Posts

Showing posts from October, 2016

Husn Hamare Dar Ka Faqeer Hai Sahib Hum Apni Saadgi Se Badshahon Ko Jhuka Dete Hain

Image
حُسن ہمارے در کا ________فقیر ہے صاحب ہم اپنی سادگی سے بادشاہوں کو جُھکا دیتے ہیں Husn Hamare Dar Ka_______Faqeer Hai Sahib Hum Apni Saadgi Se Badshahon Ko Jhuka Dete Hain

Behka tu bohot behka sambhla tu wali tehra Iss khaak putly ka har roop niraala hai

Behka tu bohot behka sambhla tu wali tehra Iss khaak putly ka har roop niraala hai Meri ghaflaton ki bhi had nahi Teri rehmaton ki bhi had nahi Na meri khata ka shumar hai Na Teri atta ka shumar hai Tu baksh dy mery sab gunah tu ghafoor hai tu raheem hai tu kareem hai mery rab tu sab sy azeem hai Aameen

Jitny Bhi Ghar Hain Yahan Taron Se Be-Niaz,Itni Hi Roshni Main Sitaron Se Cheen Loon

جتنے بھی گھر ہیں یہاں تاروں سے بے نیاز اتنی ہی روشنی میں ستاروں سے چھین لوں جتنے بھی گھر ہیں یہاں جاڑوں سے بے نیاز اتنی ہی چادریں میں مزاروں سے چھین لوں اتنی تو جرأتیں ہوں میری کم سے کم بلند شاہوں کے تاج فقط اشاروں سے چھین لوں

Wehshatain Barhti Gayeen Hijr Ke Aazaar Ke Saath

Wehshatain Barhti Gayeen Hijr Ke Aazaar Ke Saath Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath

Darkaar Adakaara Mujhe Aisi Hai Jis Ke Dil Mein Ta'aveez-e-Dushmani Honton Pe Khair Ho

Image
Darkaar Adakaara Mujhe Aisi Hai Jis Ke Dil Mein Ta'aveez-e-Dushmani Honton Pe Khair Ho (Razab Tabraiz)

Dil-e-Gumshuda

دِلِ گمشدہ! کبھی مِل ذرا مجھے وقت دے، مری بات سُن مری حالتوں کو تو دیکھ لے مجھے اپنا حال بتا کبھی کبھی پاس آ! کبھی مِل سہی مرا حال پوچھ! بتا مجھے مرے کس گناہ کی سزا ہے یہ؟؟؟ تُو جنون ساز بھی خود بنا مری وجہِ عشق یقیں ترا مِلا یار بھی تو، ترے سبب وہ گیا تو ، تُو بھی چلا گیا؟؟؟ دِلِ گمشدہ؟؟؟ یہ وفا ہے کیا؟؟؟ اِسے کِس ادا میں لکھوں بتا؟؟؟ اِسے قسمتوں کا ثمر لکھوں؟؟؟ یا لکھوں میں اِس کو دغا، سزا؟؟؟ دِلِ گمشدہ! دِلِ گمشدہ

Umr karta huun basar gosha-e-tanhaii mein Jab se woh ruuth gaye tab se alag baitha huun

Umr karta huun basar gosha-e-tanhaii mein Jab se woh ruuth gaye tab se alag baitha huun Mera andaaz NASEER ahl-e-jahaan se hai judaa Sab mein shaamil huun magar sab se alag baitha huun    Naseerudin Naseer

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae

Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein

Mujh ko ik humdum mila tha, ik safar ki raat mein Main bohat be’khud hua tha, ik safar ki raat mein Janey kis ki yaad thi ke aik manzar dekh kar Toot kar main ro parra tha, ik safar ki raat mein Kash aesa ho, yahin pe rok lain hum waqt ko Yaad hai, tu ne kaha tha? ik safar ki raat mein Woh jiss se umar bhar ki doooriyan mansoob hain Mere seeney se laga tha, ik safar ki raat mein Har tarah phailey huye they yaad-e-gham ke silsiley Kitna mushkil raasta tha, ik safar ki raat mein Ghar se bahar paaon rakhtey hi larzz uthta hai dil Haadsaa aesa hua tha, ik safar ki raat mein Aaj bhi main gungunaata hoon usey tanhayi main Geet jo hum ne sunaa tha, ik safar ki raat mein Uss ki yaadon ke saharey kar raha hoon zindagi Jo mujhe Waasiq milta tha, ik safar ki raat mein

Mere char su jo khila raha

Mere char su jo khila raha' wo jamal to koi aur tha ! mere khawab jis mein ulajh geye wo khyaal to koi aur tha ! yahan kis hisaab ko joRte mere subho sham bikher geye jo azal ki subho kiya gaya wo sawal to koi aur tha ! jise tera jan k rakh liya wo malal to koi aur tha Amjad islam amjad

Ay Dost Zara Aur Qareeb-e-Jaan Ho

اے دوست ذرا اور قریبِ رگِ جاں ہو کیا جانے کہاں تک شبِ ہجراں کا دھواں ہو میں ایک زمانے سے تمہیں ڈھونڈ رہا ہوں تم ایک زمانے سے خدا جانے کہاں ہو میں اُس کو ترے نام سے تعبیر کروں گا وہ پُھول جسے قربتِ شبنم بھی گراں ہو شاید یہ میری آنکھ سے گِرتا ہوا آنسو احباب کی بھولی ہوئی منزل کا نشاں ہو ساحر صدیقی

Ghazab ki dhoop thi tanhaiyon k jungle mein

Ghazab ki dhoop thi tanhaiyon k jungle mein Shajar bohot thy magar saey dar koi na tha

Titliyon Kay Mousam Men Nochna Gulaabon Ka Reet Iss Nagar Ki Hai Aur Jaanay Kab Say Hai

Titliyon Kay Mousam Men Nochna Gulaabon Ka Reet Iss Nagar Ki Hai Aur Jaanay Kab Say Hai Dekh Ker Parindon Ko Baandhna Nishaanon Ka Reet Iss Nagar Ki Hai Aur Jaanay Kab Say Hai Tum Abhi Naey Ho Na Iss Liye Pare'shaan Ho Aasmaa'n Ki Jaanib Iss Tarhaa Say Mat Dekho Aafaten Jab Aani hon Tootna Sitaaron Ka Reet Iss Nagar Ki Hai Aur Jaanay Kab Say Hai Shehar Kay Baashinday Nafraton Ko Bo Ker Bhi Intezaar Kertay Hain Fasal Ho Muhabbat Ki Chhorr Ker Haqeeqat Ko Dhoondhna Saraabon Ka Reet Iss Nagar Ki Hai Aur Jaanay Kab Say Hai Ajnabi Hawaa'on Men Ajnabi Musafir Say Apnay Her Ta'aluq Ko Daa'emi Samajh Lena Aur Jab Bicharh Jana Maangna Duaa'on Ka Reet Iss Nagar Ki Hai Aur Jaanay Kab Say Hai

Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle dilon ke deep jalte hain charagh-e-shaam se pahle

Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle dilon ke deep jalte hain charagh-e-shaam se pahle kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle hui hai shaam jungle main parinde lautt'e honge ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle ya saare rang murdaa the tumhaari shakal banne tak ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyatan ham sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle

Samander Mein Utarta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Samander Mein Utarta hoon tau ankhein bheeg jati hain Teri ankhon ko parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain Tumhara Naam likhney ki ijazaat chin gayi jab sey Koi bhi lafz likhta hoon tau ankhein bheeg jati hain Tumhari yadoon ki kushboo khirkion mein raqs kerti hai Tere ghum mein sulagta hoon tau ankhein bheeg jati hain Mein Hans key jhail leita hoon judai ki sabhi rasmain Galey jub uss key lagta hoon tau ankhein bheeg jati hain Na-janey ho giya hoon iss gadr hasaas mein kab sey kisi sey baat kerta hoon tau ankhein bheeg jati hain Woh sub guzrey hoye lamhaat mujh ko yaad aatey hain Tumharey khat jo parhta hoon tau ankhein bheeg jati hain

Ghazal Mein Aur Bhi Lehja Shadeed Laonga Qadeem Dasht Se Majnon Jadeed Laonga

غزل میں اور بھی لہجہ شدید لاؤں گا قدیم دشت سے مجنوں جدید لاؤں گا منافقت ہی کروں گا منافقین کے ساتھ یزیدیت کے مقابل یزید لاؤں گا غریب ہوں مگر اِتنا غریب تھوڑی ہوں کھلونے بیچ کے روٹی خرید لاؤں گا تجھے مُکرنے نہيں دوں گا اب عدالت میں میں تیرے ہاتھ کی لکھی رسید لاؤں گا خرید لوں گا ترا عشق بھی ہوس کے عوض کہا نہيں تھا!!!!! بنا کر مُرید لاؤں گا بُرا سہی مگر اتنی بُری نہيں دُنیا ترے لئے کوئی اچھی نوید لاؤں گا یہ سال بھی اِسی اُمید پر گزار دیا کسی نے وعدہ کیا تھا کہ عید لاؤں گا ابھی سے بھر گئے تالاب شہر کے ابھی تو گاؤں سے جگنو مزید لاؤں گا Roman Version Ghazal Mein Aur Bhi Lehja Shadeed Laonga Qadeem Dasht Se Majnon Jadeed Laonga Munafiqat Hi Karonga Munafiqeen Ke Saath Yazeediat Ke Muqabil Yazeed Laonga Ghareeb Hon Magar itna Ghareeb Thodi Hon Khilony Baich Ke Roti Khareed Laonga Tujhe Ab Mukarny Nahi Donga Ab Adalat Mein Main Tere Haath Ki Likhi Raseed Laonga Khareed Longa Tera Ishq Bhi Hos Ke Ewaz Kaha Nahi Tha Bana Kar Mureed Laonga Bura Sahi Magar itni Buri Nahi Dunya Tere Liye Koi Ach...

Ye Akelypan Ki Udasiyaan,Ye Firaq Lamhy Azab Se

یہ اکیلے پن کی اداسیاں یہ فراق لمحے عذاب سے کبھی دشتِ دل پہ آ رکیں تیری چاھتوں کے سحاب سے میں ھوں تجھ کو جاں سے عزیزتر میں یہ کیسے مان لوں اجنبی تیری بات لگتی ھے وھم سی تیرے لفظ لگتے ھیں خواب سے یہ جو میرا رنگ و روپ ھے یونہی بے سبب نہیں دوستو میرے خوشبوؤں سے ھیں سلسلے میری نسبتیں ھیں گلاب سے اسے جیتنا ھے تو ھمنشیں یونہی گفتگو سے نہ کام لے کوئی چاند لاکے جبیں پہ رکھ کوئی لا گہر تہہِ آب سے وھی معتبر ھے میرے لیے وہ جو حاصلِ دل و جان ھے وہ جو باب تم نے چُرا لیا میری زندگی کی کتاب سے افتخار عارف

Fikr hai zahid ko hoor-o kausar-o tasneem ki

Image
Fikr hai zahid ko hoor-o kausar-o tasneem ki Aur ham jannat samajhte hai'n tere didaar ko

Kahan Kisi ke ghamon ka shumaar karna tha Mujhe to sham k dariya ko paar karna tha

(1) Kahan Kisi ke ghamon ka shumaar karna tha Mujhe to sham k dariya ko paar karna tha (2) Ham ne aankhon main raat kaati hai Ham ko shamil karo chraghon mein

Ghar ki Wahshat se larzata hun magar jaane kyun

Ghar ki Wahshat se larzata hun magar jaane kyun Sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahata hai Iftikhar Arif घर की वहशत से लरजता हूँ मगर जाने क्यूं शाम होती है तो घर जाने को जी चाहता है इफ्तिख़ार आरिफ़

Kuch Aisa Ho Yeh Shaam Dhale Koi Haath Me Thame Haath Mera

Kuch Aisa Ho Yeh Shaam Dhale Koi Haath Me Thame Haath Mera Koi Le Ke Mujh Ko Saath Chale Koi Baithe Mere Pehlu Me Mere Haath Pe Apna Hath Dhare Aur Ponch Ke Aansu Ankhon Se Woh Dheere Se Yeh Baat Kahe Yun Tanha Safar Ab Kat Ta Nahi Chalo Hum Bhi Tumhare Saath Chalein

Bus eak sham badi kamoshi se toot gaya Hamen jo maan teri dosti men rehta tha

Bus eak sham badi kamoshi se toot gaya Hamen jo maan teri dosti men rehta tha

Aise lage udas sar e sham zindgi Jaise kisi ka ho ilzam zindgi

Aise lage udas sar e sham zindgi Jaise kisi ka ho ilzam zindgi Apne jahan mein dekh tere bad kch na tha Hum ny lega de aj tere nam zindgi Jis k bina mujhe yeh saans dobti lage Ja kr usey b dhoondh kisi sham zindgi Ye pyar dard na ban sake jis k nashe mein Pila dy mujh ko wohi jaam , zindgi_____!!

Wo Aam Si Sham Thi Jab Juda Hoey Thy Hum Na Toot Kar Piyar Kiya Or Na Ro Saky Thy Hum

Wo Aam Si Sham Thi Jab Juda Hoey Thy Hum Na Toot Kar Piyar Kiya Or Na Ro Saky Thy Hum Tum Sey Gila kia Na Zamany Se Kuch Kaha Barbad Ho Gaey Bohat Sadgii Se Hum___!!

Ansu’oon ! Shaam Ki Palkon Pe Larazty Rehna Doob Jaye Jo Ye Manzar To Barastay Rehna

Ansu’oon ! Shaam Ki Palkon Pe Larazty Rehna Doob Jaye Jo Ye Manzar To Barastay Rehna____!! Us Ki Aadat Wohi Her Baat Adhori Karna Or Phir Baat Ka Mafhoom Badaltay Rehna_____!! Aaj Se Seekh Lia Hai Ye Qareena Hum Ne Bujh Bhi Jana To Bari Dair Tak Sulagtay Rehna___!! Jany Kis Umer Main Jaye Gi Ye Aadat Us Ki Roothna Khud Se To Auron Se Ulajhtay Rehna____!!

Khoob parda hai k chilman se lage baithe hain

Khoob parda hai k chilman se lage baithe hain Saab chhupte bhi nahin samne aate bhi nahin

Aankh Se Chhup Ke Dil Mein Baithey Ho Haaye! Kaisi Yeh Pardaah-Daari Hai

Aankh Se Chhup Ke Dil Mein Baithey Ho Haaye! Kaisi Yeh Pardaah-Daari Hai ? آنکھ سے چھُپ کے دِل میں بیٹھے ہو ہائے ! کیسی یہ پردہ داری ہے

Kab Talak Shama Jali Yaad Nahi Sham-E-Gham Kaise Dhali? Yaad Nahi

Kab Talak Shama Jali Yaad Nahi Sham-E-Gham Kaise Dhali? Yaad Nahi Iss Qadar Yaad Hai Apne The Sabhi Kiss Ne Kya Chaal Chali Yaad Nahi Hum Zamane Main Kuch Aise Bhatke Ab Tu Unn Ki Bhi Gali Yaad Nahi Abur Tha Jaam Tha Par App Na The Woh Ghari Kaise Talli Yaad Nahi Kat Gayi Umar Kissi Tarah Qateel Woh Buri Thi Kay Bhali? Yaad Nahi_!

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Sham Honay Do Mai Khud Hi Laut Jaoonga Mujhe Nakaam Honay Do

Abhi Sooraj Nahi Dooba Zara Si Sham Honay Do Mai Khud Hi Laut Jaoonga Mujhe Nakaam Honay Do Mujhey Badnam Karne Ke Bahanay Dhoondtay Ho Kyun_? Mai Khud Hojaoonga Badnam Pehley Naam Honey Do Abhi Karna Nahi Aetraaf-E-Shikast Mujhko Mai Sab Tasleem Kar Loonga Ye Charcha Aam Honay Do Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakta Wafayen Bech Lena Par Zara Neelam Honay Do Naye Aaghaz Main Hi Hosla Kyun Haar Bethey Ho_? Jeet Jaogay Tum Sab Kuch Zara Anjaam Honay Do_!!

Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali Jaane Kis Arsh Pe Rehta Hai Khuda Shaam Ke Baad

Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali Jaane Kis Arsh Pe Rehta Hai Khuda Shaam Ke Baad Din Ajab Muthi Main Jakray Rehta Hai Mujhay Mujh Ko Is Baat Ka Ehsaas Hota Hai Shaam K Baad Koi Bhoola Hua Ghum Hai Jo Musalsal Mujhko Dil K Paataal Say Deita Hai Sada Shaam K Baad Maar Deta Hai Ujad Jane Ka Dohra Ehsaas Kaash Ho Koi Kisi Say Na Juda Shaam Ke Baad Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Shaam Ke Baad Koi To Tha Ke Jo Deta Tha Dua Shaam Ke Baad Aankh Ban Jaati Hai Sawan Ki Ghata Shaam Ke Baad Laut Jaata Hai Agar Koi Khafa Shaam Ke Baad Aahain Bharti Hai Shab Yateemon Ki Tarha Hawa Her Roz Ho Jaati Hai Sard Shaam K Baad Shaam Tak Qaid Raha Karte Hai Dil Ke Andar Dard Ho Jaate Hai Saare Riha Shaam Ke Baad Log Thak Haar K So Jaatay Hain Lekin Hum Nay Khushi Say Saha Tera Her Dard Shaam K Baad Shaam Tak Laakh Sulaaye Rakhain Magar Jaag Uthti Hai,Mohabbat Ki Anaa Shaam K Baad Khwab Takra Ke Palat Jaate Hai Band Aankhon Say Jaane Kis Jurm Ki Kisko Hai Saza Shaam Ke Baad Chaand Jab Ro K Sitaaro...

Kuch Bikhri Hoi Yaadon Ke Qissy Bhi Buhat Hain

Image

Qurbat bhi naheen,dil se uttar bhi naheen jata wo shakhs koi fesla,kr bhi naheen jata

Qurbat bhi naheen,dil se uttar bhi naheen jata wo shakhs koi fesla,kr bhi naheen jata aankhen han,k khali naheen rahteen lahoo se aur zakham e judai ha,k bhar bhi naheen jata hm dohri azyat k gariftar ,musafir paaoon bhi shal han,shoq e safer bhi naheen jata dil ko teri chahat pe bharosa bhi,bohat ha aur tujh se bicharnay ka,dar bhi naheen jata pagal huae jata hoon FARAZ ,us se milnay ko itni si khushi se,koi mar bhi naheen jata

Doobtay doobtay,kashti ko uchalaa de doon man naheen,koi to,sahil pe uttar jae ga

Doobtay doobtay,kashti ko uchalaa de doon man naheen,koi to,sahil pe uttar jae ga zabt lazim ha,magar ,dukh ha qyamat ka FARAZ zalim,ab k bhi na roae ga,to mar jae ga

GHAMO KI AAG ME DIL JAL GAYA TO KHOOB HUA

GHAMO KI AAG ME DIL JAL GAYA TO KHOOB HUA YE IBTADA SE ISI INTAHA KE QABIL THA

Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen

Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen Khudaa mila ho jinhe woh khudaa ki baat karen Unhen pata bhi chale aur woh khafaa bhi na hon Iss ehtiyaat se kya mudaa.aa ki baat karen Hamare ehd ki tehzeeb mei qabaa hi nahin Agar qabaa ho to band-e-qabaa ki baat karen Har ek daur ka mazhab neyaa khuda laaya Karen to hum bhi magar kis khuda ki baat karen

Kisi ko ghar se nikalate hi mil gayi manzil Koi hamari tarah umar bhar safar me raha

Kisi ko ghar se nikalate hi mil gayi manzil Koi hamari tarah umar bhar safar me raha Ahmad Faraz किसी को घर से निकलते ही मिल गई मंज़िल कोई हमारी तरह उम्र भर सफ़र में रहा अहमद फ़राज़

Aankhon ne dekhte hi usay ghul macha diya Tai to yahi hua thaa k rona nahin hai aaj

Aankhon ne dekhte hi usay ghul macha diya Tai to yahi hua thaa k rona nahin hai aaj Farhat Ehsas आंखों ने देखते ही उसे ग़ुल मचा दिया तय तो यही हुआ था कि रोना नहीं है आज फ़रहत अहसास

Faraq zara merii es bebasii ki daad to de

Faraq zara merii es bebasii ki daad to de  qafas me baith ke rota hu aashiane ko

Wafa kaesi,,,kahaan ka ishq jab sar phorhna thehra

Wafa kaesi,,,kahaan ka ishq jab sar phorhna thehra To phir aye sang dil tera hi sange aastaan kyun ho

Wo sahilo’n pe gane wale kya hue wo kashtiya’n jalane wale kya hue

Wo sahilo’n pe gane wale kya hue wo kashtiya’n jalane wale kya hue wo subah aate aate rah gai kaha’n jo qafile the aane wale kya hue mai’n jin ki rah dekhta hu’n rat bhar wo raushani dikhane wale kya hue ye kaun log hain mere idhar udhar wo dosti nibhane wale kya hue Emarate’n to jal ke rakh ho gai’n Emarate’n banane wale kya hue ye aap ham to bojh hai’n zami’n ka zami’n ka bojh uthane wale kya Nasir Kazmi

Kbhi khud pe kbhi halaat pe Rona aaya

Kbhi khud pe kbhi halaat pe Rona aaya Baat nikli tou hr ik baat pe Rona aaya

Yu to har shaam umeedon me guzar jaati thi

Yu to har shaam umeedon me guzar jaati thi Aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya

Qafas mein mujh se roodad-e-chaman kahte na dar humdam

Qafas mein mujh se roodad-e-chaman kahte na dar humdam Giri hai jis pe kal bijli, woh mera aashian kyon ho

Dar-E-Qafas Se Parey Jab Saba Guzarti Hai Kisey Khabar Ke Aseeron Pe Kya Guzarti Hai

Image
Dar-E-Qafas Se Parey Jab Saba Guzarti Hai Kisey Khabar Ke Aseeron Pe Kya Guzarti Hai Taaluqaat Kabhi Iss Qadar Na Tuutey Thay Ke Teri Yaad Bhi Dil Se Khafaa Guzarti Hai Voh Ab Miley Bhi Toh Milta Hai Iss Tarah Jaisey Bujhey Chiraagh Ko Chhu Ker Havaa Guzarti Hai

Maana ke fikr-e-barq-o-ghum-e-baaghbaan nahin

Maana ke fikr-e-barq-o-ghum-e-baaghbaan nahin Phir bhi qafas, qafas hi tau hai, aashian nahin

Rudaad-E-Qafas Yaad Na Andaz-E-Fughan Yaad Jo Beet Gai, Beet Gai Wo Baat Kahan Yaad

Rudaad-E-Qafas Yaad Na Andaz-E-Fughan Yaad Jo Beet Gai, Beet Gai Wo Baat Kahan Yaad Tum Bhool Gaye Hum Ko To Kya Is Me Ta-ajjub Is Daur Me Karta Hai Kise Kon Kahan Yaad Kaafi Thi Tabahi K Liye Gardish-E-Doran Tum Aise Me Kiun Aa Gaye Aye Jaan-E-Jahan Yaad Apne Se Raqaqbat Ka Ye Aalam Hai K Toba Hum Bhool Gaye Khud Ko Tum Aye Jahan Yaad Maazi K Dareechy Se Kabhi Jhaank K Dekho Shayad Tumhe Aa Jaye Mera Naam-O-Nishan Yaad

AATI NAHEEN SADAAEN USKI MERAY QAFAS MAIN

AATI NAHEEN SADAAEN USKI MERAY QAFAS MAIN HOTI MERI REHAAI,AE KAASH MERAY BS MAIN

Khizaan Ki Dhoop Se Shikwa Fazool Hai Mohsin

Khizaan Ki Dhoop Se Shikwa Fazool Hai Mohsin Main Yoon Bhi Phool Tha, Akhir Mujhe Bikharna Tha

Phool to baagh e bahaaran chaar din dikhla gaye hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gaye

Phool to baagh e bahaaran chaar din dikhla gaye hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gaye

Is mein koi shikwa na shikayat na gila hai ye bhi koi khat hai ki mohabbat se bhara hai

Is mein koi shikwa na shikayat na gila hai ye bhi koi khat hai ki mohabbat se bhara hai kya yaad dilayenge mujhe mere sitamgar har naqsh-e-sitam khud mere sine pe likha hai mujh ko meri aavaz sunai nahi deti kaisa ye mere jism mein ik shor macha hai chehare mein hai aaina ki aaine mein chehara malum nahi kon kise dekh raha hai

Ye Bhi Nahi K Main Tumhein Ilzaam De Sakoon Ye Bhi Nahi K Tum Se Shikayat Nahi Mujhe

Ye Bhi Nahi K Main Tumhein Ilzaam De Sakoon Ye Bhi Nahi K Tum Se Shikayat Nahi Mujhe

Mohabbat tark ki maine, girebaan sii liya maine

Mohabbat tark ki maine, girebaan sii liya maine Zamaane ab to khush ho zeher yeh bhi pii liya maine

Talab-e-ashiq-e-Sadiq Mein Asar Hota Hai Go Zara Der Mein Hota Hai Magar Hota Hai

Talab-e-ashiq-e-Sadiq Mein Asar Hota Hai Go Zara Der Mein Hota Hai Magar Hota Hai

Mila Tha Raah Me Ik Aansuo Ka Saudaagar Hum Unki Aankh Ke Moti Kharid Laaye Bahut

Mila Tha Raah Me Ik Aansuo Ka Saudaagar Hum Unki Aankh Ke Moti Kharid Laaye Bahut Kabhi Kabhi Tera Maikhana Yaad Aaya Bahut Ki Ek Boond Bhi Na Pee Aur Ladkhadaaye Bahut

Ibadat Ke Liye Jab Jisam-e-Athar Raqs Karta Hai Jabeen-e-Ishq Jhukti Hai Tou Munbar Raqs Karta Hai

کلام: گھائل جونپوری ردیف: رقص کرتا ھے قوافی: اطہر ، منبر ، قلندر ﻋﺒﺎﺩﺕ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﺟﺐ ﺟﺴﻢِ ﺍﻃﮩﺮ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺟﺒﯿﻦِ ﻋﺸﻖ ﺟﮭﮑﺘﯽ ﮨﮯ ﺗﻮ ﻣﻨﺒﺮ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﻋﯿﺎﮞ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﻧﻈﺮﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﮨﺰﺍﺭﻭﮞ ﺭﻧﮓ ﻭﺣﺪﺕ ﮐﮯ ﺍﻧﺎﺍﻟﺤﻖ ﮐﯽ ﺻﺪﺍ ﭘﺮ ﺟﺐ ﻗﻠﻨﺪﺭ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺳﮑﻨﺪﺭ ﺧﻮﺵ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﮯ ﻟﻮﭦ ﮐﺮ ﺩﻭﻟﺖ ﺯﻣﺎﻧﮯ ﮐﯽ ﻗﻠﻨﺪﺭ ﺩﻭﻧﻮﮞ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﺳﮯ ﻟﭩﺎ ﮐﺮ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺳﻮﺍ ﺗﯿﺮﮮ ﮐﺴﯽ ﺷﮯ ﮐﯽ ﺗﻤﻨﺎ ﻣﯿﮟ ﻧﮩﯿﮟ ﺭﮐﮭﺘﺎ ﯾﮧ ﮐﯿﺴﯽ ﺁﺭﺯﻭ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻣﻘﺪﺭ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺯﻣﺎﻧﮯ ﻣﯿﮟ ﺍﺩﺍ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﺟﺐ ﺑﮭﯽ ﺭﺳﻢِ ﺷﺒﯿﺮﯼ ﺗﻮ ﻧﻮﮎِ ﺧﻨﺠﺮِ ﺑﺎﻃﻞ ﭘﮧ ﺑﮭﯽ ﺳﺮ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﺟﻨﻮﻥِ ﻋﺸﻖ ﮐﯽ ﮐﯿﻔﯿﺘﯿﮟ ﮔﻤﻨﺎﻡ ﮨﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ ﻣﺮﺍ ﻧﻐﻤﮧ ﮨﺮ ﺍﮎ ﺷﮯ ﮐﯽ ﺯﺑﺎﮞ ﭘﺮ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﻣﮑﺎﮞ ﺳﮯ ﻻﻣﮑﺎﮞ ﺗﮏ ﺁﻥِ ﻭﺍﺣﺪ ﻣﯿﮟ ﮔﺰﺭﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﻣﺮﯼ ﮨﺴﺘﯽ ﻣﯿﮟ ﺟﺐ ﺗﻮ ﻧﻮﺭ ﺑﻦ ﮐﺮ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﺑﺎﺏِ ﻋﻠﻢ ﺳﮯ ﺭﮐﮭﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻧﺴﺒﺖ ﺍﺱ ﻟﺌﮯ ﮔﮭﺎﺋﻞ ﮨﺘﮭﯿﻠﯽ ﭘﺮ ﻣﻘﺪﺭ ﮐﺎ ﺳﮑﻨﺪﺭ ﺭﻗﺺ ﮐﺮﺗﺎ ہے   Poet:Ghail Junpouri Ibadat Ke Liye Jab Jisam-e-Athar Raqs Karta Hai Jabeen-e-Ishq Jhukti Hai Tou Munbar Raqs Karta Hai Aayaan Hote Hain Nazron Mein Hazaron Rang Wahdat Ke Annalhaq Ki Sada Par Qalandar Raqs Karta Hai Sikandar Khush Nahi Hai Lout Kar Daolat Zamane Ki ...

I will meet you yet again How and where? I know not Perhaps I will become a figment of your imagination

I will meet you yet again How and where? I know not Perhaps I will become a figment of your imagination and maybe, spreading myself in a mysterious line on your canvas I will keep gazing at you Perhaps I will become a ray of sunshine, to be embraced by your colours I will paint myself on your canvas I know not how and where but I will meet you for sure Maybe I will turn into a spring and rub the foaming drops of water on your body and rest my coolness on your burning chest I know nothing else but that this life will walk along with me When the body perishes all perishes but the threads of memory are woven with enduring specks I will pick these particles weave the threads and I will meet you yet again Amrita Pritam

Na keha karo har baar ki hum chhor de ge tumko Na hum itne aam hai na yeh tere bs ki baat hai

Image
  Na keha karo har baar ki hum chhor de ge tumko Na hum itne aam hai na yeh tere bs ki baat hai

La Khu Da Meeny Ibteda Da Gily Sala Kavy Meena Pa Har Qadam Saza Da Gily Sala Kavy

Image
La Khu Da Meeny Ibteda Da Gily Sala Kavy Meena Pa Har Qadam Saza Da Gily Sala Kavy Os Khu Dunya Ke Da Wafa Malgari Paate Na Di Zarrgia Yaar De Be-Wafa De Gily Sala Kavy

Mujh Hi Pe Itni Tawajjuh Mujh Hi Se Itna Gurez

Image

Gulaab Ruto'on Mai Haseen Chehro'on Hamay Batao Udaas Kyun Ho

Gulaab Ruto'on Mai Haseen Chehro'on Hamay Batao Udaas Kyun Ho...?? Dilo Par Beeti Hui Kahani Sab Sunao Udaas Kyun Ho...?? Jo Ranjish-E-Dil Pal Rahi Hain Munafiqat Mai Jo Dhal Rahi Hain Bhula Ke Shikway Mita Ke Doori Galay Lagao Udaas Kyun Ho...?? Kitaab-E-Dil Ke Tamaam Safho'on Par Hamnay Likkha Lafz-E-Mohabbat Hamay Hamari Wafa Ke Agay Saza Sunao Udaas Kyun Ho...?? Fareb Khana Bhi Mashghala Hai Fareb Dena Bhi Mashghala Hai To Dil Ke Lutnay Par Kaisa Matam Khushi Manao Udaas Kyun Ho...??

Dukh se mat ghabrana panchhi Ye jag dukh ka mela hai

Dukh se mat ghabrana panchhi Ye jag dukh ka mela hai  Chahe bheed bahot hai jungle mei Udna tujhe akela hai

Mushafī hum to samjhe the ki hoga koi zakhm

Mushafī hum to samjhe the ki hoga koi zakhm Us ke DIL me to bahot kam rafu ka nikla

Haath me're bhool be'the dastaken de'ne ka funn Band mujh par jab se uss ke ghar ja darwaza hua

Haath me're bhool be'the dastaken de'ne ka funn Band mujh par jab se uss ke ghar ja darwaza hua

Na dastakk zaruri ,na awaaz dena

Na dastakk zaruri ,na awaaz dena... Me sanso ki khushbu se pehchan loongi,hawaao ki raftaar se jaan loongi

Kabhi kabhi to wo itni rasayi deta hai Ke sochta hai to mujh ko sunayi deta hai

Kabhi kabhi to wo itni rasayi deta hai Ke sochta hai to mujh ko sunayi deta hai Manzoor Hashmi कभी कभी तो वो इतनी रसाई देता है कि सोचता है तो मुझ को सुनाई देता है मंज़ूर हाशमी

Jab teri yaad k jugnu chamke Der tak aankh me aansu chamke

Jab teri yaad k jugnu chamke Der tak aankh me aansu chamke Sharat he shiddat e ahsas e jamal Rang to rang hai khushbu chamke Ahmad Faraz

Faseel-e-Shehar Par Thi Zarb-e-Kaari Kamandaron Ka Shouq Sheharyari

Image
فصیلِ شہر پر تھی ضربِ کاری کماں داروں کا شوق شہریاری کہاں فن کار کو مر کے بھی حاصل عذابِ زندگی سے رستگاری ہجومِ رنگ میں بھی دل کا مسلک کسی عہدِ وفا کی پاسداری اسی چہرے سے اوروں کی پرکھ ہے ابھی تک ہے وُہی اک شکل پیاری وہ جب خود ٹوٹنے والا ہوا تھا میں ہاری بھی تو کیسے وقت ہاری زمیں ماں کی طرح ہے ہر ستم پر بس اِک حرفِ دُعا ہونٹوں سے جاری پروین شاکر Faseel-e-Shehar Par Thi Zarb-e-Kaari Kamandaron Ka Shouq Sheharyari Kahan Fankaar Ko Mar Ke Bhi Hasil Azab-e-Zindagi Se Rastkaari Hujom Rang Mein Bhi Dil Ka Maslak Kisi Ahd-e-Wafa Ki Paasdari Usi Chehre Se Aoron Ki Parkh Hai Abhi Tak Hai Wahi Shakal Piari Wo Jab Khud Tootny Wala Howa Tha Main Hari Bhi Tou Kaise Waqt Hari Zameen Maa Ki Tarah Hai Har Sitam Par Bas Ik Harf-e-Dua Honton Se Jaari Parveen Shakir

Kati Hai "SAAD" Ki Tum Bin,Magar Itni Sii Hai Dil Mein Agar Aaty Tou Achha Tha,Agar Milty Tou Achha Tha

Image
کٹی ہے سعد کی تم بن، مگر اتنی سی ہے دل میں اگر آتے تو اچھا تھا، اگر ملتے تو اچھا تھا جہاں پھولوں کو کھلنا تھا وہیں کھلتے تو اچھا تھا تمہی کو ہم نے چاہا تھا تمہی ملتے تو اچھا تھا سعد اللہ شاہ   Kati Hai "SAAD" Ki Tum Bin,Magar Itni Sii Hai Dil Mein Agar Aaty Tou Achha Tha,Agar Milty Tou Achha Tha Jahan Phoolon Ko Khilna ThaWahin Khilty Tou Achha Tha Tumhi Ko Hum Ne Chhaha Tha Tumhi Milty Tou Achha Tha Saadullah Shah

Tu Shaheen Hai Parwaz Hai Kaam Tera

Image

Tum Door Sahi Mujh Se Sapnoo Ma To Aa Jao

Tum Door Sahi Mujh Se Sapnoo Ma To Aa Jao Bechain Mere Dil Ko Pal Bar Behla Jao, Koi Lamha Nahi Kut Ta Tujay Sochey Bina Jana Yadon se Nikal Kar Kabhi Mere Saamnay Aa Jao, Bus Itni Se Khawahish Hai Nadaan Mere Dil Ki Phir Aa Key Chaley Jaana Ek Baar To Aa Jao, Bachain Si Dhadkan Mein Na Aankhon Mein Neenden Hain Be Kaif Tabbiyat Ki Koi Waja Bata jao

Aaj to besabab udaas hai jee Ishq hota to koi baat bhi thee

Aaj to besabab udaas hai jee Ishq hota to koi baat bhi thee Nasir Kazmi आज तो बेसबब उदास है जी इश्क़ होता तो कोई बात भी थी नासिर काज़मी

Aaj dekha hai tujh ko der ke baad Aaj ka din guzar na jaye kahin

Aaj dekha hai tujh ko der ke baad Aaj ka din guzar na jaye kahin Nasir Kazmi आज देखा है तुझ को देर के बाद आज का दिन गुज़र ना जाये कहीं नासिर काज़मी

Din guzara tha badi mushkil se Phir tera vaada e shab yaad aaya

Din guzara tha badi mushkil se Phir tera vaada e shab yaad aaya Nasir Kazmi दिन गुज़ारा था बड़ी मुश्किल से फिर तेरा वाद ए शब याद आया नासिर काज़मी

Kia Khoob Hi Hota Agar Dukh Rait Ke Hote Mutthi Se Gira Dete,Paon Se Uda Dete

Image
Kia Khoob Hi Hota Agar Dukh Rait Ke Hote Mutthi Se Gira Dete,Paon Se Uda Dete

Hum Pe Tumhari Chhah Ka Ilzam Hi Tou Hai Dashnam Tou Nahi Hai,Ye Ikram Hi Tou Hai

Image
Hum Pe Tumhari Chhah Ka Ilzam Hi Tou Hai Dashnam Tou Nahi Hai,Ye Ikram Hi Tou Hai Dil NaUmeed Tou Nahi,NaKaam Hi Tou Hai Lab Mein Hai Gham Ki Shaam Magar Shaam Hi Tou Hai Faiz Ahmad Faiz

Ab Asaib-e-Muflisi Ka Yahi Tod Hai Razab Kaho Kisi Tufal Se Maare Khul Ke Qahqaha

Image
  Ab Asaib-e-Muflisi Ka Yahi Tod Hai Razab Kaho Kisi Tufal Se Maare Khul Ke Qahqaha (Razab Tabraiz)

Kaash Mein Tere Bin Gosh Ka Bunda Hota Raat Ko Be-Khabri Mein Jo Machal Jata Main

Image
مجید امجد کی ایک خوبصورت نظم "بُندا" جس سے متاثر ہو کر وصی شاہ نے اپنی مشہور نظم "کنگن" لکھی تھی یاد رہے کہ یہ نظم وصی شاہ کی نظم کنگن لکھنے سے تقریباً 35 سال پہلے لکھی گئی تھی کاش میں تیرے بن گوش کا بندا ہوتا رات کو بے خبری میں جو مچل جاتامیں تو ترے کان سے چپ چاپ نکل جاتا میں صبح کو گرتے تری زلفوں سے جب باسی پھول میرے کھو جانے پہ ہوتا ترا دل کتنا ملول تو مجھے ڈھونڈتی کس شوق سے گھبراہٹ میں اپنے مہکے ہوئے بستر کی ہر اک سلوٹ میں جونہی کرتیں تری نرم انگلیاں محسوس مجھے ملتا اس گوش کا پھر گوشہ مانوس مجھے کان سے تو مجھے ہر گز نہ اتارا کرتی تو کبھی میری جدائی نہ گوارا کرتی یوں تری قربت رنگیں کے نشے میں مدہوش عمر بھر رہتا مری جاں میں ترا حلقہ بگوش کاش میں تیرے بن گوش کا بندا ہوتا! مجید امجد <><><><><><><><><><><><><><><><><><><>  Kaash Mein Tere Bin Gosh Ka Bunda Hota Raat Ko Be-Khabri Mein Jo Machal Jata Main Tou Tere Kaan Se...

Fana par tanz karti ,muskurati zindagani hai Yahi aab e baqa hai ,taqayamat jawedani hai

Fana par tanz karti ,muskurati zindagani hai Yahi aab e baqa hai ,taqayamat jawedani hai Mohabbat Mar bhi Sakti hai tumhein yeh bad gumani hai Mohabbat zinda rehti hai mujhy yeh Khush gumani hai

Vo Baaten Teri Vo Fasaane Tere Shagufta Shagufta Bahaane Tere

Vo Baaten Teri Vo Fasaane Tere Shagufta Shagufta Bahaane Tere Bas Ek Zakhm Nazzaaraa Hissa Meraa Bahaaren Teri Aashiyaane Tere Bas Ek Daagh-E-Sajdaa Meri Kaayenaat Jabeenen Teri Aastaane Tere Zameer-E-Sadaf Men Kiran Ka Muqaam Anokhe Anokhe Thikaane Tere Faqeeron Ka Jamghat Ghadi Do Ghadi Sharaaben Teri Baada-Khaane Tere Bahaar-O-Khizaan Kam-Nigaahon Ke Vaham Bure Yaa Bhale Sab Zamaane Tere "Adam" Bhi Hai Teraa Hikaayat-Kada Kahaan Tak Gaye Hain Fasaane Tere

Ye dekho aa gayi mere zawaal ki manzil Mein ruk gaya meri parchhai chalti jati hai

Ye dekho aa gayi mere zawaal ki manzil Mein ruk gaya meri parchhai chalti jati hai Shaharyar ये देखो आ गई मेरे ज़वाल की मंज़िल मैं रुक गया मेरी परछाई चलती जाती है शहरयार

Dunya ke jhamele hi kuch ese hain k unko Ham bhul to jate hain bhulaya nahi karte

Dunya ke jhamele hi kuch ese hain k unko Ham bhul to jate hain bhulaya nahi karte

Ye Tanha Raat Ye Gehri Fizaen

Image

Kitni milti ha meri gazlo se surat teri Ki log mujhe teri Mehboba samjhte ha

Image
(1) Kitni milti ha meri gazlo se surat teri Ki log mujhe teri Mehboba samjhte ha  (2) Teri surat se nahi milti kisi ki surat Ham jahan mein teri tasweer liye phirte hain  

Darya Ne Kal Jo Chup Ka Lubada Pehin Lia Piyason Ne Apne Jisam Pe Sahra Pehin Lia

Image
دریا نے کل جو چپ کا لبادہ پہن لیا پیاسوں نے اپنے جسم پہ صحرا پہن لیا وہ ٹاٹ کی قبا تھی کہ کاغذ کا پیرہن جیسا بھی مل گیا ہمیں ویسا پہن لیا فاقوں سے تنگ آئے تو پوشاک بیچ دی عریاں ہوئے تو شب کا اندھیرا پہن لیا گرمی لگی تو خود سے الگ ہو کے سو سردی لگی تو خود کو دوبارہ پہن لیا بھونچال میں کفن کی ضرورت نہیں پڑی ہر لاش نے مکان کا ملبہ پہن لیا بیدل لباسِ زیست بڑا دیدہ زیب تھا اور ہم نے اس لباس کو الٹا پہن لیا بیدل حیدری   Darya Ne Kal Jo Chup Ka Lubada Pehin Lia  Piyason Ne Apne Jisam Pe Sahra Pehin Lia Wo Taat Ki Quba Thi Keh Kaghaz Ki Pairhan  Jaisa Bhi Mil Gaya Humein Waisa Pehin Lia Faqoon Se Tang Aaye Tou Poshaak Baich Di  Uryan Hoe Tou Shab Ka Andhera Pehin Lia Garmi Lagi Tou Khud Se Alag Ho Ke So  Sardi Lagi Tou Khud Ko Dobara Pehin Lia Bhonchaal Mein Kafan Ki Zarorat Nahi Padi  Har Laash Ne Makaan Ka Malba Pehin Lia "Bedal" Libaas-e-Zeest Bada Deedahzaib Tha  Aur Hum Ne Us Libaas Ko Ulta Pehin Lia Bedal Haidri ...

Dil Mein Ik Lehar Sii Uthi Hai Abhi,Koi Taza Hawa Chali Hai Abhi

دل میں اک لہر سی اٹھی ہے ابھی کوئی تازہ ہوا چلی ہے ابھی شور برپا ہے خانۂ دل میں کوئی دیوار سی گری ہے ابھی کچھ تو نازک مزاج ہیں ہم بھی اور یہ چوٹ بھی نئی ہے ابھی بھری دنیا میں جی نہیں لگتا جانے کس چیز کی کمی ہے ابھی تو شریکِ سخن نہیں ہے تو کیا ہم سخن تیری خامشی ہے ابھی یاد کے بے نشاں جزیروں سے تیری آواز آرہی ہے ابھی وقت اچھا بھی آئے گا ناصر غم نہ کر زندگی پڑی ہے ابھی ناصر کاظمی

Main Khush-Naseebi Hoon Teri, Mujhe Bhi Raas Hai Tu Tera Libaas Hoon Main, Mera Libaas Hai Tu

Main Khush-Naseebi Hoon Teri, Mujhe Bhi Raas Hai Tu Tera Libaas Hoon Main, Mera Libaas Hai Tu Ajeeb Shay Hai Mohhabbat , K Hum Kaheen Jayein Tere Khareeb Hoon Main, Mere Aas Paas Hai Tu Kab Yeh Mumkin Hai K, Koi Humko Juda Kar Jaaye Main Hoon Na Hoon Meri Jaan , Mera Maas Hai Tu Bandh Hothon Pay Meri, Reath Jamee Jaati Hai Tu Mere Paas Hai Aur Phir Bhi, Meri Pyaas Hai Tu Main Nay Khud Ko Faramosh Kiya Tere Liye Aam Hai Saara Jahan, Mere Liye Khaas Hai Tu DarmiyaaN Tere Mere Jab Say Log Aanay Lagay Main Us K Baad Say Tanha Hoon Aur Be-Aas Hai Tu Main Khush-Naseebi Hoon Teri, Mujhe Bhi Raas Hai Tu Tera Libaas Hoon Main, Mera Libaas Hai Tu

Jo koi samaj na sake vo baat hain Hum Jo dhal ke nayi Subah laye vo Raat hai Hum

<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><> जो कोई समझ न सके वो बात हैं हम जो ढल के नयी सुबह लाये वो रात हैं हम छोड़ देते हैं लोग रिश्ते बनाकर जो कभी न छूटे वो साथ हैं हम। Jo koi samaj na sake vo baat hain Hum Jo dhal ke nayi Subah laye vo Raat hai Hum Chhod dete hain Loge Rishte bana kar Jo kabhi na chute vo saath hain Hum. <><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>

Mujse sy Nafrat krni hai tw irada Paka Rakhna Thori b bhol ho ge to Muhabbat ho Jaye Gi

Mujse sy Nafrat krni hai tw irada Paka Rakhna Thori b bhol ho ge to Muhabbat ho Jaye Gi

Kisi Ghareeb Qabely Ki Aabro Ki Tarah Hamara Dard Kisi Dard Mein Shumaar Nahi Hota

Image
کسی غریب قبیلے کی آبرو کی طرح ہمارا درد کسی درد میں شمار نہیں ہوتا  Kisi Ghareeb Qabely Ki Aabro Ki Tarah Hamara Dard Kisi Dard Mein Shumaar Nahi Hota

Raat Gayi,Baat Gayi

Image
Raat Ki Baat Ka Mazkoor Hi Kia Chorriye,Raat Gayi,Baat Gayi (Chiragh Hasan Hasrat)

Aandhi Chali Tou Naqsh-e-Kaf-e-Paa Nahi Mila,Dil Jis Se Mil Gaya,Wo Dobara Nahi Mila

Image
آندھی چلی تو نقشِ کفِ پاء نہیں ملا دل جس سے مل گیا ، وہ دوبارہ نہیں ملا ھم انجمن میں سب کی طرف دیکھتے رھے اپنی طرح سے کوئی اکیلا نہیں ملا آواز کو تو کون سمجھتا ، کہ دور دور خاموشیوں کا درد شناسا نہیں ملا قدموں کو شوقِ آبلہ پائی تو مل گیا لیکن بہ ظرفِ وُسعتِ صحرا نہیں ملا کِنعاں میں بھی نصیب ھُوئی خود دریدگی چاکِ قبا کو دستِ زلیخا نہیں ملا مہر و وفا کے دشت نوردو جواب دو تم کو بھی وہ غزال ملا ، یا نہیں ملا ؟؟ کچّے گھڑے نے جیت لی ندی چڑھی ھوئی مضبوط کشتیوں کو کنارہ نہیں ملا مصطفیٰ زیدی

Kal na Hum honge na koi gilah hoga Sirf simtti hui yaadon ka silsila hoga

Image
<><><><><><><><><><><><><><> Kal na Hum honge na koi gilah hoga Sirf simtti hui yaadon ka silsila hoga Jo lamhe hain chalo hans kar bitaiaye Jane kal Zindgi ka kya faisla hoga <><><><><><><><><><><><><><>

Saamne ho Manzil to Raaste na mourna Jo bhi Mann mein ho vo Sapna na torrna

<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><> Saamne ho Manzil to Raaste na mourna Jo bhi Mann mein ho vo Sapna na torrna Kadam Kadam pe milegi Mushkil Aap ko Bus Sitare chunne ke liye kabhi Zameen mat chhodna <><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>

Khuwahish Koi Ubhri Hai Arman Tou Nahi,Ghabra Gaya Hon Toda Preshan Tou Nahi

خواہش کوئی ابھری ہے ارمان تو نہیں گھبرا گیا ہوں تھوڑا پریشان تو نہیں کیسے کہوں وہ میرا طرف دار ہو گیا تسلیاں ہی بهیجی ہیں زبان تو نہیں الفت کے نام پر بدن میں بھیڑ کس لیے اک آدھ ہو تو ٹھیک خاندان تو نہیں گناہ کے معاملات میں بس اتنی احتیاط خودی سے پوچھ لیتا ہوں رمضان تو نہیں ابھی تو اس جنون کا گلا نہ کاٹیے ابھی تو لڑکپن میں ہے جوان تو نہیں اک یاد ہے جو لازمی جزو_بدن ہے پہلو سے لگی رہتی ہے کرپان تو نہیں چنبیلیء وصال پہ دوری کے زہر کی کمی ضرور لگتی ہے فقدان تو نہیں ہرچند حروف بیجتا ہوں اپنے ذہن میں ہر فصل بونے والا پر کسان تو نہیں کوئی بھی زخم ہو رزب دل_گداز پر ہلکا سا داغ لگتا ہے نشان تو نہیں (رزب تبریز)

Suno Aey Nekdil Larki Tum Aksar Pochti Ho Na,Muhabbat Mujh Se Karne Ki Waja Kia Hai

Image
ﺳﻨﻮ ﺍﮮ ﻧﯿﮏ ﺩﻝ ﻟﮍﮐﯽ ﺗﻢ ﺍﮐﺜﺮ ﭘﻮﭼﮭﺘﯽ ﮨﻮ ﻧﺎ ﻣﺤﺒﺖ ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﯽ ﻭﺟﮧ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ؟ ﺳﻨﻮ! ﺗﻢ ﮐﻮ ﺑﺘﺎﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﻣﺤﺒﺖ ﺗﻢ ﺳﮯ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﯽ ﺍﮔﺮ ﮐﻮﺋﯽ ﻭﺟﮧ ﮨﻮﺗﯽ ﺑﺘﺎ ﺩﯾﺘﺎ ﻣﺠﮭﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮨﮯ ﻣﮕﺮ ﮐﯿﻮﮞ ﮨﮯ ؟ ﻣﺠﮭﮯ ﺧﻮﺩ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻣﻌﻠﻮﻡ ﺳﻨﻮ ﺍﮮ ﻧﯿﮏ ﺩﻝ ﻟﮍﮐﯽ ﭘﮍﮬﺎ ﮨﻮﮔﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﺗﻢ ﻧﮯ ﺳﻨﺎ ﮨﻮﮔﺎ ﮐﺒﮭﯽ ﺗﻢ ﻧﮯ " ﻣﺤﺒﺖ ﺩﻭ ﺩﻟﻮﮞ ﮐﮯ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﭘﺎﮐﯿﺰﮦ ﺭﺷﺘﮧ ﮨﮯ" ﺳﻨﻮ ﻟﮍﮐﯽ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﺟﻮ ﭘﺎﮎ ﺭﺷﺘﮧ ﮨﮯ ﻣﺠﮭﮯ ﻟﮕﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮧ ﺭﺷﺘﮧ ﺟﮩﺎﮞ ﺁﺑﺎﺩ ﮨﻮﻧﮯ ﺳﮯ ﺑﮩﺖ ﭘﮩﻠﮯ ﺯﻣﯿﮟ ﺍﯾﺠﺎﺩ ﮨﻮﻧﮯ ﺳﮯ ﺑﮩﺖ ﭘﮩﻠﮯ ﺧﺪﺍ ﻧﮯ ﺟﺐ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺍﻭﺭ ﻣﯿﺮﮮ ﺭﻭﺡ ﮐﯽ ﺗﺨﻠﯿﻖ ﮐﯽ ﮨﻮﮔﯽ ﮨﻤﺎﺭﯼ ﻗﺴﻤﺘﯿﮟ ﻟﮑﮭﯽ ﮔﺌﯽ ﮨﻮﻧﮕﯽ ﺳﻨﻮ ﻟﮍﮐﯽ! ﺍﺳﯽ ﻗﺴﻤﺖ ﮐﮯ ﭘﻨﮯ ﻣﯿﮟ ﻓﺮﺷﺘﻮﮞ ﻧﮯ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﺍﮎ ﺭﺑﻂ ﺑﺎﮨﻢ ﺑﮭﯽ ﻟﮑﮭﺎ ﮨﻮﮔﺎ ﮨﻤﺎﺭﮮ ﺩﺭﻣﯿﺎﮞ ﺍﮎ ﭘﺎﮎ ﺭﺷﺘﮧ ﺑﮭﯽ ﻟﮑﮭﺎ ﮨﻮﮔﺎ ﻣﮕﺮ ﺍﺱ ﮐﯽ ﻭﺟﮧ ﻟﮑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﮔﯽ ﺑﺘﺎﺅ ﭘﮭﺮ ؟ ﺗﻤﮩﯿﮟ ﮐﯿﺴﮯ ﺑﺘﺎﺅﮞ ﻣﯿﮟ؟ ﻣﺤﺒﺖ ﺗﻢ ﺳﮯ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﯽ ﻭﺟﮧ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ﺍﮔﺮ ﮐﻮﺋﯽ ﻭﺟﮧ ﮨﻮﺗﯽ ﺑﺘﺎ ﺩﯾﺘﺎ

Laboon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pehlay Diloon Mein Deep Jaltay Hain Charaagh-E-Sham Se Pehlay

شاعر امجد اسلام امجد بک اس پار ماخوذ کلیات غزل صفحہ   211 لبوں پہ پھول کھلتے ہیں کسی کے نام سے پہلے دلوں کے دیپ جلتے ہیں چراغ ۓ شام سے پہلے کبھی منظر بدلنے پر بھی قصہ چل نہیں پاتا کہانی ختم ہوتی ہے کبھی انجام سے پہلے یہی تارے تمہاری آنکھ کے چلمن میں رہتے ہیں یہی سورج نکلتا تھا تمہارے بام سے پہلے دلوں کی جگمگاتی بستیاں تاراج کرتے ہیں یہی جو لوگ لگتے ہیں نہایت عام سے پہلے ہوئی ہے شام جنگل میں پرندے لوٹتے ہوں گے اب ان کو کس طرح روکیں نواح ۓ دام سے پہلے یے سارے رنگ مردہ تھے تمہارے صورت بننے تک یے ساری حرف مہمل تھے تمہارے نام سے پہلے ہوا ہے وہ اگر منصف تو امجد احتیاطن ہم سزا تسلیم کرتے ہیں کسی الزام سے پہلے Poet Amjid Islam Amjid Book Us Paar Maakooz Kulyat-E-Ghazal Page 211 Laboon Pe Phool Khilte Hain Kisi K Naam Se Pehlay Diloon Mein Deep Jaltay Hain Charaagh-E-Sham Se Pehlay Kabhi Manzar Badlnay Par Bhi Qisa Chal Nahein Pata Kahaani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pehlay Yahi Taare Tumhari Aankh Ki Chilman Mein Rehtay Tha...

Wahi na milne ka gham aur wahi gila hoga Mein janta hun mujhe usne kya likha hoga

Wahi na milne ka gham aur wahi gila hoga Mein janta hun mujhe usne kya likha hoga Gali k mod se ghar tak andhera kyu h Nizam Chiragh yaad ka usne bujha diya hoga Sheen Kaaf Nizam वही ना मिलने का ग़म और वही गिला होगा मैं जानता हूँ मुझे उस ने क्या लिखा होगा गली के मोड़ से घर तक अंधेरा क्यूं है निज़ाम चिराग़ याद का उस ने बुझा दिया होगा शीन काफ़ निज़ाम

Lehron ko pyaar tha Kinaron se Par uss ki shaadi ho gayi Sagar se

Image
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><> Lehron ko pyaar tha Kinaron se Par uss ki shaadi ho gayi Sagar se Kinaron ki Preet lehron ko kheench lati hai Par badnaam na ho Mohabbat Iss liye lout jaati hai <><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>

Hamara Dosh Hai Mana Tumhein Apna Jo Hai Jana

ہمارا دوش ہے مانا تمہیں اپنا جو ہے جانا تمہارے بن یہ جیون مرگ جیسا ہے ہمیں جنّت کا ہر گوشہ بھی گویا نرک جیسا ہے حقیقت میں اگر سوچو محبّت میں انا کا کام ہی کیا ہے چلو اب مان بھی جاؤ کہ تم کو ہم مناتے ہیں ہمیں تم سے محبّت ہے فاخرہ بتول Hamara Dosh Hai Mana Tumhein Apna Jo Hai Jana Tumhare Bin Ye Jeevan Marg Jaisa Hai Humein Jannat Ka Har Gosha Bhi Goya Nark Jaisa Hai Haqeeqat Mein Agar Socho Muhabbat Mein Ana Ka Kaam Hi Kia Hai Chalo Ab Maan Bhi Jao Keh Tum Ko Hum Manaty Hain Hamein Tum Se Muhabbat Hai Fakhra Batool

Chalne Do Yeh Baazi-E-Mohabbat Magar Itni Ravaani Se Nahin Tumhaari Jeet Ho Gi Magar Itni Aasaani Se Nahin

Chalne Do Yeh Baazi-E-Mohabbat Magar Itni Ravaani Se Nahin Tumhaari Jeet Ho Gi Magar Itni Aasaani Se Nahin Laut Aana Umr Ke Kisi Bhi Hissey Mein Tum Hamein Gharz Tujh Se Hai, Teri Javaani Se Nahin چلنے دو یہ بازئ محبت مگر, اتنی روانی سے نہیں تمھاری جیت ہوگی مگر اتنی آسانی سے نہیں لوٹ آنا عمر کے کسی بھی حصے میں تم ہمیں غرض تجھ سے ہے تیری جوانی سے نہیں

Nigahon ko zara jhuka lijiye janaab

Nigahon ko zara jhuka lijiye janaab Meray mazhab may nasha haraam hai

Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Saare Aa Dekh Tere Naam Se Mosoom Hain Saare

Qissay Meri Ulfat K Jo Marqoom Hain Saare" Aa Dekh Tere Naam Se Mosoom Hain Saare" Bus Is Liye Har Kaam Adhoora Hi Parra Hai" Khaadim Bhi Meri Qaum K Makhdoom Hain Saare" Ab kon Mere Paaon Ki Zanjeer Ko Kholay" Haakim Meri Basti K Bhi Mehkoom Hain Saare" Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Houn Ab Tak" Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare" Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin" Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare.

Ye jo dard hai ishq ka mujhe iss se koi gila nhi Ye tou zindagi ka usool hai Kabhi Apna koi hua nhi

Ye jo dard hai ishq ka mujhe iss se koi gila nhi Ye tou zindagi ka usool hai Kabhi Apna koi hua nhi Ye jo silsila hai dard ka ....ye tohfa yun hee mila nahin Tu jise Jaan kr rbb anjan hai Wo raaj Maine kahaa nhin Mujhe apni khabar tou hai magar Teri soch ka kuchh pata nhin Ye jo aansu hain meri aankh mein Besbab Ye baha nhi Ye sda si jo goonjati hai Wo lafz tuu ne kaha nhi Mera zuram hai meri 'SAADAGI' Meri aur koi khata nhi

Ab Ke Saal Poonam Mein Jab Too Aayegi Milne Ham Ne Soch Rakha Hai Raat Yoon Guzaarenge

Ab Ke Saal Poonam Mein Jab Too Aayegi Milne Ham Ne Soch Rakha Hai Raat Yoon Guzaarenge Dhadkanen Bicha Denge Shokh Taire Qadmon main Ham Nigaahon Se Teri ,,Aarti Utaarenge   Tu Ke Aaj Qatil Hai, Phir Bhe Rahat-E-Dil Hai Zeher Ke Nadi Hai Tu, Phir Bhe Qeemti Hai Tu   Past Hoslay Walay Tera Sath Kya Dain Gai Zindagi Idher Aa Ja,, Hum Tujhe Guzarain Gai   Aa’hani Kalejay Ko Zakhem Ke Zarorat Hai Ungliyon Se Jo Tapkay,, us Lahoo Ke Hajat Hai   Aap Zulf-E-Janan Ke Kham Sanwariye Sahab Zindagi Ki Zulfon Ko,, Aap Kya Sanwarain Gai   Hum To Waqt Hein Pel Hein, Taiz Gam Ghariyan Hein Baiqarar Lamhay Hein, Bai’takan Sadiyan Hein   Koi Sath Mein Apne, Aye Ya Nahi Aye Jo Mile Ga Rastay Mein Hum Osay Pukarain Gai...!!! Nasir Kazmi اب کے سال پونم میں جب تو آئے گی ملنے ہم نے سوچ رکھا ہے رات یوں گزاریں گے دھڑکنیں بچھا دیں گے، شوخ ترے قدموں میں ہم نگاہوں سے تیری، آرتی اتاریں گے تو کہ آج قاتل ہے، پھر بھی راحتِ دل ہے زہر کی ندی ہے تو، پھر بھی قیمتی ہے تو...

BARA ISHQ,ISHQ ,TU KARNA AEN KADI ISHQ DA GUNJAL,KHOL TE SAI

BARA ISHQ,ISHQ ,TU KARNA AEN KADI ISHQ DA GUNJAL,KHOL TE SAI TENUN MITTI DE WICH NA ROL DEWAY DO PYAR DE BOL,,BOL TE SAI SUKH GHAT TE DARD,,,HAZAAR MILAN KADI ISHQ NUN TAKRI,TOL TE SAI TERI HASDI AKH V PIJ JAWAY KADI SAANUN,ANDRON PHOL TE SAI

Sar-e-Sahra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai Main Chalta Hon Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rehta Hai

ﺳﺮِ ﺻﺤﺮﺍ ﻣﺴﺎﻓﺮ ﮐﻮ ﺳﺘﺎﺭﮦ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ﻣﯿﮟ ﭼﻠﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻣﺠﮭﮯ ﭼﮩﺮﮦ ﺗﻤﮩﺎﺭﺍ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ . ﺗﻤﮩﺎﺭﺍ ﻇﺮﻑ ﮨﮯ ﺗﻢ ﮐﻮ ﻣﺤﺒﺖ ﺑﮭﻮﻝ ﺟﺎ ﺗﯽ ﮨﮯ ﮨﻤﯿﮟ ﺗﻮ ﺟﺲ ﻧﮯ ﮨﻨﺲ ﮐﺮ ﺑﮭﯽ ﭘﮑﺎﺭﺍ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ . ﻣﺤﺒﺖ ﺍﻭﺭ ﻧﻔﺮﺕ ﺍﻭﺭ ﺗﻠﺨﯽ ﺍﻭﺭ ﺷﯿﺮﯾﻨﯽ ﮐﺴﯽ ﻧﮯ ﮐﺲ ﻃﺮﺡ ﮐﺎ ﭘﮭﻮﻝ ﻣﺎﺭﺍ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ . ﻣﺤﺒﺖ ﻣﯿﮟ ﺟﻮ ﮈﻭﺑﺎ ﮨﻮﺍ ﺳﮯ ﺳﺎﺣﻞ ﺳﮯ ﮐﯿﺎ ﻟﯿﻨﺎ ﮐﺴﮯ ﺍﺱ ﺑﺤﺮ ﻣﯿﮟ ﺟﺎ ﮐﺮ ﮐﻨﺎﺭﮦ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ . ﺑﮩﺖ ﻟﮩﺮﻭﮞ ﮐﻮ ﭘﮑﮍ ﺍ ﮈﻭﺑﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﮐﮯ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﻧﮯ ﯾﮩﯽ ﺑﺲ ﺍﯾﮏ ﺩﺭﯾﺎ ﮐﺎ ﻧﻈﺎﺭﮦ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ . ﺻﺪﺍﺋﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺳﯽ ، ﯾﮑﺴﺎﻧﯿﺖ ﻣﯿﮟ ﮈﻭﺏ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﯿﮟ ﺫﺭﺍ ﺳﺎ ﻣﺨﺘﻠﻒ ﺟﺲ ﻧﮯ ﭘﮑﺎﺭﺍ ﯾﺎ ﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ . ﻣﯿﮟ ﮐﺲ ﺗﯿﺰﯼ ﺳﮯ ﺯﻧﺪﮦ ﮨﻮﮞ ، ﻣﯿﮟ ﯾﮧ ﺗﻮ ﺑﮭﻮﻝ ﺟﺎﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﻧﺎ ﮨﮯ ﺩﻧﯿﺎ ﻣﯿﮟ ﺩﻭﺑﺎﺭﮦ ﯾﺎﺩ ﺭﮨﺘﺎ ﮨﮯ ﻋﺪﯾﻢ ﮨﺎﺷﻤﯽ Sar-e-Sahra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai Main Chalta Hon Mujhe Chehra Tumhara Yaad Rehta Hai Tumhara Zarf Hai Tum Ko Muhabbat Bhool Jati Hai Hamein Tou Jis Ne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai Muhabbat Aur Nafrat Aur Talkhi Aur Shereeni Kisi Ne Kis Tarah Ka Phool Mara Yaad Rehta Hai Muhabbat Mein Jo Dooba Hawa Se Sahil Se Kia Lena Kise Is Bahar Mein Ja Kar Kinara Yaad Rehta Hai Buhat Lehron Ko P...

Wafa Ki Aarzu Karna Safar Ki Justuju Karna

Wafa Ki Aarzu Karna Safar Ki Justuju Karna Jo Tum Mayoos Ho Jao To Mujh Se Guftugu Karna Ye Aksar Ho Bhi Jata Hai K Koi Kho Bhi Jata Hai Muqaddar Ko Satao Ge To Phir Ye So Bhi Jata Hai Agar Tum Hosla Rakho Wafa Ka Silsila Rakho Jise Tum KHALIQ Kehte Ho Usi Se Raabta Rakho Main Ye Daaway Se Kehta Hoon Kabhi Nakaam Na Ho Ge Haqeeqi Ishq Ko Samjho Kabhi Badnaam Na Ho Ge...!!!

Aaj phir gardish-e-taqdeer pe rona aaya Dil ki bigrri huyi tasveer pe rona aaya

Aaj phir gardish-e-taqdeer pe rona aaya Dil ki bigrri huyi tasveer pe rona aaya Ishq ki qaid mein ab tak toh ummeedon pe jiye Mitt gayi aas toh zanjeer pe rona aaya Kya haseen khwaab muhabbat ne dikhaya tha hamein Khul gayi aankh toh taabeer pe rona aaya Pehle qasid ki nazar dekh ke dil seham gaya Phir teri surkhi- e- tahreer pe rona aaya Dil gavaa'n kar bhi muhabbat ke maze mil na sake Apni khoyi huyi jaageer pe rona aaya

Man Gharrat Nahin KOi QiSsaa HuSsain Ka,SarrkOn Pay Mat DikhaO Janazaa HuSsain Ka

  "=,,=" Man Gharrat Nahin KOi QiSsaa HuSsain Ka...* SarrkOn Pay Mat DikhaO Janazaa HuSsain Ka...* Quraan Keh Rahaa Ha Zindaa Hai Sub Shaheed, Aur Tum Nikaltay HO Har Saal Janazaa HuSsain Ka...*

Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana

Nida Faazli Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana Kabhi shaam Tu nahin hai magar phir bhi tu saath hai Baat ho koi bhi teri hi baat hai Tu hi mere andar hai, tu hi mere baahar hai Jab se tujhko jaana hai, maine apna maana hai Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana Raat din ki meri dilkashi tumse hai Zindagi ki kasam zindagi tumse hai Tum hi meri aankhen ho sooni tanha raahon mein Chaahe jitni doori ho, tum ho meri baahon mein Magar aana is tarha tum ke yahan se phir na jaana Kabhi shaam dhale Kabhi chaand khile Kabhi shaam dhale to mere dil mein aa jaana Kabhi chaand khile to mere dil mein aa jaana

Dekhna bhi to unhein door se dekha karna Sheva e ishq nahin husn ko rusawa karna

Dekhna bhi to unhein door se dekha karna Sheva e ishq nahin husn ko rusawa karna Hasrat Mohani देखना भी तो उन्हें दूर से देखा करना शेवा ए इश्क़ नहीं हुस्न को रुसवा करना हसरत मोहानी

Koi manzil na koi simat mua'yyan apni Ham hain berabat kahani k adhure kirdar

Koi manzil na koi simat mua'yyan apni Ham hain berabat kahani k adhure kirdar Ahmad Nadeem Qasmi कोई मंज़िल ना कोई स्मित मुअय्यन अपनी हम हैं बेरब्त कहानी के अधूरे किरदार अहमद नदीम क़ासमी

Tu nahi to zindagi mein aur kya reh jayega Door tak tanhaiyon ka silsila reh jayega

Tu nahi to zindagi mein aur kya reh jayega Door tak tanhaiyon ka silsila reh jayega Yun bhi hoga woh mujhe dil se bhoola dega magar Yun bhi hoga khud usi mein ek khala reh jayega Dayare inkaar ke ikraar ki sargoshiyaan Yeh agar toote kabhi to faasla reh jayega