Posts

Showing posts from September, 2016

Mery Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho Najany Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho

Mery Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho Najany Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jaey Bhaly Darkht Buhat Saya Dar Ho K Na Ho Isi Guman Ny Kbhi Laotny Diya Na Mujhy Najany Us Ko Mera Intzar Ho K Na Ho Magr Ye Tay Hy K Main Us K Ghum Men Rehta Hun Mery Liye Wo Bhale Beqrar Ho K Na Ho Mein Dhoop Ban Nahi Sakta Mohsin Kisi K Liye Mery Liye Koi Abr E Bahar Ho K Na Ho

Sozz itna to nava me aaye Uska paighaam hawa me aaye

Sozz itna to nava me aaye Uska paighaam hawa me aaye Misl-e-gul ab k ho wahshat apni Zakhm ka rang qaba me aaye Dil me yun chupke se utra koi Jaise Jibreel "Hira" me aaye Yun achaanak tujhe paaya maine Jaise taaseer Dua me aaye Chaand ne jhukk k sitaaro'n se kaha Kitne insaan khalaa me aaye Haadsa zabt ka dushman hai agar Hausla ahle-wafa me aaye Ab to lab khol dahan-bastaa mere Zalzala arzz-o-samaa me aaye Rogg kya jee ko laga hai MOHSIN Zehar ka naam dawa me aaye....!!!!

Kooche Ko Tere Chod Ke Jogi Hi Ban Jaein Magar Jungal Tere,Preet Tere,Basti Teri,Sahra Tere

کُوچے کو تیرے چھوڑ کے جوگی ہی بن جائیں مگر جنگل تیرے، پربت تیرے، بستی تیری، صحرا تیرا Kooche Ko Tere Chod Ke Jogi Hi Ban Jaein Magar Jungal Tere,Preet Tere,Basti Teri,Sahra Tere

Waqt Ki Ro Ko Haqeeqat Na Samajh Lejiye Ga

وقت کی رَو کو حقیقت نہ سمجھ لیجئے گا اِس سیاست کو سیاست نہ سمجھ لیجئے گا یہ تعلق ہے ابھی وجہِ تعلق تو کُھلے ملِنے جُلنے کو محبت نہ سمجھ لیجئے گا یہ بھی ممکن ہے سنبھلتا نہ ہو دستار کا بوجھ سر جُھکانے کو عقِیدت نہ سمجھ لیجئے گا جاگتی آنکھوں اگر خواب نظر آتے ہوں اُن کی تعبیر کو وحشت نہ سمجھ لیجئے گا ایک ہی کھیل تو ہے جس میں نہیں جاں کا زیاں دل کی بازی کو سیاست نہ سمجھ لیجئے گا عرض کر سکتا ہوں مَیں بھیک نہیں مانوں گا میری خواہش کو ضرُورت نہ سمجھ لیجئے گا یہ تو پیرایۂ اِظہارِ سُخن ہے محسن میری عادت کو ارادت نہ سمجھ لیجئے گا محسن بھوپالی

Chahat Mein Kia Dunyadari,Ishq Mein Kaisi Majbori

محسن بھوپالی چاہت میں کیا دنیا داری، عشق میں کیسی مجبوری لوگوں کا کیا، سمجھانے دو، ان کی اپنی مجبوری میں نے دل کی بات رکھی اور تونے دنیا والوں کی میری عرض بھی مجبوری تھی ان کا حکم بھی مجبوری روک سکو تو پہلی بارش کی بوندوں کو تم روکو کچی مٹی تو مہکے گی، ہے مٹی کی مجبوری ذات کدے میں پہروں باتیں اور ملیں تو مہربلب جبرِ وقت نے بخشی ہم کو اب کے کیسی مجبوری جب تک ہنستا گاتا موسم اپنا ہے، سب اپنے ہیں وقت پڑے تو یاد آ جاتی ہے مصنوعی مجبوری مدت گزری اک وعدے پر آج بھی قائم ہیں محسن ہم نے ساری عمر نبھائی اپنی پہلی مجبوری گلبہار بانو

Muntakhab Kalaam Poet:Mohsin Bhopali

منتخب کلام محسن بھوپالی   >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> یُونہی تو شاخ سے پتے گِرا نہیں کرتے بچھڑ کے لوگ زیادہ جیا نہیں کرتے جو آنے والے ہیں موسم، اُنہیں شمار میں رکھ جو دن گزر گئے، اُن کو گنا نہیں کرتے نہ دیکھا جان کے اُس نے ، کوئی سبَب ہوگا اِسی خیال سے ہم دل بُرا نہیں کرتے وہ مل گیا ہے تو کیا قصۂ فِراق کہیں خُوشی کے لمحوں کو یُوں بے مزا نہیں کرتے نِشاطِ قُرب، غم ہجر کے عوض مت مانگ دُعا کے نام پہ یُوں بددُعا نہیں کرتے مُنافقت پہ جنہیں اِختیار حاصل ہے وہ عرض کرتے ہیں ، تجھ سے گِلہ نہیں کرتے ہمارے قتل پہ محسن یہ پیش و پس کیسی ہم ایسے لوگ طلب خُون بہا نہیں کرتے   >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> بدن تو جل گئے، سائے بچا لئے ہم نے جہاں بھی دُھوپ ملی، گھر بنا لئے ہم نے اُس امتحان میں سنگِین کِس طرح اُٹھتی دُعا کے واسطے جب ہاتھ اُٹھا لئے ہم نے کٹھن تھی شرطِ رہِ مسُتقیم، کیا کرتے ہر ایک موڑ پہ کتبے سجا لئے ہم نے ہمارے بس میں کہاں تھا کہ ہم لُہو دیتے یہی بہ

Mosin Bhopali

محسن بھوپالی    29 Sep 1932  17 Jan 2007 اردو کے معروف شاعر محسن بھوپالی کی تاریخ پیدائش 29 ستمبر 1932ء ہے۔ محسن بھوپالی کا اصل نام عبدالرحمن تھا اور وہ بھوپال کے قریب ضلع ہوشنگ آباد کے قصبے سہاگپور میں پیدا ہوئے تھے۔ 1947ء میں وہ اپنے والدین کے ہمراہ پاکستان آگئے اور لاڑکانہ میں سکونت پذیر ہوئے۔ این ای ڈی انجینئرنگ کالج کراچی سے سول انجینئرنگ میں ڈپلومہ کورس کرنے کے بعد وہ 1952ء میں محکمہ تعمیرات حکومت سندھ سے وابستہ ہوئے۔ اس ادارے سے ان کی یہ وابستگی 1993ء تک جاری رہی۔ اسی دوران انہوں نے جامعہ کراچی سے اردو میں ایم اے کی ڈگری حاصل کی۔ محسن بھوپالی کی شعر گوئی کا آغاز 1948ء سے ہوا۔ ان کی جو کتابیں اشاعت پذیر ہوئیں ان میں شکست شب، جستہ جستہ، نظمانے، ماجرا، گرد مسافت، قومی یک جہتی میں ادب کا کردار، حیرتوں کی سرزمین، مجموعہ سخن، موضوعاتی نظمیں، منظر پتلی میں، روشنی تو دیے کے اندر ہے، جاپان کے چار عظیم شاعر، شہر آشوب کراچی اور نقد سخن شامل ہیں۔ محسن بھوپالی کویہ منفرد اعزاز بھی حاصل تھا کہ 1961ء میں ان کے اولین شعری مجموعے کی تقریب رونمائی حیدرآباد سندھ میں منعقد ہوئی جس کی

Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de

Mere hum-nafass mere hum-nawaa, mujhe dost ban ke dagha na de Main hoon dard-e-ishq se jaan ba-lab mujhe zindagi ki dua na de Main gham-e-jahan se nidhaal hoon ke saraapa huzn-o-malaal hoon Jo likhe hain mere naseeb main, woh alam kisi ko khuda na de Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastaan meri daastan Main khayal o veham se door hoon, Mujhe aj koi sadaa na de Mere ghar se door hain raahaten, mujhe dhoondti hain museebten Mujhe khauf yeh ke mera pata koi gardashon ko bataa na de Mujhe chorr de mere haal pr, tera kya bharosa ae chaaragar Yeh teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard aur barrhaa na de Mera azam itna buland hai ke paraaye sholon ka ddar nahin Mujhe khauf aatish-e-gul se hai kahin yeh chaman ko jalaa na de Dar-e-yaar pe barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai Abhi neend aani hai husn ko, koi shor kar ke jagaa na de Mere daagh-e-dil se hai roshni, yehi roshni meri zindagi Mujhe dar hai ae mere chaaragar, yeh chiraagh tu hi bhujaa na de Woh uthe hain le ke khum-o

Kuchh Ishaara Jo Kiya Hum Ne, Mulaqaat Ke Vaqt Taal Kar Kehne Lagey Din Hai Abhi, Raat Ke Vaqt

Kuchh Ishaara Jo Kiya Hum Ne, Mulaqaat Ke Vaqt Taal Kar Kehne Lagey Din Hai Abhi, Raat Ke Vaqt Ghair Se Karte Thay Aankhon Mein Abhi Baatein Tum Hum Bhi Aa Pohnche Hein Kya, Ain Isharaat Ke Vaqt (Insha ALLAH Khan Insha) کچھ اشارا جو کیا ہم نے ملاقات کے وقت ٹال کر کہنے لگے دن ہے ابھی، رات کے وقت ‎غیر سے کرتے تھے آنکھوں میں ابھی باتیں تم ‎ہم بھی آ پہنچے ہیں کیا عین اشارات کے وقت (انشا اللہ خان انشا)

Barish Thi, Aur Abr Tha, Darya Tha Aur Bas Jagi Tou Mere Samne Sahra Tha Aur Bas

Image
بارش تھی ' اور ابر تھا ' دریا تھا اور بس جاگی تو میرے سامنے صحرا تھا اور بس آیا ہی تھا خیال کہ پھر دھوپ ڈھل گئ بادل تمھاری یاد کا برسا تھا اور بس ایسا بھی انتظار نہیں تھا کہ مر گئے ہاں اک دیا دریچے میں رکھا تھا اور بس تم تھے 'نہ کوئ اور تھا 'آہٹ نہ کوئ چاپ میں تھی' اداس دھوپ تھی'رستہ تھا اور بس یوں تو پڑے رہے مرے پیروں میں ماہ و سال مٹھی میں میری ایک ہی لمحہ تھا اور بس سیماغزل Barish Thi, Aur Abr Tha, Darya Tha Aur Bas Jagi Tou Mere Samne Sahra Tha Aur Bas Aaya Hi Tha Khayal Keh Phir Dhoop Dhal Gayi Badal Tumhari Yaad Ka Barsa Tha Aur Bas Aisa Bhi Intezar Nahi Tha Keh Mar Gaye Haan Ik Diya Dareechey Mein Rakha Tha Aur Bas Tum Thay Na Koi Aur Tha Aahat Na Koi Chaap Main Thi,Udaas Dhoop Thi,Rasta Tha Aur Bas Yun Tou Pade Rahe Mere Pairon Mein Maah-o-Saal Mutthi Mein Meri Aik Hi Lamha Tha Aur Bas Seema Ghazal

Khuda Jaane Yeh Dunya Jalvaah Gaah-E-Naaz Hai Kis Ki? Hazaaron Utth Gaye Lekin Wohi Raunaq Hai Majlis Ki

Khuda Jaane Yeh Dunya Jalvaah Gaah-E-Naaz Hai Kis Ki? Hazaaron Utth Gaye Lekin Wohi Raunaq Hai Majlis Ki   خدا جانے یہ دنیا جلوہ گاہ, ناز ہے کس کی ہزاروں اُٹھ گےء لیکن وہی رونق ہے مجلس کی

Hijar Ke Qabristan Mein Ulfat Ki Laash Ko Ihsaas Ke Kutton Ne Badi Der Bhambhoda

Image
Hijar Ke Qabristan Mein Ulfat Ki Laash Ko Ihsaas Ke Kutton Ne Badi Der Bhambhoda ( Razab Tabraiz )

Saqi Ke Muskurane Se Jo Toot Gaya Tha Maikhane Se Khareed Lia Hum Ne Wo Glaas

Image
Saqi Ke Muskurane Se Jo Toot Gaya Tha Maikhane Se Khareed Lia Hum Ne Wo Glaas ( Razab Tabraiz )

Muhabbat Mein Yahi Aaein Lago Kia Jaye Jo Tum Ko Dekh Le Us Par Hashar Wajib Qaza Lazim

Image
Muhabbat Mein Yahi Aaein Lago Kia Jaye Jo Tum Ko Dekh Le Us Par Hashar Wajib Qaza Lazim ( Razab Tabraiz )

Ronde Hai Naqsh-E-Paa Ki Tarah Khalq Yaan Mujhe Ay Umr-E-Rafta Chhorr Gayi Tu Kahaan Mujhe

Image
Ronde Hai Naqsh-E-Paa Ki Tarah Khalq Yaan Mujhe Ay Umr-E-Rafta Chhorr Gayi Tu Kahaan Mujhe روندے ہے نقش, پا کی طرح خلق یاں مجھے اے عمر, رفتہ چھوڑ گئ تو کہاں مجھے

Shajar,Zameen,Ghata Aasman Bolta Hai,Wo Hont Kholay Tou Sara Jahan Bolta Hai

شجر ، زمیں ، گھٹا آسماں بولتا ہے وہ ہونٹ کھولے تو سارا جہاں بولتا ہے سنے گا کون صدائیں دل شکستہ کی تمام شہر تمہاری زباں بولتا ہے ہمارے بیچ محبت مہک رہی ہے اگر تو پھر یہ کون ہے جو درمیاں بولتا ہے دلوں سے اٹھتا نہیں خؤف کا دھواں یونہی یقیں بکھرنے لگا ہے ، گماں بولتا ہے جلائے بیٹھا ہوں جب سے دیئے منڈیروں پہ ہر اک شخص ہوا کی زباں بولتا ہے ضروری ہو گیا ہے اب تو بولناmo سکوت ِ شب ہو تو خالی مکاں بولتا ہے

Main Chaar Jamataan Ki Padian,Main Fitwey Lawaan Har Ik They

میں چار جماعتاں کی پڑھیاں میں فتوے لاواں ہر اک تے کدی بے عملاں تے کدی بے عقلاں تے کدی شاعری تے، کدی گاؤن تے کدی ہسن تے کدی روون تے میں فتوے لاواں ہر اک تے میں آپ مسیتی جاواں ناں جے جاواں من ٹکاواں ناں میں فتوے لاواں اوتھے وی کدی وضو تے کدی نماز تے کدی اُچی نیویں آواز تے کدی منن یا نہ منن تے ہتھ اُتے تھلے بنھن تے میں فتوے لاواں ہر اک تے کدی کافر آکھاں مولویاں نوں کدی کعبہ آکھاں مولویاں نوں میں فتوے لاواں اینہاں تے وی کدی ٹوپی تے کدی داڑھی تے گل چنگی یا گل ماڑی تے کدی شہیداں تے کدی مریاں تے کدی مناؤندے جمن ورھیاں تے کدی جنگاں تے کدی جہاد تے کدی دین دی ہُندی واد تے میں فتوے لاواں ہر اک تے کدی رسم آکھاں دین نوں کدی دین آکھاں رسماں نوں میں رب قرآن نوں من لیا پر منیا چکن قسماں نوں کدی عیداں تے شبراتاں تے کدی جاگن والیاں راتاں تے کدی زیراں تے کدی زبران تے کدی مزاراں تے کدی قبراں تے میں فتوے لاواں ہر اک تے میں سُنی وہابی حنفی ہویا میں مالکی شافعی حنبلی ہویا میں سب کجھ ہویا # پر_ہویا_نہ_مسلمان ایہہ میں جو چار کتاباں پڑھیاں اپنے علم دیاں لاواں تڑیاں ویلا میرے علم دا ٹھوٹھا جے ہر فتوٰی میرا ج

Mansoob Thay Jo Log Meri Zindagi Ke Saath Aksar Voh Hi Milay Hein Barri Be-Rukhi Ke Saath

Mansoob Thay Jo Log Meri Zindagi Ke Saath Aksar Voh Hi Milay Hein Barri Be-Rukhi Ke Saath Yun Toh Mein Hans Parra Hun Tumhaare Liye Magar Kitney Sitaare Tuut Parrey Ek Hansi Ke Saath Majbooriyon Ki Baat Chali Hai Toh Mai Kahan Hum Ne Piya Hai Zehr Bhi Aksar Khushi Ke Saath Chehre Badal Badal Ke Mujhe Mil Rahe Hein Log Itna Bura Sulook Meri Saadgi Ke Saath ‎منسوب تھے جو لوگ میری زندگی کےساتھ ‎ اکثر وہی ملے ہیں بڑی بے رُخی کے ساتھ ‎ یوں تو مَیں ہنس پڑا ہُوں تمہارے لیے مگر ‎ کتنے ستارے ٹوٹ پڑے اِک ہنسی کے ساتھ ‎ مجبوریوں کی بات چلی ہے تو مئے کہاں ‎ ہم نے پِیا ہے زہر بھی اکثر خوشی کے ساتھ ‎چہرے بدل بدل کے مجھے مل رہے ہیں لوگ ‎اتنا بُرا سلوک میری سادگی کے ساتھ

jis roz humara kooch hoga phoolon ki dukaanain band hongi

جس روز ہمارا کوچ ہوگا پھولوں کی دکانیں بند ہوں گی شیریں سخنوں کے حرفِ دُشنام بے مہر زبانیں بند ہوں گی پلکوں پہ نمی کا ذکر ہی کیا یادوں کا سراغ تک نہ ہوگا ہمواری ِ ہر نفس سلامت دل پر کوئی داغ تک نہ ہوگا پامالیِ خواب کی کہانی کہنے کو چراغ تک نہ ہوگا معبود ! اس آخری سفر میں تنہائی کو سرخ رو ہی رکھنا جز تیرے نہیں کوئی نگہدار اس دن بھی خیال تو ہی رکھنا جس آنکھ نے عمر بھر رلایا اس آنکھ کو بے وضو ہی رکھنا جس روز ہمارا کو چ ہو گا پھو لوں کی دکانیں بند ہوں گی (افتخار عارف) jis roz humara kooch hoga phoolon ki dukaanain band hongi sheereen sukhanoun k herf e dushnaam be mehar zubaanain band hongi palkon peh nami ka ziker hi kia yaadon ka suraagh tak na hoga humwari-e-her nafs salaamat dil per koi daagh tak na hoga paamaali-e-khwaab ki kahani kehne ko charaagh tak na hoga maabood !is aakhri safer main tanhaayi ko surkhroo hi rakhna juz tere koi nahin nigahdaar us din bhi khayaal too hi rakhna jis aankh ne umer bhar rulaaya us aankh ko be wuzoo hi rakhna jis roz humara kooch hoga phoolon ki du

Meri serkashi bhi thee munferad,meri aajzi bhi kamal thee

Meri serkashi bhi thee munferad,meri aajzi bhi kamal thee Main ana parst bala ka tha , so gira tu apnay he paon main

Khalwat me khula hm pe k bebaak thi wo bhi

Khalwat me khula hm pe k bebaak thi wo bhi Mohtaat the hm log bhi,, chaalaak thi wo bhi Afkaar me hm log bhi thehre the qad-aawar Pindaar me "Hum-qaamat-e-aflaak" thi wo bhi Use paas-e-adab,, "sang-sifat azm" tha uska Use seel-e-talab,, "soorat-e-khaashaak" thi wo bhi Jis shab ka girebaa'n tere hatho'n se hua chaak Ae subah k sooraj,, meri poshaak thi wo bhi Ek shokh kiran choomne utri thi gulo'n ko Kuchh der me pevast-e-rag-e-khaak thi wo bhi Jis aankh ki jumbish pe hui nasb saleebe'n Maqtal me hme dekh k namnaak thi wo bhi Dekha jo use,, koi kashish hi na thi usme Socha jo use,, haasil-e-idraak thi wo bhi Jo harff mere lab pe raha,, zehar tha MOHSIN Jo saans mere tan me thi,, saffaak thi wo bhi....!!

Tilism_e_Ishq tha sub, us k sath hone tak

Tilism_e_Ishq tha sub, us k sath hone tak Khayal_e_Dard na aaya nijaat hone tak Wo is kamaal say khela tha ishq ki bazi Main apni jeet samajhta tha maat hone tak

SAMAJH JATA HOON CHAALON KO,MAGAR KUCH DER LAGTI HA

SAMAJH JATA HOON CHAALON KO,MAGAR KUCH DER LAGTI HA WO BAAZI JEET JATAY HN,MERAY CHAALAAK HONAY TK...........

YE SAAHIL PE.....BIKHRAY HUAE PHOOL

Image
YE SAAHIL PE.....BIKHRAY HUAE PHOOL..... NA JANAY AAJ............PHIR KIS KI MOHABAT DOOB GAEE ????

Ye zalzalay yunhe besabab to nahi aatay

Ye zalzalay yunhe besabab to nahi aatay Zaroor zameen k neechay koi dewana tadapta hoga

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thi Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi Tou Na Thi

بات کرنی مجھے مُشکل کبھی ایسی تو نہ تھی جیسی اب ہے تیری محفل کبھی ایسی تو نہ تھی لے گیا چِھین کے کون آج تیرا صبر و قرار بےقراری تجھے اے دل کبھی ایسی تو نہ تھی چشمِ قاتل، میری دُشمن تھی ہمیشہ، لیکن جیسی اب ہو گئی قاتل کبھی ایسی تو نہ تھی اُن کی آنکھوں نے خُدا جانے کیا کیا جادُو کہ طبیعت میری مائل کبھی ایسی تو نہ تھی عکسِ رُخِ یار نے کس سے ہے تجھے چمکایا تاب تجھ میں ماہِ کامل کبھی ایسی تو نہ تھی کیا شباب! تُو جو بگڑتا ہے ظفر سے ہر بار خُو تیری حُور شمائل کبھی ایسی تو نہ تھی Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thi Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi Tou Na Thi Le Gaya Cheen Ke Kon Aaj Tera Sabar-o-Qarar Beqarari Tujhe Aey Dil Kabhi Aisi Tou Na Thi Chim-e-Qatil,Meri Dushman Thi Hamesha,Lekin Jaisi Ab Ho Gayi Qatil Kabhi Aisi Tou Na Thi Unki Aankhon Ne Khuda Jane Kia Kia Jadoo Keh Tabia'at Meri Ma'ail Kabhi Aisi Tou Na Thi Aks-e-Rukh-e-Yaar Ne Kis Se Hai Tujhe Chamkaya Taab Tujh Mein Maah-e-Kaamil Kabhi Aisi Tou Na Thi Kia Shabaab ! Tuu Jo

Mohabbat Phool Hai JaNa Kaho To Phool Ban Jaoon

Mohabbat Phool Hai JaNa Kaho To Phool Ban Jaoon Tumahri Zindagi Ka Ek Haseen Asool Ban Jaoon Suna Hai Rait Pe Chal K Tum Aksar Mehak Jatay Ho Kaho To Ab K Bar Mein Zameen Ki Dhool Ban Jaoon Buht Nayab Hotay Hain Jinhey Tum Apna Kehtey Ho Ijazat Do K Mein B Is Qadr Anmol Ban Jaoon

Keh Raha Hai Samandar Se Darya Ka Sukoot Jiska Jitna Zarf Hai Utna Wo Khamosh Hai

Image
Keh Raha Hai Samandar Se Darya Ka Sukoot Jiska Jitna Zarf Hai Utna Wo Khamosh Hai

Teri Chahat Se Gurezaan Bhi Rahe Aur Hum Ne Teri Yadon Ke Bhi Anbaar Laga Kar Rakhe

تیری چاہت سے گریزاں بھی رہے اور ہم نے تیری یادوں کے بھی انبار لگاکر رکھے کس قدر لوٹ مچی شہر۔ نگاراں میں نہ پوچھ ہاں مگر ہم نے ترے درد بچا کر رکھے دل جو ٹوٹا بھی تو تقدیر کو ٹھہرایا سبب آنکھ بھر آئی تو الزام گھٹا پر رکھے مجید اختر Teri Chahat Se Gurezaan Bhi Rahe Aur Hum Ne Teri Yadon Ke Bhi Anbaar Laga Kar Rakhe Kis Qadar Loot Machi Shehar-e-Nigaraan Main Na Pooch Haan Magar Hum Ne Tere Dard Bacha Kar Rakhe Dil Jo Toota Bhi Tou Taqdeer Ko Thehraya Sabab Aankh Bhar Aai Tou Ilzaam Ghata Par Rakhe Majeed Akhtar

Qail Thi Yun Tou Dard Ki Mehfil Jagah Jagah,Hum Hi Suna Saky Na Gham-e-Dil Jagah Jagah

قائم تھی یوں تو درد کی محفل جگہ جگہ ہم ہی سنا سکے نہ غمِ دل جگہ جگہ طوفانِ موج خیز کے خُوگر، سنبھل سنبھل حائل ہیں تیری راہ میں ساحل جگہ جگہ دل ہر مقامِ شوق سے آگے نکل گیا دامن کو کھینچتی رہی منزل جگہ جگہ ہر نقشِ پا تھا میرے لیے تیرا آستان آئی نظر مجھے تری محفل جگہ جگہ شانِ کرم کو عذرِ طلب بھی تھا ناگوار پھیلا کے ہاتھ رہ گیا سائل جگہ جگہ ہر اِک قدم پہ ٹھوکریں کھانے کے باوجود کھائے فریبِ وعدۂ باطل جگہ جگہ ہے جوشِ گریہ، موجِ تبسم سے ہم کنار ہوتے ہیں حسن و عشق مقابل جگہ جگہ صوفی تبسم

Saghar Chuwa Bhi Ho Tou Mere Haath Toot Jaein Nasih Main Kia Karon Wo Nazar Se Pila Gaye

ساغر چھوا بھی ہو تو میرے ہاتھ ٹوٹ جائیں ناصح میں کیا کروں وہ نظر سے پلا گئے قابل اجمیری Saghar Chuwa Bhi Ho Tou Mere Haath Toot Jaein Nasih Main Kia Karon Wo Nazar Se Pila Gaye Qabil Ajmeeri

Muhabbat Zindagi Hai Aur Tum Meri Muhabbat Ho

محبت زندگی ہے اور تم میری محبت ہو تمہی ہو بندگی میری تمہی میری عبادت ہو تمھارے پیار نے دل میں امنگوں کو جگایا ہے تمھاری مسکراہٹ نے مجھے جینا سکھایا ہے تمہی ہو جینے کی وجہ تمہی میری ضرورت ہو تمہی ہو بندگی میری تمہی میری عبادت ہو نہیں اب کوئی بھی ارمان میرے دل میں تمہیں پا کر میں یہ اقرار کرتا ہوں محبت کی قسم کھاکر مجھے جو وقت نے بخشا وہ لمحہ خوبصورت ہو تمہی ہو بندگی میری تمہی میری عبادت ہو محبت زندگی ہے اور تم میری محبت ہو تمہی ہو بندگی میری تمہی میری عبادت ہو

Ishq ik ehsaas e jawydaani Jis ny bakhshi hai hayyat ko rangeeniyan

Image
Ishq ik ehsaas e jawydaani Jis ny bakhshi hai hayyat ko rangeeniyan Jis k dam sy hoey roshan khayal o bazm e gul Baharan baharan man angan Kosha e yaar ki dill fareebi kuch yun Koi aur na bhaey nainan ko

Chehray Pe Mere Zullaf Ko Phelao Kisi Din Kaya Roz Garjte Ho Baras Jao Kisi Din

شاعر امجد اسلام امجد بک ذرا پھر سے کہنا ماخوذ کلیات غزل صفحہ 258 انتخاب اور ٹائپ فاروقی.54 چہرے پے میرے زلف کو پھیلاؤ کسی دن کیا روز گرجتے ہو برس جاؤ کسی دن . رازوں کی طرح اترو میرے دل میں کسی شب دستک پہ میرے ہاتھ کی کھل جاؤ کسی دن . پیڑوں کی طرح حسن کی بارش میں نہا لوں بادل کی طرح جھوم کے گھر آؤ کسی دن . خوشبو کی طرح گذرو میرے دل کی گلی میں پھولوں کی طرح مجھ پہ بکھر جاؤ کسی دن . پھر ہاتھ کو خیرات ملے بند قبا کی پھر لطف ۓ شپ ۓ وصل کو دوہراؤ کسی دن . گذریں جو میرے گھر سے تو رک جائیں ستارے اس طرح میری رات کو چمکاؤ کسی دن . میں اپنی ہر اک سانس اسی رات کو دے دوں سر رکھ کر میرے سینے پہ سو جاؤ کسی دن Poet Amjid Islam Amjid Book Zara Phir Se Kehna Makhooz Kulyat-E-Ghazal Page 258 Type By *_FAROOQI.54_* Chehray Pe Mere Zullaf Ko Phelao Kisi Din Kaya Roz Garjte Ho Baras Jao Kisi Din Raazoon Ki Tarah Utro Mere Dil Mein Kisi Shab Dastak Pe Mere Hath Ki Khul Jao Kisi Din Pairroon Ki Tarah Hussan Ki Baarish Mein Naha Loon Baadal Ki Tarah

Jaan Hai Beqarar Sii,Jisam Hai Paimal Sa Ab Na Wo Dagh,Wo Jigar,Sirf Hai Ik Khayal Sa

جان ہے بے قرار سی ، جسم ہے پائمال سا اب نہ وہ داغ، وہ جگر، صرف ہے اِک خیال سا چاہیئے عِشق میں مجھے، آپ ہی کا جمال سا داغ ہر ایک بدر سا، زخم ہر اِک ہلال سا دِل پہ مِرے گرائی تھیں تم نے ہی بجلیاں، مگر آؤ نظر کے سامنے، مجھ کو ہے احتمال سا حُسن کی سحرکاریاں، عِشق کے دِل سے پُوچھئے وصل کبھی ہے ہجر سا، ہجر کبھی وصال سا گُم شدگانِ عشق کے شان بھی کیا عجیب ہے آنکھ میں اِک سرُور سا، چہرے پہ اِک جلال سا یاد ہے آج تک مجھے پہلے پہل کی رسم و راہ کچھ اُنہیں اجتناب سا، کچھ مجھے احتمال سا جگر مراد آبادی Jaan Hai Beqarar Sii,Jisam Hai Paimal Sa  Ab Na Wo Dagh,Wo Jigar,Sirf Hai Ik Khayal Sa Chaheye Ishq Mein Mujhe,Aap Hi Ka Jamal Sa Dagh Har Aik Badar Sa,Zakham Har Ik Hilal Sa Dil Par Mere Girai Thein Tum Ne Hi Bijlian,Magar Aao Nazar Ke Samne , Mujh Ko Hai Ihtemal Sa Husn Ki Saharkaarian,Ishq Ke Dil Se Poochiye Wasal Kabhi Hai Hijar Sa,Hijar Kabhi Wisal Sa Gumshudgan-e-Ishq Ke Shaan Bhi Ajeeb Hai Aankh Mein Ik Suroor Sa,Chehre Pe Ik Jalal Sa Yaad Hai Aaj Tak Mujhe Pehle Pehl Ki

Ab Kon Se Mousam Se Koi Aas Lagaye,Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Unko Hum Aaye

Image
پروین شاکر اب کون سے موسم سے کوئی آس لگائے برسات میں بھی یاد نہ جب اُن کو ہم آئے مٹّی کی مہک سانس کی خوشبو میں اُتر کر بھیگے ہوئے سبزے کی ترائی میں بُلائے دریا کی طرح موج میں آئی ہُوئی برکھا زردائی ہُوئی رُت کو ہرا رنگ پلائے بوندوں کی چھما چھم سے بدن کانپ رہا ہے اور مست ہوا رقص کی لَے تیز کیے جائے شاخیں ہیں تو وہ رقص میں ، پتّے ہیں تو رم میں پانی کا نشہ ہے کہ درختوں کو چڑھا جائے ہر لہر کے پاؤں سے لپٹنے لگے گھنگھرو بارش کی ہنسی تال پہ پا زیب جو چھنکائے انگور کی بیلوں پہ اُتر آئے ستارے رکتی ہوئی بارش نے بھی کیا رنگ دکھائے Ab Kon Se Mousam Se Koi Aas Lagaye Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Unko Hum Aaye Mitti Ki Mehik Saans Ki Khushbo Mein Utar Kar Bheege Hoe Sabze Ki Tarai Mein Bulaye Darya Ki Tarah Mouj Mein Aai Hoi Barkha Zardai Hoi Rut Ko Hara Rang Bulaye Bondon Ki Chama Cham Se Badan Kanp Raha Hai Aur Mast Hawa Raqs Ki Ly Tez Kiye Jaye Shakhein Hain Tou Wo Raqs Mein,Pattey Hain Tou Ram Mein Pani Nasha Hai Keh Darakhton Ko Chada Jaye Har

Naqaab-e-Rukh Ulat Kar Tu Jo Khanjar Aazma Hota,Tou Phir Kocha Tera Kocha Na Hota Karbala Hota

نقابِ رخ الٹ کر تو جو خنجر آزما ہوتا تو پھر کوچہ ترا کوچہ نہ ہوتا کربلا ہوتا میں اپنے دیکھنے والے کو خود بھی دیکھتا ہوتا جو ایسا دیکھنا ہوتا تو ہاں پھر دیکھنا ہوتا نہ ہم تجھ سے جدا ہوتے نہ تو ہم سے جدا ہوتا ہمارے دن بھلے ہوتے تو کیا ایسا ہوا ہوتا وہ مجھ کو دیکھتے ہوتے میں میں اُن کو دیکھتا ہوتا تماشا میری حیرت کا عجب حیرت نما ہوتا تمناؤں کا جھرمٹ حسرتوں کا جمگھٹا ہوتا شہیدِ ناز کی تربت پہ اک میلا لگا ہوتا بجائے میرے تم مجھ پر فدا ہوتے تو کیا ہوتا اگر ایسا ہوا ہوتا تو پھر کیسا ہوا ہوتا تمہاری طرح کیا سارے حسیں جلاد ہوتے ہیں جو یہ ہوتا تو کیوں کوئی کسی کا مبتلا ہوتا مرے آگے عدو بھی مدعی ہے جاں نثاری کا جو تم خنجر بکف آتے تو اس کا فیصلا ہوتا حسینوں ہی کے ہاتھوں سے ہماری موت آنی تھی نہ ہوتے تم تو کوئی جان لیوا دوسرا ہوتا قضا مقتل میں لاتی گوندھ کر سہرا شہادت کا عروسِ تیغ کے ہاتھوں سے میں دولہا بنا ہوتا ذرا تو دیکھتے حسن و جمالِ یار کے جلوے بھلا کچھ دیر تو نظارہ اے موسیٰ کیا ہوتا اسیرانِ قفس پر بھی نگاہِ لطف ہو جاتی کبھی اس سمت بھی پھیرا نسیمِ جاں فزا ہوتا اگر اے ہم نشیں قسمت ہی اپنی را

Marti Hoi Zameen Ko Bachana Pada Mujhe,Badal Ki Tarah Dasht Mein Aana Pada Mujhe

مرتی ہوئی زمیں کو بچانا پڑا مجھے بادل کی طرح دشت میں آنا پڑا مجھے وہ کر نہیں‌ رہا تھا مری بات کا یقیں پھر یوں ہوا کہ مر کے دکھانا پڑا مجھے بھولے سے میری سمت کوئی دیکھتا نہ تھا چہرے پہ ایک زخم لگانا پڑا مجھے اس اجنبی سے ہاتھ ملانے کے واسطے محفل میں سب سے ہاتھ ملانا پڑا مجھے یادیں تھیں دفن ایسی کہ بعد از فروخت بھی اس گھر کی دیکھ بھال کو جانا پڑا مجھے اس بے وفا کی یاد دلاتا تھا بار بار کل آئینے پہ ہاتھ اٹھانا پڑا مجھے ایسے بچھڑ کے اس نے تو مر جانا تھا مگر اس کی نظر میں خود کو گرانا پڑا مجھے

Muntakhab Kalam Neerang

منتخب کلام غلام بھیک نیرنگ >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> کٹ گئی بے مدعا ساری کی ساری زندگی زندگی سی زندگی ہے یہ ہماری زندگی کیا ارادوں سے ہے حاصل؟ طاقت و فرصت کہاں ہاۓ کہلاتی ہے کیوں بے اختیاری زندگی اے سر شوریدہ اب تیرے وہ سودا کیا ہوۓ کیا سدا سے تھی یہی غفلت شعاری زندگی درد الفت کا نہ ہو تو زندھی کا کیا مزا آہ و زاری زندگی ہے بے قراری زندگی آرزوۓ زیست بھی یاں یاں آرزوۓ دید ہے تو نہ پیارا ہو تو مجھ کو ہو نہ پیاری زندگی اور مرجھاۓ گی تیری چھیڑ سے دل کی کلی کر نہ دو بھر مجھ پہ اے باد بہاری زندگی یاں تو اے نیرنگ دونوں کے لیے ساماں نہیں موت بھی مجھ پر گراں ہے گر ہے بھاری زندگی   >>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>> کبھی صورت جو مجھے آ کے دکھا جاتے ہو دن مری زیست کے کچھ اور بڑھا جاتے ہو اک جھلک تم جو لب بام دکھا جاتے ہو دل پہ اک کوندتی بجلی سی گرا جاتے ہو میرے پہلو میں تم آؤ یہ کہاں میرے نصیب یہ بھی کیا ہے تصور میں تو آ جاتے ہو تازہ

Ya RAB Gham-e-Hijran Mein Itna Tou Kia Hota

  چراغ حسن حسرت یا رب غمِ ہجراں میں اتنا تو کیا ہوتا جو ہاتھ جگر پر ہے وہ دستِ دعا ہوتا اک عشق کا غم آفت اور اس پہ یہ دل آفت یا غم نہ دیا ہوتا، یا دل نہ دیا ہوتا غیروں سے کہا تم نے، غیروں سے سنا تم نے کچھ ہم سے کہا ہوتا، کچھ ہم سے سنا ہوتا امید تو بندھ جاتی، تسکین تو ہو جاتی وعدہ نہ وفا کرتے، وعدہ تو کیا ہوتا ناکامِ تمنا دل، اس سوچ میں رہتا ہے یوں ہوتا تو کیا ہوتا، یوں ہوتا تو کیا ہوتا

Mujh Ko Yaqeen Hai Sach Kehti Thi Jo Bhi Ammi Kehti Thi

مجھ کو یقیں ہے سچ کہتی تھیں جو بھی امی کہتی تھیں جب میرے بچپن کے دن تھے چاند میں پریاں رہتی تھیں ایک یہ دن کہ اپنوں نے بھی ہم سے رشتہ توڑ لیا اک وہ دن جب پیڑ کی شاخیں بوجھ ہمارا سہتی تھیں ایک یہ دن کہ لاکھوں غم اور کال پڑا ہے آنسو کا اک وہ دن جب ایک ذرا سی بات پہ ندیاں بہتی تھیں ایک یہ دن جب ساری سڑکیں روٹھی روٹھی لگتی ہیں اک وہ دن جب آؤ کھیلیں، ساری گلیاں کہتی تھیں ایک یہ دن جب ذہن میں ساری عیاری کی باتیں ہیں اک وہ دن جب دل میں ساری بھولی باتیں رہتی تھیں جاوید اختر

Mitte hai mager hole hole jalte hain magar ik baar nhi

Mitte hai mager hole hole jalte hain magar ik baar nhi hum shamma ka seena rakhte hain...rehte hain magar parvano me

Shab-E-Visaal Hai, Gul Kar Do Sab Charaaghon Ko

Shab-E-Visaal Hai, Gul Kar Do Sab Charaaghon Ko Khushi Ki Bazm Mein Kya Kaam Jalney Vaalo'n Ka ‎ﺷﺐِ ﻭﺻﺎﻝ ﮨﮯ ﮔُﻞ ﮐﺮ ﺩﻭ ﺳﺐ ﭼﺮﺍﻏﻮﮞ ﮐﻮ ‎ﺧﻮﺷﯽ ﮐﯽ ﺑﺰﻡ ﻣﯿﮟ ﮐﯿﺎ ﮐﺎﻡ ﺟﻠﻨﮯ ﻭﺍﻟﻮﮞ ﮐﺎ

Had Se Bade Tou Ilam Bhi Hai Jihal Dosto

حد سے بڑھے تو علم بھی ہے جہل دوستو سب کچھ جو جانتے ہیں وہ کچھ جانتے نہیں خمار بارہ بنکوی Had Se Bade Tou Ilam Bhi Hai Jihal Dosto Sab Kuch Jo Jante Hain Wo Kuch Jante Nahi Khumaar Barabankvi

Uthai Hai Tou Nafrat Ki Utha Deewar Bismillah

اٹھائی ہے تو نفرت کی اٹھا دیوار بسم اللہ میری سچی محبت سے تو کر انکار بسم اللہ کہا اس نے میری خاطر یہ کوہ- غم اٹھاؤ گئے.؟ جواباً ہم بھی بول اٹھے مرے دلدار بسم اللہ جہاں کو چھوڑ کر جب ہم ترے کوچے میں آ بیٹھے تو پھر سنگِ ملامت سے ہو کیوں انکار بسم اللہ پجاری زر کے ہو تو ہاتھ میں سچ کا علم کیوں ہے؟ اگر منصور ہو تو پھر یہ سنگ و دار بسم اللہ ہمیں تو عہدِ الفت کو قیامت تک نبھانا ہے وہ رہتا ہے تو ہم سے رہے بیزار بسم اللہ کہا اس نے مجھے معیذ! سر تیرا قلم کر دیں؟ مؤدب ہو کر ہم نے بھی کہا سرکار بسم اللہ

Gaon K Bechiragh Rasty Par , Maili Chadar Becha K Mitti Par

Image
  گاؤں کے بے چراغ رستے میں میلی چادر بچھا کے مٹی پر یہ جو اندھے اداس دل والی ایک پاگل دکھائی دیتی ہے جس کی بے ربط گفتگو اکثر بام و در کو سنائی دیتی ہے جس کی آنکھوں میں رات ڈھلتی ہے جس کی شہ رگ کے ڈھلتے موسم میں زندگی کی تپش پگھلتی ہے جم گئے جس کے خواب چہرے پر جھریاں ہیں بے حساب چہرے پر کانپتے ہاتھہ جن کے سائے سے آخر شب دعا لرزتی ہے جس کی اکھڑی اکھڑتی سانسوں سے روز و شب کے بھنور گریزاں ہیں بھوک جس کے لئے غذا جیسی جس کے نزدیک پیاس پانی ہے اس کو عبرت سے دیکھنے والو اس کے بارے میں اپنے گاؤں کے داستان گو بزرگ کہتے ہیں یہ اکیلی اداس بنجارن اب سے آدھی صدی سے اس جانب روپ میں دھوپ سے بھی اجلی تھی پھول کھلتے تھے جس کے آنگن میں خوشبوؤں سے خراج لیتی تھی اب سے آدھی صدی کے اس جانب یہ اکیلی اداس بنجارن اپنے گاؤں کی اپسراؤں میں " خوبصورت ترین لڑکی تھی " محسن نقوی

Ajab Khouf Musalat Tha Haveli Par

عجب خوف مسلط تھا کل حویلی پر ہوا چراغ جلاتی رہی ہتھیلی پر سنے گا کون مگر احتجاج خوشبو کا کہ سانپ زہر چھڑکتا رہا چنبیلی پر شبِ فراق میری آنکھ کو تھکن سے بچا کہ نیند وار نہ کر دے تیری سہیلی پر وہ بے وفا تھا تو پھر اتنا مہربان کیوں تھا بچھڑ کے اس سے میں سوچوں اس پہیلی پر جلا نہ گھر کا اندھیرا چراغ سے محسن ستم نا کر یوں میری جان ! اپنے بیلی پر محسن نقوی

Lab Tere Laal-O-Naab Hain Donoon Par Tamaami Ataab Hain Donoon

Poet Meer Taqi Meer Book Intkhab Kalam-E-Meer Page 300 Ghazal No 301 Lab Tere Laal-O-Naab Hain Donoon Par Tamaami Ataab Hain Donoon Rona Aankhoon Ka Roiye Kab Tak ? Phootnay Hi K Baab Hain Donoon Hai Takluf Naqab Way Rukhsaar Kaya Chhapees Aaftaab Hain Donoon Tan K Ma'Amooray Hain Yahi Dil-O-Chasham Ghar Thay Do So Kharaab Hain Donoon Paoun Mein Wo Nashah Talab Ka Nahain Ab To Sar Masat Khawaab Hain Donoon Aik Sab Aag Aik Sab Pani Deedah-O-Dil Azaab Hain Donoon Behas Kaahay Ko Laal-O-Marjaan Se? Us K Lab Hi Jawaab Hain Donoon Aagay Dariya Thay Deedah Tar MEER Ab Jo Daikho Saraab Hain Donoon...................*   شاعر میر تقی میر بک انتخاب کلام میر صفحہ 300 غزل 301 قافیہ ناب ہیں عتاب ہیں باب ہیں ردیف دونوں لب ترے لعل و ناب ہیں دونوں پر تمامی عتاب ہیں دونوں . رونا آنکھوں کا روئیے کب تک؟ پھوٹنے ہی کے باب ہیں دونوں . ہے تکلف نقاب وے رخسار کیا چھپیس آفتاب ہیں دونوں . تن کے معمورے ہیں یہی دل و چشم گھر تھے دو سو

Saare Lehje Tere,Be-Zubaan, Ik Main Is Bhare Shehr Mein,Ik Raaigaan, Ik Main

Saare Lehje Tere,Be-Zubaan, Ik Main Is Bhare Shehr Mein,Ik Raaigaan, Ik Main Wisal K Shehr Ki Roshni, Ik Tu Hijar K Dasht Mein Karwaan, Ik Main Bijlion Se Bhari Barshein Zor Par Apni Basti Mein Kachha Makaan, Ik Main Mujh Ko Farigh Dinon Ki Amanat Samajh Bhooli Basri Hoi Dastaan, Ik Main Ronaqein,Shor,Melay Jhamelay Tere Apni Tanhai Ki Raazdaan, Ik Main Us Taraf Sangbaari Har Ik Baam Se Is Taraf Aainon Ki Dukaan, Ik Main Wo Nahi Hai Tou Mohsin Ye Matt Samajhna Ab Bhatakta Phiron Ga Kahan, Ik Main

Kabhi Yun Bhi Tou Ho,Darya Ka Sahil Ho,Pore Chaand Ki Raat Ho,Aor Tum Ho

کبھی یوں بھی تو ہو دریا کا ساحل ہو پورے چاند کی رات ہو اور تم آؤ کبھی یوں بھی تو ہو پریوں کی محفل ہو کوئی تمہاری بات ہو اور تم آؤ کبھی یوں بھی تو ہو یہ نرم ملائم ٹھنڈی ہوائیں جب گھر سے تمہارے گزریں تمہاری خوشبو چرائیں میرے گھر لے آئیں کبھی یوں بھی تو ہو سونی ہر منزل ہو کوئی نہ میرے ساتھ ہو اور تم آؤ کبھی یوں بھی تو ہو یہ بادل ایسا ٹوٹ کے برسے میرے دل کی طرح ملنے کو تمہارا دل بھی ترسے تم نکلو گھر سے کبھی یوں بھی تو ہو تنہائی ہو _ دل ہو بوندیں ہوں _ برسات ہو اور تم آؤ کبھی یوں بھی تو ہو ............................ جاوید اختر ...........................  

Ijaazat Ho Toh Keh Don Qissah-E-Ulfat Sar-E-Mehfil

Ijaazat Ho Toh Keh Don Qissah-E-Ulfat Sar-E-Mehfil??? Mujhe Kuchh Toh Fasaana Yaad Hai Kuchh Tum Suna Dena Mein Mujrim Hon Mujhe Iqraar Hai Jurm-E-Mohabbat Ka Magar Pehle Khata Par Ghour Kar Lo Phir Saza Dena   اجازت ہو تو کہ دوں قصۂ الفت سرِ محفل مجھے کچھ تو فسانہ یاد ہے کچھ تم سنا دینا میں مجرم ہوں مجھے اقرار ہے جرمِ محبت کا مگر پہلے خطا پر غور کر لو پھر سزا دینا

Khaab posh ankhon mein ansoon ka bhar Jana

Khaab posh ankhon mein ansoon ka bhar Jana Waqt ki rawaani ny jo sabaq parhaya hai kaun bhool paya hai Zeest e faani tamsha Jo banaya Kaun seh paya hai Jis ny bhi gaaly lagaya hai Khanjar phoonkny aaya hai

Ik tamanna e laahaasil Ik arzoo e bylagam

Mohabbat Ik tamanna e laahaasil Ik arzoo e bylagam Ik qissa e gumnaam Ik afsaana e natamam Ik tamsha e zaat Ik reet e hayyat

Ilaj-e-Kawish-e-Gham Khaak Chara ju Karte Hazar Zakham Thy Kis Kis Jagah Rafoo Karte

ایک زمین میں 14 غزلیں پیشِ خدمت ہیں 01 جگر مرادآبادی علاجِ کاوشِ غم خاک چارہ جُو کرتے ہزار زخم تھے کس کس جگہ رفو کرتے اشارہ خود جو نہ وہ بہرِ جستجو کرتے مجال کیا تھی ہماری کہ آرزو کرتے وہ ہم سے ملتے نہ ملتے یہ ان کی مرضی تھی ہمارا کام یہی تھا کہ جستجو کرتے بیان ہو نہ سکی ابتداء محبت کی تمام عمر ہوئی شرحِ آرزو کرتے   Roman Version Ilaj-e-Kawish-e-Gham Khaak Chara ju Karte Hazar Zakham Thy Kis Kis Jagah Rafoo Karte Ishara Khud Jo Na Wo Behr-e-Justajo Karte Majaal Kia Thi Hamari Keh Aarzoo Karte Wo Hum Se Milte Na Milte Ye Unki Marzi Thi Hamara Kaam Yahi Tha Keh Justajo Karte Bayan Ho Na Saki Ibteda-e-Muhabbat Ki Tamam Umar Hoi Sharh-e-Aarzoo Karte Jigar Muradabadi 02 بہادر شاہ ظفر طلب ہیں عشقِ بتاں میں جو آبرو کرتے ظفر ہیں آگ سے پانی کی آرزو کرتے اشارا اپنے جو ابرو کا وہ کبھو کرتے ملک فلک سے پئے سجدہ سر فرو کرتے نمازِ عشق میں جب ہم ہیں سر فرو کرتے تو آبِ اشک سے سو بار ہیں وضو کرتے نہ رُوئے یار سے ہوتی جو نسبتِ کعبہ تمام عمر بھی عاشق ادھر نہ رُو ک

wafa k naam pe mitnay ki ab ,baten naheen hoteen jo dil ko moh leti theen,wo ab zaten naheen hoteen

wafa k naam pe mitnay ki ab,baten naheen hoteen jo dil ko moh leti theen,wo ab zaten naheen hoteen chali ye kon c bad e mukhalif,kia huwa ab k jinhen hm rt jagay kahtay thay,ab raten naheen hoteen kisi k rooth janay par,kisi ko kho k panay par bohat hoti theen ashkon ki,wo barsaten naheen hoteen kabhi hm mil k chuptay thay,kabhi hm chup k miltay thay MILAN TO AB BHI HOTA HA,MULAQATEN NAHEEN HOTEEN

wafa k naam pe mitnay ki ab ,baten naheen hoteen jo dil ko moh leti theen,wo ab zaten naheen hoteen

wafa k naam pe mitnay ki ab ,baten naheen hoteen jo dil ko moh leti theen,wo ab zaten naheen hoteen chali ye kon c bad e mukhalif,kia huwa ab k jinhen hm rt jagay kahtay thay,ab raten naheen hoteen kisi k rooth janay par,kisi ko kho k panay par bohat hoti theen ashkon ki,wo barsaten naheen hoteen kabhi hm mil k chuptay thay,kabhi hm chup k miltay thay MILAN TO AB BHI HOTA HA,,MULAQATEN NAHEEN HOTEEN

Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain

Chaman Mein Jab Bhi Sabaa Ko Gulaab Poochtay Hain Tumhaari Aankh Ka Ehwaal, Khwaab Poochtay Hain Kahan Kahan Howay Roshan Hamaray Baad Charaagh Sitaaray Deeda-e-Tar Se Hisaab Poochtay Hain Wo Tashna Lab Bhi Ajab Hain Jo Mouj-e-Sehra Se Suraagh-e-Habs, Mizaaj-e-Saraab Poochtay Hain Kahan Basi Hain Wo Yaadain, Ujaarna Hai Jinhain Dilon Ki Baanjh Zamee.n Se Azaab Poochtay Hain Baras Padi Teri Aankhain Tou Phir Ye Bhaid Khula Sawaal Khud Se Bhi Apna Jawaab Poochtay Hain Hawa Ki Hamsafri Se Ab Aur Kia Haasil Bas Apne Sheher Ko Khaana Kharaab Poochtay Hain Jo Be-Niaaz Hain Khud Apne Husn Se Mohsin Kahan Wo Mujh Se Mera Intekhaab Poochtay Hain

Aankhon Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta

Aankhon Mein Koi Khawab Utarne Nahi Deta Ye Dil K Mujhe Chain Se Marne Nahi Deta Bicharay Tou Ajab Pyaar Jatata Hai Khaton Mein Mil Jaye Tou Phir Had Se Guzarne Nahi Deta Wo Shaks Khizan Rut Mein Bhi Mohtaat Rahay Kitna Sokhay Hoye Phoolon Ko Bikharne Nahi Deta Ik Roz Teri Pyaas Khariday Ga Wo Ghabro Pani Tujhe Panghat Se Jo Bharne Nahi Deta Wo Dil Mein Tabassam Ki Kiran Gholne Wala Roothay Tou Ruton Ko Bhi Sanwarne Nahi Deta Mein Us Ko Manaon K Gham-e-Dehar Se Uljhon Mohsin Wo Koi Kaam Bhi Karne Nahi Deta

Phira Hon Saaray Zamanay Mein Dar-badar Kaisay

Phira Hon Saaray Zamanay Mein Dar-badar Kaisay Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hon Paaglon Ki Tarah Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Par Kaisay Aziz-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Wasl Mein Bhi Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon Mohsin Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay

Ahista chal zindagi, abi kai karz chukana baki hei

Ahista chal zindagi, abi kai karz chukana baki hei Kuch dard mitana baaki hai, kuch farz nibhana baaki hai Raftaar mein buried chalne is kuchh rooth kuch chuth gaye Roothon ko manana baaki hai, roton ko hasana baaki hai Kuch hasratein abhi adhuri hain, kuch kaam bhi aur zaroori hain Khwahishen jo ghut gai is dil mein, unhe dafnana baki hai Kuch rishte ban kar toot gaye, kuch judy-judy chut gaye UN tootte-chhutte zakhmon ko mitana rishton ko baaki hai Tu age chal main aata hon, kya chod tujhe ji paunga? In par saanson haqq you jinka, unko samjhaana baaki hai Aahista chal zindagi, abi kai karz chukana baki hai

Agar ho sake to Vapis kar do ! Bina DIL ke Hamaara DIL nahi lagta

Agar ho sake to.............. Vapis kar do ! Bina DIL ke... Hamaara DIL nahi lagta !! अगर हो सके तो........... वापस कर दो ! बिना दिल के.... हमारा दिल नहीं लगता !!

Shayed ka'ee ratoN se na soya tha mussawar

Shayed ka'ee ratoN se na soya tha mussawar Tasweer ki aaNkhoN meN qiamat ki thakan thi

tumhari anjuman se uth ke deewane kahan jate

Poet:Qateel Shifai tumhari anjuman se uth ke deewane kahan jate jo vaabstaa huwe tum se woh afsaane kahaan jate تمہاری انجمن سے اٹھ کے دیوانے کہاں جاتے جو وابستہ ہوئے تم سے وہ افسانےکہاں جاتے तुम्हारी अंजुमन से उठ के दीवाने कहाँ जाते जो वाबस्ता हुए तुमसे वो अफ़साने कहाँ जाते nikl kr dair o Kaaba se agr milta n maaykhaana tou thukraaye huwe insan khuda jane kahaan jate نکل کر دیر و کعبہ سے اگر ملتا نہ میخانہ تو ٹھکرائے ہوے انسان خدا جانےکہاں جاتے निकल कर दैर-ओ-क़ाबा से अगर मिलता न मैख़ाना तो ठुकराए हुए इन्साँ ख़ुदा जाने कहाँ जाते tumhaari be-rukhi ne laaj rakh li baadaa-khane ki tum aankhon se pilaa dete tou paimaane kahaan jate تمہاری بےرخی نے لاج رکھ لی بادہ خانے کی تم آنکھوں سے پلا دیتے تو پیمانے کہاں جاتے तुम्हारी बेरुख़ी ने लाज रख ली बादाख़ाने की तुम आँखों से पिला देते तो पैमाने कहाँ जाते chalo acha huwa kaam aa gayi deewaangi apni warna hum zamaane ko ye samjhane kahaan jate چلو اچھا ہوا کام آگئی دیوانگی اپنی ورنہ ہم زمانے کو یہ سمجھانے کہاں جاتے चलो अच्छा हुआ काम आ गयी दीवानग

Kahin aah ban ke lab pe tera naam aa na jaaye

Poet:Habib Jalib Kahin aah ban ke lab pe tera naam aa na jaaye tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye Zara khud ko sambhaalo mera dil dhadak raha hai koi aur tair-e-dil tah-e-daam aa na jaaye Jise sun ke toot jaaye mera aarzoo bhara dil teri anjuman se mujh ko woh payaam aa na jaaye Woh jo manzilon pe laa kar kisi humsafar ko looten unhi rahzahon mein tera kahin naam aa na jaaye Issi fikr mein hain ghaltaan ye nizaam-e-zar ke bande jo tamaam-e-zindagi hai woh nizaam aa na jaaye Ye mah-o-nujoom hans len mere aansuon pe jalib mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye

Hans Kar Tujhe Milti Hon Tou Ye Baat Bhi Sun Le

ہنس کر تجھے ملتی ہوں تو یہ بات بھی سن لے میں رو بھی پڑوں گی تو اگر تنگ کرے گا (ریخانہ قمر) Hans Kar Tujhe Milti Hon Tou Ye Baat Bhi Sun Le Main Ro Bhi Padon Gi Tuu Agar Tang Kare Ga Rehana Qamar  

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Oski

Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Oski Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai Phir Damaknay Lagi Jabeen Oski Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Oski Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Os Se Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Oski Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin Aadatain Sab Badal Gayin Oski

Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha

Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-Faraaz Mein Mohsin   Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha

Tumhi ne chuaa hoga Hawa yun Bewajah Kabhi Nahi mehki

Tumhi ne chuaa hoga Hawa yun Bewajah Kabhi Nahi mehki

Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon Mohabbat ki Pehli Kari Ho Gayi Hoon

Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon Mohabbat ki Pehli Kari Ho Gayi Hoon Mujhe Tune Aisi Nighaah se Dekha K Mai Ek Pal Mein Bari Ho Gayi Hoon Sar-e-Shaam Aane ka Hai Us ka Wada Mai Subah Se Darr Par Khari Ho Gayi Hoon Na Churwa sakoge kabi Haath Apna Mohabbat Bhari Hath-Kari Ho Gayi Hoon Boht Door hai Mujh se Khushyon ka Mosam Musalsal Ghamon ki Jhari Ho Gayi Hoon Juda kar Na Payega Ab koi MOHSIN Wo Khushbu hai, Mai Pankhri Ho Gayi Hoon

Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey

Zamaney Bhar Ki Nigahon Mai Jo Khuda Saa Lagey Wo Ajnabi Hai Magar Mujh Ko Aashna Sa Lagey Na Janey Kab Meri Dunya Mai Muskuraaye Ga Wo Aik Shakhs,,, Jo Khawabon Mai Bhi Khafaa Sa Lagey Ajab Cheez Hai Yaaron Ye Manzilon Ki Hawas Ke Raahzan Bhi Musafir Ko Raahnuma Sa Lagey Dil-e-Tabah! Tera Mashwara Hai Kya Ke Mujhe Wo Phool Rung Sitaara Bhi Bewafa Sa Lagey Hoi Hai Jis Se Munnawar,, Her Ek Aankh Ki Jheel Wo Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kam Numa Sa Lagey

Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain

Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain Hum Hain Sookhay Howy Talaab Pe Baithe Howe Hans Jo Taaluq ko Nibhaatae Howe Mar Jaate Hain Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamare sar Hai Jo Hamain Zaher Pilatay Howe Mar Jaate Hain Yeh Mohabat ki kahani Nahi Marti Lekin Log kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain Hum Hain Woh Tooti Howi kashtiyon Waale Mohsin Jo kinaaron ko Milaatay Howe Mar Jaate Hain

Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha

Tujhay Udaas Bhi Karna Tha Khud Bhi Rona Tha Ye Haadsa Bhi Meri Jaan Kabhi Tou Hona Tha Namuu Ka Runj Na Abar Guraiz-pa Say Malaal Ke Mujhko Baanjh Zameenon Mein Beej Bona Tha Ye Kia K Gard-e-Raah-e-Raf’tagaan Ko Oar Liya Kafan Ka Daagh Badan Kay Lahoo Say Dhona Tha Jo Dastaan Usey Kehna Thi Phir Na Guftaa Rahi Ke Main Bhi Thak Sa Gaya Tha,, Usey Bhi Sona Tha Mein Takht-e-Abar Par Soya Tha Raat Bhar Mohsin Khuli Jo Aankh Tou Sehra Mera Bichhona Tha

Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye

Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaaye Zara Siii Dair Ko Hangama-e-Mahfel Tehar Jaaye Shab-e-Maqtal Ka Sanaata Gawahi Dey Na Dey Apni Laho Ki Mouj May Aks-e-Rukh-e-Qaatil Tehar Jaaye Tabiyat Toot Kar Chahye Talaatum Ashiana Hona Mager Tashna Labi Ki Zid Ser-e-Saahil Tehar Jaaye Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra Woh Ek Lamha k Apni Umr Ka Haasil Tehar Jaaye Kahin To Saans Lay Thak Kar Hajoom-e-Abla Paa’yi Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Tehar Jaaye Koi Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye Kisi Awaz Per To Be Sada Saayel Tehar Jaaye Kahaa K QAIS Tay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Tehar Jaaye Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hat’ta Nahi MOHSIN K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kaamil Tehar Jaaye

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Mere Qaatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barson Say Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi Yeh Pareshaan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi Laakh Moujon Main Ghira Hun, Abi Dooba Tou Nahi Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi Qabr Say Aaj Bhi Mohsin Ki Aati Hai Sadaa Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi

Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha

Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha Paani main chaand, chaand main chehra kisi ka tha

Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog

Jaane Ab Kis Dais Milain Ge Unchi Zaaton Waalay Loog Naik Nigahon, Sache Jazbon Ki Saugaaton Waalay Loog Pyaas Ke Sehraaon Mein Dhoop Pehen Kar Paltay Banjaaro Palkon Oat Talaash Karo, Bojhal Barsaaton Waalay Loog Waqt Ki Urrti Dhool Mein Apne Naqsh Ganwae Phirte Hain Rim Jhim Subhon, Roshan Shaamon,Resham Raaton Waalay Loog Aik Bhikaarun Dhoond Rahi Thi Raat Ko Jhoote Chehron Mein Ujle Lafzon, Sachi Baaton Ki Khairaaton Waalay Loog Aane Waali Rog Ruton Ka Pursa Dain Har Larki Ko Shehnaai Ka Dard Samajh Lein Gar Baaraton Waalay Loog Pathar Kootne Waalon Ko Bhi Sheeshe Jaisi Saans Milay  Mohsin Roz Duaaen Maangain Zakhmi Haathon Waalay Loog

Shayed mera wajood hi suraj tha sheher mein

Shayed mera wajood hi suraj tha sheher mein Main bujh geya to kitne gharon mein chiraag jaley

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do Tishnagi K Azaab Rehnay Do

Aaj Saqi Sharaab Rehnay Do Tishnagi K Azaab Rehnay Do Ponch Dalo Na Aankh Se Kaajal Kuch Tou Khanjar Pe Aab Rehnay Do Tum Sanwaro Apni In Zulfon Ko Meri Halat Kharab Rehnay Do Chaand Badal Main Acha Lagta Hai Adhay Rukh Pe Naqab Rehnay Do Un K Chehry Ki Baat Ho Jaye Aaj Zikr-e-Gulab Rehnay Do Un Ki Chokhat Ko Choom Lo Mohsin Baki Saray Sawaab Rehnay Do….!!

So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon Jangal Hoon Magar Hara Bhara Hoon

So Baar Ujar Kay Phir Basaa Hoon Jangal Hoon Magar Hara Bhara Hoon Har Shaks Mein DHoondta Hoon Khud Ko Shayad Mein Kisi Mein Kho Giya Hoon Ab Teraa Wisaal Raiegaan Hai Main Kab Ka Udaas Ho Chuka Hoon Andha Hoon Pkar Le Haath Mera Ay Hijar Ki Shab Mein Be Asaa Hoon Khush Ho Ay Bulandiyon Ki Khawahish Main Nok-e-Sinaa Pe Saj Giya Hoon Dariya Ko Shikast Di Hai Maine Mashkeeze Mein Piyas Bhar Raha Hoon Karta Hai Qabool Kon Mujh Ko Kat`te Howe Haath Ki Dua Hoon Sach Yeh Hai Kay Ajnabi Hoon Khud Se Kehne Ko Main Sab Se Ashnaa Hoon Uljha Hoo Yeh Soch Kar Hawaa Se Main Shaher Ka Akhri Diya Hoon Din Bhar Ki Tapish Mein Kon Jhulse Main Shab Ko Badan Pe Aurhta Hoon Mohsin Mujhe Khud Pe Naz Tha Kaisa Main Yoon Bhi Misaal-e-Naqash-e-Paa Hoon

Itna khali tou ghar nahi, hum hain

Itna khali tou ghar nahi, hum hain Hum nahi hain magar nahi, hum hain Chasm-e-dushman ke khauf se pocho Nok-e-naiza pe sir nahi, hum hain Sham-e-tanhai gham na kar k tera Koi bhi humsafar nahi, hum hain Chand se keh do, be dharak utre Ghar mein dewar-o-dar nahi, hum hain Woh jo sab se hain be khaber, tum ho Jin ko apni khaber nahi, hum hain Kyun jalate ho jhonpri apni Is mein lal-o-gohar nahi, hum hain Hum hain humzaad, raat ke Mohsin Jin ki qismat Sehr nahi, hum hain

Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar Sakht Tar Nikla

Sambhala Hai Hosh Jab Se Muqaddar Sakht Tar  Nikla Para Hai Vaasta Jis Se Wohi Teer-o-Tabar Nikla Sabaq Deta Raha Umr Bhar Jo Roshan Khayali Ka Usay Bhi Jab Paas Se Dekha Tou Tang Nazar Nikla Samajh Kar Zindagi Jis Se Mohabbat Kar Rahay Thay Hum Usay Jab Chhuu Kar Dekha Tou Faqat Khaaki Bashar Nikla Mohabbat Ka Khumaar Utraa Tou Saabit Howa Mohsin Jisay Hum Umr Samajh Rhay Thay Faqat Be Maqsad Safar Nikla

Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha

Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hee Na Chalna Tha Kuch Is Lye Bhee Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hai Pahaarion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee.n Mein Palnaa Tha Ye Kia Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayein Zameen Ko Yun Bhee Khazaana Kubhi Ugalna Tha Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha ? Ajab Naseeb Tha Mohsin Ke Baad-e-Marg Mujhe Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai Aye shehr yaar dasht say fursat nahi ? magar Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai *Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai?

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy MOHSIN Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha