Hawa K Zor Sey Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya, Chiraag Ko Jo Bachaatey Thay ,Un Ka Ghar Bhi Gaya, Pukaartey Rahey Mehfooz Kishtiyon Walay, Main Doobata Hua Dariya K Paar, Utar Bhi Gaya, Ab Ehtiyaat Ki Diwaar Kya Uthaatey Ho, Jo Chor Dil Main Chupa Tha, Wo Kaam Kar Bhi Gaya, Main Chup Raha K Is Main Thi Aafiyat Jaan Ki, Koi To Meri Tarah Tha ,Jo Daar Par Bhi Gaya, Sulagtey Sochtey Veeraan Mausamon Ki Tarah, Karraa Tha ehad-E-Jawani ,Magar Guzar Bhi Gaya, Jisey Bhoola Na Saka ,Us Ko Yaad Kya Rakhta, Jo Naam Dil Main Raha, Zehan Sey Utar Bhi Gaya, Phati-Phati Hui Aankhon Sey Yoon Na Dekh Mujhe, Tujhe Talaash Hai Jis Ki Wo Shakhs ,Mar Bhi Gaya, Magar Falak Ki Adaawat Usi K Ghar Sey Na Thi, Jahaan 'Faraz' Na Tha, Sail-E-Gham Udhar Bhi Gaya ! Ahmed Faraz