Posts

Showing posts from July, 2015

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko, Aur Phir Khud Hee Hawa Doon Os Ko

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko  Aur Phir Khud Hee Hawa Doon Os Ko Jo Bhee Hai Os Ko Ganwa Betha Hai  Mein Bhala Kaisay Ganwa Doon Os Ko ? Tujh Gumaan Per Jo Emaarat Ki Thi  Sochta Hoon K Mein Dhaa Doon Os Ko Jism Mein Aag Laga Doon Os Ke  Aur Phir Khud Hee Bujha Doon Os Ko Hijar Ki Nazar Tou Deni Hai Osay  Sochta Hoon Ke Bhulaa Doon Os Ko Jo Nahee Hai Meray Dil Ki Dunya  Kyun Na Mein "Jhon" Mita Doon Os Ko ?

Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai

Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai Samaatay Kia Nazar Mein Chaand Taaray ? Tasawwur Mein Tera Aanchal Raha Hai Teri Shaan-e-Taghaaful Ko Khabar Kia ? Koi Tere Lye Be-Kal Raha Hai Shikaayat Hai Gham-e-Dauraan Ko Mujh Se Ke Dil Mein Kiun Tera Gham Pal Raha Hai ? Taajub Hai Sitam Ki Aandhion Mein Charaagh-e-Dil Abhi Tak Jal Raha Hai Lahoo Royein Gi Magrib Ki Fizaayein Badi Tezi Se Sooraj Dhal Raha Hai Zamaana Thak Gaya, Jaalib Hi Tanha Wafaa Ke Raastay Pe Chal Raha Hai

Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loongaa Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loongaa

Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loonga  Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loonga Agar Mujhe Na Milein Tum Tumhaare Sar ki Qasam Main Apni Saari Jawaani Tabaah Kar Loonga Mujhe Jo Dair-o-Haram Mein kaheen Jagah Na Mili Tere Khiyaal Hi ko Sajdaagaah Kar Loonga Jo Tum Se kar Diyaa Mehroom Aasmaan Ne Mujhe Main Apani Zindagi Sarf-e-Gunaah Kar Loonga Raqeeb Se Bhi Milongaa Tumhaare Hukm Pe Main Jo Ab Talak Na kiyaa Thaa Ab Aah Kar Loonga Tumhaari Yaad Mein Main kaat Doongaa Hashr K Din Tumhaare Hijar Mein Raaten Siyaah kar Loonga Hareem-e-Hazrat-e-Salamaa ki Simt Jaataa Hoon Howa Na zabt To Chupake Se Aah Kar Loonga Yeh Naubahaar Yeh Abr-o-Hawaa Yeh Rang-e-Sharaab Chalo Jo Ho So Ho Ab To Gunaah Kar Loonga kisi Haseenaa Kay Masoom Ishq Mein Akhtar  Jawaani kiya Hai Main sab kuch Tabah Kar Loonga.

Chahat teri chhupa ke jiye ja rahi hun main, khud ko hasin fareb diye ja rahi hun main

Chahat teri chhupa ke jiye ja rahi hun main, khud ko hasin fareb diye ja rahi hun main, tu bewafa hai phir bhi mera honsla to dekh, tujh pe wafa nisar kiye ja rahi hun main, bharke tere daman mai musarrat ki kahkashan, saugat aansuo ki liye ja rahi hun main, ruswa na ho jaye tu is jahan mai isliye, honto ko apne khud hi siye ja rahi hun main, murat teri tarash kar poojungi isliye, pathar teri gali ka ek liye ja rahi hun main…

Main azal ki shaakh se toota hua, Phir raha hoon aaj tak bhatka hua

Main azal ki shaakh se toota hua, Phir raha hoon aaj tak bhatka hua, Dekhta rehta hai mujhe ko raat din, Koi apne takht per betha hua, Chand taare dur peechey reh gaye, Main kahan par agaya urta hua, Band khirki se hawaa ati rahi, Aik sheesha tha kahin toota hua, Khirkiyon mein, Kaghzon mein, Maiz per, Saarey kamre mein hai woh phelaa hua, Apne maazi ka samundar chaaniye, Ik  khazaana hai yahan dooba hua, Doston ne kuch sabak aese diye, Apne saaye se bhi hoon sehma hua, Kis ki aahat atey atey ruk gayi, Kis ne mera saans hai roka hua?

Woh Ziddi Tha Bohat Magar! Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha!

Woh Ziddi Tha Bohat Magar! Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha! Meri Har Baat Pe Woh inkaar Karta! Magar Meri Zidd Pe Woh Haar Jata Tha! Woh Mujh Ko Hamesha Ajnabi Hi Kehta Tha! Magar Doston Ki Tarha Hi Rakhta Tha! Woh Tark-e-talluk Ka khawaan To nahi Tha! Magar Raabtay Bhi Kam Rakhta Tha! Meri Hansi Usay Buri Lagti Thi! Magar Mujhe Woh Rota Bhi nahi Dekh Sakta Tha Jis K intezar Main Khud Ko Bhula Diya! Woh Hamesha Mujhe Pagal kaha karta Tha..

Jurm-e-ikhhlaas ke aisay bhe saza daitay hain Loog apnon ko bhe nazroon say gira daitay hain

Jurm-e-ikhhlaas ke aisay bhe saza daitay hain Loog apnon ko bhe nazroon say gira daitay hain Torr laitay hain ik pal main sub rishtay natay Sadiyun ke rafaaqat ko bhoola daitay hain Tukray kartay hain mohobat ke tehreeron ke Dooor ja k kehin paani main baha daitay hain Ana k naam per behen ore beti ko bhe Aag main jhoonk kar zinda jala daitay hain Jurm tau jurm hay wo chahay mohobat ka ho Loog nishaana khhaloos ko bhe bana daitay hain Jin pay kartay hain wafaaon ka bharosa hum Dost bun k rustay main daghha daitay hain Tum kahan yaad rakho gaiy humain ibn-e-aadam Hum tumhain apnay dil main jagah daitay hain Jab ye likhtay hain mohobat ke kahani shaukat Shama kee chah main perwana jala daitay hain

Kiya Kiya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye Hum Jaagte Rahe Thay Magar Bakht So Gaye

Kiya Kiya Na Khawab Hijar K Mosam Mein Kho Gaye Hum Jaagte Rahe Thay Magar Bakht So Gaye, Us Ne Pyaam Bheje To Raste Mein Reh Gaye Hum Ne Jo Khat Likhe Woh Hawaa Burd Ho Gaye, Main Shaher-e-Gul Mein Zakham Ka Chehra Kise Dekhaon? Shbnam Badast Log To Kaante Chabho Gaye, Anchal mein Phool Le K Kahaan ja Rahi Hoon Main Jo Aane Waale Log Thay, Woh Log To Gaye, Kiya Jaane Ufaq Kau Udhar Kiya Tilsam Hai Laote Nahi Zameen Par Ek Baar Jo Gaye, Woh Bachpane Ki Neend To Ab Khawab Ho Gai Kiya Umar Thi K Raat Howi Aur So Gaye, Kiya Dukh Thay, Kon Jaan Sakega Nighar-e-Shab Jo Mere Aur Tere Dopattay Bhego Gaye.

Chalo Phr Dhoond Lein Hum! Usi Masoom Bachpan Ko

Chalo Phr Dhoond Lein Hum! Usi Masoom Bachpan Ko! Unhi Masoom Khushiyon Ko! Unhi Rangeen Lamhon Ko! Jaha Ghum Ka Pata Na Tha! Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi! Jahan Bus Muskurahat Thi! Baharein Hi Baharein Thi! Chalo Phr Dhond Laein Hum! Usi Masoom Bachpan Ko! K Jab Sawan Barasta Tha! To Us Kaghaz Ki Kashti Ko! Bana’na Aur Duba Dena! Boht Acha Sa Lgta Tha! Aur Is Duniya Ka Hr Chehra! Boht Sacha Sa Lagta Tha

Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala Phir Se Seena Fugaar Kar Daala

Khaak Dil Ka Diyaar Kar Daala Phir Se Seena Fugaar Kar Daala Aur Kitnay Diye Jalao Ge ? Ghar Ko Tum Ne Mazaar  Kar Daala Phir Hawaaon Se Dosti Karli Phir Se Dil Daagdaar Kar Daala Ye Mohabbat Thi Khaas Shay Jis Ka Tum Ne Kaarobaar Kar Daala Phir Se Dil Haath Se Gaya Dekho Phir Mohabbat Ka Waar Kar Daala ?? Wo Jo Basti Basaa Ke Bhool Gaya Hum Ne Tou Os Se Pyaar Kar Daala Dil Ko Pehluu Mein Le Le Ke Phirta Hai Keh Raha Tha Nisaar Kar Daala Tum Ne Furqat Ke Saaray Lamhon Ko Zindagi Mein Shumaar Kar Daala Jo Hawaon Pe Pair Rakhtay Thay Khaak Ne Khaaksaar Kar Daala Hum Ne Khusbuu Ki Justuju Mein Batool Kiun Muqaddar Ko Daar Kar Daala ? Ab Na Aaya Tou Phir Balaa Se Batool Hum Ne Tou Intezaar Kar Daala……..!

Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men

Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men  Girya- o-Zaari Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khwaan Mujh Men Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mejh Men Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam ?  Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ? Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon Kabhi Yeh Dard Uatarta Hai Meri jaan Mujh Men Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni ?  Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein ? Main Jab Bhi Haath barhane Lagta Hoon Gulon Ki Taraf To Urne Lagti Hain 'Shamsheer' Titliyaan Mujh Mein.

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta  Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin  Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi  Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai  Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed  Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta........!

Meri ulfat wafa sab tere waaste, Rahaton ki dua, Sab tere waaste

Meri ulfat wafa sab tere waaste, Rahaton ki dua, Sab tere waaste, Haal-e-dil se mere kab tu waakif na tha, Phir bhi jo kuch likha, Sab tere waaste, Tere aashiq nikle pata dhoondne, Hain wohi la-pata, Sab tere waaste, Yeh andhera, Seyahi mujhe somp de, Rang-e-Qos-e-Qaza, Sab tere waaste, Bass ke apnayiyat ka agar jaam ho, Tou mere saaqiya, Sab tere waaste, Aere-Ghere jo they kuch mere aashna, Woh taluq bhi tha, Sab tere waaste, Aaj Tahir ne apno ka rakha bharam, Kis liye aye Khuda, Sab tere waaste…

Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya

Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya Jis nay morr k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parra Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay Ye luzzat benazir hay jo chala gaya wo chala gaya

Tootay Howay Lafzon Mein Rawaani Nahi Milti Lamhon Mein Tou Sadyon Ki Kahaani Nahi Milti

Tootay Howay Lafzon Mein Rawaani Nahi Milti Lamhon Mein Tou Sadyon Ki Kahaani Nahi Milti Dil Jal Gaya Ab Os Mein Dhuwaan Tak Nahi Uthta Os Raakh Se Tasweer Puraani Nahi Milti Izhaar Pe Taalay Hain Tou Taalay Hi Samajhna Har Likhi Howi Baat Zabaani Nahi Milti Jo Maango Muqaddar Se Hamain Wo Nahi Milta Is Dour Ke Raaja Ko Bhi Raani Nahi Milti Baaqi Nahi Khaaron Mein Bhi Pheli Si Chubhan Ab Aur Phoolon Pe Pheli Si Jawaani Nahi Milti Socha Tha Kisi Shaam Suhaani Ko Milain Ge Aur Shaam Hamain Koi Suhaani Nahi Milti Kaisay Mein Yaqeen Os Ka Karon Os Mein Tou Ek Bhi Chaahat Ke Qabilay Ki Nishaani Nahi Milti..........!

Hum bhi chuntay they seepiya’n aksar, Hum bhi maqrooz hain samandar ke

Hum bhi chuntay they seepiya’n aksar, Hum bhi maqrooz hain samandar ke, Aankh k gird maatmi halqey, Saaye jaisey jaley hue ghar ke, Dosto’n ki zubaa’n to khulney do, Bhool jao gay zakhm  khanjar ke, Chaand bhi zard par gya aakhir, Ujrey aangan main roshni kar ke, Aankh num bhi karo to bus itni, Rang pheekey parein na manzar ke..

Wo Chahton Ki Esi Misal Deta Hai, Awargi Ko Apnaiyat Mai Dhal Deta Hai,

Wo Chahton Ki Esi Misal Deta Hai, Awargi Ko Apnaiyat Mai Dhal Deta Hai, Wo Khush Kalam Hai Is Kadar,bat Karny Mai, Ke Harf Harf Ko Husn-o-jalal Deta Hai, Mai Uska Sath Jo Mango,zindagi Bhar Ke Liye, Baray Haseen Tareeqy Se Wo Taal Deta Hai, Ye Jan Kar B K Mujy Wo Pyar Nahi Karta, Wo Dekhta Hai Yuon Hai K,uljhan Mai Daal Deta Hai, Sawal Jaise Panha Mangty Hoon Aaankhon Se, Jawab Nigaah Se Wo Kalam Deta Hai..

Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai

Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai Wohi Tou Hai Jo Badalta Hai Mausamon Ke Rang Jo Apne Pehluu Mein Sookhay Gulaab Rakhta Hai Wo Ujri Basti Mein Dholak Ki Thaap Per Naachay Jo Apni Hasti Mein Zewar Ke Khwaab Rakhta Hai Nikhaar Paye Ga Kiun Ker Labon Ka Rung Mera ? Visaal Apna Jo Masl-e-Saraab Rakhta Hai Wohi Tou “Zaira” Ko Boond Boond Tarsaaye Jo Dasht -e-Hijr Mein Baadal Ke Khwaab Rakhta Hai

Saher Qareeb Hai Taaron Ka Haal Kya Ho Ga, Ab Intezaar K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga

  Poetess : Saba Akhtar Saher Qareeb Hai Taaron Ka Haal Kya Ho Ga, Ab Intezaar K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga, Teri Nigaah Nay Zalim Kabhi Ye Socha Hai, Teri Nigaah K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga, Naqaab Un Ka Ulatna To Chaahta Hoon Magar, Biqarr Gaye To Nazaaron Ka Haal Kya Ho Ga, Muqaabla Hai Tere Husn Ka Bahaaron Say, Naa_Jaanay Aaj Bahaaron Ka Haal Kya Ho Ga............!

Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna, Hain log bohat khaas humain aam na karna

Zahir kisi surat bhi kahin naam na karna, Hain log bohat khaas humain aam na karna, Janey ki ijazat to diye dete hain lekin, Raste main kahin aate huye shaam na karna, Kuch roz se yeh haal hai chahat mein tumhari, Bekaar parre rehna koi kaam na karna, Main bhi na dikhaon ga sar-e-raah girebaan, Tum bhi mere waadon ko sar-e-aam na karna, Is shart pe hai tar-e-taluq ki ijazat, Badnaam zamane mein mera naam na karna, Hum log palat aaney ki haatir nahin jate, Wa sham ke baad apne dar-o-baam na karna, Yadon ka nasha hosh urra deta hai Arshad, Saaqi se kaho samne ab jaaam na karna..

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna, Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna, Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna, Mein janta hoon ke woh bewafa na maaney ga, Wohi jawab miley ga, Sawal kya karna, Tu hijar de gaya aur pyar ko bhula betha, Woh bewafa tha ab us ka khayal kya karna, Usey bhulana hi Arshad teri bhalayi hai, Dil-e-tabaah ko ab khasta haal kya karn.!

Zindagi rukh badal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti

Zindagi rukh badal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti, Zindagi ko galey laga leta, Har tamana pighal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti, Khawab palkon pe mein sajaa leta, Tujh ko seeney se mein laga leta, Apne dil mein tujhe basaa leta, Meri kismat badal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti, Aahh nikle gi hont si loon ga, Jis tarah ho sake ga jee lon ga, Zeher bhi hanste hanste pee loon ga, Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti, Ab tere gham ko dil mein paloon ga, Haan judai ka zakham kha loon ga, Maut ko bhi galey laga loon ga, Maut bhi aa ke tall gayi hoti, Kash tu mujh ko mil gayi hoti..

Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki

Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki  Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki Woh sitamgar hai to ab us se shikayat kesi  Aur sitam karna bhi aadat purani us ki Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per  Chand aansu hain mere pass nishani us ki Us jafaa -kaar ko maloom nahin woh kya hai  Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko  Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena  Samne sab ke sunaa dena kahani us ki.......!

Aalam-e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun

Aalam -e-Hijr Mein Soya Hun, Na Sona Chaahun Mein Teri Zaat Se Mayoos Na Hona Chaahun Gul Tere Dil Mein Khilain Aur Mehek Jaon Mein Isi Rishtay Mein Har Insaan Ko Pirona Chaahun Kiun Ganwaara Ho Tere Dard Mein Bhi Shirkat-e-Gair Tu Jo Yaad Aaye Tou Tanhaayi Mein Rona Chaahun Justuju K Lye Rehta Hai Bahaana Darkaar Kho Ke Paaya Jisay, Paakar Ose Khona Chaahun Chaah Raha Hai Mere Andar Gham-e-Anjaam Ka Abar Khush Bhi Hota Hun Tou Aankhon Ko Bhigona Chaahun Mein Hun Ik Tarfa  Bhikaari, Koi Meri Bhi Suno Raat Ke Farsh Pe Kirnon Ka Bichona Chaahun Yun Tou Ik Phool Ki Patti Se Behel Jaata Hun Mein Machal Jaon Tou Sehra Ka Khilona Chaahun Mera Mansab Nahi Paighambar-e-Fun Bannay Ka Mein Tou Ahsaas Ko Lafzon Mein Samona Chaahun Is Zamaanay Ka Ajab Tarz-e-Tassawaf Hai Ke Mein Qatray Mein Samandar Ko Dubona Chaahun

Aaj phir us nay mera haal poocha hai, Kitna mushkil sawaal poocha hai,

Aaj phir us nay mera haal poocha hai  Kitna mushkil sawaal poocha hai Hichkion ka ajeeb lehja tha  Baat ko taal taal poocha hai Tum Mujhe chor to na jao ge  Mujh say Mera khayaal poocha hai Aansuon ki zubaan mein uss ne  Jo bhi poocha kamaal poocha hai........!

Wusat-e-Chashm-e-Tar Bhi Daikhain Gay Hum Tujhay Bhool Kar Bhi Daikhain Gay

Wusat-e-Chashm-e-Tar Bhi Daikhain Gay Hum Tujhay Bhool Kar Bhi Daikhain Gay Zakhm Per Sabt Kar Na Lab Apnay Zakhm KoChaara Gar Bhi Daikhain Gay Hijar Ki Shab Say Hoslay Apnay Bach Gaye Tou Sahar Bhi Daikhain Gay Raat Honay Do,Loog Sonay Do Chaand Ko Dar -Ba-Dar Bhi Daikhain Gay Ik Dua Dil Say Chup Kay Maangi Thi Us Dua Ka Asar Bhi Daikhain Gay Ik Puraana Safar Tou Khatam Howa Ik Nayi Rahguzar Bhi Daikhain Gay Gin Tou Lainay Do Baykafan Laashein Bay Sada Baam-o-Dar Bhi Daikhain Gay Chairr Kar Dil Ki Raakh Ko Ab Ke Raks-e-Sharar Bhi Daikhain Gay

Wohi gardishen wohi paich-o-kham tere baad bhi Wohi hosle mere dum-ba-dum tere baad bhi

Wohi  gardishen wohi paich-o-kham tere baad bhi Wohi hosle mere dum-ba-dum tere baad bhi Tere sath thi teri har  jafa mujhe moutbar Tere saare gham mujhe mohtram tere baad bhi Mere sath hai teri har khushi teri muntazir  Teri muntazir meri chasham-e-num tere baad bhi Tu kisi ki qalb-e-arzu main dhall geya  Main na kho saka kabhi khud me sanam tere baad bhi Mere baad kitne hii roop tu ne badal liye Main wohi hon ab bhi teri qasam tere baad bhi Tu chala geya sabhi qehqahon ko samait kar  Meray pass hai mera zarf-e-gham terae baad bhi

Jub Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye Zakham Phir Yaad Puranay Aye

Jub Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye  Zakham Phir Yaad Puranay Aye Phir Mujhe TooT Ke Chaha Osne  Phir Bicharnay kE Zamanay Aye Muskura Kar Hamain Milnay Walay  Zindagi Bhar Ko Rulanay Aye Kitni Mehroom Thi Neendain Unki  Khwaab Bhi Jin Ko Jaganay Aye Teri Chahat Ne Tehernay Na Dia  Raah Mein Kitnay Thikanay Aye Tu Nahi Hai Tou Hawa Ka Jhonka   Ghar Ki Zanjeer Hilanay Aye Isi Umeed Pe Jaago Yaaro  Ab Wo Kis Waqt Najanay Aye Raas Aya Jinhain Sehra   Unki Qismat Mein Khazanay Aye........!

Suraagh Bhi Na Milay Ajnabi Sadaa Ke Mujhe Ye Kon Chup Gaya Sehraon Mein Bula Ke Mujhe

  Suraagh Bhi Na Milay Ajnabi Sadaa Ke Mujhe Ye Kon Chup Gaya Sehraon Mein Bula Ke Mujhe ? Mein Os Ki Baaton Mein Gham Apna Bhool Jata Magar Wo Shaks Ronay Laga Khud Hansa Hansa Ke Mujhe Ose Yaqeen Ke Mein Jaan De Na Paon Ga Mujhe Ye Khauf Ke Roye Ga Aazma Ke Mujhe Jo Apnay Loogon Mein Meri Hansi Uraata Raha Qareeb Aaya Tou Roya Galay Laga Ke Mujhe Mein Apni Qabar Mein Mahu-e-Azaab Tha Lekin Zamaana Khush Howa Deewaaron Pe Saja Ke Mujhe...  

Rukh HawaoN Ka Badalta Hi Gaya Pyaar Jub Dil Mein Utarta Hi Gaya

Rukh HawaoN Ka Badalta Hi Gaya Pyaar Jub Dil Mein Utarta Hi Gaya Jab Saba Ne Kia Izhaar-e-Wafa Phool Chup Chaap Bikharta Hi Gaya Aag Bujhnay Lagi Jab Seenay Ki Tou DhuwaaN Aankh Mein Bharta Hi Gaya Aap Ne Sirf Maseehayi Ki Dard Ik Yun Had Se Guzarta Hi Gaya Jis Ne Bhi Maanga Mohabbat Ka Sila Dil Ko HaathoN Se Wo Malta Hi Gaya Koi TofaaN Tou Aaya Hi Nahi Sheher-e-JaaN Phir Bhi Ujarta Hi Gaya Jis Ne Bhi Ishq Ki RaahoN Ko Chuna   Dasht Aabaad Wo Karta Hi Gaya..........!

Hans Hans Ke Zindagi Ki Dua De Gaya Mujhe Wo Shaks Bhee Ajeeb Saza De Gaya Mujhe

Hans Hans Ke Zindagi Ki Dua De Gaya Mujhe  Wo Shaks Bhee Ajeeb Saza De Gaya Mujhe Sookhay Howay SHajar Ki Barhana Si SHaakh Par  Do PanchioN ka Raqs Maza De Gaya Mujhe Dam Ghut Raha Tha Zehen Ki Jalti FizaaoN Mein  Jhonka Tere Nafs Ka Hawa De Gaya Mujhe Lamhon Ke Is Hajoom Mein Maqtal Ke Morr Par Mein Sochta Hun Kon Sada De Gaya Mujhe Mein Jaagtay DinoN Mein CHupaata Kahan Badan  Wo BHeegti ShaboN Ki  Ridda De Gaya Mujhe Ik Barg-e-Zard Khusk Si Tehni Se Toot Kar  Awaara ManziloN Ka Pata De Gaya Mujhe Mere Badan Pe Kitna Puraana Libaas Tha  Tera Mizaaj Rang Naya De Gaya Mujhe

Fasley Aisey Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha Saamne Baitha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha

Fasley Aisey Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha Saamne Baitha Tha Mere Aur Wo Mera Na Tha Wo Khushbo Ki Tarah Phaila Tha Mere Char Soo Main Usey Mehsos Kar Sakta Tha Chho Sakta Na Tha Raat Bhar Us Ki Hi Ahat Kaan Main Aati Rahi Jhaank Kar Dekha Gali Mein To Koi Bhi Aya Na Tha Aks To Maujod They Par Aks Tanhai Ke The Aaeina To Tha Magar Us Mein Tera Chehara Na Tha Aj Us Ne Dard Bhi Apaney Alehda Kar Liye Aj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha Ye Sabhi Viraniyan Us Ke Juda Honey Se Theen Aankh Dhundhalai Thi Shahar Dhundhalaya Na Tha Yad Kar Ke Aur Bhi Takalif Hoti Thi  Bhol Janey Ke Siwa Koi Chara Na Tha....................!

Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho

Tumhara Piyar Chup Chup Ker Kai Chehre Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho Tumhara Hijar Shidat Se Mere Dil Ko Masalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho Samunder Ashna Aankhoon Main Sehra Aan Baste Hain Tumhain Jab Bhool Jata Hoon Phir In Sehraaoon Main Ik Khawab Ka Chashma Niklata Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Main Apne Haath Se Teri Sunehri Yaad Ki Palkain Sajata Hoon Khyaloon Main Khayaloon Main Tera Mausam Kai Pehlo Badalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Teri Parchaiyaan Her Su Meri Tanhaiyoon Ka Raqs Kerti Hain Udaasi Per Mere Seene Main Ik Bechain Sa Bacha Machalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Kisi Footpath Per Bazar Main Baaghat Main Ya Phir Kisi Darya Kinare Per Bohat Khush Ho Ke Jab Koi Kisi Ke Saath Chalta Hai Muje Tum Yaad Aate Ho Main Sara Din Koi Sangi Majasma Ban Ke Rehta Hoon Mager Jab Shaam Dhalti Hai Mere Dill Ki Jagah Per Koi Pather Sa Pighalta Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho Tasawoor Main Tumhare  Sang Beeti Baarshain Aksar Tumhain Awaz Deti Hain Niga...

Na main na tu kabhi judaie pay ashakbar rehay Laikin ye kiya k hum donon bay qarar rehay

Na main na tu kabhi judaie pay ashakbar rehay Laikin ye kiya k hum donon bay qarar rehay Tou apnay der pay khhara daikhta raha mujh ko Nazer saiy oojhal na meri teray der-o-deewar rehay Tou humsafer na raha na he tou praya howa Magar ajeeb saiy rishtay zehan pay sawar rehay Kabhi naapi na gaie rishton ke tawalat mujh saiy Magar qadam ye meray lahoo saiy tar tar rehay Teray deedar ko terson ye keh gaya hay naseeb Zamee’n pay main rahon tou chaand k paar rehay Ajab kamal-e-shanasaie waqt dikha gaya shaukat Na bahain ashak payar dil main baishumaar rehay

Soney hi kahan dega yeh mehtaab adhoora Rehne de meri aankhon mein ik khawb adhoora

Soney hi kahan dega yeh mehtaab adhoora Rehne de meri aankhon mein ik khawb adhoora Uss simt hi chalte hain liye naao ko apni Reh jaaye na paani mein yeh gardaab adhoora Toota to usey gaud liya lehron ne barh kar Phir behta raha phool sar-e-aaab adhoora Shaayer ka gumaa’n dekha jahan koi bhi dekha Ik shakhss ke bikhraa hua betaab adhoora Ab un se kya rakhain hum umeed-e-takalum Laate hain baja’aa bazm mein adaab adhoora Rakhshanda, shab-o-roz likha safaah, dil par Reh jaye na aakhir mein wohi baab adhoora..... Rakhshanda Naveed

Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha Bas Mujh Se Youn He Bichar Gaya Tha

Woh Dil Ka Bura Na Bewafa Tha Bas Mujh Se Youn He Bichar Gaya Tha Har Simt Usi Ka Tazkara Tha Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha Woh Mujh Se Kabhi Na Roothta Tha Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha Woh Mujh Se Bichar K Roo Para Tha Kya Kuch Na Us Se Kaha Gaya Tha Us Nay Toh Laboon Ko See Liya Tha Woh Chand Ka Humsafar Tha Shayad Raatoun Ko Tamam Jaghta Tha Hontoun Main Gulaab Ki Naram Khushboo Baatoun Main Toh Shehad Gholta Tha Kehnay Ko Juda Tha Mujh Se Laikin Woh Meri Ragoon Main Gunjta Tha Us Nay Jo Kaha, Kya Woh Dil Nay Inqaar Ka Kis Main Hosla Tha Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey Masjid Main Charaagh Jal Raha Tha Mat Pooch Hijaab K Qareenay Woh Mujh Se Bhi Kam Hi Khul Saka Tha Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan Woh Bhi Merey Dil Say Kuch Khafa Tha Main Bhi Tha Dara Hua Sa Laikin Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha Ek Khoof ...

Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru aankhain, Hamari aankhon pe rakh de kabhi jo tuu aankhain

  Dr.Majid Deobandi Hamari aankhain bhi ho jaen khoobru aankhain Hamari aankhon pe rakh de kabhi jo tuu aankhain Hamaisha rehti hain teri talash main janaan Hamaisha kerti hain teri hi aarzu aankhain Na janay konsay jalwon ki justuju hai inhain Bhatak rahi hain faza main jo chaarsu aankhain Ye mojza bhi to kuch kam nahi k shaam_o_sehar Tumharay hijer main rehti hain baa’wazu aankhain Tera firaq, teri justuju, teri hasrat Ye zakhm zakhm tabasum lahuu lahuu aankhain Naseeb mera bhi roshan ho surat_e_mehtaab Kbhi jo ker dain mohabat ko surkhruu aankhain Bicher ke tujh say main zinda na reh sakon shayad Na phairna kabhi meri taraf say tuu aankhain Tumhain jo choo lu’n to hathon say khushbuyen phutain Tumhain jo daikhoon to ho jaen khobru aankhain Jahan labon ko hilana bhi jurm ho Majid Wahan isharon main kerti hain guftgu aankhain.........

Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah Juda Huwi Wo Bhi Aakhir Musafiron Ki Tarah

Safar Per Sath Chali Thi Jo Rehbaron Ki Tarah Juda Huwi Wo Bhi Aakhir Musafiron Ki Tarah Main Sochta Hun Wo Kaise Bichar Gayi Mujhse ? Jo Dhoop Me Milti Thi Mujhe Baadalon Ki Tarah Ajeeb Larki Thi Hawaaon Se Dushmani Le Kar Woh Rait Per Likhti Thi Mera Naam Paaglon Ki Tarah Wo Chahaton Ki Mukammal Kitaab Thi Yaaro Mujhe Fasana Sunati Thi Shaairon Ki Tarah

Hum nagri nagri jate hain aur ghar ghar geet gaatey hain Hum galiyon galiyon, aangan aangan pyar ke deep jalate hain

  Poet:Iqbal Azeem Hum nagri nagri jate hain aur ghar ghar geet gaatey hain Hum galiyon galiyon, aangan aangan pyar ke deep jalate hain Hum khushbu ke saudaagar hain aur sauda sacha karte hain Jo gaahak phoolon jesa ho hum bin’daamon bik jate hain Hum sheher-e-wafa ke logon ka tum haal bhla kya jano ge Hum dil ko chot chupatey hain aur aansoo pee jatey hain Jo log sharafat waley hain, woh qadrey buzdil hite hain Dushman se nahin dartey woh magar, kam’zarfon se ghabratey hain Hum sachey hain, yeh kese kahen, sach sab ke bass ki bat nahin Jo sachhi baatain karte hain, woh peghambar kehlaatey hain IQBAL to adnaa’a khadim hai, arbaab ilm-o-danish ka Yeh aap ka husn-e-samaat hai jo is pe karam farmaatey hain.......  

Har aik darakhtt hai jharrna meri jaan, Issey kehte hain ujarrna meri jaan

  Poet:Saleem Kausar Har aik darakht hai jhar'rna meri jaan  Issey kehte hain ujar'rna meri jaan Kesa lagta hai sawarney ke liye  Baaz aukaat bigar'rna meri jaan Teri aamad ka pata deta hai  Saans ka aese ukhar'rna meri jaan Roshni apni jagha ghairti hai  Tum hawaaon se na lar'rna meri jaan Hum nahin hon ge to peyshaani koi  Kissi pathar pe ragar'rna meri jaan Tere milne se khulaa hai mujh per  Kitna mushkil hai bichar'rna meri jaan Asmaan khaak huye hain pal main Kya zameenon pe akar'rna meri jaan.....

Ab Tou Kisi Bhi Baat Pe, Aitbaar Nahi Hota, Hotay Hain Bas Samjhotay Dilon Ke, Koi Pyaar Nahi Hota

Ab Tou Kisi Bhi Baat Pe, Aitbaar Nahi Hota Hotay Hain Bas Samjhotay Dilon Ke, Koi Pyaar Nahi Hota Kitna Bhi Samjha Lain Ham, Is Dil-e-Naada.n Ko Ek Qatrah Kabhi, Koi Saagar Nahi Hota Dil Mein Lye Hasrat Kisi Ki, Ye Umer Guzar Jaati Hai Kabhi Taqdeer Pe Kisi Ki Apni, Ikhtiyaar Nahi Hota Lagtay Hain Jo Pal Suhaanay, Wo Hain Mere Bas Khwaabon Ke Haqeeqat Mein Kubhi Khushi Ka, Deedaar Nahi Hota Dhal Jaatay Hain Ye Ashk Ek Aur Gham Ki Raah Lye Un Honton Ko Ab Kisi Hansi Ka, Intezaar Nahi Hota

Jo beeti hai woh dohraaney mein kuch waqt lage ga Iss gham ko ik yaad bananey mein kuch waqt lage ga

Shabnam Shakeel Jo beeti hai woh dohraaney mein kuch waqt lage ga  Iss gham ko ik yaad bananey mein kuch waqt lage ga Neend to aaney ko thi per dil pichey qissay le betha Ab khud ko be’waqt sulaney mein kuch waqt lage ga Us ka sath ab tanhai ko karte hai aur zeyada Par yeh baat usey samjhaney mein kuch waqt lage ga Akhir humain bhi laut kar ik din ghar ko jana hai Lekin itni door se aney mein kuch waqt lage ga Shayar hain yeh sochna hoga kese sab kuch kehna hai Dil ki baat labon tak laney mein kuch waqt lage ga Yeh mat samjho dunya walo thak kar beth gaye hum Pichli chotton ko sehlaaney mein kuch waqt lage ga Itni jaldi kya Shabnum tum ko waapis janey ki Kaam yeh dunyaa ke nibtaaney mein kuch waqt lage ga....  

Kash bachapn se nafrat sikhayi hoti, Us se dekh kar nazreen churaayi hoti

Kash bachapn se nafrat sikhayi hoti, Us se dekh kar nazreen churaayi hoti, Na phoolon me khoshbu samayi hoti, Us se milte to bus larai hooti, Wo hoti ek zalim ustani jaisi, Us ke samne sirf parhayi hoti, Hoti rah-e-mohobat bus tanha, Kanton se har shay sajayi hoti, Be’rukhi be muravat adaao se, Kuch milte yun ke ruswayi hoti, Guzar yun jate kareeb se Aamir, Ke ghairon ke jaisi judayi hoti..

Biphri mojain, door sahil, ik sahara chahiye, Aandhiyon main ghir geya hoon, ab kinara chahiye

Biphri mojain, door sahil, ik sahara chahiye, Aandhiyon main ghir geya hoon, ab kinara chahiye, Doobney waley ko ik harf-e-tassali tha bohat, Doobney waley ko tinkey ka sahara chhaiye, Larr na paaon ga ke dunya bhar ke gham hain samney, Sath mujh tanhaa ko ab har dam tumhara chahiye, Kis ko ho gi jaan ki parwaah phir aye jaan-e-jaan, Ik zara bass teri nazron ka ishara chahiye, Ishq hai deewangi ka naam dooja dosto, Jis ko chahain har gharri uss ka nazara chahiye..

Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed, Us ne mera koi rishta bhi nahin tha shayed

Poet:Iftikhar Arif Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed, Us ne mera koi rishta bhi nahin tha shayed, Halqat-e-yaar main jis haar ke charchey hain bohat, Main woh baazi kabhi khelaa bhi nahin tha shayed, Zeest karne ke sab adaab usey azbar they, Mujh ko marney ka saleeqa bhi nahin tha shayed,  Khaak urratey huye bazaron mein dekha sab ne, Main kabhi ghar se nikla bhi nahin tha shayed, Us ki ankhon mein bashaarat thi naye khawbon ki, Main usey dekh ke chonka bhi nahin tha shayed, Aik baadal ke mere naam se mansoob hua, Mere sehra main to barsa bhi nahin tha shayed..  

Yun bhi hua raat ko jab log so gaye, Tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye

Yun bhi hua raat ko jab log so gaye, Tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye, Aa dekh tujhse log jo rehte they door door, Saaye mein teri yaad ke chup chaap so gaye, Hum woh jo sarey sheher ke kerte they faisley, Hum log teri chaah mein ruswaa bhi ho gaye, Tum kya gaye ke waqt ka ehsaas mar geya, Raaton ko jaagtey rahe aur din ko so gaye, Ab zindagi ki shelf mein dhoonda karain ge log, Arzaan  huye hum itne ke nayaab ho gaye, Arshad wafaa ki raah main shiddat thi is qadar, Tujh se they kitne log jo rastey mein kho gaye..

Mat pukaaro humain zindagi dekh kar, Aankh bhar ati hai ab khushi dekh kar

Mat pukaaro humain zindagi dekh kar, Aankh bhar ati hai ab khushi dekh kar, Dekh le, ik samandar sa main ho geya, Teri aankhon mein thori nammi dekh kar, Jis ko chehron ke behroop se bair tha, Hanss raha hai meri saadgi dekh kar, Dard ki shamaa jalti huyi bujh gayi, Koi aaya nahin roshni dekh kar, Barhaaa mujh ko Arshad tere haal par, Reham aaya bohat bebassi dekh kar..

Agar tu mauj hai to phir, Main tere sath behtaa hoon

Agar tu mauj hai to phir, Main tere sath behtaa hoon, Agar tu chaand hai to phir, Main tere sath rehta hoon, Agar tu paas hai to phir, Main dil ki baat kehta hoon, Agar tu door hai to phir, Main tera hijar sehta hoon..

Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein, Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein

Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein, Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein, Janey kis ki yaad thi ke aik manzar dekh kar, Toot kar main ro parra tha, ik safar ki raat mein, Kash aesa ho, yahin pe rok lain hum waqt ko, Yaad hai, tu ne kaha tha? ik safar ki raat mein, Woh jiss se umar bhar ki doooriyan mansoob hain, Mere seeney se laga tha, ik safar ki raat mein, Har tarah phailey huye they yaad-e-gham ke silsiley, Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat mein, Ghar se bahar paaon rakhtey hi larzz uthta hai dil, Haadsaa aesa hua tha, ik safar ki raat mein, Aaj bhi main gungunaata hoon usey tanhayi main, Geet jo hum ne sunaa tha, ik safar ki raat mein, Uss ki yaadon ke saharey kar raha hoon zindagi, Jo mujhe Waasiq milta tha, ik safar ki raat mein.. Syed Wasiq

Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon, Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon

Sulagtey chaand ki tanhayion mein zinda hoon, Apne dard ki tanhaayiyon mein zinda hoon, Kisi ki neend main mehkaa hoon khawab ki surat, Kisi ke jism ki angrrayiyon mein zinda hoon, Dhannak khayalon ki lafzon ka rehsmi bistar, Main tere hijar ki raa’nayiyon main zinda hoon, Yeh log taaza rafaqat mein saans lete hain, Main apni zaat ki tanhayion mein zinda hoon, Kashish faraar ki insaan ka muqaddar hai, Paraaye khawb ki parchaayion mein zinda hoon..   Dr Ibrar Umar  

Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta, Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta

Ik baar jo bichray woh dobara nahi milta, Mil jaaye koi shakhs to sara nahi milta, Us ki b nikal aati hai izhaar ki soorat, Jis shakhs ko lafzon ka sahara nahi milta, Phir doobna yeh baat bohat soch le pehle, Har laash ko daryaa ka kinaara nahi milta, Yeh soch k dil phir se hai aamada e ulfat, Har baar mohabat mai khasaara nahi milta, Woh shehar bhala kaise lagay apna jahan par, Ik shakhs bhi dhoonde se hamara nahi milta..

Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho, Kabhi aa kar mere halaat ki tasveer to dekho

Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho, Kabhi aa kar mere halaat ki tasveer to dekho, Mujhe mehfil mein dekha tu kaha us ne raqeboon se, Mera aashiq, mera paagal, mera dargeer to dekho, Teri tasveer ke peeche hain jaalay bewafayi ke, Ullat kar tum zara apni, kabhi tasveer to dekho, De kar pyar ki daulat khareeday khoon ke aansu, Milli jo ishq mein, zara jageer to dekho, Likha hai naam saahil ka shararat hai raqeboon ki, Yeh khat mera nahi janaan, zara tehreer to dekho..

Main ke pachtaawa na tera hota, Kash tu ne mujhe socha hota

Main ke pachtaawa na tera hota, Kash tu ne mujhe socha hota, Hum marey hote magar jee uthtey, Tu ne ik baar pukaara hota, Tum mujhe dekhte apni chat se, Kaash main shaam ka taara hota, Main bhattak jata tere rastey se, Gar kabhi tera ishaara hota, Jiss gharri tu ne karam farmaya, Kaash woh lamhaa dobara hota, Tujh se bhi toot na sakta aye kaash, Main tera pukhtaa iraada hota, Tere aangan mein kisi saawan mein, Ban ke barish hi main utraa hota, Jis se koi bhi na guzraa ho SHUMAAR Main tere dil ka woh raasta hota.. Akhtar Shumaar

Iss jeevan main mohabbat ko na tum sumjhay na main sumjha, Jahan main rasm-e-ulfat ko na tum sumjhay na main sumjha

Iss jeevan main mohabbat ko na tum sumjhay na main sumjha, Jahan main rasm-e-ulfat ko na tum sumjhay na main sumjha, Ba-zahir ishq sumander main uterna tau laga asaan, Magar iss ssfar-e-chahat ko na tum sumjhay na main sumjha, Ksttay jo roz-o-shab apnay hijer ke Aah-o-zaari main, Tanhye ke akoobat ko na tum samjhay na main sumjha, Wasal ke wo haseen lumhay jinhay hum yaad kertay hain, Haqeeqat main uss qurbat ko na tum sumjhay na main sumjha, Chalay sargosheyan kertay hum bund aankhain jin ruston per, Onn ruston ke banawat ko na tum sumjhay na main sumjha, Uthha ke sar hajoom-e-shaher main phirna bhe ghalti thhee, Jahan walon ke aadat ko na tum sumjhay na main sumjha, Humain purkaif lumhon main milay jo dost bun bun ker, Chhupi dil mein adawat ko na tum sumjhay na main sumjha, Yehi jana hay shaukat nay bus apni kahani main, Mohabbat ke haqeeqat ko na tum sumjhay na main sumjha..

Woh hain pass aur yaad aney lage hain, Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain,

Woh hain pass aur yaad aney lage hain, Mohabbat ke hosh ab thikaney lage hain, Suna hai humain woh bhulaney lage hain, To kya hum unhe yaad aney lage hain, Hattaye they jo raah se doston ki, Woh pathar mere ghar mein aney lage hain, Woh phir mujhe yaad aney lage hain, Jinhe bhoolne mein zamaney lage hain, Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko, Yeh kehne mein mujh ko zamaney lage hain, Qayamaat yaqeenan ab qareeb agayi hai, Khumaar ab to masjid main jaaney lage hain..

Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar, Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar

Kiya karti hoon tanhai main ashkon se wuzu aksar, Tassawur mein raha karti hai tujh se guftugu aksar, Teri ankhon mein khud ko dhoondti hoon is liye shayed, Ke apni hi raha karti hai mujh ko justuju aksar, Takaa karti hoon tanha beth kar pehron jo phoolon ko, Tumhari un main hoti hai shabahat hu’bahuu aksar, Woh raaz dil jisey phoolon ki surat dil main rakha tha, Ussi ki to mehek phailli hai jaana, chaarsu aksar, Sadaf! deen -e-wafaa ka dum to sab bharty hain lekin kyon, Issi ke naam par galiyon mein behtaa hai lahuu aksar.. Sadaf Mirza  

Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono, Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono

Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono, Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono, Ilaahi zindagi yun hi mohabbat mein guzar jaye, Nimaaz-e-fajar parh kar yeh dua kartey they hum dono, Hamesha thandi ho jati thi chaye baaton baaton mein, Woh batain jo un ankhon se kiya karte they hum dono, Hawaa ke aik jhonkey se larz jatey dareechon main, Chiraghon ki tarah shab bhar jala kartey they hum dono, Mohabbat mein katthan rastey bohat asaan lagtey they, Pahaarron par sahulat se charha karte they hum dono, Hassan ruswayi ka hadsha kabhi dil main nahin aya, Khayaalon aur khawbon mein mila karte they hum dono..

Kesey koi chupaye anso, Akhir ankh me aye anso

Kesey koi chupaye anso, Akhir ankh me aye anso, Tujhko ye maloom nahi, Kitney rat bahaey anso, Dard ki lazzat or barhi, Jub anso me milaye anso, Main ne kajal saf kia, Or palkon pey sjaey anso, Us ney meri yad me rahi, kesey aj bahaye anso.

Na khat likhon na qalam tujhsey rahey, Khamoshiyo ka yehi intaqam tujhsey rahey

Poet:Aitbar Sajid Na khat likhon na qalam tujhsey rahey, Khamoshiyo ka yehi intaqam tujhsey rahey, Rahey bas itna shanasai ka bharam baqi, Ishar’tan hi dua-o-salam tujhsey rahey, Na ehad- e-ta’aluq na na qurbatien paheem, Bas ek rabt-e-musalsal madam tujhsey rahey, Yehi rahey tera nashtar tera tareqey ilaaj, Isi tarha ghum-e-dil ko dawam tujhsey rahey, Nazar me aks fishan ho terey jamal ki dhoop, Dayar-e-jan me sada rang sham tujhsey rahey, Ab is sey barh k mujhey chahiye bhi kya akhir, dayar-e-fan me agar mera naam tujhsey rahey.  

Muhabbat thi k chahat thi? Ye chahat thi k Ulfat thi?

Muhabbat thi k chahat thi? Ye chahat thi k Ulfat thi? K dil mahzooz karny ka Bahana tha? A jab andaz hai tera muhabbat ka! Nirala zouq hai tera ya Ulfat ka! Muhabbat to muhabbat thi jidhr bhi thi Idhar bhi thi, udhar bhi thi Na rukti thi, na marti thi Hazaroon sal jeeti thi Magar phir bhi na mit'ti thi Muhabbat noor ta dil ka Aqeedat tha ye eman ka Garhi saa'at ka ye paband Na k kon o makan had ka! Azal sa hai, amar hai ye abad tak ka Muhabbat to muhabbat thi Jahan bhi thi Muhabbat thi. ********** NOMI **********  

Junon e shaoq ab bhi kam nahi hai, Magar wo aaj bhi barham nahi hai,

  Poet:Israr-ul-Haq Majaz Junon e shaoq ab bhi kam nahi hai, Magar wo aaj bhi barham nahi hai, Bohat mushkil hai duiya ka sanwarna, Teri zulfon ka pech o khum nahi hai, Bohat kuch or bhi hai is jahan me, Ye duniya mehaz ghum hi ghum nahi hai, Meri barbadiyon ka hum nasheeno, Tumhien kya khud mujhey bhi ghum nahi hai, Bayen seel o seel e hawadas, Mera sar hai kay ab bhi khum nahi hai, Majaz ik bada kush to hai yaqeena’n, Jo hum suntey they wo alam nahi hai.

Ankhon me raha dil me utar kar nahi dekha, Kashti kay musafir ney samundar nahi dekha

  Poet:Bashir Badar Ankhon me raha dil me utar kar nahi dekha, Kashti kay musafir ney samundar nahi dekha,   Be waqt agar jaon ga sab chonk parien gey, Ikumar hoi din me kabhi ghar nahi dekha,   Jis din sey chala hun meri manzil pey nazar hai, Ankhon ney kabhi meel ka pathar nahi dekha,   Ye phool mujhey koi warasat me miley hain, Tum ney mera kanton bhara bistar nahi dekha,   Pathar mujhey kehta hai mera chahney wala, Main mom hun us ney mujhey cho kar nahi dekha.

Khuda hum ko esi Khudayi na dey, Kay apney siwa kuch dikhai na dey

  Poet:Bashir Badar Khuda hum ko esi Khudayi na dey, Kay apney siwa kuch dikhai na dey, Khatawar samjhey gi duniya tujhey, Ab itni zayada safai na dey, Hanso aj itna kay is shor me, Sada siskiyon ki sunai na dey, Ghulami ko barkat samjhney lagien, Aseeron ko esi rihai na dey, Khuda esey ehsas ka naam hai, Rahey samney or dikhai na dey, Mujhey esi jannat nahi chahiye, Jahan sey madina dikhai na dey.

Us ki chahat ki chandni ho gi, Khoobsorat si zindagi ho gi

  Poet:Bashir Badar Us ki chahat ki chandni ho gi, Khoobsorat si zindagi ho gi, Ek larki bohat sey phool liye, Dil ki dehleez par khari ho gi, Chahey jitney charagh gul kar do   Us key ghar roshni to ho gi, Neend tarsey gi meri ankhon me, Jab bhi khawbon sey dosti ho gi, Hum bohat door they magar tum ney, Dil ki awaz to suni ho gi, Sochta hun key wo kahan ho gi, Kis key angan me chandni ho gi.   ********** NOMI **********  

Sun Li Jo Khuda Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho Darwazey Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho

   Poet:Bashir Badar Sun Li Jo Khuda Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho Darwazey Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho Simti Hoi Sharmai Hoi Raat Ki Raani Soi Hoi Kaliyon Ki Haya Tum To Nahi Ho Mehsoos Kia Tum Ko To Geeli Hoien Palkein Bheegey Hoye Mosam Ki Ada Tum To Nahi Ho In Ajnabi Rahon Mein Nahi Koi Bhi Mera Kis Ne Mujhe Yun Apna Kaha Tum To Nahi Ho ********** NOMI **********  

Pa Watan Sa Lagya Di Tu Na Ye Khabar Laliya Kaley Os Hagha Kaley Na Dy Hangamey Lagya Di

  Poet:Sadiq Kake Type By *.__NOMI__.*   Be-Ghama Kha Ye Musafar Laliya Pa Watan Sa Lagya Di Tu Na Ye Khabar Laliya Kaley Os Hagha Kaley Na Dy Hangamey Lagya Di Sta Ghunde Khukuli Zalmi Tal Mri Dhamakey Lagya Di La Mi Da Sta Du Sang Yaraan Nu Di Du Zrrh Watali Ta Che Jwandi Ledali Vi Hagha Di Mrrhu Watali Be-Sabra Kega Ma Watan Cha Darna Warrhe Na Da Zama Khanda Zama Deedan Cha Darna Wade Na Dy Taa Gramawom Na Zaka Khpal Watan Khu Khpal Watan Dy Khu Ku Khabar Shwaly Os Hagha Na Dy Bal Watan Dy Sahar Che Ozi Kor Na Hagha Makhaam Bya Nu Razii Okhke Arzane Di Du Chaa Pu Khulu Khanda Nu Razii Sa Pata Nu Lagi Khu Marg Lagya Dy Oor Lagya Dy Da PokhtonKhuwa Pa Har Yao Gutt Ke Dase Shor Lagya Dy Che Mazigar Ba Sara Yao Zaai Sho Yaraan Du Kalii Nu Hagha Khuwand Maze Shta Nu Hagha Dawraan Du Kalii Haghase Nu Da Che Be-Ghama Ba Chakar Ta Tlaly Swat Ao Kalaam Ba De Katu Hum Pekhawar Ta Tlaly Nu Sok Khandaly Shi Ao Nu Ye Zrrhu Sa Kaar Akhlii ...

Kaha Tha Na Youn Sote Huye Chhorr Kar Mat Jana, Mujhe Beshak Jaga Dena Bata Dena

Poet Wasi Shah Type By *_FAROOQI.54_*   Kaha Tha Na Youn Sote Huye Chhorr Kar Mat Jana, Mujhe Beshak Jaga Dena Bata Dena, Tumhein Rasta Badlna Hai, Meri Had Se Nikalna Hai, Tumhein Kis Baat Ka Dar Tha ? Main Tumhein Jane Nahi Deta ? Kahein Pe Qaid Kar Leta ? Are Pagal Mohabbat Ki Tabiyet Mein Zabrdasti Nahi Hoti, Jise Rasta Badlna Ho, Usay Rasta Badlne Se, Jise Had Se Nikalna Ho Usay Had Se Nikalne Se, Na Koi Rok Paya Hai, Na Koi Rok Paye Ga, To Tumhein Kis Baat Ka Dar Tha,? Mujhe Beshak Jaga Deti, Main Tum Ko Dekh Hi Leta, Tumhein Koi Dua Deta, Kam Az Kam Youn To Na Hota, Mere Saathi Ye Haqeeqat Hai, Tumhare Bad Khone K Liye, Kuch Bhi Na Baqi, Magar Main Khone Se Darta Hoon, Main Ab Sone Se Darta Hoon, Kaha Tha Na Youn Chhorr Kar Mat Jana.................*

Ab Junoon Kab Kisi Ke Bas Mein Hai, Us Ki Khushboo Nafs Nafs Mein Hai

Poet john Eila Type By *.__Ayaz_Khan__.*   Ab Junoon Kab Kisi Ke Bas Mein Hai, Us Ki Khushboo Nafs Nafs Mein Hai, Us Said Ka Sunaye Kia Jis Ka, Siyaad Khud Qafas Mein Hai, Kiya Hai Gar Zindagi Ka Bas Na Chale, Zindagi Kab Kisi Ke Bas Mein Hai, Ghair Se Rahio Too Zara Hoshyaar, Wo Tere Jisam Ki Hawas Mein Hai, Paa Shikasta Para Howa Hoon, Magar Dil Kisi Naghma-E-Jars Mein Hai, John Hum Sab Ki Dastaras Mein Hain, Wo Bhala Kis Ki Dastaras Mein Hai......!

Humara Tazkira Choro, Hum Aise Log Hai Jin Ko Zamana Kuch Nahi Kehta, Wafa’en Maar Jati Hai…!!!

Humara Tazkira Choro, Hum Aise Log Hai Jin Ko Zamana Kuch Nahi Kehta, Wafa’en Maar Jati Hai…!!!

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai

Image
Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai..

Kamzoriyan Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere, Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein

Image
Kamzoriyan Na Dhoond Mujh Mein Dost Mere, Ek Tu Bhi To Shamil Hai Meri Kamzoriyon Mein.....!