosla Na Tha Us Ka..............! Page 66,67   

Mere Qalam Pe Rahi Nok Jis K Khanjar Ki

  Poet Ahmad Faraz    Mere Qalam Pe Rahi Nok Jis K Khanjar Ki, Suna Hai Us Ki Zaban Bhi Hoi Hai Pathar Ki, Rawaan Hai Qulzam-E-Khoon Androon-E-Shehr Bhi Dekh, K Khushnuma To Bahut Hai Faseel Bahir Ki, Ujar Pairr Gaye Mosamo Ko Rote Hain, Har Aab Joo Ko Hawas Pee Gai Samandar Ki, Faqeeha-E-Shehr Jabeen Par Galaah-E-Zar Rakhe, Suna Raha Hai Humain Aayatein Muqaddar Ki, Khud Apne Khoon Mein Nahaye HowaY Magar Chup Hain, Ye Log Hain Chatanein Hain Surkh Pathar Ki, Wo Aik Shakhs K Sooraj K Roop Mein Aaya, Chura K Le Gia Shammein FARAZ Har Ghar Ki...............! Page 60,61  

Kia Kaha Qasid Too Ne...?

Zara Phir Se Kehna,

Un Ki Aankhain...?


    Dedicated To Just For Me Kia Kaha Qasid Too Ne...? Zara Phir Se Kehna, Un Ki Aankhain...? Humara Zikar....??? Aur Aansoo.....???? NA Na Na........!    

Us bewfa se bhla rishta mita kaise don

  Poet Ahmed Faraz Us bewfa se bhla rishta mita kaise don, Wo JAN hai meri usay bhula kaise don, Apni rooh mein basa k jise pyar kia tha, Sochta hun usay ab dagha kaise don. Kitne khawab sajaye thay meri in aankhon ne, Mein apna har khawab bhla jala kaise don. Wo roye ga to aanso mere b niklein gay, Us ki bewafai ki usay saza kaise don. Wo kehta hai k us ki khushi ki dua mangon mein, Par wo kisi aur ka ho jaye usay ye dua kaise dun. ============== Nomiii Collection ==============  

Qasoor Mera Tha, To Qasoor Aap ka Bhi Tha

    3600 Post Dedicate 2 Nouman Arsalan ( Nomii )   Qasoor Mera Tha, To Qasoor Aap ka Bhi Tha, Nazar Hum Ne Jo Uthai Thi, To aap Hi Jhukka Laitay...!    

Laho To Dil Ka Meri Chasham-E-Tar Main Aaya Hai

    Poet Jamaal Pani Pati Typ By *.__Ayaz Khan__.* Laho To Dil Ka Meri Chasham-E-Tar Main Aaya Hai. Magar Ye Dil Kahan Us Nazar Mein Aaya Hai. Khabar To Le Na Kahen Shehr-E-Jaan Hi Jalta Ho. Dhowan Kahan Se Ye Dil K Nagar Mein Aaya Hai. Jale Hain Daag To Dil K Agar Diye Na Jale. Chalo Kahen Se Ujala To Ghar Mein Aaya Hai. Muhabbaton Ka Saleeqa Rafqaton Ka Hunar. Kharab Ho K Bahut Umer Bhar Main Aaya Hai. Zameen Bhi Paon Tale Zair-E-Aasman Na Rahi. Azaab Ye Bhi Humen Har Safar Mein Aaya Hai.......! ================== Nomiii  Collection ==================    

Sard Raton Ko Mere Pas Aati Hain Teri Yadein

Sard Raton Ko Mere Pas Aati Hain Teri Yadein, Har Shab Tanhai Mein Satati Hain Teri Yadein, Lot Kar Ab Kabhi Na Aaye Ga Tere Pas, Har Shab Yahi Keh Kar Mujhe Rulati Hain Teri Yadein, Roz-O-Shab Tujhe Bhulane Ki Koshish Karta Hon, Tera Naam Le Kar Mujhe Tarrpati Hain Teri Yadein, Main Jab Bhi Bhujhata Hon Tere Payar Ka Diya, Mujh Se Phoochhe Bagher Use Jalati Hain Teri Yadein, Main Bhulana Chahta Hon Jis Soorat Ko, Har Shab Mujhe Soorat Wahi Dikhati Hain TERI YAADEIN.......! ================= Nomiii Collection =================    

Seene Se Lipat Ja Mere Khawabon Se Nikal Kar

  Poet Mohsin Naqvi   Seene Se Lipat Ja Mere Khawabon Se Nikal Kar, Ik Baar Milen Hum Bhi Hijaabon Se Nikal Kar. Kirnon Ki Trah Baant Zamaany Men Ujaala, Khushbu Ki Trah Pheil Gulaabon Se Nikal Kar. Mey,Khano Ki Surat Hain Teri Jheel Si Ankhen, Dooby Hain Jahan Log Sharabon Se Nikal Kar. Mujhko Bhi Gwaara Nahi Ab Tujhse Bicharrna, Dil Bhi Hai Pareshan Saraabon Se Nikal Kar. Rehne Do Abhi Gardish-e-Doraan Men Hi "MOHSIN", Behly Gi Tabiyat Na Azaabon Se Nikal Kar.. ============== Nomiii Collection ==============  

Sahil Py Kharay Ho Tumhain Kia Gham Chale Jana

    Singer Sajjad Ali Poet AFtab MuZtar Sahil Py Kharay Ho Tumhain Kia Gham Chale Jana, Main D0oB Raha H0n Abhi D0oBa To Nahi H0on...,* Aye WaDa FaraMoSh Main TuJh Sa To Nahi H0on, Har Zulm Tera Yaad Hai Bh0la To Nahi H0on...,* Aye WaDa FaraMoSh Main TuJh Sa To Nahi H0on, ChuP ChaaP Sahi MaSle'Hatan WaQt K Hath0on...,* MaJb0or Sahi WaQt Sy Haara To Nahi H0on, Aye WaDa FaraMoSh Main TuJh Sa To Nahi H0on...,* Muztar Kiyun MuJhe Dekhta Rehta Hai ZaMana, DeWana Sahi Un Ka TaMaSha To Nahi H0on...,* Aye WaDa FaraMoSh Main TuJh Sa To Nahi H0on, Har Zulm Tera Yaad Hai Bhoola To Nahi Hon..................! ================= Nomiii Collection ==================    

Chasham-E-Saqi Ki Anayat Pe Pabandi Hai

    Poet Saghar Saddiuqi Type By *.__Ayaz Khan__.* Chasham-E-Saqi Ki Anayat Pe Pabandi Hai, In Dino Waqt Pe Halaat Pe Pabandi Hai, Bikhri Bikhri Hoi Zulfon K Fasane Cherro, May-Kasho Ehd-E-Kharbaat Pe Pabandi Hai, Dil Shikan Ho K Chale Aaye Teri Mehfil Se, Teri Mehfil Main To Har Baat Pe Pabandi Hai, Dard Utha Hai Lahoo Ban K Uchalne K Liye, AaJ Tak Kehte Hain K Jazbaat Pe Babandi Hai, Har Tamana Hai Koi Dubta Lamha Jise, Saaz Maghmom Hain Naghmat Pe Pabandi Hai, Kehkashaan Baam-E-Suraia K Tale Soi Hai, Chaand Be Rang Sa Hai Raat Pe Babandi Hai, Aag Seeno Main Lagi SAGHAR -O- Meena Chalke, Koi Kehta Tha K Barsat Pe Pabandi Hai.........! Book: Kuliyat e Saghar Page: 213    

Ye Mizaj-E-Yar Ko Kia Howa Unhen Mujh Se Pyar Hai Aaj Kal

    Poet Kaif Bhopali Typ By *.__Ayaz Khan__.* Ye Mizaj-E-Yar Ko Kia Howa Unhen Mujh Se Pyar Hai Aaj Kal. Meri Justoju Meri Guftogu Mera Intazar Hai Aaj Kal. Wo Tere Khatoot Nikaalna Kabhi Dekhna Kabhi Chomna. Yahi Mashghala Yahi Silsila Yahi karobar Hai Aaj Kal. Aise Qatal Kar Use Qatal Kar Tujhe Sath Khoon Maf Hain. Teri Saltanat Tera Dabdaba Tera iqtidar Hai Aaj kal. Ary KAIF Kal To Too Rind Tha Mere Yaar Tujh Ko Ye Kia Howa. Barra Mazhabi Barra Paarsa Barra Deen Daar Hai Aaj Kal.......! ============== Nomiii Collection ==============    

Hareem-E-Lafz Mein kis Darja Be Adab Nikla

  Poet Iftakhar Arif Type By *.__Ayaz Khan__.*   Hareem-E-Lafz Mein kis Darja Be Adab Nikla. Jis Najeeb Samjte The Kam Nasab Nikla. Sapa-E-Sham K Neze Pe Aftaab Ka Sar. Kis Ehtamam Se Prwardigar-E-Shab Nikla. Humari Garmi Guftaar Bhi Rahi Be Sod. Kisi Ki Chup Ka Bhi Matlab Ajab Ajab Nikla. Baham Howe Bhi Mgr Dil Ki Wihshaten Na Gain. Wesaal Mein Bhi Dilon Ka Ghubar Kab Nikla. Abhi Utha Bhi Nahi Tha Kisi Ka Dast-E-Karam. K Sara Shehr Liye Kasa Talab Nikla........! INTIKHAB: Book Bahaar e Ghazal Page: 83 ============== Nomiii Collection ==============  

Phool Pe Aa Kar Bethi To Khud Urna Bhool Gai

Phool Pe Aa Kar Bethi To, Khud Urrna Bhool Gai, Aisi Mast Hui Wo Titli Par, Phelna Bhool Gai, Aisa Khila Wo Phool Sa Chahra, Pheli Sare Ghar Mein Khushboo, Khat Ko Chupa Kar Parhne Wali, Raaz Chupana Bhool Gai, Kaliyon Ne Har Bhanware Titli Se Phoocha Hai Us Ka Naam, Bad-E-Saba Jis Phool K Ghar Se Bhool Gai, Barson Bad Mile To Aisi Payas Bhari Thi Aankhon Mein, Bhool Gaya Main Baat Batana, Wo Sharmana Bhool Gai, Sajan Ki Yadein Bhi Kin Lamhon Mein Aati Hain ? Gori Aata Goondh Rahi Thi, Namak Milana Bhool Gai...........! ============== Nomiii Collection ==============    

Shakh-E-Badan Ko Taza Phool Nishani De

  Poetess Parveen Shakir    Shakh-E-Badan Ko Taza Phool Nishani De, Koi To Ho Jo Meri Jaron Ko Pani De, Apne Sare Manzar Mujh Se Le Le Aur, Maalik Meri Aankhon Ko Hairani De, Us Ki Sargoshi Bheegti Jaye Rat, Qatra Qatra Tan Ko Nai Kahani De, Us K Naam Pe Khule Dareeche K Neeche, Kaisi Pyari Khushbo Rat Ki Rani De, Bat To Tab Hai Mere Haroof Goonj K Sath, Koi Us Lehje Ko Bat Purani De................! Page 374   

Mar Bhi Jaon To Kahan Log Bhula Hi Den Gay

  Poetess Parveen Shakir    Mar Bhi Jaon To Kahan Log Bhula Hi Den Gay, Lafz Mere, Mere Hone Ki Gawahi Den Gay, Log Thara Gaye Jis Waqt Manadi Aai, Aaj Paigham Nia Zil-E-Ilahi Den Gay, Jhonke Kuch Aise Thapakte Hain Gulon K Rukhsar, Jaise Is Bar To Patt Jhar Se Bacha Hi Den Gay, Hum Wo Shab Zad K Soraj Ki Anayaat Mein Bhi, Apne Bachon Ko Faqt Kowar Niga Hi Den Gay, Aasteen Sanpon Ki Pehnein Gay Gale Mein Maala, Ehl-E-Koofa Ko Nai Shehr Pana Hi Den Gay, Shehr Ki Chabian Aada K Hawale Kar K, Tuhftan Unhein Maqtool Sipahi Den Gay................! Page 20,21   

Jalad Dia Shajar-E-Jaan K Sabz Bakhat Na Tha

    Poetess Parveen Shakir Type By *.___HIJAR___.* Jalad Dia Shajar-E-Jaan K Sabz Bakhat Na Tha, Kisi Bhi Rutt Mein Haraa Ho Ye Wo Darkht Na Tha, Wo Khawab Dekha Tha Shehzadion Ne Pichle Pehr, K Us K Bad Muqaddar Mein Taaj-O-Takht Na Tha, Zara Se Jabar Mein Bhi To Toot Sakti Thi, Meri Tarha Se Tabiat Ka Wo Bhi Sakht Na Tha, Mere Liye To Wo Khanjar Bhi Phool Ban K Utha, Zaban Sakht Thi Lehja Kabhi Karakht Na Tha, Andheri Raton K Tanha Musafron K Liye, Dia Jalta Howa Koi Saz-O-Rakht Na Tha, Gaye Wo Din K Mujhi Tak Tha Mera Dukh Mehdood, Khabar K Jaisa Ye Afsana Lakht Lakht Na..................! Page 15,16 Mazeed Poetry Lene K Liye Follow HIJJAR Send 8002    

Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana

Takan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana

  Poetess Noshi Gilani    Nishani Koi To Ab K Safar Ki Ghar Lana Takan Paon Ki Aur Titlion K Par Lana Main Likh Rahi Hon Kahani Teri Rafaqat Ki, Jo Ho Sake To Koi Harf Motabar Lana, Yehi Na Ho K Musalsal Wafa Thaka Dale, Mohabbaton Mein Naya Pan Talash Kar Lana, Jo Koh-E-Qaf Chale Ho To Chand Chehron Ka, Mujasma Koi Acha Tarash Kar Lana, Safar K Shoq Mein Chal To Pare Ho Tum Ghar Se, Dukhon K Gird Se Daman Na Apna Bhar Lana, Ajab Fiza Hai Jahan Sans Le Rahe Hain Hum, Gharon Ko Lout K Aana To Chashm-E-Tar Lana..............!   

Zulf-E-Barham Sambhal Kar Chaliye

Rasta Dekh Bhal Kar ChaliYe

  Poet Abdul Hameed Addam   Zulf-E-Barham Sambhal Kar Chaliye Rasta Dekh Bhal Kar ChaliYe, Mosam-E-Gul Hai Apni Banhon Ko, Meri Banhon Mein Dal Kar ChaliYe, Maye Kade Mein Na Bethe Ta Hum, Kuch Tabiat Bahaal Kar ChaliYe, Kuch Na Dein Gay To Kia ZiYaan Ho Ga, Harj Kia Hai Sawal Kar Chaliye, Hai Agar Qatl-E-Aam Ki NiYat, Jism Ki Chab Nikal Kar ChaliYe, Kisi Nazuk Badan Se Takra Kar, Koi Kasab-E-Kamal Kar Chaliye, Ya Dopatta Na LijiYe Sar Par, Ya Dopatta Sambhal Kar Chaliye, Yar Dozakh Mein Hain Muqeem ADDAM, Khuld Se Intaqal Kar Chaliye................! Page 134,135  

Magar Khawab To Khawab Hote Hain Super Poem By Noshiii Gilani

  Poetess Noshi Gilani    Magar Khawab, Khawab To Khawab Hote Hain, Mere Shaoor Ki Aankhon Ne, Jab Dekhna Seekha To Khawab Nahi Dekhe, Khawab Dekhne Ki Khawahish, Aur Us K Azab Dekhe, Mohabbat Us Tassawor Roshan Lagta Hai, Magar Andhere Bhar Deta Hai Rooh Mein, Weeran Kar Deta Hai Dil Ki Basti Ko, Mujh Se Bhi Pehla Jurm Yehi Howa, Main Ne Jab Likhna Seekha To, Pehla Lafz Mohabbat Likha, Bahut Likha Kai Tarha Se Likha, Us Ki Khushbo Aur Us K Tamam, Rangon Ko Khud Mein Aabad Kia, Main Mohabbat Ki Us Jang Mein, Khoobsorti Se Bhikharna Aur Marna Chahti Thi, Main Ne Wo Umar, Apni Us Zindagi Mein Bahut Talash Ki, Jo Titlion Aur Jugnoo'n Ko Muthion Mein, Qaid Kar K Khush Hone Ki Hoti Hai, Garion Se Khelne Aur Sahilon Par, Sipian Chunne Se Pehle Reit K Gharonde, Banane Ki Hoti Hai Magar Meri, Zindagi K Samandar Par Na Sahil Hain, Na Sahilon Ki Hawa, Bas Reit Hi Reit Hai,