Posts

Showing posts from August, 2015

Ik Chumi K Liye Hont Sadiyon Se Hain Tarse Huyi

Image
Ik Chumi K Liye Hont Sadiyon Se Hain Tarse Huyi ......* . . Us K Rukhsar Pe Hai Jese Ramzan Ka Maheena .......*  

Ta'alluq Rakh Lia Baqi Yakeen Ko Torr Aya Hoon

Ta'alluq Rakh Lia Baqi Yakeen Ko Torr Aya Hoon Kisi Ka Sath Dena Tha Kisi Ko Chorr Aya Hoon Us kay Sath Jeenay Ki Qasam Khany Se Kuch Pehle Main Kuch Waday Kai Qasmain Kahin Par Torr Aya Hoon Palat Kar Aa Gaya Lekin Yon Lagta Hy K Apna Ap Jahan Wo Mujh Se Bichra Tha Wahin Pe Chorr Aya Hoon Usay Janay Ki Jaldi Thi So Main Ankhon Hi Ankhon Mein Jahan Tak Chor Sakta Tha Wahan Tak Chor Aya Hoon

Aate Hain Zindagi Mein Kuch Dildar Log Jo Hote Jan Phir Bhi Dil Dukhate Hain Yar Log

Poet: Wasiq Ali Athar Aate Hain Zindagi Mein Kuch Dildar Log Jo Hote Jan Phir Bhi Dil Dukhate Hain Yar Log Badal Gia Zamana Phir Bhi Mohabbat K Mare Phir Bhi Aate Hain Nazar Mohabbat Mein Giraftar Log Sitam To Jab Hai K Mohabbat Yak Tarfa Ho Kisi Ko Parwa Nahi Aur Kuch Hote Hain Talbgar Log Aise Hi Na Parwa Usay Meri Na Zarorat Hai Meri Mein Gali Ka Aik Majno Hon Aur wo Parde Dar Log Par Ye Sach Hai K WASIQ Mohabbat Zinda Aaj Bhi Kal Ki Tarha Par Jo Bhi Karte Hain Hote Nahi Samajh Daar Log........!

Ab umar ki naqdi khatam hui Ab hum ko udhaar ki haajat hai

Image
Poet:Ibn-e-Insha Ab umar ki naqdi khatam hui Ab hum ko udhaar ki haajat hai Hai koi jo saahukaar bane? Hai koi jo deewanhaar bane? Kuch saal maheene din logo Par suud beyaj ke bin logo Haan apni jaan ke khazaane se Haan umar ke tausha-khane se Kia koi bhi saahukaar nahin Kia koi bhi  deewanhaar nahin Jub naam udhaar ka aaya hai Kiyun sub ne sir ko jhukaya hai Kuch kaam hamain nibtane hain Jinhain jaan'ne wale jane hain Kuch piyar dulaar ke dhande hain Kuch jug ke dosre phande hain  Hum maangte nahi hazaar barass Dus paanch barass do chaar barass Haan! suud beyaj bhi de lain ge Haan! aur khiraj bhi de lain ge Aassan bane dushwar bane Par koi to deewanhaar bane Tum kaon tumhara naam hai kiya Kuch hum se tum ko kaam hi kiya Kiyun is majme main aayi ho Kuch maangti ho kuch laai ho Ye Karobaar ki batain hain Ye naqd udhar ki batain hain Hum bethe hain kashkol liye Sub umer ki naqdi khatam kiye Gr sher ke rishte aayi ho To samjho jald judai ho Ab geet gaya sangeet gaya Haan sh...

Sochta Hon Keh Usay Neend Bhi Aati Hogi Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi

Poet:Wasi Shah Sochta Hon Keh Usay Neend Bhi Aati Hogi Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Hogi Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali Apni Tasveer Se Kia Aankh Milati Hogi? Is Zameen Pe Bhi Hai Selaab Meray Ashkon Se Mere Matam Ki Sada Arsh Helati Hogi Shaam Hote Hi Wo Chokhat Pe Jala Kar Shamain Apni Palkon Pe Kaii Khuwaab Sulati Hogi Us Ne Silwa Bhi Liye Hongy Siya Rang Libaas Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Hogi Hoti Hogi Mere Bosay Ki Talab Main Pagal Jab Bhi Zulfon Main Koi Phool Sajati Hogi Mere Tareek Zamano Se Nikalnay Wali Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Hogi Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Hogi Jonhi Tasveer Ka Kona Wo Jalati Hogi Roop De Kar Mujhe Us Main Kisi Shehzaday Ka Apnay Bachon Ko Kahani Wo Sunati Hogi.......!

Tum mere dard bhi, gham bhi, aalam bhi tum Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum

Poet:Wasi Shah Tum mere dard bhi, gham bhi, aalam bhi tum Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum Kamyaabi ko nahin hum ne tumhen chahaa hai  Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum Kiya zaroorat hai mujhe dard ke me'khaanon ki Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum Mukhtlif se bahaanon se mujhe sochtey ho Aik din khul ke pukaaro ge mera naam bhi tum Ye seyaasat bhi ajab khail hai bholey panchi Yahan seyaad bhi tum ho, to teh'daam bhi tum Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag Sach to ye hai ke tumhi ghar ho, dar- o-baam bhi tum Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai Meri furssat bhi tum hi aur mera har kaam bhi tum........!

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah

  Poet:Wasi Shah Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga'uon Ga Sar-e-Sham Hi Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah Mere Hi Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs ''Wasi''   Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah

Haaye Wo Lamha Keh Jab Tujh Se Shanasaayi Howi Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi

Poet:Wasi Shah Haaye Wo Lamha Keh Jab Tujh Se Shanasaayi Howi Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi Apni Nakaam Muhabbat Ka Na Yun Charcha Karo Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi Phir Zamanay Mein Kisi Ne Usey Dekha Na Suna Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi........!

Ab magar kuch bhi nahin, kuch bhi nahin ho sakta Apne jazbon se ye rangeen shararat na karo

  Poet:Wasi Shah Ab magar kuch bhi nahin, kuch bhi nahin ho sakta Apne jazbon se ye rangeen shararat na karo Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo Baar'haa tum se kaha tha keh muhabbat na karo......!

Saari raat ki jaagi aankhein College mein kiya parrhti hon gi

Poet:Wasi Shah Saari raat ki jaagi aankhein College mein kiya parrhti hon gi Yunhi khoye, dil hi dil mein Jaane kiya kiya karti hon gi Saari raat ki jaagi aankhen College mein kiya parrhti hon gi Koi bolay, kaan na dharna Koi hillaye to ek dam darna Koi daikhe in ka barhna Apne aap say larti hon gi Saari raat ki jagi aankhein College mein kiya parrhti hon gi Apni kitaabein phartey rehna Us ki baaten kartey rehna Us ki yaadein ghartey rehna Jeetay jeetay marti hon gi Saari raat ki jagi aankhein College mein kiya parrhti hon gi.......!

Apna to chahton mein yehi ik asool hai Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai

Poet:Wasi Shah Apna to chahton mein yehi ik asool hai Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai Ye umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye Tu na mila to saari reyaazat fazool hai Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de Ab chorr di to kiyon tera chehra malool hai Aye Maan ye meri shohrtain meri ye izztain Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri Iss waqt tere dard ka dil par nazool hai Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai........!

Abhi kuch bhi nahin badla Darakhton par wohi maosam abi tak muskuratey hain

Poet:Wasi Shah Abhi kuch bhi nahin badla   Darakhton par wohi maosam abi tak muskuratey hain Abhi tak surmeyi shamain hamare saath roti hain Abhi tak mere honton par tumhare honton ki khushboo Raqss karti hai Abhi tak meri ankhon mein tumhare khuwaab hanstey hain Abhi tak mere haathon par tumhari ungliyon ki narm pooron se likhey sab harf zinda hain Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley saarey naqsh qayem hain Abhi almaariyon mein saarey tohfey gungunatey hain Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se Tumhari baat kartey hain Buhat se saal guzrey hain Buhat se waqt beeta hai Meri chahat nahin beeti Meri himmat nahin guzri  Abhi kuch bhi nahin badla Abhi kuch bhi nahin badla Agar chaho Agar samjho Meri maano To laot aao.........!

Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe Tumhain galey se laga loon to chain aaye mujhe

Poet:Wasi Shah Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe Tumhain galey se laga loon to chain aaye mujhe Muhabbton ke saheefay hain ya azaab koi Tere khatoot jala loon to chain aaye mujhe......!

Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana Mere jugnu mere mausam wapis kar do

Poet:Wasi Shah Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana Mere jugnu mere mausam wapis kar do Meri hasrat, meri mehroomiyan laota do mujhe Mere aansoo, mere maatam mujhe wapis kar do Jane waley se bas itna hi kaha tha mene  Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do Kiyon ye takraar si hone lagi ''Main'' ki jana'n Woh to hum tum mein tha, ik ''Hum'' mujhe wapis kar do Jitni khushiyan hain wo rakh lo meri janib se Wasi Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do.......!

Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai

Poet:Wasi Shah Hijar ka naag to pathar ghayal kar deta hai Sonay jese shakhss ko peetal kar deta hai Mere ishq mein shayed koi kami hoi ho Tera hussn to ab bhi paagal kar deta hai Aesi lazzat kahin nahin milti, shayed wo Apna pyaar bhi chaaye mein hall kar deta hai Dil mera veeran hoa to hasrat kesi Hijar ka zeher to daryaa ko thall kar deta hai Mujh ziddi ko rab bhi raazi na kar paye Lekin teri aankh ka kaajal kar deta hai Tere lamss ka jado bhi kesa jado hai Jiss ko chuu le us ko sandal kar deta hai Tera chahra har chehre par chaa jata hai Ye manzar har manzar aujhal kar deta hai Aankh ke registaa'n ko teri yaad ka badal Chuu jaye to pal mein jal'thall kar deta hai......!

Mein Tere Lab Pe Hon Daireena Shikayat Ki Tarah Yaad Rakha Hai Tu Ne Mujh Ko Adaawat Ki Tarah

Poet:Wasi Shah Mein Tere Lab Pe Hon Daireena Shikayat Ki Tarah Yaad Rakha Hai Tu Ne Mujh Ko Adaawat Ki Tarah Chaand Niklay To Mera Jism Mehak Uthta Hai Rooh Mein Utri Howi Taaza Muhabbat Ki Tarah Teri Khatir To Koi Jaan Bhi Le Sakta Hon Mein Ne Chaaha Hai Tujhe Gaon Ki Izzat Ki Tarah Khul Rahi Hai Mere Daireena Masaail Ki Giraah Mere Mahoul Mein Utra Hai Wo Barkat Ki Tarah Ab Tere Hijr Mein Kuch Lutf Nahi Hai Baaqi Ab Tujhe Yaad Bhi Kartay Hain To Aadat Ki Tarah Tum Meri Pehli Mohabbat To Nahi Ho Laikin Mein Ne Chaaha Hai Tumhain Pehli Muhabbat Ki Tarah Wo Jo Aati Hai To Phir Laot Ke Jaati Hi Nahi Tum Lipat Jao Kubhi Aisi Museebat Ki Tarah Mere Dil Mein Koi Masoom Sa Bacha Hai "Wasi" Jo Tujhe Sochta Rehta Hai Shararat Ki Tarah.........!

Teri aankhon ke haseen jaal mein aajaon ga main Mujh ko lagta hai teri chaal main aajaon ga main

Poet:Wasi Shah Teri aankhon ke haseen jaal mein aajaon ga main Mujh ko lagta hai teri chaal main aajaon ga main Zindagi baad tere hona thi mushkil lekin Yeh na socha ke is haal mein ajaon ga main Dekh kar us ko mujhe yad kare gi dunya Aik din us ke had-o-haal mein aajaon ga main Kitne mausam they jo de kar mujhe taanay guzre Tum to kehte they ke ik saal mein ajaon ga main Sur mein ajaye ga jeevan tere aa jane se Tere aaney se kisi taal mein aajaon ga main.......!

Choomna kya usey aankhon se lagana kesa Phool jo coat se gir jaye uthana kesa

Poet:Wasi Shah Choomna kya usey aankhon se lagana kesa Phool jo coat se gir jaye uthana kesa Apne honton ki hararat se jagaao mujh ko Yoon sadaaon se dam-e-subah jagana kesa.......!

Zar ki namoos ki rasmon se baghawat kar ke Kuch nahin paaye ga wo mujh se muhabbat kar ke

Poet:Wasi Shah Zar ki namoos ki rasmon se baghawat kar ke Kuch nahin paaye ga wo mujh se muhabbat kar ke Baiy'n karti hoi aankhain, ye pareshan zulfain Aur kya chahte ho us se muhabbat kar ke Phool to phool hain zakhmon ke bhi nakhre hain yahan Hum ne dekha hai buhat in ki ibadat kar ke Yeh kisi jabr pe honton ko siyaa karte hain Zulam karte hain wo zaalim ki himayat kar ke Dil ke sehraao'n ki veeraaniya'n jati hi nahin Teri yaadon ne bhi dekha yahan hijrat kar ke Woh mere hijr ko bhi khail samajhta hai Wasi   Laot jaye ga kisi roz sharaarat kar ke............!

Mere lehje mein jo aansoo se utar aye hain Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain

  Poet:Wasi Shah Mere lehje mein jo aansoo se utar aye hain Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain Tum gaye they to ye dehleez na dekhi thi kabhi Aaj tum aaye to hum laot ke ghar aaye hain Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain.......!

Mujhe us se muhabbat hai Magar kese kahoon us se

Poet:Wasi Shah Mujhe us se muhabbat hai Magar kese kahoon us se Woh meri baat ko sanjeedgi se kam hi leti hai Har ik pal muskurana Khilkhilaana Doston par fikray qassna Nit'naye masoom mansoobay banana Shokh chanchal har gharri taaza shararat main buhat masroof rehti hai Magar ik aur hadsha bhi hai mujh ko Main izhaar se Iqraar se khud rokay rakhta hon Ke mehke khuwaab bun'ne, khelne ka waqt hai uska Meri chahat Kahin masoomiyat na cheen le uski Sadaa se hum ne dekha hai Muhabbat aadmi ko is qadar sanjeeda karti hai Ke phir mehfil, tamashey, khel us ko bojh lagte hain Main darta hoon Kahin yeh bhol'pan us ka Yeh har pal cheh'chihaana muskurana sab Meri izhaar se sanjeedgi mein na badal jaye Kahin us shokhh ko bhi rog koi Chup chaap na lag jaye Mujhe us se muhabbat hai Magar kese kahoon us se.........!

Jab se yeh peghaam mila hai Jaana'n! tum aaney wali ho

Poet:Wasi Shah Jab se yeh peghaam mila hai Jaana'n! tum aaney wali ho Mausam ne saarey ghar ki tarteeb badal kar rakh daali hai Chokhat par ik chaand bhi aa kar beth geya hai Keyi sitaare lounge mein kab se pare huye hain Kehte hain ke Is raste se tum guzro gi Nanhe mune gulabon ka kehna hai Jitne din tum pass raho gi Ghar ke har konay mein aakar woh mehkain ge Phoolon ne mil kar sab konay baant liye hain Jugnu kab se chat pe, ghar ke Har goshay mein chamak rahe hain Soraj aur barish bhi kal se saaye'baan par tikkay huye hain Dheemey dheemey chehek rahe hain Shaam to kab se kayi tarah ke mausam le kar Is kamrey mein ruki hui hai, Jis kamrey mein tum thehro gi Tum aao ge to yeh shaam hazaron mausam Sundar sundar sajji huyi ankhon ko de kar Kho jayegi Phir na kabhi wapis aaye gi Is se pehle ke yeh shaam bhi Saarey mausam lekar mujhko khaali karke kho jaye Tum aajao naa'n Aa bhi jao.......!

Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to Mujh ko yu’n mehsoos hua

  Poet:Wasi Shah Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to Mujh ko yu’n mehsoos hua Apna sab kuch chorr ke jese Ik lamhe mein Mera sab kuch us ne apna maan liya hai Mujh ko sab kuch jaan liya hai........!

Ab jo lotay ho itne saalon mein Dhoop utri hui hai baalon mein

Poet:Wasi Shah Ab jo lotay ho itne saalon mein Dhoop utri hui hai baalon mein Tum meri aankh ke samundar mein Tum meri rooh ke ujaalon mein Phool hi phool khill uthey mujh mein Kon aaya mere khayalon mein Mene jii bhar ke tujh ko dekh liya Tujh ko uljhaa ke kuch sawaalon mein Meri khushiyon ki kaayenat bhi tu Tu hi dukh dard ke hawalon mein Jab tera doston mein zikar aaye Theess uthti hai dil ke chaalon mein Tum se abaad hai ye tanhai Tum hi roshan ho ghar ke jaalon mein Saanwli shaam ki tarah hai woh Woh na goron mein hai na kaalon mein Kya usey yaad aa raha hon Wasi Rang ubhrey hain us ke gaalon mein.......!

Hum se kya poochte ho hijar mein kya karte hain Tere laut aaney ki din raat dua karte hain

  Poet:Wasi Shah Hum se kya poochte ho hijar mein kya karte hain Tere laut aaney ki din raat dua karte hain Ab koi hont nahin in ko churaaney ate Meri aankhon mein agar ashk hoa karte hain Teri tu jane, par aye jane-tamana hum to Saans ke saath tujhe yaad kiya karte hain Tu hi pehlu mein nahin warna december mein wahin Dhoop mein akhbaar parha karte hain Kabhi yaadon mein tujhe baahon mein bhar lete hain Kabhi khuwaboon mein tujhe choom liya karte hain Teri tasveer laga lete hain hum seeney se Phir tere khat se teri baat kiya karte hain Gar tujhe chorrne ki soch bhi aaye dil mein Hum to khud ko bhi wahin chor'r diya karte hain.........!

Ashk girte rahe, dhol bajta raha Log marte rahe, dhol bajta raha

Poet:Wasi Shah Ashk girte rahe, dhol bajta raha Log marte rahe, dhol bajta raha Ronqain lag gayin, roshni barh gayi Khuwaab jalte rahe, dhol bajta raha Kitne lachaar they, kitne be-bas they hum Hath milte rahe, dhol bajta raha Raqss they maseeha mere dam-be’dum Dil tarrapte rahe, dhol bajta raha.........!

Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka Tumhara Chaahnay Wala To Mar Gaya Kab Ka

  Poet:Wasi Shah Charha Howa Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka Tumhara Chaahnay Wala To Mar Gaya Kab Ka Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera Tera Wajood To Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha Tumhain Khabar Hi Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka Tu Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka "Wasi" Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hon Mar Bhi Choka Hon Hudood-e-Jism Se Mein To Guzar Gaya Kab Ka........!

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi

  Poet:Wasi Shah Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi Kahan Gayi Wo Kunwari, Udaas Bee Aapa? Jo Gaon Gaon Mein Rishtay Talaash Karti Thi Bhulaye Kon Aziyat Pasandiyan Uski Khushi Ke Dhair Main Sadmay Talaash Karti Thi Ajeeb Hijar Parasti Thi Uski Fitrat Main Shajar Ke Toot'tay Pat'tay Talaash Karti Thi Qiyaam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarha Udaas Rooh Ke Goshay Talaash Karti Thi Tamaam Raat Wo Parday Hata Ke Chaand Ke Saath Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhay Talaash Karti Thi Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Wehshat Yahan Bhi Apne Hi Pyaaray Talaash Karti Thi Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi Hamesha Hijar Ke Harbe Talaash Karti Thi Tamam Raat Wo Zakhm Ke Apni Pooron Ko Mere Wajood Ke Raizay Talaash Karti Thi Duaein Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Par Baray Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi Mujhe to Aaj Bataya Hai Baadlon Ne "Wasi" Wo Laut Aanay Ke Raastay...

Ab koi yaar hai na baili hai Zindagi dard ki saheli hai

Poet:Wasi Shah Ab koi yaar hai na baili hai Zindagi dard ki saheli hai Uthne joga nahin hai tere baad Dil ne takleef aesi jhaili hai Sham se is liye muhabbat hai Teri yadon ke saath kheli hai Muztarib kiyon na hon shab-e-hijran Dard ki gaud mein akeli hai Koi batlaye khuwaab ka mafhoom Raat hai, saamp hai, chambeli hai In lakeeron mein tu nahin to Wasi Kitni veeran ye hatheli hai.......!  

Jub Bhi Wo Shakhs "Wasi" Mujh Se Khafa Ho Jaye Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye

  Poet:Wasi Shah Jub Bhi Wo Shakhs "Wasi" Mujh Se Khafa Ho Jaye Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke Siwa TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka Hisaab Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho Jaye Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye Ye Tareeqa Hai Muhabbat Ki Ibaadat Ka "Wasi" Us Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye......!

Main kahin bhi kisi nagar mein raha Tere asaib ke asar mein raha

  Poet:Wasi Shah Main kahin bhi kisi nagar mein raha Tere asaib ke asar mein raha Woh bhi paagal hua juda ho kar Umar bhar mein phir bhi safar mein raha Aik jadugari to thi tujh me Mein bhi kuch din tere asar mein raha Bheegta doobta raha dil mein Tera chehra meri nazar mein raha Pesh-kash maan li zamane ne Aur ek mein Agar magar mein raha.........!

Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain

  Poet:Wasi Shah Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain Yun karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain......!

Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum

  Poet:Wasi Shah Jo apni umar se aagey nikal rahi ho tum Tumhain khabar hai jawani mein dhal rahi ho tum Kabhi tumhe bhi to daawa tha sard-mehri ka Kisi ke lamss ko paa kar pighal rahi ho tum Batao kyon nahin roka tha jaane waley ko Ab aik umar se kyon hath mall rahi ho tum Jo waaldain ne tum se kaha woh maan liya Ab apni aag mein chup chaap jal rahi ho tum Hamare dil ka khilona tumhi ne torra hai Ab isi khilone ki khatir machal rahi ho tum Tumhe gumaa’n hai ke mein janta nahin kuch bhi Mujhe khabar hai ke rasta badal rahi ho tum..........!

Kese Aaye Ga Tere Khad-O-Khaal Ka Muasam ? Qismat Mein Likha Hai Jab Zawal Ka Muasam

Poetess: Noshi Gilani Type By *_FAROOQI.54_*   Kese Aaye Ga Tere Khad-O-Khaal Ka Muasam ? Qismat Mein Likha Hai Jab Zawal Ka Muasam, Kis Ne Khel Khela Hai ? Kis Ne Hijar Jheela Hai ? Ab Guzar Gaya Janaa'n, Is Sawal Ka Muasam, Kis Tarah Se Mumkin Tha Ik Shakh Par Khilte, Mein Keh Hijar Ka Lamha, Too Visal Ka Muasam, Dil Keh Ab To Sehra Hai, Aur Aise Sehra Mein, Jane Kab Talak Thehre Ab Malaal Ka Muasam, Aaj Tak Bhi Thehra Hai Dil Ki Reh-Guzaaron Par, Tere Lams Ka Tere Khad-O-Khaal Ka Muasam, Hum Kabhi To Dekhein Ge Wehshton K Sehra Mein, Ay KHUDA Mohabbat K Aetdaal Ka Muasam.........................*

Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se Mere qadmon pe mera sir hai kai sadiyon se

Poet:Wasi Shah Kaisa maftoh sa manzar hai kai sadiyon se Mere qadmon pe mera sir hai kai sadiyon se Khof rehta hai na seelab kahen le jae Meri plkon pe tera ghar hai kai sadiyon se Uss k pani mein bhi pehle sa wo thehrao nahin To bhi bechain sumandar hai kai sadiyon se Ashak ankhon mein solagte hoe so jate hain Ye meri ankh jo banjhar hai kai sadiyon se Kon kehta hai mulaqat meri ajj ki hai Too meri rooh k andar hai kai sadiyon se Ye mujhe sans bhi khol kar nahin laine daita Meri shah raag pe jo khanjar hai kai sadiyon se Ay meri maa main har ikk dhop se lar sakta hon Mere sir par teri chadar hai kai sadiyon se Main ne jis k lie har shakhs ko naraz kia Roth jae na yahi dar hai kai sadiyon se Usski adat hai jharhen katate rehne ki WASI Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadiyon se

Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyaan Chon raha hon teri yaadon ki solagti kirchiyaan

Poet:Wasi Shah Pa barhna aur mere Charon taraf tanhaiyaan Chon raha hon teri yaadon ki solagti kirchiyaan Kia kahein tarak-e-ta'aluq ka irada to nahin Yaad jo karne lage ho tum purani talkhiyaan Aah! Wo mousam wo heele aur kinara nehar ka Yaad ati hain mujhe campus ki sari shokhiyaan Kia kisi wehshat zada mousam ka tum ko khof hai Kiss liye khamosh ho kholo na dil ki khirkiyaan Mein use shohrat k baam-o-dar pe pohuchane k bad Apne daman mein chopa le jaon ga ruswaiyaan Apni barbadi ka mein ja kar kise ilzam don Apne haathon se daboen mene apni kashtiyaan Jeet to jata hon phir bhi dukh sa rehta hai mujhe Kab talak us se mein khelon ga shikasta baziyaan Boliyaan lagati hain ab bhi khoshiyon k sheher me Ajj bhi bazar me bikti hain nazak titliyaan Lijiye iss dil Ka phir mah-e-Moharam aa gaya Matamon ka shor hai aur chal rahi hain barchiyaan Yaad hai mujh ko December mein judai ki wo raat Chaand ki kirnain lahoo mein ban gaen changariy...

Ay mere chaand ki aghosh se ubhre hoe chaand Tere ane se meri shokh ki sab muskanen

Poet:Wasi Shah Ay mere chaand ki aghosh se ubhre hoe chaand Tere ane se meri shokh ki sab muskanen Us k morjhayi hoe chehre pe loat ai hain To ne hi us k solagte hoe sub zakhmon par  Apna nazak sa mehkata hoa marham rakha Goya sehraon me barsat ka mosam rakha Waqat ki andhi ne ikk phool mere angan ka Gulshan ghair k zindan me la phenka tha Me k jogno tha chine mujh se hawale mere Kho gae jane kahan saare ojhale mere Wo k titli thi sabhi rangon se mehrom hoi Hijar k dard mein din raat wo Maghmom hoi Bikhri bikhri si wo rehti thi meri sochon mein Tere ane se meri shokh ne khoshiyan paen To jo hansta hai tujhe daikh k jii uthti hai To jo rota hai to gabra k bikhar jati hai Mujh se wabasta jo karti thi maqadar apna Ab samajhati hai faqat tujh ko sikandar apna Ab teri zaat se mansoob hain sansain us ki Aur khilati hain tere qurab me banhin us ki Ay mere chaand ki aghosh mein khilte hoe chaand To ne mujh par ajab ehsan kia hai piyaare Ab tere qurab...

Dhoaen ki lehar pe tasveer raqas karti rahi Wo cigaraton k tasalsal me yaad ata raha

Poet:Wasi Shah Dhoaen ki lehar pe tasveer raqas karti rahi Wo cigaraton k tasalsal me yaad ata raha............!  

Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai Mujhe to chaand sitaron se khof ata hai

Poet:Wasi Shah Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai Mujhe to chaand sitaron se khof ata hai Mein doshmano k kisi war se nahin darta Mujhe to apne hi yaaron se khof ata hai Ghazan ka jabar to sene pe rook laite hain Humen udas baharon se khof ata hai Mile hain doston besakhiyon se gham itne Mere badan ko saharon se khof ata hai Me iltafat ki khandak se dor rehta hon Ta'aloqaat k gharon se khof ata hai.........!

Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-ta'aloq ne aa lia Wo bhi isi khayaal se aoron ki ho gai

Poet:Wasi Shah Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-ta'aloq ne aa lia Wo bhi isi khayaal se aoron ki ho gai Pehle to us k haath ki mashaal bhojhi WASI Phir youn hoa kahein meri taqdeer kho gai.......!

Me hon tera khayaal hai aur chaand raat hai Dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai

  Poet:Wasi Shah Me hon tera khayaal hai aur chaand raat hai Dil dard se nidhaal hai aur chaand raat hai Ankhon me chob gaen teri yadon ki kirchiyan Kandhon pe gham ki shaal hai aur chaand raat hai Dil toor k khamosh nizaron ka kia mila? Shabnam ka ye sawaal hai aur chaand raat hai Phir titliayan si orane lagen dashat khawab me Phir khawaish-e-wasaal hai aur chaand raat hai Campas ki nehar par hai tera haath haath me Mosam bhi lazawaal hai aur chaand raat hai Har ikk kali ne orah lia matami libas Har phol par malaal hai aur chaand raat hai Meri to por por me khoshbo si bus gai Us par tera khayaal hai aur chaand raat hai Chalka sa parh raha hai WASI wehshaton ka rang Har cheez pe zawaal hai aur chaand raat hai.............!

Ajj wo modat bad aii thi Buss ye kehne Janna

  Poet:Wasi Shah Aaj wo modat bad aii thi Buss ye kehne Janna..... Mere sare khat lota do Sab tasveeren qalam kitaben Wapis kar do saare tohfe Mujh se sub kuch mangane wali Jate jate Mere kamare ki chokhat par Chor gai hai "APANA APP"

Mein janta hon k ab chaton par Diye jalane ki rasam baki nahin rahi hai

Poet:Wasi Shah Mein janta hon k ab chaton par Diye jalane ki rasam baki nahin rahi hai Magar tumhen meri yaad aye To yaad rakho Tum apni aankhon se Ansooun k chamakate moti na giarane daina Bus itna karna K apni chat par Meri muhabbat ki nazam gaa kar Meri rafaqat ko yaad kar k Diya jalana Tum apni chat par kisi bhi kone mein baith kar Ikk diya jalana.......!

Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai Tumhari "han"pe wohi sardiyon ka mousam hai

  Poet:Wasi Shah Gul-e -zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai Tumhari "han"pe wohi sardiyon ka mousam hai Darakhat par jo kabhi choriyon se dala tha Us ikk nishan pe wohi sardiyon ka mousam hai Ye aik hum k nai boliyan sada bolain Teri zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai Sulag rahi hain dahan mein qabaen lafzon ki Magar zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai Tumhare ane pe soraj k haath chamken ge Mere makan pe wohi sardiyon ka mousam hai Har aik simat pigalane lage hain san'nate Tere biyan pe wohi sardiyon ka mousam hai Jahan jahan teri khoshboo k rang bikhare hain Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mousam hai Teri judai k pal se howa hai ishaq hanok K iss jahan pe wohi sardiyon ka mousam hai Wo "han" kare gi baharon mein us ka wada tha Us aik "han" pe wohi sardiyon ka mousam hai Wo mujh ko sonmp gaya farqaten december ki Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mousam hai Hamare lab to duaen jalae rakhate...

Jab raat ki nagan dasti hai Nas nas mein zehar utarta hai

Poet:Wasi Shah Jab raat ki nagan dasti hai Nas nas mein zehar utarta hai Jab chand ki kirnain tezi se Uss dil ko cheer k ati hain Jab aankh k andar hi ansoo Zanjeron mein bhand jate hain Sab jazbon par cha jate hain Tab yaad buhat tum ate ho Jab dard ki bhanjar bajati hai Jab raqas ghamon ka hota hai Khuwabon ki taal pe saare dukh Wehshat k saaz bajate hain Gate hain khuwahish ki le me Masti mein jhomte jate hain Sab jazbon par cha jate hain Tab yaad buhat tum ate ho Tab yaad buhat tum ate ho

Teri Yaad

  Poet:Wasi Shah Raat ka pichla pehar hai Matami malboos urahe Dard ki un wadiyon se Wehshaton k raste se Lar-kharati Dagamati Baal khole Bain karti Chandani ko saath le kar Meri janab chal pari hai Aa rahi hai Teri yaad........!

Dekhein janno app is bar Jaldi jaldi khat likhiye ga

Poet:Wasi Shah Dekhein janno app is bar Jaldi jaldi khat likhiye ga Warna.........Warna........ Warna mein kia kar sakti hon? Ro long gi bus.......... Ab se kitane mousam piche Mein us k khat par roya tha Shaid pura hafta meri aankh mein lali rachi rahi thi Aur ab itne barson bad Aj purane dard kanghale Pichale kitne ghanton se Apni us nadani par mein Reh reh kar hans parta hon Lakin door kahein aankhon mein Anjana sa ansoo ab bhi Uthta hai aur dab jata hai Chup jata hai Jaise kitne mousam piche Shaid pura hafta meri aankh mein lali rachi rahi thi..........!

Jab main ghar se nikal raha tha Chaltey chaltey Mery senny sey hatatey pal

Poet:Wasi Shah Jab main ghar se nikal raha tha Chaltey chaltey Mery senny sey hatatey pal Dherey se ikk sarghoshi main Us ney kaha tha Dekhain chahy kuch bhi ho jae Roz Mujhy RING ki jiye ga Phir jab us ke haath aur nazrain Dono meri tie par thin Kehne lagi Aap nahin hotey hain to bilkul khali ho jati hon Chor nahi sakty ye BUSINESS? Aap mujhy kion tarpate Hain? Acha daikhen yon karte hain Aik din khat aur aik din phone Main ne us ko Boosa de kar Us se kaha Tha Ab k chahy kuch ho jae Khat likhon ga phone karon ga Haye! lekin khod sar fitrat Aur kuch karobar k jhunjhat Na to us ko phone kia tha Aur na hi koi khat likh paea Na koi MESSAGE na hi card Ab jo ghar ko laut raha hon Soch raha hon Tanhai k ye do hafatey Us par Sadiyon jaise hon ge Lekin ye bhi janta hey dil Us ko be-hadd shikwe hon ge Tararpati ho gi Chup kar takiye main raaton ko roi ho gi Khafa khafa si Lekin ghar main dakhil ho kar Jab main us ke Mathe par ikk bosa don ga Un honton ...

Sochta hon k use nend bhi aati ho gi Ya meri tarah faqat ashak bahati ho gi

Poet:Wasi Shah Sochta hon k use nend bhi aati ho gi Ya meri tarah faqat ashak bahati ho gi Wohi meri shakal mera naam bholany wali Apni tasveer se kia aankh milati ho gi Is zameen pr bhi hai seelaab meray ashkon se Meray matam ki sada aarsh helati ho gi Shaam hote hi wo chokhat pe jala kar shamain Apni palkon pe kai khuwaab sulati ho gi Us ne silwa bhi liye hon ge siya rang libas Ab Moharram ki tarah Eid manati ho gi Hoti ho gi mere bhosy ki talab main pagal Jab bhi zulfon main koi phool sajati Ho gi Mere tareek zamanon se nikalne wali Roshni tujh ko meri yaad dilati ho gi Dil ki masoom ragain khud hi sulagti ho gi Jonhi tasveer ka kona wo jalati ho gi Roop de kar mujhe us main kisi shehzade ka Apne bachon ko kahani wo sunati ho gi.........!

Kitni zulfain khulin kitne anchal urhey chand ko kia khabar Kitna matam hoa kitne aansoo beahay chand ko kia khabar

Poet:Wasi Shah Kitni zulfain khulin kitne anchal urhey chand ko kia khabar Kitna matam hoa kitne aansoo beahay chand ko kia khabar Modaton us ki khawahish main chaltay rehay haath ata nahin Cha main us ki paron main hain abley chand ko kia khabar Wo jo nikla nahin to batakte rahe hain mosafar kai Aur lotate rahe hain kai qafile chand ko kia khabar Wo to apni hi nagri main madhosh hai kab se khamosh hai Kon raja bana kitne Syed lote chand ko kia khabar Us ko dawa bubat methe pan ka WASI chandni se kaho Us ki kirnon se kitne hi ghar jal gae chand ko kia khabar.......!

Mujh ko maloom hai tum badal jao ge ja k pardes main Chahaton ki hadon se nikal jao ge ja ke pardes main

Poet:Wasi Shah Mujh ko maloom hai tum badal jao ge ja k pardes main Chahaton ki hadon se nikal jao ge ja ke pardes main Rakh ho jae gi qarbaton main mehakti hoi zindagi Hijar ki agg main pigal jao ge ja ke pardes main Sab ko bholo ge par apne bachon ki jab tum ko yaad ae gi Khod bhi bachon ki sorat machal jao ge ja ke pardes main Apni pehchan ko khawahishon k samandar mein gir kar kho dia Dastanon mein phr tum bhi dhal jao ge ja ke pardes main Ain mumkin hai jab tum wahan jao to aur barah jaen dukh Kis ne tum se kaha hai behal jao ge ja ke pardes main Ye bata don tumhen sardiyan agg barsaen gin us jaga Soch lo abb bhi tum warna jaal jao ge ja ke pardes main Tum pe yon haath dalen gin tanhaiyan aik waqt ae ga Koi ahhat bhi ho gi dhahal jao ge ja ke pardes main..........!  

Kal ajjab saneha sa hoa rait par Naam tera na likh saka rait par

Poet:Wasi Shah Kal ajjab saneha sa hoa rait par Naam tera na likh saka rait par Kis ki awaz se tham gae hain qadam Phir se kiss ne mujhe di sadaa rait par Us ki ankhon se sholey nikalte rahe Nachti reh gai kal ghata rait par To ne jo bhi hawa se kaha reh gaya Mit gaya main ne jo bhi likha rait par Main tumhen chomana chahta hon abhi Uss ne mujh se ye ikk din kaha rait par Abb ye sehra hi tere muqaddar mein hain To ne mangi hi kion thi dua rait par Aik shola utha us jaga se WASI Mera aansoo jahan gir gea rait par.........!

Meri wafa ne khilaye the jo gulaab Saare jholas gae hain Tumhari ankhon mai jis qadar the wo khuwaab saare jhulas gae hain

Poet:Wasi Shah Meri wafa ne khilaye the jo gulaab Saare jholas gae hain Tumhari ankhon mai jis qadar the wo khuwaab saare jhulas gae hain Meri zameen ko Kisi nae haadse ka hai inatizar shayed Gunah phalane lage hain ajar-o-sawaab saare jhulas gae hain Jo tum gae to meri nazar pe haqeqaton k aazab utre Ye sochta hon k Kia karon ga saraab saare jhulas gae hain Ye mojaza sirf ikk shab ki musafaton ke sabab hua hai Tumhare aur mere darmiyan ke hijaab saare jhulas gae hain Use batana K us ki yadon k saare safahe jala chuka hon Kitaab-e-dil mai raqam the jitne wo baab saare Jhulas gae hain Nazar uthaon main jis taraf bhi muheb saye hain zulmaton k Ye kia K mere naseeb k mahtaab saare jhulas gae hain Tumhari nazron ki ye tapish hai k mere lafzon pe aabley hain Sawaal saare jhulas gae hain jawaab saare jhulas gae hain Ye agg khamoshiyon ki kaisi tumhari aankhon main tairti hai Tumhare honton pe daraj the jo nisaab saare jhulas gae hain.........!

Hazaron dukh paren sehnna muhabbat mar nahin sakti Hai tum se bus yahi kahna muhabbat mar nahin sakti

  Poet:Wasi Shah Hazaron dukh paren sehnna muhabbat mar nahin sakti Hai tum se bus yahi kahna muhabbat mar nahin sakti Tera har bar mere khat ko parhna aur ro dena Mera har bar likh dena muhabbat mar nahin sakti Kiya tha hum ne campus ki nadi par ikk haseen waada Bhale hum ko parre marna muhabbat mar nahin sakti Jahan main jab talak panchi chahaktay urhtay phiraty hain Hai jab tak phool ka khilna muhabbat mar nahin sakti Purane ahhad ko jab zinda karne ka khayal aaye Mujhe bus itna likh dena muhabbat mar nahin sakti Wo tera hijar ki shab main fone rakhny se zara pehle Buhat rotey hue kahna muhabbat mar nahin sakti Agar hum hasraton ki qabar main hi dafan ho jayen To yeh qutbon pe likh dena muhabbat mar nahin sakti Purane rabton ko phir naye waade ki khawahish hai Zara ikk baar to kehna muhabbat mar nahin sakti Gaye lamhaat fursat ke kahan se dhoond kar laon Wo pehron haath par likhna muhabbat mar nahin sakti...........!  

Tamam shaher mein ab to hai raaj kanton ka Mujhe qabool nahin ye samaj kanton ka

  Poet:Wasi Shah Tamam shaher mein ab to hai raaj kanton ka Mujhe qabool nahin ye samaj kanton ka Chalo k kuch to tasali hoi mere dil ko Isi mein khosh hon k paya kheraj kanton ka Hamare phool se chehron ko nochane walo Kabhi to tum pe bhi otar-e-anaj kanton ka Sambhal sakte nahin hum ye gham ki jageren Utaar lijiye sir se ye taaj kanton ka Ye aur baat k gull ki tarah mehakte rahe Wagarna rakhte the hum bhi mizaj kanton ka Buhat ajeeb se lehje mein baat karta hai Hai ajj phool mein kuch imtazaj kanton ka.........!

Meri ankhon k samandar mein jalan kaisi hai Ajj phir dil ko tarapane ki lagan kaisi hai

  Poet:Wasi Shah Meri ankhon k samandar mein jalan kaisi hai Ajj phir dil ko tarapane ki lagan kaisi hai Ab kisi chat pe charaghon ki qataren bhi nahin Ab tere sheher ki galiyon me ghathan kaisi hai Baraf k roop mein dhal jaen ge saare rishate Mujh se pocho k mohabbat ki agan kaisi hai Mein tere wasal ki khuwahish ko na marane don ga Mosam-e-hijar k lehje mein thakan kaisi hai Regazaron mein jo banti rahi kanton ki rida Uss ki majboor si ankhon mein kiran kaisi hai Mujhe masoom si larki pe taras ata hai Isi daikho to mohabbat mein magan kaisi hai.........!

Andheri raat mein rehate to kitna acha tha Hum apni zaat mein rehte to kitna acha tha

Poet:Wasi Shah Andheri raat mein rehte to kitna acha tha Hum apni zaat mein rehte to kitna acha tha Dokhon ne ban'nt lia hai tumhare bad humhein Tumhare haath mein rehte to kitna acha tha.........!  

Jab tumhari aankh ho gehre sumandar ki tarah Kion na lagata ho samandar dida-e-tar ki tarah

Poet:Wasi Shah Jab tumhari aankh ho gehre sumandar ki tarah Kion na lagata ho samandar dida-e-tar ki tarah Iss lie roshan kia hai tere chehre ka charagh Dopahar tarekh hai mere maqadar ki tarah Nashna sa jis ki diwaren hain dar bhi ajnabi Wo mila tha mujh ko hamesha ik nae ghar ki tarah.........!

Teri janib agar chale hote Hum na yon dar-badar hoe hote

  Poet:Wasi Shah Teri janib agar chale hote Hum na yon dar-badar hoe hote Sari duniya hai meri muthi main Kon ae ga ab tere hote Aur ab kiyon nahin nibhate tum Itne wade nahin kiye hote Paa liya mein ne sari duniya ko Koi khuwahish nahin tere hote Us ki ankhon main baar panne ko Kash hum khuwab ban gae hote........!

Dayar-e-gair me kaise tujhe sada daite Tu mil bhi jata to akhir tujhe ganwa daite

  Poet:Wasi Shah Dayar-e-gair me kaise tujhe sada daite Tu mil bhi jata to akhir tujhe ganwa daite Tumhin ne ham ko sunaiya na apna dukh warna Dua wo karte k ham asman hila daite Hamein ye zoom raha ab k wo pukaren ge Unhen ye zid thi k har bar ham sada daite Wo tera gham tha k taseer mere lahje ki K jis ko hal sunate use rula daite Tumhen bholna hi awwal to dastaras me nahin Jo ikhtiyar bhi hota to kia bhula daite? Hum apne bachon se kaise kahen k ye ghoriya Hamare bus me joo hoti to hum dila daite Tumhari yad ne koi jawab hi na dia Mere khayal k aansu rahe sada daite Samaton ko me ta-umer kosata Syed Wo kuch na kahte magar honth to hila daite......!

Bhanwar ki goud mein jaise kinara saath rehta hai Kuch aise hi tumhara aur hamara saath rehta hai

  Poet:Wasi Shah Bhanwar ki goud mein jaise kinara saath rehta hai Kuch aise hi tumhara aur hamara saath rehta hai Muhabbat ho k nafarat ho usi se mashwara ho ga Meri har kafiyat mein istekhara saath rehta hai Safar mein ain mumkin hai main khod ko chor don lekin Duaen karne walon ka sahara saath rehta hai Mere mola ne mujh ko chahaton ki saltanat de di Magar pehli muhabbat ka khasara saath rehta hai Agar syed mere lab par muhabbat hi muhabbat hai To phir yeh kis liye nafarat ka dhahara saath rehta hai......!

Aaj yon mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar Phot kar rone lage hain main mohabbat aur tum

  Poet:Wasi Shah Aaj yon mosam ne di jashn-e-mohabbat ki khabar Phot kar rone lage hain main mohabbat aur tum Hum ne jonhi kar liya mehsus manzil hai qareeb Raste khone lagate hain main mohabbat aur tum Chaand ki kirnon ne hum ko is tarah bosa dia Devta hone lage hain main mohabbat aur tum Dhar gea ilzam jab se apni hurmat par koi Barshen dhone lage hain main mohabbat aur tum Aaj phir mehromiyon ki dastanen orh kar Khak main sone lage hain main mohabbat aur tum Kho gae andaz bhi awaz bhi ilfaz bhi Khamashi dhone lage hain main mohabbat aur tum.......!

Tumhen janna ijazat hai Keh in tareekh rahon par

  Poet:Wasi Shah Tumhen janna ijazat hai Keh in tareekh rahon par Thakan si khud me pao to Andheron se kabhi dil dool jae Thak si jao to Mere jultey hoe lamhon Mere kangal hathon se chora ke apny hathon ko Fiza ki naghmagi se tum nae geet chun lena Haseen palkon ki nokon per nae kuch khawab bun lena Koi agar poch le mera to us se zikar mat karna Mery jivan ki jalti dopahar se be gharaz ho ker Tum apni chandni raton me jugno palti rehna Meri tanhaiyon ki wehshaton ki fikar mat karna Tumhein iski ijazat hai Mere sub khat jala dena Mere tohfon ko darya me baha dena Tumhein bilkul ijazat hai Keh jab chaho bhula dena Muger itni guzarish hai Agae aiisa na ho janna To acha hai........!

Us k haathon se jo khoshbo-e-hina ati hai Aisa lagta hai k jannat se hawa ati hai

  Poet:Wasi Shah Us k haathon se jo khoshbo-e-hina ati hai Aisa lagta hai k jannat se hawa ati hai Chomne daar ko kis dhaj se chala hai koi Aj kis naaz se maqtal mein qaza aati hai Na kabhi koi kare tujh se tere jaisa salook Haath uthtay hi yehi lab pe dua aati hai Tere gham ko ye bar-hana nahin rehne deti Meri ankhon pe jo ashkon ki rida aati hai Us ke chehray ki tamazat bhi hai shamil is main Aaj tapti hoi saavan ki ghata aati hai Ghomnay jab bhi tere shehar mein jati hai wafa Bain karti hui wapis wo sadaa aati hai Hai wohi baat har ik lab pe bohat aam yahan Hum se jo kehte hue un ko haya ati ha.........!

Qalam ho taigh ho taisha k dhaal mat cheno Kabhi kisi se kisi ka kamal mat cheno

  Poet:Wasi Shah Qalam ho taigh ho taisha k dhaal mat cheno Kabhi kisi se kisi ka kamal mat cheno Khushi isi mein agar hai to har khushi lay lo Yeh dukh yeh dard yeh huzan o malal mat cheno Isi khalish ke sabab phir muje obharna hai Khuda ke wastay ahed-e-zawal mat cheno Mein chor sakta nahin saath istiqamat ka Meri aazaan se josh-e-Bilal mat cheno Abhi kitab na cheno tum in ke haathon se Hamare bachon ka hussan-o-jamal mat cheno Hamari aankh mein yaadon ke zakham rehnay do Hamare haath se phoolon ki dhaal mat cheno Abi bhojao na Candle na cake kato abhi Kuch aur dair mera pichla saal mat cheno.......!

Jab bhi raat ko ghar ata hon Apne darwaze pe dastak dete lamhe

  Poet:Wasi Shah Jab bhi raat ko ghar ata hon Apne darwaze pe dastak dete lamhe Aksar meri soch ye mujh se kahti hai Aaj to darwaza khole gi Mujh ko dekh ke muskaey gi Mera matha chomay gi Sharmayay gi....! Ghar mein dakhil ho kar mein bhi koi shararat kar don ga To Khud mein simat kar rah jay gi Mein bhi kitna pagal hon na Kia kia socha karta hon Me bhi kitna pagal hoon na............!

Main tere hont k jiss till ko bahot chomta tha Ab wo khuwabon mein chamakata hai sitare ki tarah

  Poet:Wasi Shah Main tere hont k jiss till ko bahot chomta tha Ab wo khuwabon mein chamakata hai sitare ki tarah......!

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Dard kya hota hai tanhai kesy kehtay hain

  Poet:Wasi Shah Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Dard kya hota hai tanhai kesy kehtay hain Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain Ab to khud ko bhi muyassar nahi aa patay hain Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain Dard kya hota hai tanhai kesy kehtay hain Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko Woh jo ghum aye usay dil py saha karty thy aik saath hum mil ker raha kartey thy Ab akelay hi zamanay ke sitam sehty hain Dard kya hota hai tanhai kesy kehty hain Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko Hum Ne khud apni raahon main bichaye kantay Ghar main phoolon ki jagah la kar sajaye kantay Zakham iss dil main basaye howe khud rehty hain Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai Pyar sy magar kuch bhi nahi hoti hai Rastah rok ky har aik say yehi kehty hain Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko Dard kya hotah hai tanh...

Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain

  Poet:Wasi Shah Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain.........!

Dosti Ka Dawa Krne Wale Kuch Aise Log Bhi Hein Wasi Jinhein Hum Azeez tou Hein Mgr Apni Masrofiat K Baad

  Poet:Wasi Shah Dosti Ka Dawa Krne Wale Kuch Aise Log Bhi Hein Wasi Jinhein Hum Azeez tou Hein Mgr Apni Masrofiat K Baad........!

Kitni saada Kitni piyaari Kaanch ki choorhi jesi larhki

Poet:Wasi Shah Kitni saada Kitni piyaari Kaanch ki choorhi jesi larhki College k kamry mein bethi Janay kya kuch soch rahi thi Main bhe Oss k pas hi betha Oss ko ghor se dekh raha tha Kiya Qissa hai? Main ne pocha? Oss ki ankhein bheeg gaein Dheemi si awaaz mein boli Dekho?.?.? "Chorhi toot gai"

Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne

  Poet:Wasi Shah Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne Hmaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kr Lia Us Ne Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr "Wasi" Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne.......!

Jo meri ankhon se khawab dekho To ek bhi shab na so sako ge

  Poet:Wasi Shah Jo meri ankhon se khawab dekho To ek bhi shab na so sako ge Ke Laakh chaho na hans sako ge Hazar chaho na ro sako ge Ke Khawab kia hain azaab hain yeh Mere dukhon ki kitaab hain yeh Rafaqaten un ki choot-ti hain Mohabbaten un ki rooth-ti hain Panapti hain un main wehshaten si Aziyaten un main phoot-ti hain Inhi ke sar se khizaan hain jazbay Inhi se shaakhen se toot-ti hain Ghamon ki bandish main khawab mere Dukhon ki barish main khawab mere Ubal raha hai dukhon ka laawa Zameen aatish hain khawab mere Khayal saaray jhulas gaye hain Sulagti khawahish hain khawab mere Ukharti saansen hain zindagi ki Lahu ki saazish hain khawab mere Jo meri ankhon se khawab dekho To ik shab bhi na so sako ge.........!

kabhi jo hum nahi hon gy kaho kis ko batao gy

  Poet:Wasi Shah kabhi jo hum nahi hon gy kaho kis ko batao gy wo apni uljahnain sari wo becheni main dooby pal wo ankhon main chupe ansoo kise phir tum dikhao ye kabhi jo hum nahi hon gy bohat bechain ho gy tum bohat tenha reh jao gy abhi bhi tum nahi sumjhe hamari unkahi batein magar jab yaad aayen gy bohat tum ko rulayen gy bohat chaho gy phir bhi tum humein na dhoond pao gy kabhi jo hum nahi hon gy........!

Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon

  Poet:Wasi Shah Mein Yun Miloon Tujh se Ke Tera Libaas Ban Jaon Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon Aaj Pehloon Mein Mujhe Toot Ke Bikhar Jane Do Kal Ko Shayad Mumkin Nahi Ke Mein Tum ko Paon Tu Ban Jaye Lehar Aur Mein Sahil Ban Jaon Ho Ishq Mera Sahil To Mein Roz Tujh se Takraon Mein Yun Miloon Tujh se Ke Tera Libaas Ban Jaon Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon.......!

Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do

  Poet:Wasi Shah Mujhe teri mohabbat mein kho jaane do Har lamha mar ke aaj phir jee jaane do Isse mahobbat ne dil ko aaj phir dhadkaya hai Mujhe ishq ki baaho mein so jaane do Tadap ki aag hai judaai ki baahon mein Mujhe aaj iss mohabbat se mil jaane do Meri saans chalti hai tere naam ki aahat pe Mujh benaam ko iss naam mein kho jaane do Kasam tujhe chalne wali hawaon ki mehboob Mujhe iss mohabbat ki aag mein jal jaane do.........!

Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai meri hansti huyi aankhon ko rula deta hai

  Poet:Wasi Shah Jane kis cheez ki wo mujhko saza deta hai meri hansti huyi aankhon ko rula deta hai Kis tarah baat likhon dil ki usse, wo aksar doston ko mere khat padh ke suna deta hai Saamne rakh ke nigahon ke wo tasveer meri apne kamre ke charaghon ko bhuja deta hai Muddaton se to khabar bhi nahi bheji usne uski aadat hai wo apno ko bhula deta hai.......!