Posts

Showing posts from January, 2017

Ae mere chahne wale mujhe iss kadar dua na de Tadpoon mai raat bhar mujhe aisi sada na de

Image
Ae mere chahne wale mujhe iss kadar dua na de Tadpoon mai raat bhar mujhe aisi sada na de Tu door ho ya paas ho mera ban ke tou dikha Tera ishq zara se shaks ko aashiq bana na de Khwaabon mei is kadar na aa ki so bhi na sakun Yaadon me is taraah na aa ki din bhi na kate Aaankhon me ashq aaye aur main ro bhi na sakun Itna mujhe na chaah mujhe aisi dawa na de Itni wafa ke baad gar chalkein palko ke jaam Unko bhi na piyun mujhe aisi wafa na de Apne shahar ki galiyon ko mai chodd hoon chuka Aisa na ho teri gali tera pata na de Sab kuch luta ke khush hoon jo pa liya tujhe Aisa na ho tere dar pe hoon aur tu panaah na de

Kisi Ki Chhah Mein Aisa Bhi Kia Sar Shaar Ho Jana Keh Apne Rastay Ki Aap Hi Deewaar Ho Jana

Image
کسی کی چاہ میں ایسا بھی کیا سرشار ہو جانا کہ اپنے راستے کی آپ ہی دیوار ہو جانا بہانے ترک رسم و راہ کے خود ڈھونڈتے رہنا کسی کو چاہنا اتنا کہ پھر بیزار ہو جانا سدا خلوت میں اپنے آپ سے باتیں بہت کرنا اور اس کے سامنے چپ ، صورت دیوار ہوجانا یہ کیا عادت ہے دکھڑے ہر کسی کے سامنے رونا جسے ملنا ، لپٹ جانا ، گلے کا ہار ہو جانا سحر دم گھر سے چلنا اک گدائے بے نوا بن کر پھر اس عالم میں پھرنا ، شام کا اخبار ہو جانا ہمارا ان دنوں یہ حال ہے شوقِ مسافت میں کہ سب کے ساتھ چلنے کیلئے تیار ہو جانا

Koi Ban Gaya Ronaq Pakhian Di Koi Chor Ke Sheesh Mehal Chalya

Image
Koi Ban Gaya Ronaq Pakhian Di Koi Chor Ke Sheesh Mehal Chalya Koi Palya Naaz Te Nakhrian Wich Koi Rait Garam Te Thal Chalya Koi Bhul Gaya Maqsad Aawan Da Koi Kar Ke Maqsad Hal Chalya Ithay Har Koi Fareed Musafar Ae Koi Aj Chalya Koi Kal Chalya

ham se poochho Gazal kya hai Gazal ka fan kya hai chand lafzon mein koi aah chhupa di jaaye

Image
ham se poochho Gazal kya hai Gazal ka fan kya hai chand lafzon mein koi aah chhupa di jaaye Jan Nisar Akhtar

dil bhi karta hai yad chup ke tujhe naam leti nahin zuban tera

Image
dil bhi karta hai yad chup ke tujhe naam leti nahin zuban tera kis se poochon ga mein khabar teri kon batlaye ga nishan tera Teri ruswayon se darta hon  jab tere shehar se guzarta hoon Hal-e-dil bhi na keh saka garchey tu rahi mudat kareeb mere tu mujhey chorr kar chali hi gaye khair kismat meri naseeb mere ab mein kiyon tujh ko yaad karta hoon jab tere shehar se guzarta hoon wo zamana teri mohabbat ka ik bholi hui kahani hai kis tamanna se tujh ko chaha tha kis mohabbat se haar mani hai apni kismat pe naaz karta hoon jab tere shehar se guzarta hoon

MILNA NAHI HAI MUJHSE TO KEH DO KHUSHI KE SAATH KYU KHEL KHELTE HO MERI ZINDAGI K SAATH

Image
MILNA NAHI HAI MUJHSE TO KEH DO KHUSHI KE SAATH KYU KHEL KHELTE HO MERI ZINDAGI K SAATH APNA JISE KAHA WO MOHABBT NA DE SAKA AB DOSTI KARENGE KISI AJNABI KE SAATH HAI AASMA WAHI WAHI SHAMO SAHAR MAGAR HAR SHEH BADAL GAI HAI TERI BARHMI KE SAATH MUJHSE NAZAR MILA KE NA YU MUSKURAO TUM AB KHEL MAT KARO MERI DIWANGI KE SAATH HAI APNI APNI RAH ME DIN RAAT KA SAFAR MEIN TEERGI KE SAATH HU TUM ROSHNI KE SAATH

Sab ne pocha khazan kia hoti hai Tum ne meri misaal de hoti

Image
Sab ne pocha khazan kia hoti hai Tum ne meri misaal de hoti Pocha musam badalte hain kese ? Tum ne apni misaal de hoti Pocha kese gatha barasti hai Meri aankhon ki baat ki hoti Pocha ruk ruk k kon chalta hai Mere dil ki misaal de hoti Kash sab kuch yon na howa hota Baat tum ne sanbhal li hoti Parveen Shakir

KHOYE KHOYE SEE DHEEMI DHEEMI SEE

Image

Hum Maslahat-e-Waqt Ke Qael Nahi Yaaro Ilzam Jo Dena Hai Sar-e-Aam Diya Jai

Image
Hum Maslahat-e-Waqt Ke Qael Nahi Yaaro Ilzam Jo Dena Hai Sar-e-Aam Diya Jai Mohsin Bhopali

Badi Aag Hai,Badi Aanch Hai,Tere Maikady Ke Gulaab Mein Kai Balian,Kai Chodian Yahan Ghul Rahi Hain Sharaab Mein

بڑی آگ ہے، بڑی آنچ ہے، ترے میکدے کے گلاب میں کئی بالیاں ، کئی چوڑیاں یہاں گھل رہی ہیں شراب میں وہی لکھنے پڑھنے کا شوق تھا ، وہی لکھنے پڑھنے کا شوق ہے ترا نام لکھنا کتاب پر، ترا نام پڑھنا کتاب میں وہ بدن سخن کا جمال ہے، وہ جمال اپنی مثال ہے کوئی ایک مصرعہ نہ کہہ سکا، کبھی اس غزل کے جواب میں یہ نوازشیں یہ عنایتیں، ترا شکر کیسے ادا کروں سرِ راہ پھول بچھا دیے، مرے آنسوؤں کے جواب میں مرے زرد پتوں کی چادریں بھی ہوائیں چھین کے لے گئیں میں عجب گلاب کا پھول ہوں‘جو برہنہ سر ہے شباب میں یہ دُعا ہے ایسی غزل کہوں ‘کبھی پیش جسے میں کرسکوں کوئی حرف تیرے حضور میں‘کوئی شعر تیری جناب میں Badi Aag Hai,Badi Aanch Hai,Tere Maikady Ke Gulaab Mein Kai Balian,Kai Chodian Yahan Ghul Rahi Hain Sharaab Mein Wahi Lekhny Padny Ka Shoq Tha,Wahi Lekhny Padny Ka Shoq Hai Tera Naam Lekhna Kitaab Par,Tera Naam Parhna Kitaab Mein Wo Badan Sukhan Ka Jamaal Hai,Wo Jamaal Apni Misaal Hai Koi Aik Misra Na Keh Saka,Kabhi Us Ghazal K Jawaab Mein Ye Nawazeshein Ye Inayatein,Tera Shukar Kaise Ada Karon Sar-e-Raah Phool Bich

Kabhee jigar pe kabhee dil pe chot padhti hai Teri nazar ke nishaane badalte rehatein hain

Kabhee jigar pe kabhee dil pe chot padhti hai Teri nazar ke nishaane badalte rehatein hain Faza-e-kunj-e-chaman mein hamein talaash na kar Musaafiron ke thikaane badalte rehatein hain Saif-u-din saif

Jee chahta hai umr-e-mohabbat na khatm ho mar jaiye kisi ki tamanna liye hue

جی چاہتا ہے عمر محبت نہ ختم ہو ‎مر جائیے کسی کی تمنا لیے ہوئے ‎نعش رواں ہوں زیست ہے میری فریب زیست ‎پھرتا ہوں زندگی کا جنازہ لیے ہوئے Jee chahta hai umr-e-mohabbat na khatm ho mar jaiye kisi ki tamanna liye hue nash-e-rava'n hoon zeest hai meri fareb-e-zeest phirta hoon zindagi ka janaza liye hue Seemab Akbarabadi

Dil ishq mein bepaayaan, sauda ho to aisa ho Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho

Image
Dil ishq mein bepaayaan, sauda ho to aisa ho Darya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho Ham se nahin rishta bhi, ham se nahin milta bhi Hai paas wo baitha bhi, dhoka ho to aisa ho Wo bhi raha ba-gaana, ham ne bhi na pehchaana Haan ay dil-e-deewaana, apna ho to aisa ho Hum ne yahi maanga tha, us ne yahi bakhshaa hai Banda ho to aisa ho, daata ho to aisa ho Is daur mein kya kya hai, ruswaayi bhi lazzat bhi Kaanta ho to aisa ho, chubhta ho to aisa ho Ay Qais junoon paisha, Insha ko kabhi dekha? Wahshi ho to aisa ho, ruswa ho to aisa ho  Ibn e Insha

Baaqi abhi hai tark-e-tamanna ki aarzoo Kyun-kar kahon koi tamanna nahin mujhe

Baaqi abhi hai tark-e-tamanna ki aarzoo Kyun-kar kahon koi tamanna nahin mujhe Muzzafar Ali Aseer

Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai

Masoom mohabbat ka bas itna fasana hai Kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai Kya shart-e-mohabbat hai kya shart-e-zamaana hai Awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai Uss par uterne ki ummeed bahot kam hai Kashti bhi purani hai aur tufan ko bhi aana hai Samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke Ek shks ko aankho se dil ka sara dard sunana hai Bholi si ada koi phir ishq ki zid par hai Phir aag ka dariya hai aur doob ke jana hai

Jal jao khamoshi Se Kadi dhoop mein lekin Apnon Se kabhi saya-e-deewar na mango

Jal jao khamoshi Se Kadi dhoop mein lekin Apnon Se kabhi saya-e-deewar na mango

Kai rog de gai he naye mousamon ki barish Mujhe yaad aa rahe hein, mujhe bhool jane wale

Kai rog de gai he naye mousamon ki barish Mujhe yaad aa rahe hein, mujhe bhool jane wale

Teri majbooryan darust magar Tu ne wada kia tha,yaad to kar

Teri majbooryan darust magar Tu ne wada kia tha,yaad to kar Tu jahan chnd roz thehra tha Yaad karta ha tujh ko ,aaj wo ghar Hm jahan roz saer kartay thay Aaj sunsaan ha wo rehguzar Tu jo nagaah saamnay aaya Rakh liae man ne haath,aankhon par Nasir Kazmi

DIL K TUKRON KO BAGAL BEECH LIAE PHIRTA HOON KUCH ILAJ ISKA BHI ,AE CHARA GIRAAN,HA K NAHEEN

DIL K TUKRON KO BAGAL BEECH LIAE PHIRTA HOON KUCH ILAJ ISKA BHI ,AE CHARA GIRAAN,HA K NAHEEN MIRZA RAFI SODA

Zu Ye Da Shundo Rapedal Bardasht Koly Na Sham Rebara Zaan Sara Baran Ke Janan Ma Rawala

زہ يے د شونڈو رپیدل برداشت کولے نہ شم   ریبارہ زان سرہ باران کی جانان مہ راولہ Zu Ye Da Shundo Rapedal Bardasht Koly Na Sham Rebara Zaan Sara Baran Ke Janan Ma Rawala

Husn ka haq nahin rehta baaqi Har adaa mein wo adaa kartein hain

Husn ka haq nahin rehta baaqi Har adaa mein wo adaa kartein hain

Tumhari yaad me aankhon ka ratjaga hai koi khwab naya, aaye to kaise aaye

तुम्हारी याद में आँखों का रतजगा है कोई ख़्वाब नया आए तो कैसे आए Tumhari yaad me aankhon ka ratjaga hai koi khwab naya, aaye to kaise aaye

Tamanna teri hai agar hai tamanna Teri aarzoo hai agar aarzoo hai

Tamanna teri hai agar hai tamanna Teri aarzoo hai agar aarzoo hai Khwaja Meer Dard

Ab k socha hai k khamoshi ko hi bana liengy andaaz e bayan apna Na lafz dhondhny pareingy ,na guzry ga nagawar kisi ko

Ab k socha hai k khamoshi ko hi bana liengy andaaz e bayan apna Na lafz dhondhny pareingy ,na guzry ga nagawar kisi ko Chup chaap zinda rehny ki raahein tatoliye Bywajah nafsiyat ki girhein na kholiye Chup chaap sahi maslyhatan waqt k hathon Majboor sahi waqt sy haara tu nahi hon Mustar kyun mujhy daikhta rehta hai zamana Deewana sahi inka tamasha tu nahi hon

Abh ki baar tum mile to palkein band hi rakheinge Ye baatuni aakhein kuch bolne nahi deti

Abh ki baar tum mile to palkein band hi rakheinge Ye baatuni aakhein kuch bolne nahi deti

Zu De Da Yao Khuwa Na Gandam Ta Balkhuwa Biya Seeri She Zama Da Jwand Rekhe Rekhe Grewana Stari De Kram

Zu De Da Yao Khuwa Na Gandam Ta Balkhuwa Biya Seeri She Zama Da Jwand Rekhe Rekhe Grewana Stari De Kram

Yao Che Starge Darta Mrre Krri,Bal Khanda Pa Narmo Shundo Hagha Zrra Ka Da Mola Vi,Muhabbat Pake Paida Shi

Yao Che Starge Darta Mrre Krri,Bal Khanda Pa Narmo Shundo Hagha Zrra Ka Da Mola Vi,Muhabbat Pake Paida Shi

Shankar Bhi Kai Khatam Hoe Shiv Bhi Chal Base Aankhon Ke Shawalon Mein Qadam Soch Ke Rakhna

Image
Shankar Bhi Kai Khatam Hoe Shiv Bhi Chal Base Aankhon Ke Shawalon Mein Qadam Soch Ke Rakhna Razab Tabraiz

Aao mil kar karain wafa roshan Main sulagta hon tum hawa'ain do

Image
Aao mil kar karain wafa roshan Main sulagta hon tum hawa'ain do

Kahein Ishq Sajdy Mein Gir Gaya Kahein Ishq Sajdy Se Phir Gaya (ISHQ)

............. ♥ عشق ♥ ............. ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳﺠﺪﮮ ﻣﯿﮟ ﮔِﺮ ﮔﯿﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳﺠﺪﮮ ﺳﮯ ﭘﮭﺮ ﮔﯿﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺩﺭﺱِ ﻭﻓﺎ ﺑﻨﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺣﺴﻦِ ﺍﺩﺍ ﺑﻨﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﺳﺎﻧﭗ ﺳﮯ ﮈﺳﻮﺍ ﺩﯾﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﻧﻤﺎﺯ ﮐﻮ ﻗﻀﺎ ﮐﯿﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺳﯿﻒِ ﺧﺪﺍ ﺑﻨﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺷﯿﺮ ﺧﺪﺍ ﺑﻨﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻃُﻮﺭ ﭘﺮ ﺩﯾﺪﺍﺭ ﮨﮯ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺫﺑﺢ ﮐﻮ ﺗﯿﺎ ﺭ ﮨﮯ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﺑﮩﮑﺎ ﺩﯾﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﻧﮯ ﺷﺎﮦِ ﻣﺼﺮ ﺑﻨﺎ ﺩﯾﺎ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﺎ ﻧﻮﺭ ﮨﮯ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﮐﻮﮦِ ﻃُﻮﺭ ﮨﮯ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺗُﻮ ﮨﯽ ﺗُﻮ ﮨﮯ ﮐﮩﯿﮟ ﻋﺸﻖ ﺍﻟﻠﮧ ﮬُﻮ ﮨﮯ ............. ♥ ISHQ ♥ ............. Kahein Ishq Sajdy Mein Gir Gaya  Kahein Ishq Sajdy Se Phir Gaya Kahein Ishq Dars-e-Wafa Bana Kahein Ishq Husn-e-Ada Bana Kahein Ishq Ne Saanp Se Daswa Diya Kahein Ishq Ne Namaz Qaza Kia Kahein Ishq Saif-e-Khuda Bana Kahein Ishq Sher-e-Khuda Bana Kahein Ishq Toor Par Deedaar Hai Kahein Ishq Zabah Ko Tayyar Hai Kahein Ishq Ne Behka Diya Kahein Ishq Ne Shah-e-Misar Bana Diya Kahein Ishq Aankhon Ka Noor Hai Kahein Ishq Koh-e-Toor Hai Kahein Ishq Tuu Hi Tuu Ha

Sardiyon ke mausum men Be sabab in aankhon men Kuchh nami si reh'ti hai

Sardiyon ke mausum men Be sabab in aankhon men Kuchh nami si reh'ti hai Zindagi mukammal ho Phir bhi zaat men jaise Ek kami si reh'ti hai

Wo Kehti Hai Keh Dar Khatka,Main Kehta Hon Hawa Hogi

وہ کہتی ہے کہ در کھٹکا میں کہتا ہوں ہوا ہو گی وہ کہتی ہے کوئی بولا میں کہتا ہوں قضا ہو گی وہ کہتی ہے کوئی رویا میں کہتا ہوں وفا ہو گی وہ کہتی ہے کوئی گزرا میں کہتا ہوں صبا ہو گی وہ کہتی ہے کہ برسی ہے میں کہتا ہوں گھٹا ہو گی وہ کہتی ہے کہ بے رخ ہوں میں کہتا ہوں ادا ہو گی وہ کہتی ہے محبت تھی میں کہتا ہوں خطا ہو گی

Bahte daryaa men utar jana tha Khaak the aur bikhar jana tha

Bahte daryaa men utar jana tha Khaak the aur bikhar jana tha Us se bichhre to zamaanaa beeta Ab talak zakhm ko bhar jana tha Maan leta hon tujhe hi manzil Ab kahaan yaad kidhar jana tha Hausle ham ne bachakar rakkhe Jab hamein had se guzar jana tha Jaan !!! is hijar pe rona kaisa Ek din yun bhi to mar jana tha

Main K Is Shehr Ka Seemaab-Sifat Shayer hoon Meri Takhleeq Mere Fikar Ki Pehchaan bhi hai

Main K Is Shehr Ka Seemaab-Sifat Shayer hoon Meri Takhleeq Mere Fikar Ki Pehchaan bhi hai Mere harfon, Mere Lafzon Mein hai chehra Mera Mera Fan ab Mera Mazhab, Mera Emaan bhi hai Meer-o-Ghalib Na sahi Phir bhi Ghanemat Jaano Mere Yaaron Ke Sarhaane Mera Deewaan bhi hai

Duniya-o-Akhrat Mein Na Bhooke Maren ge Hum Ghurbat Mein Bhi Na Apne Qadam Dagmagayen ge

Duniya-o-Akhrat Mein Na Bhooke Maren ge Hum Ghurbat Mein Bhi Na Apne Qadam Dagmagayen ge Be-Rozgaar Ho bhi gye gar tou Dekhna Jannat Ke Ghar Ko Baiech Ke Roti Kamayen Ge

Tanz-e-Aghyaar Se Ehbaab Ke Ikhlaas Talak Main Ne Har Naimat-e-Uzmaa Ka Labada Pehna

Tanz-e-Aghyaar Se Ehbaab Ke Ikhlaas Talak Main Ne Har Naimat-e-Uzmaa Ka Labada Pehna Meri Aankhon Mein Kharashen Thin Dhanak Ki Lekin Meri Tasweer Ne Malboos To Saada Pehna

Sab Dagh Barisho'n Ki Hawa Mein Bujhe Rahe Bas Dil Ka Aik Zakham Purana Ajeeb Tha

سب داغ بارشوں کی ہَوا میں بُجھے رہے بس دل کا ایک زخم پرانا عجیب تھا پروین شاکر Sab Dagh Barisho'n Ki Hawa Mein Bujhe Rahe Bas Dil Ka Aik Zakham Purana Ajeeb Tha Parveen Shakir

Tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare Tujh ko tera naseeb rulaye Khuda kare

Tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare Tujh ko tera naseeb rulaye Khuda kare Raton mein tujh ko neend na aye Khuda kare Tu dar-ba-dar ki thokren khaye Khuda kare Aye bahar tere gulistan mein bar bar Tujh par kabhi nikhar na aye Khuda kare Meri tarah tujhe bhi jawani mein gham mile Tera na koi sath nibhaye Khuda kare Manzil kabhi bhi pyar ki tujh ko na mil sake Tu bhi dua ko hath uthaye Khuda kare Tujh par shab-e-wisal ki raten haram hon Shammein jala jala k bujhaye Khuda kare Ho jayen bad-duaen meri dosto ghalat Ab un pe koi harf na aye Khuda kare

Khushi ki bheek mein kis kis Sy mangta Acha howa k ghamon sy tabiyat behal gai

Khushi ki bheek mein kis kis Sy mangta Acha howa k ghamon sy tabiyat behal gai

Ye Samandar Hai Kinare Hi Kinare Jao

یہ سمندر ہے کنارے ہی کنارے جاؤ عشق ہر شخص کے بس کا نہیں پیارے ، جاؤ یوں تو مقتل میں تماشائی بہت آتے ہیں آؤ اس وقت کہ جس وقت پکارے جاؤ دل کی بازی لگے پھر جان کی بازی لگ جائے عشق میں ہار کے بیٹھو نہیں ، ہارے جاؤ کام بن جائے اگر زلف جنوں بن جائے اس لیے اس کو سنوارو کہ ، سنوارے جاؤ کوئی رستہ کوئی منزل اسے دشوار نہیں جس جگہ چاہو محبت کے سہارے جاؤ ہم تو مٹی سے اگائیں گے محبت کے گلاب تم اگر توڑنے جاتے ہو ستارے ، جاؤ ڈوبنا ہو گا اگر ڈوبنا تقدیر میں ہے چاہے کشتی پہ رہو ، چاہے کنارے جاؤ تم ہی سوچو بھلا یہ شوق کوئی شوق ہوا آج اونچائی پہ بیٹھو ، کل اتارے جاؤ موت سے کھیل کے کرتے ہو محبت " عاجز " مجھ کو ڈر ہے کہیں بے موت نہ مارے جاؤ کلیم عاجز

Karb Ka Lashkar Tha Muqabil Aur Tanha Main Sankron Lakhon Masail Aur Tanha Main

ﮐﺮﺏ ﮐﺎ ﻟﺸﮑﺮ ﺗﮭﺎ ﻣﻘﺎﺑﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ ﺳﯿﻨﮑﮍﻭﮞ ﻻﮐﮭﻮﮞ ﻣﺴﺎﺋﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ ﺁﻧﺪﮬﯿﻮﮞ ﮔﺮﺩﺍﺏ ﻣﻮﺟﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﻃﻮﻓﺎﻧﻮﮞ ﮐﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﺩﺭﭘﺌﮯ ﺁﺯﺍﺭ ﺳﺎﺣﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ ﻣﯿﮟ ﺟﻨﮩﯿﮟ ﺍﭘﻨﺎ ﺳﻤﺠﮭﺘﺎ ﺗﮭﺎ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﮨﻤﺮﺍﮦ ﻟﺌﮯ ﺁ ﺭﮨﺎ ﺗﮭﺎ ﻣﯿﺮﺍ ﻗﺎﺗﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﺴﮯ ﻋﺎﻟﻢ ﻣﯿﮟ ﮐﮩﺎﮞ ﺟﺎﺅﮞ ﮐﺴﮯ ﺁﻭﺍﺯ ﺩﻭﮞ ﺁﮒ ﺻﺤﺮﺍ، ﺩﻭﺭ ﻣﻨﺰﻝ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ ﺩﺭﺩ، ﺁﻧﺴﻮ، ﺑﮯ ﻗﺮﺍﺭﯼ، ﯾﺎﺱ ﺍﻭﺭ ﺩﯾﻮﺍﻧﮕﯽ ﮐﺎﻭﺵِ ﭘﯿﮩﻢ ﮐﺎ ﺣﺎﺻﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ ﺍﯾﮏ ﺗُﻮ ﮐﮧ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﺩﺭﺍﺻﻞ ﺗﺠﮫ ﭘﺮ ﺧﺘﻢ ﮨﮯ ﺁﺑﻠﮧ ﭘﺎ، ﺭُﻭﺡ ﮔﮭﺎﺋﻞ ﺍﻭﺭ ﺗﻨﮩﺎ ﺍﯾﮏ ﻣﯿﮟ   ﻓﺮﺣﺖ ﺷﮩﺰﺍﺩ

Do Hi Gawah Thay Meri Muhabbat Ke Waqt Aur Wo__!! Aik Guzar Gaya Dosra Mukar Gaya

Image
Do Hi Gawah Thay Meri Muhabbat Ke Waqt Aur Wo__!! Aik Guzar Gaya Dosra Mukar Gaya ******************************************* نا لفظوں سے لهو نکلتا هے نا کتابیں بول پاتی هیں میرے درد کے دو گواه تهے دونوں بے زباں نکلے Na Lafzon Se Lahoo Nikalta Hai Na Kitabein Bol Paati Hain Mere Dard Ke Do Gawah Thay Dono Be-Zubaan Niklay

Zu "Adat" Pa "Muhabbat "Yam" Ta "Gulaab" Ye" Ta Sharaab "Ye"

Zu " Adat " Pa " Muhabbat " Yam " Ta " Gulaab " Ye " Ta Sharaab " Ye " Zu " Malang " Sta " Da Darbaar " Yam " Zu " Patang " Sta " Da Rukhsaar " Yam " Zu " Har " Rang " Sta " Da " Singaar " Yam " Tu " Sanam " Ye " Tu " Marham " Ye " Zu " Ranzoor " Yam " Sta " Da " Meeni " Zu " Mansoor " Yam " Veeni " Veeni " Zu " Majboor " Yam " Tu " Mi " Weenee " Tu " Rahat " Ye " Tu " Ulfat " Ye " Zu " Nakaam " Da " Muhabbat " Yam " Zu " Faryaad " Da " Museebat " Yam " Zu " Adat " Pa " Muhabbat " Yam " Zu " Adat " Pa " Muhabbat " Yam "

Aaghaaz Muqarar Tou Hai Anjaam Muqarar,Soda Nahi Hota Hai Yahan Daam Muqarar

آغاز مقرر تو ہے انجام مُقَرر سودا نہیں ہوتا ہے یہاں دام مقرر آتی ہیں نئے رعب میں مغرور یہ صبحیں ہر صبح کی ہوتی ہے مگر شام مقرر انساں کو فخر کیا کہ نئی منزلیں کھوجے ہر راہ مقرر ہے تو ہے گام مقرر پتا بھی نہیں ہلتا بِنا اس کی اجازت کیسے نہ کئے جائیں گے پھر کام مقرر اذن اس کا بھلائی ہے برائی ہے مرے ہاتھ کیا ہوگا جو کہتے ہیں کہ ہے جام مقرر قسمت میں جو لکھا ہے وہی ملتا ہے لیکن بڑھ جاتے دعا سے ہیں یہ انعام مقرر جو عقل سے کر پائے نہ تو فیصلے ابرک قرآں میں سبھی ملتے وہ احکام مقرر اتباف ابرک

Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi

Ab Woh Galiyan Wo Makaan Yaad Nahi Kaun Rehta Tha Kahan Yaad Nahi Jalwa-e-Husn-e-Azal The Woh Dayaar Jin Ke Ab Naam-o-Nishaan Yaad Nahi Koi Ujala Sa Bhalaa Sa Ghar Tha Kis Ko Dekha Tha Wahan Yaad Nahi Yaad Hai Zeena-e-Pechaan Us Ka Dar-o-Deewar-e-Makaan Yaad Nahi Yaad Hai Zamzama-e-Saaz-e-Bahaar Shor-e-Awaaz-e-Khizaan Yaad Nahi! Ahmad Mushtaq

Main Taare Ginti Hon! Jab Sota Hai Ye Aalam! Roti Tadapti Hon! Kat'ti Hi Nahi Zalim!

Image
Main Taare Ginti Hon! Jab Sota Hai Ye Aalam! Roti Tadapti Hon! Kat'ti Hi Nahi Zalim! Ik Raat Judai Ki,So Raat,Se Bhari Hai, Dil Cheez Hai Kia Janaan,Ye Jaan Bhi Tumhari Hai!!!

Dahar Mein Kaise Chha Gaye Barog Be-Misaal Uthay Toh Phir Mily Nahi Log Be-Misaal

Image
ایک تازہ غزل آپ سب کے ذوق کی نظر Dahar Mein Kaise Chha Gaye Barog Be-Misaal Uthay Toh Phir Mily Nahi Log Be-Misaal Hawa Ki Phaank Chhaat Mein Wo Aalam-e-Lahoot Shamma-e-Mazar-e-Chisham Ke Sab Rog Be-Misaal Kangan Ko Izn-e-sam Ki Marhamat Se Kinara Zuban Daraz Saaz Ke Sanjog Be-Misaal Aanchal Ke Makeeno Se Aah Tabasumi Ubhyas Qalb Ke Hansor Ke Haay Jog Be-Misaal Badan Ki Kasampursi Mein Quran Se Nikaah Nazukandam Aarzo Ke Sog Be-Misaal RAZAB ! Riasat-e-Qalam Sharh-e-Nafos Dekh Ba-Kamal Sab Haroof Arog Be-Misaal Razab Tabraiz

Soraj Turda Naal Barabar Din Kion Lagan Saal Barabar

سورج ٹردا _نال برابر دن کیوں لگن _سال برابر وتھ تے سجنا وتھ ہوندی اے بھاونویں ہووے _وال برابر اکھ دا چانن _مر جاوے تے نیلا، پیلا_ لال برابر جُلی منجی بھین نوں دے کے ونڈ لئے ویراں_ مال برابر مرشد جے نہ راضی ہووے مجرا ، ناچ_ دھمال برابر اتوں اتوں _پردے پاون وچوں سب دا _حال برابر Soraj Turda Naal Barabar Din Kion Lagan Saal Barabar Wat Te Sajna Wat Hondi Ye Bhaveen Hoe Waal Barabar Aakh Da Chanan Mar Jave Te Neela Peela Laal Barabar Juli Manjhi Behin Nu De Ke Wand Liye Veeraan Maal Barabar Murshad Jey Na Raazi Hove Mujra,Naach Dhamaal Barabar Itoun Utoun Pardey Paon Wichoon Sab Da Haal Barabar

Chehra Wahi Raha Magar Aankhein Badal Gayin Ik Pal Mein Mujh Ko Jaan Se Anjaan Kar Gaya

Image
Chehra Wahi Raha Magar Aankhein Badal Gayin Ik Pal Mein Mujh Ko Jaan Se Anjaan Kar Gaya

Aik Maikhana Hai Dunya Saari Iss Liye Hat Ke Zara Jeetay Hain

Image
ایک میخانہ ہے دنیا ساری اس لئے ہٹ کے ذرا جیتے ہیں جامِ غفلت ہے یہ انساں کی طلب جب سے سمجھے یہ نہ ہم پیتے ہیں کس پہ کیا بیتی خبر کیا ہم کو ہم تو بس خود پہ سدا بیتے ہیں تو تھا بازی تجھی کو ہار دیا پھر جو جیتے ہیں تو کیا جیتے ہیں زخم بن جائے نہ شہرت ابرک سو چھپا کر سبھی سے سیتے ہیں  اتباف ابرک Aik Maikhana Hai Dunya Saari Iss Liye Hat Ke Zara Jeetay Hain Jaam-e-Ghaflat Hai Ye Insan Ki Talab Jab Se Samjhe Ye Na Hum Peetay Hain Kis Pe Kia Beeti Khabar Kia Hum Ko Hum Toh Bas Khud Ye Sada Beetay Hain Tuu Tha Baazi Tujhee Ko Haar Dia Phir Jo Jeetay Hain Toh Kia Jeetay Hain Zakham Ban Jai Na Shuhrat "ABRAK" So Chupa Kar Sabhi Se Seetay Hain Atbaf Abrak

Tujhay roz dekhoon qareeb se mere shoq bhi hain ajeeb se

Tujhay roz dekhoon qareeb se mere shoq bhi hain ajeeb se mujhay maangnaa ha tujjhi ko bs apnay rabb aur us k habib se meri aankh main bhi hai aajzi mere khawb bhi hain ghareeb se meray sb dukhon ki dawa ho tum milay kia sakoon phir,tabeeb se man bohat khush hon jor k naseeb apna tere naseeb se parveen shakir

Teri khushbo nahin milti,tera lehja nahin milta hamein to shaher main koi,teray jesa nahin milta

Teri khushbo nahin milti,tera lehja nahin milta hamein to shaher main koi,teray jesa nahin milta ye kesi dhund main,hm tum,safar ka aghaz kr bethay tumhen aankhein nahin miltein,hamein chehra nahin milta bhala us k dukhon ki raat ka,koi madawa hai? wo maan jisko kabhi,khoya huwa bachha nahin milta zamanay ko,qareenay se wo apnay sath rakhta hai magar meray liye usko,koi lamha nahin milta musafat main dua-e-abr un ka saath deti hai jinhein sahra k daman main,koi drya nahin milta jahan zulmat,ragon main apnay panjay gaar deti hai usi tareek rastay par,dya jalta nahin milta Noshi Gilani

teri umeed tera intzaar jab se hai na shab ko din se shikayat,na din ko shab se hai

teri umeed tera intzaar jab se hai na shab ko din se shikayat,na din ko shab se hai kisi ka dard ho kartey hein tere naam rakam gila hai jo kisi se tere sabab se hai hua hai jab se dil-e-nasaboor be kaboo kalam tujh se nazar ko bare adab se hai agar sharar hai to bharke,jo phool hai to khiley tarhan tarhan ki talab,tere rang-e-lab se hai kahan gaye shab-e-furqat ke jagney waley sitara-e-sehri hum kalam kab se hai Faiz

Adab Ki Baat Hai,Warna MUNIR Socho Toh Jo Shakhs Sunta Hai,Wo Bol Bhi Toh Sakta Hai

Image
Adab Ki Baat Hai,Warna MUNIR Socho Toh Jo Shakhs Sunta Hai,Wo Bol Bhi Toh Sakta Hai Munir Niazi

Aik Aurat Aik Mard Se

Image
ایک عورت ایک مرد سے محبت کو منکوحہ غلام مت بناؤ میری انگلی میں یہ ہیرے کی انگوٹھی اس طرح مت پہناؤ جس طرح کسی غلام کے گردن میں ایک طوق آوایزاں کیا جاتا ہے کسی مولوی کو مت بلاؤ میری آنکھوں میں دیکھو اور مجھے بتاؤ کیا میں وہی عورت ہوں؟ جس کے لیے تم ایک عورت کے جسم سے جدا ہوئے تھے؟ جس کے لیے تم نے جنم لیا تھا؟ جس کے لیے تم نفی سے اثبات بنے تھے؟ وعدہ مت کرو وفا بن جاؤ۔ اور اس طرح قریب آؤ جس طرح ایک طبیب نہیں جس طرح ایک حبیب آتا ہے میرے لیے جھمکے مت خریدو مجھے اپنا انتظار پہناؤ اور میرے کانوں میں آؤ ایک کہانی کی طرح اور میری آنکھوں کا خواب بن جاؤ زندگی نہیں موت بن کر آؤ اور مجھے لے جاؤ وہاں جہاں محبت ایک مولوی کا مسئلہ نہیں ایک موالی کی مستی ہے

Yunhi khiza'n ka roop suhana laga mujey har phool fasl-e-gul main purana laga mujhey

Yunhi khiza'n ka roop suhana laga mujey har phool fasl-e-gul main purana laga mujhey main kya kisi pe sang utthaney ki sochta apna hi jism aaina khana laga mujhey ay dost jhoot aam tha dunya main iss qadar tuney bhi sach kaha to fasana laga mujhey abb usko kho raha hoon barhey ishtiyaq se wo jisko dhondhne main zamana laga mujhey Mohsin hujom-e-yaas main marne ka shok bhi jeeney ka ik haseen bahana laga mujhey

Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna Ek pal mery ghar mein bhi thehray usay kehna

Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna Ek pal mery ghar mein bhi thehray usay kehna Kehna k samundar k kinare pe na jaye Kuch log smundar se bhi hain gehray usay kehna Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hoti Darya hi badal lehte hain raasty usay kehna Kuch log safar k lyie mouzu nahi hote Kuch raasty kattay nahi Tanha usay kehna Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona K basti k sabhi log hain behray usay kehna Phir waqt k maktal mein sajhti hain woh aankhein Jo dekhti hain khowaab sunehry usay kehna

Bheer main aik ajnabi ka saamna accha laga Sab se chup kar woh kisi ka dekhna accha laga

Bheer main aik ajnabi ka saamna accha laga Sab se chup kar woh kisi ka dekhna accha laga Surmae ankhon k neechay phool se khilne lage Kehte kehte,kisi ka sochna accha laga Baat to kuch bhi nahi thi lekin uska aik dum Haath honton par rakh kar rokna accha laga Dil main kitne ahed baandhe the bhulane k usne Woh mila to sab irade torna accha laga Chae main cheeni milana us ghari accha laga Zair-e-lab wo muskurata ‘shukriya’ accha laga Is ada-e-jan ko main bura kaise kahon Jab bhi aya saamne woh bewafa accha laga

Log Kehty Hain Pagasl Hon Main Jahan Ki Khushi Se Ghafil Hon Main

لوگ کہتے ہیں..... پاگل ھوں میں جہاں کی خوشی سے غافل ھوں میں **** لوگوں کو کیا پتا کیا خبر اندر سے کتنا, گھائل ھوں میں **** راتوں کی ننیدیں حرام ھیں غمِ شب کا حاصل ھوں میں **** سوچتا ھوں جہاں میں آیا,کیوں ؟ شاید کسی کے قابل ھوں میں **** برسنے کے لئے جو تڑپتا ھے آسمان کا ایسا بادل ھوں میں **** شیخ اسلم آزاد Log Kehty Hain Pagasl Hon Main Jahan Ki Khushi Se Ghafil Hon Main **** Logo Ko Kia Pata Kia Khabar Andar Se Kitna,Ghail Hon Main **** Raton Ki Neendein Haram Hain Gham-e-Shab Ka Hasil Hon Main **** Sochta Hon Jahan Mein Aaya Kion? Shaid Kisi Ke Qabil Hon Main **** Barasnay Ke Liye Jo Tadapta Hai Asman Ka Aisa Badal Hon Main **** Sheikh Aslam Azad

Roz-e-Azal Husn Ba Turkaan Dadand Zulf Paichaan Kamar Naram Ba Iran Dadand

Roz-e-Azal Husn Ba Turkaan Dadand  Zulf Paichaan Kamar Naram Ba Iran Dadand Naaz-o-Andaz Ada Khatam Ba Zanaan-e-Hind Jihl Nadani-o-Jang Afghan Dadand سعدی صاحب کیا کہتے ھے روز ازل حسن بہ ترکاں دادند زلف پیچاں کمر نرم بہ ایران دادند ناز و انداز ادا ختم بہ زنان ھند جہل نادانی و جنگ افغان دادند   ترجمہ سعدی صاحب کہتے ھے  روز ازل سے حسن ترکوں کی حصے میں ایی  زلفوں کی پیچ اور نرم کمر ایرانوں کے حصے میں ایی  ناز وانداز اور ادا ھندوستان کی عورتوں پر ھی ختم ھوتی ھے  جبکہ جہالت کم عقلی اور لڑائی یہ افغانوں کی حصہ میں ایی ھے

Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna

Woh shaks kabhi dasht se guzray usay kehna Ek pal mery ghar men bhi thehray usay kehna Kehna k samundar k kinare pe na jaye Kuch log smundar se bhi hain gehray usay kehna Zarkheiz zameene kabhi banjhar nahi hoti Darya hi badal lehte hain raasty usay kehna Kuch log safar k liye mouzu nahi hote Kuch raasty kattay nahi Tanha usay kehna Is shehar me kuch keh k gunahgaar na hona K basti k sabhi log hain behray usay kehna phir waqt k maktal me sajhti hain woh aankhein jo dekhti hain khowaab sunehry usay kehna

Waqt bas rengta hai umr ke saath taara taara gina hai umr ke saath

Waqt bas rengta hai umr ke saath taara taara gina hai umr ke saath kitna asan sa ta'alluq tha kitna mushkil hua hai umr ke saath phir safar naam hai aziyyat ka rasta hanpta hai umr ke saath kis ki aankhon ko neend chubhti hai kaun jaaga raha hai umr ke saath jaane aram aae ga kab tak dard bahne laga hai umr ke saath ik gunah tha chhupae rakkha tha samne aa gaya hai umr ke saath zindagi zindagi nahin lagti koi dhoka hua hai umr ke saath subh-e-kazib se sham-e-sadiq tak ek mahshar bapa hai umr ke saath kaisa chehra hai raat ki tafsil kaun jal kar bujha hai umr ke saath Yasmin Habib

Mozi Ihsasaat Ki Baqa Ke Wastay Yaqeen Mein Kahein Kahein Sorakh Chod Do

Image
Mozi Ihsasaat Ki Baqa Ke Wastay Yaqeen Mein Kahein Kahein Sorakh Chod Do Razab Tabraiz

Tooti ha meri neend,magar tum ko is se kia bajtay rahen hawaon se dar,tum ko is se kia

Tooti ha meri neend,magar tum ko is se kia bajtay rahen hawaon se dar,tum ko is se kia tum mauj mauj misl e saba ghoomtay raho kt jaen meri soch k par,tum ko is se kia auron k haath thaamo,unhen rasta dikhao man bhool jaoon apna hi ghar,tum ko is se kia abr e gurez pa ko barasnay se kia garz seepi main bn na pae gohar,tum ko is se kia le jaen mujhko maal e ganimat k sath adu tum ne to daal di ha sapar,tum ko is se kia tum ne to thak k dasht main khaimay laga liae tanha katay kisi ka safar,tum ko is se kia

Ye barishen bhi tum si hain jo baras gaeen, to bahaar hain jo tehar gaeen to qarar hain

.......YE BARISHEN.............. Ye barishen bhi tum si hain jo baras gaeen, to bahaar hain jo tehar gaeen to qarar hain kabhi aa gaeen yunhi besabab kabhi chaa gaeen yunhi roz o shab kabhi shor hain kabhi chup si hain  ye barishen bhi,tum si hain kisi yaad main kisi raat ko ik dabi hui si raakh ko kabhi yun hua k bhuja dia kabhi khud se khud ko jalaa dia kaheen boond boond main gum si hain YE BAARISHEN BHI,,,,,,,,,,,TUM SI HAIN

Soraj Gharoob Hone K Baad Chaand Nikly Ga

ایک نثری نظم زندگی کا سوال سورج غروب ہونے کے بعد چاند نکلے گا گر ہوگی اماوس کی رات تو دیپ جلے گا روشنی رہے گی اجالا رہے گا میرے دوست آج اگر گهٹن والا ماحول ہے چہرہ چہرہ اداس ہے خوشی نظر نہیں آتی مرے ہوئے احساس ہیں ہاں پهر بهی مسکراہٹ رہے گی قہقہہ رہے گا میرے دوست لیکن کیا دل ٹوٹنے کے بعد ..؟؟؟؟ مانتا ہوں یادیں بهی رہیں گی تصویریں بهی رہیں گی اور یہ جہان بهی رہے گا باقی مگر کیا میرے لیے زندگی رہے گی ؟ جینے کا حوصلہ رہے گا باقی میرے دوست ...؟؟؟؟ ** از قلم: شیخ اسلم آزاد

Hum Na Urdu Na Hindi Mein Ghazal Kehty Hain Hum Toh Bas AAp Ki Boli Mein Ghazal Kehty Hain

Hum Na Urdu Na Hindi Mein Ghazal Kehty Hain Hum Toh Bas AAp Ki Boli Mein Ghazal Kehty Hain Jo Ameeri Mein Ghazal Kehty Hain Kehty Hon Gy Sachhay Shair Toh Faqeeri Mein Ghazal Kehty Hain **************************************** "Ghareebi" Agar Bazar Mein Milti Toh Sab Ghar Par Utha Late Khushi Paane Ka Zareya Sirf Paisa Ho Nahi Sakta Kabhi De Do Bina Mangy Imdad Muflis Ko Kisi Khud'daar Ke Hathon Mein Kaasa Ho Nahi Sakta

Qurbatoon mein bhi juda'ee ke zamaanay maange Dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maange

Qurbatoon mein bhi juda'ee ke zamaanay maange Dil wo be-mehr keh roonay ke bahaanay maange Hum na hotay to kisi aur ke charchay hotay Khalqat-e shehr tau kehnay ko fusaanay maange Yeh-hi dil tha keh tarasta tha maraasim ke lya Ab yeh-hi turk-e talug ke bahaanay maange Zindagi hum tere daghoon se rahe sharminda Aur tu hai keh sada aina khaanay maange Dil kisi haal per qaanay hi nahin jaan-e faraz Mil gaye tum bhi tau kya aur na jaane maange

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha Ab kiss se kahein koi hamara bhi kabhi tha

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha Ab kiss se kahein koi hamara bhi kabhi tha Utra hai rag-o-pey main to dil katt sa geya hai Yeh zeher-e-judaayi ke gawara bhi kabhi tha Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha Titlii ke taaqub mein koi phool sa bacha Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha Ab agley zamaney ke milain log to poochain Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha Har bazm main hum ne usey afsurda hi dekha Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa bhi kabhi tha

Ishq Haqeeqi Ho Ya Ishq Majazi Dono Mein Shirq Ki Gunjaish Nahi Hoti

Image
Ishq Haqeeqi Ho Ya Ishq Majazi Dono Mein Shirq Ki Gunjaish Nahi Hoti

Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palkein Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai

Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palkein Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palkein Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai Abhi Talluf Guftgo Mein Abhi Muhabbat Nai Nai Hai Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palkein Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai Abhi Na Aai Gi Neend Tum Ko Abhi Na Hum Ko Sukoon Mily Ga Abhi To Dharrky Ga Dil Ziada Abhi Ye Chhahat Nai Nai Hai Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palkein Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai Bahar Ka Aaj Pehla Din Hai Chalo Chaman Mein Tehel Ke Aaein Fiza Mein Khushbo Nai Nai Hai Gulon Mein Rangat Nai Nai Hai Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palkein Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai Jo Khandani Raees Hai Wo Mizaj Rakhtay Hain Narm Apna Tumhara Lehja Bata Raha Hai Tumhari Daolat Nai Nai Hai Khamosh Lab Hain Jhuki Hain Palkein Dilon Mein Ulfat Nai Nai Hai Zara Sa Qudrat Ne Kia Nawaza Keh Aa Ke Bhaitay Ho Pehli Saf Mein Abhi Se Udnay Lagay Hawa Mein Abhi Tou Shuhrat Nai Nai Hai

Mujh Ko Rangon Ki Tarah Lagti Hai Dunya Saari Rang,Rangon Mein Milein Rang Badal Jate Hain

Image
Mujh Ko Rangon Ki Tarah Lagti Hai Dunya Saari Rang,Rangon Mein Milein Rang Badal Jate Hain Atbaf Abrak

Ishq-e-Rasool Kia Hai,ALLAH se Loo Lagana Momin Ki Rooh Dhalna,Quran Ko Raah Karna

Image
Ishq-e-Rasool Kia Hai,ALLAH se Loo Lagana Momin Ki Rooh Dhalna,Quran Ko Raah Karna Atbaf Abrak

Wo Itny Dil-Faraib Thy Keh Dil Sanbhala Na Gaya Aur Hum Itny Sada-Loh Keh Khenchty Chaly Gaye

وہ اتنے دلفریب تھے کہ دل سنبھالا نہ گیا اور ہم اتنے سادہ لوح کہ کھنچتے چلے گئے Wo Itny Dil-Faraib Thy Keh Dil Sanbhala Na Gaya Aur Hum Itny Sada-Loh Keh Khenchty Chaly Gaye

Aayan Hai,Ye Nihan Hai Be-Kran Hai,Muhabbat Naam Jis Ka Javedaan Hai

عیاں ہے، یہ نہاں ہے بے کراں ہے محبت نام جس کا جاوداں ہے کہاں بچ پایا ہے کوئی مسافر محبت آج بھی اندھا کنواں ہے یہ ایسی آگ جو دِکھتی نہیں ہے مگر چاروں طرف گہرا دھواں ہے یہ وہ کشتی جو خشکی پر ہے مردہ بھرے پانی میں دیکھو کیا رواں ہے کسی طوفاں کا یہ کیا خوف رکھے محبت اپنے اندر بادباں ہے یہ بچھڑے تو ملے صحرا کا موسم اگر لوٹے تو پھر جل تھل سماں ہے اندھیری رات میں یہ دیپ روشن کڑی دھوپوں میں گویا سائباں ہے یہ دنیا نقد سودے میں ہے دھوکہ ملے بِن مول سب یہ وہ دکاں ہے کہاں ہے,کب ہے,کیسے کیوں کدھر ہے کوئی کب اس کا اتنا رازداں ہے مخاطب ہے جو بس اہلِ نظر سے یہ وہ منظر حسیں, دلکش بیاں ہے نہیں شامل ہے جس میں یہ محبت بھلا بولو وہ کیسا کارواں ہے جو یہ ہے تو مکمل داستاں ہے وگرنہ زندگی اک امتحاں ہے یہ ہے تو رابطہ لوگوں میں قائم نہیں تو ایک سرحد درمیاں ہے گلہ اس سے کہ یہ سنتی نہیں ہے مگر سچ ہے محبت بے زباں ہے کہاں نقصان کر پائے کسی کا جو الٹا تیر رکھے وہ کماں ہے نہ جانے کون جنجھٹ ہے سمجھتا ہمارے واسطے یہ ارمغاں ہے جو حاصل یہ نہیں تو درحقیقت جو حاصل بھی ہے سب وہ رائیگاں ہے ہاں چاروں اور دشمن بستیاں ہیں مح

Dil munafiq tha shab-e-hijar mein soya kaisa Aur jab tujh se mila toot ke roya kaisa

Dil munafiq tha shab-e-hijar mein soya kaisa Aur jab tujh se mila toot ke roya kaisa Zindagi mein bhi ghazal hi ka kareena rakha Khawaab dar khawab tere gham ko piroya kaisa Ab to chehron pe bhi katbuo’n ka gumaan hota hai Aankhain pattahre hui hain lab-e-goya kaisa Dekh ab qurb ka mausam bhi na sar sabz lage Hijar hi hijar maraasim mein samoya kaisa Aik aansoo tha ke dariya-e-nidaamat tha "FARAZ" Dil se baibaak shanawar ko daboya kaisa

Khuwabon Se Karein Kaise Wo Dilshad Musalsal,Ta'abeer Jinhein Karti Hai Barbad Musalsal

خوابوں سے کریں کیسے وہ دل شاد مسلسل تعبیر جنہیں کرتی ہے برباد مسلسل لاحق ہے مری زیست کو تشویش مسلسل میں قید مسلسل ہوں یا آزاد مسلسل یہ بستیاں دل کی ہیں عجب حوصلوں والی امیدِ مسلسل سے ہیں آباد مسلسل ڈھونڈے ہے نظر تیری فقظ ایک اسی کو نظروں میں رہا جس کی تو بے داد مسلسل وا پس نہیں آیا جو بھی اک بار گیا ہے بس چہرے بدلتی ہے یہ روداد مسلسل بکھرے ہوئے پتے ہیں بہاروں کی علامت خوش فہمی نئی کرتا ہوں ایجاد مسلسل اب ڈھائے ستم وقت کہ پھر جان سکوں میں کچھ موم ہوا ہوں یا ہوں فولاد مسلسل باتوں میں سبق ان کی بھی ہے نرم دلی کا سوچوں میں بسے جن کے ہیں جلاد مسلسل تنکا بھی نہ توڑا ہے کجا دودھ کی نہریں اور خود کو سمجھ بیٹھے ہیں فرہاد مسلسل کیوں آج ذکر ان کا ہے دنیا کی زباں پر رتبہ کی وجہ جن کی ہیں اعداد مسلسل ناپُرساں یونہی شہر یہ بگڑے گا مسلسل جب تک کوئی بدلے گا نہ بنیاد مسلسل پتھر ہیں ترے گرد یہ انسان نہیں ہیں ابرک نہ کئے جا تو یوں فریاد مسلسل

Qazaq Aankhein Gulal Chehra,Badan Pe Salwat Nishan Ko Tarse

Image
قزاق آنکھیں گلال چہرہ بدن پہ سلوٹ نشاں کو ترسے لپٹتا آنچل سمٹتا دامن لمس میں تیرے ایماں کو ترسے لچیلی باہیں اٹھیں تو تیرے بدن کو ایسے کمان کر دیں ہر ایک کافی ہر اک کویتا اثر میں تیرے بیاں کو ترسے کوئی ہُمکتا گرم تنفس، کوئی چٹکتا سُریلا نغمہ دھڑکتے سینے کے ساحلوں میں کوئی لہر تو طوفاں کو ترسے نمود کومل وجود ریشم تھکن کو چنتی آغوش نِسواں میرے مچلتے غیّور جذبے دعا میں تیری اماں کو ترسے وہ نیلی نس میں سیال جیسی نشے کو جپتی نبض کی مالا شراب جیسے گاہک کو ڈھونڈے خمار سود و زیاں کو ترسے شرر سے الجھا اگن سے کھیلا یہ شوق آخر کو لوٹ آیا طواف_ظاہر تو کر لیا اب نظارہ دید_نہاں کو ترسے سبھی سے مخفی خودی پہ اِفشا رزب بتا دے یہ راز کیا ہے قرینہ اب یہ بعید کر دے جذب بھی اب تو عیاں کو ترسے (رزب تبریز)

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain "Mohsin" Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain

Gulaab Aankhen Sharab Ankhen Yehi To Hein La-jawab Aankhen

Gulaab Aankhen Sharab Ankhen Yehi To Hein La-jawab Aankhen Inhi Me Ulfat , Inhi Me Nafrat Sawab Aankhen , Azab Aankhen Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi Kbhi Sarapa Hijab Aankhen Kbhi Chhupaati Hn Raaz Dil K Kbhi Hn Dil Ki Kitab Aankhen Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi Kisi Ny Payeen Saraab Aankhen Woh Aaye To Log Mujh Se Bolay Hazoor Aankhen Janab Aankhen Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam Sawal Koi Jawab Aankhen Yeh Mast Mast be-Misal Ankhen Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenen Giren To Kr Dain kamal ankhen Koi Hai Inn K Karam Ka Talib Kisi Ka Shook-e-Wisal Ankhen Na Yun Jalain Na Yun Satain Karen To kuch Ye kheyal Ankhen Hyn Jeene ka ik Bahana Yaro Ye Rooh Parwar Jamal Ankhen Daraz Palken Ghazal Ankhen Musawri ka Kamal Ankhen Shrab RAB Ne Haram kardi Magr Rakhi Hen Halal Ankhen Hazaro inse Qatal HueHen Khuda k Banday Sambhal Ankhen.......

Pathar Bana Dia Mujhe Rony Nahi Dia Daman Bhi Tere Gham Ne Bhigony Nahi Dia

Pathar Bana Dia Mujhe Rony Nahi Dia Daman Bhi Tere Gham Ne Bhigony Nahi Dia Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahin Shab Bhar Tumhari Yad Ne Sony Nahi Dia Ankhon Me Aa K Baith Gai Ashkon Ki Leher Palkon Pe Koi Khawab Pirony Nahi Dia Dil Ko Tumhare Naam K Aansu Azeez The Duniya Ka Dard Us Me Samony Nahi Dia Nasir Yoon Us Ki Yad Chali Hath Tham K Mely Me Us Jahan K Khony Nahi Dia

Phir Dekhe Hain,Wo Hijar Ke Tapte Hoe Din Bhi Jb Fikar-e-Dil-o-Jaan Mein,Fughan Bhool Gayi Hai

پھر دیکھے ھیں ، وہ ھِجر کے تپتے ھُوئے دن بھی جب فکرِ دل و جاں میں ، فغاں بُھول گئی ھے ھر شب وہ سیاہ بوجھ , کہ دل بیٹھ گیا ھے ھر صُبح کی لو تیر سی ، سینے میں لگی ھے تنہائی میں کیا کیا نہ ، تجھے یاد کیا ھے کیا کیا نہ دلِ زار نے ، ڈھونڈی ھیں پناھیں آنکھوں سے لگایا ھے ، کبھی دستِ صبا کو ڈالی ھیں کبھی ، گردنِ مہتاب میں بانہیں فیض احمد فیض نظم دو عشق سے انتخاب

Kahai Mizaj Dekhon Zamane Tere Main Ab Ik Shakhs Le Gaya Hai Sabhi Khaof-o-Dar Mera

Image
Kahai Mizaj Dekhon Zamane Tere Main Ab Ik Shakhs Le Gaya Hai Sabhi Khaof-o-Dar Mera Atbaf Abrak

Amoman Sachi Aarzion Par Haseen Dastkhat Nahi Karte

Image
Amoman Sachi Aarzion Par Haseen Dastkhat Nahi Karte Razab Tabraiz

Hum Ne Hi Laotny Ka Irada Nahi Kia,Us Ne Bhi Bhool Jane Ka Wada Nahi Kia

پروین شاکر کی ایک خوبصورت غزل   ہم نے ہی لوٹنے کا ارادہ نہیں کیا اس نے بھی بھول جانے کا وعدہ نہیں کیا دکھ اوڑھتے نہیں کبھی جشنِ طرب میں ہم ملبوس دل کو تن کا لبادہ نہیں کیا جو غم ملا ہے بوجھ اٹھایا ہے اس کا خود سرزیرِبارِساغر و بادہ نہیں کیا کارِ جہاں ہمیں بھی بہت تھے سفر کی شام اس نے بھی التفات زیادہ نہیں کیا آمد پہ تیری عطر و چراغوسبو نہ ہوں اتنا بھی بود و باش کو سادہ نہیں کیا

Gaon Ki Ik Tabeeba-e-Azeq Ke Ro-Baro Uthi Jo Chishm Dha Gai Be-Khaof Saadgi

Image
Gaon Ki Ik Tabeeba-e-Azeq Ke Ro-Baro Uthi Jo Chishm Dha Gai Be-Khaof Saadgi Mua'alja-e-Chishm Ne Jakad Ke Wahein Nabz Bata Dia Mujhe Keh Tera Za'af  Saadgi Razab Tabraiz

Dhurai Ne Har Qalb Ko Masroof Kar Dia Hain Janaury Mein Yadoon Ke Salana Imtehan

Image
Dhurai Ne Har Qalb Ko Masroof Kar Dia Hain Janaury Mein Yadoon Ke Salana Imtehan Razab Tabraiz

Yaqeen Ne Lekha Basar Pe Hai Janaury Raseeli Jab Nakhun Gulaab Se Do Part Khizan Se Cheeli

Image
Yaqeen Ne Lekha Basar Pe Hai Janaury Raseeli Jab Nakhun Gulaab Se Do Part Khizan Se Cheeli Razab Tabraiz

Touba Karne Se Badalti Nahi Aadat Apni Aa Gai Phir,Kisi Kafir Pe Tabiat Apni

Image
توبہ کرنے سے بدلتی نہیں عادت اپنی آ گئی پھر , کسی کافر پہ طبیعت اپنی ھم نے کی حسن پرستی , تو تجھے کیا ناصح؟ آنکھ اپنی ھے ، دل اپنا ھے ، طبیعت اپنی جلیل مانکپوری Touba Karne Se Badalti Nahi Aadat Apni Aa Gai Phir,Kisi Kafir Pe Tabiat Apni Hum Ne Ki Husn-Parasti,Tou Tujhe Kia Nasih Aankh Apni Hai,Dil Apna Hai,Tabiat Apni Jalil Manekpuri

Kafir Hon Sarphera Hon Mujhe Maar Dejiye Main Sochne Laga Hon Mujhe Maar Dejiye

کافر ھُوں، سر پھرا ھُوں مجھے مار دیجیے میں سوچنے لگا ھُوں مجھے مار دیجیے Kafir Hon Sarphera Hon Mujhe Maar Dejiye Main Sochne Laga Hon Mujhe Maar Dejiye ھے احترام ِ حضرت ِانسان میرا دین بے دین ھو گیا ھُوں مجھے مار دیجیے Hai Ihteram-e-Hazrat-e-Insan Mera Deen Be-Deen Ho Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye میں پوچھنے لگا ھُوں سبب اپنے قتل کا میں حد سے بڑھ گیا ھُوں مجھے مار دیجیے Main Poochne Laga Hon Sabab Apne Qatal Ka Main Had Se Bad Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye کرتا ھُوں اہل جبہ و دستار سے سوال گستاخ ھو گیا ھُوں مجھے مار دیجیے Karta Hon Ahl-e-Juba-o-Dastar Sawal Gustakh Ho Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye خوشبو سے میرا ربط ھُے جگنو سے میرا کام کتنا بھٹک گیا ھُوں مجھے مار دیجیے Khushbo Se Mera Rabt Hai Jugno Se Mera Kam Kitna Bhatak Gaya Hon Mujhe Maar Dejiye معلوم ھے مجھے کہ بڑا جرم ھے یہ کام میں خواب دیکھتا ھُوں مجھے مار دیجیے Maloom Hai Mujhe Keh Bada Jurm Hai Ye Kaam Main Khuwaab Dekhta Hon Mujhe Maar Dejiye زاہد یہ زہد و تقویٰ و پرہیز کی روش میں خوب جانتا ھُوں مجھے ما ردیجیے Zahid Ye Zuhad-o-Taq

Usay maine hi likha tha Ke lehjey barf ho jayein

Usay maine hi likha tha Ke lehjey barf ho jayein To phir pigla nahi kartey Parinday darr k urr jayein Tho phir lota nahi kartey Usay maine hi likha tha Yaqeen uth jaye tho shayed Kabhi wapis nahi aata Hawa'on ka koi toofaan Kabhi barish nahi lata Usay maine hi likha tha Ke sheesha too't jaye tho Kabhi phir jurr nahi pata Jo rastey se bhatak jaye Wo wapas murr nahi pata Usay kehna adhoora khat Usay maine hi likha tha Usay kehna k deewanay mukammal khat nahi likhtey

Kabhi Hum Bhi Khubsorat Thy Kitabon Mein Basi Khushbo Ki Manind Saans Sakin Thi

کبھی هم بھی خوبصورت تھے کتابوں میں بسی خوشبو کی مانند سانس ساکن تھی بہت سے ان کہے لفظوں سے تصویریں بناتے تھے پرندوں کے پروں پر نظم لکھ کر دور کی جھیلوں میں بسنے والے لوگوں کو سناتے تھے جو ہم سے دور تھے لیکن ہمارے پاس رہتے تھے نئے دن کی مسافت جب کرن کے ساتھ آنگن میں اترتی تھی تو ہم کہتے تھے۔۔۔۔۔امی تتلیوں کے پر بہت ہی خوبصورت ہیں ہمیں ماتھے پہ بوسا دو کہ ہم کو تتلیوں کے‘ جگنوؤں کے دیس جانا ہے ہمیں رنگوں کے جگنو‘ روشنی کی تتلیاں آواز دیتی ہیں نئے دن کی مسافت رنگ میں ڈوبی ہوا کے ساتھ کھڑکی سے بلاتی ہے ہمیں ماتھے پہ بوسا دو همیں ماتھے په بوسه دو Kabhi Hum Bhi Khubsorat Thy Kitabon Mein Basi Khushbo Ki Manind Saans Sakin Thi Buhat Se An-Kahai Lafzon Se Tasveerein Banate The Parindon Ke Paron Par Nazam Lekh Kar Door Ki Jheelon Mein Basne Wale Logon Ko Sunate The Jo Hum Se Door The Lekin Hamare Paas Rehte The Nai Din Ki Musafat Jab Kiran Ke Saath Angan Mein Utarti Thi Tou Ham Kehte The.....Ammi Titlion Ke Par Buhat Khubsorat Hain Hamein Mathe Pe Bosa Do

Voton Se Keh Noton Se Keh Loton Se Bane Hai Ye Raaz Hain Aise Jinhein Khola Nahi Karte

Image
ووٹوں سے کہ نوٹوں سے کہ لوٹوں سے بنے ھے یہ راز ھیں ایسے جنہیں کھولا نہیں کرتے جمہوریت اک طرزِ حکومت ھے کہ جس میں اندر کی جو باتیں ھیں ٹٹولا نہیں کرت    انور مسعود Voton Se Keh Noton Se Keh Loton Se Bane Hai Ye Raaz Hain Aise Jinhein Khola Nahi Karte Jamhoriat Ik Tarz-e-Hukomat Hai Keh Jis Mein Andar Ki Jo Batein Hain Tatola Nahi Karte Anwar Masood

Nusrat Hamein Naseeb Kare Ga Khuda-e-Paak Batil Ki Chal Sake Gi Na Tadbeer Dosto

Image
Nusrat Hamein Naseeb Kare Ga Khuda-e-Paak Batil Ki Chal Sake Gi Na Tadbeer Dosto Hafiz Khurram