Woh Azam Ho Keh Manzil e Bedar Hans Paday Har Naqsh Paa Jurat Rahwar Hans Paday
Woh Azam Ho Keh Manzil e Bedar Hans Paday Har Naqsh Paa Jurat Rahwar Hans Paday Ab Ke Baras Bahar Ki Soorat Badal Gai Zakhmon Mein Aag Lag Gai Gulzar Hans Paday Us Dastan Dard Ki Tamheed Aap Hein Jis Dastan e Dard Peh Gha-Khuwar Hans Paday Hairan Ho Rahi Hai Shagofay Peh Chandni Shayed Qafas Peh Aaj Giraftar Hans Paday Lut Jaye Tere Nam Se Har Talkhi e Jafa Woh Kam Kar Keh Be-Kas o Nadar Hans Paday Mere Junoon Ne Aaj Woh Sajdah Ada Kia Butt-Khana Hayat Ke Aasaar Hans Paday Phir Shadmaan Hoe Hein Kharaby Hayat Ke SAGHAR Kisi Ke Gaisoo e Khamdar Hans Paday Poet:Saghar Siddiqui Kulyat e Saghar Page No 253-154