Posts

Showing posts from December, 2013

Khamoshi Unglian Chatkha Rahi Hai Teri Aawaz Ab Tak

POET NASIR KAZMI Type bY UJRRA_DIL Khamoshi Unglian Chatkha Rahi Hai, Teri Aawaz Ab Tak Aa Rahi Hai, Dil-E-Wehashi Liye Jata Hai Lekin, Hawa Zanjeer Si Pehna Rahi Hai, Tairy Shehar-E-Tarbb Ki Ronqon Mein, Tabbiyat Bhi Ghabra Rahi Hai, Karam Ay Sar-Sar-E-Aalaam-E-Doran, Dilon Ki Aag Bujhti Ja Rahi Hai, Karry Kosoon K Sunaty Hain Laikin, Tairi Aawaz Ab Tak Aa Rahi Hai, Tanaab-E-Kheema-E-Gul Tham NASIR, Koi Aandhi Uffq Sy Aa Rahi Hai......! Book Barg-E-Nay Page 60

Gali Gali Aabad Thi Jin Se Kahan Gaye Wo Log?

P0ET NASIR KAZMI Type bY UJRRA_DIL Gali Gali Aabad Thi Jin Se Kahan Gaye Wo Log? Dili (Dehali) Ab K Aisi Ujri Ghar Ghar Phaila Sog, Sara Sara Din Galion Mein Phirte Hain Be Kaar, Raton Ko Uth Uth Kar Rote Hain Is Nagri K Log, Sehmy Sehmy Sy Baithy Hain Raagi Aur Fankar, Bhor Bhye Aub Un Galiyon Mein Kon Sunaye Jog, Jb Tak Hum Masroof Rahy Ye Dunya Thi Sunsan, Din Dhalty Hi Dhayan Mein Aaye Kaisy Kaisy Log ? NASIR Hum Ko Raat Mila Tha Tanha Aur Udas, Wahi Purani Baatein Us Ki Wahi PURANA ROG....! Book Barg-E-Nay Page 59

Sada-E-Raftgan Phir Dil Se Guzari Nigah-E-Shoq Kis Manzal Se Guzari

POET NASIR KAZMI Type bY UJRRA_DIL Sada-E-Raftgan Phir Dil Se Guzari, Nigah-E-Shoq Kis Manzal Se Guzari, Kabhi Roye Kabhi Tujh Ko Pukara, Shab-E-Furqat Bari Mushkil Se Guzari, Hawa-E-Subha Ne Chonka Dia Youn, Teri Aawaz Jaise Dil Se Guzari, Mera Dil Khogar-E-Toofan Hai Warna, Ye Kashti Bar'Ha Sahil Sy Guzari.......! . Book Barg-E-Nay Page 58

Kise Dekhein Kahan Daikha Na Jaye Wo Dekha Hai Jahan Dekha Na Jaye

POET NASIR KAZMI Type bY UJRRA_DIL Kise Dekhein Kahan Daikha Na Jaye, Wo Dekha Hai Jahan Dekha Na Jaye, Meri Barbadion Par Rone Wale, Tujhe Mahoo-E-Faghaan Daikha Na Jaye, Zameen Logon Sy Khali Ho Rahi Hai, Ye Rang-E-Aasman Daikha Na Jaye, Safar Hai Aur Ghurbbat Ka Safar Hai, Gham-E-Sadd Karwaan Daikha Na Jaye, Kahein Aag Aur Kahein Laashon K Anbar, Bs Ye Dor-E-Zamaan Daikha Na Jaye, Dar-E-Deewar Veeran Sham'Ma Madham, Shab-E-Gham Ka Samaan Daikha Na Jaye, Purani Suhbatein Yad Aa Rahi Hain, Charaghon Ka Dhowan Dekha Na Jaye, Bhari Barsat Khali Ja Rahi Hai, Sar-E-Abr-E-Rawan Daikha Na Jaye, Kahein Tum Aur Kahein Hum, K?a Ghazab Hai, Faraq-E-Jisam-O-Jaan Dekha Na Jaye, Wohi Jo HASIL-E-HASTI Hai NASIR, Usi Ko Mehrban Daikha Na Jaye......! . Book Barg-E-Nay Page 56 57

Choori Ki Khank Ko Tarsta Dil Aur Ye Guzrta December

    POET UMAR RAAHI Type By UJRRA_DIL    Choori Ki Khank Ko Tarsta Dil, Aur Ye Guzrta December, Pazaib Ki Jhankar Sunay Mechlta Dil, Aur Ye Guzrta December, Garm Un Hathon Ka Lams Na Mila, Howay Hath Mere Yakhbsta Aur Udas Dil, Aur Ye Guzrta December, Tarpa Dil Bahon K Haar Ko, Aankhon Sy Behta Raha Aabshar Veeran Dil, Aur Ye Guzrta December, Ik Baar Aa Kar Lagaty Jo Seeny Sy, Behal Jata Ye Nadan Dil, Aur Ye Guzrta December, Hai Mehman Ye December Pal Bhar Ka, Tujhy Pukarta RAAHI Ka Dil, Aur Ye Guzrta December.....!    

Kuch Pal Baqi Hain December K Lout Aao

    POET UMAR RAHI Type By UJRRA_DIL    Kuch Pal Baqi Hain December K Lout Aao, Aa Kar Doori Ye Mitao Lout Aao, Saja Lon Main Ek Mehfil Guzrte December Mein, Meri Pukar Meri Iltja Suno Lout Aao, Saja Sakta Hon Mehfil-E-Vida-E-December Ab Bhi, Agar Chaho Agar Samjho Mair Mano To Lot Aao, Kora Na Guzry Aas Ly Kar Ye December, Honton Sy Honton Py Pyaar Ki Muhar Lagao Lot Aao, RAAHI Daikh Raha Guzrty December Mein Tairi Raah, KHUDARA Aur Na Ab Tarrpao Lot Aao.......!    

Kam Fursti-E-Khawab-E-Tarb Yad Rahe Gi

POET NASIR KAZMI Type bY UJRRA_DIL Kam Fursti-E-Khawab-E-Tarb Yad Rahe Gi, Guzari Jo Tere Sath Wo Shab Yad Rahe Gi, Har-Chand Tera Ehd-E-Wafa Bhool Gaye Hum, Wo Kashm-E-Kash-E-Sabar Talab Yaad Rahi Gi, Seeny Mein Umngon Ka Wahi Shor Hai Ab Tak, Wo Shokhi-E-Yak-Janbsh-E-Labb Yaad Rahi Gi, Phir Jis K Tasvur Mein Barsny Lagi Aankhein, Wo Barhmi-E-Suhbbat Yaad Rahy Gi, Go HIJAR K LAMHAT Bohat Talakh Thy Laikin, Har Baat Ba-Unwan-E-Tarbb Yaad Rahy Gi......! Book Barg-E-Nay Page 61

Ishq K Nashey Mein Dhoobey Tu Yeh Jana Hum Nay "Faraz", K Dard Mein Tanhai Nahi Hoti, Tanhai Mein Dard Hota Hai...!

Image

Us Shaam Wo Rukhsat Ka Saman'n Yaad Rahe Ga

Image

Buhat Roshan Hy Sham-e-Gham Hamari

Image
 

Na Aankhein Hi Barsi Na Tum Hi Mile Baharon Mein Ab K Naye Gul Khile

Poet NASIR KAAZMI Type bY UJRRA_DIL Na Aankhein Hi Barsi Na Tum Hi Mile, Baharon Mein Ab K Naye Gul Khile, Na Jane Kahan Le Gaye Qafle ? Musafir Bari Door Ja Kar Mile, Wohi Waqat Ki Qaid Hai Darmian, Wohi Manzalain Aur Wohi Fasle, Jahan Koi Basti Nazar Aa Gai, Wahein Ruk Gaye Ajnabi Qafle, Tum Hi Dil Garfta Nahi Dosto, Humain Bhi Zamane Se Hain Kuch Gile, Humein Bhi Karein Yad Ehl-E-Chaman, Chaman Mein Agar Koi Ghancha Khile, Abhi Aur Kitni Hai Mayaad-E-Gham ? Kahan Tak Milein Gy Wafa K Sily....? Book Barg-E-Nay Page 42 43

Din Phir Aaye Hain Bagh Mein Gul K Boo-E-Gul Hai Suragh Mein Gul K

POET NASIR KAZMI Type bY UJRRA_DIL Din Phir Aaye Hain Bagh Mein Gul K, Boo-E-Gul Hai Suragh Mein Gul K, Dil-E-Veeran Mein Doston Ki Yad, Jaise Jugnoo'n Hon Dagh Mein Gul K, Kaisi Aai Bahar Ab K Baras ? Boo-E-Khoon Hai Ayagh Mein Gul K, Ab To Raston Mein Khak Urti Hai, Sab Karshme Thay Bagh Mein Gul K, Aanswon K Diye Jala NASIR, Dam Nahi Ab Charagh Mein Gul K.......! . Book Barg-E-Nay Page 51

Aane Se Us K Aye Bahar Jane Se Us K Jaye Bahar

  Singer Muhammad Rafi Aane Se Us K Aye Bahar Jane Se Us K Jaye Bahar. Bari Mastani Hai Meri Mehbooba Meri Zindgani Hai Meri Mehbooba. Gungunaye Aise Jaise Bajte Ho. Ghongharo Kahin Pe Aake Parvaton Se Jaise Girata Ho Jharna Zamin Pe. Jharno Ki Mauj Hai Woh Maujon Ki Ravani Hai Meri Mehboba Is Ghata Ko Main To Us Ki Ankhon Ka Kajal Kahon Ga Is Hava Ko Main To Us Ka Laharata Anchal Kahon Ga. Hooron Ki Malika Hai Pariyon Ki Rani Hai Meri Mehboba Beet Jate Hain Din Kat Jati Hai Ankhon Me Ratein Hum Na Jane Kya Kya Karte Rahte Hain Apas Me Batein Main Thora Diwana Thori C Diwani Hai Meri Mehboba Ban Sanwar K Nikale Aye Savan Ka Jab Jab Mahina Har Koi Ye Samajhe Hogi Vo Koi Chanchal Hasina Pocho To Kon Hai Vo Rut Ye Suhani Hai Meri Mehbooba.  

Jab Laga Tha Teer Tab Dard Itna Na Howa

Image

Saqia Uth Baith Bhar De Jam Ko Daal Choolhe Mein
Gham-E-Ayam Ko

Image
  Poet Khawaja Hafiz Sheeraz Type bY UJRRA_DIL Saqia Uth Baith Bhar De Jam Ko, Daal Choolhe Mein Gham-E-Ayam Ko, Bhar K De Saghar Keh Aakhir Kab Talak ? Kibar-O-Nakhwat Nafs-E-Na-Frman Ko, Saghar May Dy Keh Main Phaiko'n Utar, Jisam Sy Is Dalaq-E-Arazq Faam Ko, Ho Jo Badnami Hai, Nazd-E-Aaqlan, Kaya Karo'n Ga Ly K Nang-O-Naam Ko, Dod-E-Aah-E-Seena-E-Sozan Maira, Phoonk Dy In Pukhtgan-E-Kham Ko, Mehram-E-Raaz-E-Dil-E-Sheeda Nahein, Khoob Daikha Phir K Khas-O-Aam Ko, Lag Gaya Dil Ik Dil Aaram Sy, Ly Gaya Yakmushat Jo Aaram Ko, Sar Par Dalein Chaman Mein Kaya Nazar ? Daikh Kar Us Sar-O-Seem Andam Ko, Phir Gaya Dunya Sy Dil Go Sabr Kar, Kha Khushi Sy Gham Gi, Kaat Ayam Ko, Mushkilein HAFIZ Jo Ho'n Bardashit Kar, Sehal Ho'n Gi Mushkilein Anjam Ko.....! . Book Deewan-E-Hafiz Page 59 Gzl Num 13

Zara Zulf-E-Barham K Kham Dekhna Talatuf Ba Rang-E-Sitam Dekhna

  Poet Wasif Ali Wasif    Zara Zulf-E-Barham K Kham Dekhna, Talatuf Ba Rang-E-Sitam Dekhna, Na Jana Mujhe De K Gham Dekhna, Tujhe Par Na Jaye Alam Dekhna, Mujhe Yad Hai Wo Qayamat Abhi, Tera Mur K Har Har Qadam Dekhna, Badal Jaye Ga Too Bhi Meri Tarha, Wo Kehte Hain Mujh Se Sitam Dekhna, Shikayat Na Kar Gardis-E-Waqt Se, Nahi Lutf Ka Muntazir Aik Too, Hai Dunia Ko Un Ka Karam Dekhna............!   Page (S.B.)   

Hum Apni Hasti Ko Alam Samjhe Han Magar Tere Gham

  Poet Wasif Ali Wasif    Hum Apni Hasti Ko Alam Samjhe, Han Magar Tere Gham Se Kam Samjhe, Tark-E-Ulfat Pe Aktiar Na Tha, Hum Tere Zulm Ko Karam Samjhe...! Sarfarazi Bashar Ko Milti Hai, Shart Ye Hai K Sar Qalam Samjhe, Aa Gahi Khud Fareb Khurda Hai, Is Haqeeqat Ko Log Kam Samjhe, Kia Ta'aluq Tha Aap Se Apna, Aap Samjhe Isay Na Hum Samjhe, Zindagi Ki Har Aik Uljhan Ko...! Hum Tere Gaisoo'n Ka Kham Samjhe, Ab Khuda Samjhe Aap Ko Wasif, Mujh Se Kia Keh Rahe Ho Hum Samjhe............!   Page 183 (S.B.)   

Wo Jo Kirdar Ka Misali Hai Us Ne Sorat Meri Chura Li Hai

  Poet Wasif Ali Wasif    Wo Jo Kirdar Ka Misali Hai, Us Ne Sorat Meri Chura Li Hai, Too Ne Har Aik Dil Kia Zakhmi...! Main Ne Har Aik Se Dua Li Hai, Tera Husn-E-Salook Bhi Dekha, Apni Jurat Bhi Aazma Li Hai, Kon MAALIK Hai Is Amanat Ka,! Too Ne Seene Se Jo Laga Li Hai, Kor Chashmo Ki Hai Pazeerai...! Ahl-E-Banish Ki Paimali Hai, Ye Alag Bat Lutt Gai Izat, Qeemti Jan To Bacha Hai, Shikwa Taqdeer Ka Abass Wasif, Khud Nasheman Mein Barq Pa Li Hai...................!   Page 191(S.B.)   

Wo Pas Tha To Mujhe Manzalein Dekhata Tha

  Poet Wasif Ali Wasif    Wo Pas Tha To Mujhe Manzalein Dekhata Tha, Juda Howa To Wo Khud Raste Se Bhatka Tha, Main Chal Raha Hon Magar Fasle Nahi Mite, Ye Hadsa Bhi Meri Zindagi Mein Hona Tha, Wo Bheer Thi K Nazar Se Nazar Na Milti Thi, Hajoom-E-Shehr Mein Aadmi Akela Tha, Taras Raha Hai Ab Ek Boond Ki Anayat Ko, Wo Aadmi Jo Samandar Ki Teh Mein Rehta Tha, Ghalat K Us K Yahan Aag Bhi Na Jalti Thi, Ghalat K Sara Dhowan Mere Ghar Se Nikla Tha, Chalo Gir Hi Gai Apne Bojh Se Deewar, Chalo K Sirf Isi Bat Ka To Jhagra Tha, Wo Aik Lamha Jo Sadian Nikal Gia, WASIF Wo Lamha Waqt Ne Khud Aasteen Mein Pala Tha.............!   Page 19 (S.B.)   

Ronaq-E-Bazm-E-Tarb Yad Na Kar Zeest K Gham Ka

  Poet Wasif Ali Wasif    Ronaq-E-Bazm-E-Tarb Yad Na Kar, Zeest K Gham Ka Sabab Yad Na Kar, Dekh Andaz-E-Atta Bhi Us Ka, Apna Andaz-E-Talab Yad Na Kar,! Kis Tarha Aai Sahar Ghor Se Dekh, Kis Tarha Guzri Hai Shab Yad Na Kar, Us Ka Paigham Rahe Pesh-E-Nazar, Husn Ki Junbash-E-Lab Yad Na Kar, Dekh Kirdar Ki Janib WASIF, Rutba-O-Jaah-O-Nasab Yad Na Kar...............!   Page 195 (S)   

Kash Main Ek Phool Hota Kali Se Main Gulab Banta

    POET UMAR RAAHI Type By UJRRA_DIL    Kash Main Ek Phool Hota, Kali Se Main Gulab Banta, Kisi Bagh Mein Mehkta, Koi Reshmi Hath Mujhe Torta, Sajati Phir Apny Balo'n Mein, Kho Jati Payary Khayalo'n Mein, Khailta Mein Kaali Kaali Zulfo'n Sy Phir, Aag Lagata Tan Man K Andar, Soonghny Ko Jo Lagati Naak Sy, Honto'n Sy Ik Payar Ka Jaam Peeta, Kash Mein Ik Phool Hota, Sajta Kisi K Gajry Mein, Rehta Kisi K Hatho'n K Pehry Mein, Mehkata Kisi Ka Sehan, Sajata Kisi Ka Aangan, Kash Keh Aisa Hota, Kash Main Ik Phool Hota, Mandlati Mujh Py Koi Titli, Ban Jati Mairi Koi Sahaili, Gati Mairy Geet Bulbul, Macha Apni Aawaz Ki Halchal, Sajta Kisi Shehzadi Ki Saij Py, Sharart Karta Usi Ki Saij Py, Kahein Sajta Kisi Ki Marqad Py, Murjha K Apni Khushboo Khota, Kaaash Main Ik Phool Hota.......!    

Ishq Labon Pe Ishq Dua Mein Jism Mein Rooh Mein

  Poet Sahir Ludhianvi    Ishq Labon Pe Ishq Dua Mein, Jism Mein Rooh Mein, Ishq Rava Rava Rawa Ravaa, Ishq Nazar Mein Ishq Bashar Mein, Aks Mein Raks Mein Ishq-E-Nishan, Nishan Nishan, Dam Malang Malang Dam, Dam Malang Malang, Malang Malang Dam, Ishq Ishq Hai Malang Mera, Ishq Hai Aawara Ishq Hai Banjara, Ishq Hai Angara, Rehta Hai Behta Hai, Ye Ishq Sharton Mein Ishq Mein Mit Jaon, Ishq Mein Beh Jaon, Ishq Mein Ho Jaon, Fana Fana Fanaa Fanaaa, Malang Malang Dam Dam Malang Malang, Ishq Ishq Hai Malang Mera, Meri Manaton Mein Meri Janaton Mein, Tera Hi Tera Shumaar Hai, Meri Chaahton Pe Meri Rahton Pe, Tera Hi Tera Khumar Hai, Malang Malang Main, Tere Liye Hi Hon Malang Main, Meri Ulfaton Mein Meri Shidaton Mein, Sajdon Mein Tera Hi Noor Hai..........!   

Ban k Gajra Tere Baalon Me Bikhar Jaon Main

Image
  Ban k Gajra Tere Baalon Me Bikhar Jaon Main. Misal-e-Kajal Teri Ankhaon Me Sanwar jaon Main. Sans Ban k Kabhi Nathnoan Se Kabhi Honton Se. Hoale Hoale Tere Seeney Me Utar Jaon Main. Arzo Dil Ki Meri Jaan-e-Wafa Bass Hai Yehi. Tere Honton Pe Hansi Ban k Nikhar Jaon Main. Mar K Bhi Saath Rahe Tera Bas Ek Is k Liye. Khoon Ban k Teri Rag Rag Me Utar Jaon Me..  

Woh Pichli Barishon Mein Hum

    Woh Pichli Barishon Mein Hum, Barry Na'daan Hotey Thy. Sabhi Ki Aankh Sy Bach Ker, Purani Kaapiyon Sy Hum Warq Kuch Noch Letey Thy. Hum ik Kashti Banaaty Thy. Woh Paani Per Chalaatey Thy. Humain Legta Tha Jesy Hum, Ussi Kashti Mein Bethy Hain. Woh Kashti Doob Jati Thi, To Hum Bhi Doob Jatey Thy. Woh Kashti Paar Lagti Thi, To Hum Bhi Paar Lagty Thy. Chalo Guzrey Huye Kal K Woh Pal phir Dhoond Laatey Hain. Purani Kaapiyan Ly Kr Nai Kashti Banaty Hain. Woh Paani Per Chalaatey Hain. Chalo Phir Paar Lagtey Hain, Ya Phir Doob Jatey Hain..!!    

Dil Me Kuch Moortain Basa Lijiye

Image
Dil Me Kuch Moortain Basa Lijiye, Zindagi Ko Zia Bana Lijiye, Ye Meri Jaan Hai Ye Mera Dil Hai, Jo Tabiat Karay Uthaa Lijiye. Meri Hasti Ko Cheen Kar Mujh Se, Mujh Ko Nuqsan Se Bacha Lijiye, Kuch Na Kuch Tu Ghatti Tareeki, Dagh Ho Ya Dia Jala Lijiye, Hum Na Chorein Gy Ap Ka Daman, Jis Qadar Zor Hai Laga Lijiye, Ye Bhi Pyasi Hai Muskurahat Ki, Meri Halat Pe Muskura Lijiye. Kis Ne Ye Mashwara Diya Hai Tumhain, Chaand Si Shakal Ko Chupa Lijiye

Main Ruthia Yar Manava Gi,

Har Chilman Phoonk Jalava Gi,

Jad Pathar Ranjha Pighle Ga Tad Main Kamli Kehlavan Gi (KAMLI KAMLI LYRIC SONG DHOOM3)

  Singer Sunidhi Chauhan   ============= KAMLI KAMLI =============   Main Ruthia Yar Manava Gi, Har Chilman Phoonk Jalava Gi, Jad Pathar Ranjha Pighle Ga Tad Main Kamli Kehlavan Gi, Mere Mahia Sanam Janam, Ki Main Kareyan Namidanam, Shab Guzri Te Jag Soya Ni Main Jagia Namidanam, Ni Main Kamli Kamli, Ni Main Kamli Kamli Mere Yar Di, Jheel Dil Ko Kar Gia To Daria Daria, Mere Yara Ankhian De Mohale, Mein Har Sham Tera Aalam, Shab Guzri Te Jag Soya Ni, Main Jagiya Namidanam, Mere Mahia Sanam Janam, K main Karia Namidanam, Shab Guzri Te Jag Soya, Ni Main Jagia Namidanam, Main To Pehan K Safa K Saria, Jugni Jogan Ban Jaon, Surme De Kale Jado Se Keh De To Jog Bhulaon, Main Tan Sahr Di Thandi Shabnam Hai, Gulshan Ka Itar Charhaon Rukh Badlon To, Sailab Hon Main Parbat Bhi Cheer Dikhaon, Bekhudi Mein To Khudi Ka Zaria Zaria, Mere Yara Jhalar Mein Sataro Ka, Chand Warga To Yara Shab Guzri Te, Jag Soya Ni Main Jagi...

Wo Khayal Tha Koi Dhanak Numa Ya Koi Aks Tha Mere Roo Ba Roo

    Poet Wasiq Ali Athar    Wo Khayal Tha Koi Dhanak Numa, Ya Koi Aks Tha Mere Roo Ba Roo, Jo Mujhe Har Taraf Se Too Laga, Ya Koi Aur Tha Tere Hoo Ba Hoo, BAYAN Mein Thi Wo Chashni, K Mehak Raha Tha Haraf Haraf, JAISE Khushboo'n Ki Zaban Mein, Koi Kar Raha Ho GUFTAGOO, NAHI Kuch Khabar K Kis Ghari, Tere Raston Ka Sira Mila Tere Naqsh-E-Pa Ki Talash Mein, Lagi To Hai Meri JUSTAJOO, BAS Dekhna Hai Kis Tarha, Wo Jee Raha Hai Mere BAGHAIR, Youn To Dil Mein Hai Wo Aaj Bhi, Jise Dhoondta Hon Chaar Soo..............!     

Mujhe Ek Gali Mein Para Howa Kisi Bad naseeb Ka Khat Mila

  Poet Mohsin Naqvi    Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha, Sar-e-Bazm Rat Ye Kia Howa, Meri Aankh Kaise Chalak Gai, Mujhe Ye Ranj Hi Ye Bura Howa, Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jan Mila, Wo Pukhta Kar K Jafa Mila, Na Kisi Ki Zarb Ghalat Pari, Na Kisi Ka Teer Khata Howa, Mujhe Aap Kion Na Samjh Sake, Ye Khud Apne Dil Hi Se Poochiye, Meri Dastan-e-Hayat Ka To, Wo Warq Warq Hai Khula Howa, Mujhe Ek Gali Mein Para Howa, Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila, Kahein Khoon-e-Dil Se Likha Howa, Kahein Aanso'on Se Mita Howa, Mujhe Humsafar Bhi Mila, To Shikasta Haal Meri Tarha, Koi Manzalon Ka Thaka Howa, Kahein Raste Mein Loota Howa Humain, Apne Ghar Se Chale Howay Sar-e-Umar Guzar Gai, MOHSIN Na Kisi Ki Justojoo Ka Sila Mila, Na Safar Ka Hai Haq Ada Howa................!   

Wo Kahan Gura-E-Sukhan Kholta Hai Aks Aaine Se Kab Bolta Hai

  Poet Mohsin Naqvi    Wo Kahan Gura-E-Sukhan Kholta Hai, Aks Aaine Se Kab Bolta Hai, Un Ko Tabeer Ki Zanjeer Mein Bant, Khawab Aankon Mein Kahan Rolta Hai, Kion Damakta Hai Nadi Ka Pani, Kon Mojon Mein Badan Gholta Hai, Kon Aandhi Sukhata Hai Azab, Jab Parinda Koi Par Tolta Hai, Shehr Jab Khof Se Chup Ho MOHSIN, Aik Dil Hai K Bahut Bolta Hai..............! Page 184 (R)   

Us Ko Shazada Mila Bhi Ya Kahein Khud Kho Gai?

  Poet Mohsin Naqvi    Us Ko Shazada Mila Bhi Ya Kahein Khud Kho Gai,? Dastaan Go Phir Wo Shazadi Kahan Gum Ho Gai? Khof-E-Shab Khoon Din Mein, Zehno Par Musalat Tha Magar, Shehr Ki Khilqat Pe Kia Guzri K Shab Ko So Gai, Ya Laho Peete Howay Kheton Ne Ugli Mayatein, Ya Adov Ki Foj Dharti Mein Katte Sar Bo Gai, Ahtajajan Subha Ki Qatil Hawa Se Rooth Kar, Sar Barhana Rat Aai Aur Maqtal Ko Gai, Ek Laho Ka Rang Tere Jurm Ariyan Kar Gia, Ek Laho Ki Boond Mere Pairhan Ko Dho Gai, Us Se Aage Kia Tha Ek Andhi Gali Ujra Makaan, Ye Ghaneemat Jan Dunia Us K Ghar Tak To Gai, Ek Sadi Aate Dino K Dukh Mein Hai MOHSIN Udas, Ek Sadi Ki Biogi Marte Dino Ko Ro Gai...........!   Page 126(R)   

Pyas Pee Kar Bhi Mast Rehte Hain Meri Basti K Log Ache Hain

  Poet Mohsin Naqvi    Piyas Pee Kar Bhi Mast Rehte Hain, Meri Basti K Log Ache Hain, Phir Hawa Sazishein Na Barsaye, Sab Parinde Udas Lagte Hain, Poch Mat Hosle Ki Mazdoori, Tere Tarkush Mein Teer Kitne Hain,? Main Chora Tha Shehr Jin K Liye, Aye Hawa Ab Wo Log Kaise Hain,? Ujri Aankhon Ko Raigaan Na Samjhe, In Mein Khawabon K Shehr Hote Hain...!! Dil Mein Kis Kis Ka Gham Sambhalo Gay,? Ek Samandar Hai So Jazeere Hain, Chandni Shehr Shehr Kehti Hai, Maili Galion K Log Ujle Hain, Ab Na Cheir Us Ki Chahatein, MOHSIN Ye Fasane Bahut Purane Hain.............!!!   Page 172 To 173 (R)   

Saba Ye Kehna Zara Us Ghazal-E-Raina Se

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz Type bY UJRRA_DIL Saba Ye Kehna Zara Us Ghazal-E-Raina Se, Keh Khoob Thokrein Khilwaein Koh-O-Sehra Sy, Jaisy Malhi Agrcha Dareegh Rakhta Hai, Shakar Farosh Shakar Totti Shakar Kha Sy, Ghuroor-E-Hussan Ny Roka Magar Tujhy Ay Gul, Keh Baat Karta Koi Indleeb-E-Sheeda Sy, Hai Sayyd-E-Ahl-E-Nazar Hussan-E-Khulaq Sy Mumkin, Chhupaty Dam Hain Sayaad Murgh-E-Dana Sy, Jo Baitho Ba May-O-Mashooq To Samjh Laina, Hamein Bhi Apny Hareefan-E-Bad'Ha Paima Sy, ILLAHI Chhoot Gaya Rang-E-Aashnai Kaya, Sahi Qadan-E-Siya Chasham-O-Maah-E-Seema Sy, Kami Hai Hussan Mein Koi To Ye Keh Khal-E-Fawa, Gira Hai Chhut K Kahein Us K Roo-E-Zeeba Sy, Ajab Nahein Jo Falak Par Ghazal Ye HAFIZ Ki, Sunaye Zuhra Ba-Pa Raqas Ho Maseeha Sy.......! . Book Deewan-E-Hafiz Page 58 59 Gzl Num 12

Kare Arz Paish-E-Sultan Hai Kisi Ko Is Ka Yara ?

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz Type bY UJRRA_DIL Kare Arz Paish-E-Sultan Hai Kisi Ko Is Ka Yara ? Keh Na Pa K Badshahi Too Gada Se Kar Kinara, Ye Dikhai Kia Qayamat Mairi Jaan ? Dosto'n Ko, Rukh-E-Narm Maah-E-Taban, Dil-E-Sakhat, Sang-E-Khara, Wo Raqeeb Daiv Soorat Keh KHUDA Bachaye Us Sy, Maddad Ay Shahab-E-Saqib, Too Suha Ka Ho Sahara, Kiye Khak Dil Jala K, Wo Azar Tamtma K, Jo Ba-Lutf Paish Aaye To Nahein Ho Kuchh Khasara, Ghalti Na Kijiyo Payary Hai Firaib In Mein Pehna'n, Mazz'Ha Siya Karein Gar Mairy Qatal Par Ishara, Yahi Intzar Shab Bhar Keh Naseem-E-Yaar Chal Kar, Koi Laye Mazz'Ha Tar Keh Khuly Ye Dil Hamara, Ba-KHUDA Pila Zara Si Keh Ye HAFIZ Sehar Khaiz, Wo Dua Dy Tujh Ko Goya Keh Hadaf Py Teer Mara.....! . Book Deewan-E-Hafiz Page 58 Ghazal Mumber 11

Suno jana Humara Bas Nahi Chalta

Image
  Suno jana Humara Bas Nahi Chalta, Tumhain Banhon Me Bhar Lete, Tumhain Sab Se Chupa Lete, Tumhain Ankho Me Rakh Lete, Kabhi Na Roothne Dete, Kabhi Na Tootne Dete, Tumhain Hum Qaid Kar Lete, Bas Apne Dil Ki Dunia Me, Kisi Bhi Haal Mai Hum Phir, Tumhain Azaad Na Karte, Sabhi Dunia Bhula Dete,, Tumhain Apna Bana Lete, Hamare Bas Mai Hota Tu, Magar Hai Bebasi Aisi, Hamara Dil Machalta Hai, Tumhain Hi Yaad Karta Hai, Tumhara Qurab Chahta Hai, Magar Hum Kya Karen Jaana, Hamara Bas Nahi Chalta.  

Tujhe Mehndi Laganay Hum AayenGy

Image
  Tujhe Mehndi Laganay Hum AayenGy. To Ne Haatoh Par Mehndi Lagaai Hoi Hai. Maathay Par Bindya Sajaai Hoi Hai. Gaalo Par Laali Lagaai Hoi Hai. Tere Haatoh Ki Mehndi Ka Rung Daikhna Hai. Tujhe Dulhan Banay Daikhna Hai. Kya Hua Jo To Na Ban Saki Meri Dulhan. Phr Bhi Teri Mehndi Sajanay Hum Aaen Gay. Hum Apne Aansu Saray Chupayen Gay. Tujhe Daikh Kar Apnay Dil Ko Dukhayen Gay. Apnay Dukh Ko Chehre Par Nahi Laayen Gay. Teri Mehndi Par Hum Muskurayen Gay. Teri Mehndi Ko Hum Sajaayen Gay. Tu Salamat Rahay Yahi Alfaaz Duhrayen Gay. Tujhay Mehndi Laganay Hum Aayen Gay.

Phir Hai Ronq Pe Shabaab Az Sar-E-Nobastan

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz Type bY UJRRA_DIL Phir Hai Ronq Pe Shabaab Az Sar-E-No Bastan Ka, Gul Ki Aamd Pe Tarb Bulbul-E-Khush Al Haan Ka, Gar Jawanaan-E-Chaman Mein Ho Guzar Poochh Mazaj, Mairi Janib Sy Saba Saro-O-Gul-O-Raiha'n Ka, Zulf-E-Mashkein K Meh-Rukh Py Tumhari Choga'n, Maztrab Hal Na Kar Dein Kisi Sar-Garda'n Ka, Haye Wo Log Jo Hain Dard Kasho'n Par Khanda'n, Sarf Karty Hain Kharabat Py Kyoun Eman Ka ? Sath Mardan-E-KHUDA Ka Bhi Samjh Kashti-E-Nooh, A.S Jis Mein Zary Ko Dar Aur Ik Qatra Nahein Toofa'n Ka, Bhag Ja Khawan-E-Tawaaz'A Sy Falak K Aakhir, Ye Siya Kasa Urra Daita Hai Sar Mehma'n Ka' May-Faroshi Karein Gy Bachy Is Thath K Sath, Shughal Jaroobi May-Khana Karo'n Mizga'n Ka, Raz-E-Hasti K Na Ik Nuqta Par Aagahi Ho, Chhan Lein Dor Bhi Agar Daira Imka'n Ka, Ja K Sona Hai Bil'Aakhir Jo Teh Bister-E-Khak, Kheenchy Taba Falak Kingra Kyoun Ewaan Ka, Miser Ka Takhat Hai Laiq T...

Pohnche Gor Kinare Hum Bas Gham-E-Doran Haare Hum

POET NASIR KAZMI Type bY UJRRA_DIL Pohnche Gor Kinare Hum Bas Gham-E-Doran Haare Hum, Sab Kuch Haar K Raste Mein, Baith Gaye Dukhiyary Hum, Har Manzil Sy Guzry Hain, Tairy Ghum K Sahaary Hum, Daikh Khaya-E-Khatir-E-Dost, Baazi Jeet K Hary Hum, Aankh Ka Tara Aankh Mein Hai, Aub Na Ginein Gy Tary Hum.....! . Book Barg-E-Nay Page 44

Shehr Dar Shehr Jalaye Gaye Youn Bhi Jashan-E-Tarab Manaye Gaye

POET NAZIR KAZMI Type bY UJRRA_DIL Shehr Dar Shehr Jalaye Gaye, Youn Bhi Jashan-E-Tarab Manaye Gaye, Ek Taraf Jhoom Kar Bahar Aai, Ek Taraf Aashiyan Jalaye Gaye, Ik Taraf Khoon-E-Dil Bhi Tha Nayyab, Ik Taraf Jashan-E-Jamm Manaye Gaye, Kaya Kaho'n Kis Tarah Sar-E-Baazar, Assmto'n K Diye Bujhaye Gaye, Aah Woh Khalwato'n K Sarmaye, Majma-E-Aam Mein Lutaye Gaye, Waqat K Sath Hum Bhi Ay NASIR, Khaar-O-Khas Ki Tarah Bahaaye Gaye........!

Ye Shab Ye Khayal-O-Khawab Tere Kia Phool Khile Hain

POET NASIR KAZMI Type bY UJRRA_DIL Ye Shab Ye Khayal-O-Khawab Tere, Kia Phool Khile Hain Moonh Andhere ? Shualy Mein Aik Rang Taira, Baqi Hain Tamam Rang Mairy, Aankho'n Mein Chhupaye Phir Raha Ho'n, Yaado'n K Bujhy Huye Sawairy, Daity Hain Suragh Fasal-E-Gull Ka, Shakho'n Py Jaly Huye Basairy, Manzil Na Mili To Qaflo'n Ny, Rasty Mein Jama Liye Hain Dairy, Jangl Mein Hui Hain Sham Hum Ko, Basti Sy Chaly Thy Mun'h Andhairy, Rawadad-E-Safar Na Chhairr NASIR, Phir Ashk Na Tham Sakein Gy Mairy.......! . Book Barg-E-Nay Page 47,48

"Mohabbat Network" K "Maoziz" "Sarif" cute masseges

"Dear" "Customer !" " Mohabbat Network " K " Maoziz " " Sarif " " Apki " " Dosti " 20I3 " Ki " " Muddat " 31 december Ko " Khatam " " Ho " " Rahi " " Hai ", " Bra-E-Mehrbani " " Foran " 2014 K i " Dosti ke Registration k leay " Ek " " Pyara " " Sa " " Sms " " Kar " " K " " Apni " " Dosti " " Recharge Karein ". "Shukria"

Guftago Us Se Jo Kal Ho Jati Mujh Se Ek Aadh Ghazal Ho Jati

  Poet Mohsin Naqvi    Guftago Us Se Jo Kal Ho Jati, Mujh Se Ek Aadh Ghazal Ho Jati, Us Ne Tore Hain Irade Mere, Warna Har Bat Attal Ho Jati, Meri Khawahish Thi K Qismat Ki Shikan, Aap Ki Zulf Ka Bal Ho Jati, Saans Mein Teri Mehak Thi Warna, Sans Paigham-E-Ajal Ho Jati, Chand Chehra Tha Jo Us Ka MOHSIN, Chandni Us Ka Badal Ho Jati................!   Page 194 (R)   

Apne Ghar Ko Jalta Chor Aaya Hon Main

  Poet Mohsin Naqvi    Apne Ghar Ko Jalta Chor Aaya Hon Main, Us Par Sham Ko Dhalta Chor Aaya Hon Main, Tor Aaya Hon Dhoop Ki Shakh Se Dopehrein, Barf Sa Jism Pigalta Chor Aaya Hon Main, HIJAR K Hath Se Dhanp K Apni Aankhon Ko, Us Ka Rang Badalta Chor Aaya Hon Main, Kaise Man Lon Toot Gia Dil MOHSIN Ka...? Khud So Bar Sambhalta Chor Aaya Hon Main.....................! Page 194 (R)   

Us Ki Taskeen Ko Gharat Karta Kash Main Koi Shararat Karta

  Poet Mohsin Naqvi    Us Ki Taskeen Ko Gharat Karta, Kash Main Koi Shararat Karta, Shehr Dar Shehr Fiza Mein Urr Kar, Main Hawaon Ki Safarat Karta, Aik Khilqat Thi Mujavir Us Ki, Main Kahan Us Ki Ziarat Karta...? Dekh Kar Mujh Ko Na Dekha Us Ne, Aur Kia Mujh Se Haqarat Karta, Dil Andheron Se Ata Tha MOHSIN, Kon Roshan Ye Amarat Karta.................! Page 195 (R)   

Haal Mat Poch Ishq Karne Ka Umar Jeene Ki Shoq Marne Ka (Compelete Ghazal)

  Poet Mohsin Naqvi    Haal Mat Poch Ishq Karne Ka, Umar Jeene Ki Shoq Marne Ka, Wo Mohabbat Ki Ahtiat K Din, Haye Mosam Wo Khud Se Darne Ka, Ab Usay Aaine Se Nafrat Hai, Kal Jise Shoq Tha Sanwarne Ka, Khud Kashi Ko Bhi Raigaan Na Samjh, Kaam Ye Bhi Hai Kar Guzarne Ka, Umar Bhar K Azab Se Mushkil, Aik Lamha Sawal Karne Ka, Khoon Rona Bhi Ek Hunar Tehra, Baanjh Mosam Mein Rang Bharne Ka, Toot'te Dil Ko Shoq Hai MOHSIN, Sorat-E-Barg Gul Bikharne Ka............!   Page 153 (T)   

Itna Khali To Ghar Nahi, Hum Hain Hum Nahi Hain Magar Nahi Hum Hain

  Poet Mohsin Naqvi    Itna Khali To Ghar Nahi, Hum Hain, Hum Nahi Hain Magar Nahi, Hum Hain, Chashm-E-Dushman K Khof Se Pocho, Nok-E-Neza Pe Sar Nahi Hum Hain, Sham-E-Tanhai Gham Na Kar K Tera, Koi Humsafar Nahi, Hum Hain, Chand Se Keh Do Be Dharak Utre, Ghar Mein Deewar-O-Dar Nahi Hum Hain, Wo Jo Sab Se Hain Bekhabar Tum Ho, Jin Ko Apni Khabar Nahi, Hum Hain, Kion Jalate Ho Jhonpri Apni, Is Mein Laal-O-Gohar Nahi Hum Hain, Hum Hain Humzad, Rat K MOHSIN, Jin Ki Qismat Sahar Nahi Hum Hain...............!   Page 141 (T)   

Ab K Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein

  Poet Ahmad Faraz    Ab K Hum Bichre To Shayad, Kabhi Khwabon Mein Milein, Jis Tarah Sookhe Howay Phool Kitabon Mein Milein, Dhoond Ujre Howay Logon Mein, Wafa K Moti Ye Khazane Tujhe, Mumkin Hai Kharabon Mein Milain, Gham-e-Dunia Bhi Gham-e-Yar Mein Shamil Kar Lo, Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain, Too KHUDA Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa, Dono Insan Hain To Kion Hijabon Mein Milain? Aaj Hum Dar Pe Khainche Gaye Jin Baton Par, Kia Ajab Kal Wo Zamane Ko Nasabon Mein Milain, Ab Na Wo Main Hon Na Too Hai Na Wo Mazi Hai, FARAZ Jaise Do Shakhs Tamana K Sarabon Mein Milain.....!   

KHUDA Khush Rakhe Shab Mutrab Ne Cheeka

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz Type bY UJRRA_DIL KHUDA Khush Rakhe Shab Mutrab Ne Cheeka, Dia Ek Nala-E-Jaan-E-Soz Ny Ka, Wo Haddt Jee Mein Baithi Is Ki Naqsha, Nazar Mein Rang Tha Har Ik Shy Ka, Tha Ik Saqi Bhi Wahan Jis K Rukh-O-Zulf, Dikhaty Thy Tamasha Shamas-O-Dy Ka, Barhaya Shoq Bhar Bhar K Diye Jaam, Kaho'n Kaya Lutf ? Is Farkhinda Py Ka, Diladi Shar-E-Hasti Sy Rihai, Piya Py Dy K Mujh Jaam May Ka, KHUDA Nasar Taira Har Marky Mein, Rahy Ghul Do Jahaan Mein Tairi Jy Ka, Nahein Aapy Mein HAFIZ Khak Samjhy, Keh Shy Kaya Mulak Hai ? Kaous-O-Kay Ka.....! Translation By KASHIF NADEEM Book Deewan-E-Hafiz Page 56

Soofi Jhatak K Nikla Hai Aaina Jaam Ka

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz Type bY UJRRA_DIL Soofi Jhatak K Nikla Hai Aaina Jaam Ka, Qail Ho To Safa-E-May-E-Lala Faam Ka, Raaz-E-Nehfita Poochh Too Rindan-E-Masat Sy, Rutba Nahein Ye Soofi-E-Aalm-E-Muqaam Ka, Anqa Shikar Hoga Na Bas Daam Kheench Ly, Hasil Bajaz Hawa Nahein Kuchh Ehl-E-Daam Ka, Matt Chhorr Aish Naqad Kiya Tark Ikhtiyar, Aadum Ny Qehat-E-Dana Sy Daarul-Islaam Ka, Ik Do Jaam-E-Bzam Pee Kar Rawana Ho, Pata Kisi K Naam Nahein Yahan Dawam Ka....! Ay Dil Shabaab Aa K Gaya By-Gul-E-Murad, Peeri Mein Bhi Hai Khabbt Wahi Nang-O-Naam Ka, Us K Bhi Tujh Py Hain Haq-E-Khidmat Hazar'Ha, Daikh Aankh Bhar K Hall Too Sahib Ghulam Ka, HAFIZ Mureed-E-Jaam Huwa Shaikh-E-Jaam Ko, Pohncha Salaam Ja K Saba Is Ghulam Ka.....! Translation By KASHIF NADEEM Book Deewan-E-Hafiz Page 57 Ghazal Num 9

Ro-Ba Maye Khana Nikal Masjid Se Aaya Peer Hai

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz Type By UJRRA_DIL Ro-Ba Maye Khana Nikal Masjid Se Aaya Peer Hai, Ab Ay Yaran-E-Tareeqat Apni Kia Tadbeer Hai, Sajda Soo-E-Kabba Kyoun Kar Kar Sakein Gy Hum Mureed ? Qibla May-Khana Ko Pakrry Apna Qibla Peer Hai, Kaya Kharab Mughaan Mein Hum Bhi Peetein Taliyan, Kaya Azl Sy Apni Qismat Mein Yahi Tehreer Hai, Aql Ny Jana Kabhi Gar Aish Band-E-Zulf Ka, Paye Har Aaqil Mein Daikho Gy Parri Zanjeer Hai, Lutaf-O-Khoob Ki Ik Aayyt Jab Sy Jana Roo-E-Dost, Apny Qura'An Ki In Hi Do Aah Aatish Baar-E-Soz-E-Nala-E-Shab Geer Ko, Tairy Sangeen Dil Mein Kuchh Bhi Sach Bata Taseer Hai ? Daam-E-Dil Mein Ho Gai Thi Jama Khatir Ik Shikar, Zulf Jaana Khul Parri Aahoo Howa Nakhcheer Hai, Zulf To Chhairri Saba Ny Mujh Py Kion Aalm-E-Siyaah ? Mujh Py Kyoun Zulm ? Is Mein Bhi Kuchh Mairi Taqseer Hai ? Teer-E-Aah Ay Jaan-E-Jaa'n Gurdo'n Sy Jata Hai Nikal, Chhairr Mat Kar Raham Khud Par Ye Bala Ka Teer Hai, Hum Bhi HAFIZ Da...

Hawa jab Rat Ko Gia Kare Gi Ye Wadi Hum Ko Yad Aaya Kare Gi Lyric

  Singer: Noor Jahan Typ By *.__Ayaz Khan__.*    Hawa jab Rat Ko Gia Kare Gi. Ye Wadi Hum Ko Yad Aaya Kare Gi. Ye Hasrat Reh Gai Dil Mein. Kisi Weeran Mehfil Mein. Lipat Kar Khub Hum Rote, Gale Mil Kar Juda Hote, Badan Mein Roh Ghabraya Kare Gi, Ye Wadi Hum Ko Yaad Aaya Kare Gi, Jo Too Ne Zakham Khaya Hai, Wo Mere Dil Pe Aaya Hai, Mere Aansu Meri Aahen, Tujhe Dhonhen Tujhe Chahen, Tamana Dil Ko Tarrpaya Kare Gi. Ye wadi Hum Ko Yaad Aaya Kare Gi. Teri Surat Ko Tarsen Ge, Ye Aansu Khul K Barsen Ge, Kahan Ye Mere Bas Mein Hai, Teri Laila Qafs Mein Hai, Jigar Mein Aag Bharrkaya Kare Gi. Ye Wadi Hum Ko Yaad Aaya Kare Gi........!