Posts

Showing posts from October, 2013

Sirf Aawaz Aur Lafz Hi Nahiii

    1800th post SHANZA KHAN ki nazar  + Sirf Aawaz Aur Lafz Hi Nahiii.......!!! + + + + Meri Khamoshi Bhi Ussy Bulati Hy........!!!  

Sun Ay Saqi Chala De Saghar Aana Sehal Tha Dil Ka

Poet HAFIZ SHEERAZ Sun Ay Saqi Chala De Saghar Aana Sehal Tha Dil Ka, Magar Ab Ishq Mein Hai Samna Mushkil Py Mushkil Ka, Jo Boo-E-Nafa Ttary Sy Saba Pichhly Ko Khol Aaye, Bhary Bil Zullaf Mashkein Peech Kaya Kaya Khaye Khoon Dil Ka, Musla Rang Ly My Sy Agar Peer-E-Mugha'n Keh Dy, Samjh Rehbar Ko Na'Waqif Na Rasam-O-Raah Ka, Ye Kali Raat Toofan Sar Py Munh Pharry Bhanwar Aagy, Dil Is Bapta Ko Jany Kaya Sab'Karan-E-Saahil Ka, Huye Khud Eman Kamo'n Mein Aakhir Waja Ruswai, Raha Kab Raaz Bn Kar Mashwro'n Mein Naqul-E-Mehafil Ka, Hamein Kaya Manzil-E-Janaa'n Mein Luttaf-E-Aman-O-Aashaish, Jaga Dy Har Gharri Gharriyal Bandho Band Mehmal Ka, Hazoori Chahe Gar HAFIZ To Rakh Paish-E-Nazar Us Ko, Usy Daikhy To Dunya Chhorr Dy Ye Phaink Dy Jhalka...! Gzl Number 1

Jeeta Hon Jis K Liye Jis K Liye Marta Hon lyric

  Singers Sonoo Nigam Alka Yagnik Jeeta Hon Jis K Liye Jis K Liye Marta Hon. Bas Too Hi Wo Larki Hai Jise Ma Pyar Karta Hon. Tera Hi Charcha Teri Hi Batein Lab Pe Tera Nam Hai. Dilbar Qasam Se Tere Hi Dam Se Meri Subha Sham Hai. Hamri Vafa K Gavah Hain Zameen Asman. Bas Tu Hi Woh Larka Hai Jise Ma Pyar Karti Hon. Bas Tu Hi Woh Larki Hai Jise Ma Pyar Krta Hon. Meri Baharein Meri Mohbat Tu Hi Meri Arzo. Dekhon Jise Ma Ankhon Me Bhar K Hai Wohi Khab Tu. Main Kaise Jiyoogi Tere Bin Tu Hai Meri Jan. Bas Tu Hi Woh Larki Hai Jise Ma Pyar Karta Hon. Bas Tu Hi Woh Larka Hai Jise Ma Pyar Karti Hon.  

Hussn Ka Chand Hai Roo-E-Darkhshan Aap

Poet HAFIZ SHEERAZ Hussn Ka Chand Hai Roo-E-Darkhshan Aap Ka, Aabro Bakhsh Haseena Hai Zankhdan Aap Ka, Hasrat-E-Deedar Mein Jaan Labo'n Par Aa Gayi, Bahir Aaye ? Lot Jaye ? Kaya Hai Farman Aap Ka ? Kon Sa Din Hoga Wo Bhi Jab Galy Dono'n Milein,? Jama Khatir Mairi Aur Gaisoo Praisha'n Aap Ka, Nargis Be-Bak Ny Ki Aafiyt Sub Ki Kharaab, Sater Poshi Sy Rahy Ye Masat-E-Ariyan Aap Ka, Bakhat Khawab Aalooda Apna Shayd Aub Baidar Ho, Chheenty Mun'h Par Dy Raha Hai Roo-E-Rakhsan Aap Ka, Gulshan-E-Rukhsar Sy Pohnchy Koi Urr Kar Waraq, Daikhein Aub Kis Rang-O-Boo Par Hai Gulsitan Aap Ka, Dil Chala Hatho'n Sy Haa'n Dildar Ko Daina Khabr, Dost Hai Hath Maira Aur Daman Aap Ka, Aap Ki Umer Daraz Ay Saqiyan-E-Bazm-E-Jamm, My Sy Khali Garcha Guzra Hum Py Doran Aap Ka, Ay Saba Pohncha Ye Ahl-E-Khurad Ko Mairi Dua, Ho Sar-E-Nahaq Shanasa'n Goo-E-Maidan Aap Ka, Door Ho'n Laikin Samjh Na Mujh Ko Dil Sy Door, Aap K Sheh Ka Ho'

Chalo Ab So Hi Jain Hum K Tum Sapno Mein Aao

    ============ Good Night ============    Chalo Ab So Hi Jain Hum, K Tum Sapno Mein Aao Gay, Humain Phir Se Nanao Gay, Aur Hum Bhi Maan Jain Gay, Magar Ye Bhi Zara Socho? Agar Main So Gia Aise K Phir Jo Uth Na Paon Main, To Kia Tum So Pao Gay? Ary Pagal Zara Socho, Meri Batein Meri Yadein, Tumhain Sone Nahi Dein Gi, Kisi Ka Bhi Zamane Mein, Kabhi Hone Nahi Dain Gi, Suno Main Sone Ja Raha Hon, K Tum Sapno Mein Aa Jana, Chalo Ab So Hi Jain Hum, K Tum Sapno Mein Aao Gay..............!    

Kahanian Na Suno Aas Pas Logon Ki

  Poet: Ahmad Faraz Typ By *._Ayaz Khan_.*   Kahanian Na Suno Aas Pas Logon Ki. K Mera Shehr Hai Basti Udas Logon Ki. Na Koi Samat Na Manzil So Qafla Kaisa. Rawaan Hai Bheerr Faqat Be-Qayas Logon Ki. Kaisi Se Puch Hi Letay Wafa K Baab Mein Hum. Kami Nahi Thi Zamana Shanaas Logon Ki. Muhabbaton Ka Safar Khatam To Nahi Hota. Baja K Dosti Aai Na Raas Logon Ki. Humen Bhi Apne Kai Dost Yaad Aate Hain. Kabhi Jo Baat Chale Nasapas Logon Ki. Karo Na Apni Bala Nosheeon K Youn Charchay. K is Se Aur Bharrakti Hai Piyas Logon Ki. Mein Aane Wale Zamanon Se Dar Raha Hon FARAZ. K Mein Ne Dekhi Hain Aankhen Udaas Logon Ki......! Book: Aye ishq e janu pesha Page: 114 to 115  

Sheir Ka Hussn Ho Naghmo Ki Jawani Ho Tum

  Poet Sahir Ludhianvi    Sheir Ka Hussn Ho Naghmo Ki Jawani Ho Tum, Ek Dharkti Hoi Shadaab Kahani Ho Tum, Aankh Aisi K Kanwal Tum Se Nishani Mange, Zulf Aisi K Ghata Sharm Se Pani Mange, Jis Taraf Se Bhi Nazar Dalo Suhani Ho Tum, Jisam Aisa K Ajnata Ka Amal Yad Aaye, Sang-E-Mar Mar Mein Dhala Taaj Mehal Yad Aaye, Pigle Pigle Howay Rangon Ki Jawani Ho Tum, Sheir Ka Husn Ho Naghmon Ki Jawani Ho Tum................! Page 299   

Chehre Pe Khushi Cha Jati Hai Aankhon Mein Saroor

  Poet Sahir Ludhianvi    Chehre Pe Khushi Cha Jati Hai, Aankhon Mein Saroor Aa Jata Hai, Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho, Apne Pe Gharoor Aa Jata Hai, Tum Husn Ki Khud Ek Dunia Ho, Shaid Ye Tumhain Maloom Nahi, Mehfil Mein Tumhare Aane Se, Har Cheez Pe Noor Aa Jata Hai, Hum Pas Se Tum Ko Kia Dekhein, Tum Jab Bhi Muqabil Hote Ho, Betab Nigahon K Aage Parda Sa Zaroor Aa Jata Hai, Jab Tum Se Mohabbat Ki Hum Ne, Tab Ja K Kahein Ye Raz Khula, Marne Ka Saleeqa Aate Hi Jeene Ka Shaoor Aa Jata Hai...............! Page 287   

Paon Choo Lene Do Phoolon Ko Anayat Ho

  Poet Sahir Ludhianvi    Paon Choo Lene Do Phoolon Ko Anayat Ho Gi, Warna Hum Ko Nahi Un Ko Bhi Shikayat Ho Gi, Aap Jo Phool Bichain Unhain Hum Thukrain, Hum Ko Dar Hai K Ye Toheen-E-Mohabbat Ho Gi, Dil Ki Bechain Umangon Pe Karam Farmao, Itna Ruk Ruk K Chalo Gi To Qayamat Ho Gi, Saharam Ro K Hai Idhar Shoq Udhar Khainche Hai, Kia Khabar Thi Kabhi Is Dil Ki Ye Halat Ho Gi, Sharam Hum Se Bhi Karo Gi To Museebat Ho Gi..........! Page 274   

Mehfil Mein Rindon Ki Dagmagaaye Qadam Un K

  Mehfil Mein Rindon Ki Dagmagaaye Qadam Un K... + +  + + Aah! Shaikh Sahib Emaan Bachaye Phirty Hein.  

Aag Lehjay Ki Dil Jalaati Hai

  Aag Lehjay Ki Dil Jalaati Hai + + + + LafZ AatisH FishaaN Nahi HotY??  

Gala Khanjar Pe Mein Ne Rakh Dia Aate Hi To Bolay

  Poet: Ameer Meenai + Gala Khanjar Pe Mein Ne Rakh Dia Aate Hi To Bolay + + + + Karen Ge Zaba Thhero, Kion Maray Jate Ho Dam Le Lo.  

Abhi Aaye Abhi Jate Ho Jaldi Kia Hy Dam Le Lo

   Poet: Ameer Meenai + Abhi Aaye Abhi Jate Ho Jaldi Kia Hy Dam Le Lo + + + + Na Chherron Ga Mein Jaisi Chaho Tum Mujh Se Qasam Le Lo.  

Be Khudi Mein Le Liya Busa Khata Muaf Kijiye

   Poet: Bahadur Shah Zafar + Be'Khudi Mein Le Liya Busa Khata Muaf Kijiye, + + + + + Ye Dil Be'Taab Ki Saari Khata Thi Mein Na Tha.  

Maana Ki Teri Nazar Mein Kuch Bhi Nahi Hon Main

Image
    Maana Ki Teri Nazar Mein Kuch Bhi Nahi Hon Main Meri Qadar Un Se Pooch Jin Ko Palat Kar Nahi Dekha Maine...!  

Parindon Ko Nahi Di Jati Taleem Urano Ki

  Parindon Ko Nahi Di Jati Taleem Urano Ki, Wo Khud Hi Taye Karte Manzal Aasmano Ki, Rakhta Hai Jo Hosla Aasman Choone Ka, Us Ko Nahi Hoti Parwa Gir Jane Ki.......!  

Wo Rat Ka Benawa Musafir Wo Teri Shayari Wo Tera NASIR Teri Gali Tak

  Poet Nasir Kazmi   Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidhar Se Aaya Kidhar Gia Wo, Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairan Kar Gia Wo, Khushi Ki Rat Ho K Gham Ka Mosam, Nazar Usay Dhoondti Hai Har Dam, Wo Boo-E-Gul Tha K Naghma-E-Jan, Mere To Dil Mein Utar Gia Wo, Wo Maikade Ko Jagane Wala, Wo Rat Ki Neend Urane Wala, Ye Aaj Kia Us K Jee Mein Aai K, Shaam Hote Hi Ghar Gia Wo, Wo Jis K Kandhon Pe Hath Rakh Kar, Safar Kia Too Ne Manzalon Ka, Teri Gali Se Najane Koin Aaj, Sar Jhukaye Guzar Gia Wo, Wo Rat Ka Benawa Musafir, Wo Teri Shayari Wo Tera Nasir, Teri Gali Tak To Hum Ne Dekha Tha, Phir Na Jane Kidhar Gia Wo.  

Nazar Utha Dil-E-Nadan Ye Justajo Kia Hai Esi Ka Jalwa

    Poet: Talook Chandh Mehroom Typ By *._Ayaz Khan_.*    Nazar Utha Dil-E-Nadan Ye Justajo Kia Hai.? Esi Ka Jalva To Hai Aur Roo Ba Roo Kia Hai.? Kisi Ki Aik Nazar Ne Bana Dia Mujh Ko. Sar Durbada Be Saghar-O-Subu Kia Hai. Qafs Azaab Sahi Bulbul Aseer Magar. Zara Ye Soch K Wo Daam Rang-O-Bu Kia Hai. Na Mere Ashq Mein Shamil Na Un K Daman Par. Mein Kia Bataon Unhen Khoon-E-Aarzu Kia Hai. Sukhan Ho Sama Kharashi To Khamoshi Behtar. Asar Karay Jo Na Dil Mein Wo Guftagu Kia Hai. Bura To Kehte Ho MEHROOM Shairi Ko Magar. Na Ho Ye Cheez To Hazrat Ki Aabro Kia Hai.......!    

Ek Teri Doori Aur Rulaye December

  =========== December ===========    POET UMAR RAAHI    Ek Teri Doori Aur Rulaye December, Mairi Aankh Ko Sawan Banaye December, Guzary Kaisy Ye Lambi Raatein December Ki ? Lot Aao K Sath Taira Chahy December, Sulgata Hai Mann Mein Ye Jott, Sard Hoty Huye Tann Jalaye December, Kab Aao Gy Lot Kar Mairy Musafi Mairy RAAHI, Mairy Pardaisi Aa Bhi Jao K Tanha Guzar Na Paye December.    

Aankhon K Samandar Mein Doobna Chahon

    Poet Umar Raahi    Aankhon K Samandar Mein Doobna Chahon, Doob Kar Phir Na Ubhrna Chaahon, Rukhsar Tairy Ye Lall Gulabi Choom Lon, Honton Ka Bhi Ik Jaam Peena Chaahon, Bikhair Do Ye Kali Kali Zulafein, Chhaon Mein In Ki Sona Chaahon, Bhar Do Apni Bhaahon Mein Mujh Ko, Seeny Py Tairy Aaj Sona Chaahon, Tham Kar Hath Taira Youn, Khanjti Kalai Ki Choorriyon Sy Khailna Chaahon, Luta Don Apna Sara Pyaar Aaj, Dil Ki Is Aag Mein Tujh Ko Jalana Chaahon, Daikh RAAHI Dil-E-Nadan Ki Khawahish, Kaya Hon Main Aur Kaya Kaya Chaahon.......?    

Musalsal Rokti Hon Us Ko Shehr-E-Dil Mein Aane Se

    Poetess Tasleem Faazli    Musalsal Rokti Hon Us Ko Shehr-E-Dil Mein Aane Se, Magar Wo Kooh-E-Kun Rukta Nahi Deewar Dhane Se, Bhala Kia Dukh K Aangan Mein Sulagti Larkian Jane, Kahien Chupte Hain Aanso Anchlon Mein Chupane Se, Abhi To Fasal Taza Hai Humare Harf-O-Maani Ki, Abhi Dete Nahi Hum Mosmo K Aane Jane Se, Abhi To Ishq Mein Aankhain Bujhi Hain Dil Salamat Hai, Zamne Banjh Hoti Hain Kabhi Faslein Jalane Se, Tujhe Tanha Mohabbat Ka Ye Daria Paar Karna Hai, Nadamat Ho Gi Us K Hoslon Ko Aazmane Se, Humain Kis Zarf K Qirdar K Qisse Sunata Hai, Tujhe Aaye Sheir Hum Bhi Jante Hain Ek Zamane Se, Tujhe Bhi Zabt-E-Gham K Shoq Ne Pathar Bana Dala, Tujhe Aye Dil Bahut Roka Tha Rasm-O-Rah Nibhane Se..................!     

Lo Apna Jahan Hai Dunia Walo Hum Is Dunia Ko Chor Chale

  Poet Sahir Ludhianvi    Lo Apna Jahan Hai Dunia Walo, Hum Is Dunia Ko Chor Chale, Jo Rishte Naate Jore Thay, Wo Rishte Naate Tor Chale, Kuch Sukh K Lamhe Dekh Chale, Kuch Dukh K Lamhe Jheil Chale, Taqdeer Ki Aandhi Gardish Ne, Jo Khel Khilaye Khel Chal, Har Cheez Tumhari Lota Di, Hum Kuch Na Le Kar Sath Chale, Phir Dosh Na Dena Aye Logo, Hum Dekh Lo Khali Hath Chale, Ye Raah Akeli Katti Hai, Yahan Sath Na Koi Yar Chale, Us Paar Na Jane Kia Ho Ga, Is Paar To Sab Kuch Haar Chale.................!   

Tere Dar Pe Aaya Hon Kuch Kar K Jaon Ga

  Poet Sahir Ludhianvi    Tere Dar Pe Aaya Hon Kuch Kar K Jaon Ga, Jholi Bhar K Jaon Ga Ya Mar K Jaon Ga, Too Sab Kuch Jane Hai Har Gham Pehchane Hai, Jo Dil Ki Uljhan Hai Sab Tujh Pe Roshan Hai, Ghail Parwana Hon Wehshi Deewana Hon, Dil Gham Se Hairan Hai Meri Dunia Weeran Hai, Nazron Ki Piyas Bujha Mera Bichra Yar Mila, Ab Ye Gham Choote Ga Warna Dam Toote Ga, Ab Jeena Mushkil Hai Faryadein Laya Hon.............! Page 328   

Jurm-E-Ulfat Pe Humain Log Saza Dete Hain

  Poet Sahir Ludhianvi    Jurm-E-Ulfat Pe Humain Log Saza Dete Hain, Kaise Nadan Hain Sholon Ko Hawa Dete Hain, Hum Se Deewane Kahein Tark-E-Wafa Karte Hain, Jan Jaye K Rahe Bat Nibha Karte Hain, Aap Dolat K Tarazo Mein Dilon Ko Tolein, Hum Mohabbat Se Mohabbat Ka Sila Dete Hain, Takhat Kia Cheez Hai Aur Laal-O-Jawahir Kia Hain, Ishq Wale To Khudai Bhi Luta Dete Hain, Hum Ne Dil De Bhi Dia Ehd-E-Wafa Le Bhi Lia, Aap Ab Shoq Se De Lein Jo Saza Dete Hain................! Page 331   

Shehr Mein Aisi Koi Mahjabeen Bhi To Nahi Rehti Ghazal Jis Par Kahi Jaye ALIF Sa Naak Ho Jis Ka

    Poet Hamayat Ali Shayar    Meri Fitrat Ghazal Go Hai, Magar Main Nazm Kehta Hon, Meri Majboorian Mujh Ko Ghazal Kehne Nahi Deti, Mera Asloob Bhi Mujh Se Shikayat Karta Rehta Hai, Mere Ahbab Bhi Mujh Se Shikayat Kar Rahe Hain, Shehr Mein Aisi Koi Mahjabeen Bhi To Nahi Rehti, Ghazal Jis Par Kahi Jaye, ALIF Sa Naak Ho Jis Ka, To Chahra NOON Jaisa Ho, Haseen Ankhein Magar Wo, KAAF K Naqton K Jaisi Hon, To Gaisoo LAAM Jaise Hon, Wo Jis K Azam Ki Bhi Istaqamat Bas ALIF Si Ho, Hon Jis K Hont BAY Jaise, Rukh-E-Zaiba K Khaal-O-Khad Hijje Hon, To Chehra INQALAB Us Ka, Agar Tasveer Khainchwaye To Kaghaz Par, HAMAYAT Faqat Ek INQALAB Aaye......................!     

Youn Chahe Khizaan Khari Ho Dil Mein

  Poet: Parveen Shakir Typ By *._Ayaz Khan_.*    Youn Chahe Khizaan Khari Ho Dil Mein. Ek Aas Ki Pankhri Ho Dil Mein. Kia Nakhun-E-Muhar-O-Mah Se Katti. Jais Shab Ki Gaira Parri Ho Dil Mein. Wo Samane Ho To Maarka Aur. Jang Us Se Alag Larri Ho Dil Mein. Us Naam Pe Muskaraye Jaana. Ashkon Ki Magar Jharri Ho Dil Mein. Masloob Nahi Magar Ye Ehsaas. Ek Meekh Abhi Garri Ho Dil Mein......! Book: Khud Kalami Page: 121  

Be Basi K Saste Par Kia Ajab Duraha Hai Ek Simat

  Poet: Parveen Shakir Typ By *._Ayaz Khan_.*    Be Basi K Saste Par Kia Ajab Duraha Hai, Aik Samat Be Samati, Be Charagh Tareeki, Be Libaas viranai, Be Lehaaz Ruswai, Be Savaad Qurbani, Hasht Pa Ye Tanhai, Aazzdari Pazeerai, Gurgh Zaad Gham Khawari, Be Kanaar Rod Bahi, Aur Dusri Janab, Qalla Band Chahat Mein, Dil Ki Aabroo Reezi.........! Book: Khud Kalami Page: 126  

Har Taraf Husn Hai Jawani Hai Aaj Ki Rat Kia Suhani Hai

  Poet Sahir Ludhianvi    Har Taraf Husn Hai Jawani Hai, Aaj Ki Rat Kia Suhani Hai, Reshmi Jism Sar Sarate Hain, Mar Marein Khawab Gungunate Hain, Dharkano Mein Sarwar Phaila Hai, Rang Nazdeek Door Phaila Hai, Dawat-E-Ishq De Rahi Hai Fiza, Aaj Ho Ja Kisi Haseen Pe Fida, Mohabbat Bare Kaam Ki Cheez Hai, Mohabbat K Dam Se Hai Dunia Ki Ronaq, Mohabbat Na Hoti To Kuch Bhi Na Hota, Nazar Aur Dil Ki Panahon Ki Chooti, Ye Janat Na Hoti To Kuch Bhi Na Hota, Kitabon Mein Chupte Hain Chahat K Qisse, Haqeeqat Ki Dunia Mein Chahat Nahi Hai, Mohabbat Se Itne Khafa Hone Wale, Chal Aa Aaj Tujh Ko Mohabbat Sikha Dein, Tera Dil Jo Barson Se Weeraan Para Tha, Kisi Naz Naina Ko Is Mein Basa Dein, Mera Mashwara Kaam Ki Cheez Hai..............!   

Kehta Hai Zamane Se Ye Darveish-E-Jawaan Mard (QALANDAR KI PEHCHAN)

  Poet Allama Iqbal    Kehta Hai Zamane Se Ye Darveish-E-Jawaan Mard, Jata Hai Jidhar Banda-E-Haq Too Bhi Udhar Ja, Hangame Hain Mere Teri Taqat Se Ziada, Bachta Howa Bungah-E-Qalandar Se Guzar Ja, Main Kashti-E-Malaah Ka Mohtaj Na Hon Ga, Charhta Howa Daria Hai Agar Too To Utar Ja, Tora Nahi Jado Meri Takbeer Ne Tera? Hai Tujh Mein Mukar Jane Ki Jurat To Mukar Ja, Mehr-O-Mah-O-Anjum Ka Muhasib Hai Qalandar, Ayam Ka Markab Nahi Rakib Hai Qalandar...............! Page 36   

Hai Ye Firdos-E-Nazar Ahl-E-Hunar Ki Tameer

  Poet Allama Iqbal    Hai Ye Firdos-E-Nazar Ahl-E-Hunar Ki Tameer, Faash Hai Chashm-E-Tamasha Pe Nahaan Khana-E-Zat, Na Khudi Hai Na Jahan-E-Sahar-O-Sham K Dor, Zindagani Ki Hareefana Kasha Kash Se Nijaz, Aah Wo Kafir-E-Bechara K Hain Us K Sanam, Asar-E-Rafta K Wohi Toote Howay Laat-O-Manaat, Too Hai Mayat Ye Hunar Tere Janaze Ka Imam, Nazar Aai Jise Marqad K Shabistaan Mein Hayat..............! Page 93   


Wo Sahib-E-Tuhfa Tul Araqeen Arbab-E-Nazar Ka Qura Tul Ain

  Poet Allama Iqbal    Wo Sahib-E-Tuhfa Tul Araqeen, Arbab-E-Nazar Ka Qura Tul Ain, Hai Parde Hain Tamam Chaak Dar Chaak, Khamosh Hai Aalam-E-Maafi, Kehta Nahi Harf-E-Lahan Tarani,! Pooch Is Se Ye Khaak Daan Hai Kia Cheez, Hangama-E-Ee-O-Aan Hai Kia Cheez, Wo Mehram-E-Aalam-E-Makafat, Ek Bat Mein Keh Gia Hai Sao Bat, Khud Booy Chanein Jahan Tawaan Burd, Kablees Bamand-O-Boo Albashar Murd................! Page 96   

Mere Qatil Mere Dildar Mere Pas Raho Jaise Gharri Raat Chale

  Poet Faiz Ahmad Faiz Typ By *.__Ayaz Khan__.*    Tum Mere Pas Raho, Mere Qatil Mere Dildar Mere Pas Raho Jaise Gharri Raat Chale, Aasmanon Ka Lahu Pee K Saya Raat Chale. Marahm-E-Mushk Liye, Nashatar-E-Almaas Liye. Been Karti Hoi Hansti Hoi, Gati Nikle. Dard K Kansi Pazeeb Bajati Nikle, Jais Gharri Seenon Mein Dube Howe Dil. Aastino Mein Nihan Hathon Ki Rah Takne Lageen. Aas Liye, Aur Bachon K Balakne Ki Tarah Qulqul-E-May. Bahr-E-Nasudgi Machle To Manaye Na Mane. Jab Koi Baat Banaye Na Bane, Jab Na Koi Baat Chale. Jais Gharri Raat Chale, Jais Gharri Matami, Sunsan, Saya Raat Chale. Pas Raho, Mere Qatil, Mere Dildaar, Mere Pas Raho..........! Book Requiem For An Unsung Messiah Page 159  

Ab Kisi Shakhs Ki Aadat Nahi Hoti Mujh Ko Ab

  Poet Mohsin Naqvi    Ab Kisi Shakhs Ki Aadat Nahi Hoti, Mujh Ko Ab Teri Yad Se Wehshat Nahi Hoti, Mujh Ko Zakham Khulte Hain Aziat Nahi Hoti, Mujh Ko Ab Koi Aaye Chala Jaye, Main Khush Rehta Hon Ab Kisi Shakhs Ki Aadat Nahi Hoti, Main Ko Aisa Badla Hon K Tere Shehr Ka, Pani Pee Kar Jhoot Bolon To Nadamat Nahi Hoti, Mujh Ko Hai Amanat Mein Khayanat, So Kisi Ki Khatir Koi Marta Hai To Hairat Nahi Hoti, Main Itna Masroof Hon K Jeene Ki Hawas Mein, MOHSIN Saans Lene Ki Bhi Fursat Nahi Hoti Mujh Ko.....................!   

Sharma K Youn Na Dekh Ada K Maqam Se

  Poet Sahir Ludhianvi    Sharma K Youn Na Dekh Ada K Maqam Se, Ab Bat Barh Chuki Hai Haya K Maqam Se, Tasveer Khainch Li Hai Tere Shokh Husn Ki, Meri Nazar Ne Aaj Khataa K Maqam Se, Dunia Ko Bhool Kar Meri Bahon Mein Jhool Ja, Awaz De Raha Hon Wafa K Maqam Se, Dil K Maamle Mein Nateeje Ki Fikar Kia, Aage Hai Ishq Jurm-O-Saza K Maqam Se.............! Page 270   

Tum Bhi Chalo Hum Bhi Chalein Chalti Rahe Zindagi

  Poet Sahir Ludhianvi    Tum Bhi Chalo Hum Bhi Chalein Chalti Rahe Zindagi, Na Zameen Manzal Na Aasmaan Zindagi Hai Zindagi, Peeche Dekhe Na Kab Murr K Raahon Mein, Mujhe Mera Dil Tumhain Le K Bahon Mein, Dharkano Ki Zaban K Nitt Kahe Dastaan, Pyar Ki Jhilmil Chaon Mein Palti Rahe Zindagi, Behte Chalein Hum Masti K Dharon Mein, Goonjte Hi Rahein Sada Dil K Taron Mein, Ab Ruke Na Kahein Pyar Ka Karwaan, Nitt Nai Rutt K Dhang Dhalti Rahe Zindagi.............! Page 302   

Aaye Kuch Abar Kuch Sharab Aaye Us K Baad Aaye Azab Aaye

  Poet: Faiz Ahmad Faiz Typ By *._Ayaz Khan_.*    Aaye Kuch Abar Kuch Sharab Aaye. Us K Baad Aaye Azab Aaye. Baam-E-Mena Se Mahtab Utray. Dast-E-Saqi Mein Aftaab Aaye. Har Rag-E-Khoon Mein Phir Charaghaan Ho. Samne Phir Wo Be Naqaab Aaye. Umar K Har Warq Pe Dil Ko Nazar. Teri Mehr-O-Wafa K Baab Aaye. Kar Raha Tha Gham-E-Jahan Ka Hisaab. Aaj Tum Yaad Be Hisaab Aaye. Na Gai Tere Gham Ki Sardari. Dil Mein Youn Roz inqalab Aaye. Jal Utha Bazam-E-Ghair K Dar-O-Baam. Jab Bhi Hum Khanmaan Kharab Aaye. Is Tarah Apni Khamusi Goonji. Goya Har Samat Se Jawab Aaye. FAIZ Thi Rah Sar Basar Manzil. Hum Jahan Phunche Kamyaab Aaye..................! Book: Requiem For An Unsung Messiah Page: 71  

Kaise Kaise Aise Waise Ho Gaye

  Kaise Kaise Aise Waise Ho Gaye, Aise Waise Kaise Kaise Ho Gaye.................!  

Mohabat Khawab Hoti Hai Bari Betab Hoti Hai

  "Ghazal"    Mohabat Khawab Hoti Hai Bari Betab Hoti Hai, Jo Koi Pooch Bethe To Mohabbat Raaz Hoti Hai, Machalti si Umangon ka Suhana Sath Hoti Hai, Jo koi Dhoondna Chahe. To Ye Nayab Hoti Hai, Mohabbat Phool Hai Shayad, Ghamon ki Dhool Hai Shayad. Chamakti Rat Hai Shayad kisi ki Yad Hai Shayad, Mohabbat Pur Sakoon Bhi Hai, Mgar Betab Hoti He Agar Mil Na Sake To Phir. "Adoora Khwaab" Hoti Hai.    

Koi Rat Mere Aashna Mujhe Youn Bhi To Naseeb Ho

  Poet Wasiq Ali Athar    Koi Rat Mere Aashna Mujhe Youn Bhi To Naseeb Ho, Na Khayal ho Libaas Tak Too Itne Mere Qareeb Ho, Badan Ki Garam Anch Se Meri Arzoo Ko Aag De, Mera Josh Bhi Behak Uthe Mera Haal Bhi Ajeeb Ho, Teri Chashni Wajood Ka Mein Sara Rass Nichor Lon, Phir Too Hi Mera Marz Ho Phir Too Hi Mera Tabeeb Ho...............! Book Mere Zindagi Page 18  

Ye Kaisa Izn-e-Tukallam Hai Jis Ki Taab Na Ho

  Poetess Parveen Shakir    Ye Kaisa Izn-e-Tukallam Hai Jis Ki Taab Na Ho, Sawal Karne Dia Jaye Aur Jawab Na Ho, Agar Khaloos Ki Dolat K Goshware Banein, To Sheir Bhar Mein Koi Shab-E-Nasaab Na Ho, Zameen Apni Mohabbat Mein Begharz To Nahi, Ye Aur Bat K Har Hath Ka Hisab Na Ho, Charagh Taaq-e-Tamana Main Rakh K Bhool Gai, Dua Wo Mang Rahe Thay Jo Mustajab Na Ho, Kabhi Na Tang Ho Us Par Zameen Ka Daman, Ameer-E-Sheir Agar Aasman Janab Na Ho, Humare Qeht Bhi Aur Barshain Bhi Poori Hoi, Hamare Naam Ka Ab To Koi Azab Na Ho, Ye Chashm-E-Nam Hai Isay Khushk Dekh Bhal K Kar, Hari Bhari Koi Basti Hi Zair Aab Na Ho, Bas Ek Naam Ka Tara Sada Chamakta Rahe, Gila Nahi Jo Muqdar Mein Mahtab Na Ho....................!   

Ban Gaye Ashk Jafa Ki Tasveer Khinch Gai Aaj Sada Ki Tasveer

  Poet Saghar Saddiqui Typ By *._Ayaz Khan_.*    Ban Gaye Ashk Jafa Ki Tasveer. Khinch Gai Aaj Sada Ki Tasveer. Ehtiyat-E-Dil Ashq-E-Lazam. Toot Jati Hai Wafa Ki Tasveer. Fasal-E-Gul Aur Chatakte Ghunche. Teri Makhmoor Ada Ki Tasveer. Phir Baja Nala-O-Sheevan Ka Saroor. Raqs Karti Hai Saba Ki Tasveer. Jagmagti Hai Gham-E-Hasti K. Rang-O-Roghan Se Qaza Ki Tasveer. Bol Uthti Teri Lay Mein SAGHAR. Aasmano Pe Dua Ki Tasveer........! Book: Kuliyat e Saghar Page: 149  

Jo Chamkate Damkate Thay RUKHSAR

Image
      ============ RUKHSAR ============   POET  UMAR RAAHI    Jo Chamkate Damkate Thay RUKHSAR* Aaj Wo Aanso'on Se Tar Hain RUKHSAAR* Wo Laal Gulab K Phool Se* Murjha Gaye Hain Kion Ye RUKHSAAR* Jaise Shabnam Ho Phool Ki Patti Patti Par* Behte Aanso Thay Bheege Wo RUKHSAAR* Jo Mere Choone Se Chamak Uthte Thay* Bujhe Bujhe Se Dekhe Aaj Wo RUKHSAAR* Kitabi Chehre Ka Waraq Waraq* Satar Satar Mein Likha Tha Gham-E- RUKHSAAR* In Hansty Muskraty Hontoon Sy* Chheen Gaya Hansi Gham-E- RUSKHAAR* Payaar Sy Jab Bhi Chooma In Ko Main Ny* Ho Jaty Thy Sharm Sy Laal Ye RUSKHAAR* Judaayi Ki Kaisai Ye Garm Hawa Chali* Jhal's Gaya Ye Gulshan-E- RUKHSAAR* Raahi Tairy Safar Ki Manzil Ka Thikana Thy Jo* Ujarr Gaya Wo Taira Aashiyana-E- RUKHSAAR....*    

Jaam-E-Halaat Pur Bahar Karo Bazm E Hasti

  Poet Saghar Saddiqui Typ By *._Ayaz Khan_.*    Jaam-E-Halaat Pur Bahar Karo. Bazam-E-Hasti Ko Tabedar Karo. Aaftab-E-Shaor Se Yaro. Zarah zarah Kiran Shaaar Karo. Jain Se Ruswaian Hon Gulshan Ki. Un Shagofon Ko Sangsar Karo. Main Wafain Talash Karta Hon. Tum Jafain Zara Shumar Karo. Zoq-E-Mansoor Aam Hai SAGHAR. Ehtamam-E-Saleeb-O-Daar Karo......! Book Kuliat-e-Saghar Page 126  

Kalam Karti Nahi Bolti Bhi Jati Hai Ye Kaisi

  Poet Amjid Islam Amjid    Kalam Karti Nahi Bolti Bhi Jati Hai, Teri Nazar Ko Ye Kaisi Zaban Aati Hai? Kabhi Kabhi Mujhe Pehchanti Nahi Wo Aankh, Kabhi Charagh Se Charon Taraf Jalati Hai, Ajab Tazaad Mien Palti Tere Vasl Ki Aas, K Aik Aag Bujhti Hai Ek Lagati Hai, Wo Dekhti Hai Mujhe Aisi Mast Nazro Se, Mere Laho Mein Koi Aag Sar Sarati Hai, Ye Chaar Soo Ka Andhera Simatne Lagta Hai, Kuch Is Tarha Teri Awaz Jag Magati Hai, Ye Koi Aur Nahi Aag Hai Ye Andar Ki, Badan Ki Rat Mein Jo Roshni Bichati Hai, Main Us Ko Dekhta Rehta Hon Rat Dhalne Tak, Jo Chandni Teri Galion Se Ho Kar Aati Hai, Jo Roshni Bhi Ataa Hai Teri Mohabbat Ki, Jo Meri Rooh K Manzar Mujhe Dekhati Hai, Umeed-e-wasl Bhi Amjid Hai Kanch Ki Choori, K Pehn'ne Mien Kai Bar Toot Jati Hai...........!   

Kash Tum Mujh Se Ek Bar Kaho Tum Ko Mujh Se Pyar Ho Lyric

  ======== SONG ========    Kash Tum Mujh Se Ek Bar Kaho, Tum Ko Mujh Se Pyar Ho Gia, Waday Wafa Iqrar Karo, Kash Tum Mujh Se Ek Bar Kaho, Tum Ko Mujh Se Pyar Ho Gia, Kuch Bhi Kaha Nahi Jaye, Dard Saha Nahi Jaye, Ho K Juda Jane Ada, Ab To Raha Nahi Jaye, Ho Maane Na Dil Deewana, Jalta Rahe Parwana, Main Ne To Ki Tum Se Wafa, Too Ne Nahi Pehchana, Kash Tum Mujh Se Ek Bar Kaho, Tum Ko Mujh Se Pyar Ho Gia, Jeena Sanam Dushwar Ho Gia, Wade Wafa Iqrar Karo, Kash Tum Mujh Se Ek Bar Kaho, Honton Pe Gham K Tarane, Ashkon Mein Doobe Fasane, Tanhaian Charon Taraf, Aa Mujhe Behlane, O Sanson Ki Shama Bujha Don, Kaise Tumhain Main Bhula Don, Jo Aks Hai Dil Pe Mere, Kaise Usay Main Mita Don, Kash Tum Mujh Se Ek Bar Kaho, Muskil Bara Intazar Kaho, Kash Tum Mujh Se Ek Bar Kaho, Tum Ko Mujh Se Pyar Ho Gia...............!  

Nazar Se Nazar Tum Milane Se Pehle Lyric

  ======== SONG ========    Singer Rahat Fathe Ali Khan    Nazar Se Nazar Tum Milane Se Pehle, Zara Soch Lo Dil Lagane Se Pehle, Zara Us K Dil Mein Bhi Tum Jhank Lena, Usay Raz Dil Ka Batane Se Pehle, Main Ye Janta Hon Meri Zindagi Mein, Koi Gham Na Tha Tere Aane Se Pehle, Bahut Roya Ho Ga Wo Apni Khata Par, Saza Mujh Ko Gham Ki Sunane Se Pehle, KHUDA Rooth Jata Hai Ye Soch Lena, Kisi Dil Ko Itna Dukhne Se Pehle, Kanhein Jal Na Jao Khud Is Aag Mein Tum, Kisi Aur Ka DIL Jalane Se Pehle.....................!   

Ajnabi Wo Bhi Ajab Mosm Tha Teri Qurbat Ka Sunehra

Ajnabi Wo Bhi Ajab Mosm Tha, Teri Qurbat Ka Sunehra Mosam, Teri Khushbo Se Mehekta Howa Gehra Mosam, Tere Chehre Ki Tamazat Se Dehekti Subhein, Teri Zulfon Ki Shabahat Se Lihkti Shamein, Tere Lehje Ki Shararat Se Shagufta Lamhe, Teri Aankhon Mein Larazte Howay Iqrar Ki Lo, Teri Aawaz K Gul Posh Abzaron Mein, Khawab Dar Khawab Duaon K Gulab, Tere Balor Se Hathon Mein Meri Taza Kitab, Ajnabi Ye Bhi Ajab Mosam Hai, Teri Furqat Ka Jhulasta Mosam, Aag Ban Kar Meri Sochon Pa Barsta Mosam, Kitna Makhroot Tarab Mosam Hai, Gham Bejan Noha Balab Mosam Hai, Teri Khushbo Ka Jazeera Na Teri Yad Ka Shehr, Meri Nas Nas Mein Utarta Howa Tanhai Ka Zehr, Zehr Ki Lehr K Humrah Tere Dard Ka Qehr, Qarya-E-Jan Mein Utarta Hai To Youn Laga Hai, Jaise Nazil Ho Kisi Shehr-E-Charaghan Pe Azab, Jaise Be Aab Hawa Rutt Mein Jhulas Jain Gulab, Dil Mein Ab Dard Bikharta Hai To Youn Lagta Hai, Jis Tarha Toot Rahi Ho Kisi Kha

Ab K Youn Dil Ko Saza Di Hum Ne Us Ki Har

  Poet Faiz Ahmad Faiz    Ab K Youn Dil Ko Saza Di Hum Ne, Us Ki Har Bat Bhula Di Hum Ne, Aik Aik Phool Bahut Yad Aaya, Shaakh-E-Gul Jab Wo Jala Di Hum Ne, Aaj Talak Jis Par Wo Sharmate Hain, Bat Wo Kab Ki Bhula Di Hum Ne, Shehr-e-Jan Raakh Se Abad Howa, Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Ne, Aaj Phir Bahut Yad Aaya Wo, Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Ne, Koi To Bat Hai Us Mein FAIZ, Har Khushi Jis Pe Louta Di Hum Ne................!   

Fiza-E-Neem Shabi Keh Rahi Hai Sab Acha

  Poet Saghar Saddiqui Typ By *._Ayaz Khan_.*    Fiza-E-Neem Shabi Keh Rahi Hai Sab Acha. Humari Bada Kashi Keh Rahi Hai Sab Acha. Na Itbar-E-Mohabbat Na Akhtiar-E-Wafa. Janoo Ki Teiz Ravi Keh Rahi Hai Sab Acha. Dyar-E-Mah Mein Tameer May Kaday Hon Gay. K Damano Ki Tahi Keh Rahi Hai Sab Acha. Qafas Mein Youn Bhi Tasali Bahaar Ne Di Hai. Chatak K Jaise Kali Keh Rahi Hai Sab Acha. Wo Aashnaye Haqeeqat Nahi To Kia Gham Hai. Hadees-E-Nama Bari Keh Rahi Hai Sab Acha. Tarrap Tarrap K Shub-E-Hijar Katne Walo. Nai Sahar Ki Gharri Keh Rahi Hai Sab Acha Hai. Hayat-O-Mout Ki Tafreeq Kia Karein SAGHAR. Humari Shan-E-Khudi Keh Rahi Hai Sub Acha.......! Book: Kuliat-E-Saghar Page 52 to 53  

Pathar Hai Tere Hath Mein Ya Koi Phool Hai

  Poet  Adeem Hashmi    Pathar Hai Tere Hath Mein Ya Koi Phool Hai, Jab Too Qabool Hai Tera Sab Kuch Qabool Hai, Phir Too Ne De Dia Hai Naya Fasla Mujhe, Sar Par Abhi Too Pichli Masafat Ki Dhool Hai, Too Dil Pe Bojh Le Kar Mulaqat Ko Na Aa, Milna Hai Is Tarah To Bichrna Qabool Hai, Too Yar Hai To Itni Kari Guftagoo Na Kar, Tera Asool Hai To Mera Bhi Asool Hai, Lafzon Ki Aabroo Ko Ganwa Na Youn, ADEEM Jo Manta Nahi Usay Kehna Fazool Hai................!     

Koi Nala Yahan Rasa Na Howa Ashak Bhi

  Poet Saghar Saddiqui Typ By *._Ayaz Khan_.*    Koi Nala Yahan Rasa Na Howa. Ashak Bhi Harf-E-Muda Na Howa. Talkhi-E-Dard Hi Muqadar Thi. Jaam-E-Asharat Humain Ata Na Howa. Mahtabi Nigah Walon Se. Dil K Dagho Ka Samana Na Howa. Aap Rasm-E-Jafa K Qail Hain. Mein Aseer-E-Wafa Na Howa. Wo Shehensha Nahi Bhekari Hai. Jo Faqeeron Ka Aasra Na Howa. Rahazan Aqal-O-Hosh Diwana. Ishq Mein Koi Rahnuma Na Howa. Dubne Ka Khayal Tha SAGHAR. Haye Sahil Pe Nakhuda Na Howa.........! Book: Kuliat-e-Saghar Page: 54 to 55  

Shola Hon Bharakne Ki Guzarish Nahi Karta

  Poet Muzafar Warsi    Shola Hon Bharakne Ki Guzarish Nahi Karta, Sach Moonh Se Nikal Jata Hai Koshish Nahi Karta, Girti Hoi Deewar Ka Hamdard Hon Lekin, Charte Howay Soraj Ki Parastish Nahi Karta, Mathe K Paseene Ki Mehak Aaye To Dekhein, Wo Khoon Mere Jism Mein Gardish Nahi Karta, Humdardi-E-Ahbab Se Darta Hon Muzafar, Main Zakham To Rakhta Hon Numaish Nahi Karta..........!   

Har Ghari Main Justajo Mein Rehta Hon

  Poet: Ayaz Khan   Typ By *._Ayaz Khan_.*    Har Ghari Main Justajo Mein Rehta Hon. Mein To Bas Ab Junu Mein Rehta Hoon. Dil Ki Halat Mat Pucho Mujhe Se Tum. Mein To Gham Ki Char-Su Mein Rehta Hoon. Aaj Mere Labon Pe Jo Muskurahat Saji Hai. Fareb-E-Nazar Hai Ye, Mein Zabu Mein Rehta Hoon. Ye Kia Kam Hai Ehsan Zamane Ka Mujh Par. K Mein Ab Tak Zinda Izat-O-Abru Mein Rehta Hoon. Suna Tha Bahut K ishq Balaye Jaan Hai. Dekho Aaj Mein Aaine K Ru-Ba-Ru Mein Rehta Hoon. AYAZ Teri Yaad Hai Aur Ye Mukhtasar Zindagi. Mein To Zinda Sirf Tere Rang-O-Bu Mein Rehta Hoon..........!  

Nala Hadood-E-Koye Rasaa Se Guzar Gia

  Poet: Saghar Saddiqui Typ By *._Ayaz Khan_.*   Nala Hadood-E-Koye Rasaa Se Guzar Gia. Ab Dar-E-Dil Elaj-O-Dawa Se Guzar Gia. Un Ka Khayal Ban Gain Seene Ki Dharrkane. Naghma Muqam-E-Soot-O-Sada Se Guzar Gia. Ejjaz-E-Be Khudi Hai K Ye Husan-E-Bandagi. Ek But Ki Justaju Mein Khuda Se Guzar Gia. insaf Seem-O-Zar Ki Tajali Ne Dass Liya. Har Juram Ehteyaaj-E-Saza Se Guzar Gia. Uljhi Thi Aqal-O-Hosh Mein SAGHAR Rah-E-Hayat. Mein Le K Tera Naam Fana Se Guzar Gia........! Book: Kuliat-e-Saghar Page: 47  

Mujhe Aisa Lutf Ata Kia Jo Na Hijar Tha Na Wisal Tha

  Poet Mohsin Naqvi    Mujhe Aisa Lutf Ata Kia Jo Na Hijar Tha Na Wisal Tha, Mere Mosamo K Mijaz Daan, Tujhe Mera Kitna Khayal Tha, Kisi Aur Chehre Ko Dekh Kar, Teri Shakl Zehan Mein Aa Gain, Tera Naam Le K Mila Usay, Mere Hafze Ka Ye Haal Tha, Kabhi Mosamo K Sarab Mein, Kabhi Baam-o-Dar K Azab Mein, Wahan Umar Hum Ne Guzar Di, Jahan Sans Lena Muhal Tha, Kabhi Too Ne Ghor Nahi Kia, K Ye Log Kaise Ujar Gaye? Koi Mere Jaisa Girafta Dil, Tere Samne Ki Misal Tha, Tere Baad Koi Nahi Mila, Jo Ye Haal Dekh K Poochta, MOHSIN Mujhe Kis Ki Aag Jhulsa Gai? Mere Dil Ko Kis Ka Malal Tha, Kahein Khoon-e-Dil Se Likha To Tha, Tere Saal-e-Hijar Ka Aaina, Wo Adhoori Daire Kho Gaye, Wo Na Jane Kon Sa Saal Tha.................!   

Tere Milan Ka Wo Maah-O-Saal Acha Tha,

    =============== WO ZAWAAL ===============    POET  UMAR RAAHI    Tere Milan Ka Wo Maah-O-Saal Acha Tha,, Phoolon K Jaisy Khilta Wo Hussan-O-Jamaal Achha Tha,, Ly Kar Angrrai Dheery Sy Uthna,, Sony Kyoun Nahein Daity Wo Shikwa-O-Sawaal Achha Tha,, Aub K Kuchh Daikhta Hoon Main Be-Rukhi Si,, Is Sy Pahly Guzra Har Din Maheena-O-Saal Achha Tha,, Aub K Preet Ka Sooraj Girhan Hai RAAHI, Is Se To Mere Payar Ka Wo Zawaal Achha Tha.    

Ek Aag Lagi Hai Mere Tann Mann Mein Rooth Gia

    POET UMAR RAAHI    Ek Aag Lagi Hai Mere Tann Mann Mein, Rooth Gaya Wo Shakhss Jo Basa Tha Dil Ki Dharrkan Mein,, Aawara Ban Kar Phirta Hon Gali Gali Nagar Nagar,, Lagta Nahen Aub Dil Ghar K Aangan Mein,, Wafa Ki Tamna Aub Kis Liye Karo'n.? Wafa K Phool Murjha Gaye Gullshan Mein,, Kis Apny Ki Talash Mein Ho RAAHI Bany ? Yahaan Ghair Ki Bastiaan Hain Gagan Mein.    

Tera Payar Bhi Koi Thukraye KHUDA Kare

    ============= KHUDA KARE =============    POET UMAR RAAHI    Tera Payar Bhi Koi Thukraye KHUDA Kare, Toota Howa Dil Le Kar Lout Aaye KHUDA Kare, In Sharaart Bhari Aankhoon Sy,, Sada Ko Koi Aansoo Chhorr Jaye KHUDA Kary,, Mairy Dil Sy Jaisy Ho Khaily Tum,, Taira Dil Bhi Koi Khilona Banaye KHUDA Kary,, Banaya Mairi Mohabbat Ka Jo Tamasha Hai,, Tairi Chaahat Bhi Youn Tamasha Banaye KHUDA Kary,, RAAHI Doon Kaisi Main Badd-DUAA Us Ko,,? Mairi Har Dua Darja-E-Qabooliat Na Paye KHUDA Kare.    

Mahfil-E-Jaana Mein Jana Para Mujhe

    ================= US KI KHATIR =================   POET UMAR RAAHI    Mahfil-E-Jaana Mein Jana Para Mujhe, Chhupa Kar Aansoo Muskrana Parra Mujhy,, Ronaq-E-Mahfil Bany Dost Us K Raqeeb Mairy,, Bhula Kar Raqaabt Sub Sy Haath Milana Parra Mujhy,, Mahfil Thi Urooj Par Timtima Raha Tha Charaagh,, Khoon-E-Jigar Dy Kar Diya Jalana Parra Mujhy,, Raqeebaan-E-RAAHI Thy Mahfil Mein Sary,, Us Ki Khatir Dostaan-E- RAAHI Batana Parra Mujhe.    

Madham Jazbe Bharrka Deti Hai Ye Dheemi Barish

    Poet Umar Raahi    Madham Jazbe Bharrka Deti Hai Ye Dheemi Baarish,, Bhooly Huye Log Yaad Dila Daiti Hai Ye Dheemi Baarish,, Barason Pahly Jo Bhool Gaya Nishan-E-Manzil,, Bachpan Ki Wo Raahein Yaad Dila Daiti Hai Ye Dheemi Baarish,, Yaad Aaty Hain Wo Musaafir-E-Raah-E-Mohabbat K,, An-Jaany Mein Jo Kabhi Mila Daiti Hai Ye Dheemi Baarish,, RAAHI In Badalon Ka Mazaj Bhi Us Be-Wafa Jaisa Hai,, Khud Holy Holy Barasty Hain Aankhein Mosla-Dhaar Barsa Daiti Hai Ye Dheemi Baarish.    

Shab-E-Gham Kattne Ko Hai RAAHI Ye Andheri

    ================== SHAB-E-GHAM ==================    POET UMAR RAAHI    Shab-E-Gham Kattne Ko Hai RAAHI,, Ye Andheri Rat Bhi Dhalny Ko Hy RAAHI,, Hain 2 4 Pall Aub Doori K Na Ghabra Ay Dil,, Ye Shaam-E-Gham Bhi Guzarny Ko Hy RAAHI,, Chaahat Ka Sooraj Ik Din Nikly Ga Zaroor,, Judai Ki Ye Kaali Raat Chhuttny Ko Hy RAAHI,, Din Badla Raat Badli Waqat Badla Insan Badaly,, Nafart Bhara Wo Dil Bhi Badlany Ko Hy RAAHI,, Ho Gi Payaar Ki Wo Barsaatein Aub K,, Ujrry Dil Ka Gulshan Mahkny Ko Hy RAAHI,, Too RAAHI Hy Raah-E-Mohabbat Py Hi Chal,, Manzil-E-Jaana'N Ka Nishaan Milny Ko Hy RAAHI.........!    

Tham Hath MEra LE Chal Us Paar Piya

    POET UMAR RAHI    Tham Hath MEra LE Chal Us Paar Piya+" Karna Hay Aaj Mujhay Mohabbat Ka Samndar Paar Piya+" Aarzoo Hay Tairay Sath Ki Dil Ko+" Kar Do Poori Dil Ki Aas Piya+" Thokrein Khaoun Kab Tak Zamanay Ki+" Dukh Kay Samndar Mein Ghota Zann Hoo'N Dukhi Dil Ko Day Do Kuchh Qarar Piya+" Dil Mein Hay Taira Hi Payar Basa Huwa+" Aaj Kar Daita Hoo'N Main Iqrar Piya+" Dil Ki Ujrri Basti Mein Tujhay Basana Hay+" Too Hay Is Dil Ka Dil-Daar Piya+" Umar Bhar Tarrpaya Hay RAAHI Ko+" Aub Aur Na Karao Intzar Piya+"    

Dard-E-Dil Jag Uthha Barsat Mein Bhoola Howa

    =============== BARSAT MEIN ================    POET UMAR RAAHI    Dard-E-Dil Jag Uthha Barsat Mein, Bhoola Howa Yar Yad Aaya Barsat Mein, Daikh K Baadal Dil Mein Jot Si Jagi, Yaaron Mein Ik Yaar Yaad Aaya Barsat Mein, Wo Bharish Mein Bheegna Wo Sath Chalna, Yaad Aaya Kisi Ka Wo Hansna Barsat Mein, Wo Peepl Ka Darkhat Aur Hum Do, Wo Bhaahon Mein Bharna Taira Barsat Mein, Aaj Tanha Roya Tujhy Yaad Kar K RAAHI, Magar Dunya Sy Aansoo Chhupa Diye Barsat Mein.    

Mere Dil K Sehra Mein Koi To Badal Ban Kar Aaye

    ================= DIL KA SEHRA =================    POET UMAR RAAHI    Mere Dil K Sehra Mein Koi To Badal Ban Kar Aaye, Aur Toot Kar Barasy, Is Dil K Veeran Sehra Py, Aur Isy Seerab Kar Jaye, Chalo Ghan Garaj K Sath Na Barasy, Khaamoshi Sy Hi Baras Parry, Ye Sehra Kab Sy Pyasa Hy, Preet Ki Baarish Ko Taras Raha, SUNO RAAHI Aub K Baras To Baras Jao Na, Ye Sehra Kab Sy Muntzar Hy, Tere Pyar Ki Barsaat Ko.    


Kaha ek Din Us Ne Mujhe Mera Wo Bachpan Louta Do

    ============ BACHPAN ============   POET UMAR RAAHI    Kaha ek Din Us Ne Mujhe Mera Wo Bachpan Louta Do, Jis Mein Thi Mairi Shokhiyan, Mairi Wo Sharartein, Maira Wo Baat Baat Hansna, Maira Wo Pall Pall Rona, Mujhy Lota Do, Wo Bachpan K Khail, Wo Bachpan K Khilony, Wo Mairy Sary Khilony, Aur Sub Khilonon Mein, Wo Ik Pyari Si Gurriya, Mujhy Mairy Bachpan Ka, Wo Asaasa Lota Do, Balkty In Honton Py, Wo Bachpan Ki Hansi Saja Do, Mujhy Mairi MAA Ki, Wo Guad Dila Do, Mujhy Maira Bachpan Lota Do, Ye Jawani Lo Mujh Se, Mera Bachpan La Do Mujhe.