Posts

Showing posts from April, 2013

Wo Bhi Din Thay K Teri Raj Kumari Main Thi (Raj Kumari)

    =========== Raj Kumari =========== Poetess Rehana Qamar    Badshah Tere Aesaab Pe Tari Main Thi, Wo Bhi Din Thay K Teri Raj Kumari Main Thi, Ye Bhi Sach Hai K Mujhe Maar Dia Hai Too Ne, Ye Bhi Sach Hai K Tujhe Jan Se Pyari Main Thi, Sari Dunia Ko Pata Hai K Nahi Tum Mere, Sari Dunia Ko Pata Hai K Tumhari Main Thi, Ab To Ek Jisam Hon Jis Mein Koi Dharkan Hai Na Dil, Kabhi Sanson Ki Tarah Jari-O-Sari Main Thi, Too Mere Bad Bhi Zinda Hai Bahut Zinda Hai, Kaise Maano K Teri Waqt Guzari Main Thi...................!    

Kitni Aziat Se Mujhe Us ne Bhulaya Ho ga

  Kitni Aziat Se Mujhe Us ne Bhulaya Ho ga Meri Yad Ne Usay Khoob Rulaya Ho ga Bat Be Bat Jo Aankh Us ki Chalki Ho gi Us ne Chehre Ko Bazon Mein Chupaya Ho ga Socha Hoga Us ne Din Mein Kai Bar Mujhe Naam Hatheli Pe Bhi Likh Likh Kar Mitaya Ho ga Jahan Us ne Mera Zikar Suna Ho ga Kisi Se Us ki Aankhon Mein Koi Aansu To Aaya Ho ga Rat Ko Bhi Deer Tak Neend Na Aai Ho gi Usnay Takiye Ko Bhi Seene Se Lagaya Ho ga Ho K Nidhaal Meri Yadon Se Us Ne Meri Tasveer Se Sar Apna Tikaya Ho ga Poocha Ho ga Jo Kisi Ne Us Ki Halat Ka Sabab Us Ne Baton Mein Khoob Us Se Chupaya Ho ga Jab Kabhi Chand Ko Dekha Ho ga Akela Us Ne Usay Mera Piar Bara Yad Aaya Ho ga..........!    

Bat Chali Teri Baton Se Aur Ja Pohnchi Paimane Tak

  ================= Bat Chali Teri Baton =================    Bat Chali Teri Baton Se Aur Ja Pohnchi Paimane Tak, Khainch Rahi Hai Teri Ulfat Aaj Mujhe, Maikhane Tein Gham Ki Batain Dunia Wale Karte Hain, Kis Ne Shama Ka Dukh Dekha Aur Kon Gia Parwane Tak, Ishq Nahi Hai Tum Ko Mujh Se Sirf Bahane Karti Ho, Youn Hi Bahane Qaim Rakhna Tum Mere Mar Jane Tak, Itna Hi Kehna Hai Tum Se Mumkin Ho To Aa Jana, Aa Jao To Ruk Jana Bus Dil K Sambhal Jane Tak............!    

Aye Rat Humain Sone De Youn Tang Na Kia Kar

  ================= Rat Humain Sone De =================    Aye Rat Humain Sone De Youn Tang Na Kia Kar, Bekar Sawalon Mein Paband Na Kia Kar, Is K Siwa Aur Bhi Zamane K Kaam Hain, Too Mere Khayalat Be Dhang Na Kia Kar, Dunia Mein Aur Log Bhi Baste Hain Tanha, Too Sirf Mere Sath Hi Jang Na Kia Kar, Aye Rat Humain Sone De Youn Tang Na Kia Kar, Mazboot Hon Par Itna Main Jidhar Nahi Hon, Dunia K Sabhi Gham To Mere Sang Na Kia Kar, Kisi Roz Tere Khilaf Bhi Likhon Ga Ek Ghazal, Ye Hath Toot Jain To Ye Umang Na Kia Kar, Aye Rat Humain Sone De Youn Tang Na Kia Kar................!    

Meri Hasrat K Janaze Ko Uthane Wale

  Poet Mohsin Naqvi    Meri Hasrat K Janaze Ko Uthane Wale, Kitne Bedard Hain Ye Log Zamane Wale, Koi Apna Nahi Matlab Ki Hai Ye Dunia Sari, Ab Kahan Milte Hain Wo Yar Purane Wale, Main Dua Go Hon Sada Neendain Hon Mobarik Tujh Ko, Hijar Ka Dard Mujhe De Kar Jagane Wale, Bas Yehi Soch Kar Har Bar Manata Hon Usay, Lout K Aate Nahi Rooth K Jane Wale, Un K Seeno Mein Kabhi Jhank Kar Dekho To Sahi, M O H S I N Kitne Afsurda Hain Auron Ko Hansane Wale................!  

Muddat K Bad Dekha Usay Badla Howa Tha Wo

  Poet Mohsin Naqvi    Muddat K Bad Dekha Usay Badla Howa Tha Wo, Najane Kia Hadsa Howa Sehma Howa Tha Wo, Mujhe Dekh Kar Us Ne Chehra To Chupa Lia Magar, Aankhain Bata Rahi Thi K Roya Howa Tha Wo, Us Ki Aankhon Mein Dekh Kar Mehsoos Howa Mujhe, Meri Tarha Kisi Soch Mein Dooba Howa Tha Wo, Us Ki Sone Jaisi Rangat Zarad Par Gai Thi, Jaise Kisi K Pyar Mein Jala Howa Tha Wo, Qurban Jaon Us Shakhs Par Main, M O H S I N Yad Mein Jis Ki Khoya Howa Tha Wo..................!  

Aye Khuda Too Ne Mohabbat Ye Banai Kion Hai

    Poet Mohsin Kamal    Aye Khuda Too Ne Mohabbat Ye Banai Kion Hai, Gar Banai To Mohabbat Mein Judai Kion Hai, Kion Dia Pyar Mujhe Is Ki Zaroorat Kia Thi, Meri Barbadi Mein Shamil Teri Hikmat Kia Thi, Meri Rahon Mein To Khushbo Ka Safar Rehta Tha, Dil Mein Abaad Gulabon Ka Nagar Rehta Tha, Zindagi Khaar Bhari Rah Mein Laai Kion Hai, Aye Khuda Too Ne Mohabbat Ye Banai Kion Hai? Main Agar Roo'n To Sehra Ko Samandar Kar Don, Sakhat Ho Jaon Agar Moom Ko Pathar Kar Don, Raakh Ho Jaye Jahan Mein Jo Agar Aah Bharon, Aasman Toot Pare Tujh Se Jo Faryad Karon, Itni Gherai Mere Ishq Mein Aai Kion Hai, Aye Khuda Too Ne Mohabbat Ye Banai Kion Hai, Gar Banai To Mohabbat Mein Judai Kion Hai.....................! Book Zindagi Se Sabaq Page 27 To 28    

Phir Toot K Rone Ki Rut Aai Hai

  Poet Ahmad Faraz    Phir Toot K Rone Ki Rut Aai Hai Phir Se Dilon K Zakham Nikharte Jate Hain Jhooti Sachi Tabeeron Ki Khwaahish Hai Kaise Kaise Khawab Bikharte Jate Hain Kaise Kaise Yaron Ka Behroop Khula Kaise Kaise Khoul Utarte Jate Hain In Haalon Kab Apne Aap Ko Dekha Tha ? Kehne Ko Din Rat Guzarte Jate Hain Rahgeeron Ki Khamoshi Ko Ghor Se Sun Youn Hai Jaise Matam Karte Jate Hain Kabhi Kabhi Koi Aysa Musafir Aata Hai Raste Apne Aap Sanwarte Jate Hain Sheher-e-Ghazal Ki Galion Mein Dilgeer Tere Tujh Se Teri Batain Karte Jaatay Hain............!  

Qurbaton Mein Bhi Judai k Zamane Mange

  Poet Ahmad Faraz    Qurbaton Mein Bhi Judai k Zamane Mange Dil Wo bemehr K Rone K Bahane Mange, Hum Na Hote To Kisi Aur K Charche Hote, Khalqat-3-Sher To Kehne Ko Fasane Mange, Yehi Dil Tha K Tarasta Tha Marasim K Liye, Ab Yehi Tark-e-Taluq K Bahane Mange, Apna Ye Haal K Jee Haar Chuke Lot Bhi Chuke, Aur Mohabbat Wohi Andaz Purane Mange, Zindagi Hum Tere Daghon Se Rahe Sharminda, Aur Too Hai K Sada Ayna Khane Mange, Dil Kisi Haal Pe Qane Hi Nahi Jaan-3-Faraz, Mil Gaye Tum Bhi To Kia Aur Na Jane Mange.......................!  

Mazaron Par Mohabbat Jawidani Sun Rahe Thay

  Poet Mohsin Naqvi    Mazaron Par Mohabbat Jawidani Sun Rahe Thay, Kabootar Keh Rahe Thay Hum Kahani Sun Rahe Thay, Meri Guria Tere Jugno Humari Maaon K Gham, Hum Ek Dooje Se Bachpan Ki Kahani Sun Rahe Thay, Mizaj-e-Yar Se Itni Shanasai Ghazab Hai, Hum Us Ki Guftogo Mein Be Dehani Sun Rahe Thay, Hatheli Pe Rakhe Phoolon Pe Jo Aanso Gire Thay, Hum Apne Dil Pe Un Ki Hukmarani Sun Rahe Thay..........!  

Us bewafa se hath milane k waste

  Poet wasi shah    Us bewafa se hath milane k waste, Mehfil mein sab se hath milana pra mujhe Teri anjuman k sab chehre thay Na Aashna, Teri khushi k waste sab ko gale lagana para mujhe Jab mili tanhai jee bhar k roya, Wo howe roo baroo to muskarana parra mujhe Meri Aankho se koi parh na le naam tera, Is dar se palkon ko jhukana para mujhe Tinka tinka kar k jo banaya tha Aashiana wasi, Hukm-e-Jana tha sab kuch jalana para mujhe.......!  

Chanda Chandni Bikhaire To Hai Nahi Pas Mere

  Singer Uzma Jaswal    Chanda Chandni Bikhaire To Hai Nahi Pas Mere, Ab To Aa Jao Mere Sohnia Sooni Tere Bin Ye Ratain Sooni, Sooni Sari Batain Youn Na Humain Tarpawe Sohnia, Tere Bin Nahi Lage Jiya, Tere Bin Ab To Aa Ja Piya, Tere Bin Nahi Laage Jiya, Yad Aain Teri Batain Nahi Bhain Barsatain, Too Hai Meri Zindigani Sohnia, Tere Bin Mere Naina Kahein, Pain Na Cheena Too Hai Dil Ki Kahani Sohnia, Tere Bin Nahi Lage Jiya, Tere Bin Ab To Aa Ja Piya, Tere Bin Nahi Laage Jiya Tum Jo Gaye Pal Tham Gaye, Bikhre Wo Khawab Tere Mere, Dil Ye Kahay Ab Jo Mile Keh Don Ga Main Tum Ho Mere, Tere Bin Nahi Lage Jiya Tere Bin Ab To Aa Ja Piya, Tere Bin Nahi Laage Jiya Tere Bin Ab To Aa Ja Piya.........!  

Mohabbaton Mein Har Ek Lamha Wisal Ho Ga Ye Taye Howa Tha

Mohabbaton Mein Har Ek Lamha Wisal Ho Ga Ye Taye Howa Tha, Bicher K Bhi Ek Doosre Ka Khayal Ho Ga Ye Taye Howa Tha, Ye Kia K Sansain Ukhar Gai Hain Saffar K Aaghaz Se Hi Yaro, Koi Bhi Thak Kar Na Raste Mein Nidhal Ho Ga Ye Taye Howa Tha, Wohi Howa Na Badalte Mosam Mein, Tum Ne Hum Ko Bhula Dia Na, Koi Bhi Rot Ho Na Chahaton Ko Zawal Ho Ga Ye Taye Howa Tha, Juda Howe Hain To Kia Howa, K Yehi To Dastoor-e-Zindagi Hai, Judaion Mein Na Qurbaton Ka Malal Ho Ga Ye Taye Howa Tha, Chalo K Ab Sari Kashtion Ko, Jala Dein Gumnam Sahailon Par, K Ab Yahan Se Na Wapsi Ka Sawal Ho Ga Ye Taye Howa Tha...    

Ye To Dil Tha Deewana K Tum Par Aa Gia

  Poet Wasi Shah    Ye To Dil Tha Deewana K Tum Par Aa Gia, Warna Hum Qeemti Pathron Ko Bhi Uthaya Nahi Karte, Ye Mana K Tum Haseen Ho Magar Ye Bhi Sun Lo, Hum Haseen Logon Se Dil Lagaya Nahi Karte, Jis Se Karte Hain Pyar Bas 1 Hi Bar Karte Hin, Bar Bar Hum Bhi Kisi Ko Sataya Nahei Karte. Tum To Apne Ho Ab Tum Se Kia Parda, Warna Hum Raz-e-DiL Kisi Ko Bataya Nahi Karte, Tum Keh Do To Tumhare Liye Jan BHi Hazir, Warna Hum Zindagi Dao Par Lagaya Nahi Karte...................!  

Us Ne Pyar Ka Khel Bhi Nafrat Se Khela

  Poet Ahmad Faraz    Us Ne Pyar Ka Khel Bhi Nafrat Se Khela, Har Bar Wo Zalim Meri Hasrat Se Khela, Meri Jan-O-Dil Pe Sara Haq Tha Usay, Dukh Itana Howa K Wo Meri Ghurbat Se Khela, Dil Tora To Bhikharane Bhi Na Dia Us Ne, Mere Dil K Sath Kitni Ulfat Se Khela, Kaise Us K Hathon Mein Barbad Na Hota, F A R A Z Pahli Bar Zindagi Mein Koi Itni Mohabbat Se Khela...............!  

Youn Hi Tanhai Mein Ab Dil Ko Saza Dete Hain

  Poet Ahmad Faraz   Youn Hi Tanhai Mein Ab Dil Ko Saza Dete Hain, Naam Likhte Hain Tera Likh K Mita Date Hain, Jab Bhi Nakaam Mohabbat Ka Koi Zikar Kare, Log Hanste Hain Mera Naam Bata Date Hain, Ab Khushi Ki Koi Tarkeeb Na Soojhe Ab Ye Aalam Hai K Gham Hi Maza Dete Hain, Kia Zaroorat Hai K Dete Ho Khud Ko Ye Zehmat, Lao Hum Khud Hi Nashaiman Ko Jala Dete Hain, Ab Tasali Nahi Di Jati Mareez-3-Gham Ko, Dekhne Wale Bhi Marne Ki Dua Dete Hain...................!  

Rishton Ki Tijarat Nahi Karte

    Poet Khalid Tabish   Khudsar Hain Magar Rishton Ki Tijarat Nahi Karte, Hum Log Dikhawe Ki Mohabbat Nahi Karte, Milna Hai To Aa Jeet Le Maidan Mein Hum Ko, Hum Apne Qabeele Se Baghawat Nahi Karte, Tofan Se Larne Ka Tareeqa Hai Zaroori, Hum Doobne Walon Ki Himayat Nahi Karte, Palkon Pe Sitare Hain Na Shabnam Hai Na Jugno, Is Tarha To Dushman Ko Bhi Rukhsat Nahi Karte, Har Simt Bare Logon Ki Bheer Hai Yahan, Hum Itne Khudaon Ki Ibadat Nahi Karte...    

Qalam Ho Taigh Ho Taisha K Dhaal Mat Cheeno

  Poet Wasi Shah    Qalam Ho Taigh Ho Taisha K Dhaal Mat Cheeno, Kabhi Kisi Se Kisi Ka Kamal Mat Cheeno, Khushi Isi Mein Agar Hai To Har Khushii Le Lo, Ye Dukh Ye Dard Ye Huzn-o-Malaal Mat Cheeno, Isi Khalsh K Sabab Phir Mujhe Ubharna Hai, Khuda Waste Ohd-e-Zawal Mat Cheeno, Main Chor Sakta Nahi Istaqamat Ka, Meri Azan Se Josh-e-Bilaal Mat Cheeno, Abhi Kitab Na Cheeno Tum In K Hathon Se, Humare Bachon Ka Husan-o-Jamaal Mat Cheeno, Humari Aankh Mein Yadon K Zakham Rehne Do, Humare Hath Se Phoolon Ki Daal Mat Cheeno, Abhi Bujhao Na Kandal Na Kaik Kaato Abhi, Kuch Aur Dair Mera Pichla Saal Mat Cheeno..............!  

Khud Hi Ko Kar Buland Itna K Har Taqdeer Se Pehle

  Poet Dr,Allama Iqbbal    Khudi Ko Kar Buland Itna K Har Taqdeer Se Pehle, Khuda Bande Se Ye Pooche Bata Teri Raza Kia Hai, Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Hai, Abhi Ishq Ka Imtihan Aur Bhi Hai, Too Shaheen Hai Parvaz Hai Kaam Tera, Tere Samne Aasman Aur Bhi hai Too Shaheen Hai Basera Kar Paharon Ki Chatano Par, Too Shaheen Hai, Too Shaheen Hai, Too Shaheen Hai...............!  

Zehar Milta Raha Zehar Peete Rahe

Zehar Milta Raha Zehar Peete Rahe, Roz Marte Rahe Roz Jeete Rahe, Zindagi Bhi Humain Aazmati Rahi, Hum Bhi Usay Aazmate Rahe, Ajnabi Shehar K Ajnabi Raste, Meri Tanhai Par Muskarate Rahe, Main Bahut Dair Tak Youn Hi Chalta Raha, TUM Bahut Dair Tak YAD Aate Rahe........!    

Yad Mujh Ko Kon Aaya Rat Bhar

  Poet Wasi Shah    Yad Mujh Ko Kon Aaya Rat Bhar, Dil Jala To Bujh Na Paya Rat Bhar, Ek Zara Si Muskarahat Ka Asar, Chain Khoya Dil Gawaya Rat Bhar, Yad Mujh Ko Kon Aaya Rat Bhar, Ye Hawa Chupke Se Aa Kar Keh Gai, Chandni Chat Par Akeli Reh Gai, Tum Ne Kion Ye Dil Jalaya Rat Bhar, Dil Jala To Bujh Na Paya Rat Bhar, Yad Mujh Ko Kon Aaya Rat Bhar, Karwatain Bechainian Leti Rahi, Naram Palkain Nam Meri Hoti Rahi, Sona Chaha So Na Paya Rat Bhar, Dil Jala To Bujh Na Paya Rat Bhar, Yad Mujh Ko Kon Aaya Rat Bhar...................!  

Chahat Mein Kia Dunia Dari Ishq Mein Kaisi Majbori

  Poet Mohsin Naqvi    Chahat Mein Kia Dunia Dari Ishq Mein Kaisi Majbori, Logon Ka Kia Samjhane Do In Ki Apni Majboori, Mein Ne Dil Ki Bat Rakhi Aur Too Ne Dunia Walon Ki, Meri Gharz Bhi Majboori Thi Un Ka Hukam Bhi Majboori, Rok Sakho To Pehli Barish Ki Bondon Ko Tum Roko, Kachi Mitti To Mehke Gi Hai Mitti Ki Majboori, Jab Tak Hunsta Ghata Mosam Apna Hai Sab Apne Hain, Waqt Pare To Yad Ajati Hai Masnovi Majboori, Aik Awara Badal Se Kion Main Ne Saya Manga Tha, Meri Bhi Ye Nadani Thi Us Ki Bhi Thi Majboori, Muddat Guzri Aek Wade Par Aaj Bhi Qayam Hai, M O H S I N Hum Ne Sari Umar Nibhaye, Apni Pehli Majboori..............!  

Mita Rahi Thi Mujhe Tarz-e-Intaha Us Ki

    Poet Ada Jafri    Mita Rahi Thi Mujhe Tarz-e-Intaha Us Ki, Main Kis Ki Jan Bachata Khud Apni Ya Us Ki, Udas Kis Liye Rehta Tha Roothta Kion Tha, Kabhi Na Khul Saki Mujh Par Koi Ada Us Ki, Na Main Ne Koi Sada Us Ko Di Na Wo Louta, Meri Anaa K Muqabil Rahi Anaa Us Ki, Usay Kharaj-e-Mohabbat Ada Karon Ga Zaroor, Zara Main Yad To Kar Lon Koi Wafa Us Ki, Wo Chand Log Jo Meri Taraf Thay Kia Karte, Udhar To Aik Khudai Thi Hum Nawa Us Ki, Na Jane Kitni Mohabbat Thi Us Ki Nafrat Mein, Kai Duaon Se Behtar Thi Bad Dua Us Ki, Us Se Juda Howe Barson Guzar Gaye, Mager Hai Naqsh-e-Dil-o- Jan Pe Har Ada Us Ki.................!    

Ab Lout Aa Mere Hum Nawa Meri Zindagi Ka Sawal Hai

  Poet Nasir Kazmi    Ab Lout Aa Mere Hum Nawa Meri Zindagi Ka Sawal Hai, Tujhe Kia Sunaon Main Dil Ruba Tere Samne Mera Haal Hai, Meri Har Khushi Tere Dham Se Hai, Meri Zindagi Tere Gham Se Hai, Ter Dard Se Raha Bekhabar Mere Dil Ki Kab Majal Hai, Tere Husn Par Hai Meri Nazr Mujhe Subha Sham Ki Kia Khabar, Meri Sham Hai Teri Guftago Meri Subha Tere Khayal Hai, Mere Dil Jigar Mein Sma Bhi Ja Rahe Kion Nazar Ka Bhi Fasla, K Tere Baghair Kuch Bhi Nahi...........!  

Wo Ojhal Meri Nigahon Se Kahan Rehta Hai

  Poet Parveen Shakir    Wo Ojhal Meri Nigahon Se Kahan Rehta Hai, Wo Ashk Ban Kar Ankhon Se Rawan Rehta Hai, Kisi Lamhe Tanha Nai Hone Deti Uski Yadain, Mere Aangan Main Mele Ka Samaa Rehta Hai, Har Ghari Dil Daricha Khula Rakhte Hain, Har Ghari Uske Aane Ka Gumaan Rehta Hai, Log Kehte Hain K Zakham Bhar Jate Hain Aakhir, Zakham To Bhar Jate Hain Par Nishan Rehta Hai, Wo Mile To Sirf Itna Bata Dena Us Ko...................!   

Kon Si Cheez Dil K Bas Mein Nahi

  Poet Amjid Islam Amjid    Kon Si Cheez Dil K Bas Mein Nahi, Dil Magar Apni Dastaras Mein Nahi, Ye To Hum Hain Khaar-O-Khass Mein Hain, Manzal-E-Gul Mein To Khaar-O-Kass Mein Nahi, Kab Se Aankhain Talashti Hain Usay, Aik Din Jo Kisi Baras Mein Nahi, Jisam Kitni Bari Haqeeqat Ho,! Dil Ki Taskeen Magar Hawas Mein Nahi, Kamraan Aashiqi Ki Manzal Mein, Hai Wohi Dil Jo Paish-O-Pass Mein Nahi, Dekh Li Jantari Zamane Ki, Wasal Ka Din Kisi Baras Mein Nahi, Narsai Ki Dhund K Us Paar, Ishq Mein Kia Hai Jo Havas Mein Nahi,! Lazat-E-Par Kushadgi K Siwa,! Bagh Mein Kia Hai Jo Qafas Mein Nahi.....................!   

Dil Ko Koi Be Yaqeeni Hai Mohabbat Mein (the largest poem by Farhat Abas Shah)

  Poet Farhat Abbas Shah Type By   Khan61 Wo Boli, Dil Ko Koi Be Yaqeeni Hai Mohabbat Mein, Main Bola, Theek Hai Par Ishq To Eman Hota Hai, Wo Boli, Aarzoain Dil K Andsar Bain Karti Hain, Main Bola, Theek Hai Mujh Ko Sunai Dete Hain, Wo Boli, Hum To Jaise Ek Musalsal Dukh K Qaidi Hain, Main Bola, Theek Hai Ye Zindagi Dukh Ka Tasalsul Hai, Wo Boli, Koi Shab To Khawab Mein Bhi Khawab Aate Hain, Main Bola, Theek Hai Kuch Hasratain Aise Bhi Karti Hain, Woh Boli, Barishon Mein Aur Ziada Jan Sulagti Hai, Main Bola, Theek Hai Ye Aag Pani K Masail Hain, Wo Boli, Rat Kion Mushkil Se Katti Hai Judai Mein, Main Bola,

Aao Sajan So Jain 
Kahein Door

  Poetess  Ambreen Sahil    Typed Bay *._Ayaz Khan_.* Aao Sajan So Jain Kahein Door Khayalon Mein Kho Jain. Ek Jangal Ek Jharna Ho Aur Hum Ko Kuch Na karna Ho. Jahan Dil Se Dil Milte Hon Pyar Ka Sawan Barasta Ho. Sab Meethi Boli Bolain Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho. Jahan Phool Khushi K Khelain, Aur Sab Hi Rang Milte Hon. Khushbo Khud Hi Mil Jaye Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho. Jahan Koi Kisi Ko Dard Na De Na Koi Ghayal Ho. Jahan Sab Mil K Rehte Hon, Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho. Jahan Gaati Koyal Ho Aur Sab Hi Raqs Mein Jhoomte Hon. Waqt Youn Hi Guzarta Ho, Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho. Ye Mere Mann Ki Batain Hain Ye Mere Dil Ki Basti Hai. Aao Is Sapne Mein Kho Jain. Aur Hum Ko Kuch Na Karna Ho......!  

Kabhi Samandar Kabhi Satara

  Poet Mohsin Naqvi    Lage Na Kion Khud Se Mujh Ko Pyara, Kabhi Samandar Kabhi Satara, Meri Musafat Ka Ista'ara Kabhi Samandar Kabhi Satara, Teri Meri Qurbaton Ka Mosam, Bikhar K Simte Simat K Bikhre, Isi Liye Aankh Mein Utara Kabhi Samandar Kabhi Satara, Niya Niya Ishq Karne Walo,Humi Se Is Ka Ziyan Bhi Pocho, Bisat-E-Hasti Pe Hum Ne Hara Kabhi Samandar Kabhi Satara, Tere Liye Jagne Ko Mehkain, Kabhi Gulistan Kabhi Charaghan, Mere Liye Khawab Ka Ishara, Kabhi Samandar Kabhi Satara, Wo Kehkashaan Zad-O-Seel-Nekahat, Humare Hum Raah Chal Para Tha, Kahan Tha Warna Humain Gawara, Kabhi Samandar Kabhi Satra, Mere Bhatakne Pe Jan-E-Mohsin Ye Tanz Kaisa, K Is Jahan Mein Howe Hain Besimat-O-Be Kinara, Kabhi Samandar Kabhi Satara..........! Book Taloo-E-Ashk  

Kuch To Ahd-E-Khoon Fashan Aur Hai

  Poet Mohsin Naqvi    Kuch To Ahd-E-Khoon Fashan Aur Hai,! Kuch Meri Aankhon Ne Thani Aur Hai,! Wossat-E-Sehra-E-Aalam Se Udhar, Dasht-E-Gham K Bekarani Aur Hai, Ya Adhoori Hai Gawahi Ishq Ki, Ya Phir Us K Badgumani Aur Hai,! Youn Bazid Hai Aankh Rone Par Abhi, Jaise Is Daria Mein Pani Aur Hai, Shola Khurshee-e-Mehshar Ki Qasam, Us Ka Mayar-E-Jawani Aur Hai, Ek Wo Khud Hai Jhutpate Ki Chandni,! Ek Dobatta Us Pe Dhani Aur Hai,! Sab Ruttain Dekhi Hain Is Dil Ne Magar, Ab K Mosam Mein Girani Aur Hai, Doob Jane Do Satara Subha Ka, Us K Aane Ki Nishani Aur Hai, Dastan Hai Aur Aankhon Mein Magar, Dil Mein Posheeda Kahani Aur Hai,! Ishq Mein MOHSIN Kahan Jeena,? Harne Mein Kamrani Aur Hai..............! Book Taloo-E-Ashk   

Aankh Mein Be Karaan Malaal Ki Sham

  Poet Mohsin Naqvi    Aankh Mein Be Karaan Malaal Ki Sham, Dekhna Ishq K Zawal Ki Sham, Meri Qismat Hai Tere HIJAR Ka Din, Meri Hasrat Tere Wisal Ki Sham, Dehki Dehki Tere Jamal Ki Subha, Mehki Mehki Mere Khayal Ki Sham, Roop Sadion Ki Dopehr Pe Moheet, Orhni Hai K Mah-O-Saal Ki Sham, Phir Wohi Dar Wohi Sada MOHSIN,! Phir Wohi Main Wohi Sawal Ki Sham..................! Book Taloo-E-Ashk   

Kab Se Tum Ne Apnaya Is Tarha Ka Ho Jana

  Poet Mohsin Naqvi    Kab Se Tum Ne Apnaya Is Tarha Ka Ho Jana! Shab Ko Jagte Rehna Din Ko Thak K So Jana, Shehr Mein To Mujh Jaisi Beshumar Aankhain Hain, Tum Bhi Khair Se Jao Tum Na Un Mein Kho Jana, Adal K Kathere Mein Jurm Bol Parta Hai, Dagh Dagh Daman Se Kuch Laho To Dho Jana, Tan Ki Shak Shak Ab K Choor Hai Gulabon Se, Tum Bhi Apne Hisse K Phool Paroo Jana, Mere Bad Ka Rasta Tum Se Kat Na Paye Ga, Jo Bhi Ajnabi Dekho Ab Usi K Ho Jana, Jab Kabhi Paharon Mein Chand Doobta Dekhon, Mujh Ko Yad Aata Hai Tere Shehr Ko Jana, Kuch Na Kuch To Wise Mein Chorna Bhi Hai, MOHSIN Reit Reit Kheton Mein Kuch Na Kuch To Bo Jana..................! Book Taloo-E-Ashk   

Eik Samandar Meri Chashm-E-Tar Mein Hai

  Poet: Ayaz Khan Type By *._Ayaz Khan_.* Eik Samandar Meri Chashm-E-Tar Mein Hai. Jab Se Teri Judai Ka Gham Mere Ghar Mein Hai. Har Naqsh Pe Tera Gummaan Hota Hai Mujhe. Yehi Aik Aks Bas Mere Dil K Nagar Mein Hai. Mein Justajo Mein Teri Chaman Chaman Mein Gia. Magr Tere Badan Ki Khusbo Safar Mein Hai. Shehr-E-Tamana Mein, Mein Ne Har Aik Se Sawaal Kia. Kia Koi Aur Aesa Sitmgar Tumahri Nazar Mein Hai. Shayad K Mujhe Saliqa Hi Nahi ishq Ka. AYAZ, Ruswai K Siva Kia Muhabbat K Samar Mein Hai............!  

Gham-E-Hayat Mein Jeena Koi Mazaq Nahi

  Poet: Sayad M Ali Barq Type By  Ayaz Khan Gham-E-Hayat Mein Jeena Koi Mazaq Nahi, Libas-E-Rooh Ka Seena Koi Mazaq Nahi, Gul-E-Hayat K Poday Ko Sechne K Liye, Bahana khon Paseena Koi Mazaq Nahi, Bata De Saqi Sar-E- Bazam Aaj rendon Ko, Sharab-E-Ishq Ka Peena Koi Mazaq Nahi, Jo Mangte Hain Duain Daraz Umri Ki, Unhain Bata Do K Jeena Koi Mazaq Nahi, Mohabbaton K Samandar Mein BARQ Rehne Do, Louta Hai Dil Ka Safeena Koi Mazaq nahi.................!  

Bata Mere Khowabon K Anjaan Sathi

  Poet: Ahmad Faraz    Bata Mere Khowabon K Anjaan Saathi. Meri Zindagi Tujh Se Kab Aashana Thi. Ghatain Uthi Or Hava Gon-Gonai. Tarrpti Hoi Muj Sahil Tak Aai. Wo Kaisa Samaa Tha Wo Kaisi Faza Thi. Bata Mere Khowabon K Anjaan Saathi. Badan Mein Sulagti Hain Chingariyan Si. Yehi Rut Thi Pehle Bhi Lekin Juda Thi. Bata Mere Khowabon K Anjaan Saathi. Javaan Hain Abi Khowaishon K Jazeere. Chalo Hum Bhi Jaein Udahar Dhire Dhire. Kahain Pher Na Kehna K Wo Be-Wafa Thi. Bata Mere Khowabon K Anjaan Sathi......! Bk: Mere Khowab Reza Reza Pg: 50 to 51 Note: Ye Geet Is Book Ki Poetry Sahil Ki Rait Mein Hai.  

Tere Gham Ki Tilawat Kar Rahe Hain

  Poet Saghar Sadiqui    Tere Gham Ki Tilawat Kar Rahe Hain, Sataron Se Shikayat Kar Rahe Hain, Na De Tuhmat Humain Madhoshion Ki, Zara Pee Kar Ibadat Kar Rahe Hain, Janoon K Tajarbon Ki Neghedari, Be Andaz-E-Farasat Kar Rahe Hain, Sehar K Baad Bhi Shamain Jalao, K Tere Parwane Shrarat Kar Rahe Hain, Tere Shano Pe Tabina Nishate, Baharon Ki Sakhawat Kar Rahe Hain, Khuda Wandan-E-Gulshan Ye Shagoofe, Baharon Se Baghawat Kar Rahe Hain, Martab Gham K Afsanon Se Saghar, Musarat Ki Haqayat Kar Rahe Hain...................!  

Maqtal Mein Bhi Ahl-E-Jano Hain Kaise Ghazal Khawaan

  Poet Amjid Islam Amjid    Maqtal Mein Bhi Ahl-E-Jano Hain, Kaise Ghazal Khawaan Dekho To,! Hum Pe Pather Phankne Walo Apne Gariban Dekho To,! Hum Bhi Urain Khak-E-Bayabaan, Dasht Se Tum Guzaro To Sahi, Hum Bhi Dekhain Chaak-E-Garibaan Lekin Jana Dekho To, Aaye Tabeerain Karne Walo Hasti Mana Khawab Sahi, Us Ki Rat Mein Jago To Ye Khawab-E-Parshan Dekho To,! Aaj Satare Gum Sum Hain Kion Chand Hai Kion Sodai Sa, Aaine Se Bat Karo Us Bhaid Ka Anwan Dekho To,! Kis K Husn Ki Basti Hai Ye Kis K Roop Ka Mela Hai,! Aankh Utha Aaye Husn-E-Zulaikha Yosaf-E-Kanaan Dekho To,! Jo Bhi Ilaj Dard Karo Main Hazir Hon Manzoor Mujhe, Lekin Ek Shab Amjid Jee Wo Chehra-e-Tabaan Dekho To...............! Book Zara Phir Se Kehna   

Khuda K Waste Lout Aao K Eid Aai Hai

Khuda K Waste Lout Aao K Eid Aai Hai..* Apni Deed Karao K Eid Aai HaI..* Bhula Kar Sab RanjshAin Aa Bhi Jao..* YOun Na Ab Mujh Ko Rulao K Eid Aai HaI..* IntIzar KartE KartE Thak Gai Hein Ye AankhAin..* Ab Na YOun Aur Sataao K Eid Aai HaI..* Wada Tha TEra Guzri Eid PE AanE Ka..* Wada Ab To Aa K Nibhao K Eid Aai HaI..* Guzrti Hay Eidein TErE Hijar_O_Firaaq Mein..* Is Baar MilnE Chalay Bhi Aao K Eid Aai HaI..* ItntIzar Rehta HaI Har Eid Pay Dil Ko TEra..* Ab To Apni Deed KArao K Eid Aai HaI..* Eid Ki Khooshian MujhE Zehar Lagti HAin..* Bin Teray Eid Eid Nahi Lout Aao K Eid Aai Hai..* Bin Tere Ye Eid Kaise Guzarti Hai..* Aa Kar Dekh Jao K Eid Aai Hai........*

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar K Dekhte Hain

  Poet Ahmad Faraz    Suna Hai Log Use Aankh Bhar K Dekhte Hain, So Us K Shehr Mein Kuch Din Thehr K Dekhte Hain, Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab Haalon Se, So Apne Ap Ko Barbaad Kar K Dekhte Hain, Suna Hai Dard Ki Gahek Hai Chashm-e-Naaz Us ki, So Hum Bhi Us ki Gali Se Guzar K Dekhte Hain, Suna Hai Us ko Bhi Hai Shairo Shaairi Se Shughf, So Hum Bhi Muajze Apne Hunar K Dekhte Hain, Suna Hai Bole To Baton Se Phool Jharte Hain, Ye Bat Hai To Chalo Bat Kar K Dekhte Hain,

Too Dharti Pe Chahe Jahan Bhi Rahe Gi lyric

  Singer Kumar Sano nd Alka    Too Dharti Pe Chahe Jahan Bhi Rahe Gi, Tujhe Teri Khushbo Se Pehchan Lon Ga, Agar Band Ho Jain Gi Meri Aankhain, Tujhe Teri Dharkan Se Pehchan Lon Ga, Hum Ko Tum Se Pyar Howa Hai, Jeena Dushwar Howa Hai, Bara Sakoon Hai Main Dil Se Tum Pe Marati Hon, Main Ab Kisi Se Nahi Bas Khud Hi Se Darati Hon, Kia Jo Pyar To Phir Door Se Machalana Kia, Tarap K Shamo Tehar karvatain Badalana Kia, Mere Jano Mere Janam Jan-E-Man Jan-E-Jana, Jo Guzare Gi Too Meri Rah Guzar Se, Tujhe Teri Aahat Se Pehchan Lon Ga, Hum Ko Tum Se Pyar Howa Hai, Jeena Dushwar Howa Hai, Aa Baith Pas Teri Rooh Mein Utar Jaon, Nazar K Pas Rakho Had Se Main Guzar Jaon, Nazar Ka Teer Hata Youn Jigar K Paar Na Kar, Main beqarar Bahut Aur Beqarar Na Kar, Kabhi Chupke Le Ga Jo Aaghosh Mein Too, Tujhe Teri Chahat Se Pehchan Lon Gi, Hum Ko Tum Se Pyar Hova Hai, Jeena Dushwar Howa Hai, Too Dharti Pe C

Ro Ro K Tere Dukh Mein Sehra Sa Ho Gia Hon

  Poet Wasi Shah    Ro Ro K Tere Dukh Mein Sehra Sa Ho Gia Hon, Ab Aankh K Kinare Bhi Num Nahi Rahe Hain, Lamhon K Pair Par Par Hain Kuch Phool Dard-o-Gham K, Jeevan Mein Ab Khushi K Mosam Nahi Rahe Hain, Too Aur Simat Mein Hai Main Aur Simat Mein Hon, Ulfat K Raste Ab Ba Hum Nahi Rahe Hain, Fikar-e-Moaash Ne To Jazbon Ko Roond Dala, Aashiq Wagrna Hum Bhi Kuch Kam Nahi Rahe Hain, Rahon Mein Ab Khara Hon Philay Hath Khali, Gham They Mera Asasa Aur Gham Nahi Rahe Hain, Tum Hi They Meri Dunia Tum Hi Meri Mohabbat, Tum Jo Nahi To Dono Aalam Nahi Rahe Hain............!   Book Mere Ho K Raho   

Phool Ban Kar Teri Har Shaakh Pe Khilta Main Tha

    Poet Mahmood Sham    Phool Ban Kar Teri Har Shaakh Pe Khilta Main Tha, Khushbooain Tujh Mein Utarti Thein Mehakta Main Tha, Meri Sanson Mein Ghuli Thein Teri Subhain Shamain, Teri Yadon Mein Guzarta Howa Arsa Main Tha, Shor Tha Jaise Samandar Mein Ho Girta Daria, Aur Jab Ghor Se Dekha To Akela Main Tha, Ehad-E-Rafta Tha Idhar Aur Udhar Aaina, Dono Waqton Ko Milata Howa Lamha Main Tha, Rat Ki Goud Mein Sar Rakh K Zameen So Jati, Subha Tak Chand K Seene Mein Dharakta Main Tha, Apni Hi Aag Mein Jab Log Jhulasne Lage, Sab K Honton Pe Dua Ban K Ubharta Main Tha, Jis Pe Daria Ne Kinaron Se Baghawat Kar Di, Barish-E-Khoon Ka Wo Akhri Qatra Main Tha, Aankh Rakhta Tha Khuli Aur Tabiat Mozon, Tajurbe Doosre Karte Thay Sanwarta Main Tha................!     

Suna Hai K Sandaisa-E-Deed Lai Hai

Poet Zahid Mahmood TaYpEd bY UMAR RAHI Suna Hai K Eid Aai Hai Suna Hai K Sandaisa-E-Deed Lai Hai, Suna Hai K Wo Aaye Ga Is Eid Pe+" Suna Hai K Guzra Waqat Duhraye Ga Is Eid Pe+" Suna Hai K Us Ne Manai Nahi Eid Hum Bin+" Suna Hai K Wo Kehta Tha Kaisi Eid Tum Bin+" Suna Hai K Wo Raha Har Eid Pay Udas Hai+" Suna Hai K Hota Koi Nahi Eid Pe Pas Hai+" Suna Hai K Wo Tanhai Se Ghabhraya Hai+" Suna Hai K Is Liye Wo Lout Aaya Hai+" Suna Hay Kay ZAHID Wo Na Karay Ga Tehmeed+" Suna Hay Kay Woh Saath Meray Karay Ga Eid+"

Pathar Ka Shehr Sheeshe Ka Ghar De Gia Mujhe

  Poet Nasir Kazmi    Anjani Rah Tanha Nagar De Gia Mujhe, Pathar Ka Shehr Sheeshe Ka Ghar De Gia Mujhe, Wo Bhi Mujh Hi Ko Sochta Rehta Hai Rat Bhar, Us K Nagar Ka Chand Khabar De Gia Mujhe, Us shakhs Ki Mohabbatain Kitni Shadeed Thain, Khud Mit Gia Aur Apni Nazar De Gia Mujhe, Wo Qafle Ko Chor K Tanha Hi Chal Dia, Aur Jate Howe Rakht-3-Safar De Gia Mujhe, Jane Wo Bewafa Tha Ya Majboor Tha, NASIR Bus Zindagi Guzarne Ka Hunar De Gia Mujhe.............!   

Sab Chale Jao Mujh Mein Ab Taab Nahi

  Poet Joun Eliya    Sab Chale Jao Mujh Mein Ab Taab Nahi, Naam Ko Bhi Ab Iztiraab Nahi, Khoon Kar Don Tere Shabaab Ka Main, Mujh Sa Qatil Tera Shabab Nahi, Ek Kitab-E-Wajood Hai To Sahi, Shayad Is Mein Dua Ka Baab Nahi, Too Jo Parhta Hai 'Boo Ali' Ki Kitab, Kia Ye Aalam Koi Kitab Nahi, Apni Manzil Mein Koi Faryad Nahi, Rakhsh Apna Bad'Rakab Nahi, Hum Kitabi Sada K Hain Laikin, Hasb-E-Mansha Koi Kitab Nahi, Bhool Jana Gunah Nahi Usay, Yad Karna Usay Sawab Nahi, Parh Lia Us Ki Yad Ka Nuskha, Us Mein Shohrat Ka Koi Baab Nahi.......................!   

Aaye Hussn-e-Laila Faam Zara Aankh To Mila

  Poet Saghar Siddiuqi    Aaye Hussn-e-Laila Faam Zara Aankh To Mila, Khali Pare Hain Jaam Zara Aankh To Mila, Kehte Hain Aankh Aankh Se Milna Hai Bandagi, Dunia K Chor Kaam Zara Aankh To Mila, Kia Wo Na Aaj Aain Gay Taron K Sath Sath, Tanhaion Ki Sham Zara Aankh To Mila, Ye Jaam Ye Sabo Ye Taswor Ki Chandni, Saqi Kahan Madham Zara Aankh To Mila, Saqi Mujhe Bhi Chahiye Ek Jam-e-Aarzo, Kitne Lagain Gay Daam Zara Aankh To Mila, Pamal Ho Na Jaye Sataron Ki Aabro, Aaye Mere Khush Khuram Zara Aankh To Mila, Hain Rahi Kehkashaan Main Azal Se Khare Howe. (S A G H A R) Tere Ghulam Zara Aankh To Mila...................!   

Galat Na Jan K Itne Haqeer Hum Bhi Nahi

  Poet Mohsin Naqvi    Mohabaton Mein Hawas K Aseer Hum Bhi Nahi, Galat Na Jan K Itne Haqeer Hum Bhi Nahi, Nahi Ho Tum Bhi Qayamat Ki Tand-O-Teiz Hawa, Kisi K Naqsh-E-Qadam Ki Lakeer Hum Bhi Nahi, Humari Doobti Nabzon Se Zindagi To Na Mang, Sakhi To Hain Magar Itne Ameer Hum Bhi Nahi, Humain Bujha De Humari Ana Ko Qatal Na Kar, K Bezarar Sahi MOHSIN Be Zameer Hum Bhi Nahi................!   

Logon K Liye Sahib-E-Qirdar Bhi Main Tha

  Poet Mohsin Naqvi    Logon K Liye Sahib-E-Qirdar Bhi Main Tha, Khud Apni Nigahon Mein Gunhagar Bhi Main Tha, Kion Ab Mere Mansab Ki Salami Ko Kharre Ho,? Yaro Kabhi Ruswa Sar-E-Bazar Bhi Main Tha, Main Khud Hi Chupa Tha Qaf-E-Qatil Ki Shikan Mein, Maqtool Ki Tooti Hoi Talwar Bhi Main Tha, Cheente Hain Jahan Ab Mere Masoom Laho K, Us Farq-E-Falak-Naaz Ki Dastar Bhi Main Tha, Meri Hi Sadaa Lout K Aai Hai Mujh Hi Tak, Shayad Had-E-Aflak K Us Paar Bhi Main Tha, Manzil Pe Jo Pohancha Hon To Maloom Howa Hai, Khud Apne Liye Raah Ki Deewar Bhi Main Tha, Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai Too Lekin, Kal Tak Teri Pehchan Ki Mayar Bhi Main Tha, Dekha To Main Afsha Tha Har Ek Zehan, MOHSIN Socha To Pass-E-Parda Israar Bhi Main Tha..............!   

Aap Se Tum Tum Se Too Hone Lagi

    Poet Dagh Dehlvi    Ranj Ki Jab Guftago Hone Lagi, Aap Se Tum Tum Se Too Hone Lagi, Chahiye Paighambar Dono Taraf, Lutf Kia Jab Doo Ba Doo Hone Lagi, Meri Ruswai Ki Nobat Aa Gai, Un Ki Shohrat Koo Ba Koo Hone Lagi, Beniazi Barh Gai Hai Is Qadar, Aarzo Ki Aarzo Hone Lagi, Ab To Mil Kar Dekhiye Kia Rang Ho, Phir Humari Justajo Hone Lagi, Dagh Itraye Howe Phirte Hain Aaj, Shayad Un Ki Aabroo Hone Lagi...................!