Poet:Qateel Shifai Door tak chhayae thay baadal, or kahin sayaa na tha Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha Kya milla aakhir tujh ko bata, saayon kay peechay bhag ker Aye dil-e-nadaan tujh ko, hum nay samjhaya na tha Uff ye sannata, kay aahut tak na ho jiss mein mukhal Zindgi mein iss qadar, hum nay sakoon paaya na tha Khoob roye chhupp kay ghar ki, chaar deevaari mein hum Haal-e-dil kehnay kay qabil, koi humsaaya na tha Ho gaye qallaash jab say, aas ki doulat lutti Paas apnay or tu, koi bhi sarmaaya na tha Voh paighember ho kay aashiq, qatul gaah-e-shouq mein Taaj kaanton ka kissay, duniya nay pehnaaya na tha Ab khulla jhonkon kay peechay, chal rahi thin aandhiyan Ab jo manzar hay, voh pehlay tu nazar aaya na tha Sirf khushboo ki kami thi, moasam-e-gul mein Qateel Verna gulshan mein koi bhi phool murjhaya na tha Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha