Posts

Showing posts from November, 2013
Image
Ahmad Faraz Faiz Ahmad Mirza Ghalib Mohsin Naqvi Munir Niazi Parveen Shakir Sahir Ludhianvi wasi shah

Niklo ge to har morr pe mill jayen gi laashain

Image
Niklo ge to har morr pe mill jayen gi laashain, Dhoondho ge to is sheher mein kaatil na mile ga..

Ik Mein Hi Nahin Jurm-e-Mohabbat Ka Khataar’war

Image
Ik Mein Hi Nahin Jurm-e-Mohabbat Ka Khataar’war, Halka Sa Tabasumm Bhi Tou Shamil Tha Udhar Se..

Is Khaak Ko Hedayat Dy MOLA

Image
      Is Khaak Ko Hedayat Dy MOLA........ Us Khaak Main Milne Se Pehle.............

Betiyan sab ke muqaddar mein kahan hoti hain

Image
Betiyan sab ke muqaddar mein kahan hoti hain, Ghar khudaa ko jo pasand aye wahan hoti hain..

meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye

    Meri Dastan   meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye. mare azmane wale mujhe azma k roye. koi asa ahl-e-dil ho k fasan-a-muhabat. main use suna k royon wo mujhe suna k roye. meri arzoo ki dunya,dil-e-natwan ki hasrat. jase kho k aaj shadman thy,use aaj pa k roye. teri bewafaon per,teri kaj adaon per. kabhi ser jhuka k roye,kabhi moun chupa k roye. jo sunyi anjman main shub ghum ki aap beeti. kayi roo k muskare,kayi muskara k roye.    

Yeh sab rastey ke saathi hain, inhe akhir bicharna hai

Image
Yeh sab rastey ke saathi hain, inhe akhir bicharna hai, Chalo ab ghar chalein “Saghir” bohat awaargi kar li..

Gawahi Kaise Tootti Muamla KHUDA Ka Tha

Image
Poet Parveen Shakir Typ By *.__Ayaz Khan__.* Gawahi Kaise Tootti Muamla KHUDA Ka Tha. Mera Aur Us Ka Rabt To Hath Aur Dua Ka Tha. Gulab Qimat-E-Shaguft Sham Tak Chuka Saka. Ada Wo Dhoop Ko Howa Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha. Bikhar Gia Hai Phol To Humeen Se Pooch Guch Hoi. Hisab Baghbaan Se Hai Kia Dhara Hawa Ka Tha. Lahoo Chasheedah Hath Us Ne Choom Kar Dekha Dia. Jaza Wahan Mili Jahan K Marhala Saza Ka Tha. Jo Barishon Se Qabal Apna Rizq Ghar Bhar Chuke. Wo Shehr-E-Mor Se Na Tha Pe Door Been Bala Ka Tha...........! Book: Sadbarg Page: 267

Apni awaaz bhi kho jaati hai tanhai main

Image
Apni awaaz bhi kho jaati hai tanhai main, Dil ke sanaatton mein woh shor bapaa hota hai..

Tujhe jo maloom hotey wafaa ke rasm-o-riwaaj sarey

Image
  Tujhe jo maloom hotey wafaa ke rasm-o-riwaaj sarey, Mohabbaton mein hamara qissa misaal hota, kamaal hota..

O Sanam O Sanam Kash Hota Agar Tum Nibha Jate Zindagi Ka Safar Lyric

  ============= SONG (JURAM) =============   O Sanam O Sanam Kash Hota Agar, Tum Nibha Jate Zindagi Ka Safar, Hum Bhi Tanaha Na Rehte Youn Hi Umar Bhar, Tum Sath Hote Agar, Tum Sath Hote Agar, Itani Mujhe Hai Khabar, Tanaha Bikhar Jaon Ga, Teri Tamana Liye Main, Kuch Bhi Kar Jaon Ga, Kash Hum Ko Bana Lete Tum Humsafar, Tum Sath Hote Agar, Tum Sath Hote Agar Apane Labon Ki Haseen Aai Kash De Don Tujhe, Ho Mere Khushi Le Le Too, Gham Apana De De Mujhe, Kash Hoti Tumhain Mere Dil Ki Khabar, Tum Sath Hote Agar, Tum Sath Hote Agar O Sanam O Sanam, Kash Hota Agar, Tum Nibha Jate, Ye Zindagi Ka Safar, Hum Bhi Tanaha Na Rehte, Youn Hi Umar Bhar, Tum Sath Hote Agar...........!   

Khali Pare Hain Jaam Koi Bat Kijiye Rindaan-E-Tishna

  Poet Wasif Ali Wasif    Khali Pare Hain Jaam Koi Bat Kijiye, Rindaan-E-Tishna Kaam Koi Bat Kijiye, Toqeer-E-Maikada Ka Taqaza Hai Maye Kasho, Ab Khamshi Haraam Koi Bat Kijiye, Mehshar Ki Subha Ka Hi Zara Tazkara Sahi, Guzre Gi Kaise Sham Koi Bat Kijiye, Guzri Hai Un Pe Kia Jo Chaman Se Bichar Gaye, Amwaj-E-Khush Kharaam Koi Bat Kijiye, Kion Humsafar Hoi Hain Mere Sath Manzalein, Ahbab-E-Zee Maqam Koi Bat Kijiye, Kuch Deir Mujh Ghareeb Ki Mehfil Mein Baith Kar, Yaran-E-Khush Kalaam Koi Bat Kijiye, WASIF Nikal Hi Aaye Gi Baton Se Koi Bat, Un Se Baraye Naam Koi Baat Kijiye.................! Page 179   

Jazbat Zeir-E-Gardish-E-Halaat So Gaye

  Poet Wasif Ali Wasif    Jazbat Zeir-E-Gardish-E-Halaat So Gaye, Chaai Ghata To Rind-E-Kharabat So Gaye, Manzal Se Door Jagti Sochein Thein Zehn Mein, Manzal Pe Aa Gaye To Khayalat So Gaye, Taaron Ne Hum Ko Dekh K Shabnam Se Ye Kaha, Ye Bad Naseeb Waqt-E-Manajaat So Gaye, Kia Dil Gadaz Mosam Gul Ka Tha Intazar, Fasl-E-Bahar Aai To Naghmat So Gaye, Aankhon Mein Hum Ne Kaat Di Sham-E-Gham-E-Firaq, Aaya Koi Jo Behr-E-Mulaqat So Gaye, Ek Khawab K Siwa Hai Ye Hasti Tamam Khawab, Aai Hai Jin K Zehn Mein Ye Bat So Gaye, Aaya Jo Waqt Marka-E-Haq-O-Kufar Ka, Kion Sahiban-E-Kashaf-O-Karamaat So Gaye................! Page 179   

Nam Hawaon Se Bheegti Hoi Sham Kis K

  Poet Wasif Ali Wasif    Nam Hawaon Se Bheegti Hoi Sham, Kis K Gham Mein Hai Ye Bujhti Hoi Sham, Us K Chehre Pe Haft Rang Dhank, Meri Aankhoon Mein Hai Basi Hoi Sham, So Gia Hai Kahein Thaka Howa Din, Jag Uthi Hai Ongti Hoi Sham, Kon Aaya K Sur Kharoo Howa Din, Kon Bichra K Maljagi Hoi Sham, Mere Ghar K Udas Aangan Mein, Aa Gai Mujh Ko Dhoondti Hoi Sham, Zikar Aaya Hai Un Ka Mehfil Mein, Khul Gai Hai Wo Bnd Ki Hoi Shaam.............!   

Fursat agar miley to parhna mujhe zaroor

Image
Fursat agar miley to parhna mujhe zaroor, Nakaam zindagi ki mukammal kitaab hoon.. …

Chehra bata raha tha ke maara hai bhook ne

Image
Chehra bata raha tha ke maara hai bhook ne, Hakeem yeh keh rahe they kuch kha ke mar geya..

Tujhe jo maloom hotey wafaa ke rasm-o-riwaaj sarey

Image
Tujhe jo maloom hotey wafaa ke rasm-o-riwaaj sarey, Mohabbaton mein hamara qissa misaal hota, kamaal hota..

Kon is ghar ki dekh bhaal kare, Roz ik cheez toot jaati hai

Image
  Kon is ghar ki dekh bhaal kare, Roz ik cheez toot jaati hai..    

Mere hissey mein kitaaben na khiloney aye, Khawhish-e-rizq ne cheena mera bachpnan mujhse.

Image
Mere hissey mein kitaaben na khiloney aye, Khawhish-e-rizq ne cheena mera bachpnan mujhse..

Hai Dua Yad Magar Harf-E-Dua Yad Nahi Mere Naghmaat

  1st Time In All Telecommunications the Complet Ghazal Poet: Saghar Saddiuqi Type By *.__Ayaz Khan__.*   Hai Dua Yad Magar Harf-E-Dua Yad Nahi. Mere Naghmaat Ko Andaz-E-Nawa Yad Nahi. Main Palkon Se Dar-E-Yar Pe Dastak Di Hai. Main Wo Saail Hon Jaise Koi Sada Yad Nahi. Mein Ne Jain K Liye Rahon Mein Bichaya Tha Lahu. Hum Se Kehte Hain Wahi Ehd-E-Wafa Yad Nahi. Kaise Bhar Aaain Sar-E-Sham Kisi Ki Aankhen. Kaise Therai Charaghon Ki Zia Yad Nahi. Sirf Dhundlaye Sataron Ki Chamak Dekhi Hai. Kab Howa Kon Howa Mujh Se Khafa Yad Nahi. Zindgi Jabar-E-Muslsal Ki Tarah Kati Hai. Jane Keis Juram Ki Paai Hai Saza Yad Nahi. Aao Ek Sajda Karain Aalam-E-Mad Hoshi Mein. Log Kehte Hain K SAGHAR Ko Khuda Yad Nahi.................!   Book: Kulliyat e Saghar Page: 298 to 299  

Main Banjara Waqt K Kitne Shaharn Se Guzra Hon Lekin

   Main Banjara Waqt K Kitne Shaharn Se Guzra Hon Lekin, Waqt K Is Shahr Se Jate Jate, Mur Kar Dekh Raha Hon Soch Raha Hon, Tum Se Mera Ye Nata Bhi Toot Raha Hai, Tum Ne Mujh Ko Chora Tha, Jis Shahr Mein Aa K Wo Shahr Bhi, Mujh Se Choot Raha Hai, Mujh Ko Wida Karne Aaye Hain, Wo Sare Din Jin K Kandhe Par Souti Hai, Ab Bhi Teri Zulf Ki Khusbo Wo Sare Lamhe, Jin K Maathe Par Hain Roshan, Ab Bhi Tumhare Lams Ka Tika, Jab Thak Jaon Ga Tanhai K Teele Par Ja Kar Bethon Ga, Phir Jaise Pahchan K Mujh Ko, Ek Banjara Jan K Mujh Ko Waqt K Agle Shahr K, Sare Nanne Munne Bhole Lamhe, Nange Paon Bhage Bhage Aa Jain Gay, Mujh Ko Ghar K Bethain Gay, Aur Mujh Se Kahein Gay Kion Banjare, Tum To Vaqt K Kitne Shahron Se GuZre Ho, Un Shahron Ki Koi Kahani Humain Sunao, Un Se Kahon Ga, Nanne Lamho, Ek Thi Rani, Sun K Kahani, Sare Ghamgeen Lamhe, Mujh Se Ye Poochain Gay, Nam Aankho Se Gum Sum Mujh Ko Dekh Rahe Hain, Mujh Ko Un K Dukh Ka Pata Hai, Un Ko Mere Gham Ki Khabar Hai, Lekin Mujh Ko Hukm...

Jo Meri Aankhon Se Khawab Dekho To Ek Shab Na So Sake

  Poet Wasi Shah    Jo Meri Aankhon Se Khawab Dekho, To Aik Shab Na So Sako Gay, K Laak Chaho Na Hans Sako Gay, Hazar Chaho Na Ro Sako Gay, K Khawab Kia Hain Azab Hain Ye, Mere Dukhon Ki Kitab Hain Ye, Rafaqatein In Mein Chootti Hain, Mohabbatein In Roothti Hain, Panpati Hain In Mein Wehshatein Si, Aziatein In Mein Phoot'ti Hain, Inhi K Dar Se Khizan Hain Jazbe, Inhi Se Shakhein Si Tootti Hain, Ghamon Ki Bandish Hain Khaawab Mere, Dukhon Ki Barish Hain Khawab Mere, Ubal Raha Hai Dukhon Ka Lawa, Raheen Aatish Hain Khawab Mere, Khayal Sare Jhuls Gaye, Sulagti Khawahish Hain Khawab Mere, Ukharti Sansein Hain Zindagi Ki, Laho Ki Sazish Hain Khawab Mere, Jo Meri Aankhon Se Khawab Dekho, To Aik Shab Bhi Na So Sako Gay............! Page 13 To 14   

Hum Ghareebon Pe Anayat Khuda Khair Kare Lab Pe Aate Hain Sawalat Khuda Khair Kare

  Poet Wasif Ali Wasif    Hum Ghareebon Pe Anayat Khuda Khair Kare, Lab Pe Aate Hain Sawalat Khuda Khair Kare, Husn Bairoon-E-Hajabaat Khuda Khair Kare, Ishq Paban-E-Rawayat Khuda Khair Kare, Rukte Rukte Bhi Qadam Uth Gaye Manzal Ki Taraf, Bante Bante Hi Bani Bat Khuda Khair Kare, Bekhabar Hota Hai Manzal Se Wohi Jis Ne Kia, Dawa-E-Kashaf-O-Karamat Khuda Khair Kare, Daar Par Hoti Hai Masnad Pe Nahi Ho Sakti, Guftago Zat Se Bil Izaat Khuda Khair Kare, Yad-E-Mazi Hai Na Andesha-E-Farad, WASIF Mitt Gaye Sare Nishanat Khuda Khair Kare....................! Page 163   

Qais Koo-E-Laila Mein Jab Pay Namaz Aaya

  Poet: Bedam Shah Warsi Typ By *.__Ayaz Khan__.*    Qais Koo-E-Laila Mein Jab Pay Namaz Aaya. Kaba Samane Le Kar Ishq Sehar Saaz Aaya. Dar-E-Dil Ne Chunkaya Be Kudi Ne Chutki Li. Shauq Ne Kaha L Dekh Wo Hareem Naaz Aaya. Youn Hi Meri Aankhon Mein Aa K Wo Sama Jain. Jaise Un Ki Aankhon Mein Shab Ko Khawab Naaz Aaya. Sath Le K Dushman Ko Mere Ghar Na Aaain Aap. Aesi Mehrbani Se Mehrban Mein Baaz Aaya. Hoosh Bhi Howe Rukhsat Aqal Ne Bhi Chorra Sath. Shauq Mujh Ko Punchane Ta Hareem Naaz Aaya. Ghaznavi K Aate Hi Shoor Ho Ga Mahshar Mein. Bandah Ayaz Aaya Banda Ayaz Aaya. Jab Chala Soye Maqtal Shauq Jaan Nisari Mein. Dil K Khair Maqdam Ko Barrh K Teer Naaz Aaya. Shekava Jafa-O-Joor BEDAM Ab Karen Kais Se. Dard Dene Wala Hi Bana K Chara Saaz Aaya.....! Book: Mashaf e Bedam Page: 116 to 117  

Hud Hud Ban Ay Saba
K Saba Bhejta Hon Main

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz Type bY UJRRA_DIL Hud Hud Ban Ay Saba K Saba Bhejta Hon Main, Too Dekh To Kahan Se Kaja Bhejta Hon Main, Is Khaak Daan Mein Tujh Sa Parinda Ho Chal Tujhe, Bar Auj-E-Aashian-E-Wafa Bhejta Hon Main, Ay Ghaib Az Nazar Ay Mere Hum Qareen-E-Dil, Hum-Dam Tujhy Dua-O-Sana Bhejta Ho'n Main, Nazdeek-O-Door Ishq Mein Yaksaan Hain Main Door Sy, Ghar Baithy Daikhta Ho'n Dua Bhejta Ho'n, Rozana Bhar K Naik Duao'n Ka Qafla, Hamraah-E-Baad-E-Saba Masa Bhejta Ho'n Main, Ye Mulak-E-Dil Na Lashkar-E-Gham Sy Ho Paimaal, Jaan-E-Azeez Na'Al-E-Bahaa Bhetja Ho'n Main, Gham Taza Har Gharri Mujhy Bhaij Aur Naaz Sy, Farma Keh Nazar-E-Raah-E-KHUDA Bhejta Ho'n Main, Soorat Mein Apni Sair Kar Us K Kamal Ki, Aaina Aik Dost Numa Bhejta Hon Main, Mutrab Ki Hi Zaban Se Sun Le Sarward Mein, Ye Shoq-E-Dil Ghazal Mein Bhara Bhejta Hon Main, Aa Saqia K Hatif-E-Ghaibi Ne Di Naveed, La Taab Dard Ki Ke Dawa Bhejta ...

Hai Duaa Yad Magar Harf-E-Dua Yad Nahi

  Poet Saghar Saddiuqi    Hai Duaa Yad Magar Harf-E-Dua Yad Nahi, Mere Naghmat Ko Andaz-E-Nawa Yad Nahi, Hum Ne Jin K Liye Rahon Mein Bichaya Tha Laho, Hum Se Kehte Hain Wohi Ehd-E-Wafa Yad Nahi, Zindagi Jabar-E-Musalsal Ki Tarha Kaati Hai, Jane Kis Jurm Ki Pai Hai Saza Yad Nahi, Main Palkon Se Dar-E-Yar Pe Dastak Di Hai, Main Wo Sa'ail Hon Jise Koi Sadaa Yad Nahi, Kaise Bhar Aain Sar-E-Sham Kisi Ki Aankhein, Kaise Therai Charaghon Ki Zia Yad Nahi, Sirf Dhundlaye Sataron Ki Chamak Dekhi Hai, Kab Howa Kon Howa Mujh Se Khafa Yad Nahi, Aao Ek Sajda Karain Aalam-E-Mad Hoshi Mein, Log Kehte Hain K SAGHAR Ko Khuda Yad Nahi.................!   

Ek Shakhs Ko Sochti Rahi Main Phir Aaina Dekhne Lagi Main

  Poetess: Parveen Shakir Typ By *.__Ayaz Khan__.*    Ek Shakhs Ko Sochti Rahi Main. Phir Aaina Dekhne Lagi Main. Us Ki Tarha Apna Naam Le Kar. Khud Ko Bhi Lagi Nai Nai Main. Too Mere Bina Na Reh Saka To. Kab Tere Baghair Jee Saki Main. Aati Rahi Ab Kahein Se Aawaz. Ab To Tere Pas Aa Gai Main. Daman Tha Tera K Mera Maatha. Jo Dagh Bhi Thay Mita Chuki Main....................! Book: Khud Kalami Page: 81  

Ishq Me Qalb-o-Jigar B Na Hamary Nikly

Ishq Me Qalb-o-Jigar B Na Hamary Nikly,  Jo B Nikly Wo Taraf'daar Tumhary Nikly,  Kitny Aashiq Hoe Qurban Tuje Maloom Nahi,  Kitny Zalim Teri Nazron Ke Ishaary Nikly,  Tere darya-e Mohabat  Me Mohabat Se Kbi,  Doobny Waly Jo Dooby Na Kinary Nikly,  Kitna Mushkil tha Gham-e-Doran Sy Niklna Lekin,  Hum Jo Nikly To Faqat Un Ke Sahary Nikly,  Mere Mar Jany Ki Wo Sun Ke Khabar Ae ''MohSin''  Ghar Se roty Hoe Bin Zulf Sanwary Nikly...  

Muhabath Jhoot Hay..!! Ehad-O-Wafa Ek Shugal Hay Be-kaar Logon Ka

    Chalo Choro ...!! Muhabath Jhoot Hay..!! Ehad-O-Wafa Ek Shugal Hay Be-kaar Logon Ka..!! "Talab".. Sookhey Howey Patton Ka Be-Runaq Jazeera Hay..!! "Khalish".. Dheemak-zada Auraaq Par Boseedha Satt'ron Ka Zakheera Hay..!! "Khumaar-e-Wasl" Tapti Dhoop K Seenay Pe Urtey Baadloon Ki Rai'ghaan Bakhshish...!! "Ghubar-e-Hijr".. Sehra Mein Saraboon Say Attey Mausum Ka Khum'yaza..!! Chalo Choro...!! Keh Ab Takh Andheroon Ki Dhamak Mein Saans Ki Zar'boon Peh..!! Chahat Ki Bi'na Rakh kar Safar Karta Raha Hoon..!! Muje Ehsaas Hi Kab Tha..!! Keh Tum Mausam'on Kay Saath Pair'hen kay...!!! Rangg Badloo Ghi...!!!!!!! Chalo Choro..!! Woh Saarey Khuwaab Kachi Burr-Burri Matti Kay Be-Qeemat Gharoondhey Thay..!! Woh Saarey Zai'qey Meri Zubaan Par Zakham Bann Kar Jamm Gaye Hongay.!! Tumhari Ungli'yun Ki Naram Po...

آُجڑے ہوئے ہڑپہ کے آثار کی طرح

    آُجڑے ہوئے ہڑپہ کے آثار کی طرح زندہ ہیں لوگ وقت کی رفتار کی طرح کیا رہنا ایسے شہر میں مجبوریوں کے ساتھ بِکتے ہیں لوگ شام کے اخبار کی طرح بچوں کا رِزق موت کے جووئے میں رکھ دیا سرکس میں کودتے ہوئے فنکار کی طرح قاتل براجمان ہیں منصف کے سائے میں مقتول پھر رہے ہیں ازادار کی طرح وعدے ضرورتوں کی نظر کردیئے گئے رشتے ہیں سارے ریت کی دیوار کی طرح ”محسن میرے وجود کو سنگسار کرتے وقت   شامل تھا سارا شہر اک تہوار کی طرح    

Hum Mar Jain Gay Ek Din Dekh Lena, Ro Do Gay Bahut Us Din Dekh Lena,

Image
Poet Ibn-E-Insha Hum Mar Jain Gay Ek Din Dekh Lena, Ro Do Gay Bahut Us Din Dekh Lena, Dunia Mein Hain To Parwa Nahi Humari, Chor Jain Gay Dk Din Ye Dunia Dekh Lena, Aanso Chupate Phiro Gay Sab Se, Itna Hum Aain Gay Yad Dekh Lena, Kuch Yadein Meethi Meethi Si Bahut Satain Gi, Tum Khud Ko Na Rok Pao Gay Dekh Lena, Maana K Kuch Nahi Hain Aaj Hum Tumhare Liye, Kal Tumhare Liye Ek Yad Ban Jain Gay Dekh Lena.............! Page 67

Hazoor Aap Ka Bhi Ahtram Karta Chalon Lyric

  Poet Sahar Ludhianvi    Hazoor Aap Ka Bhi Ahtram Karta Chalon, Idhar Se Guzra Tha Socha Salam Karta Chalon, Nikha-O-Dil Ki Yehi Aakhri Tamanna Hai, Tumhari Zulf K Saye Mein Sham Karta Chalon, Unhain Ye Zid Ki Mujhe Dekh Kar Kisi Ko Na Dekh, Mera Ye Shoq K Sab Se Kalaam Karta Chalon, Ye Mere Khawbon Ki Dunia Nahi Sahi Lekin, Ab Aa Gia Hon To Do Din Qayam Karta Chalon...............!   

Ek Rat Hoi Barsat Bahut Main Roya Sari Rat Bahut

    Ek Rat Hoi Barsat Bahut, Main Roya Sari Rat Bahut, Har Gham Tha Zamane Ka Lekin, Main Tanha Tha Us Rat Bahut, Phir Aankh Se Ek Sawan Barsa, Jab Sehar Hoi To Khayal Aaya, Wo Baadal Kitna Tanha Tha, Jo Barsa Sari Rat Bahut.............!     

Itne Bure Nahi Hain Hum Jitna Samaj Liya Hai lyric

  Singer Munni Begam    Itne Bure Nahi Hain Hum Jitna Samaj Liya Hai, Youn Hi Rulana Tha Agar, Kion Dil Hame Diya Hai, Kia Bura Kia Tha Main Ne Tuj Se Nazar Mila K, Barbad Muj Ko Kar Dia Jhooti Qasmein Khila Kar, Dushman Na Kare Wo Kaam Jo Too Ne Kia Hai, Phool Samajh Kar Hum Ne Kanton Ko Choo Lia Hai, Youn Hi Rulana Tha Agar, Kion Dil Hamain Dia Hai..............!   

Main Radhe Ka Shiyam Hon Main Hansi Ka Raag

  Poet Wasif Ali Wasif    Main Radhe Ka Shiyam Hon Main Hansi Ka Raag, Main Jano Par Matama Too Shaitan To Bhag, Tori Chatoon Dekh K Aasha Bai Naraash, Dharti To Dharti Beeio Dam Saadhe Aakash, Hari Hari Mein Har Gai Main Haari Har Bar, Haar Hi Mori Jeet Hai Mooh Sing Khele Yar, Nain Pyase Nain K Madhwa Ka Seh Howay, Nain Pilaye Nain Piye Ant Ko Nain Hi Roye, Manwa Sapne Yad Na Kar Jal Bhar Aawat Nain, Bhor Kabho Ki Ho Gai Chor Rein K Bain...............! Page 226   

Labon Par Aah To Aankhon Mein Pani Chor Jaon Gi

    Poetess Nazia Kanwal Nazi Type bY UJRRA_DIL    Labon Par Aah To Aankhon Main Pani Chor Jaon Gi, Main Mitt Jaon Gi Par Apni Kahani Chor Jaon Gi, Abhi Hans Hans K Jheelon Gi Badalte Mosamon Ka Dukh, Kitab-E-Umar Mein Phir Kuch Nadani Chor Jaon Gi, Mujhy Thehari Hui Udas Rutt Sy Ishq Hai Laikin, Main Dariyao'n Mein Rawani Chhorr Jao'n Gi, Decmber Ki Thetharti Sard Raato'n Ki Qasam Mujh Ko, Tumhary Naam Ik Rutt Suhani Chhorr Jao'n Gi, Mairy Masoom Bachy Apny Kal Mein Dukh Hi Paein Gy, Main In Mein Apna Bachpan Aur Jawani Chhorr Jao'n Gi, Kisi Ko Kaya Mila Mujh Sy ? Umer Ye Raigaan Guzari, Aub Socha Hai Keh NAZI Dunya Ye Fani Chhorr Jao'n Gi....! Book Tanha Chand    

Wo Jo Davay Daar Hain Shehr Mein K Sabhi Ka Nabaz Shanas Hai

    1900 post shanza khan & farzana khan ji k nazar   Poet  Ahmad Hameed Sahil   Wo Jo Davay Daar Hain Shehr Mein, K Sabhi Ka Nabaz Shanas Hai, Kabhi Aa K Mujh Se To Poochta, K Main Us K Gham Mein Udas Hon, Ye Meri Kitab-E-Hayat Hai, Isay Dil Ki Aankh Se Parh Zara, Main Warq Warq Tere Samne, Tere Roo Baroo Tere Pas Hon, Ye Teri Umeed Ko Kia Howa, Kabhi Too Ne Ghor Nahi Kia, Kisi Sham Too Ne Kaha To Tha, Teri Sans Hon Teri Aas Hon, Ye Teri Judai Ka Gham Nahi, K Ye Silsile Hain Roz K, Teri Zat Is Ka Sabab Nahi, Kai Din Se Youn Hi Udas Hon, Kisi Aur Ki Aankh Se Dekh Kar, Mujhe Aise Waise Laqab Na De, Tera Itbar Hon Jan-E-Man, Na Guman Hon Na Qayas Hon..................! Page 32    

Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum Muskurane Ki Bat Karte Ho Lyric

  Singer Kumar Samno    Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum, Muskurane Ki Bat Karte Ho, Zindagi Khafa Khafa Aur Tum, Dil Lagane Ki Baat Karte Ho, Aankh Hain Bhari Bhari Aur, Tum Muskurane Ki Bat Karte Ho, Mere Halaat Aise Hain, K Main Kuch Kar Nahi Sakta, Mere Halaat Aisi Hain, K Main Kuch Kar Nahi Sakta, Tarapta Hai Ye Dil Lekin, Ye Aahein Bhar Nahi Sakta, Zakhm Hai Hara Hara Aur Tum, Chot Khane Ki Bat Karte Ho, Zindagi Khafa Khafa Aur Tum, Dil Lagane Ki Bat Karte Ho, Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum, Muskurane Ki Bat Karte Ho, Zamane Mein Bhala Kaise, Mohabbat Log Karte Hain, Zamane Mein Bhala Kaise, Mohabbat Log Karte Hain, Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum, Muskurane Ki Bat Karte Ho, Wafa K Naam Ki Ab To, Shikayat Log Karte Hain, Aag Hai Bujhi Bujhi Aur Tum, Lao Jalane Ki Bat Karte Ho, Zindagi Khafa Khafa Aur Tum, Dil Lagane Ki Bat Karte Ho, Aankh Hain Bhari Bhari Aur Tum, Muskurane Ki Bat Karte Ho, Kabhi J...

Khilona Jan Kar Tum To Mera Dil Thor Jate Ho(lyric)

  Singer Muhammad Rafi    Khilona Jan Kar Tum To Mera Dil Thor Jate Ho, ooo Mujeh Ishaal Mein Kis K Sahare Chor Jate Ho, Khuda Ka Wasata De Kar Mana Lon Door Hon Lekin, Tumhara Rasta Main Rok Lon Majboor Hon Lekin, K Main Chal Bhi Nahi Sakata Hon, Aur Tum Dor Jate Ho, Gila Tum Se Nahi Koi Magar Afsos Thora Hai, K Jis Gham Ne Mera Daman, Bari Mushkil Se Chora Hai, Usi Gham Se Mera Phir Aaj Rishta Jor Jate Ho, Khilona Jan Kar Tum To Mera Dil Thor Jate Ho, Mere Dil Se Na Lo Badala, Zamaane Bhar Ki Baton Ka, Teher Jao Suno Meheman Hon Main Chand Raton Ka, Chale Jana Abhi Se Kis Liye Moonh More Jate Ho, Kis K Sahare Chor Jate Ho, Khilona Jan Kar Tum To Mera Dil Thor Jate Ho........!   

Ye Jo Sanp Seeri Ka Kheil Hai Abi Sath Thay Dono Hum nawa

Image
    Poet Wasiq Ali Athar   Ye Jo Sanp Seeri Ka Kheil Hai, Abi Sath Thay Dono Hum Nawa Wo Bhi Aik (1) Pe, Main Bhi Aik (1) Pe Usay Seeri Mili Wo Charh Gia, Mujhe Raste Mein Hi Dass Lia, Mere Bakht K Kisi Sanp Ne, Bari Dor Se Para Loutna, Zakham Kha K Apne Naseeb Ka, Wo Ninaway (99) Pe Ponch Gia, Main Das (10) K Phair Mein Gir Gia, Usay 1 Number Tha Chahiye, Jo Nahi Mila So Nahi Mila, Main Barha To Barhta Chala Gia, Bas Ek Choky (4) Ki Bat Thi, Par Us Se Jeetna Meri Maat Thi, Main Ne Jan K Goti Ghalt Cahli, Aur Sanp K Moonh Mein Daal Di, Ye Jo Pyar Hai Kabhi Sochna, Ye Bhi Sanp Seerhi Ka Khel Hai...............!     

Ek Roz Juda Ho Jaon Ga Na Jane Kahan Kho Jaon Ga

Ek Roz Juda Ho Jaon Ga Na Jane Kahan Kho Jaon Ga Tum Laakh Pukaro Gay Mujh ko Par Lout K Mein Naa Aaon ga Thak Haar K Din K Kamo Se Jab Rat Ko Sone Jaon Gay Dekho Gay Jab Phone Ko Pegham Mera Na Pao Gay, Tab Yad Tumhein Main Aaon Ga, Ek Roz Ye Rishta Choote Ga, Dil Itna Ziada Toote Ga, Phir Koi Naa Humse Roothe Ga, Main Na Aankhein Kholon Ga, Phir Tum se Kabhi Na Bolon Ga, Aakhir Us Din Tum Ro Do Gay Tum Apne Dost Ko Kho Do Gay.......!    

Aye Allah Too Malik Hai
Aye Allah Too Qadir Hai
Aye Allah Too Ghafoor

    Aye Allah Too Malik Hai, Aye Allah Too Qadir Hai, Aye Allah Too Ghafoor Hai, Aye Allah Too Rahman Hai, Aye Allah Too Raheem Hai, Aye Allah Too Aadil Hai, Aye Allah Too Adal Karne Wala Hai, Aye Allah Too Beniaz Hai, Aye Allah Too Jo Chahe Kar Sakta Hai, Aye Allah Too Behtar Janta Hai, Aye Allah Too Hi Pehchanta Hai, Aye Allah Too Meri Halat Pe Reham Farma........! Aameen    

Husn Ka Maara Hon Dil Se Begana Hon lyric

  Song Husn Ka Maara Hon Dil Se Begana Hon. Mastana Ajnabi Hon Thora Sa Dewana Hon. Mehki Hawaon Ne Mujhko Bulaya Hain. Pariyon Ki Nagri Mein Pardesi Aya Hain. Larka Yeh Kehta Hai Larki Se. Hoothon Me Dabi Dabi Hasi Se. Aya Hon Dor Se Karne Mai Dosti. Haath Mila Lo Ajnabi Se. Jan Lo Maan Lo Chehra Mera Pehchan Lo. Larka Yeh Kehta Hai Larki Se. Ap Ka Saath To Suhana Hain. Bataon Me Metha Taarana Hain. Dil K Kono Me Bitha Lo Ji. Kitna Akela Dewana Hai. Larka Yeh Kehta Hai Karki Se. De Do Jawab Mujhe Jaldi Se. Aya Hon Door Se Karne Main Dosti Hath Mila Lo Ajnabi Se. Jan Lo Maan Lo Chehra Mera Pehchan Lo. Kyon Darti Ho Dil Nahi Torunga. Main Tera Sath Nahi Chorunga. Mujhko Kabhi Azmalo Ji. Tum Se Kabhi Mooh Na Morunga. Larka Yeh Kehta Hai Larki Se. Ithlati Sharmati Sharmili Se.....!  

Wo Kisi Aur Ka Ho Ga To Qayamat Ho Gi

Wo Kisi Aur Ka Ho Ga To Qayamat Ho Gi, Phir Kisi Ko Bhi Kisi Se Na Mohobbat Ho Gi, Usay Dekhe Koi Acha Nahi Lagta Mujh Ko, Us Se Barh Kar Bhi Koi Aur Mohabbat Ho Gi, Rat Kal Chand Ko Dekha To Ye Ehsas Howa, Wo Akela Hai Usay Meri Zaroorat Ho Gi, Ay Khuda Us Ko Kisi Aor Ka Hone Na Dena, Zindagi Bhar Mujhe Phir Khud Se Shikayat Ho Gi, Wo Kisi Aur Ki Ho Gi To Anayat Ho Gi, Youn Mohabbat Ko Sakhawat Se Ukhowat Ho Gi, Usay Dekh Kar Hi Kuch Acha Nahi Lagta Mujh Ko, Kuch Deir Aur Youn Dekhi To Qayamat Ho Gi, Rat Kal Chand Ko Dekha To Ye Ehsas Howa, Sufaid Ande Mein Zardi Ki Milawat Ho Gi, Aay KHUDA Wo Kisi Aur Ki Ho Na Paye, Warna Mout Har Mard Ki Wasiyat Ho Gi...............!     

Lutf Wo Ishq Main Paye Hain K Jee Janta Hai

    Poet Dagh Dehlvi    Lutf Wo Ishq Main Paye Hain K Jee Janta Hai, Ranj Bhi Aise Uthaye Hain K Jee Janta Hai, Jo Zamaane K Sitam Hain Wo Zamane Jane, Too Ne Dil Itne Sataye Hain K Jee Janta Hai, Muskuratay Howay Wo Majmaa-e-Aghyar K Sath, Aaj Youn Bazm Mein Aaye Hain K Jee Janta Hai, Kaba-o-Dair Mein Pathra Gain Dono Aankhain, Aise Jalwe Nazar Aaye Hain K Jee Janta Hai, Dosti Mein Teri Dar Parda Humare Dushman, Is Qadar Apne Paraye Hain K Jee Janta Hai, Daagh-e-Warafta Ko Hum Aaj Tere Kooche Se, Is Tarah Khainch K Laye Hain Ke Jee Janta Hai...........!     

Phir Tujhe Yad Kar Raha Hon Main Phir Zamane Se

  Poet Wasif Ali Wasif    Phir Tujhe Yad Kar Raha Hon Main, Phir Zamane Se Dar Raha Hon Main, Azm-E-Rasikh Hai Ya Fareb-E-Khudi, Manzalon Se Guzar Raha Hon Main, Aasmaan Se Utar Raha Hon Main, Bebasi Ne Dabo Dia Warna...! Qadir-E-Khair-O-Shar Raha Hon Main, Umar Tarkion Mein Kaati Hai, Ab Ujalon Se Dar Raha Hon Main, Koi Daman Samet Le Mujh Ko, Aansoo'n Mein Bikhar Raha Hon Main, Kion Na Wasif Bapa Ho Ek Mehshar, Mout Se Pehle Mar Raha Hon Main..............!   

Sab Ko Dil K Dagh Dekhaye Aik Tujhi Ko Dekha Na Sake

Image
Poet Ibn-E-Insha    Sab Ko Dil K Dagh Dekhaye, Aik Tujhi Ko Dekha Na Sake, Tera Daman Door Nahi Tha, Hath Humain Phaila Na Sake, Too Aye Dost Kahan Le Aaya, Chehra Ye Khurasheed-E-Misaal, Seene Mein Aabad Karein Gay, Aankhon Mein To Samaa Na Sake, Na Tujh Se Kuch Hum Ko Nisbat, Na Tujh Ko Kuch Hum Se Kaam, Hum Ko Ye Maloom Tha Lekin, Dil Ko Ye Samjha Na Sake, Ab Tujh Se Kis Moonh Se Keh Dein, Saat Samandar Paar Na Ja, Beech Ki Ek Deewar Bhi Hum To, Phaand Na Paye Dha Na Sake, Mann Paapi Ki Ujri Kheti Sookhi Ki Sookhi Hi Rahi, Umdde Baadal Girjay Baadal, Boodein Do Barsa Na Sake...........! Page 132

Dayar-E-Dil Ki Rat Mein Charagh Sa Jala Gia

  Poet Nasir Kazmi    Dayar-E-Dil Ki Rat Mein Charagh Sa Jala Gia, Mila Nahi To Kia Howa Wo Shakal To Dekha Gia, Judaoin K Zakhm Dard-E-Zindagi Ne Bhar Diye, Tujhe Bhi Neend Aa Gai Mujhe Bhi Sabar Aa Gia, Ye Subha Ki Sufaidian Ye Dopahr Ki Zardian, Ab Aaine Mein Dekhata Hon Main Kahan Chala Gia, Pukarati Hain Fursatein Kahan Gai Wo Sohabatein, Zameen Nigal Gai Unhain Ya Aasamaan Kha Gia, Wo Dosti To Khair Ab Naseeb-E-Dushmanaan Hoi, Wo Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhi Chala Gia, Ye Kis Khushi Ki Reet Par Gamon Ko Neend Aa Gai, Wo Lehr Kis Taraf Gai Ye Main Kahan Samaa Gia, Gaye Dino Ki Lash Par Pare Raho Gay Kab Talak,? Utho Amal Kashon Utho Ki Aafatab Sar Pe Aa Gia............!    (WO-HUMSAFAR)  

Saza Pe Chor Dia Jaza Pe Chor Dia Har Ek Kaam Khuda Pe

  Poet Adeem Hashmi    Saza Pe Chor Dia Jaza Pe Chor Dia, Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Dia, Wo Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta, Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Dia, Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe, Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Dia, Us Se Bat Bhi Karte To Kis Tarha Karte, Ye Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Dia, Is Liye To Wo Kehte Hain Bewafa Hum Ko, K Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya......!     

Dil Ko Qabar Bana Kar Jate To Acha Tha

    Poet Muzafar Ali    Dil Ko Qabar Bana Kar Jate To Acha Tha, Armano Ko Is Mein Dafna Kar Jate To Acha Tha, Mujhe Deewaron Mein Chunwa Kar Jate To Acha Tha, Tumhare Baad In Hasraton Ka Kia Ho Ga, Inhain Kafan Pehna Kar Jate To Acha Tha, Youn Rota Chor Kar Na Jate Mujh Ko, Mere Dil Ko Behla Kar Jate To Acha Tha, Teri Khatir Chor Sakte They Is Zamane Ko, Ek Bar Humain Aazma Kar Jate To Acha Tha, Youn Mohabbat Par Daagh Laga Kar Na Jaate, Rasm_e_ Mohabat Nibha Kar Jate To Acha Tha, Meri Maiyat Pe Shirkat To Na Kar Sake Tum, Qabar Ko Phool Se Saja Kar Jate To Acha Tha, Humari Aankh Se Neend Chura Kar Chale Gaye, MUZAFAR Ko Andheron Main Tanha Chor Chale Ho, Deep Koi Jala Kar Jaate To Acha Tha...........!     

Janib May Kade Aa Nikle Hain Mastane Chandh

   Poet Bedam Shah Warsi Typ By *.__Ayaz Khan__.*   Janib May Kade Aa Nikle Hain Mastane Chandh. Saqia La Jhallakte Howe Pemane Chandh. Karbala Wadi Eiman Dil-E-Be Sabar-O-Qaraar. Qabil-E-Deed Hain Dunia Mein Wirane Chandh. Neend Un Ki Hain Unheen K Hain Muqadar Bedaar. Saye Mein Shama K Sote Hain Jo Parwane Chandh. Karbala Shehr Najaf Yasrab-O-Jeelaan Ajmeer. Ye Mere Saqi Divah K Hain May Khane Chandh. Koi Mefil Ho Bayabaan K Maze Lete Hain. Jama Hote Hain Jahan Par Tere Diwane Chandh. Dil K Chhalon Ko Kaleje Se Laga Rakha Hai. Laal-O-Yaqoot Hain Mere Liye Ye Dane Chandh. Nahi Gurbat Mein Jo Yaraan-E-Watan Ae BEDAM. Dafan Kar Dain Ge Kaheen Dasht Mein Begane Chandh...........! Book: Mashaf e Bedam Page: 164  

Matlab Nikal Gia Hai To Pehchante Nahi

  Poet Sahir Ludhianvi    Matlab Nikal Gia Hai To Pehchante Nahi, Youn Ja Rahe Hain Jaise Jante Nahi, Apni Gharz Thi Jab To Laptna Qabool Tha, Bahon K Daire Mein Samitna Qabool Tha, Ab Hum Mana Rahe Hain Magar Mante Nahi, Hum Ne Tumhain Pasand Kia Kia Bura Kia, Rutba Hi Kuch Buland Kia Kia Bura Kia, Har Ek Gali Ki Khak To Hum Chante Nahi, Moonh Phair Kar Na Jao Humare Qareeb Se, Milta Hai Koi Chahne Wala Naseeb Se, Is Tarha Aashqon Pe Kamaan Tante Nahi.............! Page 322   

Mujhe Gale Se Laga Lo Bahut Udas Hon Main

  Poet Sahir Ludhianvi    Mujhe Gale Se Laga Lo Bahut Udas Hon Main, Gham-E-Jahan Se Chura Lo Bahut Udas Hon Main, Ye Intazar Ka Dukh Ab Saha Nahi Jata, Tarap Rahi Hai Mohabbat Raha Nahi Jata, Tum Apne Pas Bula Lo Bahut Udas Hon Main, Bhatak Chuki Hon Bahut Zindagi Ki Raahon Mein, Mujhe Ab Aa K Chupa Lo Tum Apni Bahon Mein, Mera Sawal Na Taalo Bahut Udas Hon Main, Har Ek Sans Mein Milne Ki Piyas Palti Hai, Sulag Raha Hai Badan Aur Rooh Jalti Hai, Bacha Sako To Bacha Lo Bahut Udas Hon Main..............! Page 323   

Aao dosti kar lein rahne do bekar ki zid dil ki sun lo

    Poet Atif Saeed    Aao Dosti Kar Lein    Aao dosti kar lein rahne do bekar ki zid dil ki sun lo Socho kab tak band kamray mai baithe barishon ki bondo ko Kehrki par geeton k mukhray or kuch manzar likhtay Youh he dekho gi tum kab tak khud ko roko gi Tu bahir a0 mothe mai kuch bonday bahr lo Apne sanso se sihshon ko dohnd'laa kar k Ungle se do naam likho aik naam banao Pehir sharma k esay mitao rahnay do bekar ki zid ko Dil ki sun kar bahir ao barish rasta dekh rahe hai...*    

Saans Ki Dhori Kati Jaye Tum Bekaar Tarany Gaye

  Poet Wasif Ali Wasif    Saans Ki Dhori Kati Jaye Tum Bekaar Tarany Gaye Rab Rotha Razi Ho Jaye Rothe Dil Ko Kon Manaye, Mera Ang Ang Naach Raha Hai Mere Ghar Man Mohan Aye, Sukhioun Ne Phir Sawan Gaya Jhoom K kaly Badal Aye Khud Ko Apni Ankh Se Dekha Khud Roye Khud Hi Maskaye Wasif Gehra Raaz Kisi Ka Baton Baton me Kho Jaye...*  

Teri Shan Boo Tarabi Mera Zoq Khak Bazi Tere Aastane Pe Laaye Teri Dilnawazi

  Poet Wasif Ali Wasif    Teri Shan Boo Tarabi Mera Zoq Khak Bazi, Tere Aastaan Pe Laye Mujhe Teri Dil Nawazi, Main Nikal Gia Khard Se Main Janoon-E-Bakhabar Hon, Meri Zad Mein Lamakaan Hai Mera Kaam Shahbazi, Too Hai Saqi-E-Zamana Main Hon Rind-E-Ja Wadana, Ho Atta Maye Shabana K Jhuke Tera Namazi, Tere Naqsh-E-Paa Ka Sajda Meri Bandagi Ka Hasil, Isi Bandagi Se Roomi Isi Bandagi Se Razi, Teri Yad Ka Wali Hon K Main WASIF ALI Hon, Na Khafi Hon Na Jalee Hon Main Harf-E-Beniazi.............! Page 53 Kuliat-E-Wasif   

Mat Pooch K Main Kitni Bulandi Se Gira Hon

  Poet Wasif Ali Wasif    Mat Pooch K Main Kitni Bulandi Se Gira Hon, De Mujh Ko Dilasa K Main Ab Toot Chuka Hon, Too Bais-E-Hasti Hai To Main Hasil-E-Hasti, Aaye Tabish-E-Khursheed Main Dure Ki Anaa Hon, Shadabi Gulshan Mein Wo Masroof-E-Tarab Hai, Main Dard K Sehra Mein Jise Dhoond Raha Hon, Alfaz Ka Mafhoom Badal Jaye Jahan Par, Us Soorat-E-Halaat Se Do Chaar Howa Hon, Ab Jaan Se Guzarne Ka Hai Ek Marhala Baqi, Rishton Ki Aziat Ka Safar Kaat Chuka Hon...................! Page 242   

Apni Mehfil Mein Mujhe Bulwa K Dekh

  Poet WasiF Ali Wasif    Apni Mehfil Mein Mujhe Bulwa K Dekh, Ya Meri Tanhaion Mein Aa K Dekh, Main Teri Tareekh Hon Mujh Ko Na Chor, Bhoolne Wale Mujhe Duhra K Dekh, Kis Tarha Zaron Ko Milti Hai Ziya, Tabish-E-Khursheed Takra K Dekh, Apni Cheekhein Aania Khana Mein Sun, Sang-O-Wehshat Us K Ghar Barsa K Dekh, Tujh Ko Bhi Kuch Aa Gehi Mil Jaye Gi, Too Meri Deewangi Apnaa K Dekh, Soorton Mein Se Ko Soorat Nikal, Aik Khake Mein Hazaron Khakay Dekh, Is Chaman Mein Kia Howa WASIF ALI, Band Kalion Ki Zaban Khulwa K Dekh................! Page 185   

Ban k Gajra Tere Baalon Mein Bikhar Jaon Main

  Poet Wasiq Ali Athar   Ban k Gajra Tere Baalon Mein Bikhar Jaon Main, Misl-e-Kajal Teri Ankhaon Mein Sanwar Jaon Main, Sans Ban k Kabhi Nathno Se Kabhi Honton Se, Hole Hole Tere Seene Mein Utar Jaon Main, Aarzo Dil Ki Meri Jaan-e-Wafa Bas Hai Yehi, Tere Honton Pe Hansi Ban k Nikhar Jaon Main, Mar K Bhi Sath Rahe Tera Bas Ek Is K Liye, Khoon Ban k Teri Rag Rag Mein Utar Jaon Main.........!     

Bandh Lein Hath Pe Seene Pe Saja Lein Tum Ko

  Poet Wasi Shah    Bandh Lein Hath Pe Seene Pe Saja Lein Tum Ko, Jee Mein Aata Hai K Taveez Bana Lein Tum Ko, Phir Tumhain Roz Sanwarein Tumain Bharta Dekhein, Kion Na Angan Mein Chanbeli Sa Laga Lein Tum Ko, Jaise Baghon Mein Koi Phool Chuna Karta Hai, Ghar K Guldan Mein Phoolon Sa Saja Lein Tum Ko, Kia Ajab Khuwaishain Uthti Hain Hamare Dil Mein, Kar K Munna Sa Hawaon Mein Uchalein Tum Ko, Is Qadar Toot K Tum Pe Hamain Pyaar Ata Hai, Apni Bahno Mein Bharein Maar Hi Dalein Tum Ko, Hai Tumare Liye Kuch Aisi Aqeedat Dil Mein, Apne Hathon Mein Duaon Sa Utha Lein Tum Ko, Jan Dene Ki Ijazat Bhi Nahi Dete Ho, Warna Mar Jain Abhi Mar K Mana Lein Tum Ko, Ab To Bas Ek Hi Khuwaish Hai Kisi Mor Pe Tum, Hum Ko Bikhre Howay Mil Jao Shanbalein Tum Ko...  

Dunia K Sitam Yad Na Apni Wafa Yad By Nasir Kazmiii

Image
Poet Nasir Kazmi Dunia K Sitam Yad Na Apni Wafa Yad, Ab Mujh Ko Nahi Kuch Bhi Mohabbat Ke Siwa Yad, Mein Shikwa BaLab Tha, Mujhe Ye Na Bhi Raha Yad, Shayad Ke Mere Bhoolne Waalay Ne Kia Yad, Kia Janiye Kia Ho Gia Arbab-e-Janoon Ko, Jeene Ki Ada Yad Na Marne Ki Ada Yad, Kia Lutf K Main Apna Pata Aap Bataon, Kijiye Koi Bhooli Howi Khaas Apni Adaa Yaad Muddat Howi Ek Haadsa-e-Ishq Ko Laikin Ab Tak Hai Tere Dil Ke Dharaknay Ki Sadaa Yaad.......! (WO-HUMSAFAR)

Karta Usay Beqarar Kuch Deir Hota Agar Akhtiar

Image
    Poet: Nasir Kazmi    Karta Usay Beqarar Kuch Deir Hota Agar Akhtiar Kuch Deir Kya Royen Faraib-e-Aasamaan Ko Apna Nahi Aitbaar Kuch Der Aankhon Men Kati Pahaar Si Raat So Ja Dil-e-Be'Qaraar Kuch Der Ay Shaher-e-Tarab Ko Jane Walo Karna Mira Intezaar Kuch Der Be Kaifi Roz-o-Shab Musalsal Sar Masti-e-Intezaar Kuch Der Takleef-e-Gham-e-Firaaq Daaim Taqreeb-e-Visaal-e-Yaar Kuch Der Ye Ghuncha-o-Gul Hain Sub Musaafir Hai Qaafila-e-Bahaar Kuch Der Duniya To Sada Rahe Gi Nasir Hum Log Hain Yad gaar Kuch Der...........! (WO-HUMSAFAR)  

Youn Betha Hon Dil K Dagh Se Khush By Nasir Kazmi

Image
    Poet Nasir Kazmi    Youn Betha Hon Dil K Dagh Se Khush, Jaise Bacha Charagh Se Khush, Jab Taron Ki Shamain Jhilmilain, Saqi Ne Kia Ayaagh Se Khush, Gham Chor Gia Jise Jaga Kar, Wo Dil Na Howa Faragh Se Khush, Ab Nala-e-Dil Na Chair Bulbul, Ye Bagh Hai Shor-e-Zaagh Se Khush, Ab Raas Hai K Kunj-e-Gham Hi, NASIR Ab Dil Nahi Sair-e-Baagh Se Khush..............! (WO-HUMSAFAR)