Posts

Showing posts from September, 2015

Abhi Kuchh Dair Mein Muhsin Wo Pathar Toot Jaai Ga Main Uski Sard Muhri Pe Muhabbat Maar Aaya Hoon

Image
  Abhi Kuchh Dair Mein Muhsin Wo Pathar Toot Jaai Ga Main Uski Sard Muhri Pe Muhabbat Maar Aaya Hoon

Mujh Se Bichhar'r Ke Shehar Main Ghul Mil Gaya Wo Shakhs,Halanke Shehar Bhar Se Adawat Use Bhi Thi

Image

Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho, Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho

Poet Aetbaar Sajid Type By *_FAROOQI.54_* Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho, Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho, Kisi K Khaal-O-Khadd Mein Apne Khaal-O-Khadd Nazar Aaein, Safar Chaahe Kahein Ka Ho Rafaaqat Ho To Aish Ho, Wo Baam-O-Dar Hon Aise Jin Mein Apna Pan Nazar Aaye, Jo Apne Ghar Ki Chhat Jesi Ho, Chhat Ho To Aisi Ho, Mujhe Kanta Chubhe Aur Teri Aankhon Se Lahoo Tapke, Taluq Ho To Aisa Ho, Mohabbat Ho To Aisi Ho, Yahi Mehsoos Ho Jese Kai Sadiyaan Guzaari Hain, Faqat Ik Pal Ki Furqat Mein, Aziyet Ho To Aisi Ho, Kisi K Haal Par Roein Dar-O-Baam-E-Adaalat Bhi, Sadaaqat Ho To Aisi Ho, Wakaalat Ho To Aisi Ho...................*  

Ab To Ghabra Ke Ye Kehtay Hain Keh Mar Jaein Gy Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Jaein Gy

 Poet:Muhammad Ibrahim Zauq Type By *.__NOMI__.* Ab To Ghabra Ke Ye Kehtay Hain Keh Mar Jaein Gy Mar Ke Bhi Chain Na Paaya To Kidhar Jaein Gy Tum Ne Thahrai Agar Ghair Ke Ghar Jaane Ki To Irade Yahan Kuchh Aur Thahar Jaein Gy Hum Nahin Wo Jo Karein Khoon Ka Dawa Tujh Par Balke Poochhe Ga Khuda Bhi To Mukar Jaein Gy Aag Dozakh Ki Bhi Ho Jaye Gi Paani Paani Jab Ye Aasi Arq-E-Sharam Se Tar Jaein Gy Sholaa-E-Aah Ko Bijli Ki Tarah Chamkaon Par Mujhe Dar Hai, Keh Wo Dekh Kar Dar Jaein Gy Laaye Jo Mast Hain Turbat Pe Gulaabi Aankhein Aur Agar Kuchh Nahin Do Phool To Dhar Jaein Gy Nahin Paaye Ga Nishaan Koi Humara Hargiz Hum Jahan Se Rawish-E-Teer-E-Nazar Jaein Gy Puhonchein Gy Raahguzar-E-Yaar Talak Hum Kyon Kar Pehle Jab Tak Na Do Aalam Se Guzar Jaein Gy "Zauq" Jo Madrase Ke Bigr'rhay Hoe Hain Mullah Un Ko Maikhaane Mein Le Aao Sanwar Jaein Gy..........!

Darya-E-Ashk Chashm Se Jis Aan Beh Gaya Sun Leejiyo Keh Arsh Ka Aiwaan Beh Gaya

  Poet:Muhammad Ibrahim Zauq Type By *.__NOMI__.* Darya-E-Ashk Chashm Se Jis Aan  Beh Gaya Sun Leejiyo Keh Arsh Ka Aiwaan Beh Gaya Zaahid Sharaab Peene Se Kaafir Hoa Main Kyon Kya Der'rh Chulo Paani Main Emaan Beh Gaya Yun Roye Phoot Phoot Ke Paaon Ke Aable Naala Sa Ek Soo-E-Bayabaan Beh Gaya Kashti Sawaar-E-Umar Hoon Bahr-E-Fanaa Mein Main Jis Dam Bahaa Ke Le Gaya Toofaan Beh Gaya Tha "Zauq" Pehle Dilli Main Punjaab Ka Sa Husn Par Ab Wo Paani Kehte Hain Multan Beh Gaya.........!

Hai Tere Kaan Zulf-E-Muimbar Lagi Hoi Rakhe Gi Ye Na Baal Barabar Lagi Hoi

Poet:Muhammad Ibrahim Zauq Type By *.__NOMI__.* Hai Tere Kaan Zulf-E-Muimbar Lagi Hoi Rakhe Gi Ye Na Baal Barabar Lagi Hoi Bhaithe Bhare Hoe Hain Khum-E-Mai Ki Tarah Hum Par Kya Karen Keh Muhar Hai Monah Par Lagi Hoi Mayyat Ko Ghusal Deejo Na Khaak-Saar Ki Hai Tan Pe Khaak-E-Kocha-E-Dilbar Lagi Hoi Nekle Hai Kab Kisi Se Bhi Us Ki Mizha Ki Nok Hai Phaans Si Kaleje Ke Andar Lagi Hoi Ay "Zauq" Dekh Dukhtar-E-Raaz Ko Na Munah Laga Chut'ti Nahi Hai Monah Se Ye Kaafir Lagi Hoi............!

Kal Gaye The Tum Jise Bemaar-E-Hijraan Chor'r Kar, Chal Basa Wo Aaj Sab Hasti Ka Saamaan Cor'r Kar

Poet:Muhammad Ibrahim Zauq Type By *.__NOMI__.* Kal Gaye The Tum Jise  Bemaar-E-Hijraan Chor'r Kar, Chal Basa Wo Aaj Sab Hasti Ka Saamaan Cor'r Kar, Tifl-E-Ashk Aisa Gira Daman-E-Mizshagaan Chor'r Kar, Phir Na Utha Kocha-E-Chaak-E-Grebaan Chor'r Kar; Sard-Mehri Se Kisi Ki Aag Se Dil Sard Hai, Yahan Se Hat Jaa Dhoop Ai Abr-E-Baharaan Chor'r Kar, Gar Khuda Dewe Qina'at Maah-E-Yak-Hafta Ki Tarah, Daude Saari Ko Kabhi Aadhi Na Insaan Chor'r Kar.....!

EID MUBARAK

Image
عید کا دن ہے ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ گلے آج تو مل لے ظالم رسم دنیا بھی ہے موقع بھی ہے دستور بھی ہے (¯`'•.¸ ¸.•'´¯) (_¸.•'´ `'•.¸_)  EID MUBARAK  (¯`'•.¸ ¸.•'´¯)    (_¸.•'´ `'•.¸_)  To you & your Family.   (¯`'•.¸ ¸.•'´¯)   (_¸.•'´ `'•.¸_)  Regards:  (¯`'•.¸ ¸.•'´¯)   (_¸.•'´ `'•.¸_) *.__NOMI__.*             (¯`'•.¸ ¸.•'´¯)               (_¸.•'´ `'•.¸_) 

Kuch Aise Dost Bhi Hain Meri Nigaah Mein QATEEL,Keh Mujh Ko Baaz Rakhein Jis Se Khud Usi Pe Marein

Image

Aaghaaz-E-Ishq To Khoob Tha Anjaam Kya Kahon Pehle To Thi Dil Lagi,Ab Dil Ko Ja Lagi

Aaghaaz-E-Ishq To Khoob Tha Anjaam Kya Kahon Pehle To Thi Dil Lagi,Ab Dil Ko Ja Lagi................!

Tujh Se Bichhrha To Murjha Ke Hawa Burd Huwa,Kon Deta Mujhe Khilne Ki Dua Tere Baad

تُجھ ﺳﮯ ﺑِﭽﮭﮍﺍ ﺗﻮ ، ﻣُﺮﺟﮭﺎ ﮐﮯ ھﻮﺍ ﺑُﺮﺩ ھُﻮﺍ ﮐﻮﻥ ﺩﯾﺘﺎ ﻣﺠﮭﮯ ﮐِﮭﻠﻨﮯ ﮐﯽ ﺩُﻋﺎ ، ﺗﯿﺮﮮ ﺑﻌﺪ ؟ مُحسن نقوی

Kehna Hi Parrha Unko Ye Khat Parrh Ke Humara,Kambakht Ki Har Baat Muhabbat Se Bhari Hai

ﮐﮩﻨﺎ ﮨﯽ ﭘﮍﺍ ﺍﻥ ﮐﻮ ﯾﮧ ﺧﻂ ﭘﮍﮪ ﮐﮯ ﮨﻤﺎﺭﺍ  ﮐﻤﺒﺨﺖ ﮐﯽ ﮨﺮ ﺑﺎﺕ ﻣﺤﺒﺖ ﺳﮯ ﺑﮭﺮﯼ ﮨﮯ

Kia Mujhe EID Manane Ka Haq Nahi??????

Image
کیا مجھے عید منانے کا حق نہیں۔۔۔۔؟ کیا دوسرے بچوں کی طرح مجھے کوئی عیدی دیگا ۔؟ کیا مجھے نئے کپڑے پہننے کا حق نہیں۔۔؟ کیا میرے لیے بھی عید ہے ۔؟ کاش آج عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ زندہ ہوتے ۔۔۔۔۔۔

Kaho Kaise Guzarti Hai?

کہو کیسے گزرتی ہے ؟؟ تمھاری زندگی پاگل سنا ہے اب تو عیدیں بھی وہ پہلی سی نہیں کرتے کسی کے گھر نہیں جاتے کسی سے بھی نہیں ملتے کسی کی اک نہیں سنتے کسی سے کچھ نہیں کہتے نہ کوئی "گفٹ" لیتے ہو نہ کوئی "گفٹ" دیتے ہو کبھی کھل کر نہ ہنستے ہو کبھی کھل کر نہ روتے ہو بہت بے کل، بہت اپسٹ، بہت بے چین ہوتے ہو سنا ہے چاند راتوں میں بہت بے موڈ دکھتے ہو وہ کاغذ پھاڑ دیتے ہو کسی کے واستے جن پر بہت سے شعر لکھتے ہو نہ جیتے ہو نہ مرتے ہو سنو........ یہ زندگی پاگل بسر کس طرح کرتے ہو کہو کیسے گزرتی ہے

Barrh Gai Hai Un K Aa Jane Se Shan-E-Roz-E-Eid, Aasmaan Par Hai Dimaagh-E-Rutba-Daan-E-Roz-E-Eid

Poet Hasrat Mohani Type By *_FAROOQI.54_* Barrh Gai Hai Un K Aa Jane Se Shan-E-Roz-E-Eid, Aasmaan Par Hai Dimaagh-E-Rutba-Daan-E-Roz-E-Eid, Ho Raha Hai Mezbaan Mahoo-E-Tamasha-E-Jamal, Mehmaan Be Khudi Hai Mehmaan-E-Roz-E-Eid, Be Qarari Apni Kar Doon Un Ki Shokhi Par Nisaar, Aur Aakhir Kia Unhein Doon Armughan-E-Roz-E-Eid, Wo Haya Parwar Mila Kis Tarah Mujh Se Kia Kahon ? Be Khudi Afza Hai Ya'ani Dastaan-E-Roz-E-Eid, Be Rukhi Hai Aaj Ki Risam-E-Marwat Se Baeed, Kuch To Kar Ay Heela Jo Paas-E-Nishaan-E-Roz-E-Eid, Hoon Khayal-E-Khatir Ahbaab Se Zahir Mein Khush, Warna Main Mehjoor Aur Khush Hoon Miaan-E-Roz-E-Eid, Khatir-E-Ghamdeedah-E-HASRAT Hai Mahoo-E-Gham-E-Hanooz, Kar Chuke Hain Baar'Ha Hum Imtihaan-E-Roz-E-Eid....................*

Chal Ay Gham-E-Dawraan Dar Maiy Khana Hai Nazdeek,Aaraam Se Bhaiten Gy Zara Baat Karen Gy

چل اے غمِ دوراں !! درِ مئے خانہ ھے نزدیک آرام سے بیٹھیں گے ، ذرا بات کریں گے

Aankh Purnam Hai Hawa Se Keh Do, Eid Aa Rahi Hai Aashna Se Keh Do

Aashna Se Keh Do Poet Ayaz Khan Type By *.__Ayaz_Khan__.* Aankh Purnam Hai Hawa Se Keh Do, Eid Aa Rahi Hai Aashna Se Keh Do, Mere Dil Par Khizan Ka Mosam Hai, Roth Chuki Bahaaren Fiza Se Keh Do, Abhi To Hai Ragon Mein Jafa Baqi, Kahen To Melo Mujhe Wafa Se Keh Do, Nahi Rahi Umeed Ab Humein Wafa Ki, Nahi Jeena Hai Aur Qaza Se Keh Do, Raha Raaz-E-Ishq Raaz Hi Ab Tak AYAZ, Hum Na Samjhe Ye Raaz Daan Se Keh Do...!

Sisakti Rutt Ko Mehkta Gulab Kar Don Ga, Main Es Bahar Mein Sab Ka Hisab Kar Don Ga

Poet Atish Aaheer Sisakti Rutt Ko Mehkta Gulab Kar Don Ga, Main Es Bahar Mein Sab Ka Hisab Kar Don Ga, Main Intazar Mein Hon To Koi Sawal To Kar, Yaqeen Rakh Main Tujhe La Jawab Kar Don Ga, Hazar Pardon Mein Khud Ko Chupa K Beth Magar, Tujhe Kabhi Na Kabhi Benaqab Kar Don Ga, Mujhe Bharosa Hai Apne Lahoo K Qatron Pe, Main Neze Neze Ko Shakh-E-Gulab Kar Don Ga, Mujhe Yaqeen Hai K Mehfil Ki Roshni Hon Main, Unhain Ye Khouf K Mehfil Kharab Kar Don Ga, Mujhe Gilas K Andar Hi Qaid Rakh Warna, Main Sare Shehr Ka Pani Sharab kar Don Ga, ATISH Mahjabeen Se Kaho Thora Intazar Karein, Sharab Khane Se Aa Kar Hisab Kar Don Ga...............*

Ku Imkaan Darsara Vi Akhtar Ta Rasha,Yaadavi Khpal Pradi Akhtar Ta Rasha (Pushto)

Image

Eid Aai Mera Yaar Nain Aaya,RABA Khair Howe Aohde Dam Di

عید آئی میرا یار نئیں آیا ربّا خیر ھووے اوہدے دَم دی ہار , شنگھار نہ چَنگے لگ دے کِسے چیز تے نظر نہ جَم دی خوشیاں والئیاں نیندر نہ آوے تے میں رات گزاراں غم دی یار ملے تاں میں "عید " مناواں بِنا یار دے "عید " نہ کَم دی

Koi Yousaf Nahi Is Shehr Main Taabeer Jo Day Khuwaab Aatay Hain Zulaikha Ko Na Jaane Kya Kya

کوئی یُوسف نہیں اس شہر میں تعبیر جو دے  خواب آتے ہیں زلیخا کو نا جانے کیا کیا   Koi Yousaf Nahi Is Shehr Main Taabeer Jo Day Khuwaab Aatay Hain Zulaikha Ko Na Jaane Kya Kya

Phir Khol Raha Hoon Kitaab-E-EID, Na Mukamal Hai Ye Nasaab-E-EID

 Eid Collection-2015 Poet:Ayaz Khan Type By *._Ayaz_Khan_.* Phir Khol Raha Hoon Kitaab-E-EID, Na Mukamal Hai Ye Nasaab-E-EID, EID Ka Chaand Dekh Kar Mujh Ko, Yaad Aata Hai Wo Mehtaab-E-EID, Tere Aane Ki Umeed Nahi Dil Ko, Barra Mushkil Hai Ye iztaraab-E-EID, Toote Howe Dil Ko Jorrna Kar-E-Khair Hai, Kuch To Aap Bhi Lo Sanam Sawaab-E-EID, Khud Ko Tere Pehlu Mein Dekhta Hon Aksar, Zulmi Bara Dilkash Hai Ye Khawaab-E-EID........!

Jalti Shamaein Roshan Cheharay, Kamni Larriyan, Nazuk Seharay, Nargis Baila Muatiya Lala, Johi Champa, Aur Banafsa,

Image
SAALGIRAAH Poet Khalil Ullah Farooqi Type By *_FAROOQI.54_* Jalti Shamaein Roshan Cheharay, Kamni Larriyan, Nazuk Seharay, Nargis Baila Muatiya Lala, Johi Champa, Aur Banafsa, Har Koi Yahan Shad Hay Naa, Aaj Tumhari Saalgirah Hay, Daikho Hum Ko Yaad Hay Naa, Hum To Sirf Duagoo Log, Khak-O-Mehar Ka Kaya Sanjog, Pas Rahein Ya Door Rahein, Wehshat Say Ranjoor Rahein, Mehfil To Aabad Hay Naa, Aaj Tumhari Saalgirah Hay, Tarak-E-Taluq Khoob Kia, Dil Par Kari Waar Saha, Noch Di Konpal Chahat Ki, Aas Na Rakhi Rahat Ki, Dil Mahou-E-Faryad Hay Naa, Aaj Tumhari Saalgirah Hay, Kaisay Kaisay Khawab Bunay, Rang-Ba-Rangay Phool Chunay, Saalgirah Ka Cake Kattay Ga, Un K Hath Pay Hath Rahay Ga, Khawab Har Ik Barbaad Hay Naa, Aaj Tumhari Saalgirah Hay Naa, Daikho Hum Ko Yaad Hay Naa...................!

Main ragg-e-jaan ka laho day k b poray krta Mery hathon say agr usko khsaray hoty

  Main ragg-e-jaan ka laho day k b poray krta Mery hathon say agr usko khsaray hoty Khud se fursat hi mayasar nai ati warna Hum kisi aur k hoty to tumhry hoty  

Ye Meri Aarzoo Thi Keh Meri Takmeel Tum Karte

  یہ میری آرزو تھی کہ  میری تکمیل تم کرتے محبت میں, سفر کی ابتدا سے انتہاؤں تک کوئی بھی مرحلہ آۓ, میرے ہر خواب کی, ہر سوچ کی, تعمیل تم کرتے, میرے سونے سے جیون میں دھنک رنگ ساری دنیا کے, سدا تحلیل تم کرتے, میری آنکھوں میں ہر دم ہیں, تمہارے نام کے پیغام, مجھے تکتے ہوۓ ہر دم, ہر اک پیغام کی ہمدم فقط ترسیل تم کرتے, مگر جو مجھ پہ گزری ہے وہ میں نے کب کہا تھا کہ محبت کے سفر میں, بیچ دوراہے میں لے جا کر, مجھے تم چھوڑ دیتے یوں, میری تحقیر تم کرتے میری تذلیل تم کرتے...!  

Nazar Fareb-E-Qaza Kha Gai To Kya Hoga

نظر فریبِ قضا کھا گئی تو کیا ہوگا حیات موت سے ٹکرا گئی تو کیا ہوگا نئی سحر کے بہت لوگ منتظر ہیں مگر نئی سحر بھی کجلا گئی تو کیا ہوگا نہ رہنماؤں کی مجلس میں لے چلو مجھے میں بے ادب ہوں ہنسی آگئی تو کیا ہوگا غمِ حیات سے بے شک ہے خود کشی آسان مگر جو موت بھی شرما گئی تو کیا ہوگا شبابِ لالہ و گل کو پکارنے والو! خزاں سرشتِ بہار آگئی تو کیا ہوگا یہ فکر کر کے اس آسودگی کے ڈھوک میں تیری خودی کو بھی موت آگئی تو کیا ہوگا خوشی چھنی ہے تو غم کا بھی اعتماد نہ کر جو روح غم سے بھی اکتا گئی تو کیا ہوگا

Mere Rashk-E-Qamar Tu Ne Pehli Nazar Jab Nazar Se Milai Maza Aa Gaya

میرے رشکِ قمر تُو نے پہلی نظر، جب نظر سے ملائی مزا آ گیا میرے رشکِ قمر تُو نے پہلی نظر، جب نظر سے ملائی مزا آ گیا برق سی گر گئی، کام ہی کر گئی، آگ ایسی لگائی مزا گیا جام میں گھول کر حُسن کی مستیاں، چاندنی مسکرائی مزا آ گیا چاند کے سائے میں اے مِرے ساقیا! تُو نے ایسی پلائی مزا آ گیا نشہ شیشے میں انگڑائی لینے لگا، بزمِ رِنداں میں ساغر کھنکنے لگے مئے کدے پہ برسنے لگیں مستیاں، جب گھٹا گر کے چھائی مزا آ گیا بے حجابانہ وہ سامنے آ گئے، اور جوانی جوانی سے ٹکرا گئی آنکھ ان کی لڑی یُوں میری آنکھ سے، دیکھ کر یہ لڑائی مزا آ گیا شیخ صاحب کا اِیمان بہک گیا، دیکھ کر حُسنِ ساقی پگھل ہی گیا آج سے پہلے یہ کتنے مغرور تھے، لُٹ گئی پارسائی مزا آ گیا آنکھ میں تھی حیا ہر ملاقات پر، سُرخ عارض ہوئے وصل کی بات پر اس نے شرما کے میرے سوالات پہ، ایسے گردن جُھکائی مزا آ گیا اے " فنا" شکر ہے آج بعدِ فنا، اُس نے رکھ لی میرے پیار کی آبرُو اپنے ہاتھوں سے اُس نے مری قبر پہ، چادرِ گُل چڑھائی مزا آ گیا

Ay Paikar

اے پیکرِ ___ محبوبی میں کیسے تحھے دیکھوں ...!!! جس نے تجھے دیکھا...!!!...ہے وہ دیدہء__ حیراں ہے

Kon Kehta Hai Mere Dais Mein Karobaar Mande Parr Gaye Hain?

ﮐﻮﻥ ﮐﮩﺘﺎ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﯾﺲ ﻣﯿﮟ ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭ ﻣﻨﺪﮮ ﭘﮍ ﮔﺌﮯ ﮨﯿﮟ؟۔ ﻣﯿﮟ ﯾﮩﺎﮞ ﮔﺮﺩﮦ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﮔﺮﺩﮦ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ۔ ﻋﻮﺭﺕ ﮐﯽ ﻋﺰﺕ ﮐﯿﺎ ﭼﯿﺰ ﮨﮯ ﭘﻮﺭﯼ ﻋﻮﺭﺕ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻋﻮﺭﺕ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﻥ، ﻣﯿﮟ ﻭﻭﭦ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻭﻭﭦ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ، ﻣﯿﮟ ﺑﭽﮯ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺑﭽﮯ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ، ﻣﯿﮟ ﻓﺘﻮﯼٰ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﻓﺘﻮﯼٰ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ۔ ﺍﻧﺼﺎﻑ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ ﺍﻧﺼﺎﻑ ﺑﯿﭻ ﺳﮑﺘﺎ ﮨﻮﮞ، ﯾﮩﺎﮞ ﺟﺞ ﺑﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ، ﻭﮐﯿﻞ ﺑﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ، ﯾﮩﺎﮞ ﻋﻠﻢ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺩﯾﻦ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ۔، ﯾﮩﺎﮞ ﺗﻼﻭﺕ ﮐﮯ ﺩﺍﻡ ﻣﻠﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﯾﮩﺎﮞ ﻧﻌﺘﯿﮟ ﺑﯿﭽﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ۔ ﯾﮩﺎﮞ ﺷﺎﻋﺮ ﮐﮯ ﺍﯾﮏ ﺍﯾﮏ ﻟﻔﻆ ﮐﺎ ﺑﮭﺎﺅ ﻟﮕﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺍﺩﯾﺐ ﮐﮯ ﮬﺮ ﭘﯿﺮﮮ ﻓﻘﺮﮮ ﮐﯽ ﺍﻟﮓ ﺍﻟﮓ ﻗﯿﻤﺖ ﻟﮕﺘﯽ ﮨﮯ۔ ﯾﮩﺎﮞ ﺧﻮﻥ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺳﮑﻮﻥ ﺑﮑﺘﺎ ﮨﮯ۔ ﯾﮩﺎﮞ ﺟﮭﻮﭦ ﺑﻮﻟﻨﮯ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻭﺻﻮﻝ ﮐﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺳﭻ ﺑﮭﯽ ﺍﭼﮭﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﭘﺮ ﻧﯿﻼﻡ ﮨﻮﺟﺎﺗﺎ ﮨﮯ۔ (ﯾﮩﺎﮞ ﺑﺎﭖ ﺑﯿﭩﮯ ﺳﮯ ﺍﺱ ﮐﯽ ﭘﺮﻭﺭﺵ ﮐﯽ ﻗﯿﻤﺖ ﻟﯿﺘﺎ ﮨﮯ ﯾﮩﺎﮞ ﺑﯿﭩﺎ ﺑﺎﭖ ﺳﮯ ﺍﭘﻨﯽ ﺧﺪﻣﺘﻮﮞ ﮐﮯ ﺭﻭﭘﮯ ﮐﮭﺮﮮ ﮐﺮﺗﺎ ﮨﮯ،) ﯾﮩﺎﮞ ﺷﺮﺍﻓﺖ ﺑﮭﯽ ﺁﭖ ﺧﺮﯾﺪ ﺳﮑﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﯾﮩﺎﮞ ﺭﺳﻮﺍﺋﯽ ﺑﺪﻧﺎﻣﯽ ﮐﯽ ﺑﮭﯽ ﻣﻨﮧ ﻣﺎﻧﮕﯽ ﺭﻗﻢ ﻣﺎﻧﮕﯽ ﺟﺎﺗﯽ ﮨﮯ۔ ﯾﮩﺎﮞ ﮬﺮ ﮐﺎﺭﻭﺑﺎﺭﯼ ﺟﻠﺪﯼ ﻣﯿﮟ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺍﺳﮯ ﺧﺮﯾﺪﻧﮯ ﮐﮯ ﻓﻮﺭﺍ " ﺑﻌﺪ ﮐﭽﮫ ﺑﯿﭽﻨﺎ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ۔ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺧﺮﯾﺪﺍﺭ ﺗﻮ ﺑﮭﯽ ﺧﺮﯾﺪﺍﺭ، ﻣﯿﮟ ﺑ...

Ay Ranj Bhari Shaam

"ﺍﮮ ﺭﻧﺞ ﺑﮭﺮﯼ ﺷﺎﻡ" ﭘﺮﻭﯾﻦ ﺷﺎﮐﺮ ﺩﮬﻠﯿﺰِ ﺳﻤﺎﻋﺖ ﭘﮧ ﮐِﺴﯽ ﻭﻋﺪﮮ ﮐﯽ ﺁﮨﭧ ﺍُﺗﺮﮮ ﮐﮧ ﻧﮧ ﺍُﺗﺮﮮ ﺍﮮ ﺭﻧﺞ ﺑﮭﺮﯼ ﺷﺎﻡ! ﺩُﮐﮭﺘﮯ ﮬﻮُﺋﮯ ﺩﻝ ﭘﺮ ﮐﻮﺋﯽ ﺁﮨﺴﺘﮧ ﺳﮯ ﺁ ﮐﺮ ﺍِﮎ ﺣﺮﻑِ ﺗﺴﻠﯽ ﺗﻮ ﺭﮐﮭﮯ، ﭘُﮭﻮﻝ ﮐﯽ ﻣﺎﻧﻨﺪ

Khushbo Hai,Dhanak Hai,Chaandni Hai

خوشبو ھے ، دھنک ھے , چاندنی ھے وہ ، اچھے دِنوں کی شاعری ھے بھیگے ھوئے پھُول , حرف اُس کے رِم جِھم کی زباں میں بولتی ھے ھاتوں میں تھکن ھے , شام جیسی لہجے میں سَحر کی تازگی ھے یہ اُس کی صدا کا بھولپن ھے یا شمعِ سخن پگھل رھی ھے؟ چہرے پہ حیا کا روپ جیسے دریا میں شفق سی گھُل گئی ھے آنکھوں میں گلاب کھِل رھے ھیں کیا جانے وہ کب سے جاگتی ھے؟ برسا ھے خمار چاندنی کا یا اُس کی جبیں دَمک اُٹھی ھے؟ کیا جانے وہ کیسے مُسکرائی؟ ھیرے سے کرن سی چھَن پڑی ھے۔ چہرے پہ بکھر کے زُلف اُس کی سوُرج سے خراج مانگتی ھے وہ محوِ خرام یوں ھے ، جیسے اِک شاخ ھوا سے کھیلتی ھے پَل بھر کو سَرک گیا جو آنچل کلیوں کی طرح سمٹ گئی ھے پرواہ ھی نہیں اُسے کسی کی اپنے آپ سے وہ کتنی اجنبی ھے آئینہ ھی دیکھتا ھے اُس کو آئینہ کہاں وہ دیکھتی ھے؟ وہ غنچہ دَھن ”سکوت زادی“ کُھلنے پہ بھی کم ھی بولتی ھے میں اُس کے بغیر کچھ نہ سوچوں شاید وہ یہ بات سوچتی ھے میں اُس کی انا کا بانکپن ھوں وہ میری غزل کی دلکشی ھے میں گرم رتوں کی لَو کا موسم وہ سَرد رتوں کی سادگی ھے اے خَلوتَیانِ مہ جبیناں !! وہ آپ ھی اپنی آگہ...

Aap Se Arz Mulaqaat Nai Baat Nahi

آپ سے عرض ملاقات ، نئی بات نہیں ھے مرے لب پہ وھی بات ، نئی بات نہیں دل بے تاب یہ ھلچل یہ قیامت کیسی ؟؟ آج کچھ ان سے ملاقات ، نئی بات نہیں آپ آ جائیں تو , رِم جِھم کی صدا ناچ اُٹھے ورنہ یہ رات یہ برسات ، نئی بات نہیں ھے یہی فرقۂ اربابِ وفا کا مقسُوم یہ پریشانئ حالات ، نئی بات نہیں سیف !! اندازِ بیاں ، رنگ بدل دیتا ھے ورنہ دنیا میں کوئی بات ، نئی بات نہیں  سیف الدین سیف

Wo Karen Bhi To Kin Alfaaz Main Tera Shikwa

وہ کریں بھی تو , کن الفاظ میں تیرا شکوہ جن کو تیری , نگاہِ لطف نے برباد کیا.

Kaho Kaise Guzarti Hai??

کہو کیسے گزرتی ہے ؟؟ تمھاری زندگی پاگل سنا ہے اب تو عیدیں بھی وہ پہلی سی نہیں کرتے کسی کے گھر نہیں جاتے کسی سے بھی نہیں ملتے کسی کی اک نہیں سنتے کسی سے کچھ نہیں کہتے نہ کوئی "گفٹ" لیتے ہو نہ کوئی "گفٹ" دیتے ہو کبھی کھل کر نہ ہنستے ہو کبھی کھل کر نہ روتے ہو بہت بے کل، بہت اپسٹ، بہت بے چین ہوتے ہو سنا ہے چاند راتوں میں بہت بے موڈ دکھتے ہو وہ کاغذ پھاڑ دیتے ہو کسی کے واستے جن پر بہت سے شعر لکھتے ہو نہ جیتے ہو نہ مرتے ہو سنو........ یہ زندگی پاگل بسر کس طرح کرتے ہو کہو کیسے گزرتی ہے

Suno Hum Dam

Image
 

Kat Hi Gai Judai Bhi,Kab Ye Huwa Keh Mar Gaye

کٹ ھی گئی جدائی بھی ، کب یہ ھُوا کہ مر گئے تیرے بھی دن گزر گئے ، میرے بھی دن گزر گئے تو بھی کچھ اور، اور ھے ، ھم بھی کچھ اوراور ھیں جانے وہ تو کدھر گیا ، جانے وہ ھم کدھر گئے راھوں میں ملے تھے ھم ، راھیں نصیب بن گئیں تو بھی نہ اپنے گھر گیا ، ھم بھی نہ اپنے گھر گئے وہ بھی غبارِ خاک تھا ، ھم بھی غبارِ خاک تھے وہ بھی کہیں بکھر گیا ، ھم بھی کہیں بکھر گئے کوئی کنارِآبِ جو ، بیٹھا ھُوا ھے سرنگوں کشتی کدھر چلی گئی ، جانے کدھر بھنور گئے تیرے لیے چلے تھے ھم ، تیرے لیے ٹھہر گئے تو نے کہا تو جی اٹھے ، تو نے کہا تو مر گئے وقت ھی کچھ جُدائی کا ، اتنا طویل ھو گیا دل میں تیرے وصال کے ، جتنے تھے زخم بھر گئے بارش وصل وہ ھُوئی ، سارا غبار دُھل گیا وہ بھی نکھر نکھر گیا، ھم بھی نکھر نکھر گئے اتنے قریب ھو گئے، اتنے رقیب ھو گئے وہ بھی عدیم ڈر گیا ، ھم بھی عدیم ڈر گئے عدیم ھاشمی

Mein Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz. Mujhe Milla Nahi Wo Muqam Jis Pe Howe Mard Faaiz

Poet Ayaz Khan Typ By *.__Ayaz Khan__.* Mein Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz. Mujhe Milla Nahi Wo Muqam Jis Pe Howe Mard Faaiz. Main Aaj Bhi Qaid Hon, Muqadr Meri Tanhaiyaan. Izat Lutti Hai Meri Milti Hain Mujhe Ruswaiyaan. Mard Zaat Ne Bana Rakha Hai Mujhe Khillona. Kabhi Pair Ki Juti Kabhi Bestar Ka Bechona. Sadiyon Se Meri Izat Hoti Rahi Taar Taar. Main Roti Rahi Par Suni Na Meri Kisi Ne Pukaar. Kabhi Rajaoon Ki Rahi Kaneez Kabhi Mandaroon Ki Dasi. Mere Dil Mein Rahen Hasraten Aur Meri Roh Rahi Piyasi. Kab Mile Gi Mujhe Rasam-O-Riwaaj Se Aazaadi.? Ya Dulat K Liye Hoti Rahe Gi Meri Quran Se Shaadi.? Main Ourat Zaat Hon Aur Beqasoor Hon. Mein Ourat Hon Shayad is Liye Majboor Hon..!

Qadmoon Main Bhi Thakaan Thi,Ghar Bhi Qareeb Tha, Par Kiya Karein Keh Ab Ke Safar Hi Ajeeb Tha

  Poetess:Parveen Shakir Type By *._.Murtaza._.* Qadmoon Main Bhi Thakaan Thi,Ghar Bhi Qareeb Tha, Par Kiya Karein Keh Ab Ke Safar Hi Ajeeb Tha, Nikle Agar To Chaand Dareeche Main Ruk Bhi Jaaye, Es Shehar-E-Be-Chiraagh Main Kis Ka Naseeb Tha, Aandhi Ne Un Rutoon Ko Bhi Taaj Kar Diya, Jin Ka Kabhi Humsaa Parinda Naseeb Tha, Kuch Apne Aap Se Hi Ose Kashmash Na Thi, Mujh Main Bhi Koi Shakhs Osi Ka Raqeeb Tha, Poochha Kisi Ne Mol To Hairaan Reh Gaya, Apni Nigaah Main Koi Kitna Ghareeb Tha, Maqtal Se Aane Wali Hawaa Ko Bhi Kab Mila, Aisa Koi Dareechha Ke Jo Be-Saleeb Tha.......! Book Name Sad Barg Page No 147

Hijar Ki Shab Ka Kisi Isim Se Katna Mushkil, Chaand Poora Hai To Phir Dard Ka Ghatna Mushkil,

Poetess:Parveen Shakir Type By *._.Murtaza._.* Hijar Ki Shab Ka Kisi Isim Se Katna Mushkil, Chaand Poora Hai To Phir Dard Ka Ghatna Mushkil, Moja-E-Khawaab Hai Wo,Us Ke Thikaane Maa'loom, Ab Gaya Hai To Ye Samjho Keh Palatna Mushkil, Jin Darakhtoon Ki Jarrain Dil Main Utar Jati Hain, Un Ka Aandhi Ki Daraanti Se Bhi Kaatna Mushkil, Qoowat-E-Gham Hai Jo Es Tarha Sanbhale Hai Mujhe, Warna Bikhroon Kisi Lamhe To Samatna Mushkil, Es Se Milte Huwe Chehre Bhi Bohat Hone Lage, Shehar Ke Shehar Se Ik Saath Namatna Mushkil, Ab Ke BhiKhoshoon Pe Kuch Naam Thay Pehle Se Likhe, Ab Ke Bhi Fasal Ka Dehqaanon Main Batna Mushkil.........! Book Name Sad Barg Page No 102  

Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho, Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho,

Poet Aetbaar Sajid Type By *_FAROOQI.54_* Aser Dil Par Kare Shikwah Shikaayt Ho To Aisi Ho, Gale Lag Kar Koi Roye Nidaamat Ho To Aisi Ho, Kisi K Khaal-O-Khadd Mein Apne Khaal-O-Khadd Nazar Aaein, Safar Chaahe Kahein Ka Ho Rafaaqat Ho To Aish Ho, Wo Baam-O-Dar Hon Aise Jin Mein Apna Pan Nazar Aaye, Jo Apne Ghar Ki Chhat Jesi Ho, Chhat Ho To Aisi Ho, Mujhe Kanta Chubhe Aur Teri Aankhon Se Lahoo Tapke, Taluq Ho To Aisa Ho, Mohabbat Ho To Aisi Ho, Yahi Mehsoos Ho Jese Kai Sadiyaan Guzaari Hain, Faqat Ik Pal Ki Furqat Mein, Aziyet Ho To Aisi Ho, Kisi K Haal Par Roein Dar-O-Baam-E-Adaalat Bhi, Sadaaqat Ho To Aisi Ho, Wakaalat Ho To Aisi Ho...................*

Huwe Mar Ke Hum Jo Russwaa,Huwe Kyun Na Gharq-E-Dariya

Poet:Mirza Asadullah Khan Ghalib Huwe Mar Ke Hum Jo Russwaa,Huwe Kyun Na Gharq-E-Dariya? Na Kabhi Janaza Uth'ta,Na Kahin Mazaar Hota........!

Soye Armaan Jagane Ko Chali Aati Hai, Eid Har Baar Rulane Ko Chali Aati Hai

Eid Collection Poet Manaan Qadeer Manaan Type By *_FAROOQI.54_* Soye Armaan Jagane Ko Chali Aati Hai, Eid Har Baar Rulane Ko Chali Aati Hai, Sabqa Eid K To Zakham Abhi Bharte Nahi, Aur Naya Zakham Lagane Ko Chali Aati Hai, Eid Ka Chaand Dikha Kar Mujhe Har Saal Ye Eid, Mera Ghar Baar Lutaane Ko Chali Aati Hai, Eid Khushiyon Ki Bashaarat Hai Magar Mere Liye, Gham Ka Zindaan Sajaane Ko Chali Aati Hai, Kitne Ghar Hon Ge Yahan Jin K Liye Eid Ki Raat, Zeesat K Deep Bujhaane Ko Chali Aati Hai, Eid Ka Chaand Talou Hota Hai Jab Teri Yaad, Gham Ka Paighaan Sunaane Ko Chali Aati Hai, Aisa Lagta Hai Keh Har Saal Koi Roothi Hui Muat, Hum Ko MANAAN Manaane Ko Chali Aati Hai....................* . Book Hum Na Milte To Acha Tha, Page No 78 79

Piro Diye Mere Aansoo Hawaa Ne Shakhoon Main, Bharam Bahaar Ka Baqi Rahe Nigaahoon Main

Poet:Parveen Shakir Type By *._.Murtaza._.* Piro Diye Mere Aansoo Hawaa Ne Shakhoon Main, Bharam Bahaar Ka Baqi Rahe Nigaahoon Main, Saba To Kia Ke Mujhe Dhoop Tak Jaga Na Saki, Kahan Ki Neend Utar Aai Hai In Aankhoon Main, Kuch Itni Tezz Hai Surkhi Ke Dil Dharrakta Hai, Kuch Aur Rang Pass-E-Rang Hai Gulaabon Main, Superdgi Ka Nasha Tootne Nahi Paaya, Anaa Samaai Huwi Hai Wafa Ki Banhoon Main, Badan Pe Girti Chali Ja Rahi Hai Khuwaab Si Barf, Khanak Sapedi Ghuli Ja Rahi Hai Saanson Main........! Book Name Sad Barg Page No 20  

Osi Tarha Se Har Ik Zakham Khushnamaa Daikhe, Wo Aaye To Mujhe Ab Bhi Haraa Bara Daikhe

Poet:Parveen Shakir Type By *._.Murtaza._.* Osi Tarha Se Har Ik Zakham Khushnamaa Daikhe, Wo Aaye To Mujhe Ab Bhi Haraa Bara Daikhe, Guzar Gaye Hain Bohat Din Rafaqat-E-Shab Main, Ik Umar Ho Gayi Chehra Wo Chand Sa Daikhe, Mere Sakoot Se Jis Ko Gile Rahe Kia Kia, Bichharrte Waqt Un Aankhoon Ka Bolna Daikhe, Tere Sivaa Bhi Kayi Rang Khush Nazar Thay Magar, Jo Tujh Ko Daikh Chuka Ho Wo Aur Kia Daikhe, Bas Aik Rait Ka Zaraa Bacha Tha Aankhoon Main, Abhi Talak Jo Musafir Ka Raasta Daikhe, Osi Se Poochhe Koi Dasht Ki Rafaaqat-Jo, Jab Aankh Khole,Pahaarron Ka Silsila Daikhe, Tujhe Aziz Tha Aur Main Ne Us Ko Jeet Liya, Meri Taraf Bhi To Ik Pal Tera Khuda Daikhe......! Book Name Sad Barg Page No 159-160  

Gair Lein Mehfil Main,Boose Jaam Ke, Hum Rahein Yun Tishna Lab Pegham Ke

  Poet:Asadullah Khan Ghalib Type By *._.Murtaza._.* Gair Lein Mehfil Main,Boose Jaam Ke, Hum Rahein Yun Tishna Lab Pegham Ke, Khastagi Ka Tum Se Kya Shikwa, Keh Ye Hatkhande Hain Charaagh-E-Neeli Faam Ke, Khat Lekhenge,Garche Matlab Kuch Na Kaho, Hum To Aashiq Hain Tumhare Naam Ke, Raat Pee Zamzam Pe Maiy,Aur Subah Dam, Dhoye Dhabe Jaama-E-Ahraam Ke, Dil Ko Aankhon Ne Phansaaya,Kya Magar, Ye Bhi Halqe Hain Tumhare Daam Ke, Shah Ke Hai Ghussil-E-Sehat Ki Khabar, Daikhiye,Kab Din Phirein Hamaam Ke, Ishq Ne "GHALIB" Nikama Kar Diya, Warna Hum Bhi Aadmi Thay Kaam Ke.......! Book Name Deewan-E-Ghalib Page No 204

Main Ne Kaha Khayaal-E-Wasl,Us Ne Kaha Keh Khuwaab Hai Main Ne Kaha Farogh-E-Husn,Us Ne Kaha Hijaab Hai

  Poet:Suhail Kakorvi Type By *.__NOMI__.* Main Ne Kaha Khayaal-E-Wasl,Us Ne Kaha Keh Khuwaab Hai Main Ne Kaha Farogh-E-Husn,Us Ne Kaha Hijaab Hai Main Ne Kaha Keh Baat Maan Chehre Ko Be-Naqaab Kar Us Ne Kaha Keh Zid Na Kar Deed Ki Tujh Ko Taab Hai?   Main Ne Kaha Kharaab Hoon Gardash-E-Chashm-E-Mast Se Us Ne Kaha Ke Raqs Kar Saara Jahan Kharaab Hai   Main Ne Kaha Keh Khabar Nahin Kyun Tujhe Kainaat Ki Us Ne Kaha  Shabaab Ki Kaifiyat-E-Shabaab Hai Main Ne Kaha Sukoon Nahin Gham Ki Siyaah Raat Mein Us Ne Kaha Keh Fikar Kya,Jaam Hai Sharaab Hai Main Ne Kaha Keh Ishq Ka Tum Ko Bhi Kuch Hai Tajruba Us Ne Kaha Keh Ishq Kya,Ishq To Lajawaab Hai   Main Ne Kaha Keh Khuwaab Main Dekhe Hain Gaiso-E-Haseen Us Ne Kaha Keh Zindagi Ab Teri Peech-O-Taab Hai   Main Ne Kaha "SUHAIL" Se Raaz-O-Niaz Khoob Hain Us Ne Kaha Suhail Ka Ishq Hi Kaamyaab Hai................!  

Agar Dard-E-Muhabbat Se Na Insaan Aashna Hota Na Kuch Marne Ka Gham Hota Na Jeene Ka Maza Hota

  Poet:Brij Narayan Chakbast Type By *.__NOMI__.* Agar Dard-E-Muhabbat Se Na Insaan Aashna Hota Na Kuch Marne Ka Gham Hota Na Jeene Ka Maza Hota Mai Gul Rang Lutiti,Yun Dar-E-Maikhaana Waa Hota Na Peene Main Kami Hoti,Na Saaqi Se Gila Hota Hazaaron Jaan Dete Hain Butoon Ki Bewafaai Par Agar In Mein Se Koi Bawafa Hota Kia Hota Agar Dam Bhar Bhi Mit Jaati Khalish Khaar-E-Tamanna Ki Dil-E-Hasrat Talab Ko Apni Hasti Se Gila Hota Ye Maana Be-Hijabana Nigaahein Qahar Karti Hain Magar Husn-E-Hayaa Parwar Ka Aalam Dosra Hota......!

Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahista Aahista

Poet:Ameer Minai Type By *.__NOMI__.* Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista Aahista Nikalta Aa Raha Hai Aaftaab Aahista Aahista Jawaan Hone Lage Jab Wo To Hum Se Kar Liya Parda Hayaa Yak-Lakht Aai Aur Shabaab Aahista Aahista Shab-E-Furqat Ka Jaaga Hoon Farishto Ab To Sone Do Kahein Fursat Main Kar Lena Hisaab Aahista Aahista Sawaal-E-Wasl Par Un Ko Udoo Ka Khauf  Hai Itna Dabe Hoonton Se Dete Hain Jawaab Aahista Aahista Wo Bedardi Se Sar Kaatein "Ameer" Aur Main Kahon Un Se Huzoor Aahista Aahista, Janaab Aahista Aahista...........!

Ye Kesa Muasam Chhaya Gulshan Pe Aandhi Lane Wala, Parwanon Ka Muasam Aaya Shamma K Gird Mandlane Wala

Image
  Eid K Pur Musrrat  Moqay Pe Ayaz Khan Paish Karte Hain Poetry Mein Apne Dil K Jazbaat =========== Eid Collection =========== Poet Zulmi Ayaz Khan Type By *_FAROOQI.54_* Ye Kesa Muasam Chhaya Gulshan Pe Aandhi Lane Wala, Parwanon Ka Muasam Aaya Shamma K Gird Mandlane Wala, Titliyan Beth Gai Haathon Par, Kitna Maahir Tha Us Ko Mehndi Lagane Wala, Us Ne Zehar-E-Mohabbat Meri Ragon Mein Utara Rafta Rafta, Kitna Zalim Tha Mujhe Apni Mohabbat Ka Aadi Banane Wala, Phoolon Ne Qasan Khai Hai K Bahaar Mein, Youn Hi Rahe Ga Gulshan Mein Khelne Wala, Dard To Hota Hai Phoolon Ko Jab Shaakh Se Juda Hon, Kitna Zalim Hai Gulcheen Shaakh Se Phool Tor'rne Wala, Hai Kon Itna Maahir Jo Phoolon Ko Haathon Pe Naqash Kare Zulmi ? Rooth Gaya Muasam Titliyon Ka Phoolon Pe Mandlane Wala..................*

Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri, Zindagi Shamma Ki Soorat Ho Khudaaya Meri

  Poet:Allama Muhammad Iqbal Type By *._.Murtaza._.* Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri, Zindagi Shamma Ki Soorat Ho Khudaaya Meri, Door Dunya Ka Mere Dam Se Andhera Ho Jaaye, Har Jagah Mere Chamakne Se Ujaala Ho Jaaye, Ho Mere Dam Se Yunhi Mere Watan Ki Zeenat, Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat, Zindagi Ho Meri Parwaane Ki Soorat Ya RAB, Ilam Ki Shamma Se Ho Mujh Ko Muhabbat Ya RAB, Ho Mera Kaam Ghareebon Ki Himaayat Karna, Dardmandon Se Za'eefoon Se Muhabbat Karna, Mere ALLAH Buraai Se Bachaana Mujh Ko, Naik Jo Raah Hai Us Raah Pe Chalaana Mujh Ko...........! Book Name Bang-E-Dara Page No 19  

Khamosh Hai Chaandni Qamar Ki, Shaakhein Khaamosh Hain Har Shajar Ki,

Poet;Allama Muhammad Iqbal Type By *._.Murtaza._.* Aik Shaam Darya-E-Neckar Hiedel Berg K Kinaare Khamosh Hai Chaandni Qamar Ki, Shaakhein Khaamosh Hain Har Shajar Ki, Wadi K Nawa Firosh Khaamosh , Kuhsaar K Sabz Posh Khaamosh, Fitrat Be Hosh Ho Gai Hai, Aaghosh Main Shab K So Gai Hai, Kuch Aisa Sakoot Ka Fusoon Hai, Neckar Ka Kharaam Bhi Sukoon Hai, Taaron Ka Khaamosh Kaarwaan Hai, Ye Qafla Be Dara Rawaan Hai, Khaamosh Hain Koh-O-Dasht-O-Dariya, Qudrat Hai Muraaqibe Main Goya, Ay Dil Too Bhi Khaamosh Ho Ja, Aaghosh Main Gham Ko Le Ke So Ja.........? Book Name  Bang E Dara Page No 96-97  

Ik Khouf Hai,Ik Saaya Hai Veeran Sarrak Par, Aur Weham Mera Laaya Hai Veeran Sarrak Par

Poet:Farhat Abbas Shah Type By *._.Murtaza._.* Ik Khouf Hai,Ik Saaya Hai Veeran Sarrak Par, Aur Weham Mera Laaya Hai Veeran Sarrak Par, Hai Door Talak Phela Huwa Shaam Ka Manzar, Phir Chupke Se Tu Aaya Hai Veeran Sarrak Par, Ik Jaal Sa Kumlaaye Huwe Beete Dino Ka, Tanhai Ne Phelaaya Hai Veeran Sarrak Par, Ik Yaad Si Lehraai Hai Aankhon Main Hamaare, Ik Phool Kumlaaya Hai Veeran Sarrak Par, Es Raah Se Guzre Ga Koi Qafla Shayad, Jhanda Koi Lehraaya Hai Veeran Sarrak Par, Lagta Hai Koi Kheench Ke Le Aata Hai Tujh Ko, Aksar Hi Tujhe Paaya Hai Veeran Sarrak Par........! Book Name Hum Akele Hain Buhat Page No 22-23

Da Ghurbat Qissa

غُربت مونحٔ د ماښام وو چې سلام وګرزېدو پس د سلام نه يؤ سړے پاڅېدو وئيل پښتنو! يوه خبره کوم، ورته په قھر بل سړے ووئيل تاسو د سوال نه سم روزګار جوړ کړے په ھر مانحٔهٔ کښې خامخا يؤ پاڅی څهٔ عجيبه شانې بھانه جوړه کړی لا کله کله پکښې وژاړی څوک لږ خو ھمت اؤ مزدوری ھم کوئ بې غېرتۍ درباندې زور کړے دے په لاسو پښو اؤ صحت ښهٔ روغ يئ اخر تهٔ کومې مجبورۍ راوستې ستا به کار وشی په دې لسو روپيو ؟ څهٔ يوه ورحٔ يوه پېره خو نهٔ ده تاسو ترې حٔان له سم روزګار جوړ کړے روره زهٔ سوال څهٔ د پېسو نهٔ کوم ما د غربت نه خلاص کړئ بس دے نور تنګ شومه په دې ژوندانهٔ پردے وطن دے درې کوړمې لرمه يوازې تن باندې زهٔ څهٔ وکړمه زما دوه وروڼه په کابل کښې مړهٔ شول په خپله نهٔ لرم اولاد نارينه زهٔ يم ميرات، څهٔ د ھاغو بچی دی پوره يؤ لس جينکۍ دی په کور يوازې زهٔ ورله ګټلے نشم په انسانيت ئې سمبالولے نشم تعليم خو پرېږده د علاج څهٔ وکړم قندار جامه ئې پوره کولے نشم له بيمارۍ مې کور خالی نهٔ شولو يؤ تن نا جوړه خامخا وی پکښې ماله نور چل د زندګۍ نهٔ راحٔی آخر مې دا...

Khazaan Ki Rut Main Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gaya, Ye Aaj Phir Seenghar Ka Khayaal Kaise Aa Gaya,

Poetess:Parveen Shakir Type By *._.Murtaza._.* Khazaan Ki Rut Main Lamha-E-Jamal Kaise Aa Gaya, Ye Aaj Phir Seenghar Ka Khayaal Kaise Aa Gaya, Hansi Ko Apni Sun Ke Aik Baar Main Bhi Choonk Uthi, Ye Mujh Main Dukh Chupane Ka Kamaal Kaise Aa Gaya, Wo Rassam-E-Chaara Saazi-E-Junoon To Khatam Ho Chuki, Ye Dil Ke NaamHaraf-E-Andmal Kaise Aa Gaya, Abhi To Dhoop Rozn-E-Qafas Se Kosoon Door Thi, Abhi Se Aftaab Ko Zawaal Kaise Aa Gaya, Judaiyon Ke Zakham To,Suna Ke,Bhar Chale Thay Phir, Badan Ke Haath Naakhan-E-Wasaal Kaise Aa Gaya, Tamaam Kainaat Azal Se Aainon Ki Zid Pe Thi, Hajoom-E-Aks Main Ye Be-Misaal Kaise Aa Gaya..........? Book Name Sad Barg Page No 125  

Ba Ihtiyat-E-Aqeedat Ba Chashm-E-Tar Kehna, Saba Hazoor (SAW) Se Haal-E-Dil -O-Nazar Kehna

Poetess:Noshi Gilani Type By *._.Murtaza._.* Ba Ihtiyat-E-Aqeedat Ba Chashm-E-Tar Kehna, Saba Hazoor (SAW) Se Haal-E-Dil -O-Nazar Kehna, Hasaar-E-Jabar Main Hoon Aur Yahan Se Bhi Hijrat, Main Janti Hoon Keh Mumkin Nahi Magar Kehna, Main Khaak-E-Shehr-E-Madeena Pehan Ke Jb Nikloon, To Mujh Se Barrh Ke Koi Hoga Moatbar Kehna, Ye Arz Karna Ke Aaqa Meri Bhi Sun Lijiye, Bajiz Tumhare Nahi Koi Charagar Kehna, Main Apni Palkoon Se Likhti Hoon Haraf-E-Naam-E-Rasool (SAW), Mujhe Bhi Aa Gaya Likhne Ka Hunar Kehna, Ye Kehna Ab To Humain Taab-E-Intezaar Nahi, Keh Hum Karenge Madeene Ka Kab Safar Kehna............? Book Name Udass Rehne Ke Din Nahi Hain Page No 17-18  

Khud Se Reshte Rahe Kahan Un Ke, Gham To Jane Thay Ra'egaan Un Ke

Poet:Jaun Elia Type By *._.Murtaza._.* Khud Se Reshte Rahe Kahan Un Ke, Gham To Jane Thay Ra'egaan Un Ke, Massat Un Ko Gumaan Rehne De, Khana Barbaad Hain Gumaan Un Ke, Yaar Sukh Neend Ho Naseeb Un Ko, Dukh Ye Hai Dukh Hain Be-Eemaan Un Ke, Kitni Sar Sabz Thi Zameen Un Ki, Kitne Neele Thay Aasmaan Un Ke, Noha Khuwaani Hai Kya Zaroor Unhain, Un Ke Naghme Hain Noha Khuwaan Un Ke, Book Name GUMAAN Page No 31  

Halat-E-Ahraam Main Shaheed Hone Walon K Naam

Halat-E-Ahraam Main Shaheed Hone Walon K Naam ,*'*, Jisam Pe Lipta "AHRAAM" Gawahi De Ga ... ,*'*, ,*'*, Rab Ne Mehmaan Banaya Tha Shahadat K Liye ......!

Tujh Se Kuch Pal Jo Bichar Jaon To Ghabra Jata Hai Dil Masoom Si Ankhon K Liye To Azaab Ban Jata Hai Dil

Tujh Se Kuch Pal Jo Bichar Jaon To Ghabra Jata Hai Dil Masoom Si Ankhon K Liye To Azaab Ban Jata Hai Dil Aye Mere Chand Kabhi Nikal Aao Hijar Ki Raaton Mein Teri Khatir Hi To Har Sham Se Pehle Doob Jata Hai Dil Tere Sath Kaisa Rishta Hai Mujhe Khud Bhi Malom Nahi Bas Tera Naam Koi Aur Le Itni Si Baat Pe Toot Jata Hai Dil Main Ne Suna Tha K Ishq Ik Samundar Hai Lekin Insan Tarap Tarap K Marta Hai Piyasa Reh Jata Hai Dil.....!

Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Usko Rut Jo Badli To Badlty Howy Dekha Usko

Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Usko Rut Jo Badli To Badlty Howy Dekha Usko Jany Kis Ghum Ko Chupany Ki Tamana Hy Usy Aj Har Bat Pr Hanste Howy Dekha Usko Wo Jo Kanton Ko B Narmi Sy Chuwa Krta Tha Hum Ne Pholon Ko Maslte Howy Dekha Usko Najny Wo Duaon Mein Mangta Hy Kisy Hath Uthaty Hi Sisakty Howy Dekha Usko Phir Hath Dua K Liye Uthaay Hum Ne Jb Muqdar Sy Uljhty Howy Dekha Usko........!

Mere Saathi, Meri Ye Rooh Mere Jisam Se Parwaaz Kar Jaaye

  Poetess:Noshi Gilani Type By *._.Murtaza._.* Aakhiri Khuwahish Mere Saathi, Meri Ye Rooh Mere Jisam Se Parwaaz Kar Jaaye, To Lout Aana, Mere Be-Khuwaab Raaton Ke Azaaboon Par, Sisakte Shehar Main Tum Bhi, Zara Si Dair Ko Rukna, Mere Be-Noor Hoonton Ki Dua'oon Par, Tum Apni Sard Peshani Ka Pathar Rakh Ke Ro Daina, Bas Itni Baat Keh Daina, Mujhe Tum Se Muhabbat Hai.......! Book Name Udass Hone Ke Din Nahin Hain Page No 133

Koi Bhi Kyun Mujh Se Sharminda Huwa, Main Hoon Apne TaurKa Haara Huwa

  Poet:Jaun Elia Type By *._.Murtaza._.* Koi Bhi Kyun Mujh Se Sharminda Huwa, Main Hoon Apne TaurKa Haara Huwa, Dil Main Hai MereKayiChehron Ki Yaad, Janiye Main Kis Se Hoon Rootha Huwa, Shehar Main Aaya Hoon Aj Shaam, Ik Saraaye Main Hoon Thehra Huwa, Be-Tellaq Hoon Ab Apne Dil Se Bhi, Main Ajab Aalam Main Be Dunya Huwa, Hai Ajab Tergi Dar Tergi, Kehkasha'oon Main Hoon Main Lipta Huwa, Mal Bazar-E-Zameen Ka Tha Main "Jaun" , Aasmanon Main Mera Saoda Huwa, Ab Hai Mera Karb-E-Zaat Aasaam Buhat, Ab To Main Us Ko Bhi Hoon Bhoola Huwa.......! Book Name GUMAAN Page No 187-188

Youn Hain Nishan-E-Khoon-E-Shaheedaan Gali Gali, Bikhra Ho Jese Rang-E-Gulistaan Gali Gali

Poetess: Naseem Nazish Type By *_FAROOQI.54_* Youn Hain Nishan-E-Khoon-E-Shaheedaan Gali Gali, Bikhra Ho Jese Rang-E-Gulistaan Gali Gali, Kis Ki Nazar Lagi Meri Basti Ko Ay Khuda ? Kion Ho Gai Hai Shehr Ki Veeran Gali Gali, Aaya Hai Kon Mush'al-E-Aarz Liye Huye, Roshan Hai Aik Husan-E-Farozaan Gali Gali, Phirti Hoon Main Bhi Deed-E-Rukh-E-Yaar K Liye, Muaj-E-Hawa Ki Tarah Pareshan Gali Gali, Gheroon Se Charah Sazi Ki Umeed Hai Abss, Kion Le K Jaon Zakham-E-Dil-Jaan Gali Gali, Huraf-E-Sukhan Ko Aaj Koi Poochta Nahi, Kal The Adabb Nawaz-O-Ghazal Khawaa'n Gali Gali, Behtar Hai Aaj Qadar Karo Is Zameen Ki, Kal Ghoomte Phiro Ge Pasheman Gali Gali, NAZISH Main Apni Aag Mein Jalti Rahi, Magr Hota Raha Hai Jashan-E-Charaaghan Gali Gali...................*

Raja Bhi Laajawaab Tha Wadi-E-Ishq Ka

Poet:Atta Turaab Raja Bhi Laajawaab Tha Wadi-E-Ishq Ka, Lekin Diyaar-E-Hussan Ki Raani Ghazb Ki Thi.

Thi Watan Main Muntazir Jis Ki Koi Chasham-E-Hasee

Poet:Muneer Niazi Thi Watan Main Muntazir Jis Ki Koi Chasham-E-Haseen, Wo Musaafir Jane Kis Sehra Main Jal Kar Mar Gaya.......!

Hoon Meri Khaak Ko Jo Tumhare Qadam Naseeb

  Poet:Muhammad Ibrahim Zauq Hoon Meri Khaak Ko Jo Tumhare Qadam Naseeb Khaaya Karein Naseeb Ki Mere Qasam Naseeb......!

Raas Aa Nahi Saka Koi Pemaan ALVIDAA, Too Meri Jaan-E-Jaan So Meri Jaan ALVIDAA

Poet:Jaun Elia Type By *._.Murtaza._.* ALVIDAA Raas Aa Nahi Saka Koi Pemaan ALVIDAA, Too Meri Jaan-E-Jaan So Meri Jaan ALVIDAA, Main Tere Saath Bujh Na Saka Hadd Guzar Gai, Main Hoon Tujh Se Pashemaan ALVIDAA, Main Ja Raha Hoon Apne Bayabaan-E-Hall Main, Damaan ALVIDAA!, Girebaan ALVIDAA!, Ik Rod-e-Nashanaas Main Hai Doobna Mujhe, So Aey Kinaar-E-Rod, Bayabaan ALVIDAA, Khud Apni Ik Mataa-E-Zaboon Reh Gya Hoon Main, So ALVIDAA, Aey Mere Samaan ALVIDAA, Sehna To Aik Saza Thi Murad-E-Muhaal Ki, Ab Hum Na Mil Saken Ge, Miyaan Jaan ALVIDAA, Aey Sham Gaah-E-Sehan-E-Malaal-E-Hameshgi, Kia Jane Kia Thi Teri Har Ik Aan, ALVIDAA, Kis Kis Ko Hai Alaaqa Yahan Apne Gair Se, Insaan Hoon Main,Too Bhi Hai Insaan  ALVIDAA, Nisbat Kisi Bhi Shay Se Kisi Shay Ko Yaan Nahi, Hai Dil Ka Zara Zara Pashemaan  ALVIDAA, Rishta Mera Koi Bhi "Alif"Bay" Se Ab Nahi, Amrooha ALVIDAA,So Aey "BAAN"  ALVIDAA, Ab Main Nahi ...

In Ki Nazar Se Jaam Peye Ja Raha Hoon Main,Sab Hasraton Ke Chaak Seene Ja Raha Hoon Main

ان کی نظر سے جام پیئے جارہا ھوں میں سب حسرتوں کے چاک سیئے جا رہا ھوں میں برھم مزاج-یار کبھی اس طرح نہ تھا شاید بغیر اذن پیئے جا رہا ھوں میں ساز-حیات جس کی نظر سے ھے نغمہ زن ھر سانس اس کے نام کیے جا رہا ھوں میں دل خواہشوں کا ایک صنم خانہ تھا جسے ھر آرزو سے پاک کیے جا رہا ھوں میں دل پہ بھی تیرا نام کندہ مگر ندیم! یہ پارہ-جگر بھی دئیے جا رہا ھوں میں تم دل کے بادشاہ ھو عالم گواہ ھے کتنا بڑا ثبوت دئیے جا رہا ھوں میں یہ ماجرا بھی قطب سمجھ میں نہ آسکا ان کے بغیر کیسے جیئے جا رہا ھوں میں   شاعر (خواجہ غلام قطب الدین فریدی) کتاب ( بیتابی )

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi.... Par Wo Kisi Or K Liye Saji Thi

Wo Dulhan K Roop Main Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi.... Par Wo Kisi Or K Liye Saji Thi.... Aaj Bhi Uss Ka Roop Wohi Suhana Tha.... Jisay Daikh K Hoa Main Deewana Tha.... Usay Panay Ki Justuju Thi Usay Pana Tha.... Par Usay Kahan Meri Zindagi Main Aana Tha.... Aankho Main Ashk Liye Usay Daikhta Reh Gaya.... Meri Aankhon Say Ashkon Ka Tofaan Beh Gaya.... Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi.... Mere Liye Nahi Kisi aur K Liye Saji Thi.... Mere Dil Main Jo Dhak Dhak Ho Rahi Thi.... Mere Dil Ki Dharkan Bhi Ro Rahi Thi.... Pocho Na Mujh Say Kya Beeti Mujh Par Kya Seh Raha Tha.... Us Ki Doli Ko Jaaty Hoay Daikh Raha Tha.... Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi.... Par Wo Kisi aur K Liye Saji Thi.....

Dil Jo Hai Aag Laga Don Us Ko, Aur Phir Khud Hi Hawa Don Us Ko

Poet:Jaun Elia Type By *._.Murtaza._.* Dil Jo Hai Aag Laga Don Us Ko, Aur Phir Khud Hi Hawa Don Us Ko, Jo Bhi Hai Es Ko Gavaa Bhaita Hai, Main Bhala Kaise Gavaa Don Us Ko, Tujh Gumaan Par Imaarat Ki Thi, Sochta Hoon Ke Main Dhaa Doon Us Ko, Jisam Main Aag Laga Doon Us Ke, Aur Phir Khud Hi Bujha Doon Us Ko, Hijar Ki Nazar To Daine Hai Ose, Sochhta Hoon Ke Bhula Doon Us Ko, Jo Nahi Hai Mere Dil Ki Dunya, Kyun Na Main "Jaun" Mittaa Doon Us Ko...........! Page 201-202

Anokhi Waza Hai Saare Zamane Se Nirali Hain, Ye Aashiq Kon Si Basti Ke Ya Rab Rehne Wale Hain

Poet:Allama Muhammad Iqbal Type By *._.Murtaza._.* Anokhi Waza Hai Saare Zamane Se Nirali Hain, Ye Aashiq Kon Si Basti Ke Ya Rab  Rehne Wale Hain, Ilaaj-e-Dard Main Bhi Dard Ke Lzat Pe Marta Hoon, Jo Thay Chhalon Main Kante Nok Sozan Se Nikale Hain, Phala Phola Rahe Ya Rab Chaman Meri Umeedon Ka, Jigar Ka Khoon De De Kar Ye Boote Main Ne Pale Hain, Rulati Hai Mujhe Ratoon Ko Khamoshi Sitaaron Ki, Nirala ISHQ hai Merta Nirale Mere Nale Hain, Na Pochh Mujh Se Lizzat-e-Khanaamaa Barbad Rehne Ki, Nasheman Senkrron Main Ne Bana Kar Phonk Dale Hain, Nahi Begangi Achhi Rafiq-e-Raah-e-Manzil Se, Thehar Ja Ay Sharar Hum Bhi To Aakhir Mitne Wale Hain, Umeed-e-Hoor Ne Sab Kuchh Sikha Rakha Hai Wa'az Ko, Ye Hazrat Daikhne Main Seedhe Saadhe Bhole Bhale Hain, Mere Ashar Ay "IQBAL" Kyon Piyare Na Hon  Mujh Ko, Mere Toote Howe Dil Ke Ye Dard Angez Nale Hain........! Bang-E-Dara Page No 71

Hue Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu, Kahan Gaya Hai Mere Sheher K Musafir Tu

Poet: Ahmad Faraz Hue Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gaya Phir Tu, Kahan Gaya Hai Mere Sheher K Musafir Tu Meri Misaal K Ik Nakhl-e-Khushk Sehra Hoon, Tera Khayal K Shakh-e-Chaman Ka Tahir Tu Main Janta Hoon K Duniya Tujhe Badal De Gi Main Manta Hoon K Aaisa Nahi Bazahir Tu Hansi Khushi Se Bichar Ja Agar Bicharna Hai Ye Har Maqaam Pe Kia Sochta Hai Aakhir Tu Faza Udaas Hai Dil Muzmahal Hai Main Chup Hoon Jo Ho Sake To Chala Aa Kisi Ki Khatir Tu Faraz Tu Ne Us Se Mushkilo'n Mein Daal Dia Zamana Sahib-e-Zar Aur Sirf Shaair Tu........!  

Buhat Muddat Se Aisa Hai, K Tum Khamosh Rehtay Ho

Buhat Muddat Se Aisa Hai, K Tum Khamosh Rehtay Ho, Koi Gehra Hai Ghum Shayad, Jisay Chup Chap Sehtay Ho, Yunhi Chaltay Hue Tanha, Koi Ghamgeen Se Naghma, Tum Aksar Gungunatay Ho, Doran-e-Guftago Yunhi, Milein Nazron Se Jab Nazren, Toh Baatein Bhool Jatay Ho, Kisi Gum Sum Si Halat Mein, Ya Phir Barish K Mousam Mein, Faqat Itna Hi Kehtay Ho, Udasi Bewaja Si Hai, Buhat Bojhal Tabiyat Hai, Bhala Sach Kyun Nahi Kehtay, Mujhe Tum Yaad Kartay Ho!